Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 21

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.5k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: golu_1677

Do we get an update today


No dear I will update on Tuesday or on wednesday
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Ok thanks...wl wait for it...
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Oh yar had hai dunya jahan ki mia understandings clear hogai magar in dono ki nhi had hai or kabir kehne lga tha to suhana ne disturb krdya...wese mjhe pura yaqeen tha k ye song aayega aagaya g...haaa finally aqal i keh hi dya dono ne so happy...ab dono mumbai jayenge or villans ki band bajegi yes m waiting eagerly plzzz cont soon
drshabnam3 thumbnail
Posted: 9 years ago
Finally intezar khatm hua aur kabeer ananya mil gaye pyar ka izhar bhi ho gaya...super awsm part...next update jldi kr do yr..😊😊😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: drshabnam3

Finally intezar khatm hua aur kabeer ananya mil gaye pyar ka izhar bhi ho gaya...super awsm part...next update jldi kr do yr..😊😊😊


Thanku dear will update tonight
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: ambersaleem

Oh yar had hai dunya jahan ki mia understandings clear hogai magar in dono ki nhi had hai or kabir kehne lga tha to suhana ne disturb krdya...wese mjhe pura yaqeen tha k ye song aayega aagaya g...haaa finally aqal i keh hi dya dono ne so happy...ab dono mumbai jayenge or villans ki band bajegi yes m waiting eagerly plzzz cont soon


Thanku amber will update tonight
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Waiting for an update dear...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: golu_1677

Waiting for an update dear...



up dating in five minutes...sorry for being late...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku every one for loving and commenting on part 14.. here is part 15...keep reading...do comment...love
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** Sirf Tere Liye ***

Part 15

ananya(blushes):- suhana...(all laughs...and left to delhi...)

ananya aur aalekh dono ne hi delhi pahuch kar sabse pehle apna resignation diya...all are actually shocked...

principal ko to samajh nahi aaya...par ananya ne unhe kaise bhi karke samjha hi diya... par they have to work till

this month means they have to work for more 6 days...dusri taraf kabeer ne bhi resign kar hi diya hai...wo bhi

kuchh dino me mumbai nikal raha hai... aur yahan mumbai me ronnie BTN to sambhal raha tha par uska man

nahi lag raha tha...wo kkn ke khilaf kuchh nahi kar pa raha tha...reh - reh kar use sirf aur sirf mumbai me bitaye

hue apne pal yaad aa rahe the...apne sabhi frnds ki yaad aa rahi thi...but wo mazboor tha..use BTN me hi kaam

karna hai...aise hi kuchh din guzare... jahan suhana aur lakshya is baat se khush hai ki yeh sab wapas ek ho rahe

hai...wahi dukhi bhi ki ananya aur aalekh ja rahe hai...same hal tarini aur anurag ka bhi tha...suhana aur aalekh

kafi achhe dost ban chuke hai...wahi kisi na kisi bahane lakshya roz tarini se baate karta hai...tarini ko bhi

lakshya ki baatien achhi lagti hai...aur jahan tak sawaal hai kabeer ananya ka roz rat me minimum ek ghanta

baat na karle to inhe neend nahi aati thi...

now finally its a day ki aalekh aur ananya mumbai pahunche...dono hi sheedha kashyap's house gaye...jaanvi

anita aur sudheer sabhi inhe wapas dekh kar bahut khush the,... top of the world...pura din inki baaton me nikal

gaya... jab ananya unhe bataya ki ab we yahin raheinge kahin nahi jayienge to sab ki khushi saatve aasmaan me

thi...jaanvi ne turant nanam ko phone kiya aur sab kuchh bata diya naman khush to tha...par uske bhai ki kami

koi aur puri nahi kar sakta tha...ananya ne jaanvi aur naman ki baat suni use kuchh doubt sa hua par usne ignore

bhi kar diya...next day aalekh ne apne ghar me shift kar lia...aur dono ne hi kabeer se bhi baat ki hai kabeer 3

din ke baad mumbai aa raha hai...over all sabhi cheeje track par chal rahi thi...

shimla... night time...

kabeer apni khidaki me khada kuchh soch raha tha..ki tarini aati hai...

tarini;- kya hua...kya soch raha hai...?

kabeer:- mumbai ke baare me soch raha hu...maine wapas jaane ka faysla to kar lia hai tarini par...samajh nahi aa

raha hai ki suruaat kaha se karu i mean...

tarini:- samajh rahi hu...tu kkn phir se...

kabeer:- no ways.. mujhe frnds se problem nahi hai...par main mr vinode sharma ke pass nahi jaunga...

tarini:- kabeer wo tumhare papa hai...agar unhone kuchh...

kabeer:- yahi to baat hai na...koi aur kuchh kehta to mujhe fark nahi padta par mere apne baap ne...unke liye to

mar chuka hu... i dont even care...

tarini:- to kya karoge...

kabeer:- main aalekh ke sath rahunga... par kaam kai jagah baat ki hai... pandit ji ne bhi...aur main kundali

nikalwaai hai un sabhi ki...amar to mar chuka hai...par uska bada bhai rocky agrawal ab mumbai me hai...aur

uska channel is samay top par chal raha hai... BTN naam hai...aur maalvika aur manav ek sath hai...means they

are now married...aur vivan wo is samay drugs me ulza hua hai...par mera pehla target BTN hoga...kyuki kahin

na kahin BTN kkn ko daba raha hai...aur chahe jo ho main kkn ka bura to nahi hone dunga...

tarini:- par agar tum kkn join nahi karoge to Btn ko kaise haraoge...

kabeer:- mumbai me sirf kkn nahi hai...aur bhi channels hai jo ki btn ke rivals hai...pandit ji ne baat ki hai...awaaz

channel se...its also a national channel...sayad kal tak call aa jaye...achha sunn maine pandit ji se baat karli hai...

mujhe teri jarurat padegi to tu aa jana ok...waise mujhe pata nahi kyun yeh feeling aa rahi hai ki tu bhi jaldi hi aa

rahi hai mumbai...

tarini:-ok... chal achha hai...par ek baat kahungi kabeer..mana ki tujhe tere papa se problem hai...par teri baki ki

family...unki kya galti hai...plzz think about it...chal gn...

kabeer:- gn...( tarini left...)...

after 3 days...mumbai...

kabeer mumbai pahucha ananya aur aalekh dono hi aye use recive karne ko...kabeer hugs them...aur sabhi fir

aalekh ke ghar ko nikal gaye...kaeer aur aalekh baat kar rahe the aur ananya kitchen me thi...ki aalekh ko kisi

ka call aya aur wo apne room me gaya...aur kabeer kitchen me...ananya is still wearing saree so kabeer just placed

his hands on her tummy...and hugs her from behind..and kissed her on soulder start making patters with his finger

on her bare tummy...which is making her lost...

kabeer:- kya baat hum yahan aapse itane din baad mile hai aur aap hai ki yahan busy ho...common ananya dont be

so bore ha...

annaya;- kabeer baby main tumhare liye hi to khana bana rahi hun...yad karo us din phone pe tumne hi kaha ki

tumhe mere hanth ka khana hai...

kabeer:- ha kaha tha..but i m in romatic mood...

ananya:- no...aalekh kya sochega...leave me...plzzz...

kabeer:- aalekh busy hai...now give a kiss...warna...( start kissing her neck and tickling her...)...

ananya:- kabeeerrr...plzzz...

kabeer:- kya kabeer...haa mujhe pata hai mera naam kabeer hai...aur bahut hi achha nam hai...bar - bar mat lo...

now common kiss me...

ananya:- tum nahi manoge...

kabeer:- nop...

ananya:- ok close ur eyes...

kabeer:- what tum to aise bol rahi ho ki mujhe pehli baar...

ananya:- tumhe kiss chahiye ya nahi...?

kabeer:- ok... ( kabeer clsoed his eyes...and kissed her on his left cheek...)...

ananya:- bas khsush...

kabeer- what was that..maine cheek pe nahi kaha tha...

ananya:- par tumne lips pe bhi nahi kaha tha...kiss to kiss hota hai...( tabhi aalekh ki awaaz aai...)... dekho aalekh

bula raha hai..jaao...plzz...

kabeer:- dekh lunga tumhe...ek din har baat ka badla lunga...( kabeer hall me chala gaya..)..

aalekh( mischievouly):- kaha gaya tha...

kabeer:- kitchen me... pani peene...

aalekh:- oh kitchen me paani peene...yeh rable pe jo jug bhar kar pani rakha hai...wo sufficient nahi tha kya...?

kabeer:- aa..are woh...chhod na..chal baatein karte hai...

aalekh:- bachha samjha hai kya...? tu jo abhi kar raha hai... wo sab hum karke chhod chuke hai... itani hi jaldi

hai to usse shaadi kyun nahi kar leta...

kabeer:- kya shaadi pagal hai kya...abhi toh main khud bachha hu...

aalekh:- kabeer tu...

kabeer:- are mazak kar raha hu...ek baar saari problems solve ho jaye...jinhone hume is mode par khada kiya unhe

unke anzaam tak pahuncha du fir shadi karunga... waise tu kab shaadi karega...?

aalekh:- yeh tu kya keh raha hai..main kaise...?kabhi nahi...

kabeer:- dekh aalekh wo jahan hai wahan se kabhi nahi aayegi yeh tu achhi tarah se janta hai... aur sach kahu

nupur jahan bhi hai...hum sab ko dekh rahi hai...aur tujhe is tarah dekh kar wo kabhi khush nahi rahegi...abhi tere

saamne puri zindagi pade hai aalekh...u have to move on...

ananya (kitchen se aate hue..):- kabeer is right aalekh..ek baar soch...aur sach kahu to mujhe jo lag raha hai koi

hai is duniyaan me jo tujhe pasand karta hai...use samajh...aur ha kaun kehta hai ki pyar dubara nahi hota... ha

insaan pehle pyar ko kabhi nahi bhool sakta par...

kabeer:- aisa kaun hai...?

ananya:- wait kabeer... aalekh apni aankhien band kar aur aise insaan ke bare me soch jiske sath tu apni aane wali

zindagi guzaar sakta hai... jiska sath tujhe humsafar ki tarah pasand hai...jiski baatein tujhe khushi deti hai...

aalekh:- yeh tu...

ananya:- plzz... humare liye...(aalekh closed his eyes and a cute and smiling face of suhana appears before

him...aalekh ne turant apni aakhien khol li...)... ab bata kaun dikha...

aalekh:- aisa nahi ho sakta...she is my student yar...

kabeer:- student..kaun...?

ananya:- hai nahi thi...aur mat bhool woh koi bachhi nahi hai...

kabeer:- chup... par kaun...

aalekh & ananya together :- suhana...

kabeer;- kya... wow nice choice yar...waise ek baat kahu...she is beautiful agar sach me pasand karta hai to bol

de...kyuki uspe marne waale kam nahi honge... bolna bahut jaruri hota hai...personal experience se bol raha

hu...warna zindagi bhar devdas bankar ghumta reh...( ananya hits his arm...) kya sahi to bol raha hu... soch

aalekh...soch...(aalekh looks at ananya...she assures him)... saale main kya vella hu...jo har baat ke liye iski taraf

dekhta hai... meri baat ki koi value hi nahi na...

aalekh:- nhh... becoz ab to jo bhi hoga inki marzi se hoga... aap saansin bhi to ab inki hi marzi se lete hai...

kabeer:- teri toh... ruk... (aalekh bhaga..aur kabeer uske peeche...ananya is laughing...)...

ananya:- are ruko...chalo khana kha lo...

finally sabhi dining table pe baithe hai...ananya ne sab kabeer ki pasand ka banaya tha...

kabeer:- wow...all my fav...( sabhi khana khate hai aur thoda hasi mazaak...now all are again on sofa,...)...

aalekh:- ab kuchh serious baatein kar le...dekh woh ananya tujhe toh pata chal gaya hoga...

ananya:- kya...?

aalekh:- tujhe richa ne phone nahi kiya...?

ananya:- richa... nahi toh...

aalekh:- ronnie aur richa mumbai me hai...

ananya & kabeer:- kyaaa...

aalekh:- ha...kabeer..maine pata kiya...actually 4 din pehle ki baat hai main trafiic me phasa tha.kuchh door pe

mujhe ek car me ronnie aur richa dikhe...pehle mujhe laga sayad mera bhram hai...par fir pata kiya maine...to pata

chala ki...ronnie pichhle mahine hi india aaya hai...aur usne KKN ke rival channel BTN ko join kiya hai...

kabeer- oh... btn amar ke bade bhai rocky agrawal ka channel hai...yahi ek channel hai jo is waqt kkn ko peeche kar

raha hai...

aalekh:- iska matalab...

kabeer:- ab mujhe samajh me aa raha hai ki mujhe kya karna hai... pehle maine socha tha ki agar apne dusmano

ko saza deni hai to unke khilaaf khade ho jaao...isliye maine awaaz channel se baat ki thi...par ab main BTN me hi

kaam karunga...

ananya:- kya tum paagal to nahi ho gaye ho...BTN join karoge...apne kkn ko...

kabeer:- kkn mera nahi hai...

ananya:- shut up kabeer... i know tum uncle se gussa ho...mana unhone us din bahut kuchh keh diya tha...par agar

wo khud se tumhe kabhi alag nahi kar paaye hai...kyuki sabko pata hai... kkn kabeer se bhi bana hai...kabeer wo

door hai jo jo karan aur naman ko jodti hai...(kabeer has tears...) dekho kabeer...apno ke khilaaf ladna aur apno

ke liye ladne me fark hota hai...plzz think about it...

kabeer:- maine kab kaha ki main kkn ke khilaaf hu...par agar main btn me ghush kar btn ko barbaad kardu toh...

aalekh;- par amar ka bhai tujhe hire hi kyun karega...bhool mat...amar nahi hai par manav vivan aur malvika abhi

bhi honge kahin...

kabeer:- ha pata hai... manav aur malvika ne shaadi kar li hai...aur we is waqt mumbai me nahi hai..vacation pe

gaye hai...aur jahan tak sawaal hai vivan ka toh wo apne drugs ke chakkar me hi ulza hua hai...

aalekh:- tune to already sab...

kabeer:- ha... main ek patta fekna chahta hu... sayad wo hukum ka ikka saabit ho...

aalekh:- hmm... ananya he is right... practically socho...suruaat ek se karo...BTN me jaane se...hume manav , vivaan

aur maalvika ko fasaane ka mauka milega...mujhe pura yakeen hai ki yeh sab aaj bhi milte honge...aur jitna maine

rocky agarawal ke baare me pata kiya hai...wo amar se bahut pyar karta tha...toh abiously uska contact amar ke

dosto se bhi hoga...i m with u kabeer...kar jo karna hai...

kabeer:- anaya tumhe kkn ki chinta hai na...toh ab tum dono meri baat suno...tum dono kkn join karo...

ananya:- kya main par...

kabeer:- i know sab sawaal kareinge kuchh bhi bahana banao...aur aalekh tu..mana tu journalism se nahi hai...but

kisi bhi tarah bhaiya ko mana aur kkn me ghush...ab tum dono mere ek tarah se in former banoge... kyuki main

nahi chahta ki meri wajah se bhaiya ya naman ki mehnat barbaad ho...

aalekh:- theek hai ho jayega...chal achha ab rest karle...

ananya:- ok then main bhi ab chalti hun...kal tak karan bhaiya se baat karti hun...(kabeer ananya hugs...and

ananya left...)

next day...

aalekh aur ananya dono hi odd time pe kkn gaye...karan dono ko dekh kar bahut khush tha...usne raeson tak nahi

puchha aur dono ko hi job pe rakh lia... ananya stratigy planner thi...to aalekh producer...dono hi apne kaam me

lag gaye... naman bhi khush tha...kyuki ab vinod ji bahut kam office aate hai...karan ne unhe nahi bataya...

naman aur karan ananya aur aalekh ke aane se bahut khush the...annaya unhe kabeer ke baare me batana chahti

thi...par aalekh ne use rok liya...aur dusri taraf kabeer BTN pahuncha...aur seedhe hi rocky ke cabin me gaya...

rocky:- oh hi... kabeer sharma... from shimla right...

kabeer:- yes sir...

rocky:- oh plzz have a sheet...

kabeer:- thanku... so aapse pandit ratnakar ji ne baat ki hogi...

rocky:- yes yes...aur humne aapke bare me pata bhi kiya...shimla ki news to aapke naam se bikati hai...par mujhe

samajh me nahi aaya ki humara hi news channel kyun...aur phir mumbai...?

kabeer:- look i m very practical man... mujhe sirf success se matalab hai ab shimla samachar me reh kar main sirf

shimla ka ban kar reh gaya tha..par BTN to international level pe established hai... so uchaai kise nahi pyari

hoti...

rocky:- yup..waise aapke naam ke karan firstly i didnt like u...(kabeer ghabra gaya...)...

kabeer:- ji...matalab...?

rocky:- aapne kkn ka naam to suna hi hoga na...

kabeer:- yes ofcrz kkn ko kaun nahi janta par aap kyun puchh rahe hai...

rocky:- unse meri purani dusmani hai...unke bete ka naam bhi kabeer hai... i hate him...bcz uski wajah se...khair

kabeer sharma naam ke toh kai loge hai is duniya...aur jab maine ka kaam dekha...to mujhe bhi aap kaam ke

lage...so u know bas socha ki aapko apne channel ka EIC apoint karna benificial hai...

kabeer:- ofcrz hai hi... i assure u...main aapko kaha se kaha pahuncha deta hun...

rocky:- ji...

kabeer:- i mean aasmaan ki uchaiyon tak...

rocky :- ofcrz...u r younger than me... so m like ur big brother...

kabeer:- kabhi nahi... i mean... business alag...relationships alag...tabhi insaan uncha uthta hai...

rocky:- ofcrz... jab pandit ji ne aapke bare me bataya to maine socha aur tabhi maine yeh contract banwa lia... as

he said abhi only for 6 months... but i m sure aap khud is contract ko extent karayeinge...but y only for 6 months...?

kabeer:- main unchi udaan bharne pe yakeen karta hu... jo bolta hu muh pe bolta hai...agar mujhe kuchh aur

interesting mil gaya to main yeh channel chhod dunga...

rocky:- kya...

kabeer:- dont worry not before 6 months...(contarct read karte hue...) waise is contract ke mutaabit...aap bhi mujhe

6 mahine se pehle nahi nikal sakte...

rocky:- ji ha... bcz we trust our employees...

kabeer:- sure aur yakeen maniye...aapko is baat ka result jald hi milega...so can i sign...

rocky:- ya ofcrz...( kabeer singned...)...congratulations...welcome to btn...

kabeer:- thanku...waise EIC is a very big post...main aapse aapke business associates ke bare me bhi puchhna

chahunga... manav gupta & vivan saxena... aise mat dekhiye main bhi home work karke hi kahi jata hun...

rocky:- interesting... yes they are my associates...actually we dono hi mere chhote bhai ke Best frnds the...aur mere

liye chhote bhai ki tarah hi...

kabeer:- best frnds the...?

rocky:- actually my brother amar is no more...4 saal pehle...us kabeer ki wajah se...khair leave it...vivan abhi

mumabi me nahi hai...aur manav family vacation pe hai...but dont worry jald hi dono aa jayeinge...

kabeer:- kab tak... i mean kab main apne dusre boss se mil paunga.. u know...

rocky:- jald khair..chaliye aapko apne staff se introduce kara du...

kabeer:- humare staff se...( both left...)

down side...

rocky attention every body... (ronnie PCR me tha use kabeer ka back dikh raha hai...)... aap sab jante hai ki ronnie

bahut hi achhe tarah se kaam kar raha hai... but bcz main yahan abhi jayad din nahi hu...to humare is branch ke

liye EIC ki jarurat thi..( ronnie pcr se bahar aakar khada hua...wo kabeer & rocky ke peeche hai...)... jo aaj se

humare naye EIC join kar rahe hai hume... he will lead u all... plzz welcm mr kabeer sharma... ( roonie's smile

faded away...)...

ronnie in his mind:- kabeer sharma...par...

kabeer:- hi everyone...plzz introduce your self...(kabeer ki awaaz ronnie pehchaan gaya...aur wo shocked tha...)

rocky:- are ronnie waha kya khade ho...yahan aao na...( kabeer turned and find ronnie at pcr door...tears appears

on both of them eyes...but both controled... ronnie kabeer ke saamne gaya... frwd his hand...)kabeer he is

roniesingh our producer and editor...he will asist u...and ronnie he is kabeer...

ronnie:- hello... welcome to BTN...

kabeer:- thanku...so rocky back to work...

rocky:- sure..lets go...waise u know maine tumhe appoint kyun kiya hai bcz kuchh personal reasons ki wajah se

main kuchh dino ke liye bahar ja raha hu... out of india...so sari resposnibility sirf ronnie ke upar nahi dalna

chahta tha...aur fir EIC ki jarurat bhi thi toh bas...

kabeer:- i can understand...

kabeer apne cabin me gaya...usne turant purane records mangawaaye aur check karne laga... ronnie use apne cabin

se dekh raha tha...par wo kuchh nahi bola...kabeer sham tak busy raha ...rocky ne dekha...to khush ho

gaya...aur airport ke liye nikal gaya... wahi rocky ke nikalte hi ronnie kabeer ke cabin me gaya...

ronnie:- tu yaha kya kar raha hai...(kabeer ne apni file band ki...)...

kabeer:- jo tu kar raha hai... apna kaam...

ronnie:- tu yaha apne family ke khilaaf apne kkn ke khilaaf kam karega...?

kabeer:- tu bhi wahi kar raha hai...u know what ronnie...ek waqt tha..jab tu meri family apna manta tha... kkn ko

sayad mujhse jyada tu pyar karta tha...ab agar tu yeh sab kar sakta hai... to main kyun nahin... aakhir kabhi hum

dost the... wo baat alag hai ki tu us dosti ke kaabil nahi tha...

ronnie:- kabeer...tu... main kkn ke khilaaf nahi hu...

kabeer:- achha...to fir yahan kya kar raha hai... mujhe to mere baap pe gussa hai isliye main yaha hu...tu kispe

gussa hai mujhse na... reh i dont care...tu apna kaam kar... mujhe apna kaam karne de...

ronnie:- tu badal gaya hai kabeer...

kabeer:- khud ko dekh... aur main to pehle se hi aisa tha yaad nahi kaise maine apne hi dost ke pyar par hanth dala

tha... main to pehle se hi gira hua hun... tu kyun gir raha hai... tu to mahaan hai... tujhe to sab pata hota hai... just

leave bahut kaam hai mujhe...

ronnie kuchh na bol saka aur waapas apne cabin me aa gaya...kabeer ka mood bhi purani batein yaad karke

kharab ho gaya...

aise hi wo din beet gaya...ronnie ne jab sab kuchh richa ko bataya to woh bahut khush thi... par ronnie ke saamne

chup rahi...aur use apna kaam karne ko kaha...aur dusri taraf kabeer agle hi din jaldi office aaya...aur sheedhe

rocky ke cabin me gaya...aur talashi leni suru kar di...use kuchh saboot mile bhi...par wo sufficient nahi the...sath

hi saath ab use pata hai ki rocky sirf kkn ko barbad karne aaya hai...jo wo hone nahi dega...ronnie jab aya to

usne kabeer ko rocky ke cabin se nikalta dekha...par abhi ronnie ne kuchh nahi kaha...kyuki wo khud abhi dil aur

dimaag ki jung lad raha tha...

KKN...

aalekh:- karan bhaiya...tv on kijiye...BTN lagaiye...

karan:- par...

aalekh:- plz bhaiya...

9:00 pm... khaash khabre kabeer sharma ke saath...

on tv...

kabeer:- namaskaar...main kabeer sharma aapka khash khabre kabeer sharma ke saath me swagat karta hu... apni

khabro ki taraf badhne se pehle nazar surkhiyon par...

naman:- kabeer bhai...aalekh bhaiya...yeh...

ananya:- ha kabeer laut aaya hai naman...apna badla lene...

karan:- badla...?

aalekh:- ha bhaiya...yeh aap dono jaante hai ki us waqt jo bhi hua...wo sab saasiz thi...nupur ki maut ka zimedar

hum me se koi nahi hai...jisne yeh saazis ki thi...woh loge apni zindagi ji rahe hai...aur hum ghut - ghut kar...

isliye... yeh sab...

karan:- usne btn kyun join kiya...

ananya;- kyuki rocky agarawal btn ka maalik aur amar ka bhai hai...amar wahi hai jisne kabeer aur nupur ke sath

wo ganda khel khela tha but accident me mar gaya...

karan:- oh tabhi wo...

naman;- par bhai ab tak the kahan...aur aap loge se...

aalekh:- main batata hu...( aalekh told them every thing about shimla and their planning...) kabeer chahta tha ki

kkn ko hum support kare...par usne aap logon ko batane se mana kiya tha... par hum chahte hai ki kabeer ko uski

family bhi mil jaye...

karan:- thanku... thanku so muchh aaj main bahut khush hu...

naman:- ha bhaiya...(all hugs eachother...have tears...)..

ananya:- par plz abhi aap loge kabeer ko mat bataiyega ki aap uska intention jante hai... u know wo vinod uncle se

naraz hai toh...

naman:- honge hi.. papa ne jo kiya tha uske baad...

ananya:- cool naman ab sab theek ho raha hai na...toh ek din us ghar ko uska beta bhi mil jayega...

naman;- hope so ananya di... i mean ananya bhabhi...( ananya blushed...)...

kabeer on tv:- so isi ke saath main kabeer sharma aapse izazat leta hu...is umeed ke sath ki ek nayi subah hogi... ek

nayi..pehel hogi... Zindabaad...

aalekh:- karan bhaiya...ab wo din jyada door nahi jab yeh news yeh kkn me padhega...

karan:- main bhi yahi chahta hun...aur kabeer ke dusmano ko sabak sikhane ke liye agar kkn ko loss bhi ho

chalega...

naman:- yes...

kabeer ki news ronnie BTN se aur richa ghar pe dekh rahi thi...na chahte hue bhi ronnie ke face pe smile aa gayi

thi...wahi kashyap house me bhi sab kabeer ko dekh ke khush the... par sharma mansion me jahan vinod gusse me

tha wahi nandini aur shadhna ki ankhon me sirf aanshun the...

sharma mension...

vinod:- dekh is ladke ko..isi ki pairawi karte the na tum dono...aaj hume barbaad karne ke liye humare hi rivals ke

sath mil gaya... itna gir gaya hai yeh...cheee...(aur vinod apne kamre me chala gaya...)...

nandini:- mumma iska matalab kabeer mumbai me hai...usne BTN join kiya...karan ko jarur pata hoga...

shadhna:- mujhe kabeer se milna hai nandini...mera beta...kitna badal gaya hai...bada ho gaya hai...tune dekha

use...nandini mujhe mera kabeer chahiye mujhe koi fark nahi padta ki wo kyun aaya hai...bas mujhe usse milna

hai...

nandini:- ha mumma aap chinta mat karo..main karan se baat karungi... (both hugs...)

rat ko jab karan aur naman aaye to nandini ne unse puchha...to un dono ne sab bata diya...par abhi bhi vinod

kuchh sunne ko taiyaar nahi tha...kahin na kahin vinod ko bhi kabeer ka sach pata hai...par wo koi kadam hi nahi

badha pa raha tha ...sayad 4 saal pehle ke liye hue us galat faysle ke kaaran...par nandini aur shadhna khush

the...

nandini:- karan...kal sunday hai...aap humein kabeer se milaane le chaliye na...plzzz...

naman:- ok bhabhi...hum aap dono ko lekar jaunga...main bhi kabeer bhai se milna chahta hu...aur agar papa ne

kuchh kaha to i swear bhaiya...wo apna dusra beta bhi kho deinge...

yeh sabhi loge hall me baat kar rahe the...par inhe nahi pata tha ki vinod apne kamre ke baahar khada in sabki

baat sun raha tha...uski aankhon me aanshun the...

riya:- main bhi jaungi...kabeer chachu se milne...

next day... it was sunday...so kabeer aalekh ghar pe hi the...aur ananya aur jaanvi bhi aa gaye...ananya aur

jaanvi nasta bana rahe hai wahi kabeer aur aalekh kuchh discuss kar rahe the...ki riya daudte hue aai...

riya:- kabeer chachu...(kabeer ne riya ko dekha..par pehchaan nahi paya kyuki usne riya ko tab dehkha tha jab wo

sirf 1 saal ki thi...par riya ne pehchaan lia...kyuki usne to kabeer ki kai saari tasveere dekhi hai...)...are aise kya

dekh rahe ho...main riya hu...(kabeer ki aankh me aanshun aa gaye...wo apni knees pe baitha aur usne apni arms

fayla li...riya turant daud kar aai...aur use hug kar lia...kabeer is kissing him and crying...)..

nandini:- sirf riya se milega kabeer humse nahi...(kabeer find his entire family except his father...kabeer moves

towards them but stoped...in mid...he remind every word of his father...he closed his eyes and clintched his fist...)...

kya hua ruk kyun gaya haa... mana ki papa se tu naraz tha...par humari kya galti hai kabeer...manf nahi karega

humein...mumma ko dekh..sirf is aash me ki unka beta aayega bas jee rahi hai...ek baar bhi hum sab ki yaad nahi

aai...apne bhaiyo ki yaad nahi aai...karan to bade hai...naman ke baare me ek baar nahi socha... itna pyar karta

ha tujhse ki tere liye apne pyar se door ho gaya...(all looks at naman who have tears...)...meri parwaah nahi hui na

tujhe...jisne ek pal me apna bhai...apna dewar apna dost sab kuchh kho diya...humein kis baat ki saza di tune

kabeer...

kabeer:- main aap logon ko kya saza dunga bhabhi...saza main bhugat raha hu...mere papa ki nazro me main ek

muzrim hun...mere jeete ji unhone mujhe maar dala isse badi kya saza hogi mere liye...jin bhaiyo ko jaan se jyada

chaha unse door raha...aur kya bura hoga...jin mumma ke bina main ek kadam nahi chalta tha... zindagi ke sabse

kathin 4 saal unke bigair guzare hai...aur kya bura hoga... jo bhabhi meri dost thi... meri behen thi...unhe kho diya

aur kya khounga...mere dost jo meri zindagi the...unse juda ho gaya,...ubka vishwaas uth gaya mujhpar se isse

badkismati kya hogi...jis ananya ko apni jaan se jyada pyar kiya use yeh tak nahi bata paya ki main usse kitna pyar

karta hu...apne pyar se saalon door raha...isse badi saza kya hogi...ab aap bataiye ki meri kya galti thi...sirf yeh ki

kisi ne jaan bujh kar mujhe frame kiya...par jis waqt mere apno ko mera dena tha...koi nahi tha mere sath...

karan;- janta hu...bahut galat hua hai tere sath... humne galti ki hai...sudhaarne ka ek mauka nahi dega

kabeer...main tere pair...( karan trying to touch his feet but he stops..)...

kabeer:- bhaiya yeh aap...( kabeer hugs him instantaly and just cying...to naman...) tu wahan kya kar raha

hai...yaha aa...(naman also hugs them...)...

jis yug me bhai ka bhai ka gala katta hai...bhai - bhai ka saga nahi hai...wahan yeh teen bhai ek dusre ko apni jaan

se jyada chahte hai...sabhi ke aankhon me aanshun the...kabeer unse alag hua...aur usne shadhna ko rote hue

dekha...aur dheere se uske pass gaya...aur bina kuchh kahe sirf ma bete ek dusre ke gale lage hue the...sirf ro rahe

the..sayad ma bete ka rista hi aisa hota hai..jahan lafzo ki jarurat nahi padti...

riya:- mujhe ek baat samajh nahi aai...ki aap sab ro kyun rahe ho... rule hai kya...mujhe bhi rona chahiye...(riya ki

is baat ne sabhi ke chehro pe muskaan laa di...)...mumma papa...aap hi kehte ho na...ki hum jab kisi se long time ke

baad milte hai to hume smile ke sath welcome karna chahiye par aap loge to...(ananya aage gayi...jo abhi tak

kitchen door pe khadi thi...aur usne riya ko apni gode me uthaya...sabhi ananya ko dekh kar khush the...nandini

ne kabeer se aankhon ke jariye puchha kya tu aur ananya...kabeer assures her...nandini is so happy for them...)...

ananya:- wo kya hai na...apke yeh jo kabeer chachu hai na...wo bahut sadu hai...isliye na koi unhe smile ke sath

nahi mil raha hai...par dekho main aapse smile ke sath mil rahi hu bcz aap bahut sweet ho...

kabeer:- oye kya sikha rahi ho use...main sadu nahi hu...tumse to better hi hun...

riya:- woh to theek hai...par aap ho kaun...? aur aap mere chachu ko sadu kyun bol rahi ho...

ananya:- wo main...(ananya dont know what to say...naman gaya unke pass aur ananya aur riya dono ko side hug

dete hue bola...)

naman:- beta yeh aapki chachi hai...(kabeer looks at naman...) kya kabeer bhai aise kya dekh rahe ho...hume sab

pata hai...aur waise bhi abhi- abhi aapne confess bhi kar lia...to ananya bhabhi...kab aaye hum baraat lekar...

(ananya blushed...ananya ne ria ko neeche utar diya...nandini aur shadhna dono gayi ananya ke pass...aur dono

ne ananya ko hug kiya...over all...all are very happy...) are batao na ki kab karni hai shaadi hai...

ananya:- main kabeer se shaadi tabhi karungi jab tum meri ek shart manoge naman...

naman:- are kabeer bhai ke liye kuchh bhi...

ananya:- pakka...

naman:- ha - ha...aap bol ke to dekho...(Ananya gayi aur jaanvi ka hanth pakad kar naman ke saamne laayi...aur

jaanvi ka hanth naman ke hanthon me de diya...)...

ananya:- agar tum chahte ho ki main aur kabeer ek ho...to tumhe meri jaanvi ko uska pyar lautana hoga...( jaanvi

and naman both have tears...)...

shadhna:- yeh...sab..kab..?

nandini:- ha mumma...janvi aur naman ek dusre ko pyar karte hai...par naman ka faysla kiya tha ki wo tab tak

janvi se shadi nahi karega..jab tak kabeer ghar nahi laut aata...

shadhna gayi aur usne bahut hi pyar se ananya aur jaanvi ke sir pe hanth rakha...aur unke fore head par kiss

kiya...

shadhna:- aaj main bahut khush hu...bete ke sath ek nahi...balki do - do bahuye bhi mil gayi...

kabeer:- tu paagal hai naman...koi aisa karta hai...

naman:- i m sorry bhai...

richa:- mujhe bhi manfi milegi kabeer...(All turns and find richa at the door... richa daud kar aai...usne aalekh aur

ananya ko hug kiya...aur rote hue kabeer ke aage gayi...) i m sorry kabeer..manf karde yaar...us waqt tujhpar

vishwaan na karke bahut badi galti ki thi...plzz manf karde...( richa hanth jod kar kabeer ke saamne ro rahi

thi...kabeer ne use roka aur use hug kar lia...)...

kabeer:- bhool ja richa... ab sab theek hoga...

all are very happy...riya kabeer ki lap me baithi thi...sabhi lunch kar rahe hai...

kabeer:- richa...yeh khadus pati ne tujhe aane kaise diya...

ananya:- kya...ronnie...aisa kyun bol rahe ho...

kabeer:- sahi bol raha hu...wo ek no ka khadush ho gaya hai... aur tu richa aise muh mat bana..main sahi bol raha

hu...aaj bhi saale ka wahi attitude hai...

riya:- awww...aapne gali di,...dadi chachu ne gali di...

kabeer;-maine kab gaali di yar...

riya:- kyun abhi aapne sala bola...

kabeer:- are princess..yeh gali thodi na hoti hai...wo to mujhe tumhare ronnie uncle pe bahut pyar aa raha hai

na...bus isiliye...

riya:- oh to main bhi aapko sala bolungi..bcz i love u...

all:- kyaa...(All laughs..)...

richa:- sorry kabeer give him some time yar...jab tumne btn join kiya to ronnie ne hi mujhe sab bataya tha...plzz...

kabeer:- theek hai- theek hai...par use sabak to seekha ke rahunga...waise tu itani moti kyun ho gayi hai...

richa:- wo actually... i m pregnant...

ananya, aalekh & kabeer:- kyaaa...

aalekh:- yeh lo...main baat sabse last me...congo...

kabeer in ananya's ear:- yeh ronnie toh har cheez me baazi mar raha hai...

ananya:- chup...(Aalekh heard and smiles...)...

sabhi lunch ke baad sofe me baithe the...

shadhna:- kabeer ghar chal na beta...

kabeer:- sorry mumma i cant...plzz dont force me...

karan:- mumma he is right rehne do...

shadhna:- par...chal theek hai..main tujhse mil sakti hu...yahi kaafi hai mere liye...achha yeh to bata de ki main

anita aur sudheer bhai saab se ananya aur jaanvi ke liye kab baat karu...?

kabeer;- are abhi nahi...jab tak main BTN me hu...kisi ko is baare me mat batana...specially rocky ko pata na chale

ki main hi aapka bhai hu bhaiya...warna mera plan chaupat ho jayega...mumma itane din wait kiya hai...kuchh

mahine aur wait karlo...aur tu naman...jitna tune ko rulaya hai...utna tu ab auske saath time spend karega...

naman:- ok bhai...sorry jaanvi...

sabhi shaam ko chale gaye...sabhi khush the...richa ne ronnie ko abhi nahi bataya ki woh kabeer aur baki

sabse mil ke aai hai...par jahan aaj rat kabeer aur ananya dinner ke liye ja rahe hai..us baat ka pata tha richa

ko...aur usne bhi kuchh socha hai...

its night time...kabeer taiyar hokar ananya ke ghar gaya...to anita ji ne darwaja khola...(ananya ne apne aur

kabeer ke baare me anita aur sudheer ko bata diya hai ki wo ab ek hai...aur jaanvi aur naman ka unhe pehle se hi

pata hai...inshort...ananya ke parrents ko kabeer aur naman se koi aitraaz nahi tha...) kabeer ne anita ke pair

chhue...aur ander gaya...

anita:- toh aaj waqt mila hai tumhe aane ka...ha...

kabeer:- woh aunty ananya ne to aap sabko bata hi diya hoga ki...

anita:- ha ha pata hai...main to aise hi keh rahi thi...waise shadhna ji ka phone aaya tha...bahut khush thi wo...

kabeer:- uncle kaha hai...

anita:- are wo abhi apne kisi frnd ke pass gaye hai...

kabeer:- oh...(kabeer starting looking here and there...)...

anita:- woh aati hogi...

kabeer:- kya...kaun,...

anita:- beta main tum dono ki maa hu bhulna mat ha...ananya aati hogi...

tabhi ananya stairs se utar ke aai...pure red gown pehna tha...open hair...long earing...high heels...looking

stunning...kabeer ne black suit pehna tha...both are just looking at eachother...

anita:- beta...time se wapas aa jana ha...

ananya:- ok ma... kabeer chale...

kabeer:- ok...( both left...)...

kabeer aur ananya ek bahut hi khubsurat se hotel me gaye...kabeer ne ananya ke liye chair pull ki aur dono baith

gaye...the place was so beautifull...live music was their..kabeer just looking at ananya with intence eyes and she is

blushing hard...tabhi waiter aakar wine rakhke jata hai...kabeer ananya ko aur khud ko wine serve karta hai...aur

dono hi ek dusre ki aankhon me dekhte hue wine pee rahe hai...kabeer apni chair se uthta hai aur ananya ke

saamne apni knees pe baith jata hai...

kabeer:- may i have a dance with most beautiful girl of my life...(ananya lushed and placed her hand on his...both went to dance floor...)

kabhi aaine pe likha tujheee...
kabhi aanshun se mita diyaa...
kabhi khat samajh ke padha tujhe...
kabhi dairy me chhupa diyaa...
(kabeer sheedha nanaya ke aankhon eme dekh raha hai..wahi ananya blush kar rahi thi...)

kabhi aaine pe likha tujheee...
kabhi aanshun se mita diyaa...
kabhi khat samajh ke padha tujhe...
kabhi dairy me chhupa diyaa...
(kabeer ne ananya ki waist par hath rakha aur use apni ore pull kiya...ananya ne kabeer ke soulders pe hath rakha...both are looking at eachother eyes...)

ek pal bhi tu mujhse...hota nahi hai judaa...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
(both are dancing on the beat of music and their heart...)

---------------------------------------

teri tammna... aakhon me leke...
parchhaiyon ka peechaa kiyaaa...
(kabeer ananya ko dekh raha tha...na chahte hue bhu uski aankhien num ho gayi...)

teri tammna... aakhon me leke...
parchhaiyon ka peechaa kiyaaa...
(ananya asked him by her eyes...he smiles and nods in no...)

har ajanabi see...tera pata main...
diwaano ki tarah... puchha kiyaa...
diwaaano ki tarah..main puchha kiyaa...
(pata nahi kya hua kabeer ko he hugs her very tightly...like he dont want to loose her...)

tujh bin yun lagta hai...dil hai kahin gumsudaa...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
(ananya can feel his love by every touch...his touch was so tender...so loveable...and is melting...she closed her eyes too...)

tu yeh naa jaane... kaise tere bin...
roya hai pal - pal yeh dil mera...
(annaya separates kabeer..nods in no...and palced her head on his chest...)...

tu yeh naa jaane... kaise tere bin...
roya hai pal - pal yeh dil mera...
aanshun kisi ne pochha na mere...
toh yaad aaya aanchal teraa...
toh yaaad aaya... aanchal teraa...
(kabeer kissed her on her hair...closed her eyes... both are remembering their confession...and small smiles appears
on both's lips...)

tanhaai me aksar... sunta hu teri sada...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
aye khuda...aye khuda...
(both looks at eachother...kabeer kissed her on her fore head...both hungs and dancing in eachother arms... tabhi
sabhi ki clapping ki awaaj se we hose me aaye...aur ananya sharma kar table pe chali gayi...aur jakar baith
gayi...)

movie:- Hate story 2

kabeer bhi uske peeche apne baalon me hanth ferta hua chala gaya...aur jakar baith gaya...

ananya:- kya baat hai...aaj bada pyar aa raha hai...

kabeer:- ha aa to raha hai...humara bas chale to abhi aapko apna bana le...

ananya:- dhat...

kabeer:- kya shaadi ki baat kar raha hu... tum kya soch rahi thi...(ananya is blushing...)...

ananya:- nahi kuchh nahi...khana order kare i m hungry...

kabeer:- nahi pehle batao tum soch kya rahi thi jo tumne dhat bola...kahin...(kabeer winks...)...

ananya:- stop it kabeer...

kabeer takes ananya's hand and kissed her...both are looking at eachother eyes...koi tha jo door baithe inhe dekh

raha tha...richa aur ronnie...richa ronnie ko janbujhkar isi resturant me lekar aai...kabeer ananya ko is tarahh

khush dekh kar richa jahan bahut khush thi...wahi ronnie ko guilt sa feel ho raha tha...woh khush tha dono ke liye

par..purani baatien uske jahan me baithi thi... richa ne sirf ronnie ko yahan lakar bahut bada kam kar diya tha... is

baat ka ehsaas abhi khudh richa ko nahi tha...

thodi der baad kabeer aur ananya ne dinner kiya aur nikal gaye...they are very happy with eachother...sach me ek

dusre ke bina yeh adhure the...in dono ne hi ek dusre ko pura kiya tha...aur unke jaate hi richa aur ronnie bhi nikal

gaye... ronnie drive kar raha tha aur richa bagal me baithi thi...

richa:- ronnie kabhi - kabhi dil ki awaaj sun leni chahiye...aankhon dekha galat ho sakta hai...sab khush hai

ronnie...ek kadam aage badhaao sirf khusiyaan paaoge...

ronnie:- u met them right...

richa:- ha i met all of them...aalekh ananya kabeer sabse...aalekh aur kabeer pehle jaise hi ek hai...bas kami

tumhari thi...ronnie bahut hua...plzz mere liye...ek baar kadam badha ke dekh lo...

ronnie:- aalekh bhi yahan...

richa:- ha aalekh aur ananya kkn me kaam karte hai...

ronnie:- kya...par...

richa:- kosis kar ke dekho...

ronnie:- hmmm...

kabeer's car...

kabeer is driving...ananya kabeer ke soulder pe sir rakhke baithi thi...kabeer ka ek hanth stairing pe tha to dusre se

usne ananya ko hold kiye hue hai...

ananya:- kabeer thanku so much for making my day...i mean this is so memorable..i cant forget it...

kabeer:- maine jo kiya apne lie kiya hai...bcz i love u...

ananya:- i love u too...waise kabeer mera birthday aa raha hai...kya gift doge mujhe...

kabeer:- tumhe gift ki kya jarurat hai main hu...pura ka pura tumhara...

ananya:- kabeerrr...

kabeer:- jo chaho...woh dunga...

ananya:- sach...

kabeer 100%...

then kabeer drops her...aur khud apne ghar chala gaya...means aalekh ke ghar...

end of part 15
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 9 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

6 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand â–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

18 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand â–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

19 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand â–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand â–¼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand â–¼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".