-truly magical- maaneet ff THREAD 17 - Page 80

Created

Last reply

Replies

961

Views

216k

Users

248

Likes

2.9k

Frequent Posters

AayaTohModiJi thumbnail
Posted: 14 years ago
Can we get an update pls
18mypride thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Muskan😛... waiting honey...
i know u r planing to open another thread... see its already 126th page!
muskaan_cute19 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
Hey muski loved the part yaar
it was superb as always nd i thought as ur part was different so the comment shud b also differ dear
so though of explaining it in a different way as i analyze i write on my own wordings nd visualize with my own imaginary pictures so today im nt gona use my mere words 4 such a beautiful update so here it is completely different explaining every single emotion

yeh pyaar bhi kitna ajeeb hota hai
jise chaho wohi humse door hota hai
na chahte huye bhi yeh dil
usi ke liye rota hai
jo door ho kar bhi paas hota hai


Nazro ko teri mohabbat se inkar nahi hai
Ab mujhe kisi ka intezar nahi hai
Khamosh agar hun ye andaz hai mera
Tum ye nahi samajna ki muje pyar nahi hai


Aaj Tak Jo HUM TUM Se Keh Na Sake
Aaj WAZAHAT Se IQRAR Kerte Hain
Jisey Tum ROZ Dekhty Ho AAENEY Mein
Us Se HUM Be-Panah PYAAR Kerty Hai


Mere hum safar mere hum nasheen,
Main ne rab se manga to kuch nahi,
Mein ne jab bhi mangi koi dua,
Nahi manga kuch bhi , TERE SIWA
Ye talab kiya k mere khuda,
Sabhi rahtein, Sabhi chahtein,
Wo atta kare tujhe manzilien,
Ye talab kiya k mere khuda,
Tujhe bakht de, Tujhe takht de, Tujhe taaj de,
Zara dekh to mera hosla,
Meray paas jo bhi wo hai tera,
Nahi or kuch bhi, TERE SIWA
Meri dosti, Meri zindagi, Meri khamoshi,
Meri bebassi, Mera ilm bhi, Mera naam bhi,
K meri subah, K meri shaam bhi,
Wo sub kuch tujhe ataa karay,
Mere charagar, Tu yaqin to kar,
Mujhe mangna to na aaska,
Main ne phir bhi mangi yahi dua,
K gawahi de ga mera KHUDA,
Main ne jab bhi uss se talab kiya,
Nahi manga kuch bhi, TERE SIWA



aankhon ki zubaa ye aansu kehte ..
ye chup rehte hain phir b behte ..
in aansuo ki kismat to dekhiye ....
ye unke liye behte hain jo in aankho me rehte hain


Dilon mein aarzu ke diye jalte rahenge
aakhon se aansu nikalte rahenge
aap shamaa bankar dil mein roshni toh karo
hum to mom bankar pighalte rahenge


Main dil ka ameer mukaddar ka ghaeeb tha
Mil k bichadna mera naseeb tha,
Chah k bhi kuch na kar sake hum,
Ghar bhi jalta raha aur samandar bhi kareeb tha


Tumhari Tasvir Pe
Jo Humne Dali Nazar
To Vo Chupke Se Muskura Gayi
Abhi Hum Hairan The Ke Vo Sharma Gayi
Humne Jo Chaha Dekhna Ankhoo Mein
To Vo Palke Jhuka Gayi
Tirshi Nazar Se Dekh Kar Humhe
Hoonto Ko Danto Se Daba Gayi
Kya Kahe Aur Ab
Teri Tasvir Hum Pe Aur Zulam Dha Gayi



Baad muddat unhein dekh kar yoon laga,
Jaise betaab dil ko qaraar aa gaya,
Aarzuoon ke gul muskuraane lage,
Jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayi,
Tashnaa nazarein mileen shokh nazaron se jab,
Main barasane lagi jaam bharne laga,
Saaqiya aaj teri zarurat nahin,
Bin piye,bin pilaaye khumaar aa gayaa,
Raat sone lagi,subah hone lagi,
Shammaa bujhne lagi dil machalane lage,
Waqt ki roshni mein nahaai hui,
Zindagi pe ajab saa nikhaar aa gayaa,
Har taraf mastiyaan,har taraf dil kashi,
Muskuraate dilon mein Khushi hi Khushi,
Kitna chaaha magar phir bhi uth na sakaa,
Teri mehfil mein jo ek baar aa gayaa.



Kya Kya Tere Naam Likhon..?
DIL Likhoon K JAAN Likhoon..?
Aansu Chura K Teri Pyari Aankhon Se'!
Apni Har Khushi Tere Naam Likhoon
..!


Kitne door ho kar bhi tum itne paas ho,
Tumhe kya maloom ki tum hi mere dhadakte dil ke raaz ho.


nd this 4 geet im sure the way she smiled at the end she surely was having such feelings
the way she responded to him
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

jage sapne, jage arman, jagee hai dhadkan
kaisee duneeya, kya zamana, tod har bandhan
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

kya kahu, kya maine tumse milke paya hai
tum jo aaye, zindagee me rang aaya hai
aao tumko le chalu mai dil kee raho me
aaj hamko manzilo ne khud bulaya hai
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

barkha badal, cholee aanchal, phul aur khushbu
ham bhee yu hi sath me hai, jaanle yeh tu
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

mere dil ka hal kya hai, kya kahu tumse
pyar itna pake mere hosh hai gum se
jindagee bhar pyar meraa kam nahee hoga
manglo tum jan bhee toh gham nahee hoga
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

dharatee ambar, dariya sagar, geet aur sargam
mauj sahil, rasta manzil, sath hai yun hum
shukriya, shukriya, shukriya mere piya
jitne soye khwab the, sabko jaga diya

nd this song dedicated to their reunion after a long time much awaited 1 i tnk its perfect 4 their situation in which they are ryt now

jism to sirf ek bahanaa hain
ruh tak saath sath jaana hain
haath jabse hain tera haath mein
phir haath mein zamanaa hain

lo shuru ab chaahaton ka silsila ho raha hain
mit rahi hain duriyan aur faasla kho raha hain
ho rahi hain baat kuch aisi jisme shabd gum hain
arth matlab gum ho raha hain

lo shuru ab chaahaton ka silsila ho raha hain
mit rahi hain duriyan aur faasla kho raha hain

jitna pehle the kabhi itni jawaan
thoda naya sa lag raha hain yeh jahaan
aayega aur bhi aisa hi samaa
haan hamesha do dilon ko pyaara sa jo raha hain

lo shuru ab chaahaton ka silsila ho raha hain
mit rahi hain duriyan aur faasla kho raha hain

dil yeh chaahe tutkar chaahoon tumhe
dedo ijaazat tutne ki tum hamein
chunke rakh lo chaahaton ke yeh lamhen
yun sambhalkar thamlo lo pal dekho woh kho raha hain

lo shuru ab chaahaton ka silsila ho raha hain
mit rahi hain duriyan aur faasla kho raha hain
ho rahi hain baat kuch aisi jisme shabd gum hain
arth matlab gum ho raha hain


[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=duFFo7ma87w[/YOUTUBE]

nd this 4 u sweet heart muski darling sumthing in ur honour

ek khubsurat si shaam jaise hote hai
azmaat ke unche mukaam jaise hote hai
banke kiran woh bikherte hai roshni
kuchh log apne hi naam jaise hote hai


well this was only the way that i could have explained ur update no other came into my minds and i failed to use my own words coz there were no words i was completely speechless
hope u like it dear
keep writing
god bless u

Edited by muskaan_cute19 - 14 years ago
AayaTohModiJi thumbnail
Posted: 14 years ago
Update do na muskan
dimag mein kitne baatein araaha hain geet ke baarein mein.
kaise oh dono uha se bahara aayenge phir kya hoga etc etc.
pls pls update karo na
MystiqueDew thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

As U r online,can we get updates both in Deewangi nd TM now????


muskaan... thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
PLEASE UPDATE,,,,,,
WE ARE DESPERATE FOR UPDATE.........

WAITING..............
AayaTohModiJi thumbnail
Posted: 14 years ago
ek update de do na muskan.

muskanp thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 8
Posted: 14 years ago

just started typing pata nahi kitna der lagega..

will change the status updating only when abt to post
mrk-1 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 5
Posted: 14 years ago
waiting for this ff and deewanni ,,,,,,,,,,,,,,,,,
anushaarja thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 14 years ago
geet toh theek kardo yaar jaldi.......😔😕😒😭

Related Topics

Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: Pumpkinseed

5 months ago

Maaneet Stories Updates~ New Part Updated~pg 44~30.07.25

You can stay updated with all the latest updates in my stories right here in this thread. I will be updating the stories almost every day. Feel...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: priya_21

4 years ago

Maaneet Dreamworld

due to inactivity my previous thread closed,so opening new one here Maaneet magical couple Maaneet Dreamworld bookmark the update thread or join...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: SillySoni

1 years ago

Dolent - Maaneet FF - Chapter 17 page 25 - 31/12/24 Dolent - Maaneet FF - Chapter 17 page 25 - 31/12/24

Hi, as the title suggests this story is going to be full of sorrow, but because it's my FF there will be unconditional love as well Whoever...

Expand ▼
Geet - Hui Sabse Parayee Thumbnail

Posted by: WaveTeal

1 years ago

My First Crush * Maaneet TS * 🔺🔺UPDATED @ Page 6 || 28th Mar My First Crush * Maaneet TS * 🔺🔺UPDATED @ Page 6 || 28th Mar

M y First Crus h INDEX ~ A Maaneet Tale ~ CONTENTS : SHOT 1 - PART 1 Page 1 ~ Scroll Down PART 2 Page 1 ~ Scroll Down SHOT 2 : Scarlet Flames -...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".