Kripa was setting the table while Angad was getting ready to go to pick up Karthik. He comes downstairs and sits down on the table waiting for everyone else to eat. Kripa sees him and starts to feel uncomfortable.
Kripa – aa…aa…aap kuch lenge?
Angad looks around as if he is looking for someone, totally ignoring Kripa's question. Kripa feels hurt and turns around to leave, but then decides to ask one more time.
Kripa – Aap kuch lenge?
Again Angad looks around looking for someone.
Angad – Tum mujhse baat kar rahi ho kya?
Kripa – Aapko aur koi yahan dikhaideta hai kya?
Angad – Nahin, woh mujhe laga ke hum dono dost hai.
Kripa – Woh to hai, lekin issein mere sawaal se kya lena dena?
Angad – Woh kya hai na, mujhe laga ke hum ek dusre ko aap nahin bulayenge.
Kripa – (realising why he was ignoring her), oh, to aap isliye mere saath baat nahin kar rahe the.
Angad – phir se aap kaha.
Kripa – Sorry.
Angad – It's ok aur ha, isliye mein tumhe ignore kar raha tha.
Soon the rest of the family members come downstairs, all shocked and everyone keeps staring at Angad.
Angad – Sab log mujhe kyun dekh rahe hai?
Naina – Dilip, aaj suraj kis disha se nikla hai?
Dilip – Mujhe lagta hai west kyunki Angad yahan table pe achuka hai
Prithvi – Mishty, pinch me, kya mein sapna to nahin dekhraha.
Mishty pinches him.
Prithvi – Owww, yeh kyun kiya.
Mishty – tumne kaha isliye.
Aliya – Angad bhaiya, apki tabiyet to thikh hai na?
Rahul – Bua kya hua hai chachu ko?
Aliya – Pata nahin lekin woh yahan table pe hai, aur hummein se kisiko aaj usko jagaana nahin pada.
Angad – Ok ok, I get it, mein aaj jaldi uth gaya hoon isliye sabh meri taang kheech rahe hai.
Naina – lekin kyun?
Just then Kripa comes out with a plate in her hand and before Angad can answer…
Naina – Arre Kripa, yeh tum kya karrahi ho, tum betho, Teddy sabh khaana ladega.
Kripa – Nahin aunty, mein ladungi, mujhe koi aitraaz nahin.
Naina – pehli baat to yeh, tum mujhe mom bulasakhti ho, Angad ki tarha, aur dusri baat, tum is ghar ki nayi bahu ho, tum beth jao aaj ke din keliye phir kal kitchen mein kaam karna, aaj tum araam karlo, waise bhi aaj raat reception hai.
Kripa – Thikh hai aunty…sorry, mom.
Kripa first goes to Dilip and Naina and takes their ashirwad and then sits down.
Naina – Oh to abh mein samjhi, tum kyun jaldi uth gaye. Tumhe apni nayi patni pe ek achha impression jataana hai isliye.
Kripa again gets red in the face and starts to feel uncomfortable. Angad comes to the rescue.
Angad – Actually, woh Karthik ka flight hai, isliye mujhe usko lene jaana hai. Usko to mein chhodunga nahin, meri neend kharaab kar di.
Everyone laughs.
Naina – Achha Angad, tum apne saath kripa ko lejao Karthik ko lene keliye.
Angad – Agar Kripa aana chahti hai to she's more than welcome.
Kripa – Thikh hai mein aungi, that is if you don't mind, Angad.
Angad – No I don't. Thikh hai to mein gaadi nikalta hoon, tum ajaana.
Kripa – Thikh hai, mein fresh ho kar ati hoon.
Hope you liked it...Sorry for not updating for so long.
Preview: Car ride to airport, Entrance of new characters, reception!!!!
41