aaj naina bahut khush hai kyunki usko uska pyaar mil gya air raj bhi bahut khush hai vo dono ek dusre ki bahon mai khoye hue hai unko kuch nhi pata ki aas paas kya ho raha hai they r lost in their own world
after 10 min
bahut zor se thunderstrom ki aawaj aati hai nd naina aur raj apni khayalon ki dunia se bahar aate hai barish bahut tej ho gyi hai
naina khud ko raj ki bahon mai dekhti hai aur sochti hai ki abhi thodi der phke raj ne jo bola tha kya vo sach tha ya fir uska ek sapna
raj naina ko khud se alag karta hai aur usko dekh kar smile karta hai
raj : naina kya hua kahan kho gyi tum
naina : soch rahi hu ki abhi jo kaha aapne sach hai ya fir koi sapna
raj smile karta hai
raj : naina yeh sach hai kyu tumko sapne jaisa lag raha hai kya
naina : ha vo sapna jo mai har roj dekhti thi aap se door jane ke baad
raj naina ke lips par finger rakhta hai
raj : shhh bas ab door jane ki baat mat karna itni mushkil se mili ho ab dubara door nhi jane dunga tume
naina : mai bhi nhi jana chahti pqr apni kismat par yakeen nhi hota ki muje mera pyaar mil gya aisa lag raha hai jaise sapna dekh rahi hu aankh kholugi aut yeh sapna toot jayega
raj naina ko apni taraf khinchta hai nd uske cheeks par kiss karta hai
naina is blushing raj ek aur kiss karta hai
naina : aap kya kar rahe ho
raj : tume yeh ehsaas dila raha hu ki tum koi sapna nhi dekh rahi sach hai yeh sab ab to yakeen ho gya na
naina : hmm
raj uske forhead par kiss karta hai nd naina sharma kar raj ko hug kar leti hai nd uski chest mai apna face chupa leti hai
raj : kya hua tume
naina :: aapko kabhi is tarah se nhi dekha aise itne romantic hote huye
raj : ab is romance ki aadat daal lo capt naina ah singh
naina : i love u rajvir i love u so much
raj : love u 2 naina
naina : i love u 3
raj : i love u 4 ,5,6,7,8
nd both laughs
naina : aap muje kabi chod ke to nhi jaoge na
raj : bilkul nhi koi apni jaan se juda hokar kaise zinda reh sakta hai tum hi batao
naina smile karti hai
naina : ek baat puchu
raj : ha bolo
naina : aap to ek baar sherry se bol rahe the k u love her vo kya tha
raj : uski wajah se hi meri jaan mujse naraz ho gyi thi na
naina ko bahut acha laga ki raj usko jaan bula raha hai
naina : ha pata hai mujko kitna bura laga tha kitna royi thi mai
raj : tume kya lagta hai naina ki mai tumare elwa kisi aur se pyar kar sakta hu mai aisa soch bhi nhi sakta aur tum bhi to muje pyaar karti thi na fir apne pyar par trust nhi tha tume
naina : aap aisa kyu bol rahe ho us wakt maine jo dekha muje laga sach hai
raj : i knw naina mai janta hu koi aur bhi tumari jagah hota to aisa hi sochta par sherry bas muje tumko purpose krna sikha rahi thi
naina : what hahahaha
raj : haso tum bhi mujpar ki mai kitna budhu hu apne dil ki baat bhi nhi bol paya tumse
nd raj naina se dur jakar khada ho jata hai naina uske paas gyi
naina : mera vo matlab nhi tha raj mai aap par nhi hsi
raj : rehne do muje sab pata hai tumko bhi aisa lagta hau na ki mai bevkoof hu
naina : aap mujse itne rudly baat kyu kar rahe ho
raj : meri marzi mai jo marzi kru tum mat bolo beech mai
naina ki aankon mai ansu aa gye yeh sun kar usko kuch samj nhi aaya ki raj abhi thodi der phle itna pyaar kar raha tha ab is tarah kyu baat kar raha hai
naina rone lagi
raj uske pass gya
raj : naina hey kya hua kyu rone lagi tum
naina : aap mujse aise baat kyu kar rahe ho
raj : mazak kar raha tha tum to sach mai bura maan gyi mai to bas yeh dekhna chahta tha ki meri naina mujse kitna pyaar karti hai
naina : aap dubara mujse door huye na kabhi to mai mar jaugi is baar
raj : chup bahut bolti ho tum naina aisa mat bolna kabhi bhi varna
naina : varna kya
raj : iski punishment milegi tume tumne aisa galat bola is liye
naina : kya punishment milegi
raj : bata dunga vo bhi itni jaldi kya hai
naina : ok par abhi aap chalo jakar thodi der so jao aap injured ho aapko rest ki jarurat hai
raj : nhi muje koi rest vest nhi krni muje bas meri naina ke pass rukna hai
naina : raj zid mat karo chalo chup chap ja kar so jao
raj making a puppy face
naina : kya hua
raj : tum muje daant rahi ho na is liye
naina uske aise childish behaviour ko dekh kar smile karti hai
naina : acha nhi daatugi par meri baat mano phle go nd sleep
raj : tum bhi chalo na mere sath
naina : acha thik hai
raj jakar let jata hai naina uske paas baithi hai raj bas usko dekhe ja raha hai
naina : aap si jao mujko baad mai dekh lena kahi bhaag nhi jaugi
raj : tumara kya pata
naina : raj so jao ab
raj : no
nd raj apne cheeks ki taraf ishara karta hai
naina : kya
raj : phle ek kiss
naina uske cheek par kiss karti hai
nd she blushed
raj : one more
naina : no abhi so jao chup chap
raj : ok par tum bhi so jao
naina : ha aap so jao mai thodi der tak so jaugi
raj naina ka hath pakad kar so jata jai
naina abhi bhi sab soch rahi hai jo hua aaj vo raj ko dekh kar smile karti hai raj sote huye bahut cute lag raha hai
naina uske cheeks par kiss karti hai nd khud bhi so jati hai
udhar sherry acadmy mai itni raat ko idhar udhar ghoom rahi hai
nishant : kya hua sherry neend nhi aa rahi
sherry : raj nd naina abhi tak nhi aaye
nishant :aa jayege vo ek sath hai ten mat lo tum
sherry : vo thik ho bas phle kabhi itna late nhi hua
tabhi vaha brig aata hai vo nishant ko batara hai ki naina nd raj par kuch logo ne attack kiya tha aur unhone help ke liye control room mai call kiya tha is liye nishant ko jsna hoga unko help ke liye
sherry : mai bhi chalu
nishant : nhi tum yahi ruko mai aalekh aur huda ko lekar jata hu
nd nishant alekh nd huda ko lekar gya raj aur naina ko serch karne
end of part 20
204