PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 19

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

Lavi_dovey thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
amazing part.
this piyush's intentions doesn't seem hood.
aww... sujal is soo cute.
but why he is talking about his death.
update soon.
thank u for pm.
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: krazykaju

amazing part.
this piyush's intentions doesn't seem hood.
aww... sujal is soo cute.
but why he is talking about his death.
update soon.
thank u for pm.


thanks alot dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ambersaleem

nice part wese ye piyush ko dushmani kya hai sujal se???????idiot na ho to karwa chouth acha raha nice song and sweet sujal kashish kelye vrat rakha wese and me kashish ne achi izzat ki piyush ki BHAISAHAB hahahahaha😆 welldone keep it up 👏


thanks amber😊😊😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
a very big thanks to all my fic readers...thanks a ton😊❤️😊
keep reading...😊
keep smiling...😊

with love...chandni😊
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

*** sk- Pure love ***
part 18

kashish ( with anger in her eyes ):- shut up... mehmaan ho... mehmaan ki tarah raho... aur ha khana kha k jana...( hanth jod kar ) namaste...BHAI SAAB... ( dhamake on piyush face and kashish left the place with anger )

sabhi khana kha lete hai par abhi bhi kashish, kripa aur charu ne khana nahi khaya hota hai... kashish kripa k pass jati hai...

kashish:- kripa di...zara yaha aana...

krpa:-kya baat hai...

kashish: kripa di ... aapne subaah se kuch nahi khaya... abhi humare khane me thodi dair hai...tab tak main aapke liye dudh lekar aati hun pii lena thik hai...

kripa:-thik hai ji ...laiye...( kashish smiles and left )

kashish kripa k liye dhudh lekar aa rahi hoti hai ki uski nazar piyush pe padti hai jo sujal se baat kar raha hota hai...

piyush: Sujal ab main chalta hoon...muje ek kaam hai...lekin is family function me bulane ke liye me tumhe sukhriya karna chahta hoon...woh bhi hindustani tareeke se...

Sujal: kya...

piyush: are ab to hum dost hai...to gale milke sukhriya karna chahiye... (piyush Sujal ke gale lagata hai lekin piche jo diye hote hai unse sujal ki shawl me aag laga deta hai..)

piyush:-Bye...mera kaam ho gaya...

Jab piyush waha se chala jata hai tab Kashish ki nazar Sujal ke shawl pe padti hai jisme piche se aag lag rahi hoti hai...Kashish ke haath se Dudh ka glass gir jata hai...aur woh zor se chikhti huyi Sujal ki aur bhagti hai...

Kashish; Sujalll...

Kashish jake Sujal ki shawl jispe aag lagi huyi hoti hai use pakad leti hai...aur woh apne haath se aag ko bujati hai...sabhi log Kashish ko dekh hi rahe the...

Sujal: Kashish...tum thik to ho...

Kashish: Sujal... (Kashish roti huyi Sujal ke gale lag jati hai...)

Sujal: Kashish...ro mat...main thik hoon...

Angad: Sujal yeh sab hua kaise...

Sujal: kuch nahi chhota sa accident tha...

prerna:- kashish tum thik hona...

Kashish: jee mama...

Anjali: Sujal Kashish ko kamre me leke jao...

Sujal: chalo Kashish... (Sujal Kashish ko leke Kamre me chala jata hai.)

sujal kashish ko kamre me lata hai... aur turant first aid box lakar kashish ke hanth me dawai lagane lagta hai... aur kashish ek pyari si smile k sath sujal ko dekh rahi hai...

sujal( with tension applying ointment ):- kashish... tum na ek dum pagal ho... koi bhala aisa karta hai... dekho kitana jal gaya hai... tumhe dard ho raha ho ga na... ( sujal looks at kashish...) ab aise kya dekh rahi ho jaise tumhe dard hi na ho raha ho...

kashish:- sujal sach kahun to mujhe bilkul dard nahi ho raha... kyuki mere jakhm me marham aap jo laga rahe hai... ( tabhi mehek aati hai...)

mehek:- bhaiya... yeh kashish bhabhi ka khana... ( aur wo wahan rakh kar chali jati hai...)

sujal:- kashish sach batao... bahut dard ho raha hai na... hum doc k pass chalte hai...( sujal uthta hai... par kashish use rok leti hai..)

kashish:- sach me mujhey dard nahi ho raha hai... ( sujal smiles and kissed on her hand aur khana lakar kashish k saamne baith jata hai)

sujal kashish ko bade pyar se khana khilata hai... aur kashish bhi uske hanthon se khana kha rahi hai... donon me koi kuchh nahi bol raha hai... kashish ka karva chauth ka vrat isse behtar kaise khatm ho sakta tha ki sujal khud use khana khilaye... thodi der baad sujal jakar plates neeche rakh kar ata hai... akar wo darwaja band karta hai... todekhta hai ki kashish dressing table par baith kar apni chudiya utarne ki kosis kar rahi hai par usse nahin ho raha tha... sujal kashish k pass jakar apne knees par baith jata hai... aur kashish ka hanth apne hanthon me leta hai,,... kashish bas use dekh rahi hai... sujal bade hi pyar se ek ek karke kashish ki sari chudiyan utarata hai... aur har chudi k sath kashish k hanth ko kiss kar raha hai... kashish ko bahut hi achha lag raha hai... ki sujal aaj use pehli baar is tarah chhu raha tha... uski ankhein sarm se num hai aur jhuki hui bhi hai,... aur uske honthon me ek pyari si muskaan hai... sujal phir kashish ki saree upar karta hai aur uski payal bhi utar deta hai aur uske pairo ko bhi kiss karta hai... kashish se bardast nahi ho raha tha ... isliye wo khadi ho jati hai aur apna chehra ghuma leti hai... sujal kashish k peeche jakar khada hota hai... dheere se wo uske balon ko hatata hai... aur uske haar ko khol deta hai...aur use mirror ki taraf turn karta hai... sujal mirror se dekh raha hai ki... abhi bhi kashish k honthon par ek muskaan hai... par age badhne se pehle wo kashish ki manjuri chahta tha...

sujal:- kashish... ( kashish looks at him through the mirror ) may i ? ( aur kashish apni palke jhuka kar sharmate hue ha me ishara karti hai...)

sujal kissed her on her neck... ( kashish closed her eyes and truns and hugs him v tightly) sujal seperates her from him... firstly kissed her on her fore head... then to her both eyes... which make her closed them... then both the cheeks... then... on her chin... then kissing her neck...up and down...then finaly he looks at her lips... which were thirsty for his... and he slowly pressed his lips on hers... after some time kashish is also responding him with same passion... sujal hands are moving around her waist and her hands are massaging his hairs... she was pushing him closed to her self... she doesnt want to broke the kiss... but after some time they both apart for some breath... to hide her embarasement she hugs him... sujal slightly opens her pallu... then his hands goes on waist and he undone her saree... then picks her up in his arms, takes her to the bed... kashish has her eyes closed with smile on her lips... sujal knows that kashish also want this... he slowly placed her on the bed... kashish has tears with closed eyes... sujal kissed her on forehead... and says...

sujal:- kashish... i wont hurt u... bcz i love u...

kashish opens her eyes and she placed her lips on his... her hands were moved to undone his button and she throughs his shirt on the floor ... and sujal hands goes to untie the string of her blouse... and then sujal switch off the lights...and tonight they both become... a real husband and wife... they both become one... now no one can apart them...

its a beautiful morning...

kashish was sleeping on his beloved arms... they both have smiles on their faces... smile of love... smile of satisfaction... smile of closeness and smile of completeness... tabhi kashish k ankh khulti hai... uski nazar sujal par padti hai... jisne bahut hi kas k use pakad ke rakha tha... as he dont want to loose her at any cost... kashish ko kal rat ki saree batien yad aati hai... she smiles... aur uski ankhien sharm se jhuk jati hai... wo sujal ko bade pyar se dekh rahi hai... aur jakar dheere se uske honthon par kiss karti hai... jisse sujal ki neend disturb ho jati hai... kashish usse door hat jati hai... tabhi kashish ki nazar ghadi pe padti hai... jo 10 bajne ka ishara kar rahi thi... kashish turant sujal ko uthati hai...

kashish:- sujal uthiye... sujal...

sujal:- hmmm... sone do yar...

kashish...:- sujal uthiyena... dekhiye subah k 10 baj gaye hai... ( sujal jhat se uth jata hai...)

sujal:- kya 10 baj gaye... 10 kaise baj sakte hai... abhi to hum soye they...

kashish:- aap bhul rahe hai ki hum subah 4 baje k baad soye hai ab uthiye... aur bed sheet mujhey dijiye... ( sujal ko kal rat kya hua sab yad ata hai... aur uske chehre pe 1 naughty si smile aa jati hai... kashish chaadar se apne aap ko cover kark uthne hi wali hoti hai ki... sujal holds the bed sheet...) sujal kya kar rahe hai... mujhey wash room jana hai...

sujal:- to jao na... kisne mana kiya hai...

kashish ( blushing ):- are to bed sheet chhodiye na... main aise kaise jaun...

sujal:- oh to... yeh prblm hai... waise tum to aise behave... kar rahi ho jaise main pehli baar tumhe aise dekh...

kashish:- chup... khabar daar jo kuchh bola to... mujhey nahi pata tha ki aap aise bhi honge... ( she turns and blushing,sujal raised her one eyebrow... aur jakar kashish ko peeche se hug karta hai... aur uske bare soulder par apna chin rakh deta hai )

sujal:- ab main to aisa hi hun... aur jaisa bhi hun... tumhi ne pasand kiya hai... maine nahi kaha tha...

kashish:- ha ha... sab pata hai... ki aap kaise hai... ab chaliye chodiye mujhey... dekhiye kitana late ho raha hai... sab kya soch rahein honge... ( but sujal was busy in kissing her neck...) sssujalll plzzz chhod dijiye... aap jo ka kaheinge... wo karungi...

sujal( with twinkles in his eyes ):- pakka...

kashish:- ha baba pakka...

sujal:- to na... mujhey har rat kal rat wali kashish chahiye...

kashish ( hadbada kar );- ha ha theek... kyaaa...

sujal:- wo kashish u r my jaan... thankyou so muchhh...

kashish:- are nahin- nahin...

sujal:- ab kuchh nahin ho sakta... ( going close to her ) waise bahut late ho raha hai na... to sath me nahaye...

kashish:- ji nahin... ( kashish pushed him on the bed aur runs to the washroom with blush aur yahan sujal guest room me jakar nahane lagta hai... )

kashish wash room se bahar ati hai... aur jaldi jaldi taiyaar hokar... sujal k kapde nikalti hai... aur neeche chali jati hai... sabhi already apne kaam me ja chuke they sirf dadi, anjali, kripa aur prerna they tabhi thodi der bad sujal ata hai... office k liye ready hokar...

dadi:- are puttar aaj tum dono ko badi der ho gayi...? sab theek to hai na?

kashish:- ha ha dadi... wo bas... aaj jara aankh der se khuli sorry... ( kripa is noticing some thing )

sujal:- wo dadi actually kashish ko kal raat me hanth me dard ho raha tha... isliye use neend nahi aa rahi thi... to is chakkar me hum kal deri se soye... bas isliye der ho gayi... ( kashish looks at sujal... with hairani... ki sujal kitana saaf jhuth bolta hai... )

sujal jaldi me braek fast karta hai aur office k liye chala jata hai... aur yahan baki sab apne kaam me lag jate hai... kashish aur kripa kitchen me hai...

kripa:- kya baat hai... badi chamak hai aaj tere chehre me... ( kashish looks at kripa... who is standing with one hand on her hips) aur i m damn sure ki yeh chamak rat bhar jalne ki wajah se na sone k kaaran nahi aayi hai... (kashish is blushing with smile and she huged her instantly... ) tum dono puri tarah se ek ho gaye na ? (kashish hugs her more tightly...) ohhh... i m so happy or u kashish... aaj tu sahi mayno me sujal ki ardhangini ban gayi... ab apne sujal ko khone mat dena...

kashish:- ha di aaj main bahut khush hu... aaj se meri aur sujal ki asli sadi suda zindagi suru hui hai... aur main kisi ko bhi ispar nazar nahi lagane dungi... ( and then both busy in their work)

sab dinner kar rahe hai...

kavya:- achha... mumma... ab hum sab bhi ghar jate hai... itane din se yahan hai... ab anjali aur suhana bhi bilkul theek hai...

anjali:- ji mumma... and dont worry hum kripa ka pura dhyan rakheinge... ab hum chalte hai... ( mehek is looking at rishi with tears... rishi is also sad... aur wo kyun udas hai yeh use pata hai... kyuki wo mehek ko bahut pehle se pasand karta tha... par ab sath me reh kar wo dono jyada kareen aa gaye hai... par mehek ko samajh nahi aa raha hai... ki wo kyun itani udash hai...

sujal ( concerned):- mehek... r u ok...? tum ro kyun rahi ho...

mehek( wiping her tears ):- nahin to bahiya... kahan ro rahi hun... wo to kahne me thodi mirch jyada thi na... isliye aankh me pani aa gaya bas...

charu:- aur mumma... kal morning ki flight se main bhi shimla ja rahi hun... wo college hai...

prerna:- ok cahli jana par sambhal ke...

thodi der baad sare khanna's apne ghar chale jate hai...

yahan kashish apne room me hai... aur use mehek aur rishi ki bahut fikra ho rahi hai... sujal aata hai aur peeche se use hug karta hai... kya soch rahi ho...

kashish:- wo main... mehek aur rishi k liye pareshaan hun ( sujal turns kashish towards him)

sujal:- mehek aur rishi k liye? kyun?

kashish:- wo sujal sayad aapne notice nahi kiya... par mujhey aisa lagta hai ki rishi mehek ko pasand karta hai... jis tarah wo mehek ko dekhta hai... usse batein karta hai... par mehek uska mujhey samajh nahi aa raha hai... aaj jate waqt uski ankhon me anshun they... aur wo khane ki wajah se nahi they... dono ek dusre ko jis tarah dekh rahe they...

sujal:- dekho kashish... agar waqai wo dono ek dusre ko pasand karte hai... to i m so happpy... par abhi its too early ... hai na... ( kashish nods ) dono hi chhote hai abhi... unhe kuchh time do sayad we khud hi bata de...

kashish:- sayad aap sahi keh rahein hai...

sujal( smiles):- yeh hui na baat... ( aur kashish ko bahon me uthata hai aur bed me le jata hai... dono ek dusre ki bahon me they...) kashish... mujhey tumse kuchh puchna hai...

kashish:- haan puchhiye...

sujal:- tumhe to mere ateet k bare me sab kuchh pata hai... par kya kabhi tumhe kisi ne prapose kiya? ( kashish is shocked aur wo uth kar baith jati hai)

kashish:- yeh kaisa sawal... hai...

sujal( also gets up hugging her by her soulder) :- are main to yeh puchh rahan hun ki... dekho na tum itani khubsurat ho... to kabhi to kisi ne kahan hoga na ki... he likes u... aur ye mat kehna ki kisi ne nahi kaha... main janta hun ki pure college k ladke tumhe pasand karte the...

kashish:- haa... karte to they... par mujhey to kisi me interest nahi tha... kai logon ne prapose bhi kiya hai... par maine sabko reject kar diya tha...

sujal:- meri wajah se... ( kashish nods in yes ) par koi khash tha...jise reject karne par tumhe dukh hua?

kashish:- sujal wo... actually... sujal... abhi loved me... ( dhamake on sujal's face...) usne mujhey prapose bhi kiya tha... par maine use mana kar diya... wo kripa di ki sadi k waqt... us waqt mujhey aapke aur aarohi k bare me pata tha... par main kisi aur ko... ( sujal turns her and hugs her ) par sujal aaj bhi hum achhey dost hai... aapko isliye nahin bataya kahin aapko humari dosti par...

suajl:- itana hi jaan payi tum sujal ko kashish... ab main bhi priya ka sabse achha dost hun... to kya tumhe meri aur priya ki dosti se aitraaz hai... ( she nods in no) to... dosti aur pyar me zameen asmaan ka fark hota hai kashish... mujhey pata hai... ki main kya hu tumhare liye... aur main tumhari aur abhi ki dosti ki dil se izzat karta hun... ( kashish hugs him tightly and both sleeps in eachother arms)

aise hi kuchh din beet gaye aaj sujal ka birthday tha... aaj sujal pure 26 saal ka ho gaya hai... aur kashish bhi bahut khush hai kyuki itane saalon baad wo sujal k birthday pe uske sath thi... sabhi gharwalon ne sujal k liye puja rakhi... sabhi party karna chahte they par sujal ne mana kar diya bcz wo pura din kashish k sath guzarna chahta tha... dono ne hi pura din sath me guzara...

sujal k birthday ko gujre lagbhag 2 mahine ho chuke hai... jabse sujal kashish ek hue hai... dono hi bahut khush hai apni sadi suda zindagi me kashish k to pair hi zameen me nahin tikte kyuki... kashish ne jitane bhi sapne dekhein hai sabhi sujal ne pure kiye hai... kashish abhi bhi vasu ka pata lagane ki kosis kar rahi hai taki wo sujal ki har ek musibat ko dur karde par... prerna ki kasam ne use rok rakha hai... aur wo sujal ko kuchh nahi bata sakti... sujal ne bhi mehsoos kiya hai ki kashish usse kuchh chhipa rahi hai... usne jab puchhne ki kosis ki to kashish ne baat ko taal diya... phir sujal ne bhi nahin puchha use laga jab kashish theek samjhegi wo khud use bata degi... par is baat ka inke pyar par koi fark nahi pada hai... next month inki 1st wedding aniversary hai... inke sath ko 1 saal beet jayega... in kuchh dino me jabse mehek wapas aayi hai... wo rishi ko bahut miss karne lagi thi... uska dil nahin lagta tha... aur jab kripa ne uski aisi halat dekhi to usne mehek se puchha... mehek ne kripa ko sab kuchh bata diya to kripa ne use ehsaas karaya ki use rishi se pyar ho gaya hai... aur ab mehek bhi rishi ko apne dil ki baat batana chahti hai... par use mauka hi nahin mila tha par 2 din pehle hi rishi ne khud mehek ko prapose kiya aur mehek ne accept bhi kar liya hai... dono hi bahut khush hai... par mehek ne yeh baat sirf kripa ko batayi hai... aur kisi ko batane se mana kiya hai... jab tak inki padhayi complete nahi ho jati... aur kripa bhi maan gayi hai... kavya aur anjali suhana k sath bahut khush hai... to kripa ab 6 months prergnant hai...aur angad k sath apne aane wale bachhe ka besabri se inttezaar kar rahi hai... akki aur charu bhi apni engaged life ko enjoy kar rahe hai... to abhinav ne priya ko prapose karne ka faysla kiya hai... kyuki ab wo priya ko chahne laga hai... par priya k samne jate hi uski bolti band ho jati hai... in short sabhi apni life me khush hai... par in dino prerna bahut tensed rehti hai... jab kashish ne anurag aur prerna se sujal ki property kashish ke naam karne ki baat ki thi...tab prerna aur anurag pehle toh maan gaye the par wo sujal ke liye kashish ki jaan khatare me nahi daal sakte the isliye unhone saaf mana kar diya tha...uske baad kashish ne bhi kuchh nahi kaha property ko lekar...

prerna's room...

she is very tensed for sujal... abhi thodi der pehle vasu ka phone aaya tha... aur usne kaha hai ki wo shimla aa chuki hai... and she wants to meet prerna... prerna ne abhi tak yeh bat na hi anurag ko batai hai aur na hi kashish ko... jabse dubara sujal ka accident hua hai... prerna ab jyada darne lagi hai vasu se... prerna ne faisla kiya hai hai ki wo vasu se milne jarur jayegi...

piyush hotel room...

piyush:- dont worry bua... hum jaisa chahte hai waisa hi hoga... ek baar bas sujal raste se hat jayein... fir sari garewaals ki property humari hogi...par wo kashish...kahin wo humare raste me naa aye...par koi nahi hum bhi hata deinge...

vasu:- ha... aur sujal ko khud prerna hataegi...

aise hi do din beet gaye,,,,,,, aaj prerna vasu se milne ja rahi hai... jahan vasu ne use bulaya tha...

prerna ki gadi ek pahadi pe aake rukti hai... prerna car se nikalti hai... to dekhti hai... ki saamne teen log khade hai... unme 1 vasu hai... aur 1 aditya hai... par prerna hairaan ho jati hai jab wo piyush ko unke sath khada dekhti hai...

vasu;- welcome prerna.. kaisi ho? kya baat hai prerna... aaj bhi waisi hi ho... jara sa bhi nahin badli... oh hairaan ho ki piyush yahan kaise... ( prerna have a stern expression...) let me introduce him... yeh hai... piyush raheja... tumhare sujal... ah ah... nahinnn... mere bete sujal ka business associate ( prerna just closed her eyes when vasu called sujal as her son) aur mera bhatija... ( dhamake on prerna's face...) aditya bhaiya ka beta...

prerna:- ohh to ab tum humein barbaad bhi karna chahti ho... ( pionting towards piyush) iske zariye... par ek baat dhyaan rakhna... mera sujal... MERA sujal haar nahin sakta... wo is insaan se kabhi nahin haar sakta... uski peet par waar karna chahti ho na... kabhi nahin... jab tak wo garewaal khandan ka business sambhal raha hai... humein ye kya... koi nahin hara sakta... ( piyush and vasu both have wicked smile)...

vasu:- prerna... tumhe kya lagta hai... ki hum tum sab ko barbaad karna chahte hai... nhhh... humein to sirf sujal se matalab... hai... humara trumph card hai wo... humari lottery hai wo... akhir uske pass itani dollat hai... ab beta hai maa k kaam to ayega hi na...

prerna( in anger ):- khabardar agar apne aap ko maa kaha to... are maa aisi hoti hai... kabhi nahin... maa jeevan deti hai... leti nahin... aur mere sujal ki to kismat kharab hai... jo usne tumhari kokh se janm liya... kash maine teen bachho ki jagah sirf sujal ko janm diya hota... kadra karo vasu... kam se kam... ma bete k ristey ki to kadra karo... aur tum janti ho ki tum kitani bad naseeb ho... jab sujal ko pata chala ki uski maa main nahin tum ho... usne ek baar apni maa k bare me puchna tak jaruri nahin samjha... jabki use pata hai ki tum zinda ho... phone karti ho na use... uske liye aaj bhi uski maa sirf main hu... main... lekin tum nahin samjhogi... kaho kyun bulaya yahan... jarur tum sab k dimaag me koi nai gandagi aayi hogi...

piyush (prerna k saamne jakar ):- mujhey KASHISH chahiye... she is very beautiful... wo sujal k sath nahin balki mere... ( prerna slaps him hard )

prerna:- khabardar meri bahu k bare me kuchh galat socha bhi... are tu sau janam bhi le lega na... to bhi kashish teri kabhi nahin ho sakti...

aaditya:- relax prerna... wo vasu ki bhi bahu hai... chalo is bare me hum bad me bat karte hai...

piyush:- par dad...

aditya:- just a second piyush... prerna... yeh sab batein chhodo... humne yahan tumhe... sujal k bare me baat karne bulaya hai... tumhe sujal ko apne ghar apni zindagi se bahar nikalana hai ( dhamake)... uske hisse ki sari property dekar use nikalana hai...

vssu:- aur ha... wo humare paas ayein yeh sari property lekar... uske dil me itana zahar bhar do apne khilaf ki wo khud apni asli maa yani mere pass aaye... ( dhamake)...

prerna( tears ):- main aisa kabhi nahin karungi... aur sapne bhi sujal tumhare pass nahin aayega...

aditya:- aayega... jarur ayega... kyuki tum use mazboor karogi... dekho prerna... humara maksad tum achhi tarah janti ho... humein sujal me koi interest nahin hai,... interest hai to uske naam jo daulat hai uspe... agar tumne aisa nahin kiya... to sujal k sath phir se koi hadsaa... har baar uski kismat achhi nahin hogi...

prerna( hanth jod kar ):- nahin... uske sath kuchh mat karna... plzzz... vasu... vasu plzzz... wo tumhara apna khun hai... uske sath aisa kaise kar sakti ho... plzzz vasu... ( vasu is thinking something...)

aditya:- vasu kya soch rahi ho... kaho na... ki hum sujal ko...

vasu:- ha prerna... i promise u ki jaise hi sujal humare pass ayega aur apni sari daulat apni marzi se humare naam kar dega... to hum use kharoch bhi nahin aane denge... aur uske sath kabhi bura nahin hoga... future me bhi kabhi nahiin...

prerna( tears ):- par main use kaise ghar se...

vasu:- prerna... ab yeh tum socho ki kya karna hai...par... sujal khud tumhara ghar chhod k humare pass aa
jaye... aur ha... papa ki jitani bhi daulat sujal k naam hai aur garewals ki adhi daulat k sath sujal ko humare pass bhejna...

prerna( wiping her tears):- theek hai... jaisa chahte ho waisa hi hoga... par wada karo... ki bhavishya me sujal aur kashish k sath kuchh galat nahin hoga...

aditya:- wada... iski gurantee meri... ( prerna apne sath mazburi lekar wahan se jane lagti hai...)

vasu:- all d best prerna... ( and she left... )aur ha police ko kuchh batane ki sochna mat kyuki tumhare pass koi bhi saboot nahi hai...

aditya to vasu... :- good job... piyush... tumhara kam kaisa chal raha hai...

piyush...:- dad maine sujal ko apne confidence me puri tarah le liya hai... par uski wo biwi... wo mujhey sahi nahin lagti... mujhey lagta hai... jaise wo humare raste me aa sakti hai... khair use bhi main sanbhal lunga... ( with evil smile...) bua chale...( they all left.)

night time...

prerna apne kamre mein hai... aur use bahut chinta ho rahi hai sujal aur kashish ki... ab use aditya aur vasu se jyada dar lagne laga hai... aur jab se usne piyush ko dekha hai... uska mann aur ghabra raha hai... use samajh nahi aa rah hai ki wo kis tarah sujal se baat kare... tabhi anurag aata hai...

prerna:- suniye... wo mujhey aapse kuchh bat karni hai...

anurag.:- ha bolo...

perena:-wo aap sujal ko uski property dekar ghar se jane k liye keh dijiye ( she closed her eyes and dhamake on anurag's face...)

anurag:- tum... yeh... pagal ho gayi ho kya... tumhara dimag to kharab nahi ho gaya... (anurag ruk jata hai...) kahin kisi ne... kya hua hai... prerna...? bolo kisi ne tumhe kuchh.. kuchh kaha... bolo prerna... ( prerna hugs him and crying)

prerna:- kyun ho raha hai... anurag... akhir kyun... maine kon sa paap kiya hai... anurag... aaj main vasu aditya aur piyush se milkar aa rahi hoon... unhone...

anurag:- kya kaha unhone...

prerna:- anurag... unhone mujhse wada kiya hai ki agar hum sujal ko uski sari property k sath usne pass bhej denge to... to wo sujal ko kabhi kuchh nahin karenge... wo sujal k sath kabhi bura nahi karenge... isliye main chahti hun ki hum aisa hi karein... taki sujal ki zindagi se khatra to hat jayega...

anurag:- prerna tum pagal ho gayi ho... sirf is dar ki wajah se hum sujal ko...

prerna( shouts ):- darr nahin hai... haqeeqat hai yeh... aapko yad hai... abhi kuchh dino pehle jo sujal ka accident hua tha... wo un logon ne hi karaya tha... mujhey khabardaar karne k liye...

anurag( shocked):- kya... aur tumney mujhse itani badi baat...

prerna( crying):- dekhiye anurag... sujal k sath yeh sab hoga... yeh sab humein pata tha... par hum rok nahin payein... aur aap bhul rahe hai... ki abhi sujal 27 saal ka nahi hai... aur abhi bhi 10 mahine baki hai... kahin uske sath...plzzz anurag apne mere har faysley me mera sath diya hai... dekhiye plzzz...

anurag:- par tumne socha hai sujal par kya beetegi...aur kashish...uska kya kasoor hai...

prerna:- mujhey pura yakeen hai,... kashish sujal ko sambhal legi...

anurag:- nahin... main aaj hi sujal ko sab sachhayi bata dunga,...phir jo hoga...

prerna( with fear):- nahin... aap samjhne ki kosis kyun nahin kar rahein... sujal... dekhiye... aapko meri kasam aap sujal ko kuchh nahin kaheinge... aur aapko use nikalna hi hoga...

anurag( gusse se):- theek hai... kuchh nahin kahunga use... tumhe jo karna hai karo... tod do is ghar ko... (aur wo gusse se ghar k b ahar chala jata hai )

sujal kashish resturant me hai... dono hi ek dusre mey khoye hue hai... ki waiter aakar unhe khana serve karta hai... dono hi bade pyar se khana khate hai aur sujal kashish ko apna hanth deta hai... dono dance floor ki taraf jate hai... jahan bahut hi romantic song play ho raha tha which suits them perfectly...

kashish:
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpe...

chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpe...
gajab ki tujhme kashish hai...
bas teri hi khwaaish hai...
ise main kaise rokun...
ise main kaise rokun...
ise main... kaise... rokun...
( kashish aur sujal ek dusre ki ankhon me khoye hue hai aur dance kar rahe hai...)

sujal:
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpe...
gajab ki tujhme kashish hai...
bas teri hi khwaaish hai...
ise main kaise rokun...
ise main kaise rokun...
ise main... kaise... rokun...
( sujal kashish ki mathe pe aa rahe uski zulfo ko bade pyar se hata hkar uske kaan k peeche kar deta hai)

kashish:
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpeee...
( kashish sharma kar sujal k kandhe me apna sir rakh deti hai)

kashish:
teri wafa pe... teri nazar pe haq sirf mera ho...
haq sirf mera ho...
teri wafa pe... teri nazar pe haq sirf mera ho...
bekarari pe bas na chale... aa mita de sabhi fasley...
bekarari pe bas na chale... aa mita de sabhi fasley...
( kashish unhi sujal k gale lage hue hai aur dono hi apni duniyaan me khoye hue hai...)

sujal:
kahin na ab rahat hai,... sirf teri chahat hai...
ise main kaise rokun...
ise main kaise rokun...
ise main... kaise... rokun...
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpeee...
( sujal kashish ko apne aap se dur karta hai aur uske fore head par kiss karta hai...)

kashish:
chain mujhey aata hai dilbar... teri panao me...
teri panao me...
chain mujhey ata hai dilbar... teri panao me...
yad aati hai jab bhi teri... tutati hai rage kyun meri...
yad aati hai jab bhi teri... tutati hai rage kyun meri...
( kashish fir se sujal k gale lag jati hai aur apni ankhein band kiye hue hai...)

sujal;
hose me na dhakan hai... ajab deewanapan hai...
ise main kaise rokun...
ise main kaise rokun...
ise main... kaise... rokun...
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpeee...
gajab ki tujhme kashish hai...
bas teri hi khwaaish hai...
ise main kaise rokun...
ise main kaise rokun...
ise main... kaise... rokun...
( sujal aur tightly kashish ko pakadta hai aur wo bhi apni ankh band kar leta hai aur aise hi dono khade hai)

kashish:
chehra tera... jab jab dekhun... pyar aaye... tujhpeee...
( tabhi sabki taliyon ki awaz se dono apni duniyaan se bahar ate hai...)
movie:- yakeen

kashish sharma kar stage chhod kar chali jati hai... bahar entrance ki taraf nikal jati hai,... sujal bahut hi sharmate hue smile k sath apne balon me hanth pherta hai jakar bill pay karta hai aur bahar chala jata hai... sujal jakar dekhta hai ki kashish gadi k pass sir jhuka kar khadi hai... sujal jata hai aur uske soulder pe hanth rakhta hai kashish bina kuchh kahe use hug kar leti hai aur apni ankh band kar leti hai... aur sujal bhi use apni bahon me le leta hai... par in dono ko hi nahin pata tha ... ki koi bahut der se in dono pe nazar rakhe hue hai... piyush bhi us waqt usi hotel me tha... aur sujal aur kashish ko jahrili nazro se dekh raha tha...

piyush in his mind:- itana to mujhey ab pata chal hi gaya hai... ki in dono ki jaan ek dusre me basti hai... specially kashish... jitna bua ne bataya tha usse kahin jyada chahti hai kashish... sujal ko... ab yeh banegi mera pehla sikar... aur sujal tum... apne akhiri khushi k din ginana suru kardo... kyuki ab main tumse tumhari sabse badi khusi chhinunga... tumhari kashish aur kashish se uska sujal... tumne meri beizzati ki thi ka kashish... tum sirf meri hogi... tumhara yeh ghamand maine na toda to mera naam piyush raheja nahin...

thodi der baad sujal aur kashish ghar aate hai... prerna ne sujal ko apne kamre me bulaya... sujal bahut khush tha ki prerna ne itane dino baad use khud yad kiya... par kashish ko kuchh ajeeb laga... sujal andar jata hai aur kashish unhi door k pass khadi hai... prerna window k bahar dekh rahi hai...

sujal:- mumma... apne mujhey bulaya... kuchh kaam hai...

prerna:- kashish tum bhi andar aa jao... aur darwaja band kardo... ( kashish andar aakar darwaja band kar deti hai...) bahut pyar karta hai na mujhsey sujal tu... bahut izzat karta hai na meri...

sujal:- mumma yeh aap... ( prerna looks at him ) ha mumma...

prerna:- to mere bachho se unka haq kyun chheen raha hai... ( dhamake on sujal and kashish face) jo kurshi mere bade bete akshat ki honi chahiye wo teri kyun... ( kashish closed her eyes... kyuki use pata hai ki prerna phir kisi mazburi me yeh sab keh rahi hai...)

sujal( with tears):- mummaa... aap...

prerna:- yeh kafi nahin hai... ki humne tujh jaise anaath ko paal pose kar bada kiya... ( dhamake)... par mujhey nahin pata tha... ki tu jis thali me khyega usi me chhed bhi karega...

sujal:- nahi mumma... plzzz aisa mat kaho... main kabhi bhi akki ya rishi k sath... kabhi nahi... i promise u ki main... main president ki post chhod dunga... wo jagah akki ki hai aur akki ki hi rahegi...

prerna:- aur ish ghar me... ?

sujal:- matalab...?

prerna:- tujhey ish ghar me bhi apni jagah chhodni hogi... ( dhamake...) main jo kehti hun wahi karta hai na tu... to aaj main keh rahi hun... ki apni biwi ko lekar chala ja is ghar se (again dhamake) humari zindagi se apna manhoos saya lekar chala ja...( prerna turns her face and tears flowing down on her cheek)...

kashish:- mumma... aap yeh...

sujal:- kashish... tum kuchh nahin kahogi,... mumma... apne mujhsey pehli baar kuchh manga... to wo bhi judaai... (wiping his tears with smile...) koi baat nahi mumma... aapne mujhey is kabil to samjha... main... apki bat kaise taal sakta hun... aap chahti ho... to main ab is ghar me nahin rahunga... aur ha... akki aur rishi se unka unka haq koi nahin chheen sakta main bhi nahin... ab se mera sab kuchh unka... ( sujal jane k liye mudta hai)

prerna:- sunn... mujhey teri khairaat nahi chahiye... tere hisse ki jo property hai tujhe mil jayegi... ab tum dono ja sakte ho...

sujal aur kashish apne aanshun pochh kar kamre k bahar ate hai... to dekhte hai ki anurag unki bat sun raha tha... aur uski aankh se anshun beh rahe hai... sujal anurag ke anshun pochhta hai aur smile karta hai anurag sujal k kandhe me hanth rakta hai aur rote hue study room me chala jata hai... sujal k jate hi prerna puri tarah se toot jati hai aur betahasha ro rahi hai... yahan dusri taraf sujal apni window k pass kahda hai.. kashish aakar uske bagal me khadi hoti hai dono k ankhon me anshun hai...kashish sujal ka face apni taraf karti hai... aur sujal kashish ko hug kar leta hai,,,,, aur ro raha hai...

sujal:- kashish kya main itana bura hun... ( kashish nods in no) main kabhi akki aurt rishi k sath aisa kar sakta hun kya...to mumma kyun aisa sochti hai...

kashish:- sujal aap to sapne me bhi kisi ka bura nahin kar sakte... aur phir akki aur rishi me to apki jaan basti hai...( sujal seperates)

sujal:- kashish tum packing karlo hum kal hi jaa rahe hai,,,,,,( dhamake on kashish's face)

kashish:-kal hi?

sujal:- ha kashish...aur maine 1 faysla kiya hai... kashish maine 1 faisyla bahut pehle tumse puchhe bagair le liya tha... kashish maine apni sari jayjaad akki aur rishi me bahut pehle hi baat di hai... ab mere pass kuchh bhi nahi hai... jab mujhey pata chala ki main mumma papa ka asali beta nahin hun... maine yeh faislya kar liya tha... i m sorry mujhey tumse puchhna chahiye tha par...

kashish( smile and holds his hands):- sujal mujhey koi fark nahin padta hai ki aap k pass daulat hai ya nahin... aur phir meri asali daulat to aap hai... mere pass apka sath hai bas mujhey kuchh nahin chahiye... aur ha... aaj to main aapse aur bhi jyada pyar karne lagi hun...mujhey fakra hai ki aap mere pati hai aur mera pyar hai... aapne faisla kiya hai to bilkul sahi hoga...bas aap humesha mere sath rehna aur mujhey kuchh nahin chahiye...( hugs him) aapki yeh bahein hi mera ghar hai sujal... aur jahan aap ho wo meri duniyaan... yeh kashish to puri ki puri aapme sama gayi hai... aap jahan le jayeinge... aankh band kark apke sath chalungi... (sujal kissed her on her fore head and both went to bed and slept...)

end of part 18
plzzz do comment...
with love chandni...
*********************************************************
*********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
sorry for late comment
part 17
nice part
sab karwa chouth celebrate kr rahe h gud

sujal ne bhi varat rakha h
how romantic
ab inki love story me ye naya villain kaha se aa gaya
piyush problem creat karega sujal or kashish ke bich me
lets see aage kya hota h ab
thanks for pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: meenuraj97

sorry for late comment
part 17
nice part
sab karwa chouth celebrate kr rahe h gud

sujal ne bhi varat rakha h
how romantic
ab inki love story me ye naya villain kaha se aa gaya
piyush problem creat karega sujal or kashish ke bich me
lets see aage kya hota h ab
thanks for pm



thanks naina...keep reading...😊

Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


thanks dear...keep reading...

Edited by rkchandni - 10 years ago
love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
part 17... hwww piyushhh aa gya 😡😡😡
ye q aya ise london he rhna chaeye tha 😡 ab mere sujal ko tang kry ga...disgusting😡...
WowWw...kashish sujal dono eh dosre k liye wart rkhty...i like it😛😛 and my fav scene jb kashish khti h k agr mero sout laye to m us k sath sath apka b khoon kr du gi or bd mei apna bhi😛...hehehe
my faVvv song...MERE PYAR KI UMER HO ITNI SANAM...i love ths song ❤️ wldone chandni sweeettuu claping 4 uHHH👏 keeep it up...love u baby

love_sujalkash thumbnail
Posted: 10 years ago
part 18...sb se phly to kashish k muh se piyushhh ko bhai saab sun k mza agya...hehehehe 😃...
uski himmat kese hui kSujal ki kashish p gandi nzr rkhne ki😡
krwa chth p sujal ki showl jalne lgi thi oowww😭😭😭 nhiii😛 kashish k hty sujal ko kuch nhi ho skta SK ki shadi ko 1 year b ho gya sb bht khush hn apni apni life m😳
vasu or piyushhh ki prerna se baatein bht sad scene tha...ye kesi maa h vasu😡😡😡...
ab SK chaly jaien gy...cont soon dear...keep it up

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

29 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

a month ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".