Humko tumse pyar hai ~Rajveer Naina~ *completed* Last part on page 51 - Page 23

Created

Last reply

Replies

387

Views

142.5k

Users

31

Likes

579

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thanks alot all my fic readers...😊❤️😊
keep reading...😊
keep smiling..always...😊
thanks a ton😊
love chandni😊😊😊😊

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

***RN-Humko Tumse Pyar hai***
Part - 18

next day...at meeting room...

raj:- so are guys ready for attack...??jaisa ki aap sab ko clear hai ki 15 august bahut hi kareeb hai just 2 months later...khan wo gate band karo aur aa kar baith jaao...?(khan door band karke aake baith jata hai...then raj kuchh phootage phir se chalata hai...)so guys...yeh kuchh aur phootage mili hai...they are highly confidencial...aap sabhi ko pata hai ki yeh mission kitana dangerous ho sakta hai...mujhe to abhi bhi is baat ka pura yakeen nahin hai ki hum aaj se 2 mahine baad zinda raheinge ya nahin...par itana jarur pata hai ki yeh mission pura jarur hoga...i m sorry to say capt armaan and lft ali...main aap dono ko aaj se pehle nahi janta tha...isliye mujhe aap dono par doubt tha...kyuki baki sabhi ko main bahut achhi tarah se janta hun yeh sab bhi apni jaan de sakte hai is mission ke liye par dokha kabhi nahi...aur jahan tak khaan ki baat hai...i trust him blindly bcz he is one of my fav soldier...par pichhle ek hafte mein me mujhe itana to pata chal gaya hai ki...u both are trustworthy and sayad isiliye colonel sir ne aap dono ko select kiya hai...i hope main yeh sab kyun keh raha hu...aap yeh samajh rahein honge...

ali:- ha raj bhai...hum achhi tarah se samajh sakte hai...ki aap kyun yeh sab keh rahe hai...humien to bas itani hi khushi hai ki humara pehla mission wo bhi itana bada jisme humein bahut shikhne ko already mil raha hai...aur hum saheed bhi ho gaye na to humien koi gam nahi hoga...

armaan:- exactly...aur waise bhi raj ab hum dono ko bhi apni is paagal gang ka hissa bana lo yar...

aalekh:- kya bola be...

raj(smiles):- sure armaan...cool aalekh...so ali armaan kya pata laga...?

armaan:- razzak ansaari kashmir ke pass chhote- chhote gaawo me hi bhatakta hai...bhatakta hai means uska koi ek thikana nahi hai iska sath vaseem khan de raha hai keh sakte hai ki vaseem khan iska baap hai...par humare pass vaseem khan ki koi bhi photo nahi hai...matalab ki agar wo humare saamne khada bhi hoga to hum use pehchaan nahi payeinge...

ali:-aur aapne bilkul sahi kaha tha raj bhai ki yeh loge is 15 august ke aaspass kuchh to bada karna chahate hai...filhaal yeh loge bilkul sant hai...

raj:- par jyada din tak nahin raheinge ali...yeh apna kameena pan jarur dikhyeinge humien warn karne ke liye...taki operation milan na ho sake...aalekh tu kashmir ke aas pass ke ilako me apne kuchh khash bando ko pehre me laga de(aalekh nods in yes)...armaan tum aur ishaani specially unn jagaho par jaha jyada bheed hoti hai wahan daily inspection ke liye jaoge(both nods in yes)...naina tum monitoring karogi...khan will help u...naveen u will guide them aur sare ammunitions ki responsibilty tujh par hai...

naveen:-aur tu?

raj:-main karunga operation milan ki taiyaari...khan tum wahan 20 fit door jakar khade ho jaao...(khan door jakar khada ho jata hai...aur raj wahan par pada paper wait uthata hai aur seedhe khan ke dil ki taraf marta hai all r shocked par khan waqt pe us paper wait ko apne ek hanth se pakad leta hai...)GooD...

armaan:- what the hell...yeh kya tha...

raj:- nothing just a try...kyun khan(raj winks at khan)

khan(smiles):- yes sir ho jayega...

naveen:- wait tu kar kya raha hai...?

raj:- wo to mujhe khud hi nahi pata...but just trust me guys...jo bhi main soch raha hun agar wo sach ho gaya to this mission will be in huge success just bcz of u all...bas abhi jitana kaha hai utana karo...aur naveen bhul mat main tera leader hun...

naveen:- abe leader gaya tale lene...samjha...apni aukaat me reh...

raj:- dekh tu mere sath aise...

aalekh:- kareinge...kya kar lega...naveen is right...humare saamne apni yeh heropanti mat dikha samjha...dusro ke liye bacha kar rakh...

raj:- theek hai, theek hai...chalo kaam me lago...

aalekh:- kya bola be...

raj:- aalekh ji naveen ji plzzz apna- apna kaam izzat ke sammpann kijiye...kahiye toh pandit ko bula kar muhurat nikalwaaun...

naveen:- chal aalekh sala humien order jamata hai...(naveen and aalekh left from there with full of attitude aur unke jaate hi...naina is laughing like hell...)

raj:- what...tum kyun hans rahi ho...

naina(still laughing):- oh poor raj...tum un dono se apne liye respect ki ummeed bhi kaise kar sakte ho...??(raj is making a face)agar tum colonel bhi ban jaoge tab bhi unn dono se gali hi khaoge...and same with them...

raj:-ya ya...ab kamse kam tum sab to meri baat maan jao...

naina:- ok...guys chalo lets get to work...(all left but ishaani was still there she is observing raj very keenly...first time she watching geniun smile on raj face)

ishaani:- is muskurahat ko maine aaj pehli baar dekha hai veer... i m very happy for u...aaj pehli baar tumhe dil se khush hota dekha hai...and its just bcz of naveen and aalekh...right...tumne bilkul sahi kiya hai veer...(ishaani and raj both hugs)

raj:- thanks ishaani for everything...wo dono mere liye kya hai yeh maine in do salo me jan liya hai...thanks alot...

ishaani:- ab tum mujhe bhi thanks kahoge...

raj:- ok baba nahin kahunga...ab jao armaan tumhara wait kar raha hoga...(but in dono ko hi nahi pata tha...ki naina in dono ko dekh rahi thi...aur usne inke freindly hug ko kuchh aur hi samjh liya aur rote hue apne room me chali gayi...)

ishaani:- ok byee...(and she left)

naina in her mind...:- kyun itana dard hota hai...sach janti hun main...phir bhi kyun accept nahi kar paa rahi hun...main raj ko kisi aur ke sath nahi dekh sakti...bahut jalan ho rahi hai mujhe tumse ishaani...bahut kismat wali ho ki tumhare pass raj hai...par mera kya...nahin naina sachha pyar kiya hai tune...be strong naina...agar raj ishaani k sath khush hai to...tujhe raj ke liye khush hona chahiye...(thabhi some one knocked naina wipes her tears and opens the door...there was khan)

naina:- ha khan kaho...

khan:- aap theek to hai...

naina:- ya ya...lets go humein chalna chahiye...

khan:- ji...(both left for their secrect monitor room which were highly securitized)

isi tarah inka mission chal raha tha...sabhi apne kaam ko bahut hi seriously kar rahe the...aur baki time masti bhi karte the...par naina raj se door rehti thi...aur raj bhi naina ke bilkul bhi kareeb nahi jata tha...yeh baat naveen aur aalekh dono ne notice ki bcz unko ummeed thi ki naina raj ko apne dil ki baat bata degi to sab theek ho jayega par kuchh nahi ho raha tha...in dino armaan ko bhi ishaani bahut pasand aane lagi thi keh sakte hai ki armaan ko ishaani se pyar ho gaya tha aur yeh baat armaan ko pata bhi haii...par wo ishaani ko kabhi kuchh keh hi nahi pata hai...ishaani aur wo partner bhi hai mission me isliye jyada waqt ek dusre ke sath hi rehte hai...par ishaani armaan ko sirf apna achha dost manti hai...kyuki wo to aaj bhi sirf raj ko chahti hai...isi tarh inka mission aage badh raha hai...par raj usne bahut bada khatara mol liya hai...usne ek plan banaya hai taki operation millan me koi bhi rukawat na aa paye...abhi tak raj ne is baare mein kisi aur ko nahi bataya par khan ko andaza hai ki raj kis had tak ja sakta hai apne desh ke liye isliye wo humesha raj ki help bhi karta hai...

in sabko ek lead mili hai jiske mutaabit...razzak aur vaseem khan ka sath kashmir ka hi politician ram nath singh de raha hai...raj ne ram nath singh ko monitor bhi karwaya hai...aur aalekh ke aadmi us par puri nazar rakh rahe the...jisse unhe yeh pata chala ki indian aarmy ko warn karne ke liye in logon ne kashmir ke poonch, bandipura aur kargil ko main nishana banaya hai aur raj ne sabhi ko in teen jagao aur aarmy base camp pe kadi nigrani rekhne ke orders de diye hai...is mission ke liye raj ne indian aarmy ke diff soldiers ko bulaya hai jo in jagaho par as a civilian stay kar rahe hai...aur raj ko report karte hai...

raj yunhi tarrace pe baitha tha aur apne khayalo mein gum tha ki tabhi naina wahan aati hai...raj ko dekhte hi wo wapas jane lagti hai...par naina ka ehsaas hi raj ke liye kafi tha...

raj:- naina...tum baith sakti ho...(naina turns)

naina;- nahin its ok raj main to bas aise hi aayi thi...main chalti hun...

raj :- naina maine kaha tum baith sakti ho...(naina jakar raj ke hi bagal me tarrace ki railing mein baith jati hai dono bas yunhi hi baithe hote hai thodi der tak koi kuchh nahi bolta then raj broke the ice...)so best acdet bani ho...ha..

naina(smiles):- ha...like u...

raj:- aur batao sam aur huda kaise hai...sorry wo hum pichhle 1 mahine se sath me kaam kar rahe hai par time hi nahi mila ki tumse baat kar saku...

naina:- ha pata hai tum bahut busy ho...aur sam aur huda bhi bahut achhe hai...

raj:- in do saalo mein hum sab ke jaane ke baad to bahut achhi dosti ho gayi hogi na in dono se...

naina:- sam se to pehle se thi..par haan huda se jarur ho gayi hai...he is..

raj:- ha i know...par tum puri badal gayi ho...tum wo naina nahi ho...jo mere pichhe mujhe katne ko daudti thi...jise sant rehna nahi aata tha...

naina:- ha that y u used to call me miss bak bak hai na,...

raj:- ya...

naina:- raj wo sorry...tumhe us tarah pata chala ki maine hi tumhe pareshaan karne k liye tumhare ghar chandra mukhi bankar phone kiya tha...actually u know na i used to hate u that time...

raj:- ha yad hai...just bcz of u...mere ghar me sab mujh par sak kar rahe the...aur santa tai wo to kuchh jyada hi...but i know us waqt hum sab pagal the...maine bhi tumhe kitana pareshaan kiya tha drills ke time...

naina:- haan...but ab wo sab yaad karti hun to hasi aati hai ki kitana bachpana tha hum sab me...i mean...

raj:- yes naina...but ab hum mature ho chuke hai...zindagi ne bahut kuchh sikha diya hai...

naina:- ha raj sach kaha bahut kuchh shikha diya hai waqt ne...ab hum khul ke ro bhi nahi pate hai...dard peena shikha diya hai is zindagi ne...mar -mar k jeena bhi shikha diya hai is zindagi ne(a tear roles down to her cheek)

raj:- naina...r u ok..tum ro kyun rahi ho...

naina:-nahi raj kuchh nahi...bas kabhi kabhi dard had se jyada badh jata hai...kabhi kabhi hum jo chahte hai wo humare saamne hota hai par humari kismat itani kharab hoti hai ki hum use chhu nahi sakte hai...aisa kyun hota hai raj ki hum jis cheez ko jitana sambhalne ki kosis karte hai...jitana use apne pass rakhna chahte hai wo cheez humse humse utani hi door hoti jati hai ki...(raj placed his hand on hers)

raj;- naina main tumhara dard achhi tarah se samajh sakta hu...par tumhe kis bat ka dukh hai...mujhe batao...main tumhari har problem solve karunga...

naina:- sach raj... karoge...(both r looking at each other eyes and raj nods in yes...)mujhe kuchh chahiye raj doge...

raj:- ha naina..jo tum kahogi wahi hoga...bolo kya chahiye?

naina:- abhi nahi jab waqt aayega tab mang lungi...waise abhi sirf thanks kahungi..bhaiya ko manf karne k liye...and sorry tumhare sath itana galat hua aur main kuchh...

raj:- nahin naina plzzz tum manfi mat mango...achha naina ek bat puchhu...

naina:- ha puchho...

raj:- r u in...r u in love with some one...

naina(sadly):- haan...bahut...par meri kismat itani achhi nahi hai raj...main use paa nahi sakti...

raj:- kya par aise kaise ho sakta hai...

naina:- kyun...

raj:- nahin mera matalab hai ki wo bhi to pyar karta hai na to...

naina:- pata nahin...raj meri chhodo tum batao kya tum kisi se...

raj:- haa...main bhi kisi se bahut pyyar karta hun...

naina:- great...par tum itane badal kyun gaye ho??...u know sab tumse kitana darte hai...jaise sab major nair se darte the...

raj:- oye gali to mat do yaar...main aur major nair no way...us muchhad ke sath compare kark mera kachara kar diya tumne to...

naina:- kyun bhala akhir tum bhi to unhi ki tarah...

raj:- no way...mujhe dekho mera charm hi alag hai...aaj bhi ladkiyaan mujhpe jaan chhidakti hai...(now both are standnig and fighting like kma days)

naina:- haan sari ki sari andhi hongi...nahi nahi puri pagal hongi...

raj:- achha...madam...tumhe pata nahi hai...meri purani posting me meri senior tak mujhpar fida thi...

naina:- ya ya...whatever...

raj:- what ha...tum apne ko kya samjhti ho...jaise koi hoor ki pari ho...hat...tujhe to main ghas bhi na dalu...

naina:- oye main chahti bhi nahi ki tum mujhe ghash dalo...aur ha us waqt main bilkul sahi thi tum ek no ke sadu ho mr sadu kumar...

raj:- miss bak bak tum apni bakwaas band karo warna...

naina:- warna kya...mera court marshal kar doge kya...hello sirf capt ho samjhe...bada aaya...main naina singh hun naina singh...koi ishaani nahin jo tumhe jhel lungi...

raj;- to maine kab kahan ki tum mere sath raho...aur ishaani ko beech mein mat laao...she is far better than u...

naina:- dekho mujhe ishaani se compare mat karo...

raj:- kyun na karu...tumne bhi to mujhe us nair se compare kiya...

naina:- raj chup ho jaao warna...

raj:- warna kya... kar kya logi tum miss bak bak...actually nahi ayaan is abs**tly right...what he used to call u was just perfect and suit u...the chudail..ha ha ha...

naina:- what...

yeh dono ko hi nahi pata tha ki yeh itani jor jor se lad rahe the ki naveen aalekh ali armaan ishaani khan aur baki kuchh aur loge bhi inki awaaz se tarrace me aa gaye the aur live telecast dekh rahe hai...

naina:- rukh teri toh,...(aur naina bagal se ek vash se kuchh mitti utha kar raj ke pure face aur kapdo par laga deti hai raj aur baki sab bhi shocked khade dekh rahe hai...)'

raj:- naina yeh kya kiya...

naina:- bilkul sahi kiya tum yahi deserve karte ho...

raj:- teri to ruk...( aur raj ek water pipe uthata hai aur naina ko pura gila kar deta hai... naina usse wo chhinne ki nakaam kosis kar rahi hai jis wajah se raj bhi pura bheeg jata hai... tabhi naina looks at all aur chup ho jati hai)

naveen:- kyun chup kyun ho gaye tum dono...dekha khan yeh hai tumhara senior..capt RAJVEER...jo bachho ki tarah pani se khel raha hai...(raj turant hi wo pipe phek deta hai...)

ali:- aap loge lad kyun rahe the...

ishaani:- ha raaz hua kya aakhir...

raj:- meri koi galti nahi hai...yehi mujhe mc se compare kar rahi thi...

naveen, aalekh:- what...

raj:- haan...

naina:- meri bhi koi galti nahi hai galti iski hai...mujhe chudail keh raha tha...

raj:- are maine kabhi tumhe kaha are wo to ayaan meri girl...(but raj stops in mid)

naveen:- kya..

raj:- nahin nahin kuchh nahi...main chalta hu...

armaan in his mind:- in dono ke beech kuchh to hai...pata karna padega...(raj turns to go tabhi naveen water pipe uthata hai aur sab ko bheega deta hai...)

aalekh:- oye tu bhi pagal ho gaya hai kya...

naveen;- kya yaar lets enjoy...common sis...hey raj aa na...

then all were enjoying fake rains...

aalekh room...

aalekh in his mind:- aaj jo bhi hua achha tha...aaj kam se kam wo dono ne kuchh bat to ki...are baat kaha dono bhool gaye the ki ek dusre se kitana pyar karte hai...khair jo bhi ho aaj arse baad purani naina aur purane raj ko dekh kar achha laga...aur ab apun ka mann solid bol raha hai ki...ye operation millan sach much me raj naina ka millan ban ke rahega...(aalekh smiles and retires to his bed calls neelu and love chats with her)

naveen room...he is on his bed...

naveen to him self:- aaj main bahut khush hu...aaj itane salo baad raj aur naina ko dil se haste aur pehle jaisa dekha...i mean ladte dekha hai...bas ummeed yahi hai ki meri behen ko uska pyar mil jaye...aur pata nahi kyun mujhe aisa lagta hai ki raj bhi...nahi nahi its too early naveen...naina ne khud kaha hai ki raj use sirf dost manta hai...give him some time sab theek hoga...

ishaani at her window pase with tears:-kyun raj...aaj tak tumhe apne sath maine itana khush kabhi nahi dekha...aj to aisa lag hi nahi raha tha ki tum wahi raj ho jiske sath main pichhle do saal se thi...mujhe aisa lagta tha ki main tumhe puri tarah se janti hun par aisa nahi hai...jis raj ko maine aaj dekha hai us raj ko to main janti hi nahin hun...main tumhe veer isliye kehti thi kyuki mujhe lagta tha ki tumpe sirf mera haq hai par aisa nahi hai...aisa nahi hai...mujhe pata hai ki tum mujhse nahi naina se pyar karte ho...par naina to huda se...hey bhagwaan koi rasta dikhao mujhe...ya to mujhe mera pyar dedo ya phir raj ko uska...

raj aur naina dono hi apne bed par lete hai aur aaj jo un dono ke beech hua wo soch kar mushkura rahe hai...aaj bahut din baad we khush the...tabhi...(imagine raj then naina...raj then naina)

raj remembers:- raj:- r u in...r u in love with some one...

naina(sadly):- haan...bahut...par meri kismat itani achhi nahi hai raj...main use paa nahi sakti...(raj's smiles faded away...)

naina remembers:-naina:- pata nahin...raj meri chhodo tum batao kya tum kisi se...

raj:- haa...main bhi kisi se bahut pyyar karta hun...(naina's smiles faded away...)

raj:- naina ne aisa kyu kaha ki wo use paa nahi sakti hai...kahin uske aur huda ke beech kuchh...

naina:- ha raj mujhe pata hai ki tum ishaani ko bahut chahte ho...par raj ne kabhi kaha to nahi hai ishaani me bare mein...nahin nahin mujhe ishaani ki aankhon me raj ke liye pyar dikhta hai...haan ishaani raj se pyar karti hai...par raj...kya woh bhi ishaani se hi...mujhe bahut bura lagta hai jab ishaani raj ko veer kehti hai...maine socha tha sirf main raj ko veer kahungi par...oh god help me...

raj:- hmm agar huda ki wajah se naina dukhi hai to main huda aur naina ki problm solve karke dono ko mila dunga...kyuki isse naina khush hogi... ha mujhe takleef hogi par...isme naya kya hai...(then both slept with tears)

aise hi kuchh aur din beet rahe the...sabhi kuchh normal sa chal raha tha...aaj armaan ne thaan liya hai ki wo ishaani ko keh dega ki he loves her...we dono hi poonch city me hai is waqt...aur apni duty kar rahe the...ki achanak...

armaan:- ishaani..i love u...

ishaani:- kya...kya bakwaas kar rahe ho...

armaan:- dekho koi jabardasti nahi hai...tum mujhse pyar nahi karti its ok...but main to karta hun na...

ishaani:- wo...looks armaan...main main...

armaan:- its ok i understand...par kya hai na...ki mera manna hai ki dil ki baat jubaan pe laa deni chahiye...nahi to kabhi kabhi bahut der ho jati hai...par jaane do tum nahi samjhogi...

ishaani:- sach kahan tumne...dil ki baat jubaan pe laa deni chahiye...dekho na maine bhi bahut der kar di...aur raj...usne bhi...

armaan:-raj?

ishaani:- yes i love himmm...(dhamake on armaan's face) and he loves naina(again dhamake on armaan's face)abhi tumne kaha ki main nahin samjhungi...main achhi tarah samajhti hun...jab hum kisi se pyar kare aur wo hume wo pyar na de sake to kitana dard hota hai...

armaan:- tum ne raj ko bataya...??

ishaani:- nahin kyuki main janti hun ki he will never accept me...wo naina ko bahut chahta hai...

armaan:- ek minute...pehle mujhe puri baat batao ki matter kya hai...

ishaani:- actually...(then ishaani told him everything about raj naina naveen aalekh...)

armaan:- oh god...kya naina bhi raj se...?

ishaani:- pata nahi...par according to raj naina loves huda...

armaan:- par mujhe aisa nahi lagta...dekho ishaani main isliye yeh nahi keh raha kyuki main tumhe chahta hun...main yeh isliye keh raha hu kyuki raj aur naina dono mere bhi dost hai...infact jitana maine naina ko observe kiya hai...she loves raj only...main tab se naina ko notice kar raha hu jis din se raj yahan aaya hai...yaad karo ishaani jab hum sab games khel rahe the pehli baar mess me tab naina jiss tarah raj ko dekh kar gana ga rahi thi,...(then ishaani remembers abt naina's song for raj..)yad karo jab raj academy aaya naina kis tarah behave kar rahi thi...yad karo jab bhi wo dono ek dusre ke sath hote hai to wo duniyaan ko bhul jate hai...we khush hote hai..otherwise raj jaisa insaan kisi se aise bhi bat kar sakta hai jaise wo us din naina se lad raha tha...raj ka sure hai tumhe...par mujhe bhi is baat ka yakeen hai ki naina also loves him...ab baki tumhare upar hai...tum jo chahogi wahi hoga...(armaan turns to left)

ishaani:- armaan i need ur help...will u..?

armaan:- jaan hazir hai...

ishaani:- jaan nahin chahiye..bas agar naina bhi raj ko pyar karti hai to...mujhe un dono ek karne me tumhari help chahiye.. i want to unite them...

armaan:- yeh...tum...tum jis insaan se pyar karti ho..usko kisi aur ke sath...

ishaani:- armaan yeh maine raaj se hi sikha hai ki agar aap kisi se pyar karo...sirf apne pyar ki khushi dekho apni nahin...aur mujhe pura yakeen hai raj mere sath kabhi khush nahi reh sakta tabhi to aaj tak use kuchh keh nahi payi...raj ki khushi sirf naina me hai...

armaan:- bilkul sahi kaha...par ek baat samajh me nahi aayi...raj ne naina ko phele apne dil ki baat naveen ki wajah se nahi batayi...phir huda ki wajah...par naina kyun apni feelings raj se chhipa rahi hai...aur yeh bhi ho sakta hai main galat hun naina wakai huda se...

ishaani:- plzz aisa mat kaho..main raj ko khush dekhna chahti hun...aur uske liye main kuchh bhi kar sakti hun...

armaan:- i will help u...main huda ka pata lagaunga...ok now smile...(and both hugs freindly)

aise hi kuchh aur din beet gaye armaan ne huda ka pata bhi laga liya aur ab use pata chal chuka hai ki huda aur sam sadi karne waale hai...jisse armaan ab sure hai naina aur raj ke baare mein...usne yeh baat abhi sirf ishaani ko batai hai aur ishaani bhi bahut khush hai...ki raj aur naina ko ab wo ek kark hi rahegi...par is waqt unka mission jyada impt tha...jo bahut kareeb tha...raj ko lead mili hai ki operation millan ko rokne ke liye vaseem khan aur razzak ansaari ne pooch jile ko almost apne kabje me kar liya hai...puri tarah se hijack kar liya hai...us ilake me kareeb 60000 se jyada loge rehte hai...jin par nishana lagaya gaya hai...aur razzak ne military ko keh bhi diya hai ki agar un logo ne operation millan nahi roka to wo ek ek karke sabhi lagon ko mar daleinge...kuchh logon ne bhagne ki kosis ki to unke aadmiyon ne unhe wahi dher kar diya aur unki body ko base camp bhijwa bhi diya...ab 15 august ko sirf 2 din baki hai...15 aug ki subah aperation millan hona tha...par inn logon ne sab kuchh barbaad karne ka than liya tha...unn logo ne sabhi logon ko to nishana banaya sath hi ishaani, aur armaan bhi us waqt wahi the to wo bhi unki giraft me hai...unn logon ne ek puri haveli me kuchh khash logon ko kaid kark rakha hai...

aur dusri taraf raj aur puri team poonch ke liye nikal gayi hai...sabhi ne yeh than kar rakha hai ki we unhe pakad kar raheinge...

raj:- ali aur khan tum dono kuchh sipahiyon ko lekar south side se attack karoge...naveen tu west side se jayega...aur aalekh tu armaan aur ishaani ko detect karega aur back se attack karega...and naina tum mere sath rahogi...mujhe cover dogi hum front se jayeinge...ram nath singh ko arrest karne ke orders paas karwa dijiye sir...ab bahut ho gaya...

naveen:- raj plzz cool..hose se kaam lena...

sabhi nikal padte hai...

watan walo...watan na bech dena...
ke dharti yeh,,,,,,gagan na bech dena...
(yahan brig saab ram nath singh aur bhi kai logo ko areest karwate hai...sabhi unka protest kar rahe hai...)

shahido ne jaan di hai...watan ke waaste...
shahido ke kafan na bech dena...
(aalekh kuchh logon ko lekar unn bahiri logon ko chakma dekar haveli ki taarce ke through ander ghusta hai...)

dosto, shathiyo...hum chale...de chale...
apna dil, apna jaan...taaki jeeta rahe apna hindustaan...
(yahan sabse jyada problem raj naina aur unke covering officers ko ho rahi thi...bcz wo sabse jyada khatarnaak ilaake se ja rahe the...but wo kamiyaab hote hue aage badh rahe the...)

hum jiye, hum mare...is watan ke liye...
is chaman ke liye...taaki khilte rahe gul humehsa yahaan...
dosto, shathiyo...
(naveen aur uske saathi bhi kai logon ko dher karte hue aage badh rahe hai...)

dosto se milo...dosto ki tarah...
dushman se , milo dushmano ki tarah...
jeena kya...marna kya...buzdilo ki tarah...
keh raha,yeh watan...yeh jameen aashmann
(yahan armaan aur ishaani ne bhi chalaki se apne hanth to chhuda liye hai par un dono ko baki sab ki jyada fikra hai..achanak se ishaani ki nazar upar se aa rahe aalekh par padti hai...)

maao ne...apne bete diye naujawaan...
soch kar aur kya...taaki jeeta rahe apna hindustaan...
(khan aur ali bhi ab pahuch chuke hai aur jakar aalekh ke hi sath mil chuke hai...ab tak sabne sipahiyon ke sath milkar lagbhag 100 se jyada aatankwadiyon ko dher kar diya hai...aur kuchh indian aarmy ke sipahi bhi saheed ho gaye hai...)

maatrabhumi ka dil... tu nahi todna...
desh ke dushmano ko nahiin chhodna...
marna jeena tujhe is watan ke liye...
farz apna nibha de pawan ke liye...
(raj ne ek hanth se naina ka hanth kas kar pakda hai aur dusre hanth se firing kar raha hai...aur naina bhi wahi kar rahi hai...un sabhi ko bahut si chhote aayi hai par abhi unke liye sirf desh pehle hai...bad me khud we...par raj ke mann me yeh bhi hai ki jab tak wo hai naina ko kuchh nahi hone dega...aur naina bhi raj ko pura cover de rahi hai)

naaz tumpe kare...yeh jameen aashmaan...
karte hai yeh duaa...taaki jeeta rahe apna hindustaan...
(achanak se ho rahe is tarah ke hamlo se razzak ansaari gabra sa jata hai aur andha dhundh firing suru kar deta hai...jisme kuchh masum loge mare to jate hai...par sahi waqt par raj aakar samne se uske hanth me firing karta hai jisse razzak ansaari gir jata hai...)

desh ke naam...apni jawaani likhi...
yeh jawaani hai kya...zindagaani likhi...
bas yahan tak ki humne kahaani likhi...
ab likho iske aage ki tum daastaan...
(razzak ansaari ke girte hi...aalekh, naveen ali khan...armaan ishaani aur naina bhi razzak ke admiyon par toot padte hai...)

ab likho iske aage ki tum daastaan...
farz kardo adaa...taaki jeeta rahe apna hindustaan...
(raj:- guys...ansaari ko zinda pakadna hai...aur raj jakar ansaari ko uske collor se uthata hai aur gaseetate hue bahar le kar aata hai...jahan already aarmy vans khadi hai...)

dosto, shathiyo...hum chale...de chale...
apna dil, apna jaan...taaki jeeta rahe apna hindustaan...
(baki sabhi atankwadiyon ka ancounter kar diya jata hai...kyuki ansaari ke siwa baaki sabhi bojh the inke liye aur desh ke liye bhi...)

dosto, shathiyo...dosto, shathiyo...
(raj, naina, naveen, aalekh,ishaani, armaan, ali, khan, and other soldiers are badly injurred...but they all have smile on there faces..kyuki itane dino ki mehnat se hi aaj we sahi jagah sahi waqt par pahuch paye...)

dosto, shathiyo...dosto, shathiyo...
(par inke aankhon me anshun bhi the kyuki is aatankwaad ki ladaayi me aaj phir kuchh masum bali chad gaye...kuchh maaye nihsantaan ho gayi to kuchh aurte widhwa...to kuchh bachhe anath...aaj phir ek baar jeet kar bhi insaaniyat haar gayi...)

naina:- raj humse jitana ho sakta tha...sab ne kiya...phir y r u?i...mean...

raj:- nahi naina...yeh nahi socha tha maine...itane masum...kyun naina...kyun main haar gaya...

naveen:- nahin raj...mana ki hum sabko nahin bacha paye...par razzak ansaari to pakda gaya hai na...zinda jaisa ki hum chahte the...

raj:- par vaseem khan ka kya...uske pass backup plan to hoga hi na...abhi bhi pure 12 ghante hai uske pass bahut kuchh ho sakta hai...anyways..camp chalo...aalekh tu apni style se armaan ke sath milkar razzak se sab kuchh ugalwayega aur sketch banwa vaseem khan ka...now lets go...ali order dedo ki in sabhi saheed hindustaniyon ka antim sanskaar achhe se karaya jaye...(all proceed towards their work)

end of part 18

plzzz do comment...
with love chandni...
*********************************************************
*********************************************************

Edited by rkchandni - 10 years ago
yoginisahakari thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 10 years ago
Mind blowing out of this world.
Pl cont soon.

Love and prayer
Yogini
naujoker thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 10 years ago
Really nice update!
Raj and Naina nok-jhok was awesome.
Last part made me cry 😭
Thanks for the pm.
RNgirl thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
Awesome yaar,
Raj and Naina's fight was super cute.
Armaan is so sweet, helping Raj and everyone
else like that. The mission part was so scary.
My heart was literally mjumping out of my Chest.
Glad non of the officers were hurt too bad, but the innocent people...
But humanity lost. I am so happy that your book was not just for entertainment,
But showed other issues such as terrorism and it's effect on normal, innocent people.
Continue soon
Misha
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
raj ne sbko bohat ache se orders dya mision k bare me😊
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
lakin bechara dosto pe orders nhi chala paya kya halat kari naveen or aalekh ne uski 😆
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
ohhh wowww aj kitne arse bad raj or naina pehle jese lare zabardast enjoying fighting 😆
ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
baki sb bhi bacho jese enjoy karna shuru hogaye 👏 haa lakin phr wohi galat fehmya 😭😭 kher armaan or ishani ko to sb samjh aaya atleast lakin phir ye mision bich me aagya ache se nimat gaya ye mision to kher bt raj upset hai sahi bat hai afsos hota hai jb itni koshish k bad bhi itne log mar jayen anyways cont soon👏
Edited by ambersaleem - 10 years ago
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
gr8 part
little emotional
thanx for pm
plz pm me for next

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

1 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Student of the Year: When Love Lost Its Way [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @JasmineRahul in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: The alternative version of the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

More Than Enough ~ A Rumya Three-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @oh_nakhrewaali in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: Character A has body image...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

4 months ago

Deewaniyat ~ A Jeenat Five-Shot [Completed]

Author's Note: Based on the Prompt by @Indulekha00 in Submit Writing Prompt Thread who requested for writing: A prompt for the mysterious lovers...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".