Kaisa Ye Pyar Hai
recap:Sujal n kashish o to annanya's house the stay for lunch.kashish tell annanya that she loves sujal.kash makes gajar ka halwa for sujal.kashish sees someflowers and wants them she tries to jump but she twists her ankle.sujal carries her in his arms.Anjali was about to propose sujal but veena calls him as they were getting late.
*******************************************************
It has been 2 days since all returned from Delhi.
In sujal's house , cg had already gone to office. all are doing their breakfast, when kashish comes.
veena: are kashish aao beta
kashish: mein yahan papa ko ek file dene aayi thi , maine socha papa yaha honge, par lagta hai papa aur uncle office ke liye nikal chuke hai.
veena: accha, to tum sirf file dene aayi ho, humse milne nahi , kashish to hume bhul hi gayi.
kashish: nahi aunty aisi baat nahi hai,
veena: agar aisi baat nahi hai to do dino se humse milne kyun nahi aayi.
kashish: aunty mein rahul ki homework mein help kar rahi thi , 1 week school nahi gaya tha na.
veena: ok beta ab aayi ho to humare saath nashta karlo.
kashish first refuses but then she agrees n says: agar meri pyari aunty inta keh rahi hai to mein nashta kar leti hoon .
both smile, sujal who is sitting there n observing all this gives a cute smile.
sujal: zara woh file mujhe dikhao.
kashish gives the file to sujal
sujal file dekhta hai n says : waise yeh file itni important nahi hai, u don't worry.( actually kashish sujal ko dekhne ke bahane dhoond rahi thi , aaj collage ki bhi chutti thi to woh file ke bahane sujal ko dekhne aa gayi.)
khushi : waise bhaiya aap kab se office jane lage.
sujal: kya matlab??
khushi: mera matlab yeh hai ki aap to office nahi jaate hai, toh aap ko kaise pata ki yeh file imp. hai ya nahi.
sujal: tujhe kya lagta hai mujhe business karna nahi aata. papa ne to mujse yaha aate hi office join karne ko kaha tha, par pehle main apni padhaii puri karna chahata hoon, aur papa mujhe apne har project ke baare mein batate hai . mujhe SG enterprise ke baare mein A to Z pata hai.
khushi( raising her eyebrows): wow bhaiya impressed.
veena : accha ab baatein band karo aur naashta karo.
sujal: bas mumma ho gaya.
veena: kya ho gaya, tune khaya hi kitna hai, chalo chup chap poora nashta finish karo.
sujal: nahi mumma please.
veena: chal mein tujhe apni haato se khilati hoon.
sujal baith jata hai aur veena use khilati hai. veena dekhti hai ke kashish is not eating anything, then she realizes ke aaj veena ne nashte mein aalo ke parathe banaye hai jo ki kashish ko pasand nahi hai.
veena (to kashish): sorry beta main to bhool gayi tumhe aloo ke parathe pasand nahi hai, tum ruko main abhi tumhare liye gobi ke parathe banakar laati hoon.
kashish: nahi aunty it's ok mujhe abhi (looking at sujal, as aalo ke parathe is sujal's fav. ) aalo ke parathe bahut pasand hai...... mera matlab acche lagte hai.
sujal looks at kashish.
veena: kya ?? par jaha tak mujha pata hai tumhe to aalo ke parathe bilkul pasand nahi the.
kashish: aunty maine aaj kal kuch kuch cheezo par apna opinion badla hai.
veena: kuch kuch cheezein??
kashish: jaise aalo ke parathe...(kashish & veena smiles)
kashish: aunty dadi kaha hai?
veena: maa apne kamre mein aram kar rahi hai.
After having breakfast khushi goes to kashish n says : didi aap ne rahul ko homework mein help ki hai na, to please meri bhi help kijiye na.
kashish: ok.
khushi: to mere kamre mein chale.
kashish: haan chalo.
sujal was in his room, he was writing something in his diary , after finishing his writing, he takes out kashish's photograph and started talking with it, when kashish comes
kashish: are sujal tum yeh kisse se baat kar rahe ho( actually sujal kashish ki photograph apne diary mein rakhkar usse baat kar raha tha, isliye kashish photograph nahi dekh payi.)
sujal(shocked, he closes hi diary): tum .....tum yaha kya kar rahi ho.
kashish: mein to sirf yeh dekne aayi thi ki tum kya kar rahe ho.
sujal: to door knock karke nahi aa sakti thi. kuch kaam tha kya mujhse.
kashish: nahi, main to aise hi..(kashish dekhti hai ki sujal apne peeche kuch chupa raha hai.)
kashish: yeh tum apne peeche kya chupa rahe ho.
sujal: main..main kya chupa raha hoon, kuch bhi to nahi, ab tum jao yaha se, mujhe bahut kaam hai.
kashish: ok ( kashish turns to go, sujal also turns n says to himself" thank god " when kashish slowly came near sujal n snatched his diary and started running n sujal too followed her.)
sujal: kashish meri diary mujhe wapis karo.
kashish: nahi nahi, main bhi to dekoo isme kya hai.
sujal was running after kashish when sujal catches her n sujal bed par gir jaata hai aur kashish sujal ke upar. now both are looking into each other's eyes n are completely lost in eachother, when someone knocks on the door. kashish gets up n lightly blushes.
sujal opens the door only to find karan n nandini there.
karan n nandini: hi sujal , hi kashish.
sujal n kashish: hi.
karan: kya baat hai sujal, delhi se laute hue kitne din ho gaye mujhse mile nahi, phone bhi nahi kiya.
sujal: nahi yaar kuch kaam tha, papa mujhe office ke kaam samjha rahe the . aur waise intne din kaha , do hi to din hue hain. aur apni suna.
karan: sunane hi to aaya hoon.. ( karan realize karta hai ki sujal aur kashish ek saath.) aur tum dono ek saath ......kya baat hai.
sujal: tu bhi na karan aisi koi baat nahi hai.
nandini: accha theek hai baba, tum bhi na karan kaha tum do jani dushmano ko milane ne mein pade ho.
karan: haan yaar mein to bhool hi gaya tha. aur aaj kal hume tumhare siva kuch yaad hi kaha rahata hai.
sujal n kashish(shocked): kya.
nandini: yahi to hum dono tum dono ko batane aaye the, accha hua ke tum dono ek saath milgaye. hum tumhe yeh batana chahate the ke hum dono ne ek doosare se shaadi karne ka faisala kar liya hai. aur(shamate hue)...............aur.... mumma papa, next week aa raha hai humari sagai ki date fix karwane.
kashish: kya nandini, itna sab kuch ho gaya aur tu hume ab bata rahi hai.
nandini: accha chal mujhe tujhse dher sari baatein karni hai.
kashish: theek hai chal.
kashish & nandini garden mein jaakar batein karte hai. nandini kashish ko batati hai kaise karan ne use propose kiya, kaise dono mein pyaar hua.
nandini: wakai mein pyaar ek bahut hi khoobsurat sa ehsas hai. aur jo pyaar karta hai wahi jaan sakta hai pyaar kya cheez hai.
kashish: arre wah nandini tu to bahut badi badi batein karne lagi hai pyaar ke baare mein.
Nandini smiles.
nandini: are main to tujhe ek baat batana hi bhool gayi.
kashish: kaunsi baat?
nandini: humare class ki girls ne ek plan banaya hai.
kashish: woh kya?/
nandini: yeh humara final year hai collage mein to hum sab girls ne ek week ke liye excursion par jane ka plan kiya hai, aur woh bhi palanpur.
kashish : kya ek week ke liye, palanpur, suna hai, bahut hi romantic place hai.
nandini: haan yaar isliye main itni exited hoon.(kashish sochti hai intne din main sujal se door kaise rahoongi.)
nandini: are kis soch mein pad gayi?
kashish: woh....main soch rahi thi,. kya mumma mujhe allow karengi.
nandini: tu uski fikar mat kar, main aunty se baat kroongi.
kashish: ok.
cut to sujal n karan.
karan bhi sujal ko batata hai ki usne nandini ko kaise propose kiya.
sujal: karan mujhe vishwas hi nahi ho raha hai ki tu wahi karan hai jo kaha karta tha ...." pyaar vyaar mere bas ki baat nahi hai, aur main shaadi hi nahi karna chahata, kyunki jisne bhi shaadi kiya hai woh abhi pachta raha hai." aur ab ..........(sujal n karan laughs)
karan: sach yaar nandini ne to mujh par pyaar ka jaadu kar diya hai.
sujal smiles.
karan: par main ab usse naraz hoon.
sujal: kyun??
karan: main usse ek pal bhi door nahi hona chahata aur woh ek week ke liye apne dosto ke saath excurtion par ja rahi hai. maine usse kitna samjhaya phir bhi nahi maan rahi hai.
sujal: tu bhi na karan ek hi week ke liye to ja rahi hain.
karan: sujal tu uska side le raha hai. jab tere saath aisa hoga to tujhe samajh me aayaga........soch mere aur nandini ke jagah tu aur kashish hote to(sujal looks at karan)
sujal: karan....
karan:arre sirf sochne ko keh raha hoon. soch kashish tujhe chodkar ek week ke liye shimla se bahar ja rahi ho to.....to tu uske bina reh payega.
sujal was lost in his own thoughts, when kashish n nandini comes.
nandini: are kya baat ho rahi hai dono main.
karan : tum se matlab(doosri or ghoom jata hai)
nandini: karan naraz ho mujhse, baat nahi karoge, kya karan baccho ki tarah sirf ek week ki hi to baat hai, phir meri zindagi ka har pal sirf tumhara,.
karan : sach
nandini: much.
kashish, sujal se batana chahati thi ki woh bhi excursion par ja rahi hai par keh nahi pati hai, " agar sujal ne mujhe poochliya ki main usse kyun bata rahi hoon toh .. toh main usse kya jawab doongi" is soch ne usse na batane par majboor kar diya.
nandini: chal kashish vassu aunty se permission lena hai na.
kashish n nandini leave . sujal sochta hai ki "kashish ne mujhe nahi bataya ki woh bhi ja rahi hai. shayad usne zaroori nahi samjha hoga, par ..par zaroori kyun nahi samjha, main usse kitna pyaar karta hoon, "
sujal aur karan bhi kashish ke ghar jaate hai. vassu, kashish ko allow kar deti hai.
nandini: to kashish tu kal subah 8 baje tak ready rehna, main tujhe pick karne aa jaoongi.
kashish: ok.
raat ko vassu , kashish ko packing mein madat karti hai ,
vassu: kashish apna khayal rakhna, theek time par khana peena.
kashish: mumma, mein pehli baar thodi shimla ke bahar ja rahi hoon.
vassu: phir bhi, i'll miss u my beta.
kashish: i'll also miss u mumma.... to theek hai ek kaam karte hain main nahi jaati hoon palanpur.
vassu: iski koi zaroorat nahi hai, tu ja aur enjoy kar apne dosto ke saat.
kashish smiles
vassu: tu so ja bahut der ho gayi hai, kal subah jaldi uthna hai na.
kashish: mumma main abhi sujal ke ghar ja sakti hoon.
vassu: abhi is waqt, time dekh rahi hai, 10 baj rahe hai.
kashish: mumma sirf 5 min., mujhe daadi se milke ana hai. please mumma please please(folding her hands).
vassu:ok.par bas 5 min.
kashish: ok thank u mumma, i'll be back soon.
kashish daadi se milne jaati hai unse baatein karti hai, phir jab kashish daadi ke kamre se nikalti hai, kashish sujal ke kamre se guzarti hai, woh dekhti hai, sujal so raha hai, she stood there as she saw her Dream sleeping like an innocent kid. she goes near sujal, woh apna haath sujal ke sir par pherna chahati thi par ruk jaati hai. aur woh chali jaati hai.
It was 7:00, sujal uthta hai aur jaldi jaldi tayyar ho jata hai, take woh kashish ko send-off kar sake.
veena: sujal , itni jaldi tayyar ho gaye kahi ja rahe ho kya.
sujal: nahi mumma kahai nahi, main to bas aise hi.
sujal soch raha tha ki woh kashish ke ghar kis bahane jaye. time 7:30 ho raha tha.
veena: beta main kashish ke ghar ho aati hoon, kashish ja rahi hai na, tum chaloge mere saath.
sujal gets happy but does't show it: ok mumma.
sujal aur veena kashish ke ghar jate hai to pata chala kashish nikal chuki hai.
veena: par usne to kaha tha ki woh 8 baje jaane wali hai.
vassu: haan lekin, woh unhe jaldi pahuchna tha isliye woh log chale gaye.
sujal ko bahut bura lagta hai ki kashish usse bina bataye chali gayi"usse ek baar to mujhe batana chahiye tha", sujal wha se chala jata hai.
kashish was in her way to palanpur, woh har pal sirf sujal ke baare mein soch rahi thi"mujhe ek baar usse bata dena chahiye tha, woh bhi to ek baar mujhse milne aa sakta tha"
cut to sujal.
sujal daadi ke paas baitha hua tha.
daadi: kya baat hai, sujal, tumhara chera utra hua kyun hai.
sujal: kuch nahi daadi
daadi: apni daadi ko bhi nahi batayega.
sujal: daadi kashish excurtion ke liye gayi hai , aur usne jaane se pehle mujhe bataya bhi nahi.
daadi: kya tune usse apni dil ki baat batayi.
sujal: nahi
daadi: to woh tujhe kaise batayegi, kya sochkar batayegi, lekin tujhe maloom nahi hai, kal raat ko woh yaha aayi thi, mujhse milne aur shayad tujhse bhi.
sujal:sach daadi.......(daadi nods).... lekin daadi, aap kaise keh sakti hai ki woh mujse bhi milne aayi thi.
daadi: kyunki , kashish se jaane ke baad main jab tujhe dekhne a rahi thi , to maine dekha ki woh tere kamre mein dekh rahi thi, par tu so raha tha.
sujal gets happy par sujal sochta hai" kya kashish bhi mujhse pyaar karti hai, agar woh ek dost ke nazariye se mujhe dekhne aayi ho to?"
2 days passed since kashish left.
Raat ho chuki thi. cg & lalith were in the garden when sujal comes.
lalith: cg ab yeh file kaun le jayega., yeh bahut imp. file hai yaha par bahut kaam hai, nahi to main ya tum ja sakte the.
cg : lalith main soch raha tha, sujal ke haatho main yeh file bhej doon, aur waise bhi usme sujal ke signatures zaroorat padenge.
sujal:mujhe kaha jaana hoga papa.
cg: sujal, humne palanpur mein ek zameen khareedi hai , ussi silsiley mein tumhe palanpur jaana hoga, kyunki deal finalize karne mein tumhari sing. ki zaroorat padegi.
sujal: ok papa, kab jaana hoga.
cg: kal subah.
sujal: papa main apne saath karan ko bhi le jaao
cg: as u wish beta.
sujal: ok papa goodnight.
sujal apne kamre mein jaata hai aur karan ko phone karta hai.
karan: hello.
sujal: hey karan , kya kar raha hai
karan: sujal , main thodi bhoot hoon jo raat ko idhar udar bhatkoonga, so raha tha yaar, kitna accha sapna dekh raha tha, tune jaga diya. bol kya baat hai.
sujal: yaar karan kal mujhe kuch kaam ke silsiley mein palanpur jana hai, kya tu mere saath chalega.
karan(shocked): kya palanpur
sujal: haan kyun kya baat hai, tu chonk kyun gaya.
karan: sujal , nandini aur kashish palanpur hi to gaye hai.
sujal:(shocked & gets happy))kya
karan: haan yaar , main tere saath chaloonga, kine baje jaana hai.
sujal:kal subah 8 baje, main tujhe lene aaonga.
karan: ok done, c u tomorrow .
sujal bahut kush ho jaata hai, sujal kashish ke khayalo mein itna kho gaya tha ki usne jaan na bhi zaroori nahi samjha ki akhir kashish gayi kaha hai. sujal apni packing kar leta hai aur so jata hai.
agle din sujal tayyar hokar karan ko pick karne jaata hai. sujal aur karan palanpur ke liye nikalte hai.
sujal: yaar maine suna hai palanpur bahut hi romantic place hai.
karan: haan yaar maine bhi suna hai.
sujal: tu to aise kush ho raha hai jaise tu abhi nandini se milne ja raha ho.
karan: haan main usse miloonga.
sujal: tujhe pata hai woh log kaha thehere hai.
karan: nandini ne kaha tha ki uske friend ke farmhouse mein rahenge.
sujal: kya tujhe address pata hai.
karan: nahi....sujal tu mujhse inte sawal kyun pooch raha hai, itna utawala kyun lag raha hai, tujhe bhi kisi se milna hai kya.
sujal: kya bol raha hai, main to sirf tere liye., main tera dost jo hoon.
karan: haan, mujhe address nahi pata hai yaar.
sujal ko bahut dukh hota hai ki woh kashish se nahi mil payega. thodi hi der mein woh palanpur pahuchte hai, sujal jakar deal finalize kar leta hai.
sujal n karan r in the car.
sujal: karan yaha ka mausam kitna accha lag raha hai na.
karan: haan yaar, chal sujal kisi acche restaurant mein khana khata hai., mujhe bahut bhook lagi hai.
sujal: accha chal.
woh restaurant jate hai, lunch karne ke baad.
karan: chal karan, hume jaldi ghar pahuchna hoga, lagta hai barish hone wali hai
sujal aur karan ja rahe the gadi main , acanak gaadi kharaab ho jati hai. . sujal gadi check karne ke liye utarta hai aur barish shuru ho jati hai .sujal apne hath phaila kar barish mein bheegne lagta hai, aur woh sare lamhe yaad karta hai jo usne kashish ke saath barish mein guzare the.
karan bhi gaadi se utarta hai, gaadi theek karne ki koshish karta hai, par kar nahi pata hai.
karan: sujal, kya kar raha hai yaar .
sujal: dekh yaar karan kitna maza aa raha hai.
doosri taraf ek ladki barish mein bheeg rahi thi, aur uski dost use bula rahi thi.
girl(apni dost se): dekh kitna maza aa raha hai.
sujal aur woh ladki, ek doosre ke opposite face kiye hue the aur peeche ki aur badhe jaa rahe the , aur ek doosre se takra jaate hai.
sujal(ladki ki taraf turn karte hue): oh i am sorry.
girl(sujal ki taraf dekhte hue):i am sorry.
sujal shocked
girl shocked.
************************************************************ ****************************************************
It was long part.I hope u guys didn't get bored.
Do comment