Part- 1
Yeh kahani hai ek aisi ladki ki jise sapne sach lagte hai is liye woh sapno me hi jina chahti hai....... Kehti hai jo sapne dekhte woh pure bhi to hote hai........ Woh ek
mumbai ke paas ek chote se saher Madhupur ki rehnewali thi jo baki ki ladkiiyon se kahi alag............ Kashish.......... Naam Kashish aisa hi lagta hai ki uske liye hi bana ho........... Kashish ka matlab hota hai aakarshan ek khubsurat chehre ka..............Woh itni sundar thi ki agar aap ek bar uski aankhon me dekho to aapko doosara kuch dekhne ko mann nahin karta........... Jaisi hi woh sundar thi aisi hi woh padhai me aage sabse aage.......... Chaliye uski kahani suru hone se pehle hum aapko uske bare main kuch aur batate hai............ Kashish apne pure ghar ki mushkan hai aur jab woh udas hoti to pura ghar udas ho jata aur papa ki sabse ladli beti jo thehri............. Woh bhagwan pe apne se jyada vishvas karti hai.......woh hamesha se manti thi Bhagwan hamesha aapke saath rehte hai............. Woh her din apne dadi ke saath mandir main jati hai aur hamesha apni dadi se ladti rehti hai kyonki Kashish ko bhagwan Krishnaji pe jyada bharosa tha. ................Jante hai kyun kyunki Kashish ko Krishnaji is liye pasand the kyonki Krishnaji pyar main vishvas karte the bilkul uski tarha................. Woh sirf Chudidaar dress pehnti hai kyonki use lagta hai duniya ke baki sare kapde ek taraf aur hindustani ek taraf kyonki yeh kapde aapki khubhsurti ko aur badhati hai.................Jab woh bazaar se nikalti hai tab uski payal ki chan chan aur choodi ki khanak se sara mahol gunj uadhata hai.............Kashish ke aane se pehle hi uske aane ki aahat sunai deti hai........... Woh hamesha naak me nathni pehnti hai Radhaji ki tarah...........kashish ki her ek ada sabse juda hi hai.............Use apni dost Mehek ke saath jeel ke kinare jana pasand hai jahan woh apne dil ki sari baatain Mahek se keh sakti............. Mehek uski ek hi saheli hai bachpan ki................ Use kavita padhana, barish me bhigna aur uske favorite red roses achche lagte.............. Woh bahot hi kubsurat painting bhi banana janti hai aur gana bhi kafi achcha ga hi leti hai....... . Aakhir main main sirf itna hi keh sakti hoon ki woh aisi thi jo her ladka use apne jeevan main apna humsafar banana chahega.Kashish ke pitaji ek bahot kabil doctor the aur is liye woh doctor ki beti se pure saher me jani jati hai............ Woh apne papa, mamma,dadi, aur badi behan Anjali ke saath rehti hai.............. Woh apne hi saher me school tak ki padhai ki aur school ke bad uske papa chahte the ki woh high school ke liye paas wale saher me jaye........... Aur yeh pehli bar woh apne aap akeli
koi bada kadam udhane ja rahi thi bina apne parivaar ke. ........Woh apne papa se apni dil ki baat bhi nahin ke saki ki use art school jana hai.............. Usne dekha ki uske papa bahot khush the kyonki yeh pehla kadam tha Kashish ko doctor banane ka.............Woh apne aap se bahot naraz thi kyonki usne apne papa se jooth bola ki woh apni zindagi main bahot khush hai................. Woh apne bare me kabhi shochti hi nahin................ woh to sirf doosaro ko khush dekhna chahati hai. .........Kashish khush thi ki Mehek uske saath school ja rahi hai. ...............Thode waqt ke baad use laga ki sayad papa sahi the muje doctor banane me. ...........Woh apni zindagi main jo hota hai woh swikar leti hai bhagwan ki marji samjke.............lekin Baki ki sari ladkiyon ki tarhan who bhi apne rajkumar ka intzaar karti hai ke ek din woh aayega aur use apne saath safed ghode pe bitha ke lejayega aur use duniya ki sari khusiyaan dega........Aaj Kashish apni High school khatam karke hamesha ke liye wapas apne ghar aati hai............Woh bahot hi khush dhikhai de rahi thi kyunki college jane se pehle use kuch waqt apne parivar ke saath bitane ko mil raha hai..........
Krishnkant: aa gayi hamari beti............kaisi rahi tumhari padhai..............
Kashish: First class papa........Kabhi yeh ho sakta hai ki main koi kam karoo aur usme me pehla numbar na aau............ab to muje india ke best college me admission milega...........
Nandini: yeh sab baatein to hoti hi rahegi.........pehle chal tu kuch khale.........kab se bhukhi hogi........chal maine teri pasand ki kheer banayi hai.....
Kashish: haa maa........tumhare haath ki Kheer khaye kitna waqt ho gaya.............
Kashish aur Nandini dining table ki aur jate hai..........
Kashish: mama.........Anjalidii aur Dadi kahi dikhai nahi dete........
Nandini: Dadi kuch kaam se bahar gayi hai aur Anjali uske kamre me kuch kaam kar rahi hai.........
Kashish: kamal hai mujse milne tak nahi aayi..........Main abhi usse baat karke aati hoon........
Nandini: pehle khana to kha ke jaa.........phir thanda ho jayega..........aur main janti hoon ki ek baar tum dono baatein karne bethogi to subah ho jayegi.......
Kashish apna khana pura karke Anjali ke kamre me jati hai...........jab woh dekhti hai ki Anjali khidki ke pass khadi hoke andheri raat me chand ko dekh rahi hai...........
Kashish: kya baat hai...........naraz ho mujse........
Anjali: are.......Kashish..........tu.........kab aayi........
Kashish: Main to aa gayi lekin shayad aap muje bhul gaye...........kya baat hai aap khush nahi hai.......
Anjali: are baba.........main to bahot khush hoon aakhir meri Kashish wapas jo aa gayi hai........
Kashish: agar yahi baat hai aap mere sir pe haath rakh ke kasam khaiye ki aap jo keh rahe hai woh sach hai..............
Anjali: Kashish abhi tum bahot hi choti ho........tum nahi samaj paogi........
Kashish: aapse choti hoon lekin nasamaj nahin hoon...........bataiye kaun hai woh jo meri pyari Anjalidii ko pareshan kar raha hai...........
Anjali; kashish jane de na.........
Kashish: dii aap ko meri kasam.........bataiye baat kya hai........
Anjali: jab tum yaha se gayi in dino meri mulaqat Kavya se huyi..........Pehle hum dost bane aur phir dheere dheere humari dosti pyaar me kab badal gayi pata hi nahin chala...........Maine aaj tak sirf aur sirf Kavya se mohabbat ki hai.......
Kashish: bas itni si baat..........aap ko to khush hona chahiye ki aapko pyaar ho gaya hai........
Anjali: Jitni yeh baat khushi ki hai utni hi mere liye dukhi ki..........Papa ne muje mere pyaar ko bhul jane ko kaha........
Kashish: Kya...........per kyun.........
Anjali: kyunki Papa ko lagta hai ki Kavya hamare khandan aur mere liye sahi nahi hai............
Kashish: Main papa se baat karungi.............
Anjali: kya papa man jayenge.......
Kashish: kabhi aisa hua hai ki maine Papa ko kuch kaha ho aur woh na mane..........lekin usse pehle tumhe muje apne honewale jiju se milana hoga.........phir main papa se baat karungi..........
Anjali: main kal hi tumhe kavya ke pass lejaungi.........
Kashish: Dii ab to aap khush hai na.......
Anjali: thanks kashish tumne to mera jee halka kar diya........
Kashish: behen ko thanks nahi kehte balke use gale lagate hai.........
Anjali hugs Kashish and they both went to sleep talking about Kavya.............
324