Two girls were standing in a bus-stop & waiting for the bus at 9.30 a.m. Yeh time office hour hai, so the place was crowded with
many people.
Girl 1- Disgusting aaj Collg ka first day hai,aur aaj hi hum late ho jayehge.Oh god,Naina yeh sab teri galti hai.
Naina- Tu mujhe kyun blame kar rahi hai,maine kya kiya Neelu??
Neelu- Maine tujhe pehle kaha tha,yeh bus aksar late karti hai,iske pehle ka bus pakad lete hai,but tune nahin mana.Tujhe pata
hai pehle din agar kisi jagah late ho jate hai,to har din late ho jata hai.
Naina- main kaha har din collg janewali hu?
Neelu- kya??........arre here comes our bus..chal jung ki maidan main khudte hai.Jai Maa
The bus came full of people.They climbed the bus & both were trying to find a comfortable position to stand in.
Neelu- Ek baat kahu Naina, bus main travel karke hi hume pata chalta hai India kitna over-populated ho gaya hai.
Naina- Sshhh,eiii sun yeh dono shayad next stopage par utar jayenge,hum dono yaha par bethange.ok
Conductor- ticket,ticket
Naina- 2 tickets, St.Joseph's Collg.
Next stopage main Naina & Neelu ko bethne ki jagah mil jati hai,both sat comfortably.
Neelu- Thank god,Finally bethne ki jagah mili,varna collg tak jate jate meri engry ki, meri new cloths ki aisi ki taisi jo jati,Dekh
Naina yeh Jeans & Top main specially aaj first day collg ke liye pehni hu,aur Dekh kal beauty-parlour ja kar Facial &
hair-cutting bhi kar ke aayi hu,after all collg ki first day hai aaj.
Naina- hmmm,itna preparations,good,dekte hain kitne ladke aaj tuj par lattu hote hai,yaa teri hi band bajti hai.
Neelu- meri band??kyun kyun meri band kyun bajegi??shaadi thori na hai meri.he he
Naina- Ragging naam suna hai,ya first time sun rahi hai? bol ragging kya chiz hai khate hai ya peete hai??
Neelu- arre chor na, jo hoga dekha jayega,main bilkul ready hu. Aaj se hum bilkul azad panchi hai.By the way tu itni ghum-shum
kyun hai??
Naina- Dekh tujhe to pata hai main doctor ban na chati hu,pata nahin is baar kaise mujhe rank kaise nahin mila Joint Entrance
main? maine kitni baar ghar main kaha ek baar aur chance de do,but koi nahin mana,kaha agar next year bhi nahin hua
to?Collg main padai ke sath sath joint ki bhi preparations lo,accha tu bol main kya Iswarchandra Vidyasagar hu.main keh
rahi hu main sirf Joint ki preparations par dyan dungi.samajte hi nahin koi.
Neelu- arre yaar,main bhi bachpan main bolti thi,main doctor banungi,engenieer bonungi,but kuch hua,mujhe History main Hons.
mil gayi ha,ab main ispar hi totally dyan dunga.Tu ne to English main Hons liya hai,Good.
Naina- arre chor to, sirf naam ke waaste liya hai.
Neelu- ok,but yeh bus jaldi chal kyun nahin rahi hai?ufff, yeh Kolkata ki traffic.eiiii,sun tujhe ek chiz dikani hai
Naina- kya??
Neelu- papa ne ek naya mobile set diya hai,Nokia N series, cool na?dekh FM,Camera sab hai.
Naina- woww,teri to chandi hi chandi hai,meri to sirf pocket- money hi thora increase hua hai,baki kuch nahin badla,dekh
collg main first day ja rahi hu wohi purani salwar- kamiz pehenke.Jeans pehenna bhi allow nahin hai.uff,meri family kab
modern hogi,dekna main jab doctor ban jaungi to main apna sab saukh pura karungi,jo main ab nahin kar pa rahi hu.
Neelu- sab karna baba,but ab chal utarna hai, oh god late.
Both came down from the bus.
Neelu- chal apna umbrella nikal thora paidal jana hoga.ufff,yeh garmi,chal chal jaldi chal.
Naina,Naina Das,age 19 years old,born & brought up in Kolkata.Ambition Doctor banna, woh ek lower-middle class conservative
family main belong karta hai.Very charming, & fun loving girl.Uska best friend hai Neelu,uski neighbour hai woh.
Neelu,Neelima Roy,age 19 years, born & brought up in kalkata.koi particular ambition nahin hai.woh ek middle class family se belong karti hai,but uski family conservative nahin hai.Very charming & fun-loving.
233