Part-21
Aaj Kashish ko gaye huye ek hafte se jyada ho gaya hai........sab be Ayan ki khushi ke liye phir se jina shuru kar diya hai..........lekin Ayan hai jo abhi bhi apni Mama ka intzaar kar raha hai..........ab Sujal ki zindagi me kuch reh gaya hai to Ayan aur uski Khushi.............Sham ko Sujal office se jaldi gahr aata hai jaha pe Ayan Prerna ke saath behas kar raha hota hai........
Sujal: Ayan.......Dadi ko kyun tang kar rahe ho........
Ayan: dadi ko kuch nahi aata.....aap Mama ko kyun nahi bulate..............
Sujal: mama kya hua.......kis baat ko leke yeh behas kar raha hai.......
Prerna: kuch nahi Sujal.........school se aaya tab se keh raha hai ki bhukh lagi hai aur jab maine sandwiches banake diya to kehta hai ki Kashish ki tarah nahi...........ab main kya ise samjau........
Sujal: ap rehne dijiye main ise samjata hoon.........
Prerna: ab tumhe hi ise sambhalna hoga...........
Sujal: Ayan.........tumhe yeh sandwich nahi khani na koi baat nahi.....main aaj tumhe bahar le jata hoon.....chaloge.........batao kaha jana pasand karoge........
Ayan: Mama muje Park me le jati thi waha muje bhi jana hai........
Sujal: thik hai chalo......
Sujal Ayan ko apni god me uthake car me bithata hai aur woh log park pahunch jate hai..........Ayan zule pe betha tha aur Sujal use zula raha hota hai........
Ayan: papa.......
Sujal: hmmmmmmmm........
Ayan: kal hamare school me Singing Compitition hai........aap aayengena........
Sujal: haa.........zaroor aaunga..........kaun kaun aa raha hai........
Ayan: sab aa rahe hai..........main....Armaan........Aaska.....Aashi......sab to participate kar rahe hai.........lekin Mama to nahi hai........
Sujal; Mama jaha kahi bhi hai woh apne Ayan ke saath hai........waise tumhari taiyari ho gayi....
Ayan: haa ho gayi......lekin muje darr lagta hai kahi main haar gaya to.........
Sujal: darr kis baat ka.......aur khel hai......kabhi haar to kabhi jeet hogi.......ek haar se hum ruk to nahi sakte......aur muje pura yakeen hai ki tum first aaonge.......
Ayan: Papa........mama kab tak aa jayegi.........woh to kabhi itne dino tak bahar nahi jati.........kal mere liye sabse zaroori hai mama ka waha hona aur woh hai ki..........
Sujal; woh bahot hi jaldi wapas aa jayengi.....
Ayan: kya aap kal mama ko leke aayenge......
Sujal: koshish karunga.....ab chale waha pe jake ice-cream khate hai.............
Ayan: Ice-cream.........main do khunga.....
Sujal: jitni chahe utni khalo...thik hai.......chalo......
Sujal Ayan ko ice-cream khilata hai..........
********************************************************************************************
Agli Subaah sab log Ayan ke school pahonch jate hai........sabhi bacho ne apna performnce de diya hota hai ab aakhir me sirf Ayan bachta hai.........Ayan Stage pe aata hai...........
Teacher; Ayan......tum bade hoke kya banna pasand karoge........
Ayan: waise to main bada hoke Pilot banna chahta hoon........lekin phir Mama kehti hai ki Papa bahot hi akele hai business ko sambhalne ke liye....woh bahot akele hai aur main unki madad karna chahta hoon.....is liye main Mama ke liye bada hoke apne Papa ki tarah businessman banna chahta hoon.......agar main aisa karunga to meri Mama wapas aa jayegi.......woh abhi mujse naraz hai kyunki main bahot sararate karta tha lekin ab main bilkul badal gaya hoon........
Teacher: bahot hi achcha khayal hai Ayan........ab batao aaj ka gana kiske liye ga rahe ho....
Ayan: sirf aur sirf meri Mama ke liye........
Ayan gaana shuru karta hai lekin sab ki aankhein bhar aati hai........
********************************************************************************************
main kabhi batlaata nahi, par andhere se darta hoon main maa
yun to main dikhlaata nahi, teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hai pata, hai na maa
tujhe sab hai pata... meri maa
bheed mein yuun na chhodo mujhe, ghar laut ke bhi aana paau maa
bhejna itna door mujhko tu, yaad bhi tujhko aana paau maa
kya itna bura hoon main maa
kya itna bura... meri maa
jab bhi kabhi papa mujhe, zor zor jhula jhulate hai maa
meri nazar dhoondhe tujhe, sochun yahi tu aake thaamegi maa
unase main yeh kehta nahi, par main seham jaata hoon main maa
chehre mein aane deta nahi, dil hi dil mein ghabraata hoon main
tujhe sab hai pata hai na maa
tujhe sab hai pata... meri maa
main kabhi batlaata nahi, par andhere se darta hoon main maa
yuun to main dikhlaata nahi, teri parwaah karta hoon main maa
tujhe sab hai pata, hai na maa
tujhe sab hai pata... meri maa
********************************************************************************************
gaana pura hote hi Sujal stage pe aake Ayan ko gale se laga deta hai..........
Ayan: Papa maine achcha gaya na.....
Sujal: tumse achcha kisi ne nahi gaya,..........i am so proud of u beta........
Teacher announced ayan as a winner of the compition,,,,,,,
Teacher: Ayan yeh rahi tumhari trofi.....congrets........
Ayan: Thank you......Mama agar aap muje sun rahi hai to yeh aapke liye......I Love You Mama.........ple come back.......I am missing u mama........
********************************************************************************************
Ek chote se ghar me ek aurat bistar pe soyi huyi thi......woh aankh kholke chikhti hai........
Kashish: Ayannnnnnnnnn............
Aurat: kya hua .....beti kaun ho tum.......
Kashish: Kashish......hum yaha pe kitne waqt se hai........
Aurat: ek hafte se jyada........
Kashish: kya.....ek hafta ho gaya........
Aurat: ab tumhe kaise mehsoos ho raha hai.........
Kashish: yeh sab baatein batane ka waqt nahi hume jana hoga........hamare ghar pe hamare pati aur hamara beta hamara intzaar kar raha hoga...hume abhi niklna hoga..........
Kashish chalne ki koshish karti hai lekin ek hafte ke behoshi ke laran uske pair me bahot dard ho raha hota hai..........
Aurat: dard ho raha hai na.....dheere dheere thik ho jayega......
Kashish: aap samaj nahi rahi ....hamara jana bahot zaroori hai.......Ayan hamare bina ........woh abhi saat saal ka bacha hai.......aur Sujal......woh to tut gaye honge.........
Aurat: thik hai.......kal subaah chali jana...abhi to waise bhi tumhe bus bhi nahi miegi......tab tak tum aaram karo main khana leke aati hoon..........
Kashish wapas beth jati hai lekin aankhoin se aanshu behne lagte hai..............
********************************************************************************************
Ab agle din subaah subaah hi Garewal House logo se bhar chuka hai.......kyun na ho aaj Ayan ka janamdin jo tha........Ayan abhi bhi apne Kamre me so raha tha jab Sujal use jaga ke neeche lata hai.........
All: Surprize..........happy birthday Ayan..........
Ayan khushi se pagal ho raha hota hai........Ayan sabhi se gift leta hai phir Sujal ke pass wapas aata hai.........
Sujal: to batao Ayan..........aaj tumhe tohfe me kya chahiye.......
Ayan: promise kijiye jo main kahunga woh aap lake denge........
Sujal: promise.......
Ayan: muje Mama chahiye........kya de sakte hai aap........
Sujal: jab promise kiya hai to muje lana to hoga........
Ayan: sach iska matlab aaj mama aa rahi hai........main abhi sab ko batake aata hoon..........
Ayan Khushi se sabhi ko batane chala jata hai...........
Maya: Sujal......yeh kaisa vaada hai.......ab kaha se Kashish ko laoge........
Prerna: aise joothe vaade nahi karte kisi se..........
Sujal: kya karta main........aap logo ne dekha nahi kitna khush tha woh.........aur main kaise uske chehre se yeh khushi aaj ke din chin sakta hoon.........ab tak sambhala hai to shaam ko woh kuch kahega to koi bahana dhundh lunga........
Maya: kab tak bahane dhundhenge hum.........ek din to use pata chalega hi........
Sujal: woh ek din ke liye main abhi se uski khushi nahi chin sakta..........main chalta hoon shaam ki party ki taiyariyaan karni hai.............
Prerna: pata nahi aaj ki party me kaun se naye rang dekhne ko milenge..........
324