Part-15
After the party, everyone went their respective homes. Sujal had a sleepless night as he was continuously thinking about Kashish and her decision. He couldn't understand why Kashish was behaving like that.
On the other hand, Kashish was in dilema as how she would convince her family members to let her go to London but she decided that she would tell them at the breakfast following morning.
Next morning at Khanna house, everyone seated at the breakfast table with their usual talk.
Prerna noticed that Kashish hadn't touched her breakfast.
Prerna- Kashish, kya baat hai beta. Nasta acha nahi laga?
Kashish(coming out of her thoughts)- Nahi badi ma, aise hi kuch soch rahi thi.
Anurag- Kya soch rahi thi?
Kashish- Wo bade papa, mujhe aap logo se kuch baat karni thi. Mujhe kuch dino ke liye London jana hoga.
Vinit- Achanak London? Lekin kyon?
Kashish- Papa, is baar hum ne jo project liya tha us main sirf clothes hi nahi lekin jewelry aur fragrance ka marketing bhi hai aur us ke liye maine London main ek collegue ki company se baat ki hai. I want to check their place out before we stratagize for any marketing.
Prerna- Lekin yahan bhi bahut sari companies hai jis se tumko madad mil sakti hai.
Kashish- Badi ma, maine hamesha international market pe kaam kiya hai and I am much comfortable over there as we used to work there for many years aur phir kuch dino ki hi baat hai so please mana mat kijiye.
Shiv- Aaj tak kisi ne tujhe mana kiya hai kya?
Parvati- Haan aur jaise kisi se mana karne se tu apne man ka nahi karegi aisa to nahi hai.
Kashish- nani kya aap bhi? Maine hamesha aap logo ki baat mani hai.
Vinit- Acha theek hai tu ja. Lekin wahan jane ke baad hum se baat karte rehna.
Kashish- Thanks papa. Main abhi office ja kar arrangements karti hoon taki jald se jald ja sakun.
She left from there and everyone else also went to their work. Shiv and Parvati went to visit their old friend.
Anurag and Vinit was about to leave when they saw Prerna sitting in the living room in deep thoughts.
Anurag- Kya baat hai Prerna, kya soch rahi ho?
Prerna- Tum dono betho, mujhe kuch zaroori baat karni hai.
Vinit- Sab theek to hai na prerna.
Prerna- Vinit, tumhe nahi lagta ki hum ko ab Kashish ki aage ki zindagi ke bare main sochna chahiye.
Vinit- Tumhara matlab?
Prerna- Dekho, Sneha, Karan, Kunal sab uski umar ke hai. Ab sab ki shaadi ho chuki hai. Mana sab ne love marriage ki hai lekin maine aaj tak Kashish ki zindagi main koi ladka nahi dekha. I mean jab hum ne uski aur Kunal ki sagai ki thi tab hum khush the ki wo settle ho jayegi lekin wo sab ek natak tha lekin ab main chahti hoon ki hum Kashish se is bare main baat karen. Agar use koi pasand hai to wo hum ko bataye nahi to phir hum apni aur se kuch rishte dekhenge.
Anurag- Wo sab to theek hai Prerna, lekin hum ne hamesha apne bachcho ko apni zindagi main azaadi di hai aur life partner choose karne ka kaam hum ne unpe choda hai. Main nahi chahta ki Kashish aisa koi faisla le sirf hamari wajah se aur wo khush na ho.
Prerna- Tum theek kah rahe ho lekin phir bhi usne is bare main kabhi koi baat hi nahi ki.
Vinit- Wo hum se kuch kahe na kahe, apne dosto se zaroor kehti hai is liye hum is bare main Karan aur Kunal se baat karenge.
Anurag- Haan ye hi theek rahega phir hum ko Kashish ke mann ki baat bhi pata chal jayegi.
Prerna- Theek hai jaisa tum dono samjho lekin jald baat karna.
Kashish was in her cabin when Karan and Kunal came there.
Karan- Kashish, sari taiyaari maine kar di hai. Wahan ja kar tumhe kuch logo se milna hai aur un ke ideas dekhne hai.
Kashish- Okay.
Kunal- Waise kashish, main tumhe ek baat batana bhool gaya wo project jo hum R & G group of industries ke saath kar rahe hai na...
Kashish- Lekin wo to complete ho chuka hai.
Kunal- I know aur uske success ke baad maine aur Karan ne socha ki kyon na is project ke liye bhi hum saath kaam kare to hum ne Sujal ko tumhare saath London jane ke liye convince kar diya hai. He will be there with you all time. Waise bhi tum dono ne pichle project itne ache se sambhala ki hum ne socha tum dono ek doosre ke liye perfect ho.
Kashish- Kya matlab?
Karan- Yahi ki tum dono ek doosre ke saath perfectly kaam kar lete ho to phir ye kaam bhi saath kar lo. Is se hamari company ko bahut fayada hoga. I hope tumhe koi problem nahi hai.
Kashish looked at both of them and then realized that if she says no, then it would rise more questions so she sighed and said yes.
Karan and Kunal both gave each other a smile which was unnoticed by Kashish as she was in thoughts as how she would deal with Sujal while finishing the actual work she was going for who nobody knew about not even Karan or Kunal.
Sujal was so happy as he was going to London with Kashish and this is perfect opportunity to win her heart all over again as nobody was there to disturb them.
Piyush & Sneha told Veena about their plan. Veena had told everything to Vasu too so she was happy too. Sujal was just packing his things while humming a song when Veena & Vasu came to his room.
Vasu- Sujal, main tumse bahut naraz hoon.
Sujal- Kyon aunty?
Vasu- Itna sab kuch ho gaya aur tujhe apni mama ko batane ka mauka mila lekin mujhe kuch nahi bataya.
Sujal- Sorry aunty, waise mama ko khud pata chal gaya tha maine unko kuch nahi bataya.
Veena- Haan aur ab ye london wali baat kyon nahi batayi mujhe?
Sujal- Wo kaam piyush aur sneha ko diya tha maine. Ab aap ko pata chal gaya na. Ab meri madad kijiye.
Vasu- Kaisi madad? Packing to tune kar li hai.
Sujal- Kashish ko main kaise manao?
Vasu- Ab tumne naraz kiya hai to tum ko hi manana hoga na.
Sujal- Lekin kuch idea to dijiye?
Veena- Tumhe us ko ye ehsaas dilana hoga ki tum uske saath rahego, har waqt, har sukh-dukh main. Tum hamesha us par apna trust banaye rakhoge aur kabhi usko galat nahi samajoge chahe wo kuch aisa kare jo tumko pasand na ho aur sab se jyada tum usko zindagi bhar waise hi pyar karoge jaisa aaj karte ho phir wo tumhe chod kar kaise jayegi wo main dekhti hoon.
Sujal- Mama you are the best. Main bilkul waisa hi karoonga.
Vasu- Haan aur jald se jald wapas aaoge hamari bahu ko lekar. Mujhe teri barat main nachna hai.
Sujal- I promise aunty.
He smiled and left from there to talk to piyush about some office work.
Now the next morning, Sujal and Kashish were on the flight to London. Kashish was sitting in her window seat and Sujal was next to her. She hadn't said a word to him in past two days and she wasn't even talking to him now.
Sujal- Kashish, kuch to bolo. Mujhe pata hai tum gussa ho mujh se.
Kashish- Main tum se gussa nahi hoon sujal.
Sujal- To tum mujh se baat kyon nahi kar rahi?
Kashish- Baat karne ko kuch nahi hai.
Sujal- Lekin?
Kashish- Sujal, tumhe pata hai main London kyon ja rahi hoon?
Sujal- Mujh se door hone ke liye project ka bahana kar ke ja rahi ho tum.
Kashish- Nahi sujal, maine kisi ko sach nahi bataya ki main kyon ja rahi hoon lekin ab tum mere saath ja rahe ho is liye tumhara ye janna bahut zarrori hai. Main wahan pe Tushar shergill ko hamesha ke liye jail pahunchane ja rahi hoon.
Sujal(shocked)- kya?
Kashish- Haan.
Sujal- Lekin kyon?
Kashish- Wo main tumhe wahan ja kar bataungi, lekin kya tum mera saath doge?
Sujal- Main hamesha tumhare saath hoon. Ab hum jo bhi karenge, mil kar karenge.
He held her hand into his with love and she smiled at him.
Precap: Why Kashish want Tushar in jail? What did Tushar do now? What is Kashish's plan?
37