
r="">
*** sk- Pure love ***
part 17
piyush...:- i m back... welcome to INDIA piyush... aaj se tera naya safar suru hota hai... jisme jeet sirf aur sirf teri hogi... aur haar... har hogi sirf SUJAL GAREWAL ki... sujal tumhara sabse bada dushman ab aa chuka hai tumhari zindagi barbaad karne... be ready... kyuki ab main tumse tumahri har ek khushi ko cheen lunga... wo sab jo tumne mujhey cheena hai... and u know what the best thing is... ki tumhe pata hi nahin hoga ki tumhara asli dushman hai kaun... ( piyush laughs and left towards his hotel)...
agle din charu subah subah hi mumbai aa jati hai kyuki kal karwa chowth hai aur dadi chahti hai ki is baar charu bhi akki k liye brat rakhe... sabhi break fast kark apne kaam par nikal jate hai...
sujal apne office me hai... tabhi akki aata hai...
akki:- sujal bhai...( looks at him) bhai wo mr raheja aa gaye hai... humari unse meeting hai na...to...
sujal:- ha i m ready unhe lekar andar aa jao...
akki mr raheja ko lekar andar ata hai...
sujal:- hello mr raheja... wel come to garewals... ( sujal sakes hands with him )
mr raheja...:- oh plzzz dont be so formal... mr sujal... just call me piyush...
sujal ( smiles):- then u must call me sujal...no mr sujal... got it...
piyush( smiles):- ofcrs... waise bhi main dosti mein bahut vishwaas karta hun... main samajhta hun... jahan sachhi dosti ho... wahan business... imandari aur vishwaas k sath kiya jata hai... jisme success jarur milti hai...
sujal:- wow nice thought... waise aap inse to mil hi chuke honge... he is my younger brother... akshat garewal... isne abhi kuchh dino pehle hi business join kiya hai... aur apke sath jo humari deal... jo agar aaj final ho gayi... then he will going to do ur project...
piyush...:- ya ofcrs... aur waise jahan tak mujhey pata hai... i m elder than u sujal... so mujhey tumsey thoda jyada experience hai... to main tumhare bhai ko jayada achhi tarah business shika paunga... ( sujal smiles and ingors it but akshat ko yeh baat hazam nahi hui... use piyush kuchh azeeb laga par usne sujal ko roka nahin... kyuki use laga ki sayad wahi kuchh jayada hi soch raha hai...)
saam tak inki deal bhi final ho gayi aur piyush ne apni meethi meethi baaton se anurag aur sujal dono ko hi apne cofidence me le liya... aur humara bhola sujal... usne bhi piyush par yakeen kar liya... piyush ne apne london se hone ka fayda bhi uthaya aur sujal aur anurag ko emotional fool banaya aur anurag ne use kal karwa chowth ki party k liye apne ghar tak invite kar liya aur piyush is baat se bahut khush hai...
next day...
karwa chowth... aaj kashish ka pehla karwa chaowth hai... subah ke 3:30 baje hue hai... tabhi charu aakar kashish k room k door ko knock karti hai...jisse sujal bhi uth jata hai...
sujal;- itani rat ko kaun hai kashish...
kashish:- a koi nahi wo mere liye aayi hai aap so jaaiye...(aur sujal wapas so jata hai...kashish uth kar door kholti hai... charu dekhti hai ki sujal abhi bhi bed par so raha hai...)
charu:- di aap jaldi se ready hokar sargi khane ke liye neeche aa jao... mumma aap ko bula rahi hai...
kashish:- hmmm... main bus 10 minute me aayi...
kashish ja kar ready hoti hai aur neeche jati hai... dekhti hai ki prerna ne sari taiyyari kar rakhi hai... dadi bhi wahi hai... anjali, kripa aur charu bhi aa chuke hai... kashish ja kar unke sath baith jati hai... prerna sabhi ko sargi deti hai... aur sabhi kha rahe hai...
charu:- mumma... ye karwa chowth kyun manate hai...? iska kya matalab hota hai...?
Prerna: Yeh kahani muje maa ne sunai thi...aaj wahi main aap sab ko kehti hoon...kehte yeh kahani nahi haqeeqat hai...lekin main iske bare me kuch nahi janti...to shuru karte hai...bahot saalo pehli ki baat thi...ek Rajkumari thi jiska naam Veeravati tha...kehte the ki bahot hi sundar thi...ek din uski shaadi pass ke seher ke bahot bade Raja ke saath ho gayi...shaadi ke bad jab pehla Karwa chauth aaya to woh apne maayke aayi huyi thi...karwa chuth ka suraj nikale hi usne apna vrat shuru kiya...lekin rani bahot hi najuk thi...jab sham hoti hai to Rani ko chakar aane lagte hai kyunki usne subaah se na ann ka dana aur nahi ek bundh pani pi hoti hai...Jab yeh baat Rani ke saat bhai ko pata chalti hai to woh log pareshan ho jate hai kyunki Veeravati uski ek lauti behen thi...saato bhai no milke Veeravati ka vrat todne ki soch li...un logo ne milo dur ek aag jalai aur uski roshni se unhone Veeravati ko kaha ki Chaand nikal aaya hai...aur woh pani pile...Jab Veeravati pehla ghunt pani piti hai tab uske ghar se paigam aaya ki uske Pati ki maut ho gayi hai...Rani puri tarah se tut gayi thi...woh bhagti huyi apne Pati ke ghar jane lagi...Jab raste me use Bhagwan Shiv aur Parvati milte hai...Devi Parvati use batati hai ki uske pati ki jan is liye gayi kyunki usne apna vrat tod dala...Rani unke pairo me girke gidgidai aur mafi mangne lagi...Parvatijee ne kaha ki woh uske pati ko wapas kar sakti hai lekin woh ab bimar hi rahega...Veeravati Parvatijee ka shukriya karke jab apne Pati ke ghar pahunchti hai to woh dekhti hai ki uska pati behosh pada hai aur uske sarir me hazaro sui lagi huyi hai...har din Veeravati ek sui nikal sakti thi...aise hi ek saal gujar jata hai...aur phir se karwa chauth ka din aata hai...ab sirf ek hi sui uske pati ke sarir me thi...Veeravati ne is bar than li thi ki woh apne vrat ko zaroor pura karegi...woh khud bazar karwa chauth ka saman lene jati hai...lekin mehel me ek dasi Raja ki woh sui nikal deti hai aur Raja ko hosh aa jata hai...Raja us dasi ko apni veeravati samajne lagta hai...lekin jab asli Veeravati bazar se aati hai to Raja use apni dasi manta hai...Veeravati sab samaj jati hai lekin use apne karwa chauth ke vrat pe pura bharosha tha...Veeravati ne apne pati ka muh dekhke apna vrat to tod dala lekin abhi bhi woh unke liye dasi hi thi...ek din jab uska pati kahi dur ja raha tha tab woh Veeravati se puchta hai tumhe kuch chahiye...Veeravati kehti ki muje ek jaise do gudiya chahiye...jab uska pati puchta hai kyun to woh sirf geet gun gunane lagti hai..." Roli ki Goli ho gayi...Goli ki Roli ho gayi..." Raja Veeravati se puchta hai woh aisa kyun keh rahi hai jab Veeravati use sari sachchai batati hai...tab jake Raja ko yaad aaya ki yahi uski asli rani Veeravati hai...us din Raja ne sab ke samne Veeravati ko apni patni mana...yeh tha Veeravati ka vishwas jisse usne apne pati ke pyaar ko jita...aur jis per hamesha Devi Parvatijee ka ashirwad tha...yeh thi kahani unke piche...
Kripa: ab samaj me aaya...
Kashish: kitna dukh saha hoga us bechari ne...uski to koi galti bhi nahi thi...
Prerna: lekin sach aur vishwas se kuch bhi hasil ho sakta hai...waise hi agar aapko apne karva chauth ke vrat aur apne pati ke pyaar pe barosha ho to kuch bhi ho sakta hai...
Anjali: achcha hua aapne hume uske piche ki kahani batai varna hume to kabhi iske mahtav ke bare me pata hi nahi hota...
kashish:- achha mumma... ab hum sab ka ho gaya hai to hum sab mandir chale...
prerna:- ha... chahlo... ma aap suhana ko jara dekh lijiyega... hum sab jaldi aa jayege...
dadi:- oye koi nahi tum sab jao...
sabhi mandir jate hai aur apne karwa chauth k brat k liye bahgwaan ji se dua mangte hai... aur thodi der baad sabhi khushi khushi apne kamre me aati hai...dekhti hai ki sujal abhi bhi so raha hota hai... uske chahre pe smile aa jati hai...
Kashish; Sujal...chaliye jaldi se uthiye...aath bajnewale hai...
Sujal: bas do minute...
Kashish: nahi...phir aap ko deri hogi to aap mujhpe chilayenge...
Sujal: main tumpe chilata hoon...
Kashish: haa...jab aap dair se uthte hai to...kashish meri tie nahi mil rahi...kashish mere joote kaha hai...kashish meri red wali file nahi hai...kashish mera wallet nahi mil raha...kashish tumne meri ghadi dekhi...kashish meri car ki chabiyaan...uff...ek saans me kitne sawaal karte hai aap...aap ke saath aap mujhe bhi pagal karte hai... (Sujal hasne lagta hai)
Kashish: ab aap has kyun rahe hai...
Sujal: kuch nahi tum nahi samjogi...waise aaj itni sawarke subaah subaah kaha gayi thi...
Kashish: aap ko kuch bhi yaad nahi rehta...aaj karva chouth hai aur main sargi khane ke bad sab ke saath mandir hoke aa rahi hoon...ab aap jaldi se uthiye muje aur bhi bahot se kaam hai...
Sujal: haa tumhare bechare is pati ke liye tumhare pass waqt hi kaha bacha hai...sara waqt to tum ghar ke kaamo me nikal deti hoon...Mama ke saath kitchen me...papa ke saath kabhi chess ke khel me...kabhi akki to kabhi rishi...ab muje hi lagta hai mere liye koi dusri lana padega...
Kashish: hey...aaj keh diya to keh diya...meri saut laoge ti main aapke saath uska bhi khoon kar dungi aur bad me apna...
Sujal: itni jalan...
Kashish: isse bhi jyada...aap pe sirf mera haq hai sirf mera...Sujal sirf Kashish ka hai...baat samaj me aa gayi ho to aap bathroom me jane ka kasht karenge...
Sujal: waise tumne sahi kaha...main tumhara hoon to tum bhi meri huyi ... (yeh kehte hi Sujal Kashish ka haath pakad ke use apni aur bed pe khichta hai )
Kashish: Sujal...chodiye kya kar rahe hai...ghar pe itne sare log hai...
Sujal: woh to ghar pe hai na...yeh hamara bedroom hai...
Kashish: to iska matlab aap jo chahe woh kar sakte hai...
Sujal: haa main jo chahe apni kashish ke saath kar sakta hoon...
Kashish: ab bahut mazak ho gaya...chodiye mujhe waise bhi dair ho jayegi...mujhe abhi papa ka breakfast banana hai...
Sujal: aur mera... ?
Kashish: aap bhi khayenge aaj...muje laga ki aap bhi mere liye karva chauth rakhenge...
Sujal: main kyun...aur waise bhi yeh to patni apne pati ke liye karti hai to main kyun karoon aur tum to janti ho muje khaye bina nahi raha jata...
kashish: yeh bhi sahi hai...ab aap jaiye na...
Sujal: pehle meri morning kiss...
kashish: aaj raat ko de dungi...
Sujal: iska matlab double...
Kashish: haa double...promise me nahi bhulungi...
Sujal: main bhulne bhi nahi dunga...thik hai main chalta hoon...mere kapde nikal dena aur kuch special woh aaj ek bahot hi important meeting hai meri...
Kashish: jee... (Ab Sujal nahane chala jata hai...aur Kashish sab kuch taiyaar karke neeche aati hai.)
ab sujal aur kashish neeche hai breakfast table par... sabhi gents breakfast k liye baithe hai aur kashish andar kitchen me jati hai ...
rishi:-waise aaj breakfast me kya hai
anurag :- pata nahi... anjali , kripa, charu, aur kashish ne banaya hai... kuchh achha hi hoga...
akki:- kya phir to main chala... pata nahi kya bana denge...
anurag:- oye chup kar charu k alawa unme do teri babhiyan bhi hai...
angad: waise muje shak kripa pe bhi hai...
Sujal: shut up...jab dekho bechari ki burai hi karta rehta hai...
akki ( hanth jod kar ): bhaiyaa Ram hum aapki Sita ke bare me nahi apne bare me baat kar rahe hai...(jab charo ladkiyaan nasta leke bahar aati hai... )
Anurag: kya baat hai khusboo to bahot achchi aa rahi hai... maa main na kehta tha ki hum naseebdar hai jinhe itni pyari char char betiyaan mili...
dadi:; haa woh to hai...sach me hum to kismat wale hai (jab Sujal ke cell pe phone aata hai...)
Sujal: thik hai main abhi nikalta hoon...bye...
akki: kya hua sujal bhai sab thik to hai...
Sujal: haa sab thik hai woh mere PA ka phone tha ki meeting se pehle kuch discuss karna hai is liye muje nikalna hoga...bye...
Kashish: lekin aapka nasta to karte jaiye...
Sujal: nahi muje dair ho rahi hai...main office me kar lunga...
Kashish: achcha suniye...yaad karke kar lijiyega aur sham ko aapko jaldi aana hai ...
Sujal:ok bye... (Sujal waha se chala jata hai.)
ab aise hi dekhte shaam ho jati hai...Kashish apne kamre me taiyaar ho rahi hoti hai jab Sujal office se wapas aata hai...
Kashish: aaj ka din kaisa tha...?
Sujal: bahot busy...
Kashish: lunch thik se kiya...?
Sujal: haa...
Kashish: waise aaj maine aapki favorite dish banayi thi...aapko pasand aayi...
Sujal: bahot pasand aayi...
Kashish: jooth...aapne aaj lunch kiya hi nahi... kyunki maine koi lunch nahi bheja...
Sujal; woh Kashish...
Kashish: aapne vrat rakha hai...mere liye aur aapne muje hi batana sahi nahi samja...lekin muje batana to chahiye tha...
Sujal; agar bata deta to vrat rakhne ka koi matlab hi nahi banta...
Kashish: isi liye aap naste kiye bina hi chale gaye aur office ka bahana nikala taki muje kuch pata na lage... aapne subaah se kuch nahi khaya na...aapko bahot pyaas lagi hogi office ke baad...
Sujal; nahi Kashish ab to vrat tutega chand ko dekhne ke bad hi... (Kashish ki aankh se aanshu behne lagte hai)
Kashish: I love you Sujal... (yeh kehte hi Kashish Sujal ke gale lag jati hai.)
Sujal: i love u too ...{(whispers) ...Kashish...chand nikal aaya...}
Kashish: kaha... (Sujal Kashish ko aaine ke pass le jata hai)
Sujal; woh raha mera chand...waise tumhe nahi lag raha ki aaj mera chand kuch jyada hi khubsurat lag raha hai...
Kashish: kya baat hai Mr. Sujal Garewal bahot romantic ho rahe hai...
Sujal: pata nahi aaj kuch jyada hi pyaar aa raha hai tumpe...mann kar raha hai tumhe dekhta hi jau aur dil se tarif karta jau...kashish agar zindagi me muje kabhi bhi kuch ho jaye to tum dukhi mat hona aur aise hi sajte rehna warna meri aatma ko bahot taklif hogi...
Kashish (gusse me ): chodiye mujhe...
Sujal:- kya hua?...
Kashish: muje aapki yeh baat bilkul achchi nahi lagti...aaj ke din bhi... (Kashish gusse me uthke khidki ke pass chali jati hai...aur sujal uske piche jata hai.. )
Sujal (whispers in her ear): main to sirf mazak kar raha tha...sorry...abhi to hum 100 saal saath me jine wale hai...aise kaise tumhara picha chod doon...abhi to hume saath me bahot kaam karne hai...12 bacho ki team banani hai...bada karna hai sabhi ko padhana hai...unki shaadiyaan karani hai...business ko sambhalne ke liye kabil banana hai aur uske bad jab main retire ho jaunga tab ...hum budhe ho jayenge tab tum aur main durr seher se durr pahadi pe ek chota sa gharr banake rahenge...aur phir hum dono ke alawa koi tisra nahi hoga...sirf main aur tum pure waqt akele ghar me...aur hum woh pehle budhe honge jo apne dusre honeymoon pe jayenge... (Kashish hasne lagti hai)
Kashish: aap bhi na...kuch bhi...
ab thodi dair bad sab log hall me bethe chand ka intzaar kar rahe hote hai... ab seher ke sabhi dost aur rishtedar aur piyush bhi aa gaya hota hai...
Anurag: abhi chand ko nikalne me to thoda waqt hai...aur yaha aurato ke bhukhe pet chand ka intzaar karna muskil ho raha hai to...kuch gaane ho jaye...
rishi;- haa papa...aaj to kuch aisa ho jaye ki sara seher dekhta reh jaye...
priya: aur uske liye mere pass ek mindblowing idea hai...aaj hamari pyari Kashish... Sujal ke liye kuch gayegi...
Kashish;- priya pagal ho gayi ho kya ...itne logo ke beech...
akki: galat kya keh rahi hai...kuch kahiye na Sujalbhai aap...
Sujal;ab sab itna keh rahe hai to kuch ga dona...
sujal itana keh kar kuchh guests se baat karne lagta hai ki tabhi kashish k gane ki awaz uske kano me gunjati hai... usne nahi socha tha ki kashish gaiyegi... isliye wo hairaan hai...
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
(Kashish Sujal ki aur apna haath badhati hai)
Tere naam se shuroo... tere naam pe khatam...
(Sujal apna haath Kashish ke haath me deta hai)
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
Tere khushi se hai khushi... tere gham se hai gham...
(Sujal Kashish ke aankh se behte huye aanshu ko pochta hai)
Tere khushi se hai khushi... tere gham se hai gham...
Tere naam se shoroo... Tere naam pe khatam...
(Kashish apna sir sujal ke kandhe pe rakh deti hai)
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
(Sujal Kashish ke sir ko sehlata hai)
Mere sapne gulaabi... neendein ho gayi jawaan...
(sujal kashsish k chehre ko pyar se chuta hai...)
Mere sapne gulaabi... neendein ho gayi jawaan...
Lo aake teri baahon me...
( sujal kashish k aanshun pochta hai)
Lo aake teri baahon me... main kho gayi kahaan...
(kashish sujal ko gale laga leti hai...)
hazir jaan hai jaan... janeman jaan ki kasam...
( tabhi use hose ata hai ki sabhi wahan hai...)
hazir jaan hai jaan... janeman jaan ki kasam...
Tere naam se shoroo... Tere naam pe khatam...
( kashish wahan se jane lagti hai par sujal uska hanth pakad leta hai...)
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
bin tere ek pal bhi mujhse... raha nahi jayein...
(sujal kashish k kareeb jata hai aur uske fore head par kiss karta hai)
bin tere ek pal bhi mujhse... raha nahi jayein...
yun door - door rehna...
yun door - door rehna... ab saha nahi jayein...
( sujal kashish ko wink karta hai aur kashish sarma k chali jati hai )
Teri pyar bhari baahon me hi... niklega dammm...
( tabhi chand nikal ata hai aur sabhi bahar jate hai)
teri pyar bhari baahon me hi... niklega dam...
(kahsish sabse pehle chand ki puja karti hai)
Tere naam se shoroo... Tere naam pe khatam...
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
(Phir Kashish Sujal ki puja karti hai)
ek chhota sa ghar ho... rahein dono wahan...
(Kashish chhalini me se Sujal ko dekhti hai)
jahan pyar se mile... ye dharti aasmaan...
(Kashish sujal ke pair chune jati hai lekin Sujal use mana karta hai)
toot jayein na... kahin mere pyarr ka bharam...
(Sujal Kashish ko pani pilata hai lekin Kashish pehle Sujal ko pilati hai)
toot jayein na... kahin mere pyarr ka bharam...
(Sujal Kashish ko khana khilata hai lekin phir bhi Kashish pehle Sujal ko deti hai)
Tere naam se shoroo... Tere naam pe khatam...
(Sujal Kashish ke chehre ki khushi dekhta hai jo kuch aur hi rang bata rahi thi)
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
(sujal aur kashish ek dusre ke gale lagte hai)
Tere khushi se hai khushi... tere gham se hai gham...
Tere khushi se hai khushi... tere gham se hai gham...
( in dono ko prerna bahut der se bade hi pyar se dekh rahi hai... aur mehsoos bhi kar rahi hai...ki sujal ab khush hai..)
Tere naam se shoroo... Tere naam pe khatam...
(inke pyar ko dekh kar sabhi k ankhon me khushi k anshun aa jate hai...)
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
Mere pyaar ki umar ho... itni sanam...
movie:- Waris
tabhi wahan rishi aata hai...
rishi.:- hmm...hmmm (sujal kashish rishi ko dekh kar alag hote hai...)
priya:- kya baat hai kashish... waise tum vrat todne se pehle sab kuch sujal ko kyun khila rahi thi...
akki: Bhabhi check kar rahi hogi ki khana khane layak to hai...
Kashish: aisi koi baat nahi...aaj tumhare bhai ne bhi mere liye vrat rakha hai...unhone bhi subaah se kuch nahi khaya...aur agar aaj main Sujal se pehle pani pi leti to mera karwa chouth kabhi pura nahi hota...patni kaise kha sakti hai jab uska pati bhukha ho...mujse yeh paap nahi ho sakta...isi liye maine jo kiya woh muje sahi laga aur sabhi aurat ko aise hi karna chahiye...
charu:-lekin Dii...sabhi aap ki tarah lucky nahi hote...yeh mahasay jab se office se aaye hai muje pareshan karne ke liye kuch na kuch mere samne khaye ja rahe hai...
Sujal: dusro ka pata nahi lekin maine is liye vrat rakha hai ki main akela 100 saal jike kya karunga...mere saath denewali bhi to chahiye...isi liye main chahta hoon ki main jab tak jiu kashish mera saath de... aur mere jane ke bad bhi...
Kashish: kitni bar muje aapko batana hoga ki aisi baatein mat kijiye...lekin aap to sunte hi nahi...muje is bare me mama se aapki sekayat karni hogi...
Sujal: ab aage nahi hoga...ab aaj ke din aise naraz nahi rehte...aur waise bhi muje bahot bhukh lagi hai... aur mera manna hai ki bhukhe pet dard hota hai...to kashish mera dard shuru ho raha hai... abhi pet se leke upper aa raha hai...
Kashish: aapna bache ke bache hi rahenge... chaliye main aapka khana laga deti hoon...
akki:-aur Bhabhi mera...?
Kashish: tuje denewali hai... use keh ab... ab mera picha chod... (yeh kehke sabhi andar dinner ke liye chale jate hai... )
Dur se piyush in sab ko dekh raha tha jiski nazar pure waqt sirf Sujal aur Kashish pe hoti hai...
piyush to him self:- mana lo sujal jitani khushi manana hai manalo aaj k baad to tumhe sirf dukh hi sehna hai... aur tum kashish bahut pyar karti ho sujal se... i promise u ki yeh tumhara pehla aur akhiri karva chaouth tha... kyuki main sujal ko ab barbaad kar dunga main sujal ko itana tadpaunga ki wo apni maut ki bheekh mangega... aur tabbhi main use itani asan maut nahi dunga... wo tadpega... ( tabhi sujal ata hai aur piyush k kandhe pe hanth rakhta hai piyush darr jata hai...)
sujal:- piyush... r u ok... ( piyush smiles and nods in yes)... chaliye khana lag gaya hai... ( dono andar jate hai... tabhi kashish aati hai...)
kashish;- sujal wohhh... ( kashish looks at piyush...)
sujal:- kashish... yeh... mr piyush raheja hai... humare naye business associates... aur piyush yeh meri wife kashish...
piyush:- hello kashish ji aur ab main sujal ka dost bhi hun ... thankyou kashishji ... mujhey aise family function me bulane k liye ( kashish smiles )
kashish:- ji u r most welcome mr piyush... ( tabhi some ones call sujal and he excused )
piyush:- waise i must say kashish... sujal is very lucky... u r v bful ( kashish feels uncomfortable kyuki piyush bahut hi azeeb tareeke se use dekh raha tha... and she hates that look ) aap sujal jaise boring insaan k sath suit nahi karti... aap to hum jaise
kashish ( with anger in her eyes ):- shut up... mehmaan ho... mehmaan ki tarah raho... aur ha khana kha k jana...( hanth jod kar ) namaste...BHAI SAAB... ( dhamake on piyush face and kashish left the place with anger )
end of part 17
plzzz do comment...
with love chandni...
********************************************************
********************************************************
Edited by rkchandni - 10 years ago
324