part-14
hi frnds we are back with kkm again...we hope that u enjoy reading it...
recap: ipshita rajveer ke beech misunderstanding hoti hai isiliye ipshita rajveer se maafi maangti hai... rohan se uske father milne aate hai aur unke
beech kaafi arguments hote hai jise rajveer sun leta hai..rohan kaafi upset hota hai..aur woh target practise mein fire nahi kar pata..
Sare cadets ek ek karke ate hai aur target practise karte hai wahi dusri taraf Raj ko Rohan ki chinta hone lagti hai.. use pata
tha ki rohan apne dad ki bato se kafi hurt hua hai…so he decides to go to the training ground…he was standing at some distance
keeping eye on cadets…now it was Ashi's turn…she hits the bull's eye in her first attempt…Dhwani abhi yuvi and anu also manages
to get thru quite well…so now it was rohan's turn but b4 tht Samarth speaks up.
Samarth: good job guys…cadet jaisingh u really impressed me….so who's left now…
oh ya cadet Mehra… so would u plz come forward
Rohan: yes sir..
Rohan takes the gun from Samarth and was abt to hit the target jab uske dad ki bate uske kano me
gunjne lagti hai
" tum kuch nahi kar sakte…tum apne balbute pe kuch nahi karsakte…u r useless rohan… u r useless"
Samarth: cadet shoot
Rohan: yes sir
He tries to shoot when again uske dad ki awaz use sunai deti hai
"tum kabhi army officer nahi ban sakte rohan….kabhi nahi…tumhe lautna hoga… u r useless rohan u r
useless"
Rohan couldn't take it any more wo apne kano pe hat rakhta hai and shouts "no this is not true…
ye sach nahi hai" and falls down on his knees....
Samarth: cadet mehraaa... was this a joke or sumthing? kya karna kya chahte hai aap? up..i said up rite now...
[but rohan is just quite with lots of frustration in his eyes..mano jaise samarth ki baato ka usper koi asar hi nahi ho raha hai..>
samarth: cadet mehra..i said stand up...
[rajveer was watching all this. looking at rohan he cud make out that he was very upset and frustrated>
[here all the cadets were just surprised at rohan's behaviour..>
ashi [mummers> rohan...rohan...
yuvi: wats the matter rohan..get up..
[yuvi and abhi steps forward to help rohan but samarth stops them>
samarth: stop cadets and back to ur position..
abhi: but sir woh...
samarth: i said back to ur position...
[but yuvi steps forward>
samarth: ok..aap sabhi abhi isi waqt iss ground ke 10 chakkar lagayenge....
ashi: but sir..
samarth: i said now..its an order..
[sabhi cadets chale jaate hai and samarth turns towards rohan who is still down on his knees..he was about to say sumthing to rohan
than rajveer cumes>
rajveer: samarth..tumhe major suraj bula rahe hai... kuch zaroori kaam hai... dekh aao jab tak main yehi rukta hu..
samarth: thik hai..per woh hai kaha?
rajveer: woh staff room mein hai
samarth: thik hai..per jab tak in sabhi pe nazar rakhna..khass kar [towards rohan> in sahaab per...
rajveer: hmm
[and samarth leaves>
rajveer: r u fine cadet mehra?
[rohan kuch kehta nahi ..rajveer rohan ke shoulder pe apna haath rakhta hai..per rohan ekdum se khada ho jata hai..
his eyes are full with tears and anger>
rohan: i'm fine sir
rajveer: r u sure cadet?
rohan: maine kaha na aapse main bilkul thik hu..
rajveer: maine tumhari aur mr.mehra ki baate suni..i can understand wat u r going thru..
rohan:i said i'm fine ..aap please mujhse yeh sympathy ka natak mat kijiye...mujhe pata hai
aap bhi wahi sochte honge jo mr.mehra sochte hai..that i'm useless..i'm a big looser..main kabhi ek soldier nahi
bann sakta ... are mere apno ne mujhe kisi kabil nahi samjha to aap to phir bhi.... kisi ko parwah nahi hai meri...
koi nahi hai mera iss duniya mein..maa baap hokar bhi nahi ke barabar hai..are unhe to yeh bhi pata nahi unka beta
kya karna chahta hai..uske apne kuch sapne honge...mere kal ki to chodo unhe to yeh bhi yaad nahi ki aaj...
[with tears in his eyes> aaj..mera janamdin hai sir...
[rajveer is just surprised to know this..especially after what mr.mehra said told rohan>
rohan: papa ko yaha dekh kar main ek pal ke liye hairaan hogaya..mujhe laga ki woh yaha mujhe wish karne aaye hai
per nahi..woh to aaj bhi ..aaj ke din bhi mujhe neecha dikhane yaha aaye... i hate them..i hate them all..koi nahi hai mera iss duniya mein..
koi bhi nahi..
rajveer phir rohan ke shoulder pe haath rakhta hai aur rohan unke gale lagkar bahot rota hai...raj consoles him...
rajveer: bas..cadet..stop it now...
rohan [whipes his tears> i'm sorry sir.. [saying this rohan just goes to his room, while raj is standing thr..maano jaise woh kuch soch rahe ho..>
[cadets ground ke chakkar lagakar thak kar wahi baithte hai waiting for samarth to come.. just then they see him cumng so they quickly stand up and
are back to their position>
samarth: well cadets... its time for ur lunch break now..so dismiss....
[saying this he leaves and the cadets heads towards the mess>
yuvi: guys yeh rohan kaha hai?
abhi: ha..woh to ground pe bhi nahi tha..
ashi: are woh to uss hitler ke saath akela tha na..pata nahi ab uss hitler ne kaunsa punishment diya hoga..
dhwani: abhi tum room mein dekh kar aao shayad rohan wahi hoga..
ashi: hey bhaggu!! dhwani tumhe kya lagta hai ki uss hitler ne rohan ko aise hi choda hoga... usse kaha hoga ki jao beta apne
kamre mein jakar aaraam karlo..dhoop mein khade hokar tum kaafi kamzor ho gaye hoge....
rajveer: nahi cadet jaisingh....aisa to woh hitler kabhi kahega bhi nahi....
[all cadets stand up>
ashi: sir aap?
abhi: sir to hum bas...rohan ke bare mein..
rajveer: rohan is fine, woh apne kamre mein hai.. and dont worry use abhi tak samarth ne punish nahi kiya hai..
yuvi: wat?
rajveer: hmm..waise aap sab ki dosti kabse hai?
abhi: hum aur rohan school frnds hai aur baki hum sab ki peechle kuch 4-5 saalo se...
rajveer: oh..aur aap sab kaafi achche dost hai aur ek dusre ke baare mein sab kuch jaante honge
dhwani: ha sir...
rajveer: to phir i'm sure aaj bhi apne kuch plan kiya hoga... kyun cadet jaisingh?
ashi: main kuch samjhi nahi sir..
rajveer: oh..iska matlab aap ne ab tak kuch nahi kiya..i'm surprised... lagta hai aap sab yeh bhool gaye hai ki aaj aapke
dost rohan ka janamdin hai...
abhi: oh haa. hum to yeh bhool hi gaye the...
yuvi: oh god! main yeh bhool kaise gaya?
ashi: per sir aapko yeh kaise pata ?
rajveer: cadet jaisingh..main aapka teacher hu.... [smiles>
[sabhi cadets ek dum upset hote hai ki woh rohan b'day bhool kaise gaye, rajveer looks at them and smiles>
rajveer: cheer up guys! is mein u upset honi wali kya baat hai? main samajh sakta hu.. aap sab u udaas bikul achche nahi lagte..
to kya hua agar aapne ab tak rohan ko wish nahi kiya..we still have time...ab tak din khatm nahi hua hai..
we can still have a party...
[party ka naam sunkar hi cadets raj ki taraf ek dum se dekhte hai...>
rajveer: i mean koi badi party nahi..per hum sab milkar ek choti si party to kar hi sakte hai na?
abhi: per sir hum kya kar sakte hai...
ashi: ha sir aur phir agar yeh baat uss sadu ko..sorry sir..i mean major samarth ko pata chali to pata nahi
kaunsi nayi punishment dhundke layenge...
rajveer [smiles> sadu??? nice name..use kaafi suit karta hai...
[all cadets laugh>
rajveer: dont worry i'll take care of it..aap sab ko bas raat mein lites off hone se bas kuch hi der pehle rohan ko mere room mein lana hai...
baaki sab main dekh lunga... and dont worry [looking towrds ashi> mere room mein koi khatra nahi hoga..koi punishment bhi nahi dega... ok guys..
all cadets: ok sir..
rajveer: ok..then see you all tonite..ok... [he turns around>
dhwani: ek min sir...
rajveer: [turns around> yes cadet....
dhwani: thanks sir...
rajveer: kis liye? ab tak to maine kuch kiya bhi nahi.... [smiles and walks out>
anu: yaar yeh banda bahot ki kamaal ka hai...strict bhi hai aur utna hi sweet bhi... hai na?
ashi: hmm..ab jyada tarif mat karo ....
yuvi: per guys yeh hamare liye itna kyun kar raha hai? isnt it strange?
ashi: are iss academy mein kuch bhi ho sakta hai..aur yeh teachers to..they are just unpredictable...
abhi: jo bhi ho per rajveer sir dil ke itne bure bhi nahi hai..
[time passes and now its the time, so yuvi rohan ke room mein jaata hai.
ashi, anu, abhi, dhwani wahi room ke bahar rukte hai...rohan is sitting on his bed..>
yuvi: hey rohan.... tum free ho na?
rohan: tum? iss waqt?
yuvi: ha.. main woh... [he's just goes blank>
ashi [mummers> oh god..abhi maine pehle hi kaha tha iss idiot ko mat bhejo..per tumne meri ek nahi suni..
yeh kaam banayega nahi per bigade zaroor...
abhi: sshhhh....
rohan: baat kya hai yuvi?
yuvi: nahi woh..main ..actually main yaha kisi kaam se aaya tha..per bhool gaya..
rohan: what?
[ashi enters in>
ashi: tum yaha rohan ko bulane aaye the dumbo....
rohan: tum? tum yaha kya kar rahi ho?
ashi: ay hello..mujhe koi shauk nahi hai tumhare room mein ane ka..woh to rajveer sir ne hume bulaya hai, bas tumhe wahi bolne aayi thi...
aur yeh psycho bhi wahi kehne aaya tha...
rohan: rajveer sir...per kyun?
yuvi: ha.. rajveer sir ne hume bulaya hai....
ashi: ab kyun yeh to waha chalkar hi pata chalega na...
rohan: hmm chalo....
[all of them goes to rajveer's room... they stop at the door and knock..but the door was open and they step in...its dark thr in the room>
rohan: yuvi r u sure sir ne hume yaha bulaya tha?
[yuvi doesnt reply>
rohan: yuvi?...yuvi? abhi? kaha ho tum sab?
[he switches on the light and is just surprised to see all his frnds and teachers standing in the room singing happy birthday for him..rajveer is standing wid a cake in his hand>
rohan: sir... yeh sab...
rajveer: happy birthday cadet..ah ha..aaj sirf rohan.. to happy birthday rohan...
rohan: thank u sir..per yeh sab...
ashi, abhi, anu, dhwani, yuvi: happy birthday rohannn....
rohan [smiles> thank u guys....
rajveer: to cake kaate?
[rohan cuts the cake and evrybody sings for him..all teachers wish him too...n evrybody is happy>
rohan: rajveer sir...
rajveer: yes...
rohan: thanks sir.. and sorry
rajveer:itne bade bade bhari words..kis liye bhai?
rohan [smiles> sorry isliye ki maine uss waqt aapse badi rudely behave kiya..aur thanks isliye ki bhale hi aapse
maine gusse me baat ki ho per uske baad pata nahi kyun per dil thoda halka ho gaya isliye thanks...
rajveer: hmm...
rohan; woh kya hai na sir, waise to main kisi ke saame iss tarha se kabhi bhi apni personal life nahi discuss karta per uss waqt i just
cudnt control myself...
rajveer: i can understand that... main tumhe koi lecture to nahi dunga bas yehi kahunga ki tum jo bhi kar rahe ho, ya jo bhi
karna chahte ho just give it ur best... rest leave it to destiny...agar tumhara sapna ek soldeir banna hai to uss sapne ko pura karo..
baaki sab apne aap hi thik ho jayega... rahi baat tumhare papa ki to woh to ek baar tumhara sapna pura ho jaye phir woh bhi khush ho jayega...
its just ki woh tumhe apni zindagi mein kuch banta dekhna chahte hai....
rohan: u r rite sir...
rajveer: woh to main hu... [smiles>
rohan [smiles> and thanks for ur advice...
rajveer: oh ho..ab tum yeh thanks kehna bandh karo aur apne frnds ke saath enjoy karo..
rohan: yes sir....
karan: are raj yeh bhabhi kaha hai? maine unhe kaafi pehle yaha aate hue dekha tha per woh to yaha hai hi nahi...
rajveer: pata nahi ..woh to ab tak yaha nahi aayi.... [raj's cell rings>
rajveer;helloo... yes this is major rajveer rathod... what??????????
per kaha..???...............woh thik to hai na?............................ main..main bas nikal hi raha hu..aap uska khyaal rakhiyaga...
rajveer bahot tensed hota hai..aur yaha waha dekhta hai..phir woh suraj ke paas jata hai>
rajveer: bhaiya.. ek min pls...
suraj; kya baat hai raj? tum itne pareshan kyun ho?
rajveer: bhaiya chahat ka accident hua hai
suraj:what? woh thik to hai na?
rajveer: ha mujhe abhi abhi uski frnd ka phone aaya tha..chahat kuch dino ke liye jaipur gayi thi..aur iss waqt woh hospital mein hai
suraj; oh..to tumhe abhi waha jana chahiye...
rajveer: main bas principal se baat karke aata hu...
suraj: thik hai..yaha ki chinta mat karo..main waha bhi inform kar dunga...tum nikalne ki tayyari karo..
rajveer: ok bhaiya...
[rajveer bas darwaze per hi hote hai ki devyani aur ipshita waha aate hai>
devyani: are raj.. kya baat hai itni jaldi mein kaha ja rahe ho?
rajveer: nahi bhabhi bas aise hi..kuch kaam tha kya?
devyani: ha.. dekho mujhe pata hai ki ipshita aur tumhare beech kuch misunderstanding hui thi aur ipshita ne
uske liye tumse maafi bhi mangi hai..
[raj just looks at ipshita>
devyani: to ab tumhari baari..chalo inhe ab maaf bhi kardo aur sab kuch bhala kar dosti karlo...
rajveer: bhabhi iss waqt main bahot jaldi mein hu, main aap se baad mein baat karta hu..
[saying this rajveer just walks out of the room>
[ipshita raj ke aise behave karne se kaafi upset hoti hai per woh sab ke saamne muskurane ki koshish karti hai>
devyani: raj ki baato ka bura mat maanna ipshita.. thoda naraaz hai na..per woh dil ka bura nahi hai..
ipshita [just tries to smile> hmmm.. hum bas abhi aate hai..
devyani: ok
[ipshita kaafi upset hoti hai aur aapne room ki taraf jaati hai tabhi woh raj ko dekhti hai, woh kaafi pareshan hota hai ...kisi se phone pe baat kar raha hota hai>
raj: uncle aap please chahat ka khayal rakhiyega..main bas kuch hi der mein waha aa raha hu..bas mere aane tak uska khyal rakhna... thank u so much uncle..
[he hangs down the phone and turns around and is just shocked to see ipshita standing there>
end of part 13
frnds we'll be waiting eagerly for ur comments...
regards-
varallika & farheen
37