i really liked the way u introduced sujal and kashish
cant wait 4 the next part
👏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai July 29, 2025 Episode Discussion Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 July 2025 EDT
CRYING FAMILY 29.7
TRIALS OF BOND 30.7
Kyunki Saas bhi kabhi Bahu thi 2 : EDT # 1
Anupamaa 29 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Anupamaa 30 July 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Param Sundari song Pardesiya out now
Emotional support 😢 animal 😍😍🥰🥰🥰 silly boy ☺️☺️☺️
🤱Surrogacy: Womb For Hire ! Is It A Blessing Or A Curse For Women?👶
Sitaare Zameen Par Straight to YouTube
Will WAR 2 Surpass Saiyaara
Who did it better?
After so long we see Katrina with Vicky
Anupama back to Shah house , at Baa's feet !
21 years of Mujhse Shaadi Karogi
War 2 Run Time 3h 5m
Part-2
Sujal Kashish ke saath beth jata hai jab waiter aake unhe do coffee deke jata hai........
Sujal: to aap kaha se aa rahe ho aur kaha jane ka irada hai.......
Kashish: main Chicago se aa rahi hoon...........Do saal pehle apne Master Degree ke liye gayi thi.........aaj wapas apne ghar Mumbai ja rahi hoon........Pata nahi in do saaloin me kitna badal gaya hoga........
Sujal: badal to ek raat me jata hai.........jo sham ko sote waqt dekhte hai woh din ki ujale hote hi chala jata hai...........lekin woh chahal pahal kabhi nahi badal sakti.........
Kashish: waise aap kaha se aa rahe hai............
Sujal: main New York gaya tha...........ek business meeting ke silsile me........aaj wapas ek hafte ke baad apne ghar Mumbai ja raha hoon...........
Kashish: kitni ajeeb baat hai.........hum dono ek hi seher ke rehnewale hai......lekin aaj mil rahe hai pehli bar woh bhi London Ke sumsham Airport pe........
Sujal: yeh duniya logo ke liye bahot hi choti hai lekin Mumbai seher bahot hi bada hai......
Kashish: per woh ek bada seher bhi to isi choti si Duniya ka hissa hai..........
Sujal: aap baatein bahot hi achchi tarah se sunti hai.......
Kashish: aap bhi baatein achchi tarah se bana lete hai..........
Sujal: kabhi kabhi apni tanhaiyon ko isi tarah baatoin baatoin me kehke dil ko sukun milta hai........
Kashish: lagta hai kafi gehri chaut khayi hai..........
Sujal: chaut wahi khata hai jo bar bar girta hai.............jiske raste buland na ho..........
Kashish: raste me aap buland ho ya na ho lekin manzil pana aapka laksh hona chahiye.........
Sujal: meri baatein to hoti hi rahegi..........waise aap ke haath me jo ring hai........woh kafi sundar hai..........
Kashish: thank you.......
Sujal: iska matlab aap shaadi shuda hai..........
Kashish: nahi..........abhi tak sirf sagai huyi hai..........
Sujal: aap is sagai se khush nahi hai kya.......
Kashish: nahi to aisi koi baat nahi.........
Sujal: agar aisa hai to aap ke chehre pe khushi kyun dikhai nahi di........
Kashish: nahi to....... aisi koi baat nahi......
Sujal: aap ke chehre aur bolne se main itna keh sakta hoon ki yeh aap ka pyaar to nahi ............
Kashish; Angad mera bachpan ka dost hai.........
Sujal: Dost hai magar pyaar nahi........
Kashish: kabhi kabhi Dosti ka boj itna badh jata hai ki pyaar ke liye jagah hi nahi rehti................Main 16 saal ki thi jab mere papa ki heart attack ki waje se woh chal base.........maine apne aap ko, Mama ko aur Mehek ko to sambhal liya..........lekin business ko sambhalne ke liye main shayad bahot choti thi...........jab Angad ke papa yani Abhayuncle ne hamari madad ki ........Abhayuncle aur papa bachpan ke dost hai aur business me bhi barabar ke partners...........Papa ke jane ke baad Abhayuncle ne hume kabhi papa ki kami mehsoos nahi hone di..........her waqt hume shambhala hai unhone...........
Sujal: aur tum unke upkar ke tale dabkar apne pyaar ki kurbani dena chahti ho.........
Kashish: main kisi se pyaar nahi karti.........
Sujal: to tum Angad se bhi to pyaar nahi karti..........
Kashish: Pyaar ka kya hai........woh to aapke dil me ek ehsaas banke reh jata hai..........zindagi pyaar se nahi balke saath se chalti hai.....aur Angad ne hamesha muskil ghadi me mera saath diya hai..............
Sujal: kya kabhi tum Angad se pyaar kar paogi........
Kashish: Mama kehti hai ki pyaar kabhi bhi kisi se bhi ho sakta hai.........aur kya pata mere liye Angad hi ho..........
Sujal: aur kabhi kisi din tumhe kisi aur ke liye apne dil me eksaas ho ki tum kisi se pyaar karti ho tab..........
Kashish: aisa kabhi hoga hi nahi.......kyunki kehte hai pyaar dhundh ne pe milta hai.........jab dil me kisi ki khoj hi nahi rahegi to pyaar kaise milega.........
Sujal: pyaar dastak deke nahi aata.........woh hawa ke laher ki tarah aake aapki saasoin me ghul jata hai..........jo aapke dil me apne pyaar ki jagah bana hi deta hai..........lekin main sirf itna kehna chahta hoon ki itni badi galti mat karo............mat karo yeh shaadi kyunki zindagi agar aasani se katni hai to usme pyaar ka hona bahot hi zaroori hai warna zindagi kab jannat se jahnum ban jayegi pata bhi nahi chalega.........
Kashish: upperwale ne hamari kismat ka faisla kar diya hai............kuch hi mahino me hamari shaadi honewali hai.........hamari is shaadi se sab ki kitni khushiyaan judi huyi hai............hum kisi ki khushiyaan to nahi tod sakte...........
Sujal: lekin tum apna dil tod sakti ho...........
Kashish: jo dil pehle se hi tuta hua ho use aur kitni bar toda ja sakta hai.............ab aur kuch nahi ho sakta ......lekin mere papa hamesha kaha karte the ki gum ho ya khushi hamesha muskurate rehna chahiye......just like this........
Sujal: aap muskurati kitni achchi lagti hai.......
Kashish: thank you.........
Sujal and kashish just stare each other...........
Part-3
Kashish aur Sujal abhi bhi ek dusre ki aur dekh rahe the jab Kashish ki nazar Sujal ke haath pe girti hai..........
Kashish: aap ki Shaadi ho chuki hai........
Sujal: aap ko kaise pata chala.......
Kashish: bas aise hi ring dekhi to.......
Sujal: Shaadi huyi nahi honewali hai...........meri sirf sagai huyi hai Ritu se........
Kashish: aap se ek sawaal puchu.......
Sujal: puchiye.........sawaal hum ajnabee se hi puchte hai........
Kashish: jab aap muje pyaar ke bare me keh rahe the tab maine aap ki aankhoin me ek dard sa dekha.......kya aap bhi Ritu se pyaar nahi karte......
Sujal; bahot hi kam waqt me aap insaan ki aankhein padh leti hai..........ab aap hi padh lijiye ki sachchai kya hai........
Kashish: iska to yahi matlab hai ki aap Ritu se koi pyaar nahi karte ........to phir yeh shaadi kyun...........
Sujal: Ritu hamare company ki Business Partner hai.......Papa ka sapna hai ki ek din hamari Company India ki number one company ho.........aur iske liye hume kisi badi merging Company ki zaroorat thi.......jab hamari zindagi me Ritu aayi........Ritu apne Maa-baap ki ek lauti beti hai........uske maa-baap ki accident me maut ke bad woh apni company ki ek lauti waris hai...........agar meri aur Ritu ki shaadi ho gayi to hamari comapny number one ho jayegi...........
Kashish: to aap sirf shaadi aapke papa ka sapna pura karne ke liye kar rahe hai.......
Sujal: Papa ne shaadi jaise pyaar ke bandhan ko paise se tolna shuru kar diya hai.........
Kashish: kya aapko lagta hai ki aap kabhi bhi Ritu se pyaar kar payenge......
Sujal; pyaar use kiya jata hai jiske pass Dil ho...........jiske dil me pyaar basta ho........lekin Ritu ke dil me to sirf paise aur apne husn ka ghamad basta hai.............
Kashish: aap abhi thodi diar pehle mujse keh rahe the ki main apni shaadi karke bahot badi bhool kar rahi hoon..........lekin aap kya kar rahe hai........aap to apne pyaar ko saude ke tarazoo me tol rahe hai..........
Sujal: aap jante hai aap aur hum dono ek hi kashti me hai...........jo dub rahi hai bich samunder........hum bahar nikalne ki bahot koshish karte hai lekin un koshiso me bhi hum apne joothe ristey tod ke apne aap ko nahi bacha sakte............
Kashish: aap sahi keh rahe hai.......lekin is pal pal ghut ghut ke zindagi jine se to achcha hai ki usi samudar ki gehrai me kahi apne aap ko dafna de..........
Sujal; agar woh itna aasan hota to sabhi log aisa hi karte...........hum to chale jayenge lekin hume apne un logo ke bare me bhi to sochna hoga jo humse pyaar karte hai.............
Kashish: lagta hai isi ko zindagi kehte hai............ek aisa safar jisme aapke raste itna sab kuch dekhne ko milta hai ki aap apni aankhein bhi mud nahi sakte......
Sujal: aur usi safar me piche dekhe bina aage chalte rehna zindagi ka kaam hai........jo aaj hai woh kal nahi aur jo kal hoga woh kya pata parso ho ya na ho.............is liye main to kehta hoon ki yeh zindagi khushiyon ko manane ke liye bahot choti hai............
Kashish; aur is choti si zindagi me aap jitni khushiyaan simat sake utna aapke liye achcha hai..........
Sujal: agar hum zindagi ki baatein leke beth gaye to hum apni puri zindagi isi coffee Shop me nikal sakte hai...............waise jab maine aapko dekha to aap kuch likh rahi thi..............
Kashish: jee woh main ek book likh rahi hoon..........
Sujal; book ..........interstring........
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
324