Serendipity.....Sujal&Kashish....Last-Part...11/07 - Page 13

Created

Last reply

Replies

960

Views

291.3k

Users

68

Likes

302

Frequent Posters

me2kool thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
soni ....robot 😆 nyce name 😆


awesome part yaaaaaaaaaar poor juliet i hope us ko romeo hamesha hamesha kay liyay mil gaye 😆

aur han angad ko kripa bhi 😆 😆 😆


cont soon yar cant wait to see romeo enteing juliets lyfe again 😆 😆 😆


rajeev rox 👏
captain_kia thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
nice part sujal and angad r too cool but this tushar langoor kahin ka i hate him usko 😡 sk ke beech mein se hatao keep posting and also pics r so cool 😊
liquidfantasy thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 18 years ago
any1 but not that tushar...ohh...robot 😉 .. 😆

ab jaldi se sujal ko bula lo nahi to yahan khoon kharaba ho jayega... 😛 😛

amazing part! 👏 👏
beauty_niki thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
hey cool part yaar 👏 . lekin plz....... huh tushar se uski shadi nahi honi chahiye 😭 . he is kinda robot and i really don't like him 😡 . toh plz......... uska kuch karo aur usse sujal aur kashish ke zindagi se abolish karva do 😉 .i don't want them to get seperate from nowonwards only .continue soon plz.......... can't wait any longer. 😊 😛 😊
green_eyez thumbnail
Posted: 18 years ago
nice mann....i wanna no moreee...awwn poor kashish 😭
le_me_star thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
hey awesome upate !!!!!!!!!!! 👏.......kavya and anjali are happy in there life 😊 😉 😆 ...they go to the sinha house where kashish and kripa are in the kitchen making food 😊 .....kashish make gajar ka halwa n kripa tease her with sujal..and kashish bluush away😳 ..... anjali goes there and give them a big hug 🤗 😊 ........they are talking about sujal and what he likes and kashis begin madly in love with him 😉 ...suddely a voice distrube them...that nonew other than kavya....he asked then whom they are talking about 😉 😊 ...but kashish change the topic n ask if he wants some sweet ,...he agrees ......after eating the first spoon ......he says the sweetness is not for them but for sujal 😉 ...the girls are so shocked 😲 ......he tell they that he had heared everything 😉 ,.....kashish promise them that she will tell abhay everthing about sujal and all 😉 😊 😆 on the other hand he see angad taklking to prena 😊 ...they are arguaying in a really sweet way 😆 ...prena is angry with sujal and angad because they haven't called her in days 😭 ...n she begin her mother is all worried for her kids 😊 ...angad tell prena everything about sujal and kashish 😉 😉 😉 ....angad ke pat me koy baat der tak nahi reh sakti 😆 ....on the other hand prena is really happy....she talks to sujal and tell him that she has chose a girl for him, and he has to marry her no matter what 😉 ...sujal doesn't know that she's talking about kashis 😊 😉 ....so he's so confused how to tell his mom about kash!....but prena tell him that she knows everything about him begin in love with kashish and she is so happy for him 😊 😉 !!!!!!!!......sujal and angad are so close that they can so anything for each other in india kashish and kripa reach home.......and find veena and the other's their and also that kashis is going to marry thusharr 😲 ...... kripa is so schoked 😲 ....poor kashish she's just ......i can't describe her sadness ......she's all heart broken 💔 ....she excuse herself and goes to her room....kripa follow her 😭 ....kripa tell kashish that they will talk to abhay about sujal and kashish !...she also said that she will fullfill her promise to kashish 😊 ........i can't wait for the father parts.....your story is just awesome ! 😊 😊 😊 ........what will happen next
Imaan-Ki-Duaa thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
lovely parts.... 👏 ...do cont soon...wanna knw wht kash will do now... 😭 😭
goodkashish thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Part-15

Kashish aur Kripa neeche jate hai.Sab log Dinner karte hai lekin Kripa aur Kashish ek bhi shabd nahin bolte.

Veena: Abhay bhaisaab kal aa rahi hoon main apni bahu ko apne saath shopping le jane ke liye.

Abhay: Ab aap ko meri izazat lene ki koi zarooorat nahin hai. Aaj se kashish aap ki huyi.

Chetan: Abhay, sagai ke liye aaj se thik 7 din baad ka muharut nikla hai. iska matlab agle saturday ko

.(kashish aur Kripa dono ek dusre ko dekhte hai.)

Abhay: bahot achacha hai. Humari aur se aap bephikar rahiye.

Veena: to thik hai hum chalte hai.

Tushar comes and touches abhay's feet.

Abhay: Bhagwaan tum dono ko bahot khushiyaan de.

(tushar smiles at kashish but kashish just looks down.)

Chetan: ab chale.

Veena: jee

Raheja left sinha house.

____________________________________________________________ _________________________________________________

Abhay upper apne kamre me jane lagta hai tabhi....

Kashish: Papa muje aap se kuch baat karni hai.

ABhay

(smiles) : beta, bahot raat ho gayi hai. Hum log subaah baat karenge.

Kashish

(worried) : papa subaah tak bahot dair ho jayegi.

Abhay

(worried): sab kuch thik to hai na.

Kashish: papa. main yeh shaadi nahin kar sakti.

Abhay

(shocked): Kya kaha tumne? tum yeh shaadi karna nahin chahti. kya main jan sakta hoon ki kya wajah hai.

Kashish: Main kisi aur se pyaar karti hoon aur main nahin chahti ke main tushar se shaadi karke use koi dhoka doon.

Abhay: kaun hai woh aur kya karta hai.

Kashish: uska naam sujal garewal hai aur woh delhi me rehta hai.

Abhay: tum kab use milli.

Kashish: Anjali ke do din pehle jab main Delhi gayi thi tab,

Abhay: tum us do waqt ki mulaqat ko pyaar kehti ho. pyaar ka matlab bhi tum janti ho. kya janti ho tum uske bare me. Kya tumhe pata hai ki kya woh tumse pyaar karta hai.

Kashish: Papa, main nahin janti ki pyaar kya hai lekin haa sujal ke milne ke bad maine shayad pyaar ka matlab jana hai. Aaj jo mera dil dhadkata hai to sirf sujal ke naam. Main use bahot pyaar karti hoon shayad itna ki main khud nahin janti ki main kab use itna pyaar kar bethi. Papa. meri baat man lijiye aur yeh shaadi rukwa dijiye.

Kripa: Papa, Kashish wake hi Sujal se bahot pyaar karti hai.

Abhay: Kripa, tum chup raho. Tum bhi inki baaton me aa gayi. Muje tumse yeh umeed nahin thi. aur kashish tum. chal padi us insaan ke liye jise tum ek baar mili ho. Main aisa kuch nahin hone dunga. Main kisi ko bhi apni beti ki zindagi ke saath nahin khelne doonga. Maine yeh faisa kar liya hai tumhari shaadi hogi to woh sirf tushar se. Maine chetan se vaada kiya hai aur main apne vaade se mukar nahin sakta.

Kashish: To papa maine bhi apne pyaar se vaada kiya tha aur main bhi piche nahin hat sakti kyunki main pyaar me bewafai karna nahin chahti.

Kripa: Papa, yeh baat isse pehle aage badhe. ple papa aap chetan uncle ko phone karke bata do ki yeh shadi nahin ho sakti.

Abhay

(gusse se): yeh shaadi to hoke rahegi aur woh bhi kisi bhi halat me.

Kashish

(zor se rote huye): main mar jaungi lekin yeh shaadi nahin karungi. Kyunki jab tak is dil ki dhadkane chalegi tab tak is dil me sirf sujal ka naam hoga aur kisis ka nahin.

Abahy (shouted) : to main bhi tumhara baap hoon. Agar tumne yeh shaadi se inkar kiya to tum mera mara hua muh dekhogi. aur abhay yeh kehkar chala jata hai.

Kashish: papa ple suniye to.(woh zameen pe apne khutno pe bethkar zor zor se rone lagti hai.)

Kripa

(kashish ke khandhe pe hath rakhkar): chalo kashish apne kamre me.

____________________________________________________________ _________________________________________________ _____

(Kashish in her room)

kashish bed ke pass bethi bethi ro rahi hai.

Tabhi woh khadi hokar khidaki ke pass jati hai. Woh khidaki se dekhti hai to bahar baris ho rahi hai. aur bijali itni zor se aawaz kar rahi hai jaise ki koi toofan chal raha ho.

Kashish apne table ke pass jakar apni dairy likhne bethti hai.

Kashish

(in her diary) : Zindagi bhi ajeeb hai. Ek taraf papa hai to dusri aur mera Pyaar. Muj jaisi badnasseb is duniya main koi nahin hogi jise pyaar ke sapne to dekhne mile lekin sapno ko haqeeqat ka roop dene ka moka nahin mila. aaj muje faisa karna hai apne pyaar aur apne beti hone ke farz ke beech. Agar main apne pyaar ka saath doon to main khudgarz kahelaungi ki 23 saal tak beti hone ke farz nibhaye lekin ek hi pal main beti ne apne pita ka sir sharm se juka diya. aur agar main papa ka saath doon to apne pyaar ko kho dungi jo mere jine ka sahara hai. Kabhi koi dil dhadkan ke bina nahin reh sakta is tarah yeh kashish bhi to apne sujal ke bina nahin reh sakti. Main kya karoon apni jaan bhi nahin de sakti kyunki muje maloom hai ki sujal meri bewafai ko seh sakta hai lekin meri maut ko nahin. hey! bagwan muje kis dorahe pe lake khada kar diya hai tune. kyun kiya tune mere saath . Akhir kyun.................

____________________________________________________________ _________________________________________________ ______________

(lets back check in Singapore)

Sujal bhi apni khidki ke pass khada hai aur bahar zoro ki baris ho rahi hai. Angad Sujal ke room me aata hai.

Angad: Are...Sujal abhi tak soya nahin. Kya baat hai tum kuch pareshan lag rahe ho.

Sujal: Angad, tu dekh raha hai bahar zoro ki baris ho rahi hai. yeh kahi naa kahin hume aanewale toofan se wakef karna chahta hai.

Angad: Toofan kaisa toofan.

Sujal: Pata nahin lekin aisa lag raha hai hamari zindagi me koi bhayanak toofan aanewala hai. Pata nahin kyun aaj aisa lag raha hai ki kashish kisi musibat me hai. Aisa lag raha hai ki woh muje bula rahi hai.

Angad: aisa waise kuch nahin hai. aur woh to use kuch miss kar raha hai is bahar romantic baris ki waje se.

Sujal: Come on yaar.. i am serious.

Angad: Kuch nahin hoga tumhari kashish ko. Tumhe barosha hai naa tumhare pyaar per. tumhari Kashish per.

Sujal: Muje kashish pe khud se jyada bharosa hai.

Angad: Ab yeh emotional drama chod aur jake soja kal hume jaldi office jana hai yaad hai na kal share holders ki meeting hai.

Sujal: Yaad hai muje. Ab tu bhi jake soja. Good night.

Angad: Good night.

____________________________________________________________ _____________________________________________

(It is bright morning in sinha house)

Kashish: Papa, Kripa jaldi aao. Brekefast ke liye dair ho rahi hai.

Kripa: Kashish, tum thik to hona na.

Kashish

(try to be normal): muje kya hua hai. Aur yeh papa bhi na kaha reh gaye.

Kripa: kashish kisse jooth bol rahi ho. mujse ya apne aap se.

Kashish: kisi se bhi to nahin. Teri baatoin me Papa ki chai lana bhul hi gayi.

Kashish kitchen me jakar apne aanshu chupane ki koshish karti hai lekin tabhi kripa wahan aati hai.

Kripa: Kitne din tak tum apne aanshu humse chupaogi.

Kashish: Main kaha ro rahi hoon woh bas aankh me kuch chala gaya tha.

Kripa: jab jooth bolna na aaye to bolna nahin chahiye. khas karke khud ke saath.

Kashish: Main kaha jooth bol rahi hoon.

Kripa: to sach sach batana meri aankhon me aankhen dalkar ki kya tum sujal ke pyaar ko bhula paungi.

Kashish kuch kahe usse pehle hi abhay...

Abhay: kashish meri chai.

Kashish (apne aanshu punchti hai): Aai papa. kashish left with tea.

Kripa (to herself) : kashish, main bhi tumhari behen hoon, main tumse kabhi tumhara pyaar chin ne nahin dungi.

(at breakfast table)

Kashish

(smiles): Papa, aap aaj ghar hi hai na woh Veen aaunti aa rahi hai na to.

Abhay: Haa lekin tum....

kashish: Main taiyaar hoon is shaadi ke liye.

Abhay: main bahot khush hoon tumhare aur tushar ke liye.

Kripa: Mere hote huye yeh shaadi kabhi nahin hogi. Main tushar ko sab sach bata dungi ki tum kis dabav me aakar yeh shaadi kar rahi ho.

Kashish: tum aisa kuch nahin karogi. Tushar se shadi karne ka yeh faisa mera khud ka hai. Aur agar tumne kuch kiya to tumhe meri kasam hai samji. Papa shayad thik hi keh rahe the ki do mulaqt ko pyaar nahin kehte aur tushar achacha ladka hai. Muje pasand karta hai to usme galat kya hai.

Kripa: Kya tum usse pyar karti ho.

Kashish: Pyaar ka kya hai.

Kripa: zindagi jine ke liye pyaar ka hona zaroori hai.

Kashish: Zindagi jine ke liye pyaar ka nahin apno ka saath zaroori hai.

Kripa: tu kuch bhi kehle lekin teri yeh aankhen jooth nahin bol sakti aur yeh chikk chikh ke keh rahi hai ki tu sujal se pyaar karti hai.

Kashish

(gusse se): Ab ek shabd bhi aage mat bolna. Meri shaadi tushar se ho rahi hai aur hoke rahegi.

Tringggggggggg.....................tring.................... ...................

Abhay: Hello kaun bol raha hai.

Anjali: hello. papa main anjali. Kaise hai aap sab log.

Abhay: main bilkul thik hoon aap log dono sahi se pahoch gaye.

Anjali; Jee papa, kya wahan kashish aur kripa hai. kya unse baat kar sakti ho.

ABhay: yeh lo kashish se baat karo.

Kashish: Hi anjali, kaisi ho aur kavya kaisa hai.

Anjali: hum sab thik hai. tu bata tu kaise hai. papa se baat ki.

Kashish: Main ek dum thik hoon. yeh le kripa se baat kar

Anjali: Sun to per use kuch kahe usse pehle woh phone kripa ko deti hai.

Kashish

(phone pe hath rakh ke) : Anjali ko kuch pata nahin chalna chahiye. main nahin chahti ki woh pareshan ho apne honeymoon pe.

Kripa: hi anjali. kaisi ho. aur kavya kaha hai.

Anjali: hum thik hai woh kavya wash room me hai.

Kripa: apna khyal rakhna aur phone karti rehna. Bye.

Anjali: bye. apna aur kashish ka khayal rakhna;

____________________________________________________________ _________________________________________________ __________________________

Veena aur tushar sinha house me andar aate hai.

Veena: kisse baatein ho rahi thi.

Abhay: woh anjali ka phone tha.

Veena: kaisi hai woh.

ABhay: Bus apne honeymoon pe gayi huyi hai.

Veena; achcha hai. waise hamari bahu kaha hai.

Abhay: abhi to yahan thi shayad kitchen me hogi. Kripa, jake use bhulake lao. Are aap log khade kyun hai bethiye. aur tushar beta tum batao ki kaisa chal raha hai.

Tushar: bas sab kuch thik hai. Tushar ki aankhen kashish ko dhund rahi thi.

Kripa: kashish woh bahar veena aunti aur tushar aaye hai.

Kashish: Thik hai main chalti hoon tum is chai ka dhyaan rakhna unke liye hai.

Kripa: kashish tune soch liya hai na ki tum kya karne ja rahi ho.

Kashish: haa. maine soch liya hai.

Kashish: namaste aaunti,

(bends down to take blessings) Tushar use dekhte hi rehta hai.

Veena: jeeti raho. Aur aaj se tu muje aaunti nahin balke mama bhulaugii.

kashish: Jee mama.

kripa bahar sabke liye chai lati hai. sab chai pite hai.

Veena: achcha bahisaab hum log nikhlte hai. kafi sari shopping karni hai. chale Kashish;

Kashish: jee mama.

veena: Kripa tum bhi chalo naa.

Kripa: nahin muje boutique main kaam hai. aur waise bhi shaadi kashish ki hai. Aur yeh kehkar woh gusse se tushar ko dekhkar apna purse lekar chali jati hai.

Veena: ise kya hua.

Abhay

(try to hide): kuch nahin woh anjali chali gayi aur ab Kashish. to use apne akelepan ke baare me soch ke gussa hai.

Veena: Abhi woh bachchi hai. Dheere dheere samaj jayegi.

Veena, tushar and kashish left for shopping.

____________________________________________________________ _________________________________________________ ______________

(in the shopping mall)

Veena: chalo jakar saare dekhte hai.

Kashish: jee. Tushar is just following them everywhere.

Veena: Suno kuch achchi si saare dikhna meri bahu ke liye.

Shopper: Ek minute madam. Main kahi koi galti nahin kar raha to aap hi hai na woh designer Kashish sinha.

Kashish: haa! main hi hoon Kashish sinha.

Shopper: Madam maaf kijiye lekin aapke layak yahan koi saare nahin hai. Aur waise hi aapko kya zaroorat hai aap to khud hi apne kapde aaj tak design karti hai.

Tushar: tum baatein bahot karte ho. Ab jaldi se yeh log jo keh rahe hai woh use dikhao.

Veena: nahin tushar, yeh bilkul thik keh rahe hai. Kashish ko kuch nahin pasand aayega. isse achcha hai ki hum Jewellery jake dekhe.

They all head to jewellery department.

Veena: Yeh wala achcha hai. kashish tumhe pasand hai.

kashish: aap ko pasand hai to muje bhi pasand hai.

Veena; Lekin ek baar try to karke dekh.

Kashish aaine ke samne try karti hai lekin use aisa mehsoos hota ki piche sujal kada hai aur woh zor se piche mudti hai to wahaan tushar khada hota hai.

Tushar: kya hua darr gayi.

Kashish: nahin to.

Tushar; yeh necklace tumpe bahot achcha lagta hai.

Kashish: thanks

Tushar; apno se thanks nahin kehte.

Kashish: excuse me main abhi aati hoon.

Kashish jaldi se waha se chali jati hai washrooom ki aur lekin beech me kashish ka dupatta sales floor pe rakhi choodiyaan me fas jata hai.

Kashish bahot koshish kar rahi hai apna dupatta nikalne ki lekin nikal ne ka naam hi nahin.

Shopper: lagta hai mam koi chahta hai ki aap yeh choodiyaan le. Dekho na woh bhi aap ke dupatte ko chodne ka naam hi nahin lete.

Sujal: Sach hi to keh rahe hai. main hi to chahta hoon ki tum yeh choodiyaan pehno jiski khanak ke aawaz me tum tak pahonch saku.

Shopper. Kaha kho gayi aap.

Kashish: kahin nahin, aap yeh sari choodiyaan pack kar dijiye.

Shopper: saari ki saari.

Kashish: haa. koi hai jise mere haath me choodiyon ka hona pasand hai.

Shopper gives her choodiyaan and kashish left.

Tushar: mama kashish kaha hai.

Veena: Abhi to yahi thi.Yeh lo woh aa rahi hai.

Veena: are kaha reh gayi thi tum.

kashish: woh kuch nahin kuch yaad aa gaya tha to lene gayi thi.

Tushar: ab aap logo ki shooping khtam huyi ho to hum ghar chale.

Veena; haa beta. lekin ab is shopping ki aadat dal de.

Tushar

(blushed) : Kya mama aap bhi.

Veena: chalo abhi kashish ko bhi drop karna hai.

Tushar and veena droppes kashish home.

____________________________________________________________ _________________________________________________ _________________

Kashish apne room me jati hai to dekhti hai ki Kripa wahan beti hai.

Kripa: to kya shopping ki hai tumne tushar ke saath zara main bhi to dekhoo.

Kashish use apni sari shopping begs deti hai aur kripa ek ke baad ek kholti hai.

Kripa: kashish yeh to sari choodiyaan ki begs hai.

kashish: haa to wahin to maine shopping ki hai.

Kripa: to iska matlab tum abhi bhi sujal ko bhuli nahin.

kashish: kya kabhi koi saansein lena bhulta hai to phir main kaise sujal ko.

Kripa; main janti thi ki tum yeh zabrdasti se shaadi kar rahi ho.

Kashish

( came back to her senses) : Nahin to main use kab ka bhula chuki. Aur yeh shaadi main apni marzi se kar rahi hoon.

Kripa: Kitna jooth bologi, abhi do minute pehle tumne khud kaha ki tum sujal ko bhuli nahin aur yeh choodiyaan is baat ka gawaah hai.

kashish

(roti huyi): chup kar tu bhagwan ke liye chup kar. Main is baar kamzor hona nahin chahti. bahot muskil se maine apne aap ko smabhala hai. Agar is baar main tooti to nahin sambhal puungi. aur woh roti huyi wash room me chali jati hai.

Kripa (to her self): Yeh hi to main chahti ho ki tum tum tut jao taki yeh shaadi na ho. aur main tumhe her pal tumhe tumhare pyaar ka ehsaas karati rahungi. Muje khud pe pura bharosa hai ki main apne kaam me zaroor kamyab hogi aur yeh mera vaada hai.

Edited by goodkashish - 17 years ago
dhvanisoni thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
HEy
ohh...god...yeh robot toh bilkul...umm./..monkey tail...tail hai,...picha kar raha hai...chhipkali...chamkadad....umm...i just hate him yaar...kripa thik hi kar rahi hai...cont soon
me2kool thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago

Originally posted by: dhvanisoni

HEy
ohh...god...yeh robot toh bilkul...umm./..monkey tail...tail hai,...picha kar raha hai...chhipkali...chamkadad....umm...i just hate him yaar...kripa thik hi kar rahi hai...cont soon

dhavni tumnay to dilki bat likh di😆

yar sujal hero ki entry kab maray gaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa😡😡

i hope wo jaldi aye aur lay jaye apn juliet koo😳😳😳

rajeev rox👏

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3 (85%)

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".