Part-5
Agle din Sujal apni office me kam raha hota hai jab manager aata hai........
Sujal: haa bolo kya kaam hai....
Manager: Sir.......woh aapke signture chahiye the is check pe.........who naye project ke liye payment karni hai to.........aur yeh hamare aur client dono ke liye bahot hi importnant hai.........
Sujal: thik hai do........
Sujal sign kar deta hai....aur woh wapas kaam karne lagta hai.........
Thodi dair bad Manager wapas aata hai......
Sujal; ab kya hai.......
Manager: Sorry Sir........per hamara check reject ho gaya......
Sujal: kya.......aise kaise koi Sujal Garewal ka check reject kar sakta hai......
Manager: Sir maine bank phone kiya aur waha se pata chala ki Prerna Mam ne aapke sare access block kar diye hai.............
Sujal: thik hai tum jao.......Yeh mama bhi na........
Sujal gusse me Prerna ki office me jata hai......
Prerna: khade kyun ho betho.....
Sujal: jee nahi........pehle aap batayegi ki yeh sab kya ho raha hai.......mera check kaise bounce hua.........
Prerna: aawaz neechi rakho..........ab tum saat hazar carod ke malik nahi rahe.........ab tum ek aam insaan ho jo meri office me kaam kar raha hai........aur main jo chahe woh kar sakti hoon....main is company ki malkin hoon........
Sujal: aap aisa kaise kar sakti hai...mera sara kaam ruka pada hai.........
Prerna: to tum meri baat kyun nahi mante........shaadi karlo Kashish se.......
Sujal: kabhi nahi........aap ko jo karna hai kariye...lekin kam se kam is check pe sign kar dijiye.........bahot hi important hai clients ko bhejni hai.........
Prerna: tum rakh do...........main soch ke waqt dekh ke sign kar dungi.......
Sujal: lekin muje abhi chahiye.........
Prerna: lagta hai tumne suna nahi.......main dekh ke sign kar dungi......aur haa jate jate darwaza bandh karna mat bhulna..............
Sujal: ab main aur nahi seh sakta...yeh sab us Kashish ki waje se ho raha hai....main use dekh lunga..........
Sujal gusse me apni office me chala jata hai.........
*************************************************************************
Dusri aur Kashish do old auntie ke saath Old Age House ki kuch zarooori shopping pe jati hai.........woh log bahot sara saman lete hai kinme kayi dawaiyaan aur zaroori saman hota hai........Kashish store ki payment ke liye apna credit card deti hai........
Manager: Sorry Mam......lekin aap ka card nahi chal raha......
Kashish: koi baat nahi yeh wala dekhiye........
Manager tries that one......
Manager: sorry mam........yeh bhi nahi chal raha .......aap apne credit card company ko phone karke puch lijiye........
Kashish apni credit card company me phone karti hai..........
Kashish: Main Kashish Sinha bol rahi hoon........mere Credit card nahi chal rahe........
Person: sorry Mam........Malika SInha ne aapke sare credit cards pe hold kar diye hai..........
Kashish: yeh mere credit cards hai mama ke nahi..........
Person: sorry mam.....lekin yeh credit cards Malika Sinha ke accounts se hai......to ab hum kuch nahi akr sakte.......
Kashish phone rakh deti hai aur bahot gussa hoti hai.....
Kashish: yeh sab us gadhe Sujal ki waje se ho raha hai.....main use nahi chodungi.........
Auntie: kaun Sujal.......
Kashish: mere paise......mera Old Age House........aur is sab ko bachane ke liye muje us Sujal se shaadi karni hogi jise main sab se jyada nafrat karti hoon........
Auntie: main tumhe aur tumhare parivar ko bahot arse se janti hoon..........main tumhare papa ko bhi bahot kareeb se janti thi.......tumhare papa hamesha tumhe shaadi karke khush dekhna chahte the...........woh chahte the ki tum yeh Old Age House apne pati ke saath milke sambhalo............
Kashish: auntie......maine kaise kisi se shaadi kar loon jise main pyaar kya pasand bhi nahi karti.........mere dil me sirf uske liye nafrat hai..........
Auntie: main bhi shuru shuru main tumhare uncle ko pasand nahi karti thi......per sachchai yeh thi ki mere pati ka dil sone ki tarah tha.......aaj woh mere saath nahi lekin aaj ehsaas hota hai ki woh kya the mere liye.......is liye kisi ke bare me janne se pehle rai nahi banate.....main to yeh bhool ki lekin main nahi chahti ki tum bhi aisi galti karo.............
Kashish: chaliye main aapko wapas chod deti hoon............
Kashish auntie ko chod ke Sinha Menstion me aati hai.......
*************************************************************************
Malika aur Kripa hall me bethe baatein kar rahe hote hai..........
Kashish: maine kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki aap us besahara logo ke saath aisa karenge............
Malika: maine kuch nahi kiya.....tumne muje aisa karne pe majbur kiya............
Kashish: aap dekh nahi sakti ki main us insaan ke saath khush nahi reh paungi.........
Malika: lekin jo main dekh rahi hoon woh shayad tum dekhna nahi chahti.........
Kashish: to ab muje kya karna hoga mere Old Age House ko bachane ke liye........Mama aap janti hai ki woh Papa ka sapna hai......aur main Papa ke liye kuch bhi kar sakti hoon........
Malika: Sujal se shaadi kar lo.......
Kashish: thik hai main kar lungi........aapko kya main khush rahu ki nahi.......
Kashish roti huyi apne kamre me chali jati hai............Kripa uske piche jati hai................Kashish apne Papa ki tasvir haath me leke ro rahi hoti hai........
Kashish: Papa aap ko yaad hai....maine aapse ek vaada kiya tha ki main aapke sapne ko pura karungi..........aur main aapse woh vaada tod nahi sakti.......aur isi sapne ki liye agar muje Sujal se shaadi karni padi to main kar lungi.........lekin aap to jante hai na ki main Sujal se shaadi nahi karna chahti........main use pyaar nahi karti.............Papa aap kaha ho......muje aapki bahot yaad aati hai........kyun aap muje akele chod ke chale gaye.......aap kaha ho.....muje aapki zaroorat hai........
Kripa: ro mat Kashish..........papa tumhare saath hai.........
Kashish: Bhabhi aap to muje achchi tarah se jante hai.........aisa nahi hai ki maine shaadi ka sapna nahi dekha.......main bhi shaadi karna chahti hoon khush rehna chahti hoon.......lekin main shaadi usse karna chahti thi jise mere dil ne pasand kiya ho.......jise muje pyar ho..........lekin mere saath aisa kyun ho raha hai.......
Kripa: Kashish........aaj main tumhe ek kahani sunati hoon.........shayad iske bad faisla lena aasan ho jaye.........
Kashish: kahani kaisi........
Kripa: ek ladki college me janewali........apne hi college me ek ladke ko dilojaan se chahti thi..........usi college main aur ladka bhi tha jo us ladki ko pyaar karta tha lekin woh ladki ko woh kabhi pasand nahi tha........woh ladka bahot paisewala tha usne us ladki ke maa-baap ke samne shaadi ka rishta rakha.....kaun hoga jo apni beti ko aise khandan me nahi jane dega........us ladki ne apne pyar ko pane ki bahot koshish ko lekin kuch nahi hua..........aakhir main uski shaadi us ameer se ho hi gayi.......shaadi ke bad pata chala ki uske pati ne aisa kyun kiya........kyunki jis ladke se woh ladki pyaar karti thi woh to ek dhoka tha........us ladki ko usse achcha pati mil hi nahi sakta tha........uska pati use dil ki gehrai se jyada chahta hai......aaj us shaadi ko nauv saal ho gaye..........aur woh apni duniya main bahot khush hai............
Kashish: kaun thi woh ladki......
Kripa: main..........yeh meri zindagi ki kahani hai.........maine Prithvi se bahot pyaar kiya tha lekin kya hua woh to ek dhoka nikla..........aaj mere liye Angad hi sab kuch hai.......aur aaj main bahot khush hoon........Kashish tumhe ek baat jan leni chahiye ki jaha pe manzil tai hoti hai waha pe hi aake rukhti hai.........maine apna rasta prithvi ki aur banaya tha lekin kya hua aakhir manzil tak aa hi gayi angad ke pass...........aaj waise hi itne saalo ke bad tum Sujal se mili ....kyunki woh tumhari manzil hai........agar main apne pyar ke dhoke se bahar aa sakti hoon to Sujal ka dhoka to kuch nahi....usne tumhare saath kabhi koi galat kaam karna to nahi chaha........mana Angad ne muje dhoka deke shaadi ki lekin tumhare aur Sujal ke rishtey me aisa kuch nahi hai..............Kashish jo hota hai achche ke liye hota hai.......
Kashish: Bhabhi.........aap ke saath itna sab kuch hua aur aapne kabhi bataya nahi......
Kripa: shaadi ke baad Pati hi aapke liye sab kuch hota hai.........maine apni zindagi me jo hua use swikar kar liya hai aur main bahot khush hoon apni choti si duniya me.........aur mere khayal se tumhe sach swikar lena chahiye...aur Sujal se shaadi kar leni chahiye......
Kashish: aap ke liye main taiyaar hoon yeh Shaadi karne ke liye.........
Kashish Kripa ke gale milkar roti hai...........
*************************************************************************
Sham ko Sujal office se ghar aa raha hota hai jab uske cell pe manager ka phone aata hai......
Manager: Sorry sir itni raat ko phone kiya.......lekin ek bahot buri khabar hai.....humne woh contract kho diya hai.......
Sujal; kya......lekin kaise.........
Manager: woh payment dair se pahochane me........
Sujal: ab aage kya hoga....tumne kisi se baat ki......
Manager: abhi bhi sab sambhala ja sakta hai.......abhi bhi do bade project baki hai...lekin uski payment waqt pe honi chahiye..........agar yeh kho diya to hum market se bahar ho sakte hai......
Sujal: thik hai main Kavyabhaiyaa se baat karta hoon.....
Manager: ok sir.......
Sujal phir sochne lagta hai.....
Sujal: Kashish ab tumne koi rasta nahi choda........ab to muje tumse shaadi karni hi hogi.........lekin tum ghabaro mat......main tumhe itna pareshan karunga ki tum khud muje chod ke chali jaogi........
Sujal ghar jake Prerna ke kamre me aata hia........
Sujal; mama ap muje naraz hai main janta hoon lekin aap to mujse baat bhi nahi karna chahte......
Prerna: to tum meri baat kyun nahi mante......
Sujal: main yaha pe aapko yeh kehne aaya hoon ki main is shaadi ko karne ko taiyaar hoon........
Prerna: sach...........main kahi sapna to nahi dekh rahi......main bahot khush hoon tumhare liye......ab yeh le Kashish ka number...khud hi use yeh khuskabri suna dena.........
Sujal waha se jane lagta hai jab Prerna use rokti hai.....
Prerna: Sujal.....tumhe abhi aisa lag raha hai ki main tumpe dabav dal rahi hoon.........lekin main yeh nahi chahti ki jo zindagi maine tanhai me kati hai woh tum kato.........kyunki tanha zindagi jina bahot muskil hai aur mujse jyada ise kaun pahechan sakta hai..........main tumhe khush dekhna chahti hoon.....mera yakeen karo main tumhari maa hoo bura nahi chahungi..........
Sujal: raat kafi ho gayi hai main chalta hoon.......
Sujal apne kamre me chala jata hai..........
*************************************************************************
Sujal apne kamre me idhar se udhar chal ke soch raha tha ki woh Kashish se phone kare ya na kare........finally Sujal Kashish ko phone karta hai........
Sujal: hello.......
Kashish: hello....kaun........
Sujal: Sujal.....
Kashish: tum..........tumne muje kyun phone kiya.....
Sujal: kuch baat karni hai tumse.......
Kashish: muje bhi kuch baat karni hai......
Sujal: to kab mil rahi ho.......
Kashish: kal subaah dus baje usi coffee House me......
Sujal: thik hai.......main aa jaunga.......
Kashish: main bhi........
Sujal aur Kashish dono phone kat dete hai.............
324