Hi all…We are back to poetic Saturdays…Yup but I am like
pretty confused what I am gonna type so u will have to bear with me, and tday
its gonan be in hindi…if u don't get it let me know I will post a simple update
in English…
Ok so abt todays epi..it was just fantastic…I personally
would want each of u to watch it..but here is the update.
GEET LEAVES MAAN BEREAVED
Geet chali apni ghar chod doosre aangan,
Par kya who bhar payegi who zakham,
Wahi jo Maan ne use diye hain,
Wahi jo ek saugat mein baant diye hain,
Dadi roke par geet to chal padi hai,
Har rah pe ab akeli hi khadi hai,
Poora parivaar use manaye aur samjhaye,
Par geet ke kismet mein toh likha hai hona sabse paraye,
Har yaad ko apne apne aanchal mein sanjoye,
Har zakham ko apni aankhon mein bahaye,
Chal padi who ek anjaani rah par,
Jahaan ho na koi humsafar,
Kismet ka khel he toh hai uski zindagi,
Kisi ke hokar be kisi kin a ho saki..
DADI FRANTIC AND DEV
SEMANTIC
Dadi ki halat ho rahi ha kharab,
Unhe chahiye apni beti ghar mein janaab,
Aankhon ke aansoon na tham rahe hai,
Umar bhar jiska intezaar kiya tha,
Ek beti ne ghar abaad kiya tha,
Uske gam mein daadi hai bechain,
Sab ke chehre par chinta hai jhalak rahi,
Daadi ne na hai pani piya na hai dwaai khai,
Sab na kaha maan se karo baat,
Dadi ne maan li unki hat,
Chali daadi maan ke kamre ki taraf,
Par gir padi who aur le gaye phir unhe kamre ki taraf
Dev ne kiya nishcat ki who baat karega apne bhai se,
Chai jitna bhi who kare gussa ya phir ruswaai se..
MAAN DEV
CONFRONTATION
Maan kamre mein hai gusse mein,
Na galat sahi samajh rahein hain,
Dekha toh paaya geet ja chuki hai,
Isme bhi unki hisaab se dev ki glati hai,
Gusse mein toda unhone mez par rakha saaman,
Aur lagi chot hath par nikla khoon mahaan,
Gusse mein chal diye niche,
Raaste mein he dev ne hai rekha khichi,
Dev ne chahi maan se bat karni,
Par who toh na chahta hai kisi ki baat suneni,
Dev ne mara tana ki who hai sabko chot pahunchate,
Kisi ka gussa kisi aur par nikalti
Maan ne di chetavni,
Dev ne baat karni ki phir bhi hai thani,
Maar khane ko bhi hai who tayaar,
Batana chahta hai SACCHAI ek baar,
Maan ko aaya gussa sun kar imaandari ki battein dev se,
Dev chahta hai rokna maan ko ek badi galti karne se,
Geet ke pyaar ka Ehsaas dilaya dev ne,
Maan ne kaha use nahi zaroorat tang adane ki,
Par dev phir bhi apni baat par ada raha,
Use bataya aur koi toh samjhyega nahi kyunki hai sab pe dar
ka saaya,
Bataya use ki galatfamein panap rahein hai uski man mein,
Galat hai who nah hai koi sacchai usme,
Bataya maan ko pyaar hai geet unka,
Taqdeer se milta hai par bepenah,
Use thukra kar taqdeer ko maat de rahein hain,
Maan ne bataya use ki who pyaar karta hai itna,
Ki jaan de sake who na kare koi parvah,
Dev ne na kabhi jaana ki kya hota hai pyaar,
Aur karne laga khatam un dono ki takraar,
Usne yeh kiya
swikaar,
Ki na tha uski kismet mein kabhi saccha pyaar,
Dev ne maana uske pyaar ki gharayi,
Par samjhaya ki ek galtfameyin ki wajha se dhakel rahein
hain ek ghari khayi,
Bataya use ki kitna pyaar karti hai geet unse,
Har gam ko bhula unki liye hai jeeti marti,
Us pyaar ko tukhraya hai unhone,
Us ko sataya unhone,
Yeh bataya ki who toh us se zaydaa hai abhage,
Taras jo aaj tak karta tha doosron par aaj who khud bhi use hai
na anchuhe,
Jo karti thi un se bepanaah mohabbat,
Chali gayi hai chod who ghar aur unki kismet,
Ek Khwaish thi uski ke who zindagi sajjayegi unki saath,
Khushi thi itni ke foole na samaye thi,
Par maan ne use itna dard hai pahunchaya,
Ki aaj uske sir par hai na koi saaya,
Who bhi toh us se karna chahte the yehi baat
Isliye dev ne banay ek plan dadi ke saath,
Phir bataayi usne farmhouse ki sachhayi,
Aur maan ko apne kiye par glani hui,
Dev ne yeh kiya zaahir,
Jise who kehte thi kamzori who hai ek mahir,
Uska badaapn aur uski mahaanta,
Taaki who shuru kar sake ek zindagi nayi tarah,
Maaf kiya tha sirf unke liye,
Bite hui kal ko bhula ek nayi shuruvat kar sake,
Maan ne jaana ki who tha galat,
Epi hua khatam ab sochte rahe har falak…
Preacp:
Maan chala pehne kaali kameez,
Waapis aa gayi who jeep,
Geet chali amritsar ek aunty ke saath,
Milenge done kya hogi baath
Jaaane ki liye dekhe
GGHSP mon to sat 9:30…
710