Originally posted by: 9n9i9s9h9u9
hello dear
me back with few lines😆😆😆
don't know,how bad they are
as my net is doing hide ad seek with me
so write it ,without further reading
maan and geet
with their view and problems
mai ek sukhi patti
tu ek surakh gulaab
hum dono ka ek hona
jo na pura ho sake,hai woh ek khawaab
tu nahi hai sukhi patti
tu hai ek gahari chaav,jiske nicche do zindagi
falaa rahi hai,apne paav
aur agar
hu mai gulaab ,to jaan le
mere paas bhi hai ,kaate be hisaab
nahi de sakti mai tujhe mera saath
thak chuki hu mai ab itna
ke nahi kar sakti,thamne ke liya khushiyaan
aage apna haath
ateet se hum chup nahi sakte
jo beet gayi hum pe,usse hum muker nahi sakte
jo hona tha woh ho gaya,maanta hu
issme hum dono ka kuch hissa kho gaya
chahe kuch bhi karle ussko to hum badal nahi sakte
janti hu mein ,ku chahiye tujhe mera saath
hai mere paas tera kuch aisa
jo lauta dega waapis khusiyaan tere haath
par tu kyu nahi dekh sakta
un khushiyoon mai bhi hogi mere beete kal ki parchaaiyan
jo degi har pal tujhe mere saath na chalne ki duhaaiya
jo pal kal aayega
woh na tune dekha hai na mene
saath woh kya laayega
yeh na tu jaanti hai na mein
isliye
haamare liye jo pal hai
woh bas yahi ek pal hai
jo beet gaya woh bhi ik kal hai
aur jo aayega woh bhi ik kal hai
aur woh kya laayega,yeh soch kar is pal ko na jeena
jo aisa karre ,woh insaan toh mein nahi na
ok
me done with my thoughts
please forgive me for my spelling mistake.
me waiting for your reply
617