Big Boss 19: Daily Discussion Thread - Aug 29, 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 29 Aug 2025 EDT
BHAROSA THODNA 28.8
MAIRAs SCHOOL 29.8
Param Sundari opens well
Abhira : The self-respect queen
Aneet and Ahaan on the cover of THR!!
Geetanjali Saree look
Anupamaa 29 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Deepika Ranveer At Ambani Ganpati Festival
Bullying in the first week?
Ijja-jjat hai
Trailer - Do You Wanna Partner - Tamannaah Bhatia Diana Penty
Monsoon Magic Micro-fiction Contest Felicitation Ceremony
Throw back! When katrina did not take 'gentle' gently from Shah!
Unseen bollywood pics
Originally posted by: B3ll3...
I'm back đ
Today is such a lovely day but hella cold đUpdate by tomorrow maybe? đ
Precap: Court Drama.
PART 39
Asads Room
Zoya took Asad to his room and made him sit on the couch. She gave him a glass of water and started to unbutton him as he was sweating a lot. She went to the wardrobe and got new pair of clothes for him. Asad could see that Zoya had taken care not to shuffle or disturb any of his clothes in the wardrobe while taking out his new pair. She extended her hands for him to take but he said "aap khud pehna dijiye" Zoya smiled and made him wear the new pair of his favoutire white kurti. Asad asked while she was putting that kurti though his head "Aapi ka gussa kam hogaya?" Zoya "haan thoda but still she doesn't talk to me" Asad "unhe bohot takleef huyi hai hamare vajah se"
Flashback
Zeenat was about to confront Asad and Zoya with the register she found in Zoyas room that Public Prosecutor came. So Zeenat couldnt do anything but wait for him to go. After he went, she confronted Asad and Zoya. "Yeh sab kya hai?, kya samjoon main isse dekh kar? Bolo Zoya, tumne aaj tak mujse koi bhi baat nahi chupathi thi, tho phir ab kya hua? ab yeh sabse chupakar karne ki kya zaroorat thi, kya hum tumhare aur Asad ke nikah ke khilaaf the kya? Batao Zoya jawab do" Dilshad came outside "kya hua Zeenat subah subah kyun chilla rahi ho" Zeenat "chillaon nahi tho aur kya karoon, dekhiye apke bte aur meri ladli ne kya kiya hai? Kya hum sab mar gaye the kya, ki humko itelah karna bhi zaroori nahi samje" Dilshad looked at what Zeenat was showing, she too was puzzled. "Asad Zoya yeh sab kya hai beta, hume kyun nahi bataya, aur yeh sab aise chupke se" Asad "Ammi vo actually baat yeh hai ki, I wanted to do it" but cut off by Dilshad "what do you mean by I wanted to do it?" kya hum sab iss ghar main nahi the, ki hume batana zaroori nahi samja tum dono ne? Kya nikah ko ek khel samajkar rakha hai kya, aise nikah nahi hota, qasi saab ke galati ki vajah se unhone baki sare kagzaat par hum sabko dasthakhat karne diya, aur mana ki sirf register par sign pending tha, lekin vo bhi sirf tum dono ke sign karne se kuch nahi hota," By this time everybody had come out to see what was happening. Zeenat yelled "kya tum dono ki mohabbat itni kamzor hogayi thi vo ek subah ka intezaar bhi nahi kar saka?" apne parivar ko bhool gaye?" Asad and Zoyas head hung down at her question " Iss register main sirf tum dono ki signature se Nikah mukkamaal nahi hoga, are moulvi saab ka bhi signature chahiye, gavahon ka bhi chahiye, aur aise band kamre ke andhar nahi hota hai, sabke saamne karte hai, char logo ko saamne karte hai, taki phir baad main koi ungli nahi uta sake, tum dono ne tho yeh kaam karkar, sach main hume bohot takleef di hai, hume aisa lag raha hai hum, gair hai, " Zeenat was crying and was wiping her tears held by Dilshad by her shoulders. Dilshad said "aaj humara sar sharm se jhuk gaya hai, muje tum dono se yeh umeed nahi thi"
Zoya looked up with eyes fixed on them. She came towards her Aapi and took her hand in her but Zeenat flinched and jerked it. Neverthless she took it again forcefully and made Zeenat look up to her. "aapi Asad ko please galat mat tehrahiye, unhone yeh sirf mere chehre par khushi lane ke liye kiya tha, and trust me aapi, hum subah apko batane vale the, hum kyun chupayenge, please aapi samjne ki koshish kijiye, uss waqt muje Asad ki aur Asad ko meri saqt zaroorat thi, I mean ek dusre ki saath ki zaroorat thi, phir bhi humne aisa kuh nahi kiya jiski vajah se apko sharminda hona pade. Trust me aapi, main uss waqt bohot zyadaa ro rahi thi, ki Asad ne muje shaant karne ke liye, register aage badya tha, aur maine bhi dil ke haath majboor hokar bina kuch soche samje, register par sign kardiya, agar hamare iss harkat ki wajah se aap ko bohot chot pohunchi hai tho hum maafi chahte hain, par Asad ko galat mat samjiye, unko tho uss raat need hi nahi aarahi thi, pata nahi muje sulakar kab khud sogaye the. Asad ne kuch nahi kiya hai, aapi trust, humne sirf ek dusre se apna dil ka dard banta aur aapi apko pata hai, muje mere abbu ka pata mil chukka hai, unse milna hai yah nahi main iss mushkil main thi, issliye main bohot zyadaa pareshan thi, sirf meri , apki zoya ki khushi ke liye Asad ne yeh sab kiya thaki mere chehre par muskurahat aa sake, hume maaf kar dijiye aapi"
Zeenat looked up to see an emotionally broken Zoya defending Asad. She didnt know what to say because Zoya needed Asad that day very much but still she was not able to overcome the shock which she had got now. So she said "ab jo hogaya so hogaya,hum moulvi saab se baat kar kar aage kya karna hai yeh who tay kar the hai, lekin jab tak moulvi saab ke saamne sare signatures nahi hote, tum yehi rahogi aur Asad tum apne ghar par. Samje" Zoya held her ears with her two hands and said "sorry" but Zeenat turned her head away indicating that she has not yet forgiven them.
Asad was not able to stand and witness how Zoya was taking his side to convince everybody, he realised that they had totally forgotten their family and became extremely selfish in that one moment. The moment which had to be witnessed by the entire family, they stole that happiness from them. Unable to take any more he just limped away to garden area and sat on a bench there. After sometime he felt a hand on his shoulder. He turned back and saw Anwar. "Asad, don't worry, Zeenat ke baton ka bura mat manna, vo aise hi hai, thoda over react kar deti hai." Asad "nahi bhaijaan maine bura nahi mana balki muje khushi hai, ki unhone jo kahan bilkul sach kahan, main janta hoon ki Zoya ka nikah aapi ke liye ek sapna tha, issliye jin palon ko vo sanjondna chahti hai, meri vajah se vo unse cheen gaya, maine galati ki hai, aapi se unki sabse bada pal ko cheen liye maine" Anwar Asad don't be kiddish, Zeenat abhi gussa main hai, lekin jab vo shaant hojayegi, main usse samja doonga, ki baat itni bi badi nahi hai" Asad said "main aur Zoya uss waqt khudgarz hogaye the, apne parivar ko bhool gaye, kya kare, itni muskilon baad hum dono ek hone wale the, ki yeh sab hogaya," Anwar "main jaanta hoon insaan kabhi kabhi halat ka shikar hojata hai, tum dono ne bhi yahi kiya, aur dekhna valima tak Zeenat yeh sab bhool jayegi, main usse bohot ache se jaanta hoon. Vo bolti tho hai, lekin uske dil main kuch nahi rehta hai."
Back to Present
Zoya "hmm, but aap dekhiye meri ruksati main sabse zyadaa vohi royengi" Asad "akhir ek maa ka dil zyadaa der thak bachon se naraz nahi reh sakta" Zoya "kya phoppi bhi" Asad "kuch khaas nahi hai, lekin aajkal mera unke beech batchit bohot kam hota hai, kyunki voh tho Nikhat ko uske naye dancing school kholne ke liye maddat kar rahi hai, yah phir Nuzzat ko padane main busy rehti hai. Najma tho abroad jane ki soch rahi hai, vo bhi higher studies ke liye, baki Ayan Pune main aur Humera ko tum jaanti ho. Main kabhi kabhi usse baat karta hoon, vo Ayan ko bohot miss kar rahi hai," Zoya "main jaanti hoon, agar hum dono ko ek doosre ki zaroorat hai tho phir unke bare main sochiye, vo tho ek dusre ko dekh thak nahi sakte itne door hai, Humera ko sach main ab Ayan ki bohot zaroorat hai, lekin usne khud Ayan ko samjakar bej diya, aap bhi Ayan ko samja nahi paye" Zoya muje mere laptop pass karengi please" Zoya said "No work only rest,abhi abhi aap girne bache hai, itne stress ke baad, ab thoda aram kar lijiye, phir main laptop de doongi, khush" Asad caressed his fingers on her fallen tresses of hair and removed them from her face and tucked it behind her ears and Zoya was sitting on his lap now with her hands around his neck and mutely allowing him to do and then softly said Zoya "sab ke apni apni problems hain, dekhiye sab jald hi teek hojayega, aap fikr mat kijiye aur Allah par bharosa rakhiye" Asad "Inshalllah" Zoya "are dekhiye main tho bhool hi gayi thi main kiss liye ayi thi, kal mera aur Humera ki peshgi hai adalat main, pichle baar jab main adalat gayi thi tho app nahi the mere saath, maine apko bohot miss kiya, lekin iss baar aap ayenge naa" Zoya looked at Asad intently to get an answer. Asad asked "kya apko muje par yakeen hai?" Zoya froze and Asad repeated his question Zoya came out of her frozen state and replied "khud se bhi zyadaa" Asad smiled and held her hands firmly and said "I promise you Zoya kal issi waqt aap aur Humera apne apne ghar par honge vo bhi, paak daman, yeh mera vada hai apse" Zoya puzzled "Asad kya apko kuch pata chala hai?" Asad "jee, lekin details abhi tak nahi mile hai, main uska intezaar kar raha hoon, bas itna samjah lijiye ki kal main adalat main aaon yah na aaon main apke saath hi hoon. Kyunki main tho yahan rehta hoon."(he touches Zoyas heart with his index finger) Zoya blushes and lowers her gaze. He hugs her and she too reciprocates.
Court room, Hiba murder case
The usual court proceedings starts with the arri val of judges and the public prosecutor (some other person as Mr.KD took sick leave) and Anwar as defence lawyer took their seats. Anwar gets a phone call before the proceedings. Akram is brought as eye witness. Dilshad had come along with Nikhat from Khan family and Zeenat with her baby. Razia had to come to the court as she had given the police complaint, Gaffur and Badi bi was missing and that fact was creating fear in Razias mind. She had already told Tanveer to find them. She was literally sitting on fire now putting up a facade on her face. Humera and Zoya were standing and Akram in the opposite witness box . PP asked the regular questions to Akram. Seeing Akram in front of her Zoya eyes were automatically searching for Asad but he had not come. Zoyas face fell. PP asked "Mr. Akram, kya aap iss ladki ko pehle se hi jante hai?" Akram "jee huzoor, yeh ladki ke saath mera nikah honewala tha aur yeh ladki ain waqt par nikah se bhaag gayi, aur jab maine yeh poochne ke liye iss ladki se milna chaha, tho iss ladki ne muj par jhoota case banakar muje sazaa dilvayi, aura b ek apahij ke saath nikah kar rahi hai," Zoya "akram tum poora sach nahi keh rahe ho, main batati hoon sach kya hai and she started to tell that PP interrupted "Mulzim Zoya Farooqui, apse jab poocha jayega tho aap jawab dijiye ga" Zoya had to shut up and she glared at Akram and Akram smirking. Anwar was quietly sitting watching everything. Zoya was looking at Anwar for help, he just signalled with this hand to stay quiet. Seeing him calm and remembering Asads words yesterday Zoya concluded that something big is going to happen. Humera clutched Zoyas hands and Zoya assured her with her eyes.
PP was asking so many questions to him to which Akram was giving ready made answers and finally said to Anwar your witness please. Anwar stood up and adjusted his collar and went upto Akram and started cross examination. Anwar "haan tho batayeye Mr. Akram aap pehle kahan par kaam karte the?" Akram "Dilshad Constructions" Anwar "hmm, vahan kaam karte samay hi Zoya ka nikah apse tay hua tha?" Akram "jee haan, apne hi tho tay kiya tha, phir sawal kyun?" Anwar "Mr. Akram yeh adalat hai aur yahain rishton se badkar sabot ahemiyat rakhte hai, issliye main yehan Zoya ka jiju nahi hoon uska defence lawyer hoon aur iss nate se sawal poochunga" Akram "jee" Anwar "tho Zoya nikah se bhaag gayi thi, aap bata sakte hai kyun bhaag gayi thi?" Akram "Aise firangi ladki aur kya karegi, tameez aur tehzeeb tho iske aas pass bhi nahi hai, varna yeh nikah se kyun bhaag thi" Anwar "kya main yeh kahoon ki aap gunde hai, aur Zoya ko apke asliyat maloom hogayi thi issliye bhaag gayi" Akram "ji nahi yeh jhoot hai, main bohot shareef insaan hoon, apko jhoota information mila hai" PP "Objection My Lord, mera gavah ki character par ungli utaya jaa raha hai, jiska iss case koi taluk nahi hai" Anwar "Taluk hai nahi My Lord, main tho sabooto ki adhar par baat kar raha hoon" Judge "Objection Overruled , Mr. Defence Lawyer, please proceed with your cross examination" Anwar "tho shareef log cinema house ke bahar, cricket stadium ke bahar black main tickets bhechna shareefon ka kaam hai right? Kissike ghar par chori chupe dabe paun aakar, uss ghar ki beti ke saath ched chad karna shareefon ka kaam hai, jhoot bolkar ek ladki ko bulake, usse zabardasti nikah karna shareefon ka kaam hai, aur phir kissi aur se paise lekar adalat maine jhooti gavahi dena bhi shareefon ka kaam hai, right Mr .Akram?" Akram "yeh sab jhoot hai, maine aisa kuch nahi kiya" Anwar clicked his tongue "abhi sabit hojayega ki jhoot kya hai aur sach kya hai" Anwar "pehle aap batayiye ki aapne jis waqt Zoya Farooqui ko yeh qatl karte huye dekha tha vo waqt sahi hai?" Akram looked at Razia and she closed her eyes to signal him "jis cheez ko main ek baar kehta hoon, phir usse nahi badalta, ji yeh waqt sahi hai" Anwar "good , main yahi apke mooh se suna chahta tha, thaki bad main aap baat badalna de" Anwar "ab yeh batayiye, ki aap uss waqt kahan par the jab yeh qatl hua" Akram again looked at Razia. Anwar "yeh aap baarbaar uss taraf kyun dekh rahe hai, kuch hai kya udhar" Akram "ji nahi, main uss waqt...main... uss waqt .." the suddenly "yaad nahi" Anwar "aise kaise Mr. Akram, apko waqt pata hai, tho jagah bhi pata hona chahiye right?" Akram "ji main vo jagah nahi pehchanta kyunki andhera tha" Anwar "oh tho andhere main yeh pehchan liye ki qatl Zoya ne kiya" Akram "jee" Anwar "aap contact lens pehente hai?" Akram "ji nahi" Anwar "lekin laash ke paas se ek contact lens mila hai, aisa police ke report main hai" Akram "ji vo mera nahi hai, aur bhi tho log vahan the, unke honge" Anwar started talking riling up Akram "aur log, aur kon log Mr.Akram, apne police samne bayan diya tha ki aap Zoya aur marhoom Hiba ke alava vahan par koi nahi tha, phir aur kon tha, jahan thak muje pata hai, yeh lens nahi zoya ka hai aur nahi Hiba ka, tho phir apka hi hoga" Akram frustrated "jee nahi , yeh mera nahi hai, main contact lens nahi pehenta hoon , aur uss waqt main vahan tha hi nahi tho main kaise kahoon ki vahan kon log the" Anwar "point to be noted My Lord, Akram ne khud yeh sabit kardiya ki vo jhoot bol raha hai, He was not present there when the murder took place and hence his testimony is false, Akram ne Zoya aur Asad se badla lene ke liye yeh sab kiya, he was paid for it." Akram saw that he fell for Anwars trap and now couldn't say anything else. Anwar gave the earlier police case that how he was put behind bars for kidnapping Zoya and toruting her and forcing her to marry him. PP saw that defence has broken through Akram and now he cannot do anything. Judge said "Mr.Akram, jhoote gavahi dene ke liye, yeh adalat apko, 6 mahine ki sazaa sunati hai" PP butted in "lekin isse yeh sabit nahi hota hai ki, Zoya qatil nahi hai, Zoya ke ghar se vo pistol mili hai jisse fire kiya tha, uske bare main defence lawyer ko kya kehna hai" Anwar laughed "Mr. PP, mere paas uska sabot hai ki vo pistol Zoya ke kamre main kaise aya, muje thoda waqt dijiye My Lord thaki main vo sabot adalat main pesh kar sakoon." PP "yeh sirf adalat ka waqt barbad kar rahe hai, aur kuch nahi, jab koi sabot hi nahi hai, tho kahan se ayenge" "Saboot hai," someone roared and everybody turned to see Asad on the entrance. "Saboot hai My Lord and yeh rahe saboot" and he gave it to Anwar. Anwar played that video in the court. "It was AsYa Sangeet and suddenly out of the blue, they saw Akram enterting the house putting on a fake mustache and a waiter's attire in order to get entry into the hall. He comes and mingles with everybody there serving them with food and drinks and then quickly takes opportunity to sneek into Zoyas room taking a gun with him. And after sometime comes out without the gun." Anwar stopped the video and said " yeh video kuch din pehle ki hai, jab Asad aur Zoya ki sangeet ke din Akram ne Zoya ke saath badatameezi ki, unke sangeet main aakar, par hum iss confusion main the Akram vahan kyun aya, lekin ab yeh sabit hogaya ki Akram vahan par yeh pistol plant karne aya tha, MY Lord ab yeh bhi sabit hogaya ki vo pistol Zoya ke kamre kaise aya, gour se dekhiye Mr Lord, jab Akram andhar gaya tho uske haath main pistol tha, par jab bahar aya tho pistol gayab, tho Akram ne hi pistol zoya ke kamre main plant kit hi, lekin ab sawal yeh hai ki kiske kehne par?" He turned towards akram and asked "boliye Akram, iss video main sab kuch saaf hogaya hai, ki aap Asad aur Zoya ke sangeet ke din ghar par aye the, zoya se badatameezi karne par apko Zoya ne thappad bhi mara tha, yaad hai, ab yeh mat kehiye ki iss video main jo shakh hai vo aap nahi, kyunki yeh sabit ho chukka hai, now will you please tell who is the person who told you to plant that gun there in Zoyas house,?" Akram said "muje sirf paise diye gaye, aur muje paison ki saqt zaroorat thi, issliye maine yeh kiya muje pata nahi ki kissne muje paise diya, sirf ek khat milta tha paise ke saath," Anwar "aap aise kissi anjaan aadmi ke haath se paise lenge jisko ap ne dekha bhi nahi, aur kalko agar uss khat main kissi ko marne ke liye kahan hoga tho vo bhi karenge, My Lord aise log samaj ke liye khatra hote hai, aur unhe khule nahi chodna chahiye" Akram "huzoor, main tho sirf paison ke lalaj mani aakar yeh kaam kiya, maine hi vo pistol vahan Zoya ke ghar par rakha tha, aur maine koi qatl hote hue nahi dekha, muje maaf kardijiye, muje pata nahi tha ki kissliye yeh sab mujse karvaya jaa raha hai,"
PP again butted in "MY Lord, yeh baat abhi bhi sabit nahi hua hai ki Zoya ne ya qatl nahi kiya, Akram ne jhoot bola yeh sabit hua hai, lekin Humera ke paas tho qatl karne ki wajah thi, vo barso se jin logo ko ammi aur abbu keh rahi thi, Hiba ne achanak aakar, vo usse cheen li. Lekin humera ko ye pata nahi tha ki Hiba nun banne wali hai, iss pehle hi uska qatl kar diya." " Anwar said "iss sawal ka jawab bhi main dede ta hoon, taki sab kuch clear hojaye. Humera ko barso pehle Razia aur Gaffur Siddique ne god liya tha, uski jaidad ko pane ne ke liye, aur yeh baat iss adalat main chal rahi gudiya factory ki case main Humera ke Nanaji ka munazim Wajid Miyaan urf Toufiq ne bata diya tha, lekin iske bawajoot humera ne apne sari property Razia Siddique ke naam karne ka faisla kiya, lekin jab Hiba ko yeh pata chala tab registration se pehle hi sari property ke papers Humera ko vapis de diye aur apne walidd aur walida ki harkaton ke liye maafi bhi mangi thi, aur ussi din sham ko Hiba ka Qatl hua, tho isse saaf zahir hota hai, ki koi Hiba ki iss kadam se na khush tha, aur I guess vo Razia aur Gaffur Siddique ke alava aur koi nahi hosakta, lekin hum yeh bhi tho nahi ke sakte ki unhone apni hi beti ka khoon kiya hai, lekin humera ke paas hiba ka khoon karne ke liye koi puktha vajah nahi thi, yeh rahe uss property transfer ke papers."
Judge "yeh adalat Mr. Akram ko jhoote gavahi den eke liye pehle hi 6 mahine ka sazaa suna chuki hai, aur ab sabot ke saath ched chad karne ki jurm main 6 mahine aur sazaa sunati hai, aur ek lakh rupaiye ka jurmana bhi sunati hai, Kyunki sabot aur gavahon ko madde nazar rakte hue, yeh sabit hota hai ki mulzim Zoya Farooqui ki ne koi qatl nahi kiya hai, aur Zoya aur Humera ko phasa ke liye kisi aur ne sabot ke saath ched chad kiya hai, issliye yeh adalat Zoya aur Humera ko baizzat bhari karti hai aur hiba ke asli qatlion ko pakad ne ke liye police ko hokum deti hai." Court is adjouned.
Razia face flushed out after seeing her plan failed again. She immediately walked out of the court room. Zoya and humera were now free of all charges and they were so happy. Dilshad hugged Zoya and humera and kissed them on their foreheads. Asad was standing a bit afar from the scene. Zeenat signalled Asad to come and join. Seeing him limping zoya couldn't but go upto him. Zeenat said "Asad tumne sabit kar diya tumhari mohabbat kamzor nahi hai, aaj hum sabko tumpe bohot fakr hai Asad" and she strided her hands on her face. Asad "tho aapi apne muje maaf kardiya" Zeenat "jee nahi, maafi tho tab milegi, jab tum meri zoya ko apne ghar lekar jaoge, yaad hai, moulvi saab ke samne register main sign karne ke baad, tum mujse milne aye the, aur kahan ki, jab tak main dil se maaf nahi karungi tab tak tum zoya ko apne ghar lekar nahi jaoge.Ab soch kya rahe ho, Zoya ka haath thamo aur lejao usse apne ghar abto vo Miss Farookhi nahi Mrs. Khan jo hai, Aaj na main nahi roungi, pehli baat ki aaj mere shouhar kuch kar dikhaya", Anwar said "begum aap yeh sabke saamne kya keh rahi hai" Zeenat "are aap chup rahiye, bahut dino ke baad ek mouka mila hai muje tho aaj main aapko phir se baingan aur louki khane ka ijazat deti hoon" Anwar "are wah Zeenat, yeh tho kamal hogaya, agar mera case jeetne se muje yeh pehle mil jaya tho kabka vakil ban gaya hota" Zeenat "aaj meri Zoya ki rukhsati hai, chahti tho thi main ki uski ruksati main bohot roun, jee bhar kar, lekin ab nahi kyunki meri Zoya ko iss duniya ka sab acha parivar mila hai sasural main, main kyun roun, muje tho khush hona hai," she hugged Zoya and kissed her forehead. "ab apne shouhar ke ghar jaa rahi ho, apne sari buri adatein chod dena, aur kissi bhi cheez ki zaroorat ho tho Dilshad bi se kehdena, tum muje bulakar thank karne ki zaroorat nahi hai" They all laughed. Asad and Zoya entwined their fingers and spoke with their eyes full of love. After all their married life now starts after so much of turmoils.
Asads House
Zoya was welcomed. She was given Holy Quran to hold over her head. She entered the house holding it over her head. Dilshad said she will make kheer for everybody as indeed it's a very auspicious day for them. Zoya accompanies Dilshad to make kheer but Dilshad said that now she is going to stay here she can have the kitchen to herself so she can rest for today. Dilshad said he will be holding a grand valima for Asad and Zoya and she will call entire Bhopal to celebrate with them. She also planned that now Ayras official wedding can also be held. But before that she needed to inform Rashid and Shirin as its their right to attend Ayans wedding.
Same Day towards evening.
That evening Asad and Zoyas happiness knew no bounds but they behaved as normal individuals in front of everybody but their insides were craving for each others company. Asad was searching Zoya from evening just to have a glimpse of her and found her outside sitting on the bench lonely gazing upwards at the starless sky. Asad came near her, zoya felt his proximity, not that she was missing her ammi very much but she was thinking if she would be there, would she be happy today for her? It didnt take any time for Asad to realise that Zoya was missing her ammi today. "zoya, main janta hoon ki aap aaj apne ammi ko bohot zyadaa miss kar rahi hai, har ladki ki zindagi yeh pal ata hai jab usse sabse zyadaa apne ammi ki zaroorat hoti hai" Zoya "baat vo nahi Asad, meri zindagi main unki kami aapi air phoppi ne milke bhar diya hai, bas main yeh soch rahi thi aaj kyun aasman main tare nahi hai, kya meri ammi aaj khush nahi hai?" Roz tho bohot sare thare hote hai, par aaj kyun nahi?" When Asad heard her innocent chidlish question he couldnt reply to it as he had no explanation but took her in his arms in a side hug. Zoya "bachpan main jab bhi muje ache number ate the yah kuch acha hota tha, aapi kehti thi ki meri ammi vahan door asmaan main ek tara banker muje roz dekhti hai, bachpan ki kahani kitni stupid hoti haina, aur hum kitne jaldi uspar yakeen karte hain aur jab sach pata lagta hai tho bohot bura lagta hai," Asad couldn't pacify her with her words as he understood that Zoya was not missing her ammi but was in confusion that her ammi is happy or not with this marriage. Asad said "Zoya ki ammi aap jahan bhi hai, hume dekh rahi hai, aaj hum dono ko apki duao ki saqt zaroorat hai, hum apni nayi zindagi shuru kar rahe hai aajse aur main vada karta hoon ki main hamesha apki Zoya ko khush rakhoonga, mehfooz rakhoonga unke aankhon main aasoon nahi ane dunga, kabhi uska saath nahi chodunga" He looked up at the sky and he got a drop of water on his forehead. Asad said "Dekho Zoya, apki ammi bohot khush hai iss nikah se, issliye unki khushi bearish banker gir rahi hum par," Zoya eyes sparkled at the first drop of rain. Soon it started raining and both of them sat there on the bench drenched completely from top to bottom. Zoya got up and spread her arms and started whirling in the rains. Asad watched her from there. Zoya signalled Asad to join but then realised that Asad cant he had some difficulty in getting up after being in a sitting posture. She came upto him and held his hands and made him stood up and started to turn around with him holding her dupatta over their heads. Soon the dance became a passionate moment under the cover of the white dupatta, the shadows of their faces inched closer and closer and their lips met under the white cover. Zoyas heels were tip toed and her both hands were on his chest and Asad had his hands on her waist. He almost lifted her to kiss her. They stood there relishing the moments for sometime.
At Gazia Residence
Razia was fuming that none of her plans were working in her favour, she wanted to kill Gaffur and put blame on Zoya but her plan ended up killing her own daughter which also didnt favour her. On top of that Badi bi again escaped along with Gaffur. Now she saw that her end was coming up soon. She started to behave like a fish out of the water which was desparete to get its breath now. All her efforts went in vain to search Gaffur and Badi bi. She was pacing up and down in the hall. Suddenly she started to hear noises all over the house. She started hallucinating that Zoyas mother is laughing at her, then her own daughter, then Humera voice shrieked, then Badi Bi's taunting, Gaffur's advice to stop with her shenangians. She clutched her head irritated by the haunting voices and yelled "Basss". Main haar kabhi nahi maunugi, kissi bhi keemat par nahi, main hamesha se jeeti hoon, aur ab bhi jeetongi, main nahi kar sakti, nahi har sakti" Ranting this she was roaming about the house all over touching and feeling the things in the house.
Asads House
Ayan had called Humera and she told him about the happenings and both were so happy. Asad and Zoya came inside after their rain romance and Zoya sneezed "Acchhhi" she rubbed her nose with her delicate fingers which had become a red cherry now Asad said "God Bless You" zoya said "thank you" Then again "Acchiii" Dilshad came and saw both of them wet from top to bottom and scolded them and asked Asad to take care of Zoya as she had already started sneezing. Asad took Zoya to his room, sorry to their room. Zoya said "Asad , mere kapde, sab kuch ghar par hai, main tho adalat se seedha apke saath agayi thi, main kya pehnugi?" Asad smiled at her innocence. "Zoya, you can try some of najmas" Zoya "najma ka vo tho mere liye oversize honge, nahi" Asad "then ask ammi" Zoya "same problem" Asad "then you can put one of my kurtas for today" Zoyas eyes widened "apka kurta" Asad "why not, ab jab hum ek poori zindagi saath rahna hai, aur bohot kuch share karna hai, tho shuruvat mere kurte se sahi" Zoya said "lekin main aur apke kurte main, kuch ajeeb nahi hoga" Asad "kuch ajeeb nahi hoga, try it" Zoya "agar kissine dekh liya tho" Asad "usse pehenkar bahar mat jana, bas" Zoya "lekin humne dinner nahi kiya hai" Asad "aap bohot sawal karti hain, ab chup chap jake yeh kurta pehen lijiye, tab tak main kuch karta hoon." Zoya rolled her eyes and went inside the washroom to change. Somebody knocked at the door. He said he will open it since he is changing clothes and he put on a black tee and a track pants. He opened the door to find Dilshad with a tray of steaming coffee. He took it from her and smiled. He said "Ammi andhar ayena" Dilshad came inside and asked Zoya kahan hai? Asad then only realised that Zoya was in the bathroom putting oh his kurta. Zoya came out the next moment wearing only his kurta and nothing below. Dilshad stood open mouth seeing Zoya. Zoya too emabarssed ran back into the washroom and shut the door. Dilshad asked "Asad Zoya ne tumhara kurta pehna hai? Kyun?" Asad ran his fingers through his temple and pinched the bridge of the nose. "ammi vo actually,, kya hua ki, Zoya ke kapde, I mean , vo adalat se seedhe yahan ayi issliye unke kapde Aapi ke yahan rah gaya, aur change karne ke liye kuch tha nahi , tho maine hi apna kurta de diya" Dilshad smiled at his sons change "Wah Asad tum apna kurta kabhi Ayan ko pehen ne nahi diya , aaj Zoya ko de diya" Asad was embarrassed and looking here and there but not at Dilshad. Dilshad seeing his condition told that "are isme sharmane ki kya baat hai? Yeh tho tumne bilkul teek kiya, ab tho sari zindagi tum dono ko ek dusre ke saath bitana hai" She lovingly kept her hand on Asads head and kissed him on forehead. Dilshad "ab main chalti hoon, aur haan main zoya ke liye kapde bhijva deti hoon, varna aaj ki raat tumhe aisa lagega ki tumhari saath ladki nahi ladka hai" Asad "ammi" Dilshad went away closing the door behind "Aur haan darwaza khula mat chodna" Asad blushed too much on that statement. He locked the door and went to the washroom and signalled Zoya to come out. She came out hesistantly because she was not wearing anything below. Her milky white legs were exposed. Seeing Asad in front with wet hairs, she took the bath towel and started drying his hair. Asad was enjoying her proximity now. Zoya and Asad were too lost in themselves during the hair drying session and they didnt notice the knocking on the door. It was Dilshad again, she knocked it again with more noise and they came out of the lala land. This time Zoya went to open the door as Asad said he wants to use the washroom. Dilshad handed her a saree and a blouse and said she had purchased it long before for her and now only got a chance to give it. She took if from her and said "thank you phoppi," Dilshad glared "ammi" Zoya "but muje phoppi acha lagta hai" Dilshad shook her head and zoya closed the door.
Nikhats Dancing school
Nikhat after finshing her college had decided to open a dance school for kids. And she was supported by Dilshad and Asad in her decision as it was her passion. There were barely 10 kids in her school but nevertheless she was happy. She was waiting for that kid's parents to come and take her and it was raining heavily too. So she was staying late in the school otherwise she would close it around 6.30 pm and head towards home as she knows that her bhaijaan is not comfortable with girls staying outside the house late nights. But today she had to wait since one girl had not been picked up. She dialled her parent's number but nobody was picking up. She checked for her address given in the records and thought to drop her at her house. She asked driver to take the vehicle and was going to go that a tall man entered her room and asked for the kid. The kid ran upto him calling him "Mamujaan". Nikhat was relieved that somebody had come to pick the girl. The man was looking at Nikhat and staring at her. The girl shook his hand. "Mamujaan der hogayi muje ghar jana hai" and he snapped out and said "shukriya" Nikhat said "jee shukriya ki koi baat nahi, main vaise bhi inhe ghar chodne ane wali thi, vo main bas nikal rahi thi ki aap agaye" The man said "main inka mamu hoon, vo aaj barish ke vajah se meri aapi aur jiju kahin phass gaye hai, subah kissi rishtedaar ke yahan gaye the, ab shayad kal hi ayenge, muje aaneme thodi der hogayi, sorry" The man offered a lift but Nikhat said its okay and she had her own vehicle. The man said "jee mera naam Farhaan hai aur apka" She said "Nikhat Ahmed Khan". Farhaan "oh such a nice name, Nikhat" Nikhat said "jee tareef ke liye shukriya" The man said "jee main chalta hoon" Nikhat said "Allah Hafiz" Farhan "Khuda Hafiz"
In the Town Hall Library
Najma had passed out with high marks in science and she wanted to pursue medicine in abroad and she was preparing for her exams. She spent almost hours in library and today she was fingereing through some books that her hand stopped on a particular book. She slided the book towards her with her index finger and felt a tug at the other side. She used force to take the book but the book was held firmly from the other side. So she released to find who was at the other side. The book was now taken from the other side and slot was open now. Najma bent down and peeped through the slot to find who it was. And she saw a man as handsome as her bhaijaan with silky hairs falling on his forehead and he occasionally ran his fingers to place it back. He had mesmerising eyes and had killer smile too. Najma was totally smitten by him. She ran upto the other end hoping to see him but till then he had gone with the book and was no where there. She searched for him everywhere but she didnt find him. At last she went to the librarian and said that she wanted a particular book and wanted to check whether that book was taken by somebody. Librarian checked and said book was taken by a guy called Haider. Najma said she needed the book urgently as she had to prepare for her medicine exams hence after a lot of coercion she got Haiders address from the librarian. She noted down the address and clutched the paper to her heart and smiled shyly.
Gaffur with the music ball
Gaffur and Badi bi both at a Madrassa, Gaffur was saying to Badi bi how he gave this music ball which was made by him to his daughter before returning from US. Badi asked how he got it back. Gaffur goes to flashback where Zoya had offered this music ball at the altar in a dargah and he took it back with himself. Now only thing he can do is to keep this with him for the rest of the life and pine for his daughter Zoya, since he has no guts to tell her that he is her father who had ditched her and her ammi, and when she came searching for him, he couldn't even save her from Razia but ended up being a party in her shenangians. Now that he will try to do save his daughters from Razia as a part of penance for what he had did in the past. Badi bi says its time now that he tells to the whole world that about Razia and her crimes. He should give his testimony in gudiya factory case and also Hiba murder case.
Asads room
Asad had gone out for sometime and Zoya had changed herself into the sari which Dilshad had given. She was impatiently waiting for Asad to come. She knew that todays night was special for him and her too after it was officially the first night of togetherness though many nights have already been passed. She knew that Asad had not completely recovered and he needs more time but still she wanted to look the most beautiful bride today, so she was checking herself in the mirror every minute that whether sari is good, jewellery is in place, make up is not smudged, and her lip stick is intact. She was turning around and seeing her back too. And she was doing this for the past half an hour and she had no sign of Asad at all. She dialled him and no response. She was pissed that Asad didnt pick up her phone. She waited for some more time and then she went out to have dinner with everybody. Nikhat had just come only, Najma has not yet come. Dilshad was setting the table so Zoya joined her. Nuzzat was busy taking all the dishes to the table. Zoya asked "Asad kahan hai Phoppi? Kahin bahar gaye hai kya?" Dilshad smiled at her inquisitiveness "mujse kya pooch rahi ho? Yeh tho muje tumse poochna chahiye? Ab tum uski biwi ho, tume bina bataye chala gaya?" Zoya "ane dijiye unhe , aaj main ache se khabar loongi, ki dubara aisa karne ki sochenge bhi nahi" Dilshad giggled. Zoya "tum yahan hamare saath kyun bati rahi ho?" Zoya "kyun phoppi?" main kyun nahi bait sakti? Muje bhook lagi hai, aur kya ate hi apne mujpe zulm karna shuru kar diya?" Zoya pouted. Dilshad said "zulm aur main yah Allah, thoda sabr karo tumhe sab pata lag jayega,"
Precap: AsYa Romantic Dinner. Farhan smitten by Nikhat, visits her dance school. Najma smitten by Haider, searches for his house and finally finds it. Ayan completes his first term and is selected by a music company to assist a famous music composer in his next film. Dilshad calls Rashid and Shirin and tells them about AyRa marriage. Humera is very happy but her happiness is short lived as Ayan conveys that he is not interested in another marriage since his career is shaping up. Dilshad feels Ayan had wronged Humera but she is bound by her own words to Shirin and Rashid. She consoles Humera at the same time tells that love should not make a person weak it should always make a person strong. Ayan will realise it sooner or later. Humera decides to puruse her studies further and forgets about Ayan and her marriage. Asad and Zoya find that Zoyas fathers address is a fake one.
Dreams feel real while we're in them. It's only when we wake up that we realize something was actually strange. ~Inception MY STORIES ARE NOW...
[NOCOPY] [MEMBERSONLY] Tags Credits to Quantum-Dot Hello people! This is Adv. Aditi Jain aka Adi or AJ. I am a writer and here is the...
Hello people, This is me, Mrinalini , aka Mrina or Mina . And here is the Index of my stories. Now it would be easier for you all to find my...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
142