PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 20

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

ambersaleem thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
nice update pr bohat galat horaha hai sujal k sath prerna ko use sb such bta dena chahye pr pta nhi q? kher ab kahan jayenge ye dono???or is piyush ki to agar is ne kuch kya na ya iski wajha se sk me galat fehmi hui o i will surely kill him. cont soon thanx for pm
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
superb part
finally sujal and kashish become one in all senses
sk romance wow
omg that vasu blackmailing prerna and her decision so sad
omg sujal and kashish leaving home
i hope some thing happened and stop them
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: love_sujalkash

part 17... hwww piyushhh aa gya 😡😡😡

ye q aya ise london he rhna chaeye tha 😡 ab mere sujal ko tang kry ga...disgusting😡...
WowWw...kashish sujal dono eh dosre k liye wart rkhty...i like it😛😛 and my fav scene jb kashish khti h k agr mero sout laye to m us k sath sath apka b khoon kr du gi or bd mei apna bhi😛...hehehe
my faVvv song...MERE PYAR KI UMER HO ITNI SANAM...i love ths song ❤️ wldone chandni sweeettuu claping 4 uHHH👏 keeep it up...love u baby


thankyou so muchhh dear...
love u 222222222
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: love_sujalkash

part 18...sb se phly to kashish k muh se piyushhh ko bhai saab sun k mza agya...hehehehe 😃...

uski himmat kese hui kSujal ki kashish p gandi nzr rkhne ki😡
krwa chth p sujal ki showl jalne lgi thi oowww😭😭😭 nhiii😛 kashish k hty sujal ko kuch nhi ho skta SK ki shadi ko 1 year b ho gya sb bht khush hn apni apni life m😳
vasu or piyushhh ki prerna se baatein bht sad scene tha...ye kesi maa h vasu😡😡😡...
ab SK chaly jaien gy...cont soon dear...keep it up


thankyou sis...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ambersaleem

nice update pr bohat galat horaha hai sujal k sath prerna ko use sb such bta dena chahye pr pta nhi q? kher ab kahan jayenge ye dono???or is piyush ki to agar is ne kuch kya na ya iski wajha se sk me galat fehmi hui o i will surely kill him. cont soon thanx for pm


sujal ke sath bhi ek din sab achha hoga...
thanks alot...
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: nilusoni

superb part

finally sujal and kashish become one in all senses
sk romance wow
omg that vasu blackmailing prerna and her decision so sad
omg sujal and kashish leaving home
i hope some thing happened and stop them
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon


thanks alot nilu...
dont worry i hope so too for a happy ending...😆😆
Lavi_dovey thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
amazing part.
loved it.
thank u so much for pm.
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: krazykaju

amazing part.
loved it.
thank u so much for pm.


thanks dear
keep reading...
keep smiling...😊
Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
thanks alot every one...for reading...liking...and commenting on my fic...

lots of love and hugss...

Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


*** sk- Pure love ***
part 19

kashish:- aap jahan le jayeinge... aankh band kark apke sath chalungi... (sujal kissed her on her fore head and both went to bed and slept...)

next day afternoon main hall...

dadi aur anurag wahan sir jhukaaye baithe hai aur baki sab khade hai tabhi sujal aur kashish aate hai...aur kashish jakar sabhi ke paur chuti hai aur prerna k hanth me ghar ki chabhiyaan de deti hai...

sujal:- mumma...hum ja rahe hai...aaj se ab se is ghar par aur business me sirf akki rishi aur di ka haq hai...(dhamake on others face...sujal anurag ke pass jata hai...)papa yeh office k lockers ki kuchh chabhiyaan hai...ab hum chalte hai...

akki:- 1 minute...koi mujhe batayega ki yeh ho kya raha hai...? sujal bhai aap kaha ja rahe ho aur yeh sab hai kya...

rishi:- mujhe aisa kyun lag raha hai ki aap loge yeh ghar chhod kar...

sujal:- rishi...akki ab tum dono bade ho gaye ho...ab se sari zimmedari tum dono ki bhi hai...rishi papa aur akki ki help karna business me...

akki:- sujal bhai...aap kaha ja rahe ho...?

rishi:- what the hell is this...bhabhi aap ro kyun rahi hai...

sujal:- hum yeh ghar chhod kar ja rahe hai rishi...mumma ko aisa lagta hai ki unka yeh sautela beta unke sage bachho ka haq chheen raha hai...(dhamake on prerna's face)isliye tum logon ka sab kuchh tum sab me baat kar ja raha hun...

akki(shouts):- lekin kyun...ek baat aap meri kaan khol kar sun lijiye...aap yahan se kahin nahi jayeinge...is ghar mein humse pehle haq aapka hai...bhabhi ka hai...aur jis ghar me aap aur bhabhi na ho wo ghar, ghar nahi hai...main dekhta hun ki mumma apko kaise nikalti hai...(akki gusse se prerna ke saamne jata hai)mumma aakhiri bar bol raha hun bhai ko rok lo...mujhe achhe se pata hai...agar aaj bhai aisa kuchh kar rahe hai to apni khushi se kabhi nahi kar rahe honge...yeh sab aapke kehne par hi ho raha hai...mumma...plzz kuchh to bolo...

rishi to anurag and dadi:- papa...dadi...aap loge aisa kaise kar sakte ho...big b...aap log kuchh kehte kyun nahi...

akki:- mumma main aapse kuchh keh raha hun...

prerna:- jo ho raha hai tum dono ke bhale k liye hi ho raha hai...use jane do...wo chala jayega to main chain se jii paungi..(sujal closed his eyes with pain...and kashish holds his hand...both have tears)...

akki:- oh to main bilkul sahi soch raha tha...aur rishi...papa ya dadi se kuchh mat bol...aakhir kar yeh decision the great prerna garewaal ka hai...ise to bhagwaan bhi nahi badal sakta...

sujal(shouts):- akki...

akki:- nahi bhai...aaj nahi...barso se main chup raha...kyuki aap nahi chahte the ki koi inse sawal kare...par aaj nahi...aaj to inhone har had par kardi hai...u know what mrs prerna garewaal...apko lagta hai ki yeh insaan(pointing towards sujal)yeh insaan aapke sage bachho ka haq chheen lega...kya chheen lega wo...ha yeh property...are laat marta hun main aisi property ko...bhul gayi aap yeh wahi sujal hai jisne rishi ki jaan bachane ke liye apni jaan daav par laga thi...(prerna closed her eyes with pain)yeh wahi sujal hai jisne is ghar ko jod kar rakha...yeh wahi sujal hai...jiske hote hue kabhi bhi aapke sage bachho ko kisi baat ka darr nahi hota tha...yeh wahi sujal hai jo apne bhaiyo ke liye marne se bhi peeche nahi hata...yeh wahi sujal hai..jis par papa ko naaz tha...papa sir utha kar kehte the ki main sujal garewaal ka baap hun...yeh wahi sujal hai jisne khud ko kho kar aapko apna bhagwaan bana liya...par aap...aapne to use insaan bhi nahi samjha...

rishi:- mumma...aap yeh kehti ho na...ki big b ke jane ke baad yeh sari jayjaad hum sab ke naam ho jayegi...to theek hai jaisi aapki marzi...rakhiye yeh daulat apne pass...kyuki aaj aap apne ek bete ko nahi balki apne 3no beto ko ghar se nikal rahi hai...jis ghar me mera bhai nahi us ghar me main bhi nahi rahunga...(dhamake on all's faces)

prerna:- rishi...

sujal:- rishi tu pagal ho gaya hai...

akki:- wo bilkul sahi keh raha hai...aur aap...aap bhi maan gaye jaane k liye haan...kya kareinge aap...kaha raheinge...

prerna:- tumhare bhai ko uska hissa mil jayega...uske naam jo bhi property hai usi ke rahegi...yeh seher bahut bada hai kahin bhi reh lega...

akki:- wah mumma...wah...kya baat hai...kya mamta hai na aapki...par kya apko pata hai ki yeh insaan jo aapke saamne khada hai wo bilkul kangal hai...ek rupya bhi nahi hai unke naam...kyuki unhone bahut pehle hi apni sari property mere rishi aur di ke naam kar di hai...(dhamake on anurag, prerna dadi's face)aur bhabhi aap...aap inhe nahi samjha sakti thi...ki kya kareinge yeh...kahan rakhienge aapko..kya 2 waqt ki roti bhi khila payeinge aapko...kangal hai yeh...bilkul kangal kya karengi aap inke sath...

kashish :- akki mujhe pata hai,...tum is waqt bahut gussa ho isliye yeh sab bol rahe ho...aur jahan tak baat hai ki yeh mujhe kahan rakhienge...to mujhe is baat se koi fark nahi padta hai...bas yeh bas mere sath ho mere liye yahi bahut hai...aur jahan yeh raheinge wahi mera ghar hoga...yeh to bas eet pathar ka makaan hai mere liye...yeh mere sir par ho ya na ho mujhe koi fark nahi padta..par sujal ka hona mere liye utana hi jaruri hai..jitana meri saason ka chalna...aur jahan tak baat hai ki kya mujhe sujal 2 waqt ki roti bhi khila payeinge...to humara pyar hi kafi hai jeene ke liye...aur ha mere sujal me itani kabiliyat to hai ki wo mujhe bhukha nahi rehne deinge...jo hoga jitana hoga hum usi mein khush reh leinge...par plzzz yeh sab mat kaho...tum sab ki khushi hasi sujal ke liye bahut mayne rakhti hai...inki jaan basti hai tum sab mein...isliye plzzz

akki:- dekha mumma yeh hai sujal aur kashish...par aap nahin samjhegi...aaj apne is duniyaan ki sabse badi galti ki hai...apke liye yeh aapke sage bete nahi hain na...theek hai,,,jaisi aapki marzi...par aaj abhi, aur isi waqt main aapko apni maa maanne se inkaar karta hu...(dhaamake oon all's face)aap kehti hai na...ki sujal aapka saga beta nahi hai...are aap to sujal ki maa kehlaane ke laayak hi nahi hai...(all are shocked sujal goes and slaped him hard across his face)

sujal:- kya kaha tune...khabardaar jo aajke baad...mumma se aise lihaaz me baat kiya to...bahut bada ho gaya tu...ki jinhones tujhe janm diya...unhe hi kya sahi hai aur kya galat is baat ki seekh de raha hai...agar aaj ke baad tum dono me se kisi k muh se bhi maine mumma ya papa ke liye aise alfaaz sune na...to yaad rakhna...ki mujhse bura koi nahi hoga...bhul jana ki sujal tera bhai hai...(dhamake on rishi and akki's face)manfi mango abhi isi waqt...aur ha tum dono is ghar me hi rahoge...khabardar jo is ghar ko ya mumma papa ko chhod kar jane ki baat bhi kahi to...mumma...i m sorry...main yeh sab nahi chahta tha...ab hum chalte hai...(sujal jakar prerna ke pair chuta hai aur phir dadi aur anurag ke pair chhu kar kashish ka hanth pakad kar bahar kadam badhata hi hai ki..)

prerna:- ek minute...tu jayega jarur par apni property lekar...(sujal smiles aur kashish ke sath apna samaan lekar chala jata hai...)sujal...sujal...

akki:- ab apna natak band kijiye...jo chahti thi wo mil gaya na aapko...

anurag:- bas...sab apne kamre me jaao...(akki, aur rishi gusse me apne kamre ki ore chale jate hai...)

dadi:- sab kuchh khatam ho gaya...vasu ne sab barbaad kar diya...ab main nahi jeena chahti...aaj mera sujal beghar ho gaya...

prerna(rote hue..):- anurag... wo to sari property yahi chhod kar chala gaya...yahan tak wo sab bhi jo uska khud ka kamayaa hua tha...ab aaditya aur vasu...wo sujal ke sath...

anurag:- isi baat ka to dar hai...ki ab kya hoga...main abhi jakar commisioner saab se baat karta hun...aur main tumnse vada karta hun...sujal apne ghar jarur lautega...(aur anurag bhi ghar k bahar chala jata hai...par in sab ko nahi pata tha...ki akki inki baat sunn raha tha...)

akki in his mind:- vasu aur aaditya...kahin mumma unhi ki wajah se to sujal bhai ke sath...kuchh to gadbad hai...mujhe pata lagana hi hoga...(aur akki phir anjali k ghar chala jata hai...)

khanna house...

anjali:- kya...mumma ne sujal ko...

akki:- ha di...sujal bhai...unhone to...(then he told every thing to anjali kavya angad kripa and mehek)

angad:- main jata hun sujal k paas aur use yahan lekar ata hun...

kripa:- ha angad aap jayiye aur dekhiye pata nahi...weh dono kis haal mein honge...

kavya:- anjali tum plzz tension mat lo sab theek ho jayega...

anjali:- woh nahi aayega kavya...wo nahi aayega...mujhe samajh nahi aata ki mumma aisa kyun karti hai sujal k sath...aakhir sujal bhi to humari hi tarah...

akki(gusse se):- nahi...wo humari tarah nahi hai di...

angad:- matalab...??

akki:- mumma sujal bhai ke sath isliye yeh sab karti hai kyuki sujal bhai ko mumma ne janm nahi diya hai...(dhamake on all's face)wo lalit uncle aur vasu aunty ke bete hai...

kavya:- lalit uncle?

akki:- lalit uncle papa ke bade bhai the...

kavya:- the?

akki;- wo 26 saal pehle mar chuke hai...aur vasu aunty unki wife hai...aur sujal bhai ki asali maa...

anjali:- yeh tu kya bakwaas...

akki:- yeh sach hai di...kuchh mahino pehle(then akki told them about every thing which had happened few months ago...)

kripa:- hey bagwaan itana sab kuchh ho gaya aur...

angad:- aur sujal ne mujhe bataya tak nahi...

kripa:- par prerna aunty sujal jaise bete ke sath aisa kaise...

akki:- yehi problem hai na bhabhi...aaj maine mumma ko bhala bura kaha hai...par ab mujhe yeh ehsaas ho raha hai...ki mumma kuchh to chhupa rahi hai...jo vasu se related hai...aur hum si baat ko nahi bhool sakte ki vasu ne marne ka sirf natak kiya tha...wo aaj bhi jinda hai...

kavya:- ek minute...kahin in sab ke peeche vasu ka haanth to nahin...

anjali:- par aisa karne se unhe kya milega...?

akki:- yehi to pata lagana hai ki mazra kya hai...angad bhaiya aap jaiye na...sujal bhai mujhse bahut naraz hai wo meri baat nahi manenge...aap unhe mana kar yahan le aaiye...plzzz(angad nods and left)

on road...

kashish:- sujal hum kaha jayeinge...

sujal:- kashish mere pass abhi kuchh paise hai...abhi k hum kisi chhote se hotel mein reh lete hai...phir main koi rented ghar ka intezaam kar lunga...aur phir job bhi dhundna hai...

kashish:- hmmm...

sujal:- i m sorry kashish aaj sirf meri wajah se...

kashish:- nahi sujal...yeh aap kya keh rahe hai...bas aap mera sath kabhi mat chhodna...(sujal hugs kashish aur dono ek chhote se hotel me chale jate hai...)

vasu's hotel...

piyush:- good news bua...dad...prerna garewal ne sujal aur kashish ko ghar se nikal diya hai...ab dekhna jaise hi sujal ko yeh pata chalega ki aap kaha ho wo aapke pass jarur aayega...aur phir uske naam jo bhi daulat hai wo sab humari hogi...aur phir hum sujal ko khatam kar deinge...

vasu:- yeh kya...kya keh rahe ho tum...pagal ho gaye ho kya...wo mera beta hai...tum dono ne to kaha tha ki jaise hi sujal ki daulat mil jayegi...hum uski zindagi se humesha k liye chale jayeinge...(to aaditya)bhaiya aapne wada kiya tha ki sujal ko kuchh nahi hoga...

aaditya:- hey vasu calm down sis...ha kiya tha wada par tumhi socho agar sujal zinda raha to humare liye bahut bada khatra ban sakta hai...kyuki wo koi dhoodh peeta bachha nahi hai ab...apne dum par itana bada empire chala raha tha...wo sirf apne pariwaar k liye chup hai...aur ha...tum yeh achhi maa hone ka natak mere saamne mat karo...sujal ke saamne karna...wo hai hi emotional fool...

piyush:- correct...u know what dad...maine apni life me bahut se log dekhe hai...par sujal jaisa emotional fool insaan maine aaj tak nahi dekha...he is such a...i mean yar u are a billionare aur tum apne us do kaudi ki family k liye yeh sab kar rahe ho...wo lady prerna jo use nafrat karti hai hai...usse bhi pyar se baat karta hai...oh kitne drame baaz hai us family...

vasu:- draamebaaz nahi ise pyar kehte hai...khair jaane do tum dono kabhi nahi samjhoge...

aaditya:- hey vasu...kahin tumhari mamta to nahi jaag rahi hai...agar aisa kuchh hai to us mamta ko mar daalo...kyuki agar humara maksad pura nahi hua...to hum sujal ko abhi maar denge...aur ha hum aisa kar bhi sakte hai...

vasu:- wo to mujhe pata hai ki tum kya-kya kar sakte ho bhaiya...aaj tak tumhara sath diya hai sirf sujal k liye...aage bhi dungi...par ha sujal ko kuchh nahi hona chahiye...

aaditya:- theek hai sujal ko kuchh nahi hoga...abhi jaao aur prerna se pata karo ki sujal ko kya-kya diya hai...(vasu left)

piyush: dad aap yeh kya keh rahe hai...mujhe kashish chahiye...jiske liye sujal ko marna hi hoga...

aaditya:- sujal marega bhi...kashish tumhari hogi bhi...aur sujal ki poori property humari hogi...just wait bete...maine sirf vasu ko saant karne ke liye yeh sab kiya hai...kyuki kahin uske mann me sujal ke liye jo feeling hai wo humare liye bhari na pad jaye aur ha...ab hum vasu pe bhi jyada trust nahi kar sakte hai...just go aur pata lagao sujal kar kya raha hai...aur use manipulate karo taki wo humare pass aaye...karodo ki daula lekar...(par in dono ko hi nahi pata tha ki vasu inki baat sunn rahi thi...)

vasu in her mind:- bas bahut ho gaya...ab main tumhe nahin chhodungi bhaiya...aaj tak main wo karti rahi jo tumne kaha...sirf ek cheez mangi tumse sujal ki zindagi...par tum...nahi ab mujhe kuchh na kuchh karna hi hoga...mujhe sujal se kaise bhi milna hi hoga...

garewaal house...prrna's room...

dadi:- prerna...puttar kuchh kha le kal se kuchh nahi khaya tune...

prerna:- ma wo dono kahan honge...un dono ne kuchh khaya hoga to hoga na...theek to honge na wo dono...

dadi:- puttar tu sujal ki zindagi ke liye jo kuchh bhi kar sakti thi tune kiya hai...ab sab rab ji pe chhod de...wo humare bachho ki raksha kareinge...

prerna:- par ma...wo kuchh bhi apne sath nahi lekar gaya...wo karega kya...aur agar vasu ya aaditya ne puchha ki maine sujal ki jayjaad use kyun nahi di to...wo uske sath kuchh...

anurag:- tum unhe bol dena ki sujal apne sath sab kuchh lekar gaya hai...kyuki jitana mujhe pata hai...sujal unhe kuchh nahi batayega...isse kuchh din to humari problem solve rahegi...maine commisioner saab ko sab kuchh bata diya hai aur unhone apne kuchh officers ko vasu, aaditya aur piyush par nazar rakhne ke liye aready orders de diye hai...aur pata nahi kyun par ab mera mann keh raha hai ki ab sab theek ho jayega...jitna dard tumne saha hai prerna...utani hi khusiyaan milnegi tumhe aur sujal ko bhi...

dadi:- ha puttar...pehle wo 3no bharat me the hi nahi to police kuchh nahi kar payi par ab we yahin hai...isliye manu pura yakeen hai ki ab sab kuchh theek ho jayega...aur kehte hai na jaise ravan ka ant karne ke liye ram ji ne seeta mata ke saath banwaas kata tha...theek usi tarah humara sujal bhi apni ardhangini ke sath banwaas me hai...aur wo jab lautega to humari zindagi ke ravan ka ant karke hi lautega...

prerna:- par ram ji ka sath dene ke liye laxman ji bhi to the...par yahan to sujal bilkul akela hai...

akki:- kisne kaha ki we akele hai...??(all turns and see akki and rishi both staning at the door)...(akki jakar prerna ke pair ke pass baith jata hai aur uska hanth pakad kar)mumma...kya baat hai..?.plzz mujhe sach nahi bataogi...plzzz mumma bas ek baar mujhe sach bata do...ki aisi kaun si baat hai jo aapko aaj tak sujal bhai se pyar jatane se rok rahi hai...plzzz mumma...dekho mumma...mujhe pata hai aur yaad bhi hai ki bachaan me aap bhai ko bahut pyar karti thi plzzz mumma...main aapse wada karta hun ki sujal bhai ka sath main aur rishi marte dam tak nahi chhodenge...

rishi:-haan mumma...bhai sahi ke rahe hai aur plzzz ab jhoot mat bolna kyuki humne bahut kuchh sunn liya hai...

anurag:- main batata hun...

prerna(crying):- anuraag...

anurag: nahi prerna bahut ho gaya...aaj unn sab ki wajah se main apne bete aur bahu se door hun...aaj yeh naubat aa gayi hai ki...sujal akki pe hanth uthata hai...aaj yeh naubat aa gyi hai ki akki aur rishi ko sharm aati hai ki tum inaki maa ho...aaj yeh naubat aa gayi hai ki...yeh ghar bikhar gaya hai...akki rishi tum dono ko sach jaana hai na ki humne sujal ke sath asia anyaay kyun kiya...aur yeh bhi ki kyun prerna salon se sujal se door rehti hai (akki and rishi oth nods in yes) to suno...(then anurag told them about every thing...from lalits death to last day event... akki and rishi both were shocked..and having tears)

rishi:- kya big b ko yeh sab pata hai...??

anurag:- nahi par kashish ko pata hai...par use humne hi rok kar rakha tha sujal ko kuchh bhi kehne se...(akki prerna ke aur kareeb jata hai uske chehre ko apne hanth me lekar)

akki:- mumma...i m sorry mumma...humne aapko galat samjha...aap to humesha se sirf sujal bhai ke liye hi jee rahi thi...aur humne...par aapko sujal bhai ko sab bata dena chahiye tha...aap nahin janti sujal bhai unn logon ka naam o nishaan tak mita dete aur kisi ko kuchh bhi nahi hota...

prerna:- beta main sujal ki jaan khatare me nahi dalna chahti thi bas isiliye kabhi kuchh nahi bataya...socha tha sujal ko sari property dekar yahan se bhej dungi to wo surakshit rahega...par usne to...

rishi:- yehi to fark hai na mumma...yehi fark hai...dusro me aur bigb me...wo khud mit jayeinge...par kabhi bhi humare sath kuchh galat nahi hone denge...socho mumma unhe kitani takleef hui hogi jab aapne un par yeh ilzaam lagaya ki wo unka haq chhenna chahte hai...jinhe wo jaan se jyada pyar karte hai...socho mumma...har wo pal jab aap unse berukhi se pesh aati thi..unhe kitani takleef hoti rahi hogi...mumma sabse jyada...is duniyaan me agar koi aapko chahta hai...koi aapko pujta hai to wo big b hai...mumma chahe jo bhi raha ho...aap ne galat kiya hai...par ab hum is galti ko sudharenge...

akki: ha mumma...abhi aapne kaha na ki sujal bhai akele hai wahan...nahi mumma...us yug ke ram ke sath to sirf ek laxman ji the...par is ghar k ram ke liye do-do laxman hai...aur ab hum aapse wada karte hai ki jab tak hum hai sujal garewaal ka koi bal bhi banka nahi kar payega...rishi chal mere sath humein kahi chalna hai...

rishi:- ji...

sujal's hotel...

kashish:- sujal maine khana manga liya hai chaliye khana kha lijiye aur thodi der rest kar lijiye aap subah se bahar the...thak gaye honge...

sujal:- haan... wo kashish maine ghar dhoondh liya hai...jyada achha to nahi par kaam chal jayega...u have to manage...(kashish puts her finger on sujal's lips)

kashish:- bas bahut hua...wo ghar chahe jaisa bhi hoga...humara hoga sujal...aur agar aap wahan hai mere sath to mere liye jannat se kam nahi hai...achha bataiye kab chalna hai...aur kahan hai??

sujal:-thodi der baad hum chalte hai...aur boriwali me mila hai...its kind of chawl house...

kashish(smile):- abhi chaliye khana khaye...??mujhe bhi bahut bhuk lagi hai...

sujal:- kashish tumhe kitani baar kaha hai ki...mera wait mat kiya karo aur khana kha liya karo...par tum ho ki...ab jaldi chalo...

sujal aur kashish apna khana khate hai aur fir sujal jakar bed par late jata hai...aur kashish jo kuchh bhi kal se aaj tak unka samaan bikhra hai use pack karne lagti hai...

sujal in his mind:-kashish se to keh diya par...mujhe itani jaldi job kaise milegi...mere pass jyada paise bhi nahi bache hai...ha mujhe kal se koi na koi kaam karna hi hoga...warna mera ghar kaise chalega...(tabhi some one knocks the door...kashish goes and opens)

kashish:- jiju aap??

angad(angry face):-sujal kahan hai??

kashish :-ha wo andar hai...aaiye na...(sujal looks at angad aur wo samajh gaya ki angad bahut gusse me hai...)

sujal:- angad actually...

angad:- chup...tu samajhta kya hai apne aap ko ha...bina soche samjhe yahan aa gaya...tujhe pata hai hum sab kitana pareshaan the...kal se tujhe paglo ki tarah dhundh raha hun...chal ghar chal...(angad holds sujal's hand and trying to walk but sujal does'nt move...)kya hua...kashish chalo...

sujal:- angad...dekh i know tujhe humari parwaah hai...par plzzz mujhe samajhne ki kosis kar main tere sath nahi aa sakta...angad yeh faysla maine bahut soch samajh kar liya hai...mumma yahi chahti thi aur...

angad:- main kuchh nahi janta...mujhe koi matalab nahi hai ki prerna aunty ne aise kyun kiya...aur tune bhi...par mujhe bas itana pata hai ki tu yahan nahi rahega...tujhe garewaal house nahi jana...mat ja par tu mere ghar me rahega...ab chal...

sujal:- ek baat bata...tujhe mujhpar bharosha hai ki nahin...??

angad:- ha hai...apne aap se jyada bharosha hai tujhpar...par tu...

sujal:- to bas ek aakhiri baar mujhpar bharosha rakh le...main nahin janta ki maine jo kadam uthaya hai usme main kamiyaab rahunga ya nahin...mujhe bhi koi saukh nahi hai angad apne pariwaar se door rehne ka...par is baar jyada ho gaya tha angad...ab main finally janna chahta hun ki mumma aisa kyun kar rahi hai...sirf isliye ki main unka jana beta nahi hun...wo is had tak... kabhi nahi...aur pata nahi kyun is baar mera mann kiya ki main yeh kar hi doon...agar sab kuchh sahi hona hai to sahi ho jayega...nahi to kam se kam mumma to khush raheingi...aur main akela nahin hun angad...mere sath kashish hai...jo kabhi bhi mera bura nahin hone degi...jo kabhi bhi mujhe galat raste me jane hi de sakti...bas tujhse itana hi kahunga main jo kar raha hun mujhe karne de...main isi me khush hu...aur mujhe yakeen hai ki meri is raat ki bhi subah ek din jarur hogi...plzz...

akki:- bilkul theek kahan sujal bhai aapne(all turns and find akki, priya and rishi there)...

sujal:- tum loge yahan...?

angad:- maine hi inhe bataya ki tum loge yahan ho...

akki:- sujal bhai...i m really sorry..maine mumma se achhe se baat nahi ki use waqt...

rishi:- i m sorry big b..kal k liye...

sujal:- koi baat nahi mumma se manfi mangi??

akki:- ji...bhai...aap abhi keh rahe the na ki...koi to wajah hai jis karan se mumma ne yeh sab kiya...to ha bhai iske peeche bahut badi wajah hai...

kashish:- akki...no...(sujal looks at kashish with what expression)

akki:- bhabhi mujhe bolne dijiye...aap mumma ki kasam se bandhi thi main nahin...aur ab aap bilkul chinta mat kijiye hum sab milkar unn logon ko sabak sikhayenge...

sujal:- tu yeh kya bol raha hai? aur kashish tum kya janti ho...?

akki:- sujal bhai aapko yeh to pata hai ki mumma ne aapko janm diya par aapko yeh nahi pata ki mumma aapko apni jaan se jyada chahti hai...wo sirf aapke liye pal- pal mar rahi hai..(dhamake on sujal's face)

sujal :- yeh tu kya...??

kashish:- ha sujal...

akki:- sujal bhai...aapko pura sach nahi pata hai...pura sach yeh hai ki...

then akki and rishi and told him every thing...abt his janmkundali...his love death, his marriage,his bhavishyawaani, abt vasu, aaditya, and piyush,,,and most importanty why prerna behaving like this to sujal...sujal was completely shocked...tears flows down to his cheeks...he sat down on his knees and crying...and smiling too... kashish goes to him and held him and from one side rishi held him...

rishi:- plzz big b sambhaliye apne aap ko (priya and angad too was shocked)

sujal:- kashish...kashish mumma...mumma mujhse nafarat nahi karti...(kashish too crying...and nods in yes)wo mujhse bahut pyar karti hai...unhone mere liye...akki...rishi...she loves me...she loves me...

kashish:- haan sujal she loves u alot...more than anything else in this world...aapme unki jaan basti hai...aur ab mujhe pura yakeen hai...bahut jald sab kuchh theek ho jayega aur hum wapas apne ghar jayege...

priya:- par uske liye jaruri hai...vasu aditya aur piyush ko unki aukaat dikhana aur sath hi sath jitana pareshaan unhone prerna aunty ko kiya hai uski saja unhe tumhe deni hogi sujal...

sujal(wipes his tears and with determined look):- ab se aaj se main apne aap se yeh wada karta hun ki...jab tak mumaa k ek-ek aanshun ka badla nahi le leta main garewaal house nahi lautunga...(dhamake on others face)

angad:- tu pagal ho gaya hai...ab to tujhe sach pata hai...ab ghar chal...

sujal:- nahi angad...abhi nahi...unhe lagta hai na ki mere pass bahut daulat hai...to lagne do...ab main unhe bataunga...ki sujal garewaal kya cheez hai...abhi tak piyush ne meri dosti dekhi hai...ab wo meri dusmani dekhega...usne meri achhayi ka fayda uthaya ab main uski burayi se hi use khatam karunga...

kashish:- akhir aap karna kya chahte hai...?

sujal:- abhi to main mumma se milne ja raha hun...par aate hi hum vasu ke pass jayenge unke sath rehne...angad tu samajh raha hai na...

angad:- ha sujal main samajh gaya...main abhi kavya bhai aur sabko...garewaal house bulata hun...

rishi:- main abhi ghar phone kark bata deta hun...

garewaal house...

dadi:- prerna ab to has de...sujal ko sab sach pata chal gaya hai...ab wo ata hi hoga...(but prerna is crying...)

tabhi puri khanna family garewaal house pahuchti hai...par prerna ki aankhien sirf sujal ko dhundh rahi thi...

anjali:- mumma...aap sujal ke sath aisa kaise kar sakti hai...mumma mujhe aapse aisi ummeed nahi thi...

prerna:- anjali...

anjali:-bas mumma...sujal to theek hai...use to aadat hai...apka rukhapan aapka parayapan sehne ka...par bhabhi unki kya galti thi ha...mumma...aaj mujhe aap par...aap par itana gussa aa raha hai ki...

anurag:- anjali ek baar humari baat to...

anjali:- kya papa...aap ne bhi sujal ko jane diya...aap kaise bhool gaye papa ki sujal ke bina yeh ghar...ghar nahi hai...

sujal:- shant ho jaiye di...(all turns and see sujal standing at door with kashish, aki, rishi, angad and priya.)

prerna:- sujalll...

sujal.:- mumma...

kya bebasi hai yeh...kya mazburiyaan...
hum pass hain...phir bhi kitani hai duriyaan...
(sujal and prerna both having tears and smile both at the time...both are walking to eachother)

kya bebasi hai yeh...kya mazburiyaan...
hum pass hain...phir bhi kitani hai duriyaan...
(sujal holds her by her soulders and prerna touches his cheek with full of love and tears in her eyes)

jism tu...jaan main...
teri pehchaan main...
(sujal hugs her very tightly...and prerna to closes her eyes with satisfaction)

milke bhi...na mile...
yeh hai kaisa bharam...
yeh hai tere karam...
(prerna kissed her all his face...and sujal is crying...)

kabhi khushi kabhi gum...
na juda honge hum...
(now sujal kissed her on her fore head...and both hugs again)

kabhi khushi kabhi gum...
(all are having tears...)

aaj najane kitane salon ke baad sujal prerna ke gale laga tha...aur prerna uska bas chalta to in 13 saalo ka pyar jo usne sujal ke liye apne dil me chhipa kar rakha tha...sab aaj hi us par waar deti...

sujal:- kyun mumma...kyun kiya aapne aisa...ek baar...sirf ek bar bata deti mumma...main sab kuchh theek kar deta...par aap itana dard sehti rahi aur main aapko galat samajhta tha...

prerna:- kya batati beta...tu bachha tha us waqt...main dar gayi thi...mujhe door rehna manzoor tha par...tere bigair rehna manzoor nahi...(they both hugs again)

sujal:- mumma...ek baar keh do ki aap mujhse pyar karti ho...

prerna:- tujhme to meri jaan basti hai sujal...is duniyaan me sabse jyada pyar karti hun main tujhe...sabse jyada...(Sujal closed his eyes with satisfaction...to day sujal was on top of the world)

sujal:- mumma...ab dekhna..main unn logon ka kya haal karta hun...un logon ne aapko takleef di hai na...wo mujhse mera sab kuchh cheenna chahte the na...ab main unke pass unka kuchh nahi rehne dunga...

prerna:- nahi tu kuchh nahi karega...wo loge bahut khatarnaak...

sujal:- nahi mumma...main jarur karunga...ab unko unhi ki jawaan me samjhaunga...mujhpar yakeen kijiye mumma. kisi ko kuchh nahi hoga i promise u...

akki:- ha mumma...sujal bhai bilkul sahi keh rahe hai...

angad:- aunty aap chinta mat karo...hum sab hai na...

anjali:- koi mujhe kuchh batayega ki ho kya raha hai hai...

angad:- wo bhabhi actuallly...(then angad told them abt everything...)

anjali:- kya...mumma... i m sorry mumma...

prerna:- nahi beta...bas tum sab sahi salamat raho aur mujhe kuchh nahi chahiye...sujal tu karna kya chahta hai...

sujal:- main ab vasu aur aaditya ke sath unke ghar me rahunga...dad jaldi se aap advocate pathak ko bulaiye aur unhe kahiye ki 2 ghante ke andar ek jali property ke papers banaye...jisme nanaji ki sari property aur garewaals ki saari property sirf is ghar ko chhod kar sab mere naam hoga...main yeh papers lekar jaunga aaditya ke pass...apna sab kuchh dene ke bahane unhe barbaad na kar diya to mera naam bhi sujal nahi...

prerna:- tu pagal ho gaya hai...unn logon ne tere sath kuchh...

sujal:- kuchh nahi kar payeinge wo mumma...

kashish:- haan mumma sujal bilkul sahi keh rahe hai...akhir kab tak aap unki bebuniyaad baatein manti raheingi sirf is dar se ki wo sujal ko jaan se maar deinge...aur aap hi ne kaha tha mumma ki jab tak sujal ki patni unke sath rahegi wo unki saari balaye kat degi...to main rahungi na sujal ke sath...mumma i promise u sujal ko ya mujhe ya kisi ko bhi kuchh nahi hoga...

akki:- ha mumma bhabhi bilkul sahi keh rahi hai...

kavya:- aur mumma...phir hum sab hai na...hum sab sujal aur kashish par nazar rakhienge...humare hote hue wo loge in dono ka kuchh nahi bigaad payeinge...

anurag:- prerna sujal ko jane do wo sahi keh raha hai...

prerna:- par...theek hai apna khayal rakhna...

sujal:- ha...aur aap bhi chaliye ab khana kha lijiye...mujhe pata hai aapne kal se kuchh nahi khaya...

prerna:- tune khaya...?

sujal:- ha...agar mujh par yakeen na ho to kashish se puchh lijiye...

kashish:- main abhi khana lekar aati hun...(kashish left to kitchen...then kashish khana lekar aati hai)

tere sath hongi...meri duaayein...
aayein kabhi na tujhpe...koi balaayien...
(sujal prerna ko aur prerna sujal ko apne haantho se khilati hai)

tere sath hongi...meri duaayein...
aayein kabhi na tujhpe...koi balaayien...
(prerna sujal ke gale lag kar ro rahi hai...uska mann sujal ko jane nahin dena chahta par wo mazboor hai..)

mera dil... yeh kahe...
tu jahan... bhi rahe...
har ghadi...har khushi...
(prerna sujal aur kashish dono ke foreheads par kiss karti hai)

chume tere kadam...
yeh hai tere karam...
kabhi khushi kabhi gum...
na juda honge hum...
(sujal aur kashish bado ka ashirwaad lekar ghar ke bahar aa jate hai...tabhi prerna kashish ka hanth pakad kar use rokti hai )

prerna to kashish:- Ishka khayal rakhna...(kashish nods in yes with tears)

kabhi khushi kabhi gum...
(prerna aur anurag unn logon ki bheegi palko se dekh rahe hai...)

out of the house...

sujal:- angad jaise hi papers ready ho jaye tu lekar mere hotel pahunch...aur akki is piyush aur aaditya ki janam kundali nikal...rishi tu 24 ghante..vasu aaditya aur piyush par nazar rakhega...sab ki khabar mujhe dega...and jiju...aap yeh annoucement kara dijiye ki sujal garewaal ko uske hisse ke sath sath uski behen aur bhaiyo ka bhi hissa mil gaya hai...aur maine apne bhaiyo se unka sab kuchh chheen liya hai...kyuki wo mere sage nahi hai... (angad, akki rishi and kavya agrees)

kashish:- sujal yeh karna jaruri hai kya...?

sujal:- bahut jaruri hai...kyuki mujhe un logon ko apne confidence me lena hai...ab hum chalte hai...rishi mumma papa aur dadi ka khayal rakhna...

rishi :- ji big b...

angad:- sujal tu nikal main thodi der me pahunchta hun...(sujal nods and both kashish and sujal left to their hotel)

yahan sujal aur kashish wapas hotel pahuch gaye to thodi der baad angad aur akki bhi papers ke sath pahuche...

angad;- yeh le sujal...par sambhal ke yaar...

akki:- bhai...yeh rahe wo saboot jo aapne mange the...inme aaditya aur piyush ki puri kundali hai kinunhone kya kya kiya hai ab tak...

sujal :- theek hai...ab tum loge jaao...aur haan phone me touch me rahna kyuki hum ab jyada mil nahi payenge...
(both akki and angad hugs him and left)

kashish:- sujal chale...

sujal:-ha kashish...but...wo wahan piyush bhi hoga,...ab jitana mujhe uske baare me pata chala hai...tum plzz sambhal kar rehna...(kashish is smiling...)muskura kya rahi ho...

kashish:- nahi kuchh nahi chale...(and both left to aaditya house...)

vasu aaditya aur piyush 3no hi hall me baithe hai..aur tv pe chal rahi breaking news ko bade hi gaur se sunn rahe hai...jisme yeh aa raha hai ki...sujal garewaal ne apne bhaiyon ki bhi sari property apne naam kara li hai...now sujal garewaal is single richest garewaal in india...aur ab usne garewaal house bhi chhod diya hai...) par vasu ka dhyaan to kahin aur hi tha ki achanak vasu ki nazar enterance par padi...jahan sujal aur kashish khade the...

vasu:- sujal...(piyush and aaditya both turns and find sujal and kashish)...

end of part 19
plzzz do comment...
with love chandni...

*********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

29 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

a month ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".