Me back from my holiday and also back with my story…..I hope all of you are doing good….. I know already maine aap sabhi ko bada wait karwaya story post karne ke liye so main ab zyada bhak – bhak nahi karoongi…. And here is me continuing with the story
Dil Se Dil Thak…….
Isse pehle ki I continue the story dekhthe hain ek jhalak recap ka :- in the last part yeh hua ki raj , khushi ke shaddi ka date pass aa raha hain.. raj , khushi ek dusare ke saath behad khush hain…. In sab ke beech entry hothi hain bhootni , kawaab mein haddi Tanya ki.. jisse raj aur khushi ki muskaan bardhast nahi ho raha hain…. Raj aur khushi ka saath usse achcha nahi lag raha hain…..
Ab agge….
" DIL SE DIL THAK -- PART 14" { the long awaited part }
raj is dropping khushi home from the office… there is a silence prevailing in the car…. May be it is because of the fact ki agle kuch din raj , khushi cannot meet so frequently….. issi khamoshi ke chaye hue khushi ka ghar aa jaatha hain…. raj stops the car , gets down… he comes to khushi's side & opens the door…. khushi gets down the car… Raj & khushi are silent…
Tab khushi kehthi hain :- achcha raj..main chalthi hoon…
raj kehtha hain {very sweetly} :- khushi can I get a hug….. he opens his arms….
Khushi just smiles comes forward & hugs him……
They are still hugging eachother when raj says :- waise khushi woh tanya sahi keh rahi thi maine tumhe apne sar par bohat hi chada ke rakhkha hain… he says this & giggles….
Khushi just hits him & both stay in each others arms…..
Song in the background :-
"Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana….
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana…….
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana……..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana…..
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana……
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…..
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……
Oh oh oh oh, mm mm mm ……..
Ab zindagi ka maqsad hai bas tumhaara saath ………
Ek baar keh do tum bhi, haathon mein leke haath…….
Oh oh oh …..
Ab zindagi ka maqsad hai bas tumhaara saath…….
Lo keh diya yeh tumse, haathon mein leke haath…….
Hum tum, tum hum banke rahe humraaz humsafar……
Shikwa kare na koi ek duje se umr bhar……..
Pyaar hamaara ho aise ke dekhe yeh zamaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…….
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……
Kehta hai pal pal tumse…….
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……….
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana……
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana ……..
Na main tumhe sataaoon, na tum mujhe sataao ……..
Main tumko samajh jaaoon, tum mujhko samajh jaao ……
Na main tumhe sataaoon, na tum mujhe sataao…….
Main tumko samajh jaaoon, tum mujhko samajh jaao…..
Chaahat hi pooja ho mann mandir ho jaaneman…….
Ek duje ke bin ek pal bhi lagta nahin ho mann………
Phir to jeevan ban jaayega pyaar ka taraana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana………
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
Kehta hai pal pal tumse hoke dil yeh deewana……..
Ek pal bhi jaane jaana mujhse door nahin jaana…….
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana ……."
Pyaar kiya to nibhaana, pyaar kiya to nibhaana"……..
Then raj , khushi separate from the hug… dono ki aankhein thodi num hothi hain…. Khushi ke aankhon se aasoo chalak padthe hain… raj foran apna haath khushi ke chehre par laga kar wipes off her tears & nods in a nods.. khushi just looks at him with her num eyes and then hugs him again tightly…. Raj keeps calming her down…. & then separates her wipes her tears & then starts saying :- are..pagli… tum ro kyun rahi ho ?? bas kuch dino ki baat hain na phir hum dono ki shaddi ho jayegi aur hum hamesha ke liye ek ho jayenge…. Aur tum ho kii ro rahi ho….
Khushi raj ke is baat par ek chotta sa smile dethi hain aur kehthi hain :- raj tumse kuch pal ki doori bhi mujhe kaatne ko daudthi hain… aur tum keh rahe ho ki sirf kuch din hain humari shaddi mein… tum nahi jaanthe raj woh ek ek pal jab main tumse durr rehthi hoon meri kya haalat hothi hain… aur upar se hum ab kuch dino ke liye mil nahi sakthe…. Ya phir main yun kahoon ki hum agle gyarah din mil nahi sakthe… kyunke humari shaddi ke saare functions tho khatam ho hi chuke hain… ab bas woh grand final event shaddi bachcha hain…. Aur iska matlab yeh hua ki yeh agle gyarah din main tumhe roz ki tarah dekh nahi sakthi… aur yeh baat mujhse bardhast nahii ho rahi hain…… tum samaj rahe ho na raj main tumse kya kehne ki koshish kar rahi hoon…. She looks at raj.. who is listening to her very intently….
Raj:- khushi main samaj bhi raha hoon aur mehsoos bhi kar raha hoon ki tum kya kehna chah rahi ho… tum kya sochthi ho khushi mujhe humari judaai se takleef nahi hothi… mujhe takleef hothi hain… mujhe bhi tumse durr hokar koi bhi khushi nahi hothi…. Kyunke meri khushi tho sirf aur sirf tum hi ho…. Tum jaanthi ho khushi main har din , har pal ginthe rehtha hoon jab tum mere saath nahi hothi ho…. Main itna bechain ho jaatha hoon ki kya karoon kya na karoon kuch bhi samaj mein hi nahi aatha… ab rahi baat in agle gyarah dino ki durii ki tho yeh waqt main kaise bitaoonga yeh tho main bhi nahi jaantha… lekin haan ek baat hain… main yeh durri , yeh judaai sehne ko taiyaar hoon…..
Khushi :- kya matlab hain tumhara ???
Raj :- matlab bilkul saaf aur seedha hain khushi… kii agar main aur tum in gyarah dino ke liye nahi mile tho barwe din hum dono ki shaddi ho jayegi… aur uske liye main yeh kuch dino ki judaai sehne ko taiyaar hoon kyunke barwe din se tum har pal , har kadam pe mere saath hogi , mere saath chalogi… aur mera saath dogi.. tho us hamesha ke saath ko pane ke liye mere hisaab se tho yeh kuch dino ki durri zyada mayine nahi rakhthi…. Kyun khushi tum kya kehthi ho… is bare mein…. { he catches khushi by her shoulders.. looks at her with all the love & concern….}
Khushi looks at him & says :- shayad main samaj rahi hoon raj tum mujhse kya kehna chah rahe ho… aur mujhe lagtha hain ki shayad tum sahi bhi ho… in kuch dino ki durri ke baad koi bhi hummein chahkar bhi alag nahi kar saktha…. Lekin kya karoon raj roz tumhari itni aadat ho gayi hain ki yeh durri ab bardhash karne ke bahar hain…. Tumse mein ek baat kahoon raj ??
Raj :- haan kaho…. Aur tumhe yun permission leke mujhse baatein batani ki zaroorat kyun pad gayi… tum jab chaho , joh chaho mujhse keh sakthi ho… tumhe meri izzazat ki zaroorat nahi… samjhi….
Khushi :- {khushi holds her ears & says } haan haan.. samaj gayi..
Raj :- achcha ab bolo tum mujhse kya kehna chahthi ho ???
Khushi :- actually raj main tumse yeh kehna chahthi thi ki tum hi ne meri aadat bighad ke rakhi hain…
Raj :- maine… kaise…. Main kuch samjha nahi…
Khushi :- main samjhathi hoon….itne confused mat ho… tumne is tarah se meri aadtein bighadi hain jaise tum meri har farmaish poori karthe ho… tum mere bina kuch kahe hi meri dil ki baton ko samaj jaathe ho….
Kayi baar tho aisa hotha hain ki mere kuch kehne se pehle hi tum meri har zaroorat , har chah poori kar dethe ho… aur aise karke tumne meri aadat bighad diya hain… aur isliye shayad agar tum mere saath kuch palo ke liye bhi nahi hothe ho tho main apne aap ko bohat bebas , bohat majboor mehsoos karthi hoon…. Tum saath nahi hothe ho tho na jaane mujhe kya ho jaatha hain… aur yeh sab sirf aur sirf tumhari hi wajah se hain…. Saying this she hits raj on his arm….
Raj :- are wah .. kya baat hain… ab saari ghalthi meri hogayi…. Tumhara tho jawaab nahii khushi… achcha chalo maine maan liya ki maine tumhari aadat bighadi hain lekin tum joh mere saath karthi ho… uska kya ??
Khushi :- main kya karthi hoon… main tho kuch bhi nahi karthi…
Raj :- haan haan tum tho kabhi kuch bhi nahi karthi… tum jaanna chahthi ho ki tum kya karthi ho…..
Khushi :- haan… main jaanna chahthi hoon…
Raj :- tho theek hain suno… tum mujhse durr ho kar mujhe har pal yaad aathi ho… raato ko sone nahi dethi… jab bhi akela hotha hoon ya phir dusro ke saath hotha hoon tho tum mujhe har pal , har jagah nazar aathi ho…. Raato ko khwaabo mein aake mujhe satathi rehthi ho… office mein jab akela hotha hoon tho tab yaad aathi ho… aisa ek bhi pal nahii jab main tumhari yaado se ghera nahi hotha… tum hamesha mere sar par sawaar hothi hoon… main chah kar bhi tumhe bhoola nahi pata… ab tum bolo kya yeh tumhari ghalthi nahii hain..
Khushi {smiles cheekily & says }:- nahi… mujhe tho nahi lagtha ki ismein meri ghalthi hain… balki main tho yeh kahoongi ki main hoon hi itni khoobsurat ki koi bhi mujhe apni zehan se chah kar bhi nikaal nahi paayega… { saying this khushi laughs }
Raj :- achcha tho tumhe lagtha hain ki tum bohat khoobsurat ho ?? kyun ??
Khushi :- haan mujhse tho lagtha hain ki main hoon bohat khoobsurat… kyun tumhe nahi lagtha ki main khoobsurat ho ??
Raj :- khushi dekho bas nazro ka farq hotha hain… kuch logo ke dekhne par nirbhar hotha hain ki tum khoobsurat ho yaa phir na ho… waise agar chaho tho hum dono ki nazro ka farq hi dekh lo….
Khushi :- main samjhi nahi.. hum dono ke nazro mein kya farq hain….
Raj :- humari dono ke narzo mein yeh farq hain ki tumhare hisaab se tho tum khoobsurat lagthi ho.. magar mere hisaab se kahoon tho tum aisi lagthi ho jaise aasmaan se uthri hui ek pari…. Tumhe dekhkar mujhe aisa lagtha hain ki tum mere khwabo , khayalo se nikal kar mere saamne khadi ho…. Tum mere liye khoobsurat nahi bohat bohat zyada khoobsurat ho… tum mere liye anmol ho… tum mere liye Bhagwaan ka diya gaya woh
Tofha ho joh mere liye priceless hain… main kabhi bhi nahi chahoonga ki chahe kuch ho jaye zindagi mein par kissi mein modh par humari raahein alag ho jaye… agar zindagi mein kabhi aisa modh aaya ki hum dono alag ho gaye tho main jee nahi paaonga… mar jaaoonga tumhare bina…
Khushi raj ke mooh se yeh baat sunthe hi uske mooh pe apna haath rakhthi hain..covering his mouth aur apna head no ke direction mein hilathi hain…. & then she says :- raj tum aisi baatein kyun karthe ho…. Tum jaanthe ho na ki tumse kuch palo ki durri mujhse sehen nahi hothi aur tum ho kii marne ki baat kar rahe ho… dekho raj agli baar agar tumne aisa kuch kiya tho main tumse kabhi baat nahi karoongi… sach keh rahi hoon… yeh baat kehkar khushi turns to the other side…. Ab raj catches her shoulder & turns her back to face him.. & says :- are khushi aisi sazaa mat do.. tum mujhse baat nahi karogi tho main jee nahi paaunga….
Khushi :- raj tumne phir se wohi baat kii..
Raj :- sorry sorry.. ghalthi ho gayi… pukka main agli baar aisa kuch nahi kahoonga….
Khushi :- pukka promise ???
Raj :- haan baba pukka promise aur main kabhi apne promise nahi thodoonga… ab khush ??? chalo give me a smile…
Khushi looks at raj gives him a smile & says :- khush nahi bohat khush…
Raj :- waise khushi main bhi tumse ek wadaa chahtha hoon…
Khushi :- aur woh kya ???
Raj :- woh yeh khushi ki main chahtha hoon ki tum mujhse wadaa karo ki tum zindagi ke kissi bhi modh par mujhe akele chod ke nahi jaogi… tum hamesha mere saath rahogi…..
Khushi :- raj yeh kaisa wadaa hain.. main tho hamesha se hi tumhari hi thi aur tumhari hi rahoongi na.. isliye is wade ka koi matlab hi nahi bantha….
Raj :- nahi khushi main phir bhi chahtha hoon ki tum mujhse yeh wadaa karo.. main jaantha hoon tum mera saath kabhi nahi chodogi phir bhi mujhse wadaa karo khushi…. Raj extends his palm forward…. Khushi smiles aur dheere se apna haath raj ke haath ke upar rakhthi hain aur kehthi hain :- main wadaa karthi hoon raj ki main tumhare jeevan ke safar mein tumhari humsafar banke chaloongi… tumhara saath har pal doongi… meri jaan tho pehle se hi tumhare haath mein thi… lo aaj main tumhe apni zindagi soumpthi hoon… meri har sas , har dhadkan maine tumhare naam kar di raj….
Raj looks at khushi then looks at khushi's hand which is on his hand he catches hold of her fingers with his points it out to khushi & says :- aur main wadaa kartha hoon ki is saath ko {pointing to the hand } main kabhi bhi chootne nahi doonga…..
Khushi looks at raj & then goes off into his arms…. Dono hi ek dusare ki duniya mein khoye hue hain jab peeche se ek awaaz aathi hain :- ahem ahem….
Raj , khushi turn around to see that veer is standing in front of them…
Veer :- lagtha hain maine do love birds ko disturb kiya kyun ??? { he has a naughty smile on his face }
Khushi feels shy jab ki raj is embarrassed & both raj & khushi try to avoid the matter..
Aur raj to divert the topic kehtha hain :- veer tu yahaan kya kar raha hain..
Veer :- kyun mujhe nahi aana chahiye tha na… wrong timing pe entry hogayi kya meri…. {he says this mischievously}
Khushi ab raj ke kuch kadam aage khadi hui hain.. that is she is standing between raj & veer…
Veer says :- dekho raj agar tum chahthe ho ki main chala jaun tho bata de mujhe main chala jaunga… kyun khushi jaun kya main….
Khushi blushes even more & says :- veerrrrrrr……..
Veer :- kya veer.. main sach keh raha hoon… waise bhi mera koi irada nahi ki main do pyaar mein dhube hue logo ko disturb karoon.. {yeh kehke veer winks at them }
Raj :- veer tu abhi in sab baato ko nahi samjega.. tujhe yeh baat tab patah chali jab teri shaddi hone ko ho.. aur aisi haalat ho ki shaddi ke din thak tum apne dulhan se mil nahi sakthe.. {while saying all this raj keeps moving closer to khushi aur uske waist par apna haath rakhtha hain aur uske shoulder par apna sar & continues saying khushi is surprised & blushing even more she is all pink over her face….} tum tab thak yeh baat bilkul bhi nahi samaj sakthe ki in kuch dino ki durri mein phase logo ki kya haalat hothi hain… samjhe……
Veer :- haan main tho poori tarah se samaj gaya… theek hain ab main chaltha hoon tum dono apna romance continue karo… main tum dono ke beech aur thodi dhair kawaab mein hadi banke raha na tho mujhe yakeen hain ki tum dono mujhe kachcha chaba jaoge… aur khass kar ki tum raj mujhe kachcha chaba jaoge…. Main tho chala…
Raj :- haan haan jaa… aur koshish karna ki yahaan dubara na aa….
Veer :- haan haan nahi aaunga… agar chilla chilla ke bhi mujhe bulaoge tab bhi main nahi aaonga…
Raj :- haan theek hain mat aa ab jao yahan se….
Veer :- haan jaa raha hoon.. [ phir veer walks back to the house ]
Abhi raj is holding khushi by her waist….
Now khushi moves away from his grip , gives him a stern look and says :- yeh kya tha raj ???
Raj :- kya kya tha ??
Khushi :- yeh joh tum kar rahe the veer ke saamne.... {referring to his hugging her from behind }
Raj :- {makes a inncocent face & says } achcha tho woh kuch nahi tha bas main apni hone waali biwi pe pyaar jatha raha tha….. khushi yeh baat sunkar sharma jaathi hain & she bends her head down….
Raj just holds up khushi's chin makes her look up & says :- hye… is sharam..is ada…is haya… par tho ek gaana gaane ko jee kartha hain " mar jawa mit jawa mar jawa ishq mein dil kya jaan bhi naam tere kar jawa kar jawa jawa…." Kyun khushi kaisa laga mera ganna…..
Khushi ab aur bhi Sharma jaathi hain… aur raj apni baahein pehlaatha hain hain & khushi comes into his arms hugging him tightly….
Then raj ka phone bajtha hain & he & khushi separate & raj answers the call…..
Raj :- hello…
Bouji :- raj puttar…
Raj :- jee bouji boliye…..
Bouji :- oye..khotiya… kahaan hain tu ab thak ghar nahi aaya…office mein hain kya ab thak ???
Raj :- nahi bouji main office mein nahi hoon… khushi ke saath hoon.. usse ghar chodne aaya tha…
Bouji :- {chidathe hue } oh…tho yeh baat hain… tum apni hone waali biwi ke saath kuch waqt bita rahe ho…. Koi baat nahi… main phir call karke disturb nahi karoonga…. Bouji saying this he starts giggling…..
Raj :- kya bouji aap bhi… {thoda sharmatha hain}
Bouji :- chal ab sharmana band kar…. Khushi ko bol dena ki woh apna khayal rakhe… main ab phone rakhtha hoon… tu bhi yahaan jaldi aajaa…
Raj :- jee bouji….
After that raj cuts the call… he looks at khushi & says :- achcha khushi ab main chaltha hoon isse pehle ki har koi hum dono ko dhoondthe dhoondthe yahaan pe aajaye…. You take care… hum aaj se barwe din pe milenge… byee…. Raj goes close to her catches her face & then kissed her fore head….
Khushi :- bye raj…. Tum bhi apna khayal rakhna… aur koshish karna ki mujhe zyada miss na karo….
Raj :- koshish karoonga….. & gives a weak smile….
Khushi starts walking towards her house… raj keeps looking at her having a sad smile on his face.. slowly raj turns around & starts moving towards his car…. He keeps walking.. ab suddenly khushi wahaan daudi daudi aathi hain & stands in front of her….
Raj is surprised & asks khushi :- kya hua khushi ?? tum is tarah bhaag kar kyun aayi….
Khushi :- woh raj main kuch bhool gayi ???
Raj :- {confused} kya ??
Khushi :- woh actually main yeh bhool gayi thi… {she stops & again says } yeh bhool gayi thi….
Raj :- kya bhool gayi thi… agge bhi tho bolo…
Khushi :- raj woh darasal main yeh bhool gayi thi…. She quickly goes near raj gives him a peck on his cheeks & runs away…. Raj keeps standing there surprised he turns around… & sees khushi running back to her house…… raj keeps waiting for khushi to turn atleast once so that he has a glimpse of her & then he cannot see her for 11 long days… & then raj's wait does not go waste… khushi finally turns around… she gives raj the sweetest smile ever… raj bhi smile kartha hain… khushi waves bye to him & leaves… even raj turns around he goes to his car with the happy memories of khushi's smile , khushi's kiss…. & he starts driving…. While on the other side khushi enters her house , her room with memories of raj surronding her... both raj & khushi get a smile on their faces thinking about each other….
Ek taraf joh raj , aur khushi ki khushi phoole nahi sama rahi thi…. Wahii dusari taraf koi tha joh in dono ki saari khushiyaan cheen lena chahtha tha…. Undono ko alag kar dena chahtha tha…. Aur woh thi Tanya…. Joh ab bhi bade ghusse mein thi kyunke woh raj ko kissi bhi keemat par haasil karna chahthi thi… aur Tanya se yeh baat bardhast nahi ho rahi thi ki raj kissi aur se pyaar kartha hain… kissi aur ka hone jaa raha hain… Tanya ghusse se aag babula hoye jaa rahi thi…. Ab issi douraan woh apna cell nikalthi hain & dials a number… the phone starts ringing on the other side…. Tanya is getting restless ki woh phone nahi utta raha hain…. Then on the other side jahaan phone bajthe jaa raha hain we see a man sleeping on the bed covered with the blanket…. He is getting irritated by the constant ringing of the phone…. He just covers his face with the blanket… par ab bhi the cell continuosly keeps ringing….. finally the man gets up….. {we still cannot see his face} he picks up the call…..
The man :- hello….
Tanya :- where the hell were you …. ?? main kabse aapka phone try kar rahi hoon… lekin aap hain kii phone utta hi nahi rahe hain……
The man in a sleepy voice :- hey..Tanya…. kya hua… tumne ab mujhe call kyun kiya… yahaan main itni ghehri neend mein tha…
Tanya :- tho aap wahaan neend mein mast hokar so rahe hain… aur aapki chotti behen ke yahaan hosh ude hue hain.. aankhon mein neend naam ki koi cheez nahi…
The man :- {gets alert } Tanya kya hua koi problem ho gaya hain kya….
Tanya :- problem nahi bhai bohat bada problem….
The man :- batao mujhe kya hua hain ?? tum itni pareshaan kyun ho ??
Tanya :- bhai aap raj ko jaanthe ho na…. Jisse main wapas India aakar shaddi ke liye propose karne waali thi…
The man :- haan main jaantha hoon… kya usne tumhe reject kar diya hain…
Tanya :- haan bhai he rejected me….. he rejected Tanya oberoi….she yells…
The man :- itna chilla kyun rahi ho… agar usne reject kiya hain tho usse apni taraf attract karo… yeh kya baat hui itni chotti si baat ke liye tumne meri neend kharab kar dii… he yawns….
Tanya :- bhai aap samaj nahi rahe ho… problem yeh kya ki raj yahaan koi aur ladki kya naam tha uska haan khushi ko apna dil de baita hain… aur woh dono agle gyarah dino ke baad shaddi kar rahe hain…
The man :- yeh tum kya keh rahi ho ???
Tanya :- haan bhai…. and then khushi narrates to him what all happened later in the afternoon her meeting khushi , she humiliating khushi , phir raj supporting khushi , telling her that khushi would be his wedded wife soon… then raj rejecting her & all.. Tanya yeh saari baatein kehkar rone lagthi hain…..
Tab the man says :- Tanya tum fikhar mat karo… main wahaan aa raha hoon…. Main tumse wadaa kartha hoon ki raj aur khushi ko main kissi bhi keemat par alag karke rahoonga… jin logo ne meri behen ko rulaya main kasam khatha hoon ki main unhe khoon ke aasoo rulaunga… main wahaan jald se jald pohanchne ki koshish karoonga… tab thak tum wahaan saari cheezein sambhal lena…
Tanya :- dekho bhai… main aapse tab baat karoongi jab aap raj aur khushi ko alag kar denge… aur tab thak aap mere saath koi contact nahi rakhiye…… lekin bhai raj aur khushi ki shaddi kissi bhi keemat par nahi honi chahiye….
The man :- nahi hogi… main wahaan aane ke baad tumse miltha hoon… aur haan Tanya piyush oberoi joh kehtha hain woh karke dikhatha hain… ab tum dekhna ki main un dono ko kiss hadh thak tadpatha hoon….
{so the man is piyush played by rohit bhakshi a.k.a piyush of kth}
Tanya :- bhai main aapse tab thak koi baat nahi karoongi jab thak aap yahaan aa nahi jaathe.. aur raj , khushi ki shaddi rukh nahi jaathi…..{ saying this Tanya slams the phone or rather cuts off the line } yahaan piyush phone ko dekhkar pareshaan ho jaatha hain…. & then tells to himself :- yeh Tanya bhi na bilkul pagal hain… lekin ab uske pagalpan ka hal tho dhoondna hi padega warna woh mujhe pagal kar dalegi…. Aur is pagalpan ka ek hi hal hain raj aur khushi ke rishthe ka tootna… aur raj ka tanya ke pass jaana… chalo piyush ab jitni jaldi ho sake nikal pado apni behen ke pass… uska zidd poora karne ke liye… isse pehle ki woh kuch ulta-seedha kar baite…
Now piyush kuch logo ko call kartha hain… for a flight ticket to Mumbai… then to Shimla….. par woh jisko bhi call kartha hain sabhi usse yahii keh rahe hothe hain ki as it is the holiday season saare flights book ho chuke hain… piyush is pareshaan as he does not understand what to do.. he tries contacting tanya par uska bhi number off aa raha tha… aur uske ghar ka phone bhi jaan bhoojkar side mein laga diya hotha hain… piyush is very damn tensed… din guzarthe chale jaathe hain… piyush keeps trying for a ticket every day par roz uske haatho sirf aur sirf nakamiyabi hi aathi hain…
ek taraf jahaan piyush ka yeh haal tha , dusari taraf raj , khushi dono hi apni zindagi mein kadam rakhne wali nayi khushiyo ka besabri se intezaar kar rahe hothe hain… raj , khushi dono hi ek dusare se roz lagataar kayi ghante baat kar the hain…. Aisa karthe karthe unhe apni durri ka ehsaas bhi kum hothe hue nazar aatha hain….. ek aur Tanya ka yeh haal hotha hain ki woh har din , har pal , har guzarthe lamhe ke saath aur bhi zyada restless ho rahi hothi hain.. aur piyush ka intezaar kar rahi hothi hain… piyush ka intezaar usse khal raha tha… usse ghussa dila raha hotha hain…
days were passing by….today was the tenth day bas aur do dino mein raj aur khushi ki shaddi ho jayegi…. Piyush is very restless…. Ab thak uska tanya se koi contact nahi ho paya hain… as tanya ne ab thak apne phone on nahi kiya hain… finally on this day piyush gets a ticket back to India… woh apna saaman pack kar letha hain aur dauda dauda airport jaatha hain & boards the flight to India… flight agle din {I mean the 11th day evening.} Mumbai mein land karthi hain…. Piyush comes out of the airport with his luggage.. & then he says to himself :- ab main dekhtha hoon ki raj , aur khushi ki shaddi kaise hothi hain… ab tho kissi bhi keemat mein un dono ki shaddi nahi hogi… saying this piyush puts on his cooling-glass..calls for a taxi & then leaves…piyush then decides ki as he has a jet-lag he would go to Shimla the next morning & he also plans for something to spoil the marriage.. he decides that he will go to Shimla the next morning by road…. Yeh tho hui piyush ki baat… ab zara dekhthe hain ki humari rishthe mein judne wali jodi ki kya haalat hain….
Raj is sitting in his room & he is counting each & every minute as it is passing by… he is very excited kyunke aur bas choubees ghanto ke andar khushi uski ho jayegi… he was extremely happy… aur ab he calls khushi….
Khushi picks up his call & says :- haan..raj…bolo kya baat hain…
Raj :- are wah…na koi na koi hello… tum tho seedhe seedhe is sawaal pe uthar aayi ki main phone kyun kiya ??? wah… kya zamana aagaya hain… bhalayi ka tho zamana hi nahi raha…. Chalo bhalayi ka nahi tho tum pyaar se yeh tho pooch sakthi ho na ki main kaisa hoon ?? kya kar raha hoon….
Khushi giggles & says :- achcha mujhe shama kar dejiye mere hone wale pati-dev…aur ab batayiye ki mere hone wale pati-dev ko meri yaad kaise aagayi……
Raj :- woh darasal baat yeh hain meri hone wali priy dharma patni jee ki yeh raj garewal yaani ki aapke hone wale pati-dev apni hone wali patni yaani tumhe bohat miss kar rahe the.. isliye maine socha ki tumse thodi guftagu kar loon…
Khushi :- raj tum apni harkato se baaz nahi aaoge kya… ab tum chup ho jao aur phone…..
Raj :- kyunnnnnnnnnnnn…..main phone kyun rakhoon….
Khushi :- raj dekho mujhe bohat kaam hain… kal ke liye apni jewelry , kapde sab mujhe nikal ke rakhna hoga….. aur waise bhi main bohat tired hoon kyunke abhi kuch dhair pehle yahaan par mehndi ka function khatam hua…
Raj :- ohh… tho kya tumhare haatho mein meri naam ki mehndi lag chuki hain…
Khushi just looks at her hand & then says :- haan tumhare naam ki mehndi mere haatho mein lag chuki hain…. Ab tum phone rakho bye…
Raj :- khushi main phone nahi rakh raha hoon… ab tum mujhe batao ki tumhare haatho mein mere pyaar ka rang kaisa chada hain…
Khushi sharama jaathi hain , phir se apne haatho ho dekhthi hain jispe mehndi ka rang bada dark hotha hain & she says :- tumhare pyaar ka rang bada ghehra chada hain mere haatho mein…. Bilkul tumhare pyaar ki tarah…
Raj :- tum kaise keh sakthi ho ki mere pyaar ka rang ghehra hain…
Khushi :- main aisa keh sakthi hoon kyunke kehthe hain ki ek ladki ki mehndi jitni ghehri , jitni dark hothi hain uska hone wala pati usse utna zyada pyaar kartha hain… aur meri mehndi ka rang dekhkar mujhe yakeen hogaya ki tum mujhse kitna pyaar karthe ho ???
Raj :- kyun mehndi ke rang ko dekhne se pehle kya yakeen nahi tha mere pyaar par…
Khushi :- well yeh tho sochne waali baat hain.. {she says teasingly }
Raj :- khushi.. jao main tumse baat nahi kar raha hain….
Khushi :- Thank..God…. main bach gayi……
Raj :- aur main tumse shaddi bhi nahi kar raha hoon ??? kal mandap mein bhi nahi aaunga…….
Khushi darr jaathi hain aur kehthi hain :- raj… khabardhaar joh tumne kaha ki tum mujhse shaddi nahi karoge… main jee nahi paungi…. Aur main tho us mehndi ke baat par sirf mazaak kar rahi thi.. agar mere mehndi ka rang ghehra bhi nahi hotha na tho bhi mujhe patah hain ki tum mujhe kiss hadh thak chahthe ho….Tumhare pyaar ko saabit karne ke liye mujhe is mehndi ki rang ki zaroorat nahi… bas wohi rang kaafi hain joh tum mere zindagi mein le aaye ho…. Lekin waise yeh mehndi ka rang dekhkar mujhe tumhare pyaar ki ghehrayi ka andaza ho gaya..samjhe…ab phir kabhi yeh na kehna ki tum mujhse shaddi nahi karoge…. You don't know what you mean to me… you are more than my life to me…..
Raj :- haan khushi main samaj gaya… main dubara kabhi aisi baat nahi karoonga….
Khushi :- ab raj agar tumhari baatein ho gayi ho tho kya main phone rakh sakthi hoon…
Raj :- are khushi..aur thodi dhair mujhse baat kar lo na….pleaseeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee
Khushi :- raj yeh kya…tum toh bachcho ki tarah zidd karne lag gaye… common raj mujhe yahaan bohat saara kaam hain… anjali , kripa aur jiji bhi mujhe tabse bulayi jaa rahi hain…..
Raj :- khushi bas paanch minute baat karlo na mujhse… aur tum anjali , kripa aur bhabhie se kehna ki tum apne hone wale pati-dev se baat karne mein zara sa busy ho isliye woh tumhe yun baar baar bulake disturb na kare…
Khushi :- raj… please meri khatir ab phone rakho na… waise bhi kal shaam ko humari shaddi hain…. Bas ek din ka hi tho intezaar hain…
Raj :- khushi ek din nahi ab aur choubees ghante baaki hain… aur mere liye yahaan ek ek pal kaatna mushkhil ho raha hain na jane yeh chobees ghante kaise beetenge… {he sulks }
Khushi :- {bada pyaar se kehthi hain} please raj meri khathir phone rakh do na…..
Raj finally gives up & says :- ab itne pyaar se kahogi tho main tumhari baat ko kaise taal saktha hoon.. achcha main ab phone rakhtha hoon… tum apna khayal rakhna… kal milenge… aur tum hamesha ke liye meri ho jaogi…..
Khushi :- haan… mujhe bhi kal ka badi besabri se intezaar hain…. Tum bhi apna khayal rakhna… byee….
Raj :- bye….
Khushi is about to cut the call & then apne kaam karne ko jaa hi rahi hothi hain…. Jab uska cell wapas bajtha hain….. khushi sees that raj is calling… she picks up the call & says :- ab kya hain raj ?? tumne wapas call kyun kiya ???
Raj :- woh actually khushi main ek baat tho tumhe batana hi bhool gaya…
Khushi :- aur woh kya ???
Raj jaldi se khushi ko I love you bolke phone rakh detha hain….
Khushi just smiles hits the cell on her head & says :- pagal… then khushi carries on with her work… while raj bhi apne khayalo mein hotha hain…. Ab agli subah bhi ho jaathi hain… it is most special day in the lifes of both raj & khushi.. it is the day of their marriage finally….
Poore din dono gharo mein chehal pehal hothi hain all were busy in their own work…. Raj , khushi ki excitement har gurzarthe lamhe ke saath bad rahi hothi hain…..
{guys a note issi din anjali-kavya , angad –kripa ki bhi shaddi hone waali hain}
dusari taraf piyush is traveling by road to Mumbai.. he is already late kyunke woh subah late utta…. He is driving very fast to reach Shimla as soon as possible… but luck does not favour him… uski gaadi beech raasthe mein band pad jaathi hain , kharab ho jaathi hain… he does not find a garage… nor koi usse lift offer kar raha hotha hain…. Piyush keeps waiting on the road almost till evening woh bas Shimla ki taraf ka apna aadha hi rastha cover kar paaya hotha hain…. Then shaam thak wait karthe karthe usse koi lift offer karthe hain & his journey to Shimla starts again…
ab shaam ka waqt aa jaatha hain…… aur shaddi ka waqt bhi kareeb aajaatha hain…
here khushi is in her house all her helping her to get ready & even they are getting ready……. .
raj along with the other two dulhas & his family has arrived.. all are very excited that the baraat has come. Khushi is very damn nervous & khushi , anjali & kripa are teasing each other… woh log ek dusare ki taang keench rahe hothe hain….
Raj comes & sits in the mandap.. while angad & kavya also go & sit in the mandap decorated for them…. then the pandit starts the rituals & then says them it is time to bring the brides…... prerna & other girls go up to bring khushi , kripa & anjali…. The guys hear a gush of noise & then the three guys look up & they see that their soon to be wifes are getting down the stairs looking mesmerizing in their attires… walking down the stairs…. {I'll won't explain in detail angad & kavya's reaction tho chaliye nazar raj pe daalthe hain}
raj was totally amazed to see khushi in the shaddi ka joda.
khushi was wearing a blood reddish sharrara heavily
embroided with gold thread and sequins. Her head was covered with a netted duppatta with zardosi work along border, she was wearing matching jewellery and with a lot of red bangles on her hand & other accessories. Khushi is seated beside raj on the mandap..
kripa beside angad & anjali beside kavya were seated….
Khushi did not look anywhere but she kept her looks straight at the agni…and thinks if shes dreaming, of whether its for real that her dream has come true…the rituals started . There was silence in the room as the pandit recited the rituals . the ghat bandhan is done & then the pandit asked for the prerna to come & perform the kanyadaan and give the bride away{ I mean do the kanyadaan } . prerna came forward & gave khushi's hand to raj's and did the kanyadaan…. In the same way kripa & anjali's parents also came & performed the kanyadaan…..Now the pandit asked them to stand for the pheras.. the pheras start both raj , khushi take silent vows to keep the other one happy at any cost…raj & khushi again sit down after the pheras …. Raj ties the
mangalsutra around khushi's neck , then takes the sindoor & puts it on khushi's maang { fore head }
{ well guys every body claps they have got married }….
Even angad-kripa , anjali-kavya ki shaddi bhi sampan ho jaathi hain….
Now they all get up & take aashirwad from all the elders . all are very over whelmed …. All are very happy…… anjali , kavya , raj , khushi , angad , kripa ek corner mein baitkar baat kar rahe hothe hain.. jab wahaan piyush aatha hain….. seeing the situation and all he realizes ki shaddi ho chuki hain…. He sees ki jis mandap mein raj aur khushi ki shaddi hui thi.. jis agni ke unhone pherre liye the… woh agni abhi jal rahi hothi hain… { now you may get a doubt ki how does piyush know ki raj , khushi ki shaddi wahaan hui thi.. well simple sa logic hain har mandap mein it is been decorated with a heart shape thermocol jispe unka naam likha hain.. tho jahaan raj , khushi ka naam likha hain wahaan woh agni jal rahi hain}
Piyush wahaan us agni ko dekhtha hain..aur phir raj , khushi ko joh ki angad , kripa , anjali , kavya aur veer ke saath milkar has bol rahe the…. Piyush ko us agni ko dekhkar aisa lagtha hain ki uski behen Tanya ki saari khushiyaan us aag mein jalkar basm hue jaa rahi thi… he was not understanding how he will face his sister… how will he tell her ki woh kuch nahi kar paya shaddi ko rokhne ke liye… he feels ki uski behen usse kabhi maaf nahi karegi…. He alsol feels that his sister may act frantic… he thinks ki woh tho pagal hi ho jayegi… he starts getting worried about tanya's state & runs out & takes his car & drives towards taniya's
Home….
Ab yahaan shaadi ke mandap mein bidaii ka waqt aatha hain… all the three girls hug veer & cry… khushi ke aasoo raj ke dil ko hazaar tukdo mein cheer rahe hothe hain…. She was happy that usne apne kadam ek nayi duniyaan mein rakha hain lekin is khushi ke saath saath usse uske bhai se bichadne ka ghum bhi tha…. Kripa aur anjali ka bhi haal kuch aisa hi tha…. Phir atlast the three couples get seated in their respective cars , theen alag alag cars…. While the driver is there to drive…..
Raj & khushi are seated behind… khushi ki aankhein ab bhi zara sa num hothi hain… tab raj kehtha hain :- ab theek ho….
Khushi looks at him with that bheegi hui palkein & says :- haan… {very sadly}
Raj apne pocket se ek kerchief nikaltha hain aur khushi ko ishara kartha hain ki woh apne aasoo pohanch le….
Khushi just take the kerchief & wipes of the tears & says :- thanks…..
Raj :- thanks kiss liye ??
Khushi :- isliye kyunke tum mujhe mujhse behtar samajthe ho…pechaanthe ho….
Raj smiles & says :- main tumhe samajtha nahi hoon main tumhe jeeta hoon kyunke tum meri zindagi ho.. aur tumse hi meri saari khushiyaan judi hui hain….
Khushi raj ke is baat par halka sa smile kar dethi hain…. Aur raj kehtha hain :- now that's like my khushi…. Ab chalo mujhe yeh kerchief wapas do main nahi chahtha kii tum isse apne aasuo se aur ghanda karo… he says this & starts laughing….
Khushi hits him on his arm & says :- raj tum kabhi nahi sudhroge…. Hamesha mujhe yun hi tang karthe rahoge….. tum aisa kyun kartha ho ??
Raj :- khushi main tumhe isliye satathe rehtha hoon kyunke tumhe tang karne mein mujhe bada mazaa aatha hain.. jab bhi tum mujhse ghusse se dekhthi ho na dil khush ho jaatha hain….
Yeh tho hui humari jodi ki baat ab dekhthe hain ki Tanya ka kya haal hain….
Tanya is indeed behaving very frantic…. Woh ghar ke har saaman ko thod rahi hai… she is acting like mad & she keeps on yelling :- nahiiiii….aisa nahi ho saktha…. Nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii……. And she continues with her pagalpan….
Meanwhile piyush walks into tanya's home & he is shocked to see all the happenings….. he goes to tanya
& tries to stop her… par tanya was not coming in his control… woh cheezo ko idhar se udhar , udhar se idhar phek rahi thi…. Bhikher rahi thi…. She was acting completely & totally mad…. Ab finally piyush ko kuch samaj nahi aatha aur Tanya ko ek zor daar thamacha maartha hain.. to get her back to her senses…
Tanya does get back to her senses…. Aur woh neeche baitkar rone lagthi hain.. piyush apni behen ko is haalat mein dekh nahi paatha hain aur woh apne aap se yeh wadaa kar letha hain ki woh kissi bhi haal mein , kissi bhi keemat mein raj aur khushi ko ek saath rehne nahi dega….he promises himself ki woh raj aur khushi ki zindagi se unki har khushi , unki har hasne ki wajah unse durr kar dega , unse cheen lega….…
& he keeps comforting Tanya….
Yahaan the three new couples reach home… aur nayi bahuo ka swagat hotha hain…then it is the time to take the bride to their room… aur angad picks kripa , kavya picks anjali & raj picks khushi in his arms & they all head towards their room… while the three dulhans keep shying….well all the new jodas reach their rooms…. Anjali kavya , angad kripa ka kya kahoon aaj woh din tha jab woh ek ho gaye the…. Ab zara nazar humare couple ke kamre ki taraf karthe hain…
Khushi is standing by the window & she is thinking something…. Tab raj uske pass aatha hain he places his hand on her shoulders & says :- kya baat hain khushi ?? pareshaan ho kya ??
Khushi :- {nazre chura ke kehthi hai} nahii raj..aisi koi baat nahii….
Raj :- khushi shayad tum ek baat nahi jaanthi par sach baat tho yeh hain ki main tumhara jhoot pehchaan saktha hoon…. Ab batao mujhe sachchi sachchi tumhe kya baat pareshaan kar rahi hain……..
Khushi :- raj baat darasal yeh hain kkii… khushi stops hesitantly & abruptly……
Raj catches her by the shoulders & says :- khushi bhool jao ki tumhare saamne tumhara pati khada hain… bas yeh sochcho ki tumhare saamne tumhara sabse achcha dost khada hain…. Woh dost jiske saath tumne aaj thak apni saari baatein share kiya hain…. Aur ab mujhe batao baat kya hain……
Raj ki yeh baat khushi ko himmat dethi hain aur woh dheeere se kehthi hain :- raj I'am not ready for a relationship yet…. Raj main jaanthi hoon ki main ghalat hoon par mujhe is naye rishthe mein ek relationship jodne mein thoda sa waqt lagega… main jaanthi hoon ki meri yeh baat bebuniyaad hain par bhi bhi main tumse main yeh baat keh rahi hoon…...
Khushi keeps looking at raj with a tense expression on her face… while raj gets a cute smile on his face after listening to khushi & he says :- bas itni si baat… aur tum yeh baat kehne ke liye itna zyada darr rahi thi…
Khushi looks at raj kind off confused…. Tho then raj says :- khushi you take your own time… hum dono ke beech tab thak koi rishtha nahi judega jab thak tum nahi chahogi… aur tab thak ke liye hum hamesha ki tarah dost banke rahenge….
Khushi looks at him & smiles…. While raj continues saying :- ab tum jao aur change kar lo…. Khushi just passes a smiles & goes to the washroom to change… woh wapas aathi hain.. raj phir goes to the washroom to change… khushi is sitting on the bed , leaning back on the wall…. Raj comes out of the washroom changed… he comes to the bed…starts taking his pillow & blanket… jab khushi usse rokhthi hain aur kehthi hain :- raj tum kahaan jaa rahe ho…
Raj :- {looks at khushi & says} woh main sofa pe sone jaa raha hoon… tum bed par so jaana…
Khushi tries to intervent & says :- lekin raj tum sofe pe kaise……
Raj comes closes to khushi bends down to khushi , places his finger on her lips & says :- shhhhh… maine keh diya na..tum yahaan bed par saogi aur main wahaan sofe par… ab no more arguments….
Khushi dheere se ok kehthi hain…… & then raj goes & settles himself on the sofa…. & khushi settles herself on the bed… both wish each other good night… aur ab dono bhi ek dusare ke khayalo mein khoye hue hothe hain… khushi thinks kii raj dil ka kitna achcha hain.. she thinks he always is there to stand by her , he is there always to support her decisions…. & raj keeps thinking ki khushi kitni masoom hain..kitni sachchi hain….. khushi opens her eyes looks at raj who is sleeping peacefully on the sofa & she smiles to herself.. then she turns to the other side ab raj opens his eyes & sees khushi & her smiles & unknowingly a smile comes off to his lips… raat kaafi dhair thak aise hi chal raha hotha hain kabhi raj khushi ko tho kabhi khushi raj ko dekhe jaa rahe the….
Song In The Background :-
"Gupchup Gupchup Chup Chup oo…
Gupchup Gupchup Chup Chup oo……
Gupchup Gupchup Chup Chup oo…….
Gupchup Gupchup Chup Chup oo……
Do Dill Mil Rahe Hain……..
Magar Chupke Chupke………
Do Dil Mil Rahe Hain……..
Magar Chupke Chupke…….
Sabko Ho Rahi Hain….…
Haan Sabko Ho Rahi Hain….
Khabar Chupke Chupke……..
Do Dil Mil Rahe Hain……
Magar Chupke Chupke……
Saanson Mein Badi Bekaraari……
Aankhon Mein Kai Rat Jage……
Kahin Kabhi Lag Jaaye Dil To…..
Kahin Phir Dil Na Lage……
Apne Dil Mein Zara Thaam Loon….
Jaadu Ka Main Isay Naam Doon…..
Jaadu Kar Raha…….
Jaadu Kar Raha Hai Asar Chupke Chupke…….
Do Dil Mil Rahe Hain…….
Magar Chupke Chupke……..
Aise Bhole Bankar Hai Baithe……
Jaise Koi Baat Nahin……….
Sab Kuchh Nazar Aa Raha Hain……..
Din Hai Yeh Raat Nahin……..
Kya Hai Kuchh Bhi Nahin Hai Agar……
Honthon Pe Hain Khaamoshi Magar……….
Baatein Kar Rahi Hain………..
Baatein Kar Rahi Hain Nazar Chupke Chupke……
Do Dil Mile Rahe Hain…….
Magar Chupke Chupke……..
Kahin Aag Lagne Se Pehle……..
Uthta Hain Aisa Dhuaan………
Jaisa Hain Idhar Ka Nazaara……..
Vaisa Hi Udhar Ka Samaa………
Dil Mein Kaisi Kasak Si Jagi……
Dono jaanib Barabar Lagi……
Dekho To Idhar Se ……
Dekho To Idhar Se Udhar Chupke Chupke……
Do Dil Mile Rahe Hain……
Magar Chupke Chupke……..
Sabko Ho Rahi Hain…..
Haan Sabko Ho Rahi Hain…..
Khabar Chupke Chupke……..
Do Dil Mile Rahe Hain……..
Magar Chupke Chupke…..
Gupchup Gupchup Chup Chup oo……
Gupchup Gupchup Chup Chup oo………
Magar Chupke Chupke…….
Gupchup Gupchup Chup Chup oo……
Gupchup Gupchup Chup Chup oo……
Magar Chupke Chupke……..
Ha Haan Chupke Chupke……"
Guys here ends dil se dil thak part 14… I hope all you enjoyed it to the extent I enjoyed writing it…. Keeping my fingers crossed for comments , compliments & suggestions….
Ab jab raj aur khushi ki shaddi ho hi gayi hain yeh jaanne ke liye ki aage kya hoga ab raj aur khushi ki zindagi itni haseen modh par aake us zindagi ne apna rook kyun badal liya…. Akhir aisi kya baat ho gayi ki raj , khushi aaj alag hain…. Ab piyush kya karega.. tanya apne aap ko kaise sambhalegi… aur waigaira waigaira sawaalo ke jawaab jaanne ke liye wait kijiye dil se dil thak part 15 ka….
Please do send in your comments… they are eagerly awaited……
Guys wish you a
VERY HAPPY NEW YEAR
&
EID MUBARAK
in advance to all of you…. have a rocking time….
Take Care……
Byeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee
Love
Surya… 😳