Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 19

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.6k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

.FlyingClouds. thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
Amazing update
Ab please jaldi se sab theek kar do
Cont soon
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
finally kabeer aur ananaya mil hi gye bs jldi se kabeer ki misunderstanding ananya dur kar de..amzing update..thnx for pm...and also for such a nice update...
ronojoy_ria thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
hi
the up is really good
so Alekh and ananya both are happy to meet each other after so many days they both tried to wipe out all their bitter memories and bring out a new fresh one and this not unnoticed by suhana and lakhya who had already planned to unite them specially kabir and ananya
so as per their plan they all went to Shimla whose beautiful sights and ice cold whether not only bought a broad smile on everyone face but also made Kabir meet his friend Alekh and Ananya
With the help of Lakhya Alekh and annaya went to Kabir's house
Kabir who got shocked to see them there but was happy too
Finally the bitterness gets sorted out btw Alekh and Kabir but Ananya and Kabir still didnt confess their love
Whereas here KKN's future is getting down and with Ronnie entry what will happen next just have to check out
i just hopesuhana words works for Kabir and he re enter mumbai to show the main culprits their lessons
plz cont soon and pm me
jasminerahul thumbnail
Posted: 9 years ago
Alekh ananya met.Liked Suhana questioning alekh 4 not trusting Kabir.Alekh rly regrets.Hope Ronnie also regrets soon.Lakshya Suhana succeeded in taking Alekh Suhana 2 shimla 4 picnic n making them meet Kabir.It was emotional.They convinced Kabir 2 come back 2 punish d real culprits.Waiting 4 a strong kabir who punishes d culprits.Now Rocky entered.what twist is he going 2 bring?
Precap is interesting.kabir still thinks that ananya is seeing Sameer.hope d confusion gets cleared n they confess their luv
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: ronojoy_ria

hi

the up is really good
so Alekh and ananya both are happy to meet each other after so many days they both tried to wipe out all their bitter memories and bring out a new fresh one and this not unnoticed by suhana and lakhya who had already planned to unite them specially kabir and ananya
so as per their plan they all went to Shimla whose beautiful sights and ice cold whether not only bought a broad smile on everyone face but also made Kabir meet his friend Alekh and Ananya
With the help of Lakhya Alekh and annaya went to Kabir's house
Kabir who got shocked to see them there but was happy too
Finally the bitterness gets sorted out btw Alekh and Kabir but Ananya and Kabir still didnt confess their love
Whereas here KKN's future is getting down and with Ronnie entry what will happen next just have to check out
i just hopesuhana words works for Kabir and he re enter mumbai to show the main culprits their lessons
plz cont soon and pm me


Thanku ria ur biggg comments motivates me thanks alot
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: jasminerahul

Alekh ananya met.Liked Suhana questioning alekh 4 not trusting Kabir.Alekh rly regrets.Hope Ronnie also regrets soon.Lakshya Suhana succeeded in taking Alekh Suhana 2 shimla 4 picnic n making them meet Kabir.It was emotional.They convinced Kabir 2 come back 2 punish d real culprits.Waiting 4 a strong kabir who punishes d culprits.Now Rocky entered.what twist is he going 2 bring?
Precap is interesting.kabir still thinks that ananya is seeing Sameer.hope d confusion gets cleared n they confess their luv


Thanku so much dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** Sirf Tere Liye ***

Part 14

karan:- ronnie...

ronnie:- bhaiya...

rocky:- u both know eachother...great...ronnie yeh karan sharma...KKN ke business head...aur maalik... humara competition KKN se hi hai...humein ab itani mehnat karni hai...ki KKN ka nam aur nishan tak na rahe...(ronnie is shocked...) u enjoy i will be back...( rocky left...)...

karan:- kaise ho...ek bhai to chala gaya tha...baki dono ne bhi humesha ke liye muh mod liya...humari bhi parwah ki hai na...

ronnie:- bhaiya... i m sorry...

karan;- dont be...enjoy...waise kabhi socha nahi tha...jo ronnie kabhi KKN ki kamayabi ke sapne dekhta tha aaj wahi KKN ko barbaad karne ke liye lauta hai...waise hows... richa...?

ronnie:- wo achhi hai...

karan:- hmm...good byee...(karan left...)...

ronnie in his mind..:- oh god main yahan aane se pehle kaise bhool gaya ki mumbai me mujhe KKN ko hara kar aage bhadna hoga kya main kar paunga...nahi main kabhi nahi...(and ronnie left from the party...both karan & rocky noticed it...)

shimla...

kabeer apni balcony me khada hai...aur kuchh soch raha hai...aalekh sofe me baitha hai...aur wo bhi apne khayalo me gum hai...tarini suhana lakshya aur anurag kitchen me busy hai...ananya kabeer ke pass aati hai...aur uske kandhe me hanth rakhti hai...

ananya:- yahi soch rahe ho na ki kya karna chahiye kya nahi...

kabeer:- ha ek pal lagta hai ki i have to fight... phir dusre pal lagta hai ki kiske liye...

ananya:- mere liye...(kabeer looks ananya...) ha kabeer mere liye... tum mante ho na ki maine tumhe galat nahi samjha tha...bolo ha ya na...(kabeer nods in yes...) to mere liye kabeer...sirf mere liye...mujhe insaaf chahiye...nupur ke liye...mujhe insaaf chahiye...richa ronnie aalekh ke liye... mujhe insaaf chahiye humare pariwaar ke liye...mujhe insaaf chahiye mere liye...mujhe chahiye tere liye... meri parwaah hai kabeer tumhe...? bolo agar jara si bhi meri fikra hai...toh tumhe lautna hoga...agar ek pal ke liye bhi mujhe apna dost mana hai to tumhe jeetna hoga...agar meri khushi chahte ho to tumhe ladna hoga...main tujmse nahi kahungi ki apne pariwaar ke bare me socho...par pata nahi aaj man kar raha hai kehna mere liye maan jaao kabeer...Sirf mere liye...thak gayi hu main in saalon me aisi zindagi jeete jeete jahan muskaan to hoti hai par khushi nahi...saansen to chal rahi hai...par zindagi nahi...sir peh chhat to hai...ghar nahi hai...loge to hai par apne nahi hai...plzz kabeer...agar aaj tum ek kadam nahi uthaoge...to wahi pahunch jayenge jahan chaar saal pehle khade the...sab jo already bikhara hua hai...wo aur bikhar jayega...(both have tears...kabeer slowly puts his hand on ananya's head...and instantly hugs him tightly...both are hugging eachother...after separation of 4 long year first time they were so close to each other...)

for kabeer:-
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

zindagi...gawan kar bhi... jo zindagi mile...
har khushi gawaan kar bhi...jo ek hasi mile...
aaa...zindagi...gawan kar bhi... jo zindagi mile...
har khushi gawaan kar bhi...jo ek hasi mile...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

for ananya:-
sau sitam utha kar bhi...
jo ek khushi mile...
sau jannatein gawan kar bhi...
jo ek jameen mile...

tere sajde me, sir hai jhuka...
tu ibaadat hai... tu hi duaaa...

maut ke baad bhii...
jo mile bandagi ka silaa...
to maang lun...tere liye...tere liye...
tere liye...haa...tere liye...
teereee liyee...haa...tereee liyeee

sabhi ander hai...aur kabeer ananya ko dekh rahe hai...sabhi ke aankhon me nami hai toh honthon mein hasi...tarini daud kar apne ghar chali jati hai...suhana aur lakshya ko bahut azeeb laga...par unhone kuchh nhai kaha...

kabeer:- main wada karta hu ananya...mujhe nahi pata meri kismat me kya likha hai...par ab main un logon ko nahi chhodunga...jinki wahan hum sab ki barbaad hui...hum sab alag hue...kabhi nahi...mujhe thoda waqt dedo...
(ananya has a sweet smile...kabeer wipes her tears... now both are looking at the sky...)...bahut badal gayi ho ananya... look at ur self saaree..yeh bangles...aur specially yeh nose ring...jayda sunder lagne lagi ho...(Ananya smiles sadly...)aur bahut bahut jayada mature bhi...par chehre ki chamak gayab hai...

ananya:- kya fark padta hai kabeer...koi hai nahi jiske liye...(both looks at eachother...)...

kabeer:- kyun mujhe to laga tha ki abhi tak tumhari saadi bhi ho gayi hogi...(Ananya is shocked...) 2, 4 bachho ki maa ban gayi hogi...

ananya:- shut up ha...

kabeer:- waise shaadi kyun nahi ki...? sameer kaha hai...?

ananya:- sameer?...

kabeer:- ha wahi jisse tum pyar karti thi...wo jisse tumne mujhe milaya tha...

ananya:- kabeer actually tunhari sabse badi problem yeh hai ki tum wahi dekhte ho...jo tum dekhna chahte ho...tab bhi tumne galat samjha tha aur aaj bhi...maine tumse kabhi nahi kaha ki main sameer se pyar karti hun...tumne khud hi sab...

kabeer:- kya bakwaas kar rahi ho...bhaiya ki shaadi ke din tumhi ne toh...

annaya:- ha kaha tha,...yeh nahi kaha tha ki woh sameer hai... woh to tumhari aur malvika ki date ,maine aise hi keh ditya tha ki sameer meri date hai...just for fun...wo mere bhai ki tarah hai...(dhamake on kabeer's face...)...maine kaha tha ki main jis ladke se pyar karti hun mera bahut achha dost hai...par wo mujhse pyar nahi karta...yeh nahi kaha tha ki wo sameer hai...aur sahi kaha tumne...saadi to ho gayi hai...par sameer ki...aur abhi uska ek beta bhi hai...(dhamake on kabeer's face...)...

kabeer:- iska matalab...

ananya:- main sameer se nahi kisi aur se pyar karti thi...bahut pyar...aaj bhi usi se karti hu...aur humesha karti rahungi...par afsos ki woh tabhi bhi mujhe nahi samajh aur aaj bhi nahi samajhta...

inside...

lakshya:- aye anurag...yeh tarini ko kya hua...aise kyun gayi...

anurag;- woh kya hai...mana ki tarini didi bahut strong hai...par jab aapke kisi se pyar karte ho...aur aap jante ho ki wo aapko kabhi nahi milega...to takleef to hoti hai...tarini didi janti hai ki kabeer bhaiya unke kabhi nahi honge par pyar to pyar hai...

lakshya:- kya tarini kabeer se...?

anurag:- ha...

suhana:- oh no...poor...

aalekh:- ek minute...oye anurag kya kaha tune kabeer tarini ka kyun nahi ho sakta...koi problem?...

anurag:- aap log na ek no ke ghochu ho,... mana ki ananya didi kabeer bhaiya ko pyar nahi karti...par kabeer bhaiya to sirf ananya didi ko pyar karte hai na... to wo tarini didi se shadi kyun kareinge...(dhamake on suhana's lakshya's & aalekh's face...)...

aalekh:- kya kabeer ananya ko pyar...

anurag:- ha...mujhe aur tarini didi ko sab pata hai...jab aap loge goa gaye the na...4 saal pehle... usse bhi pehle se kabeer bhaiya pyar karte hai ananya didi ko...par ananya didi...wo bahut gandi hai...mere itane achhe kabeer bhaiya ko chhod kar kisi sameer se pyar karti hai...(again dhamaake)...

suhana:- aur yeh tujhe kisne bataya ki ananya mam sameer se pyar karti hai...

anurag:- kabeer bhaiya ne...isi liye to unhone kabhi ananya didi ko yeh nahi kaha ki wo unse pyar karte hai...achha aap loge ruko main abhi tarini didi ko lekar aata hun...(anurag left...par use nahi pata tha ki usne bachpane me kitani badi bat kehdi thi...)

suhana, lakshya, aur aalekh teeno hi ek dusre ko muh khol kar dekh rahe hai...aur fir balcony ki taraf dekhte hai...jahan kabeer ananya khade hai...par kafi door...teeno hi apne - apne hanth apne sir par maarte hai...

suhana:- u know what sir...mera abhi man kya kar raha hai ki..main abhi in dono ko balcony se dhakka dedu...kissa hi khatam...

lakshya:- me 2...

aalekh:- me 3...inki toh...(aalekh aage badha...suhana holds his hand aalekh stops...and looked at his hand...)

suhana:- wait...aise nahi...abhi waqt hai...dekhiye kabeer ko lagta tha ki ananya mam sameer se pyar karti hai isliye unhone ananya mam ko kuchh nahi bataya...right...aur ananya mam ko lagta tha ki kabeer ne unse kabhi pyar nahi kiya sirf dost mana...matalab pyar dono hi karte hai ek dusre se bas kabhi izhaar kar paaye...aur sir main chahti hun ki...yeh izhaar khud kare...koi aur inki madad na kare...bahut door rahe hai yeh dono...ab inhe kareeb yeh dono khud laayeinge...

lakshya:- i think u r right...ek kabeer maan jaye...mumbai jaane ko...dekhna sab theek ho jayega...waise yeh log itani der se baat kya kar rahe hai...

suhana;- sir plzz...aap humare sath hai na...

aalekh:- ha i m with u...par...

suhana:- par...?

aalekh:- mera hanth...

suhana:- ji...?(aalekh pointed towards his hand which was still held by suhana...sunaha instantly left it...)ahh sorry...

at balcony...

kabeer was still in shocked state...wo abhi bhi samajh nahi pa raha tha ki wo ab tak ek galat fehmi me jee raha tha...

ananya:- khair mera chhodo...tum bato mr stud...abhi tak shadi nahi ki...kyun?...aur yeh tarini...GF hai tumhari...

kabeer:- ha...(dhamake on ananya's face...then kabeer realise what she asked...) what...no no... she is just my frnd...only frnd in shimla...(now ananya got relaxed)...actually main pehle shimla kranti me kaam karta tha...ghar nahi tha...wahi tarini bhi thi...toh bas usi se dosti ho gayi...aur bahut achhe dost ban gaye...wo aur anurag...bas yahi duniyaan hai meri...

ananya:- oh mujhe laga ki...waise jabab nahi diya kabeer...tumne shaadi kyun ki...?

kabeer:- jhooth nahi bolunga... tumhari tarah maine bhi kisi se bahut pyar kiya,...meri bahut achhi dost...par ek galat fehami ne...(tabhi ander se suhana ki awaaz aai...)...

suhana:- mam...kabeer dinner is ready.,...aaiye na...

kabeer:- chale...(kabeer chala gaya...)

ananya in her mind:- kabeer kisse pyar karta hai...hey bhagwaan itane saal baad fir ek aash jaagi thi...kaun ho sakti hai wo ladki...(Ananya smiles...) main...? (but soon its faded)..par agar main thi to kabeer ne kuchh kaha kyun nahi...(anany closed her eyes and tears rolled down to her cheek...)

aalekh:- ananya jaldi aao...(ananya wipes out her tears and went inside...)

mumbai...

richa:- kya...KKN se...?

ronnie:- ha ab ,main kya karu richa,... tum bhi jati ho ki...maine KKN ko sirf uchaiyon par dekhna chaha tha...bhale mere aur kabeer ke beech kuchh hua...par maine humesha kabeer ki family apna mana hai...KKN ko apna mana tha...ab main...aur aaj jis tarah karan bhaiya ne mujhe gale lagaya...us pal main bhool gaya tha...par...

richa:- par kya...tab to tumhe yeh sab yaad nahi aaya jab sab kuchh chhod kar gaye the...tab na kabeer ki family ki chinta thi tumhe na KKN ki...aaj kyun...wo abhi jab tumhe unke khilaaf ladna hai...

ronnie:- richa tum yeh...

richa:- bhool jaao sab kuchh...its about ur carrier and our future...wo tumhare competitors hai...bas...apna kaam karo...

ronnie:- par...(ronnie wahan se udas ho kar chala gaya...aur richa ke chehre me smile aa gayi...)

richa in her mind;- maine sahi socha tha...ab ronnie ko apni galtiyon ka ehsaas ho raha hai...aur jitna main tumhe jaanti hun ronnie tum unke khilaaf nahi reh paaoge...aur tumhari yahi bechaini hume humare apno se milaaegi... thanku bhagwaan ji...hume india wapas bhejne ke liye...bas ab koi chamatkaar kardo...aur hume kisi tarah kabeer ananya aur aalekh se mila do...i m sure sab theek hone me waqt nahi lagega...

sharma mansion...

nandini:- sach...

karan:- ha nandini...par wo ab humare sath nahi humare khilaaf hai...lekin itane saalo baad use dekh kar sukun mila...jab us gale lagaya toh laga ki kabeer ko lagaya hai...hum use itana yaad karte hai...kabeer ko humari yaad nahi aati...kya wo hume...

nandini:- nahi kabhi nahi...main apne kabeer ko jaanti hun...wo bhi hume utna hi yaad karta hoga...bhagwaan kare jaise ronnie aaya hai...kabeer aur aalekh bhi aa jaye toh sab theek...karan woh aayega na...(she hugs karan...) mujhe mera pura pariwaar sath chahiye...kabeer chahiye...

karan:- hey nandini...mera dil keh raha hai ki wo ek din jarur aayega...wo jahan bhi hoga...jarur aayega...rona bad karo yaar...

riya:- mumma...papa...(both turns and find riya there...) kya hua papa mumma ro kyun rahi hai...

karan;- are kuchh nahi beta wo kya hai na...ki maine mumma ganda sa joke sunaya isliye...( nandini hits him on his arm)...achha aap aao...chalo sone chalte hai...(teeno sone ko gaye... par in teeno ko hi nahi pata tha ki sadhana ne inki baatein sun li...)

shadhna in her mind:- ronnie aa gaya...par kya mera kabeer kabhi aayega...bhool payega wo inke kahe hue shabd...(wo apni aakhon me aanshun liye hue chali gayi...)

kahsyap mansion...

jaanvi on phone ;- kaise hi naman...

naman:- main theek hun...

jaanvi;- kya baat hai...tumhari awaaz...?

naman:- nahi jaanvi bas aise hi KKN ki chinta hai...

jaanvi;- koi problem hai?...

naman:-ha hai but sambhal lunga... tum batao...kaisi ho...

jaanvi;- tumhare bina kaise ho sakti hu...?

naman;- i m sorry...mujhse nahi hoga...maine faysla bahut pehle tumhe bata diya hai...main shadi nahi karunga...jab tak kabeer bhai nahi aa jate main tumhe nahi...

jaanvi:- janti hun... aur main intezaar karungi...main har roz duaa karti hu ki kabeer bhaiya aur di waapas aa jaye...aur...

naman:- kab tak...kab intezaar karogi mera...

jaanvi:- umra bhar...( both have tears...)...

hmmm hmmm hmmm hmmm hmmm...
hmmm hmmm hmmm hmmm hmmm...

naman:- achha ab rakhta hu...apna khayaal rakhna...

jaanvi:- tum bhi...mere liye...(both cuts the call...and crying for eachother...)...

shimla...

aalekh:-achha kabeer tarini ab hum chalte hai...bachhe aur samrat humara wait kar rahe honge...jo humne kaha hai us baare me sochna...

kabeer:- maine soch lia hai aalekh...main jald hi mumbai ja raha hu wapas...aur is baar main we hareinge jinhone humare sath bura kiya hai...(all have smiles...)

aalekh:- sach...tu chinta mat kar main aur ananya bhi ab jald hi mumbai aayeinge...bas delhi chale jaaye aur...

kabeer:- ha time lagega...bcz mere bhi kuchh commitments hai...jinhe pura karna hai...aur tum logon ke bhi...

aalekh:- chal byee...fir milte hai...( both hugs...)

suhana:- kabeer wo...u know na hum journalism ke students hai...

kabeer:- oh really...

suhana:- ha...to kya hum aapke channel me aa sakte hai kuchh ghanto ke liye u know...want to explore...

kabeer:- y not...aalekh ji aap apne students ko lekar kabhi bhi aa sakte hai...

aalekh:- ha jarur...(All say bye to eachother...)

ananya:- byee kabeer take care...

kabeer:- u 2...(All left...kabeer clsoed the door when he turned find tarini and anurag there...their hands were on there hips...and they raised their eyebrows...)...what...

tarini:- nahi bataya na ananya ko...?aur tu to keh raha tha ki uski saadi hogi..and bachhe and all...lekin wo to abhi bhi unmarried hai kyun...?

kabeer:- mujhe kya pata kyun...uski marzi...

tarini;- dekh kabeer main ab tujhe marungi ha...

kabeer:-tarini give me some time yar...mujhe aaj pata chala ki she didnt love sameer...par wo pyar kisse karti hai...yeh bhi toh nahi pata...

tarini:- tujhse...

kabeer:- kya sach par tujhe kaise...?

tarini:- i mean ho sakta hai na...?

kabeer;- wahi toh...uski aankhien...par ho sakta hai... hai to nahi... isliye...aur ab toh hum milienge na...toh main pakka baat karunga...i promise both u,...

anurag:- pakka na...

kabeer:- ha mere baap...ab jaao apne ghar...mujhe sona hai...

tarini:- sona hai ya ananya ke sapne dekhne hai...

kabeer:- tarini...( both tarini & anurag...both left...)...

next day...

sabhi loge shimla ke park me the...they all are happy...sabhi masti kar rahe hai...aalekh samrat bachho ke sath khub khel rahe hai...all are having a great time ki tabhi tarini, anurag, kabeer aur sunny aate hai...ananya unhe dekhti hai aur khush ho jati hai...

ananya:- are tum sab..aao na...

tarini:- hey ananya...i hope ki hum sab bhi tum logon ke sath enjoy kar sakte hai...wo suhana aur lakshya ne hume bulaya hai...(tabhi suhana aur lakshya aaye...)

suhana;- oh hii...hi kabeer...

kabeer;- hi suhana... look hum yahan to aa gaye...but mujhe jaldi jana hoga ok..mujhe kaam hai...

anurag;- kya kabeer bhaiya aap ko to har waqt...

sunny:- ha kabeer bhai aaj kya mausam hai...ananya ji...main aapke students ke pass jaaun...

ananya;- ofcrz...

aalekh:- hey kabeer...common aaja...

kabeer:- are nahi yar...u carry on...

aalekh:- sure...(kabeer nods in yes) ok mat aa...hey tarini...tum to aao...

tarini:- ya ya...(tarini left...)...

kabeer:- abe o anurag...tu kyun nahi ja raha...ja na...khel...jaakar unke sath...

anurag;- kya bachho wale games khel rahe hai sab...inko games khelne the to yahan shimla kyun aaye...delhi bura hai kya...

ananya;- to aap kuchh jyada bade nahi ho anurag...un sab se chhote ho...

anurag:- toh kya hua... main unse behtar hu...kyun kabeer bhaiya...(he winks at kabeer...)abhi aaya...

ananya:- yeh kahan gaya kabeer...?

kabeer:- jane do...aise hi bol raha tha...tum baitho na...(both sat down...)kya baat hai..tum nahi khel rahi unke sath...

ananya;- kya kabeer...main unki teacher hu...main kaise...

kabeer:- dont show us...ki tum budhdhi ho rahi ho...

ananya;- kabeer shut up ha... main suhana se sirf 4 saal badi hun...14 saal nahi...

kabeer:- ya ya...but wo ananya kaha hai ? jo college me thi...

ananya:- to wo kabeer kaha hai...?

kabeer:- main aaj bhi wahi kabeer hu...

ananya:- to main bhi wahi ananya hun...

kabeer:- show me...

ananya:- ok...to ho jaye...basket ball match...(kabeer starts laughing...) has kyun rahe ho...

kabeer;- tum basket ball...?

ananya:- ha to...?

kabeer:- is saaree me...

ananya:- oh hello...main saree me bhi khelungi aur tumse jeetungi bhi...

kabeer;- dont challange me ok...

ananya:- i m challanging u...

kabeer:- annaya stopit ha...(sabki nazar ab in dono pe hai...jo badi hi tej awaaj me lad rahe hai...aalekh suhana aur lakshya to jam kar maza le rahe the...)

ananya;- no way...

kabeer;- ok...lets see...

ananya:- ok we will see...

kabeer:- lakshya aalekh...basket ball laao...

ananya:- suhana, tarini...(suhana daud kar aai...)..

suhana:- yes mam...

ananya:- we have to win...lets go...

suhana:- ok mam...

now match start hua...actual me ananya ko saaree me problem ho rahi thi...par u know na humari ananya ki never give up policy...man hi nahi rahi...all are playing...boys to bahut achha khel rahe the...par ladkiyon ko problem ho rahi thi...specially tarini aur ananya ko...par...ananya bhi har manne waalo me se nahi...wo gayi aage aur...usne kabeer ke pair pe jore se laat mari aur...ball lekar bhaagi...wahan kabeer peeche bhaga...ananya ko problem hui ball basket karne me...kabeer uske kabeer aaya...ananya ko laga she lost it...kabeer abhi usse ball chheen lega...par kabeer ne ananya ko upar utha lia...ananya was a bit shocked...par usne basket kar di...kabeer ne use neeche utara aur use wink karke chala gaya...

suhana:- shit...mam kya kiyaa aapne...

tarini;- kya kiya ananya tumne hum haar gaye...

ananya:- what par maine to basket ki...hum jeet...(then ananya look at her side...usne boys ki basket me basket kar di thi...)... oh no...(all boys are laughing...with kabeer...ananya gusse me kabeer ke pass gayi...)oh tabhi main kahu...ki aap- kaise sudhar gaye... kabeer sharma ki kabhi na harne wali policy aaj chook kaise gayi...u bloody cheater...

kabeer:- oh hello maine koi cheating nahi ki...i just helped u...

ananya:- u know what go to hell...(ananya gusse se chali gayi...aur girls ke sath jakar baith gayi...par ek awwz ne unka dhyaan kheecha)

--------------------------------
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...
(kabeer with all boys... singing...aalekh is playing guitaar...)

kabeer:-
he he he he he heee...

ananya:-
la la la la la laaa...

kabeer:-
ladki badi anjaani hai...
sapna hai sach hai kahaani hai...
dekho yeh pagli...bilkul na badli...
yeh to wahi diwaani hai...
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...
(kabeer gate hue ananya ke pass gaya...aur apna hanth aage badhaya ananya uska hanth pakadene hi wali thi ki wo suhana ka hanth lekar aa gaya...aur dance karne laga...ananya chhid gayi...aur wo lakshya ke pass gayi...)

ananya:-
ladka bada anjaanaa hai...
sapna hai sach hai fasaana hai...
ha - ha yeh pagla...bilkul na badla...
yeh to wahi diwaanaa hai...
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...
(ananya lakshya aur baki boys ke sath dance kar rahi hai...aur kabeer ko chhida rahi hai...)
-----------------------------------------
ananya:-
pass reh kar bhi thi doori...
jaane kaisi thi majboori...
waqt wo bhi ajeeb tha...
jab tu mere kareeb tha...
(kabeer boys ke sath busy tha aur ananya door khadi use dekh rahi hai...)

kabeer:-
kho gayi tu yeh kis jahaan me...
main yahan hu dekh to jara...
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...

(ananya apna face turn karti hai aur use uske bagal me 6 saal pehle college ka kabeer dance karte nazar aata hai)

ananya:-
ladka bada anjaanaa hai...
sapna hai sach hai fasaana hai...


kabeer:-
dekho yeh pagli...bilkul na badli...
yeh to wahi diwaani hai...
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...

(now all are dancing...aalekh purane kabeer ananya ko dekh kar khush tha...wahi udaas bhi...)
--------------------------------------------


kabeer:-
bheed me bhi thi, tanhaai...
yaad har pal teri.. aai...
roke koi mujhe jara...
bhar naa aaye, yeh dil mera...

(kabeer dekhta hai ki ananya students ke sath busy hai...wo bas ananya ko dekhe ja raha tha...wo turn karta hai...use college wali ananya uske bagal me nazar aai...)

ananya:-
behke - behke mere kadam hai,...
aise me tu sambhaal to zara...

(young ananya ruffled kabeer hairs and huged him)

ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...

(now kabeer looks at real ananya...who was still with others)

kabeer:-
ladki badi anjaani hai...
sapna hai sach hai kahaani hai...


ananya:-
ha - ha yeh pagla...bilkul na badla...
yeh to wahi diwaanaa hai...

ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...
ho ho ho...ho ho ho...

(sabhi dance kar rahe hai...kabeer aur ananya...do corners me khade hai...)

ananaya:-
tumne na jaane kya...
sapne dikhaaye...

(ananya turns and closed her eyes...tears flows down to her cheek)

kabeer:-
jaage na sota hai...
kuchh kuchh hota hai...

(kabeer also turned his face...and pain visible in his eyes...)

ananya:-
kuchh kuchh hota hai...


kabeer:-
kuchh kuchh hota hai...


ananya:-
kuchh kuchh hota hai...

movie:- kuchh kuchh hota hai...

aise hi kuchh din beet gaye...bas kal aur ek din fir sabhi logo ki picnic khatam ho jayegi... kal rat hi sab wapasdelhi ja rahe hai...aalekh aur ananya bhi...in dino kafi bar aalekh aur annaya kabeer aur tarini se mile hai...dheere - dheere wapas wohi comfort aa raha tha...aur suhana aur lakshya ke sath yeh sab bhi bachhe ban gaye the...par sabse jyada jinko ajeeb feelings ka ehsaas hua tha we the suhana aur lakshya...jahan lakshya ko tarini pehli hi nazar me pasand aa gayi thi...par wo kuchh bola nahi...wo ab janta hai ki he likes tarini but wo yeh bhi janta hai ki tarini loves kabeer to yeh bahut muskil hai...wahi suhana bahut confused hai...dusro ki problem ko jhat se samajh jane wali suhana ko pata nahi kya hota ja raha hai...wo yeh achhi tarah se jaanti hai ki aalekh uska teacher hai...par jo wo mehsoos karne lagi thi aalekh ke sath reh kar...wo kuchh alag tha...aalekh ko suhana achhi lagti hai...bcz wo har kisi ka dard samajhti hai...aalekh ne kai baar apne aur nupur ki baat ki suhana ke saamne par suhana ne ek baar bhi nahi kaha ki nupur bhul jao bas yahi kaha ki aapke dil me nupur ki jagah kabhi koi le hi nahi sakta par jo chale gaye hai...unki khushi ke liye hi...zindagi me aage badhna jaruri hota hai...warna hum khud ke sath,jane wale ko bhi lakleef dete hai...and i m sure aap nupur ko takleef nahi dena chahenge...

kahin na kahin suhana ki baatein aalekh ka mann halka karti hai...use suhana ka sath pasand hai...wo jab bachho jaisi harkate karti hai to aalekh khud ba khud na chahte hue bhi muskurane sa lagta hai...aalekh suhana ko sirf 20 dino se janta hai...aur suhana bhi...jahan suhana confused hai...wahi aalekh abhi sirf suhana ko apni student aur apna dost samajhta hai...in dino me tarini aur lakshya ki bhi bahut baatein hui...baton hi baton me tarini ne lakshya ko bata bhi diya ki she love kabeer...par usne yeh bhi kaha ki woh janti hai ki wo kabeer ko kabhi nahi paa sakti isliye...kabeer humesha uska sabse achha dost ban kar rahega...jiska wo sirf bhala chahti hai...aur jab lakshya ne tarini ko yeh bataya ki ananya bhi kabeer se bahut pyar karti hai to tarini saatve aasmaan pe thi...wo turant kabeer ko batana chahti thi par lakshya ne rok lia...yeh keh kar...unhe khud yeh samajhna hoga...aise hi lakshya aur tarini bhi bahut achhe dost ban gaye...aur anurag wo to sabka fav hai...wo apne teen age me hai...aur apne betuke sawaalo se sabko khoob hasata hai to unki purani yaadon ko taza bhi kar deta hai...

sabhi aalekh kabeer ananya sab waise hi ho gaye jaise pehle hua karte the...par wo baat nahi thi...kyuki wo pure nahi the...adhure the...ha nupur ki kami koi pura nahi kar sakta tha...par ronnie aur richa...wo ab bhi inse door the...aur inhe unse milne ki koi ummeed bhi nahi thi... aur jab baat aati hai kabeer aur ananya ki toh dono ko pata hai ki wo dono hi ab tak bahut badi galat fehmi me ji rahe the...abhi tak dono ne ek dusre ko kuchh kaha nahi tha...par ab unka dard bardast se bahar tha...ab kabeer anyt how apni feelings ananya ko batana chahta tha...par in dino wo kabhi bhi ananya se akela nahi mil paya...aur ananya ko ab kahin na kahin lagta hai ki wo ladki jisse kabeer pyar karta hai sayad wo khud hai...par wahi inkaar ka dar ananya ko kuchh bolne hi nahi deta...

its a mid night...kabeer apne kamre ki window me khada hai...aur ananya apne room ki window me...both re thinking about each other...

kabeer in his heart:- bahut hua...any how...ab main ananya ko bata ke rahunga that i love her...nahi sochna mujhe ki wo kisse pyar karti hai...nahi janna mujhe ki wo mujhse pyar karti hai ya nahi...par ab inkaar ke dar se main ikraar karne se peeche nahi hatunga...ha bas kal ka din hai mere pass... in 15 dino me main roz ek maut mara yahi sochta raha ki...ab tak usse door tha to ji gaya main...par ab kaise jiunga...nahi ab mujhe kisi ki parwaah nahi sahi kaha tha us din tarini ne... maine ananya ko apne dil ki baat na bata kar galti ki thi...par ab wo galti jarur sudharunga...jarur sudharunga...(Kabeer closed his eyes and tears flows down to his cheek...)

ananya in her heart:- kabeer se kal fir door chali jaungi...bahut kuchh kehna chahti hun tumhe kabeer...bahut kuchh sunne ki aash abhi bhi dil me hai...nahi jana mujhe tumse door... rok lo mujhe kabeer...pyar ha...dikhta hai ab mujhe tumhari aankhon me...nahi janti kiske liye hai yeh...par chahti ki yeh Sirf Mere Liye ho...Sirf Mere Liye...(Aananya closed her eyes and tears flows down to her cheek...)

raatein, ab nahin...dhadakti...
din bhi saansien nahi lete...
ab to aa jaao...mere sonyaa...
(ananya bas kabeer ko hi yaad kar rahi hai...aur uske aakhun kabeer ko pukaar rahe the...)

baatein...reh gayi adhuri...
mere labon pe jaruri...
aake suljhaao...mere sonya...

(kabeer bas ab ananya ko pana chahta hai...wo bas apni izhaar - e- mohabbat karna chahta hai...)

tere bin..nahi laage, jiya tere bin...
ab to aaja...piya tere bin...
tere bin..nahi laage, jiyaaa...

(ananya aur kabeer both closed there eye...and tears make path to their cheeks)

pehle jaise..mausam bhi aate nahi hai...
barishon mein, pehle jaisi baat nahi hai...

(ananya thinking abt the moments of her with kabeer...a small smile appears...but soon its faded away...thinking abt the reality)

pehle jaise..mausam bhi aate nahi hai...
barishon mein, pehle jaisi baat nahi hai...

(kabeer also thinking abt the moments of her with kabeer...a small smile appears...but soon its faded away...thinking abt the reality)

sukhe - sukhe...alfaaz...
khali- khali- mere hanthon ki..
lakeere bulaaye sonya...

(kabeer just looking at him self in the mirror...then he is thinking about his destiny...which always plays games with him...he is just looking at his lakeere )

tere bin..nahi laage, jiya tere bin...
ab to aaja...piya tere bin...
tere bin..nahi laage, jiyaaa...

(then kabeer goes to his cupborad and brings out a box...and touches it very softly...)

chand bhi wahin hai...
wahin hai...sitaarein...
tere baad...fike -fike lagte hai saare...

(ananya just looking at the sky...kabeer can imagine kabeer's face on moon...)

chand bhi wahin hai...
wahin hai...sitaarein...
tere baad...fike -fike lagte hai saare...

(then she looks around and at herself...no one around her...she was all alone...)

aaja...leke tu sawere...
kar ja door yeh andher...
teri doorie tadpaave...sonya...

(ananya just walking on the road...tears are making there path on her cheeks...but she doesnt bother...)

tere bin..nahi laage, jiya tere bin...
ab to aaja...piya tere bin...

(kabeer just lied down to his bed...he is awaked just thinking about ananya only...)

tere bin..nahi laage, jiya tere bin...
ab to aaja...piya tere bin...

(ananya also walking on empty road...just thinking about kabeer)

tere binnn..tere binnn..tere binnn...


next morning...

its a last day of their in shimla...aaj rat we sabhi nikalne wale hai...suhana ne samrat aur aalekh se kaha ki we sab kabeer ke office ko dekhna chahte hai...to sabhi loge gaye ananya bhi sath thi...par uska man nahi lag raha hai...wo kal se hi bahut bechain hai...uska mann ab kabeer se door jane me hi kanp sa raha tha...jab yeh sab pahunche toh kabeer PCR me tha...unhe dekhte hi wo bahar aaya...sabse unka intro karaya...sabhi students kafi kuchh dekh rahe the...isi profession me unhe aana tha toh...wo sabhi bade hi interest ke sath questions kar rahe the...aur kabeer pandit ji aur baki sabhi unke answers de rahe the...sabhi ne wahi lunch kiya aur shaam hone wali thi toh wo ab lautne lage...

aalekh:- achha to ab hum chalte hai...yahi 4 ya 5 ghante me humein nikalana bhi hai...

kabeer:- ha...tum loge niklo...maine bhi pandit ji se baat ki hai...abhi mujhe yahan kareeb 1 week aur lagega...kyuki main u beech me unhe nahi chhod sakta hai...waise tarini meri jagah join karegi par...abhi uske office me...

aalekh;- ofcrz we can understand...apna khayal rakhna...hum bhi delhi jakar bas,...mumbai pahunchne ki taiyaari karte hai...(both hugs...)

samrat:- so it was nice to meet u all kabeer...

kabeer:- same here samrat...thanks for coming...(looking at ananya...)

samrat:- achha...jab bhi delhi aao...mujhse jarur milna...(both hugs...)

ananya:- students...chalo we are getting late...aap sab ko bags bhi pack karne hai...aalekh, samrat lets go...ananya bina kabeer ko kuchh kahe chali gayi...sabhi ko ajeeb laga...par aalekh samajh raha tha...

aalekh to kabeer;- ab der mat kar kabeer...warna sach me der ho jayegi...kuchh waqt abhi bhi hai...chalta hu...(aalekh ke is ek sentence ne kabeer me jaan daal dii..sabhi jaane lage..tabhi kabeer ne suhana ko bulaya...)

suhana:- yup...

kabeer:- mujhe ananya se milna hai akele mein...

suhana:- akele mein...

kabeer;- suhanaaa...

suhana:- ok kab aur kaha...

kabeer:- wo main use khud bata dunga...bas u make sure ki wo mere pass akele aaye...

suhana:- ok...par ha..jo bhi jaldi bata dena...hume jana bhi hai rat ko...(kabeer nods in yes...and suhana & all left...)

kabeer:- pandit ji mujhe kaam hai main nikalta hu...apna buletine aakar padhunga...

panditji:- ok...(kabeer also left...)

its about 7 in the night...ananya aur baki sabhi ne apne bags pack kar liye the...yeh sab dinner karke kareeb 9 baje yahan se nikalne wale the...ananaya apne room me hi thi...aur sofe me baith kar magzin ke panne palat rahi thi...ki uska phone ring hua...usne dekha to yeh kabeer ka no tha...ek taraf uske aankhon me chamak aa gayi dusri taraf man udas...

ananya;- ha kabeer bolo...

kabeer:- ananya... i m in a big trouble ananya...plzz help me...

ananya:- kabeer kya hua...kaha ho tum...

kabeer:- anaya plzz tum jaldi se aa jao...

ananya:- par tum ho kaha...

kabeer;- tarcking site road pe...

ananya:- ha bas abhi aai...(ananya bas bina kuchh soche wahan daudi chali gayi...suhana ne ananya ko dekha...aur muskura rahi hai...tabhi aalekh aaya...)

aalekh:- kya hua...aise kyun muskura rahi ho...

suhana:- bas sir...ek ummeed hai ki kisi ko uska pyar milne wala hai...ananya mam kabeer se milne gayi hai...

aalekh:- oh..hope so...aaj yeh dono kuchh bol de...

suhana:- hmmm me 2...

tracking site road...

wahan almost andhera tha... bas halki halki road light...normally saam ke baad yahan koi nahi aata...ananya wahan taxi se pahunchti hai...aur bahut hi ghabrayi hui hai...hawa tej chal rahi hai...halki halki barf bhi hai...wo kanp rahi thi...hawa ki wajah se use kuchh saaf dikh nahi raha tha...

ananya:- kabeerrr...kabeerrr...kahan ho tum...kabeer tum theek to ho na...kabeerrr...(tabhi ek hut type jagah se kabeer bahar aata hai...)

kabeer:- main yahan hu ananya...(ananya turn karti hai...aur kabeer ko sahi salaamat dekh kar uski jaan me jaan aati hai...ananya daud kar uske pass jati hai,...she is crying...aur jakar use hug kar leti hai...)

ananya:- pata hai main kitana dar gayi thi...tumhe kuchh hua toh nahii..kahin chot to nahi aayi...tum toh keh rahe the...kya hua...kis muskil me the...kabeer bolo...(kabeer bas ananya ko dekhe ja raha hai...uski bhi aankhien num thi...) kabeer...

kabeer:- nahi janta kabse...bas tumse pyar kiya hai...(ananaya was happly shocked...tears are flowing down from her cheek...) nahi jaanta kyun...bas tumse pyar hua hai... nahi janta kaise bas tumhe chaha hai...(ananya closed her eyes...) nahi jaanta kitni bas tumhari khushi chahi hai...nahi janat kis liye...bas tumhara intezaar kiya hai...nahi janta kyun...bas tumhare liye yeh aankhien royi hai...bas itna janta hun ki tumse bahut bahut bahut pyar kiya hai...sabse jayada...zindagi se jyada...khud se jyada...(ananya is crying badly...while her lips curved into a sweet smile...)nahi janta ki tumhara jawaab kya hai...bas itna janta hun ki agar aaj na kehta to zindagi bhar na keh pata...bas itna janta hu ki...meri pehli aur aakhiri khushi tum ho...aur agar tumhare liye marna bhi...(ananya puts her hands on his mouth)...

ananya:- agar tumhe kuchh hua to main pehle mar jaungi... 6 saal... 6 saal kabeer...6 saalo se intezaar kiya hai tumhara...sirf yahi sunna chahti thi...par tumne 6 saal laga diye... har pal tadpi hu tumhare liye...jab tumse puchha ki main kya karu mujhe dost se pyar ho gaya hai...wo tum the kabeer...tumne mujhse kaha tha intezaar karo...aaj tak wahi kar rahi hu...tumne kaha tha agar mera pyar sachha hai...to khud aayega mere pass...dekho aaj tum aa gaye...par bahut waqt laga diya...bahut rulaya hai tumne mujhe kabeer bahut...

kabeer:- i m sorry ananya...i m sorry...

ananya:- abhi bhi sorry kahoge...wo nahi jo main sunne ke liye taras rahi hun...(kabeer placed his hands on her both cheeks...wifes her tears...)

kabeer:- I LOVE U ananya...
I LOVE U very muchh... I LOVE U more than i love my self...(ananya hugs him verryyy tightly...

ananya:- I LOVE U TOO kabeer...
I LOVE U alot... I LOVE U...

tere liye...tere liye...
tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liye...

yeh jism paak tere liyee...
yeh jaan nishar..tere liye...
sadiyon ka pyar liye...
yeh intezaar tere liyeee...

tere liye...ha tere liye...
tereee liye...ha tere liyeee...


both are hugging eachother...both are crying...now its raining heavily...both are totally wet...but they are not bothered about anything...they just want to live this moment...they just want to be in each other arms...kabeer seperates her...looking at her...she is shivering...he kissed her forehead...then to both of her eyes...which make her her to close them...then he looks at her lips which was thirsty for his...and same time shivering...he slowly...pressed his lips on hers...firstly it was soft and tender...but soon it becomes..very passionate and wild...ananya was also responding him with full of passion...she was just rubbing her hands on his hairs...and he was just rubbing his hands on her bare waist...which make her wild...they were kissing each other...and just forget about everything...after about 10 minutes...ananya moarned with pain...and also got his sence...

ananya:- oouchhh...

now kabeer realised...he cuts her on her lips...there was a little blood too...

kabeer:- oh god... i m i m sorry...

ananya(like a baby):- kabeer...tumne mujhe...its hurting...

kabeer:- ok i m sorry na...ab tum bhi to mujhe nahi chhod rahi thi...(ananya blushed hard and hugs him...)

kabeer also...then he again placed his lips on hers where he cut...and picks her up in his arm...and take her to a kind of tea stall shade...and placed her on some ghash...and sits beside her...she hugs him from one side...and placed her head on his chest...starts playing with his shirt's button...kabeer just closed his eyes his is rubbing her hairs...

ananya:- kabeer...tumhe mujhse kab se pyar hai...

kabeer:- sach kahu to mujhe bhi pata...bas jab bhaiya ki shadi wale din tumne mujhse wo sab kaha...mujhe achha nahi laga...par use time maine seriously nahi lia...phir din beetne lage...tumhare baare me sochta tha...pahele to samajh hi nahi pa raha tha ki mujhe ho kya raha tha...par fir baad me bhabhi ki madad se ehsaas hua ki tumse pyar karne laga tha... bhabhi ne mujhse kaha bhi ki main tumhe bata du par...mujhe laga tha ki tum sameer se isliye chup raha...fir tumhara accident fir hum sab goa gaye...aur sab badal gaya...achha tumhe kab hua...

ananya:- yeh to mujhe bhi nahi pata...par us din main sameer ke sath jaan bhuj kar aai thi...mujhe tumhara aur us chudail malvika ka sath achha nahi lagta tha...college ki suruaat me mujhe fark nahi padta tha ki tum kiske sath ho...par dheere dheere mujhe malvika se jalan hone lagi...isliye us din tum dono ki date kharab thi...mere is behaviour ko sameer ne samjha...fir usi ne mujhe samjhaya ki main malvika se jalti kyuki sayad main tumhe pyar karne lagi hu...par main confused thi...apni feelings ke liye...par mujhe tumse pyar ka ehsaas us valentines party me hua...aur tum the ki dusri ladkiyon ke sath busy the...isliye main party chhod kar chali gayi thi...

kabeer:- oh god tab se...isliye wo sala ronnie...mujhse chida hua tha...iska matalab use pata tha ki...

ananya:- nahi toh,...maine kisi ko nahi bataya tha...

kabeer:- i m sorry ananya...maine tumhe bahut takleef di hai na...

ananya:- nahi kabeer sorry mat kaho...agar maine dard saha hai toh tumne bhi toh...

both hugs eachother...kabeer started kissing her neck...she was going mad...she also started kissing her...she they so involved in eachother...ki ananya's cell ring...which make them alert...kabeer makes a face...ananya smiles...and picked it up...it was suhana...

ananya;- ha suhana...

suhana:- mam kaha ho aap...its already 9...hume aaj hi delhi jana hai kal nahi...

ananya:- oh shit...i m just coming...(both cuts the call...suhana is smiling...)

aalekh:- has kyun rahi ho...

suhana:- mujhe feeling aa rahi thi ki sab theek ho gaya hai...

aalekh:- sach...

ananya;- oh kabeer...i have to go...wo sab mera wait kar rahe hai...hume nikalna hai...(kabeer ka face utar gaya...)kabeer plzz understand... i have to...fir hum mumbai me mil rahe hai na...

kabeer:- ok... i love u i will miss u...(ananya hugs him...)

ananya:- i love u 2...n will miss u alot...achha main (but kabeer again kissed her...)kabeer...aise main kaise ja paungi...

kabeer:-it was ur penalty...mujhe chhod kar jo ja rahi ho...

ananya:- i m sorry...achha ab mujhe drop kardo...

kabeer:- chalo meri bike wahan hai...

kabeer ananya ko bike me bithata hai...aur use hotel drop karta hai...

ananya:- chalo ander chalo...

kabeer:- nahi tum jaao...faltu me sab sawaal kareinge...aur aalekh ko keh dena maine der nahi ki...

ananya:- oh ji...

kabeer:- bye...(aur kabeer ne bike ko u turn lia...aur chala gaya...ananya bas use jate dekh rahi thi...par in dono ko hi suhana aur aalekh dekh rahe the...aur khush the...annaya wahi jaha se kabeer gaya...waha dekh rahi hai...ki aalekh aur suhana uske pass aate hai,...)

suhana:- so finally dono ne bol hi diya...

ananya:- kya...

aalekh:- ananya...ban mat... m very happy for u and kabeer...(ananya hugs aalekh...then suhana)...

ananya:- thanku suhana tumne aur lakshya ne mere liye bahut kuchh kiya hai...

suhana:- u r most welcome mam...ab chale... ki kabeer ke pass jana hai aapko...

ananya(blushes):- suhana...(all laughs...and left to delhi...)

end of part 14
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku everyone for liking and commenting on part 13... part 14... has been posted above take a look and plzz give ur feed back...
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Amazing. Continue soon. Thanks for pm
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
nice part
finally confess kar liya great
ab dekhte h aage kya hota h

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

7 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

25 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

26 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".