Sirf Tere Liye Kabeer & Ananya**completed**Last part on page 49 - Page 16

Created

Last reply

Replies

304

Views

48.6k

Users

25

Likes

398

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: ambersaleem

Ohho yar phr se ruladya ...wese had hoti hai dono hi nhi bol rahe k pyar hai...baqi sbki yaqin aagaya magar ye ronnie aakhir ise problm kya hai kabir se samjg hi nhi aata...finally flashback khatam...sahi kaha ananya ne bohat dard hota hai kb apka pya apke samne ho or ap use apna na kehsako let seee ab aage kya hota hai cont soon


OK ab nhi rulaungi thanku
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
thanku every one for liking and commenting on part 11... here is part 12...
keep reading...love
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
*** Sirf Tere Liye ***

Part 12
A new bright day...

london...

ronnie pane office ke liye ready ho raha tha par kuchh tense sa lag raha tha...tabhi richa uska jiuce lekar aati hai...

richa:- kya hua ronnie...sab theek to hai na...tum bahut tense lag rahe ho...

ronnie:- ya i m fine bas office ki tension hai...

richa:- aisa bhi kya ho gaya...?

ronnie:- wo actually...BTN ne apne new office ki zimmedari mujhe di hai...ki main us office ko sambhalun...kal hi bataya mujhe...

richa:- wow...iska promotion ronnie...tumhe to khush hona chahiye...BTN itna bada internantional channel hai...aur to aur..isse...

ronnie:- mujhe india ki zimmedari mili hai...mumbai branch...

richa:- kya mumbai...?iska matalab...

ronnie:- agar main yeh offer accept karta hun to...humein wapas india jana hoga...at least for 1 year...

richa:- to tumne kya socha hai...

ronnie:- mana karne ka socha hai...mujhe india... specially mumbai to nahi jana...(ronnie apna bag lekar jane lagta hai... par richa ki baat se ruk jata hai...)

richa:- sach nahi jana... ya dikhawa kar rahe ho...wo bhi mujhse...(richa ronnie ke pass aati hai...) bhool jao ronnie ki 4 saal pehle kuchh hua tha...just apne carrier ke POV se dekho... tum yahan se input editor editor aur show producer ho...par agar tum mumbai wala office join karoge... then u will b incharge of BTN... puri branch tumhare under hogi... humare future ke liye its great opportunity...ab tum soch lo ki tumhe kya karna hai...humara ateet... ya humara future... humare bachhe ka future...

ronnie:- theek hai main soch kar bataunga...( ronnie left...)

richa:- hey bhagwaan... aaj mujhe ek aas nazar aai hai... ise mat bujhne dena...plz... ronnie ka jawaab ha ho...

ronnie pura din yahi sochta raha ki use kya karna chahiye... finally usne apne frnd se bhi rai li...usne bhi wahi kaha jo richa ne kaha tha... ronnie ne india jane ka faysla kar lia...aur jab sham ko richa ko bataya to richa bahut khush hui...

richa:- sach ronnie...

ronnie:- ha hum next week india ja rahe hai...mumbai...

richa;- oh i m so happy...

ronnie:- par main sab sirf tumhare aur bachhe ke future ke liye kar raha hu...

richa:- yahi bahut hai...

it was still noon in india...bhopal...

aalekh:- kya par kyun...

principal:- look aalekh...tum itane tailented ho kyun yahan reh kar use waste kar rahe ho... its a great opportunity yar...tumhe delhi ke best college me bheja ja raha hai...for musics...aur tum ho ki...go aalekh...aur fir tumhe wahaan sahi na lage...humara collge...proff aalekh ke liye humesha khula hai...ok...soch lo hume aaj sham tak unhe jawaab dena hai...yahan ke proff ko short list kiya gaya tha...but u got selected... ab now...its ur choice...bhopal or delhi...aur ha yaad rahe...unka campaign bhi suru hone wala hai...to we tumhe kai jagah bhejenge...

aalekh:- ok sir main shaam tak batata hu...

principal:- ok... waise mujhe yakeen hai ki shri ram college tumhe bahut pasand aayega...

aalekh:- hmmm...(Aalekh left...)...

delhi...

class khatam hoti hai...ananya apna samaan utha kar ja rahi hoti hai ki suhana aati hai...

suhana:- hi mam...

ananya:- hi suhana...kya baat hai...aaj tum class me nahi thi...

suhana:- wo mam kal itani story suni...aaj yeh boring class lene ka mann nahi hua...

ananya:- suhana...

suhana:- mam...main aapse kuchh baat karna chahti hu...its personal...church chale...

ananya:- ok...( both went to church...)...

suhana:- mam... main kabeer sir ko dhundhna chahti hun aapke liye...

ananya:- tum pagal ho gayi ho...yeh tum...

suhana:- mam ab aap mat kahiyega ki aap nahi chahti ki aap sab ek ho jaao...i know aap dil se chahti ho...mam main itna keh rahi hun ki...god bhi unhi ki help karta hai...jo apni help khud karte hai...mam bas ek mauka...plzz mam...kyuki aapko bhi pata hai ki aapne galtiyaan ki hai...to unn galtiyon ko ab sudhar lijiye...

ananya:- waqt beet gaya hai suhana...

suhana:- theek hai...mana kuchh waqt nikla hai...par aapki zindagi khatam nahi hui hai...aapki saamne puri zindagi padi hai mam...plzz mam...main...

ananya:- tumhe jo karna hai karo main kuchh nahi kahungi...

suhana:- thanku mam...mera dil kehta hai ki aapko aapka pyar jarur milega...kyuki aap bahut achhi ho...(both hugs...)

suhana in her mind:- i promise mam ki main ab aapki life ko track pe lakar rahungi...

bhopal...

aalekh:- sir i m ready...mujhe delhi kab jana hai...

principal:- wow...great...so main unhe call karke bata deta hu...waise tumhe parso jana hai...so pack ur bags...

aalekh :- ok sir...delhi...here i come...

delhi...shri ram college...parking lot...

lakshya:- oye suhana...ab hum journalism ke bachho ko music bhi shikhaya jayega...

suhana:- kya pagal ho gaya hai kya...

lakshya:- m 100% sure abhi abhi staff room me principal ne announce kiya hai...kal hume bhi bata diya jayega...

suhana:- to main kya karu...mujhe koi interest nahi hai... yahan main ananya mam ki problem ke bare me soch rahi hu aur tu hai ki...

lakshya:- aalekh khanna...our new music proff...

suhana:- to main kya karu...?

lakshya:- suhanaaa...Aalekh Khanna...

suhana:- aalekh...kahi yeh...

lakshya:- hmm ji wahi main soch raha hu...

suhana:- then its great lakshya...agar aalekh khanna wahi aalekh hai then...its easy to make them unite yar...

lakshya:- yes...isiliye toh...main tujhe batane aaya...i m dam sure... now u r also very much interested in music...

suhana:- ofcrz...sone pe suhaga...next week kya hai...

lakshya:- kya...

suhana:- abe duffer hum sab picnic pe ja rahe hai duffer...aur hum girls ki incharge hai ananya mam...aur agar yeh wahi aalekh khanna hai...to boys ke incharge yahi bane...i will make it sure...

lakshya:- par kaise...

suhana:- yar...ab picnic pe music teacher agar jayega...to baat hi kuchh aur hogi...

lakshya:- right...waise baki sab decide karne wale the na ki hum ja kaha rahe hai...kuchh decide hua...

suhana:- nahi yar... ananya mam ko pata hoga...wo incharge hai to..maine kisi se pucha hi nahi...waise bhi ab mujhe sirf picnic se matalab hai jagah se nahi...waise maine tujhe kuchh kaam diya tha tune wo kiya...

lakshya:- nahi yar aaj pakka...

suhana:- mujhe kal tak kabeer sharma ki shari details chahiye...

lakshya;- par tu bhi to paagal hai...ab india me lakhon kabeer sharma honge aur tu hai ki...

suhana:- pata hai par ananya ka kabeer ek hi hai...

lakshya:- ha ha...

suhana:- wait...sunn tujhe yaad mam ne hume kya bataya tha ki kabeer ka moto kya hai...what he wants to be...?

lakshya:- ha...reporter...

suhana:- then tujhe bas india ke un reporters ko dhundhna hai...jinka naam kabeer sharma hai...

lakshya:- par agar wo out of india hai toh...

suhana:- lakshya...

lakshya;- theek hai meri maa... i will ok...

mumbai...KKN...

karan:- what is this...is week ki bhi rating itani kam...

khalid:- all bcz of that BTN...is baar bhi wo humse aage hai...

nanam:- khalid...BTN ka maalik kaun hai...aur yeh channel to abhi 2 mahine pehle launch hua hai...toh iski ratings...

khalid:- pata kiya hai maine...BTN ka owner koi rocky agrawal hai...abhi tak yeh channel london bas me tha...pichhle 6 mahino se wo ise internationally faila raha hai...

karan:- we have to do some thing...humari rating bahut kam ja rahi hai... grover u are an EIC tum kar kya rahe ho yar...replan every thing...naman...

naman:- ji bhaiya...

karan:- aaj se tum grover se sath as a co - editor kam karo...make sure ki humari postion sudhre...

naman:- ji bhaiya...

its late night...shimla...

kabeer shimla samachar ke office se nikal raha hota hai ki achanak se tej baarish suru hone lagti hai...kabeer apni bike rokta hai aur ek tea stall ke pass jakar khada ho jata hai... ki achanak uski nazar ek couple pe padti hai...wo baarish me beeg rahe hote hai...

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...

jaaan vee... bolll dee...
haal - e- dill...


(kabeer bas us couple ko dekh raha tha... use apne aur ananya ke pal yaad a gaye... uski aankhien bhar aai...)

aaja tere seene me... saans saans pighlu main...
aaja tere honthon se... baat baat niklu main...
tu meri aag se... roshni chhaat le...
yeh jameen... aasmaan...jo bhi hai...baat le...

(kabeer wahan se bahar aa jata hai...aur khule aasmaan ke neeche apni baahien faila kar aankh band karke khada hai)

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...

jaaan vee... bolll dee...
haal - e- dill...

(ananya...apni khidaki pe khadi thi baahar baarish ko dekh rahi thi...ki achanak woghar se nikal kar bahar aa jati hai)

aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...
bebasiyaan aajaa...
aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...

(ananya bhi apni baahien fayla kar aasman ki taraf face karke khadi hai)

din jogi rataa...
sab dasiyaa aaja...
teri jholiaa paaun...
ghar galiaa aajaa...
aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...
(ananya ke chehre se hokar baarish ki bunde guzar rahi hai...aur barish ki bunde aur aur uske aanshun mil kar ananya ko jala rahe the)

aajaa...tere maathe pe... chand banke utru main...
aajaa teri aankhon se...khawab - khawab guzru main...

(kabeer apni aakhien kholta hai use saamne ananya usi dress me muskuraati hui nazar aati hai jo usne karan nandini ki shadi me pehni thi...kabeer ek muskaan ke sath bas use dekhta ja raha tha...)

rag - rag pe hai tere saaye ve... rag - rag pe hai tere saaye ve...
rang tera chad - chad aaye...vee...rang tera chad - chad aaye...vee...

(ananya ne apni aankhein kholi aur use apne saamne kabeer aur wo khud nazar aaye...dono hi ek dusre ke aaghosh me the...aur barish me bheeg rahe the...ananya ke jahan aanshun tej ho to muskaan aur badi...)

jaan veee... jaaannn leee...

(kabeer wahin road par baith gaya)

jaan veee... jaaannn leee...

(ananya wahi apne knees par baith gayi...)

haal - e- dill...

(kabeer bas us jagah ko dekh raha hai jahan abhi use ananya dikhi...)

haal - e- dill...

(ananya apne face par hanth rakh kar rone lagi...)
------------------------------------------------
aaja tujhko haanthon me... kismato sa likh lu main...
aaja tere kaandhe pe...umra bhar ko tik lu main...

(kabeer apne hanthon ki ore dekhta hai aur sad si smile deta hai...ki use saamne bentch par ananya nazar aai..wo daud kar gaya aur uske kaandhe par sir diya kabeer ne...aur aankhien band karli...)

teri akhiyon ke do gehne ve...
teri akhiyon ke do gehne ve...

(ananya kabeer ke baalon ko sehla rahi thi...kabeer apni aankhon ko kholta hai aur ananya ki aankhon me dekh raha tha...)

phirte hai pehne- pehne ve...
phirte hai pehne- pehne ve...

(kabeer ek pal ke liye apni akhien band karta hai aur ananya gayab ho jati hai...)

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...

(kabeer khada ho jata hai aur yahan wahan dekh raha tha)

jaaan vee... bolll dee...
haal - e- dill...

(kabeer apni akhien dard se band karta hai...aur uska chehra aanshun se bhar jata hai...)

aaja tere seene me... saans saans pighlu main...
aaja tere honthon se... baat baat niklu main...

(ananya wahi ro rahi thi ki kisi ka hanth uske kandhe pe aata hai...ananya mud kar dekhti hai to kabeer hota hai...)

tu meri aag se... roshni chhaat le...
yeh jameen... aasmaan...jo bhi hai...baat le...

(ananya hugs him so tightly but kabeer gayab ho jata hai...)

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...

(ananya is looking here and there...but no sign og kabeer)...

jaaan vee... bolll dee...
haal - e- dill...

(ananya is crying hardly...)

aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...

(kabeer usi jagah road par late jata hai...aur barish aur aanshun ki bundo se khud ko bheego raha hai...)

jaan veee... jaaannn leee...
jaan veee... jaaannn leee...

(ananya daud kar ander jati hai...aur darwaja band kar leti hai...aur usi se take laga kar baith jati hai...)

aaja...mahiaa aaja...
aaja...mahiaa aaja...

(kabeer closed his eyes...and still lying on the empty road...)

jaan veee... jaaannn leee...
haal - e- dill...
haal - e- dill...

(ananya bhi floor pe late jati hai...aur khud ko curdule kark ro rahi hai...)

jaan veee...
haal - e- dill...
haal - e- dill...
haal - e- dill...

(screen devided in 2 parts...1 side is ananya...and another side is kabeer both are crying hard and both are actually living for eachother...)

movie:- haal - e- dil...


ananya wahi par so jati hai...aur kabeer ko ek old man aakar uthata hai...

old man:- beta...tum yahan is road pe kya kar rahe ho apne ghar jaao...

kabeer:- ji baba...thanku...

kabeer wahan se apni bike uthata hai...aur chala jata hai...jab apne ghar pahunchta hai to dekhta hai ki tarini uska wait kar rahi thi kabeer ko gussa aa jata hai,...

kabeer:- what the hell is tarini...tujhko hazar baar bola hai...mera intezaar mat kiya kar...par tu hai ki...

tarini;- ho gaya... chal ab khana kha le...

kabeer:- mujhe bhookh nahi hai...

tarini:- dekh kabeer... mana ki teri life me problem hai...par jaruri nahi ki agar tune dard saha hai to dusro ko takleef dene ka haq mil gaya hai tujhe...

kabeer:- maine kisi ko koi takleef nahi di hai...main kisi ko nahi kehta ki koi meri parwaah kare...

tarini:- ha sahi kaha tune tu kaha kisi ko kuchh kehta hai...baki sab pagal hai jo teri parwaah karte hai...aur main to sabse badi pagal hu jo...rehne de...( aur tarini left...)

kabeer:- are sunn toh...hey bhagwaan whyyy...

phir kabeer jata hai...aur tarini ka laya hua khana khata hai aur so jata hai...

next day...shimla samachar...

pandit ji( the incharge of shimla samachar...actually shimla shamachar is only a local new channel...aired only in shimla and himachal...):- kabeer...humne socha hai ki ab barf baari jyada ho rahi hai to tourist bhi jyada aa rahe hai...kyun na hum unka interview cover kare...

kabeer:- nice idea pandit ji... kaun karne wala hai cover...

pandit ji:- tum aur sunny...

kabeer:- main...?pandit ji...main crime reporter hun aur aap mujhe yeh...

pandit ji;- kabeer...toh kya hua...tum shimla samachar ke liye headline dhoondh dhoondh kar laate ho...aur ab tum shimla ka chehra ban chuke ho...tum koi bhi khabar bechoge...wo bikegi...aur tum hi kehte ho...ki khabre banai bhi jaati hai...

kabeer:- par...(sunny aata hai... sunny played by parvinder singh prince)...

sunny:- kabeer bhai bolo aaj kya lead hai...koi dhaanshu...

kabeer:- ha bachho aur premi premikao ke romance ko shoot karna hai...

sunny:- kya...abe tu chal...( tabhi kabeer ke phone pe ek msg aaya jise dekh kar uske chehre me ek badi si smile aa gayi...)

kabeer:- are pandit ji bhad me gaye tourist...mast lead mili hai...kal subah breaking news hogi yeh...

pandit ji;- par aisa kya...

kabeer:- are ap bas dekhte jaao kabeer sharma ka kamaal...sunny camera nikal chal...pandit ji yeh tourist ka interview abhi kisi aur se kara lo agla slot main pakka karunga...byeee...(aur kabeer sunny ko lekar chala gaya)...

pandit ji:- hey bhagwaan yeh ladka bhi na...

delhi...college canteen...

suhana;- ha bol kya pata chala...(lakshya apna laptop nikaal kar suhana ke saamne rakhta hai...)...

lakshya:- yeh dekh...yeh hai kabeer sharma...aaj kal shimla aur himachal me chhaya hai...umra 28 saal...4 saal pehle aaya hai...mumbai se shimla...pehle shimla kranti news paper me kaam kiya isne...phir 2 saal pehle shimla samachar new channel me aaya hai... unka public figure hai...pure himachal me khabre sirf iske naam se bikati hai... baki family aur frnds kuchh nahi mila...mujhe laga tha tough hoga dhundhna...par jab kal tune kaha ki reporting was his passion to maine kal google kar dala...(suhana kabeer ka pura profile dekh rahi thi...)

suhana:- wow... i must say...kya banda hai yar...kya personality hai...

lakshya:- tabhi apni mam fisal gayi...

suhana:- shimla...sun main aaj morning class me nahi thi...kisi ne bataya kaha jana fix hua hai humara for picnic...(lakshya has a brightest smile...) dontb tell me ki... hum shimla ja rahe hai...

lakshya:- shimla, manali, aur himachal ke chhote chhote gao...but main point is shimla,...(ab to lagta hai ki bhagwaan bhi humare sath haii...)

suhana:- get ready mr kabeer...here we come...ab to tufaan aayega...(hifive with lakshya...)par annaya mam ko kuchh mat batana...its a surprise for her...

lakshya:- ok...sun wo aalekh ka kya hua...

suhana:-abhi tak kaha aaye hai yar...sayad ek do din me aa jaye...ok... abhi chal yar kuchh padh lete hai...

its night...shimla...
kabeer is driving...aur sunny peeche baitha hai camera lekar...

sunny:- kabeer bhai hum ja kaha rahe hai...

kabeer:- abe lead mili hai ki apna home minister jungle me mangle kar raha hai...

sunny:- kya jungle me...wahan janwar bhi honge...

kabeer:- ha janwar ko hi to apan shoot kareinge...jo humare desh ko kha rahe hai...

sunny:- oh...are par aap itani door kyun park kar rahe ho...

kabeer:- tu bolta bahut hai...chal mere sath awaaZ mat karna...

dono hi dabe paao...jungle ki ore jaate hai to dekhte hai ki jungle ke us side ek bahut chhota sa farm house type hai...jahan home minister baitha hai apne aadmiyon ke sath...aur uske aas pass baar dancer hai...wo loge nace rahi hai...aur wo home minister unke sath cheap harkate kar raha hai...

kabeer:- abe camera nikaal...(sunny camera nikalta hai...aur sab shoot karta hai...tabhi mantri ke aadmi ki nazar unpar padi...)abe sunny bhaag...

wo body guard unke peeche bhaga...aur kabeer aur sunny aage - aage... bhagte bhagte wo loge road par pahunchne hi wale the ki wo aadmi ne sunny ko pakadne ke liey kooda...aur uska pair ek jhad me phas gaya...usne sanny ki pant pakad li...saunny chhudane ki kosis kar raha hai...

kabeer:- abr sunny chal...

sunny:- kabeer bhai...is gende ne meri paint pakad rakhi hai...

kabeer:- kya...(kabeer daud kar uske pass aaya...aur dekh wo aadmi jhad se fasa tha...aur apne aadmiyon ko awaaz lagane laga...)abe tune chaddi pehni hai na...( sunny nods in yes...) great to paint utaar...

sunny:- kya baat kar rahe ho ...main us type ka aadmi nahi hu...

kabeer:- par main hu..chal utaar...

sunny:- kabeer bhai nahi...(sunny ke ek hanth me camera tha us aadmi ki waaz se kuchh loge unki taraf badh rahre the to kabeer jaldi se sunny ki belt kholta hai...sunny ki paint utar jati hai...aur jis aadmi ne sunny ki paint neeche se pakadi thi uske hanth me sirf paint thi...)

kabeer:- abe chal bhag...( dono bhage kabeer ne bike start ki...sunny peeche baitha aur dono nikal gaye...aur mmantri ke loge kuchh nahi kar paye...)

sunny:- oh rab ji pata nahi aage mere sath kya - kya hona likha hai...kabeer bhai aapne yeh soch ke rakha hai kya ki har jagah meri hi bajegi...

kabeer(still driving):- ab kya kare apna kaam hi aisa hai...sunny paaji so just chill...

sunny:- chill gaya tel lene aaj meri paint utarwa di kal pata nahi kya - kya karwaoge mere sath...

kabeer:- le aa gaya ghar...jaa 2 - 4 paint ek sath pehen lio...de wo tape de...

sunny:- yeh lo...good night...

kabeer:- thanku yar...waise bada sexy lag raha hai...

sunny:- ruko aap...(wo marne ko dauda par no chance...kabeer nikal gaya...

next day...

shimla ki breaking news bani...home minister ka rangarang karyakram...jungle me mangle karte pakde gaye...mantri...is news ne bahut ratings batori...

pandit ji;- kya baat hai...ise kehte hai khabar...u have done it again kabeer...tumhe leads milti kaha se hai...

kabeer:- its secret pandit ji...samajhdar player apne saare patte nahi kholta...

sunny:- kuchh credit mujhe bhi de dijiye sir...main apni paint ki kurbaani di thi...

kabeer:- ha sir is news me sunny ki paint ka bahut bada yogdaan hai...

sunny:- ha...kyaaa...(all laughs...)

delhi...

sabhi ki classes chal rahi hai ananya bhi apni classes le rahi hai ki ki tabhi gate se aalekh ander aata hai...aur pricipal ke cabin me jata hai...

aalekh:- may i come in sir...

principal:- come in...oh mr aalekh welcome to delhi and our college...

aalekh:- thanku sir...

principal:- mr aalekh inse miliye... yeh hai humare sports teacher mr samrat...(played by mohit sehgal...speacial appearnce )

aalekh;- hello...

samrat:- hello...music is a great art...aapko hi select kiya humare college ne...hope so ki aapko bhi humare college ke students ko music ki shiksha dekar maza aayega...

aalekh:- ofcrz tabhi to main yahan aaya hun...

samrat:- sir i have a suggestion...kyun na mr aalekh bhi humare sath picnic pe jaye...u know na...picnic me music ka alag hi anand hota hai...aur isi bahane humare is batch ke students se inka taal mel bhi baith jayega...

principal:- nice idea...mr aalekh humara college is saal journalism ke finals ke bachho ko shimla lekar ja raha hai tour pe...actually har saal hi kisi na ki batch ko lekar hum jate hai...to kya aap is saal ke picnic pe jana pasand kareinge...

aalekh:- journalism ke bachhe...

samrat;- ji...any problem...

aalekh:- sure main jarur jana pasand karunga...waise personally mujhe picnic se nafarat hai but...duty comes first...

samrat:- aapko picnic nahi pasand...rare...

aalekh:- ha...but yeh sach hai...kabhi - kabhi kuchh cheeje sab kuchh cheen leti hai...

principal:- anyways...samrat aap aalekh ko college dikha de...faculty se aur jin bachho ke sath inhe bhi jana hai unse to introduce kara hi de...

samrat:- ji sure sir...aaiye mr aalekh...

samrat aur aalekh dono hi staff room ki taraf ja rahe the...ki achanak suhana unse takra gayi...

suhana:- oh sorry sir...

samrat:- suhana...tum is waqt yahan kya kar rahi ho...tumhari class...

suhana(looking at aalekh):- wo sir main liabrary gayi thi...sir yeh...?

samrat:- oh ha...suhana yeh tumhare naye music teacher hai...mr aalekh khanna...

suhana:- aalekh...

samrat:- suhana...he is ur teacher...

suhana:- ahhh... sorry sir...welcome to our collge sir i m suhana singhania...journalism...final year...(suhana ki harkato ne aalekh ko ananya ki yaad dila di...)

aalekh:- its ok suhana...mr samrat chale...

samrat;- oh common aalekh dont be so formal with me yar...we are about same age...just call me samrat...

aalekh(smiling);- then u just call me aalekh...no mr aalekh...(suhana is looking at aalekh)...

samrat:- suhana tum abhi tak gayi nahi...

suhana:- yes sir...bye sir...and thanku...(suhana bhag gayi...tabhi bell ring hui...)

samrat:- lo aalekh...period bhi off hua...ab tum sabhi faculty se mil sakte ho...lets go...(dono staff room me gaye...) hi every one...yeh hai aalekh khanna...humare college ke naye music teacher...(aalekh sabse hanth milata hai...) mrs patel... where is ananya...(ananya ke naam se aalekh shocked ho gaya...tabhi peeche se ananya aai...) lo naam lia aur mam hazir...(ananya ko samajh nahi aaya...aalekh turn hua...and both aalekh and ananya were shocked to see eachother...)...ananya...yeh hai aalekh khanna...humare college ke naye music teacher...aur aalekh yeh miss ananya kashyap...humari communication teacher... (dono ki hi aankh me aanshu the...

ananya:- aalekhhh...

aalekh:- ananyaaa...(sabhi wahan inhe dekh kar confused the...both hugs eachother...and crying...)

ananya:- kahan chala gaya tha aalekh...

aalekh:- pata nahi bas...(ananya ne sabhi ko dekha...aur aalekh se door hui...)

ananya;- samrat...he was my one of best frnd...hum same college me the... par ab 4 saal baad mile toh...

samrat:- oh to yeh baat hai...its great...so aalekh...ab aap yahan akela to bilkul mehsoos nahi kareinge...aapki frnd jo yahan hai...

aalekh:- ha sahi kaha aapne...(suhana aur lakshya bahar khade sab dekh rahe the...)

suhana:- bhagwaan sach me humare sath hai lakshya...bas ab hum shimla me sab kuchh theek kareinge...

lakshya:- right partner,...chal...(both left)...

end of part 12
press like if u really liked it
do comment
love chandni

**********************************************************
**********************************************************
precap;-

kabeer:- ananya...nahi nahi...woh yahan kaise ho sakti hai...relax kabeer...kaam pe dhyaan de...(sunny aaya)...

sunny:- kabeer bhai shots le liye...chalo ab sabke mahaan vichar jaante hai...(kabeer laughs )...

kabeer:- chal...sambhal kar ha...warna main & tu kal hospital se on air jayeinge...

Edited by rkchandni - 9 years ago
rinku95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Superb
Can't wait for kaya meeting
Poor sunny sorry but can't stop laughing at his condition
Continue soon
Thank for pm
kajalkalwani thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 9 years ago
Superb update. Hopefully alekh n ananya meet kabir soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: rinku95

Superb
Can't wait for kaya meeting
Poor sunny sorry but can't stop laughing at his condition
Continue soon
Thank for pm


Me 2 I was also laughing thanks
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago

Originally posted by: kajalkalwani

Superb update. Hopefully alekh n ananya meet kabir soon


They will jayeinge kahan thanku
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Oho yarrr kitna rulana hai kair ananya ko dushmani hogai hai kya raj se har story me rulaye jarahi ho had hai...kher ab aalekh or ananya to mil gaye or hope so k next part me kabir ananya bhi mil jayenge or plz ye apne pyar ka izhar krden wrna...kabir or sunny ka scene hahaha very funny anyways cont soon
newmoon18 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 9 years ago
Mind blowing update
Loved it
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 9 years ago
nice parts
ek saath 3 parts read karne ko mile
sorry for late comment dear
love all the parts
yr nupur mar gayi wo bhi malvika or uske evil frnds ke wajah se or sara ilzam aa gaya bechare kabeer pe kitne cheap harkat ki thi in sab ne kabeer or Nupur ke saath alekh ne bhi bharosa nhi kiya nupur ka
Ronnie ki problem kya h kyu itna negative h wo kabeer ko le kar
ananya kabeer ka first kiss wow... but ase situation me yeh dono ke liye he acha nhi h
alekh ananya mil gaye hope ab jaldi he kabeer se bhi milna ho inka
cont soon


love naina

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

7 months ago

Tere Ho Gaye Hain Hum(I have become Yours)Sameer Nandini ZaBir SS

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

25 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

26 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".