Journey of Love.Sujal&Kashish...last 5/26 - Page 3

Created

Last reply

Replies

173

Views

43.2k

Users

30

Likes

105

Frequent Posters

ananya7736 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 17 years ago
#21
lovely part... i am in love with this story...

its so different... i feel bad for kashish but i think her dad is gonna arrange her marriage with Sujal only or she can fall in love with him
Arshie thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#22
a nice part yaar, its great and its different, waiting to read more.. continue soon.
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#23

Part-4

Dusre din Kashish aur Mehek zeel ke kinare bethe huye the...........

Mehek: Kashish.......tumse ek baat puchu.........

Kashish: haa pucho.......

Mehek: kya baat hai........tum her waqt is tarah chup chap rehti ho.........kisi baat ki khushi nahi hoti tumhe........kal shaadi me bhi tum udhas thi.......

Kashish: woh bas shaadi ko leke.........woh ab Anjalidii nahi hai to.........

Mehek: Kashish........tum mujse kab jooth bolne lagi.....meri aankhoin me aankhein dalke kaho ki koi baat nahi........

Kashish rone lagti hai........mehek use sambhalti hai.......

Mehek: ab bata kya baat hai jo tuje itna pareshan kar rahi hai......

Kashish: Maine Dii ki khushiyaan ke liye apne sapne apne dil ke armaan sab kuch tod diye...........main ab katputli ban gayi hoon.......

Mehek: main kuch samji nahin.........saaf saaf kaho ki baat kya hai........

Kashish: jab main Anjalidii ki baat karne Papa ke pass gayi to papa ne mujse vaada manga ki muje us insaan se shaadi karni hogi jise papa pasand karenge............

Mehek: aur tumne vaada kar diya..........ek bar bhi apni khushi ke bare me nahi socha.........kyun Kashish kyun kab tak tum dusro ki khushi ke liye apne aap ko dhukhi karti rahogi.........

Kashish: to tumhi batao main kya karti...........kya main Dii ko puri zindagi is tarah dukhi dekh sakti.........kya main do pyaar karne waalo ko tadapta dekh sakti........

Mehek: iske liye tune apne sapne tod diye...........

Kashish: ek bar tumhi ne kaha tha na ki Sapne tutne ke liye hote hai............tut gaye woh sare sapne...........

Mehek: Kashish.......dusro ke bare me sochna achchi baat hai lekin khud ko taklif deke nahi..........ab kya karogi agar tumhe kisi din kisi se pyaar ho jayega.........

Kashish: aisa kabhi nahi hoga.......main kisi ko bhi apne kareeb nahi aane dungi............main aaj pyaar ke iiye yeh jo mere jasbaat hai na use hamesha ke liye is dil se nikalti hoon.........aaj se pyaar shabd mere liye koi mayne nahin rakhta........

Mehek: Kashish tum bahot badi galti kar rahi ho..........meri yeh baat yaad rakhna ki ek din koi aisa insaan teri zindagi me aayega jo tere dil me dafnaye huye is pyaar ke jasbaatoin ko zinda karega.........

Kashish: aisa kuch nahi hoga........main ghar ja rahi hoon.........andhera hone ko aaya hai........

Mehek: thik hai phir kisi din milte hai.........

Kashish: thik hai.......

Isi tarah se kuch din haste khelte rote rulate bit jate hai.........aaj jab kashish apni mails check kar rahi thi jisme ek letter aaya tha.......Yeh letter Kashish ko Mumbai ke medical college ke admission ke liye tha...........kashish daudti huyi apne papa ke pass jati hai.......

Kashish: papa aapka sapna ab sach hoga..........yeh dekhiye muje yeh letter aaya hai ki muje Mumbai Medical College me admission mil gaya hai.....

Krishnakant: yeh to bahot hi khushi baat hai..........kab join karna hai..........

Kashish: agle hafte..........

Krishnakant: to thik hai tum jane ki taiyaariyaan karo.........

Kashish: jee papa.........main abhi mehek ko is bare me batati hoon.........

Kashish daudti huyi apne kamre me chali jati hai........

Krishnakant: Pagal hai..........

Dadi: Krishnakant..........main janti hoon ki tumne soch samaj ke use jane ke liye izzat di hogi lekin ek baar phir se soch lena.........ek jawaan beti ko Mumbai jaise bade seher me akela.........

Krishnakant: Maa,,,,,,,muje apni Kashish pe pura vishwas hai ki woh kabhi bhi mera sir sharm se zukne nahi degi...........

Dadi: jaisi tumhari marzi.........

Yeh kehke dadi apni geeta padhne lagti hai..........

(in Kashish's room)

Kashish: hello.........Mehek......main kashish bol rahi hoon..........

Mehek: haa kashish......

Kashish: muje mumbai college me admission mil gaya..........aaj hi letter aaya hai.......

Mehek: Muje bhi aj yahi letter aaya ki mumbai me hume ek hafte ke baad college shuru karna hai......

Kashsih: sach.......

Mehek: haa.........kashish tum jaldi se aake muje market me chudi wale ke pass milne aana......

Kashish: thik hai main abhi nikalti hoon.......

Mehek: thik hai hum wahi pe milte hai..........

Kashish Market pahunch jati hai lekin Mehek ka koi pata hi nahi hota......

Kashish

(apne aap se): are yeh mehek kaha reh gayi.........zaroor raste me kuch lene ruk gayi hogi........abhi dekhti hoon main use.........

Kashish market me aage badhane lagti hai jab woh sadak ke bech me dher sare logo ko dekhti hai...........Kashish jaise taise bhi karke andar jati hai to dekhti hai ki Mehek ka accident hua hota hai.........Kashish daudke mehek ke pass beth jati hai........

Kashish: Mehek.........aankhein kholo...........mehek main tumhari Kashish.......Mehek utho tumhe kuch nahin hoga............

Mehek

(getting unconcious): kashish........

Kashish: aap log dekh kya rahe hai.......meri madad kijiye........

Kashish Mehek ko dusro ke sahare apne papa ke hospital lati hai.........

Kashish

(runs to his office): Papa.........papa..........jaldi aaiye.........

Krishnakant: Kya hua........Kashish......tum is tarah aur yeh khoon.........

Kashish: Papa Mehek ka accident hua hai........aap ple kuch kariye........

Krishnakant: Nurse Operation ki taiyariyaan karo........Kashish tum yaha pe betho...........aur Mehek ke parents ko inform kardo ki mehek hospital me hai........

Kashish: papa.........mehek ko bacha lena.........mere liye hi sahi papa aap ko use bachna hi hoga........

Krishnakant: kashish........mujse jitna hoga woh main karunga.......baki sab upperwale ke haath me hai...........

Krishnakant O.T. me chale jate hai aur Kashish Mehek ke parents ko aur Nandini ko phone karti hai.........thodi dair me sab log waha pe aa jate hai..........operation khatam hota hai aur Krishnakant bahar aata hai........

Kashish: Papa mehek thik to hai na...........main use milke aati hoon.........

Krishnakant: nahin Kashish..........ab hum unhe kabhi bhi nahi mil sakte......... I am sorry Kashish..........main Mehek ko nahi bacha saka.......

Mehek ke maa baap to jaise tut hi chuke ho...........

Kashish: nahin aisa nahi ho sakta ....papa aap jooth bol rahe ho.........

Nandini: Kashish........sambhalo apne aap ko..........mehek hume chod ke chali gayi..........woh ab is duniya me nahi rahi........

Kashish: nahin mama.......woh aise kaise muje chod ke ja sakti hai..............usne mujse vaada kiya tha ki hum log saath me Mumbai jayenge.......to phir......aur woh ek hi to meri saheli hai..........aur woh bhi muje chod ke chali gayi.............kyun mama kyun hua yeh mere saath........

Kashish Nandini ke gale lagke rone lagti hai.........

Edited by goodkashish - 17 years ago
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 17 years ago
#24
hailaaa....marna tha to kashish ke "to be dulhe" gurry ko marti 😆 😆 😆 ....y mehek......ab jaldi se bolo ki krishnakanth wants to get kashish married to sujal 😆
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#25
hey........i just want to know if people don't like this story i would like to close this ff......ple tell what you feel.......thanks

love

kashish
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 17 years ago
#26
grt part!!!!!!!!!!!!!!!

i love ur story yar but plz sujal ka intro karo.......................
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#27

Part-5

Aaj Mehek ko is duniya se gaye pura ek hafta ho gaya tha aur aaj hi ke din Kashish ko Mumbai ke liye nikalna hai......Kashish abhi bhi gum shum si rehti thi pura waqt..........Kashish apna saman pack kar rahi thi jab Nandini waha pe aati hai.......

Nandini: Ho gayi packing.......ki kuch madad kar doon......

Kashish: nahi mama........sab ho gaya bus main neeche hi aanewali thi..........

Nandini: Kashish agar tum is waqt nahi jana chahti to main tere Papa se baat karti hoon.....

Kashish: nahin mama ab main is jagah se kahi dur jana chahti hoon........yeh jagah muje pal pal Mehek ki yaad dilati hai...........muje yaad dilati hai ki Mehek ko main bacha na saki.........

Nandini: Mehek ke saath jo hua woh uski kismat ka faisla tha aur nahi use tum badal sakti ho nahi Mehek.........Aur yaadaion se dur bhagne ki koshish karogi to utni hi tumhe uski jyada yaad aayegi..........

Kashish: Lekin mama mere saath hi aisa kyun hota hai...........Mehek meri ek hi to Saheli thi.........

Nandini: Kashish ek din to sabhi ko jana hota hai.........kisi ko aaj to kisi ko kal............lekin logo se milna naye dost banana achchi baat hai........lekin insaan ki pehchan karni aani chahiye.........aur kabhi bhi koi muskil faisla karna ho to aankhein bandh karke apne bhagwan Krishnaji ka naam yaad karna muskil apne aap chali jayegi.........

Kashish: pata nahin ab koi dost bana pau ya nahi........

Nandini: main bhi kya baatein leke beth gayi..........neeche Kavya aur Anjali tera intzar kar rahe hai...........

Kashish: Chaliye.........

Kashish neeche aake apne Papa, Mama aur Dadi ko bye kehke Anjali aur Kavya ke saath Station ke liye nikalti hai.........

(on the railway station)

Kavya: nayi jagah pe naye logo ke bich ja rahi ho........apna khayal rakhna aur hume phone karti rehna.......

Anjali: Kashish......man lagake padhai karna.........shayad tum is safar me akeli ho lekin koi hoga jo tumhare is safar ko yadgaar banayega...........koi hai jo tumhara intzaar kar raha hai..........jo tumhe phir se jina shikhayega..........jo tumhe tumhari muskan wapas layega........Kahi na kahi woh bhi tera intazar kar raha hai..........

Kashish: Dii yeh sab baatein kitabo me achchi lagti hai.........haqeeqat me aisa kuch nahin hota.......hum akele hote hai aur akele hi jite hai aur akele hi ek din mar jate hai.........

Anjali: Yeh wahi Kashish hai jo hamesha se sapne dekha karti thi........jiska din sapne dekhkar hota tha to uski raatein sapne dekhne ke khayal se........

Kashish: Dii.........yeh wahi Kashish hai lekin ab zindagi ke asli pehchan huyi hai.............sapne sirf dikhne ke liye hote hai sach nahi hote kabhi.............

Jab train ki siti bajti hai........

Kavya: Kashish tumhari train ka waqt ho gaya hai.........Chalo..........

Anjali: apna khayal rakhana aur apni khabar karte rehna..........

Kashish: ji Dii..........aur aap log bhi apna khayal rakhna..........

Kashish hugs Anjali and then went to the train and the train starts and so on Kashish's journey....

Kashish finally Mumbai me apna pehla kadam rakhti hai.......Kashish taxi pakad ke bataye huye pate pe apne hostel pahonch jati hai.............Kashish information counter pe jati hai........

Kashish: Mera naam Kashish sinha hai aur main yaha pe medical college ke first year me aayi hoon..........aur yeh mera arrival letter hai.........

Clark: Aapka ragistration ho gaya hai.......aapka room second floor room no 107 hai.............

Kashish: thank you...........

Kashish apne kamre me jati hai..........

Kashish apne kamre me jati hai to waha pe already do ladki hoti hai...........

Kashish: Hi..mera naam Kashish Sinha hai...........i am your new room partner..........

Girl: Hi........i am Kanan Mehra .........

Kashish: hi........Kanan

Girl 2: Hi .........I am Mauli verma..........

Kashish: Hi mauli...........

Kanan: tum yaha pe......

Kashish: Apne pehle year medical ke liye........

Mauli: hey great yaar hum dono bhi usi class me hai........

Kashish: sach........

Kanan: ab to bahot maza aayega.........

Kashish: waise aap log college kaise jate hai.....

Mauli: hum log ne yaha ki ladkiyon ko pucha to unhone kaha ki Bus no. 365 wali hamare sidhe college me jati hai aur yaha pe pass me hi bus stop hai.......

Kashish: thanks..........

Kanan: thanks karne ki koi zarurat nahi.........ab raat kafi ho gayi hai aur tum thak bhi gayi ho aur phir kal pehla din jo hai........

Kashish: good night.......

Kanan & Mauli: good night........

Dusre din Kashish, Kanan aur Mauli taiyaar hoke bus stop pe khade the.....

Kanan: Kashish........tumne aaj se pehle kabhi Mumbai ki bus pe safar kiya hai........

Kashish: Nahi yeh mera mumbai me pehla din hai.........per kyun........

Mauli: kyunki yaha pe log bus me bhed bakriyaa ki tarah chadte hai.........aur agar tum nahi chad payi to agle aadhe ghante bad tumhe koi nayi bus milegi........dekho abhi bus aa rahi hai........apne aapko taiyaar rakhna.........

Kashish: ji main samaj gayi..........

Kanan: chalo ab.......

Bus aati hai aur Kanan aur Mauli kaise bhi karke bus me chad jate hai lekin Kashish chadne ki bahot koshish karti hai lekin woh bus me chade usse se pehle bus nikal jati hai..........

Kashish (

shouts): Kanan..........Mauli...............Ruko................Ruko ...................

Per tab tak to bus un dono ko leke nikal gayi hoti hai..........

Kashish

(apne aap se): Aaj ka din hi Kharab hai........pehle yeh bus gayi aur ab College ke pehle din hi dair ho jayegi.........Hey Krishnajii yeh agli bus jaldi se aaye aur usme muje jagah mil jaye........

Thodi dair baad agli bus aati hai aur usme bhi itni hi bhid hoti hai.........
Kashish

(apne aap se): kashish.......tumhe yeh bus pakad ni hi hai agar tumhe college jana ho to.........kashish tum yeh kar sakti ho........

Bus me log dhaka marke chadne lagte hai......

Kashish: bhaisaab muje chadne dijiye........aap log.......ple.......ple...muje andar jana hai.......

Kashish bus me chade usse pehle bus shuru hojati hai lekin koi andar se kashish ka haath pakad ke use andar khichta hai..........

Edited by goodkashish - 17 years ago
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 17 years ago
#28
Hey nice part........And mere hero ki entry ho gayiiiiiii!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! yay!!!!!!! 😉
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 17 years ago
#29
oh nice yaar finally sujal ki entry ahi gayi haan 😳
Arshie thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 17 years ago
#30
very nice part, now is the right time for raj to enter.

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

2 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

5 months ago

Meri Aashiqui Ho Tum( You are my love) Veer Zara SS

Meri Aashiqui Ho Tum( You are my love)Part 1 Thank you my dearest friend Sydell for the beautiful cover page. I dedicate this SS to mili_ai who...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

3 months ago

Punishment sequel to destiny of love ( Climax))

Hey there, readers , Just a quick note: I wanted to let you know that since the old module is now locked, I've created a new one for you. You...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".