Shanav-COLLAB SS YEH DOSTI HUM NAHI TODENGE (PART17 pg72) - Page 50

Created

Last reply

Replies

672

Views

54.6k

Users

26

Likes

888

Frequent Posters

Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
Thanks Elena..Bdw if u comment on home ff please comment it on second thread as first thread has crossed 150 pages..So u can comment for both threads in second thread of home ff
Alinasara thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
Thanks Elena..Bdw if u comment on home ff please comment it on second thread as first thread has crossed 150 pages..So u can comment for both threads in second thread of home ff[/QUOTE
where is it
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
Bdw I will call u from now on Elena...
Alinasara thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: Krish58

Bdw I will call u from now on Elena...

l like it .
you know my parents always rude to now.call girl like no pet name in huse l am a single child
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago

Originally posted by: sonujames

l like it .
you know my parents always rude to now.call girl like no pet name in huse l am a single child


Oh dear... Don't worry now u have a pet name..But don't tell that parents are rude..May be they are not finding a proper pet name..U know what even I don't have any pet name..All call me by my name..Yeh toh yaha on forum. Hiyu gave me. My pet name
Alinasara thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: Krish58


Oh dear... Don't worry now u have a pet name..But don't tell that parents are rude..May be they are not finding a proper pet name..U know what even I don't have any pet name..All call me by my name..Yeh toh yaha on forum. Hiyu gave me. My pet name

my paren angry with my childish charac
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago

Originally posted by: sonujames

my paren angry with my childish charac

well let's talk about this through message ..
Alinasara thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago

Originally posted by: Krish58

well let's talk about this through message ..

no mobile in home
fath has mobil with no net,wassup,camera
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
Hmmm story will come soon sorry for being late
Krish58 thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
Part 18 Grishma's arrival
At shruti house ...

Shruti- bhaiya aap aise baar baar khidki pe kyu jhaank rahe hai..

Samar- shruti... Woh bair agents woh picha kar rahe hai.. ...kal mein jab mein orphange mein tha toh unhe orphange ke aas paas unhe ghumte dekha tha..

Shruti- bhaiya..Shayad woh aap par nazar rakh rahe ho... Aapko saavdhan rehna hoga...Bhaiya...Aur unse picha bhi chudaana hoga warna aapka bahaar nikalna muskil hoga.. ..

Samar- haan shruti..Sahi kaha ...Kuch karna hoga

Shruti peeps through window and doesn't find agents..

Shruti - bhaiya..Agents nahi hai...Lagta hai woh log chale gaye..

Samar- kuch keh nahi sakte shruti...Ek kaam karta hoon mein orphange jaata hoon..Abhi mauka bhi acha hai... Tu jald se jald orphange aajana hoon?

Shruti- hoon ...Hoon..

Samar leaves ...
,..,...,,,...
...Att market

Liza-- chalo acha hai ..Aaj jaldi subha aagaya man..Taazi sabjiya milegi...

Varsha - haan aur Aaj toh mujeh nimbu aur kadu bhi liya..Bahut dhoondh rahi thi aur toh aur yeh jaamun bhi mil Gaya

Liza- varsha ..Sahi kaha..Waise sweet dish banna ne ke liye tumne Jaamun liya...

Varsha- nai nai Liza bhabhi ..Woh toh Aaj mujeh Jaamun ka pulao aur kadu aur nimbu ki daal bannani hai na toh kitna dhoondha par mil nahi raha tha...

All are shocked except bhairavi...

Bhairavi - areee waah varsha bhabhi Aaj aap Jaamun ka pulao banana rahi hai..Jaamun flavour ki icecream khaai hai lekin Jaamun flavour ka pulao nahi khaya..Varsha bhabhi kya aap thoda hamre ghar bhej denge pulao aur daal

Varsha- haan haan..Jaroor...Kyu nahi Bhairavi...

Bhavna aunty- kya haan haan..Chakudi..Aur bhairavimata kabhi bhi Jaamun. Flavour ki Ice cream hoti hai pulao nahi...

Liza- sahi kaha Bhavna aunty...Man..Varsha Jaamun fruit hai uska sweet dish banta hai..

Varsha- areee par logically sochiye na agar hum ice cream banna skate hai toh hum pulao kyu nahi...Banna sakte ...

Bhairavi- sahhi kaha varsha bhabhi ...Agar hum icecream banna skate hai toh pulao bhi banna sakte hai ..Yeh kahi bhi nahi likha ki hum jaaamun flavour ka. Pulao nahi banna sakte..

Lajo aunty - baat toh sahi hai..Bhale ghotalagiri hi sahi ..Par varsha ki baat sachi hai ..

Suddenly varsha sees agents and gets scared .. she immediately hides behind Bhavna aunty..

Bhavna aunty- kya hua varsha... Tu aise chup kyu rahi hai...?

Varsha- Bhavna aunty woh agents dekhiye woh agents ..Yahi aa rahe hai

Lajo aunty - kahi yeh log hamara piche toh nahi kar rahe ..

Liza -ek kaam karta hai man hum thoda aise jhut muth ka aise yaha waha ghumta hai man aur dekhta hai I yeh hamara picha toh nahi kkar raha..

Liza and other s goes towards and near by shop
Agents too comes near the shop..

Agent z - agent q yeh toh wohi sunshine colony waale hai na

Agent q- yes sir... Yeh toh Bhavna aunty .. Bhairavi didi..Liza bhabhi ,varsha bhabhi aur lajo aunty hai mein unhe hi bolke aata hoon

Agent z- bewakoof kya hi bolke aata hoon hame in par nazar rakna hoga puri ki puri colony ajeeb hai..

Here samar reaches market and sees agents..

Samar- yeh log toh mera piche karke yaha bhi aagaye kuch karna hoga ...warna inhe mere par doubt hojaayega

Samar sees colony ladies and gets an idea..

Samar- mein inke saath chala jaata hoon.. toh yeh agents ko doubt bhi nahi hoga

Samar goes towards colony ladies..

Liza - lajo aunty dekho man.. woh log kabse ek hi dukaan pe khada hai man.

Lajo- sahi kaha liza yeh log kabse yahoo hade hai inka kuch kar na hoga..

Varsha- bhavna aunty yeh agents abhi tak nahi gaye

Bhavna aunty- tu dar mat varsha . yeh agents ko toh sabk sikhana hoga.

Suddenly ..

Samar- aree waah a aap sab yaha shopping kar rahe hai...

Lajo aunty- aree samar beta tu .. yaha kya kar rahe ho

Samar- mein wooohhh mein wooh haan yaha orphanage ke kuch kaam ke liye aaya tha aur aap sab ko dekha toh socha mil kar jaau

Bhairavi- areee waah ab toh samar bhi vasant bhaiya ki shastriy sangeet shuru kar diya...

Samar- nai nai aisa nahi hai ..woh mein toh bas aise hi bol diya..aapko help chahiye

Liza- haan haan chahiye man hamara yeh bags utha do man.. bahut bhaari hai

Samar- haan haa kyu nahi sure sure...

Varsha- aree nahi chalega hum utha lenge bags...

Bhavna aunty (whispering ) - aeee bhairavimata zaraa soch yeh samar rahega saath mein toh acha hoga ..yeh agents hamara kuch nahi bigaad sakte

Samar- aree koi nahi mein utha leta hoon bags ..

lajo aunty- aree beta thoda aur saaman kharid na hai tumhe problem toh nahi

samar- aree nahi nahi aunty koi problem nahi...

All are purchasing items and agents are following ..

Bhavna aunty- bhairavi yeh agents ka kuch tabla tod illaaj nikaal na hoga ek kaam karti hoon sweety singh ko bulaaaleti hoon

Bhairavi- par baa woh aayenge kya?

Bhavn aunty - aree kyu nahi aayega aana padega use waise bhi use koii kaam toh hota nahi hai waha thane mein baithe rehta hai

Bhairavi- par baa sweety singh ji ne toh kaha hai na ki agr sahi mein case hua koi toh hi who hamari madd karenge kyuki har baar jabhi who colony mein aate hai unhe khaali haath jaana padta hai kyuki aap sab hamesha dhoodhne mein gadbad karte hai aur Phir sweetysingh ji ko bulaate hai...


Bhavna aunty- chakudi tu yeh kehna chahti ki jab tu aur hemant kho jaate ho toh hum thik tarah se dhoodhnte nahi aur khaali khaali ka timepass karte katre hai.

Bhairavi- haan baa...aur issliye mein kehti hoon ki aap na agents ko dekh ke chor chor chillao taaki sweety singh unhe aake pakad le...

Bhavna aunty- kaise baat kar rahi hai chakudi mein chor chor...

Bhavna unty stops and thinks something

Bhavna aunty- waah ..waah chakudi tune toh high class table tod idea diya hai.. jeeti re chakudi re chakudi

Bhairavi- thank you baa no return...

Bhavna aunty- sunn chakudi ab jaise hi mein ishaara karu tu khaali ka khaali ka chillana chor chor aur phir mein aur baaki sab piche se tere saath denge ..samhji chakudi

Bhairavi - toh barobar

Here bhavna tells her plans to all except samar

After few min...

Bhairavi starts to shout chor chor and points towards agents
Soon colony ladies join them
One person asks bhairavi about reason for shouting

Bhairavi -bhaisahaab yeh kabse hum sab ka picha kar rahe hai

Agent z- kya kya kya kya bol rahe ho haan.. hum kis angle se chor lagte hai aapko galat femi hue hai

Liza- ooo man kitna jhut bolta hai.. tum hamara picha kar raha hai

Vendor- sahi kaha madam ne mein kabse dekh raha hai yeh madam log jaha jaha jaata hai unka picha kar raha hai

Samar- (in mind) yeh mauka sahi hai agents se picha chuda ne ka mein bhi inki haan mein haan mila ta hoon

Samar-haan haan sahi kaha mein kabse dekh raha hoon yeh log ek hi dukaan pe khade hai

Varsha- aur toh aur yeh log hamara kab se picha kar rahe ..mein ne inhe pehle bhi dekha hai ..areee koi sweety singh ko bulaao wohi inko le jaayenge

Vendor- aree madam aap fikar mat kariye in jaise chor ki akal hum thikaane lagaayenge

Agent z- aree aap inki a baat pe vishwas kar rahe hai ..humari baat pe vishwas kijiye hum sach keh rahe isse puchiye (pointing towards agent q)

Agent q- haan hum chor nahi hai balki mein toh chit chor hoon meri mummy kehti hai ki hum mein toh chit chor hoon sir ka patah nahi par mein chit chor hoon

Bhavna aunty-(whispering) lajo acha hai yeh male bhairavi yaha hai ..Ab toh pakka public inhe pitenge

Agent z- apni bakwaas bandh karo...aur sach sach bolo


Agent q- aree mein sach keh kar raha hoon meri mummy mujeh chit chor kehti hai ..woh kehti hai ki mein toh chit chor hoon aur bhaisahaab hum woh wale chor nahi hai...

Lajo- bhavna bhabhi mein ne sweety singh ko bulaa liya who bas aate hoge

Here agents are trying to tell that they are not chor but none listens to them
Suddenly all other vendors start to beat both agents

Samar- chaliye hum chalte hai.. sweety singhji aajaayenge

Bhavna aunty - haan haan jaldi chalo .. bahut kaam pada hai chal samar beta tujeh mast top class gujarati khaana khilaati hoon

Samar- nai bhavna aunty Phir kabhi abhi orphanage ka bahut kaam pada hai toh bas abhi direct mein orphanage jaaunga mein ..

Bhavna aunty - acha koi baat nahi par dusri baar zaroor aana

Samar leaves...

... ...

After some days.

Vasant comes down calling out varsha

Vasant- varsha !!! varsha .kaha ho kaha ho... sharad ...sharad... jacky... jacky ...megha ..megha .. varsha.. varsha...varsha..areee kaha reh gaye sab ke sab..varsha megha sharad..ooo baniyan kaha hai


Sharad and jacky enters ghotala house ...carrying some bags

Sharad- bhaiya kya hua aap bhabhi ko kyu bulaa rahe hai bhabhi bahar phynel kharid rahi hai

Jacky- haan aur who phynel waale bhaiya toh acha khaasa discount de rahe hai...

Vasant- areee pheynel ko maaro goli bahut badi musibat aayi hai..sharad jacky...

Sharad- bhaiya kya hua sab thik tih hai na boliye na kya hua

Vasant- sharad ..grishma gayab hai ?

Sharad and jacky - kya???

Vasant informs the same to varsha..varsha is shattered and starts crying ..Hemant starts to give company

Varsha-( crying) aaa 333 meri bachi kaha hogi.. vasant kuch kijiye na vasant...

Vasant- mein kar raha h oon varsha hc se contact karne ki koshish kar raha hoon..aur hemant beta please chup hojaa rona bandh kar..

Hemant- nai mein mummy ko company doonga..

Bhavna aunty- hemant hemant dekh rona bandh kar aur soch ki grishma kaha ho sakti hai jaa jaake bhairavi ke saath soch aur varsha ..varsha dekh beta shaant hojaa grishma mil jaayegi..

Varsha- bhavna aunty kahaa hogi who abhi toh who sirf 50 ki hai

Ohja uncle- ke ke ke ke bol rahi hai varsha ghotala taarih chori 50 saal ki hai...

Sharad- ohja uncle logically..woh hamare alien ki umar ki calculation alag tarike se hoti insaani umar ke hisaab se grishma 5 saal ki hai

Ohja uncle- kaise calculation maareh ko samjha logical ghotala..Maareh ko hui jaana hai ki alien calculation ke hisaab se maarih umar kitni hai..

Sharad- calculation bahut easy hai ohja uncle dekhiye logically..

Varsha and hemant starts to cry harder...

Megha- sharad... apni paathshaala bandh karo abhi ...Baad mein. Calculation samjha dena

Manav- vasant bhaiya aap 555 nani se puchiye na..shayad who unke saath ho

Vasant- nahi manav who unke saath bhi nahi aur naahi 420 dada aur 90 daadi ke saath issliye toh hc ko contact kar raha hoon par woh hai ki hamesha jabhi jaroorat ho tabh time pe aate nahi screen pe..patah nahi kaha hogi meri bacchi..manav .. hey partherwaale bhagwan uska khyaal rakhna..

Here somewhere in galaxy,,,

Grishma- mein bina bataye aayi hoon. Lekin mujeh aana hi tha

...-----------------------------__--------------...
@ ghotala house

Megha-bhabhi please aap roye mat grishma mil jaayegi..

Varsha- megha patah nahi kaha hogi meri bacchi kitni chotti hai patah hai na pichli baar rocket lag gaya tha use.

Vasant- varsha varsha hc aa gaye jaldi aao

Hc-ishaaba kya hua vasant itni emergency mein kyu bulaaya

Vasant- hcji grishma nahi ,mil rahi woh grah pe nahi hai aap dhoodhiye na use

Hcji- wooo vasant wooohhh kya hai na ki

Lajo aunty- oh ho ab inka shastriy sangeet chalu hogyaa

Varsha- hcji aap shastriy sangeet baad mein shurur karna pehle meri beti ko dhoodhiye

Hcji - hi hi hi woh vasant kya hai na ki... woooh woo dekho gussa mat hona

Jacky- yeh hcji aisa behave kyu kar rahe hai

Megha- pakka unhe patah hai grishma kaha hai..woh aise grah pe behave karte the jabh unhe kuch prithvi pe se mang vaana hota hai ya phir unhe kuch patah ho toh who aise hi behave karte mere saamne bhi kai baar aisa behave kiya hai unhone.

Vasant- hcji please aap bataye na agar aapko patah hai toh

Bhavna aunty- ooo hcji abhi jaldi grishma ko dhoodho warna mein jo mast high class shakarpaara bhakharwadi aur chevda banaya hai woh nahi bhejungi

Hcji- darsal vasant mujeh girshma ne kasam dithi woh aarundhati devi woh bahu meri beti nahi serial ki vamp ki kasam di thi ki mein na bataoon ki woh dharti par aa rahi ...

Varsha- kya??? Grishma dharti pea a rahi haii..air aapne aane kaise diya aapko patah haina 50 saal ki hai who kitni chotti hai

Hcji- haan mein jaanta hoon par who bahut ziidd kar rahi thi aur mein manna nahi kar paaya

Lajo aunty- areee toh aapko samjhna tha use aap aise kaise ek chotti bacchi ko akele bhej sakte hai

Vasant- hcji aapko patah hai na raaste mein kitne meteoroids hai phir bhi aapne permission de di ..aapko hame batana toh chahiye tha

Hcji -woh mein bhul gaya who mein hc hoon toh ...hi hi hi par chinta mat karo who sahi salamat arahi hai dhharti pe mein uske spaceship ko trace kar raha hoon..yeh khaman khaate khaate...

Varsha- aap aise kaise bhul sakte hai hcji ..heeein..

Hcji- kuttu kuttu varsha mein manta hoon meri galti hai ..lekin mein bhi majboor tha grishma ne kasam di thi aur who tum sabko yaha bahut misss kar rahi thi issliye mein ne use permission di waha aane ki... uska spaceship bas thodi der mein land hoga sunshine colony mein...

Vasant - thik hai hcji hum jaise hi grishma pauch jaayegi toh hum aapko bata denge.

Hcji- hoon..waise bhavna bhabhi jaraa thoda thepla aur chevda aur khakhra aur bhej dena...

Bhavna aunty- ooo alien rajasthan express mein bhej doongi abhi banne nahi hai.

After hcji calls...

After few min
All lights start to flicker...

Vasant - lagta hai Grishma aagayi varsha . shishir jaao jaldi se piche ki kidhki khol do ...

With in few min...A small spaceship enters ghotala house..
Colonywala are amazed in seeing spaceship..
After few min.. spaceship door opens and a small girl enters ghotala house...

Vava - Grishma!!!!

Grishma sees her parents and is happy and immediately hugs them...

Vava hugs Grishma and cries...

Grishma- Mummy papa..Mein ne aapko bahut miss kiya ...

Varsha- meri bacchi...kaisi hai ... Tu thik hai na

Grishma- haan mummy mein thik hoon ...mummy ab mujeh yahi aap sabke saath rehna hai .Waha mujeh acha nahi lagta ..Aap sab ke bina

Vasant- haan haan ab tu yahi rahegi ..Tu wapas nahi jaayegi...Hume bhi tere bina acha nahi lagta...333

Ghotalas are happy to see Grishma..
Colonywala too are happy and emotional ..Soon Grishma greets all...
------------------------------------------------------------------------------------------
After few days

At orphange
Manav and sharad are talking

Sharad - tumne sahi kaha manav woh hai hi bahut pyaari tumne uska abhi real alien. Wala roop nahi dekha woh toh insaani roop se bhi zyada pyaari dikhati alien roop mein Grishma .. bilkul nahnahi pari ...ppp

Manav - sharad dhire bole ...agar yaha kisine alien word sunn liya toh problem hojaayegi

Sharad- oh haan.sorry sorry..

Meanwhile Shruti is passing by the room and here's manav voice..she slowly peeps in through window to hear their conversation

Manav - waisa sahi kaha sharad she is so cute ..bahut hi pyaari ..bahut hi sweet hai..mein toh fida hogaya usspe sharad..sachi...

Shruti- (in mind ) yeh manav kiske baare mein baat kar raha hai..aur yeh sweet ..cute kisse kehte raha hai..

Manav - (showing his moblie) dekho sharad yeh dress mein ne pasand kiya hai kaisa lagaa ..thik toh hai na ..usse pasand aayega na...

Shruti-(in mind) Toh lagta hai kisi ladki ke liye dress liya hai...hmm acha toh issliye manav itne dino se phone pe busy rehta hai...lekin yeh ladki hai kon...lekin yeh sab se mujeh kya ..chodo mujeh kya ..hogi koi..

Shruti leaves from their in anger

In kitchen..

Shruti was getting angry on thinking who was the girl and angrily chops the cabbage...

Shruti- lagta hai nayi girl friend Bani hai issliye sadu bhaisaab havaa mein udd rahe ...hai..issliye aajkal phone kuch zyada aa rahe hai...Khabar toh loongi manav ki mein...bahut achi tarike ke se Khabar loongi sadu ki ...

Samar enters kitchen and sees shruti talking to herself...
Samar smiles on seeing shruti

Samar- areee shruti..behne gobi pe rehm karle..kyu pura gussa gobi pe uttar rahiye..ab kya jhagda kar ke manav ke saath

Shruti- bhaiya aap naam mat lijiye uska...uski girl friend hai yeh mujeh bataya bhi nahi... Achi tarah se Khabar loongi uski .aane do sadu ko

Samar- (laughing) kya???..

Shruti- bhaiya yaha mein pareshan hoon aur aap has rahe hai ..

Samar- areee hasu nahi toh kya karu..shruti...

Shruti - bhaiya!!!!

Samar-acha okay okay sorry..mujeh ek baat bata yeh kaise patah ki woh uski girl friend hi hogi...

Shruti - areee bhaiya mein ne sunna woh sharad se keh raha tha bahut sweet hai cute hai..pari hai...huh

Samar- hmmm par tujeh kyu jalan ho rahi hai..tujeh kyu parvaah ho rahi hai???

Shruti -(stammering) kya parvaah?? Jalan ?? Never Samar bhaiya.mein toh bas ..aise hi woh bas ...aise hi bhaiya...woh kya hai na baccho pe kitna bura asar hua toh...

_-----------------------------------------------------------------
At orphange garden

Shruti was planting some plants.Manav was helping her out..

Shruti-(mumbling ) aajkal kuch log bahut busy hogaye hai..itna ki yeh Dhyaan nahi aata ki kuch aur farz hote Jo complete karna hota hai.kaam toh complete karna hai nahi bas ...timepass karna hai..

Manav-shruti I really think Tumhe psychiatrist ki jaroorat ..

Shruti- kyu????

Manav- kyuki aise khud se baat karna acha nahi hai...

Shruti - mein kyu jaao..tum jaao..Tumhe check up ki jaroorat hai

Manav- shruti seriously tumhara kuch samjh nahi aata abhi kal toh thik ..Aaj kya hua hai..Tumhe...na tum..

Before manav could say further .. they hear a faint voice , a voice which was in pain... .from near bushes..

Manav : Yeah kiski Awaaz hai??

Shruti - yahi kahi se awaaz aa rahi hai

they search...and Finally they see Rahul in between bushes ...
They bring him out & ask him reason...

Manav : Kya hua Rahul ?? Tum yahan kyun baithe the? aur ro kyun rahe the??

Shruti : Haan Rahul bolo!! kisi ne tumhe daanta, kisi ne mara, aur tum yahan akele kyun ho??? baki tumhare sab dost kahan hai???

Rahul :(crying) Woh...woh.. Sa...sab...khel rahe hai. Par me bahut dhire daudta huu toh koi mere saath nai khelta...ko ..ko...koi bhi .. sa...SA...sab ko lagta hai meri wajah se wo...wo..woh log ha...ha..haar jayenge.. koi mujhe apne team me nai lena chahta...

Rahul starts to cry loudly
Mashru consoles rahul
After some time rahul stops crying..but he is still upset

Shruti- ( towards manav) mein samjhati hoon Rahul ko tum jaao..

Manav-(taking rahul in arms) hmmm nai mein baat karta hoon Rahul se ..it's man to Man talk...

Shruti- kya man to man talk woh chotta baccha hai woh..chalo Rahul mere saath

Manav and rahul vesves...

Shruti-hawww pyschiatrist ki jaroorat Tumhe manav ...
Manav and Rahul near a ice cream parlour

Manav - patah hai Rahul pehle mein bhi tumhari tarah bahut slow slow run karta aur tumhari tarah mujeh bhi koi apni team nahi leta tha...aur issi tarah ek din mein bhi tumhari tarah rone lagaa..

Rahul- phir kya hua manav bhaiya?

Manav- phir na mere sir ne mujeh kaha ki ..aise Rona nahi chahiye ..Tumhe himmat rakhni chaiye aur apne aapko kabhi kamzor nahi samjho..chaje Jo kuch ho...

Manav consoles Rahul and motivates him and asks him not get upset and be brave like a soilder
...
@ orphange garden

Manav is with sharad and Jacky when he gets a call from his head quarter

Manav- head quarter se phone? Iss waqt?

Manav pick up the call

Manav- ..Captain.. Manav..Reporting.. sir

Mr.singh- Capt...Manav .LFt...General ..Singh bol raha hoon..aapko urgently army office mein report karna hoga...Baaki saari information aapko waha Di jaayegi...

Manav- sure sir..Mein abhi report karta hoon...Roger sir...Jai hind...

Mr .Singh - Jai hind Capt..Roger..

Jacky- kya hua manav kisika phone tha..

Manav- army headquarters se tha.. sharad Jacky tum sab immediately colony ke niklo ..Mujeh urgently army office jaana hoga...Mein niklta hoon..

Manav leaves for army office and here sharad Jacky along with hemant and megha leaves for colony...

At colony garden...

Lajo aunty and varsha along with Grishma were in colony garden .They see mesha and Jacky , hemant coming towards colony

Varsha- areee sharad , Aaj itni jaldi wapas aagaye aur manav kaha hain..

Lajo aunty- haan woh gaya toh tum sab ke saath tha..Kahi phir se shruti ki help karne ke bahaane waha rukh toh nahi gaya...

Sharad- bhabhi...Lajo aunty.. Hume manav kaha ki tum sab colony jaao ..Patah nahi par woh tensed tha..Usse urgently army office bulaaya hai..Issliye woh waha hogaya

Lajo aunty-urgently army office ?? Aur kuch kaha manav ne ...

Jacky- nai kuch bhi nahi kaha .. lajo aunty...

Suddenly ohja uncle comes out ...

Ohja uncle - areee lajo..Areee lajo...Lajo...

Lajo aunty- ke hua ohjaji kyu chilla rahe hai..

Ohja uncle- lajo abhi t.v. pe news as rahi hai ki Kashmir aur Rajasthan ke border pe aantanki ghusse hai...

Lajo aunty-ke..Keh rahe hai ohjaji

Soon all are gathered at ohja Uncle house...To watch news...

Manav comes after some time...

Ohja uncle- manav beta ke hua kyu bulaaya tha thare ko..Aur abhi Jo news..pe..Bata rahe hai kya woh sach hai..

Manav -haan papa aur issliye mujeh ab jaana hoga..Mera transfer bhi hogaya hai..Mujeh Rajasthan transfer Mila hai aur abhi hi nikal na...Hai..Mein bas apna saaman lene aaya hoon...

Lajo aunty - par beta kaise jaayega...

Manav- Ma mujeh yaha lene aayenge ..Mein yahi se jaa raha hoon...Apne dost ravish ke saath

Lajo aunty - thik hai tu jaa beta. Tyaar hojaa...Mein Taareh liye kuch khaane ka saaman pack karti hoon..

Lajo aunty is worried but doesn't show...
Manav is ready to leave...
Lajo aunty does Aarti of manav..She is emotional...

Manav wipes her tears

Manav- Ma... mat ro kuch nahi hoga...Mujeh..

Lajo aunty- chore Taareh ko nahi patah jabhi tu nahi hota toh maareh ko kitni chinta hoti hai...Tu nahi samjhega ma ki chinta ...

Manav- Ma..Kyu darti ho.. fauji hoon ...Kuch nahi hoga mujeh...(wiping lajo aunty's tears) Aur agar kuch hua bhi na toh Ma rona mat ..Muskuraana .Kyuki Tere bete ka khoon uske watan ke kaam aaya ..

Lajo aunty- chup hojaa..Aisi baat nahi karte jaate waqt mujeh yakin tu wapas aise hi haste hue aayega...

Ohja uncle - lajo chinta mat kar yeh maarah beta hai maarah ..Maarah naam Roshan kar ke aayega...hi..Hi..Hi

Manav takes aashirvaad from everyone .

Manav - Aap sab apna Dhyaan rakhna aur woh agents se bachke rehna..Aur haan .Yeh baat colony ke bahaar nahi jaani chahiye ke mein kaha gaya hoon...

Sharad- kisiko patah nahi chalega manav..Tum tension mat lo..Bas jadli se wapas aajo...

Manav just smiles. And hugs sharad .. and others..
And leaves...

After few days ...

Shruti is taking classes..she sees mesha and Jacky coming ...

Shruti- (in mind ) Aaj bhi manav Nahi aaya ..mera call bhi pick up nahi kar raha ...aur naa hi msg ka reply de raha hai.. sharad se puchti hoon kyu nahi aa raha woh...

Shruti asks sharad about manav...sharad lies to her that manav had gone to his relative place for some days and he will be back soon with in 2-3 days

@ next day orphanage

Shruti is helping Mali kaka in garden...she sees sharad coming towards garden along with a small girl...

Sharad - hi shruti...

Shruti- hi sharad ..tum yaha Aaj toh tum nahi aane waale the na...Aur yeh Jon hai

Sharad- sahi kaha . Abhi hum sab bahaar ghumne jaa rahe hai.lekin logically yaha mein kisi ko milwaane laaya hoon...meri bhatiji hai yeh...

Shruti - yeh tumahri bhaitiji hai?? Lekin tumne kabhi pehle bataya nahi ...

Sharad - haan sahi kaha ..woh logically kya hai ki jab hum yaha aaye the na toh Grishma bhi hamare saath aayi par woh tab bahut chotti thi aur usse yaha ka weather suit nahi hua issliye phir woh apni nani ke saath wapas suryanagar chali gayi

Shruti - oh that's sad...bahut yaad aati hogi na vasant bhaiya aur varsha bhabhi ko Grishma ki..

Sharad- haan bhaiya bhabhi kabhi kehte nahi the par mujeh patah tha unhe bahut yaad aati thi...lekin ab yeh thodi badi hogayi hai aur usse yaha ka weather suit karta hai..toh ab yeh yahi hamare saath rahegi..

Shruti - that's great... (Bending down ) hey beautiful ...aap ka. Naam kya hai...

Grishma - mera naam Grishma hai ...

Shruti - ooh yeh toh bahut acha naam hai..( looking towards Sharad) sharad tumhari bhatiji bahut pyaari air bahut cute hai..Mann toh karta hai Grishma ko apne paas rakh loo aur apne se door na jaane doon.. bilkul pari hai pari ..nanhi pari...

Sharad- haan yeh toh hai..Grishma toh bahut hi cute hai..abhi hum log isse zoo ghumne le jaa rahe hai..toh mein chalta hoon warna bahut der hojaayegi..

Shruti - koi baat nahi ..tum jaao..hum baad mein baat karenge aur haan Grishma tum bhi aana Tumhe Samar bhaiya se mil waaungi woh Tumhe dekh ke bahut khush honge...

Sharad-sure mein Grishma ko dubara laaunga orphanage ..chalo mein chalta hoon.. Grishma bye karo didi...ko

Grishma waves bye bye to shruti..
Shruti too waves her good bye..

Shruti-yeh kya kar diya mein ne manav yeh Grishma ki baat kar raha tha aur mein ne na jaane kya se kya sochne lagi aur isski wajah se kya gadbad kardi...mujeh manav se baat karni hogi bichare ke saath khamakha naaraz hogayi mein..

After few days

Shruti is sad as she is not able to talk manav...and this is noticed by others...

At shruti house,

Shruti was searching clothes in her cupboard

Shruti- kya pehnu ..kya pehnu .. yeh bhi pehn liya ..yeh bhi... Yeh bhi..haan yeh yellow wala try karti hoon...

Looking before mirror

Shruti - hmmm nai yeh bahut bright hai...yeh blue wala bhi Kai baar pehn chuki hoon. ..oh god kya karu...mein kuch samjh nahi aa raha hai..yr...

Shruti's mobile ring...

Shruti -(picking up the call) boliye bhaiya ...

Samar- areee kaha hai shruti tu..kitni der hogayi...Aaj

Shruti - bhaiya mein kabse decide nahi kar paa rahi hoon ki kya pehn ke aau...

Samar- kya ?? Tu Aaj decide kar rahi hai ki kya pehnke aau..interesting ... Acha chal jaldi aa mein ne Tere liye breakfast banaa raha hoon...

Shruti - aati hoon bhaiya ...acha sunniye megha aagayi kya ?

Samar- nahi toh abhi tak nahi aayi thodi der mein aajayegi..kyu kya hua

Shruti-(happily ). kuch nahi ...acha thik hai mein aati hoon bhaiya aur haan mein aa rahi hoon aapki help karne breakfast mein ..acha bye bye ..

Shruti cuts call.

Shruti - hmm kuch mil nahi raha yeh yellow wala hi pehn leti hoon ...

Shruti changes her clothes and leaves for orphange...

At orphange

After breakfast ..shruti goes to take class...She becomes happy on seeing megha and others but is disappointed as manav didn't come today...also

Shruti sees Mali kaka

Shruti- Mali kaka ..Mali kaka .. sunniye..

Mali kaka- bolo shruti bitiya kya hua..

Shruti- Kaka manav aaya hai kya Aaj ?

Mali kaka - nahi bitiya manav abhi tak toh nahi aaya

Shruti - acha thik hai agar aaye toh mujeh bulaana kaka mujeh...

Mali kaka - haan thik hai bitiya...

Shruti-(in mind) Aaj bhi nahi aaya manav.. abhi bhi woh gussa issliye nahi aaya ... Galti meri bhi hai mein ne kitna bura behaviour kiya tha ...mein uske ghar jaati hoon lajo aunty se baat karungii kaha hai woh...
...
@ ohja house...

Lajo aunty is happy to see shruti after so many days... ..
Lajo and shruti takes lunch together

After lunch

Shruti asks about manav...
Lajo aunty lies about manav

Lajo aunty - haan haan thodi thodi baat ho paati hai..waha network ki problem hai toh bahut baat nahi ho paati...kya hua..tujhe kuch kaam tha manav se..

Shruti -woh aunty kuch khaas kaam nahi..woh darsal...woh kya hai na ki.

Shruti suddenly hugs lajo and starts to cry...

Lajo aunty- shruti ..ke hua beta..tu ro kyu rahi hai shruti ..ke hua tum dono ka jhagda hua tha kya

Shruti -(crying) aunty..nahi jhagda nahi hua par...
Shruti tells about the misunderstanding..

Shruti -(crying) aur issliye jab mujeh patah chala.toh mein manav ko sorry bolna chahti hoon..mein kitne dino se try kar rahi hoon usse baat karne ki par uska phone switch off aa raha hai aur mujeh patah nahi kyu issliye bahut tension ho rahi ..bahut chinta ho rahi hai uske liye ..aunty...

Lajo aunty-(wiping shruti's tear) bawaari ...itni baat ke liye ro rahi hai...chaal mein tujeh manav ki bachpan ki tasvir dikhati hoon...


@ nighT

Somewhere near border

Manav aand Ravish are discussing something with santosh

Manav- santosh alpha 0.5 mein kya situation mujeh uski reports chahiye

Santosh- Yes sir

Ravish- aur haan hum dushman mulk hamara attention divert karne ke liye koshish kar sakta hai..toh aap nazar bananye rakhe aur zaraa si bhi gadbad lage hAME inform kjiYes


Saluting to ravish and manav santosh leaves...
...

A person comes and hands over two plates
Manav and ravish walks out of tent and sit down to eat...

Ravish- aur bata manav sab kaisa chal raha hai...uncle aunty kaise hai

Manav- woh thik hai tu bata raagini aur khushi kaise hai

Ravish- raagini aur khushi ache hai..bas abhi hi nursery join ki hai khushi ne... Tu apni bataa teri aur shruti ki kahaani kaha tak paunchi...

Manav-kya??? Meri aur shruti ki kahaani??

Ravish- haan captain sahaab aapki aur shruti .kab aap apne dil ki baat kahenge..

Manav - captain ravish ...mein aapki jaankaari ke liye bata soon mere aur shruti ke bich kuch nahi chal raha ..

Manav takes a spoonful of khicdi ...
He remembers shruti when she made delicious khicdi ... a smile crept on his face...

Ravish notices this...

Ravish-Manav isqh aur musqh chupaaye nahi chupte...aur yeh tumhare chehre se saaf nazar aata hai ki tujeh isqh hua warna yeh khicdi khaate hi Tu kisi ko ya phir shruti ko yaad nahi karta ..

Manav - aisa kuch nahi hai ravish...acha chal prove karke bata ki I m in love with shruti...

Ravish - sabko pehle yahi lagta hai ki kuch nahi..manav..par phir dhire dhire tujeh patah chalega ki how much you miss her..uski chotti chotti aadate Tere zindgi ka hissa ban jaayegi...aur toh aur jab woh royegi toh tujeh dard hoga usse rote hue dekh ke ..I m sure aisa hua hi hoga..kyu sahi kaha na.. manav?

Manav remembers the day when he saw her crying ...

Ravish- Teri chuppi ne saare jawab de diye rahi hai manav ...tujeh abhi realise bhale ho ya na ho ..par tu usse pyaar karta hai..isiye toh tujeh hamesha uski concern rehti hai..jab woh muskuraati hai toh tujeh yeh sab se zyada khushi hoti aur usse baat karne ke liye tu hamesha koi na koi bahaana air jhagda karta hai...aur mujeh patah hai Tu kisi ke saath zyada naaraz ya gussa nahi reh sakta tujhe..

IMA se jaanta hoon hum dono hi saath hi captain banne the aur ek hi room mate hai...manav isse pehle ki der hojaaye accept it you are in love ...man...tu shaanti se soch...

Manav is silent ...he is thinking whether he is in love or not...

@ night ... shruti's house
Shruti is sitting near her window.

Shruti- (looking towards sky ) . .patah hai ma papa Aaj mein manav ke childhood pics dekhe woh kitna cute aur sweet lag raha tha..ma...aur patah hai ma woh Sabase zyada cute tab lagta hai jab woh jhut muth ka gussa hone ki koshish karta hai...patah nahi par Ab mujeh uski saath ki aadat hogayi hai papa..woh jabhi nahi hota toh chinta hone lagti hai mujeh...

Shruti tune in the radio...

Rj- romantic atmosphere hai..aur iss pyaar bhare mausam ke liye yeh gaana mein bajaane wala hoon yeh gaana unke liye Jo aapke dil ke koi khaas hai..aap yeh gaane se apne kisi Ruthe ko manna bhi sakte hai waise yeh
..gaane se aap patah kar sakte hai ki woh koi khaas aapka pyaar hai ya nahi ..toh zyada time waste nahi karunga ..yeh lijiye yeh pyaar bharaa gaana

Song starts

Shruti- ( in mind ) try karti hoon kya patah mere kuch sawaalo ka jawaab mujeh mil jaaye

Shruti closes her eyes
After few minutes
A smile crept on her face..she opens her eyes..and says 'manav'


@ somewhere near border..

Manav and ravish comes to their tent after patrolling..

Manav was pondering on what ravish..said he remembered the moments which he spent with shruti in orphange..

Surely ravish was right ...manav thought...He never knew when he fell in love with her...with her antics..He never showed but he had concern for her.. whenever she was upset ..He hated when she used to cry...and always loved to argue with her...

Indeed he was in love ...with shruti...manav thought and smiled...


Precape- -what will happen when Grishma and Samar meets at orphange..??when will the differences between megha & sharad clear out??...

To know more stay tuned😉

Edited by Krish58 - 8 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

7 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Saumya96

2 years ago

SKR FF 6:"Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story.Updated @ page 107

Hello everyone ☺️ This is Saumya ❤️ I have completed the five long threads of my FF "Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story Following are the...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".