Khwabo Ki Manzilein.. Last part on pg 57 - Page 11

Created

Last reply

Replies

411

Views

62.1k

Users

36

Likes

7

Frequent Posters

Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
hold on guys next part coming soon
rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago

Part-15


recap- Rohan aur uske father ke beech argument hota hai jisse upset hokar Rohan target practise meinfire nahi kar pata...Rajveer use samjhata hai....aur woh frustration mein Rajveer ko sab kuch bata deta hai..jaha Rajveer ko pata chalta hai ki uss din Rohan ka birthday hai...isiliye woh Rohan ke liye ek surprise party plan karta hai..Rajveer ko achanak call aata hai ki Chahat ka accident ho gaya hai..yeh baat woh bas Suraj ko batakar waha se chala jata hai......

ab aage....
Ipshita Rajveer ke aise behave karne se kaafi upset hoti hai aur aapne room ki taraf jaati hai tabhi woh Rajveer ko dekhti hai, woh kaafi pareshan hota hai ...kisi se phone pe baat kar raha hota hai...
raj: uncle aap please Chahat ka khayal rakhiyega..main bas kuch hi der mein waha aa raha hu..bas mere aane tak uska khyal rakhna... thank u so much uncle..
[he hangs down the phone and turns around and is just shocked to see Ipshita standing there>
Rajveer: aap?..aap yaha?
Ipshita:ji..woh hum yaha se guzar rahe the to aapko yaha dekha....pata nahi hum iss kabil hai ya nahi ki aap humse apni problems share kar sake ..per phir bhi ... aapse puchna hamara farz hai...baat kya hai? aap kaafi pareshan dikh rahe ho.
Rajveer:i'm sorry ... mujhe aise bina kuch kahe nahi aana chahiye tha..per main sach mein bahot jaldi mein tha..infact mujhe abhi jaipur jana hai
Ipshita: jaipur..? u achanak???
Rajveer: meri behen ka accident hua hai ..isiliye i have to rush there as soon as possible...
Ipshita:oh... i hope nothingz serious
Rajveer: i hope that too... n e ways i have to rush now and i'm sorry for my behaviour Doctor...
Ipshita: its ok Major.. aap jayiye and tk care
Rajveer: u too..bye
[Rajveer just rushes towards his room and then leaves for jaipur>
[kaafi raat hoti hai..saare cadets bhi apne room mein chale jaate hai... Rajveer bhi chala jata hai..bas Ipshita apne room ke bahar baithi un taaro ko dekhti hai..maano woh kahi khoyi hui hai...aur uski aankho se ek aasu girta hai..tabhi devyani waha aati hai>
devyani: Ipshita...
[Ipshita turant apne aasu poch leti hai>
Ipshita: are devyaniji aap? aap soye nahi ab tak
devyani: tum bhi to nahi soyi... kya baat hai? itna pyara chehra itna udaas sa kyun hai? oh samjhi..lagta hai tum raj ki wajah se upset ho..
Ipshita: nahi..aisi koi baat nahi...hum to bas u hi...
devyani: main samajh sakti hu...per tum bilkul fikar mat karo..aane to do use phir dekhti hu..itni pyari ladki ka bhi koi dil dukha sakta hai bhala...
Ipshita: devyaniji hum keh rahe hai na aisi koi baat nahi hai..infact Rajveer ne khud humse maafi maangi.. woh kahi jaldi mein the isiliye thik se baat nahi kar sake per ha apne behavoiur ke liye maafi zaroor maangi..aur hum unke wajahse bilkul bhi upset nahi hai...
devyani: sach..gud..achcha hua ..lekin ab no more jhagda ha..
Ipshita [smiles> hmmm
devyani: to agar tum raj ke wajahse upset nahi ho to phir? kuch baat to zaroor hai..
Ipshita: nahi..hum to bas aise hi yaha baithe hai..in taro ko, uss chand ko dekhte...
devyani [smiles> jaanti ho raj bhi bilkul isi tarha raat mein akele bas aise hi inn taro ko, chand ko dekhta hai.. na jaane kya dekhta rehta hai..
Ipshita: shayad woh bhi in mein kisi apne ko dhundte hai...
devyani: kya matlab?
Ipshita: kuch nahi...
devyani: khair jo bhi...chalo lites out ho chuke hai kaafi der ho gayi hai tum bhi so jao..hum bhi chalte hai.gudnite
Ipshita: gudnite...
[devyani leaves>
Ipshita to herself: hmm andhera to kab ka ho chuka hai...[looks towards the sky> gudnite...
[n she to goes to her room>


next day........

its morning time ..all the cadets are in the mess having their breakfast....
Abhi: waise tum logo ne kal raat kuch notice kiya kya?
Anu: kya?
Abhi: kal raat achanak Rajveer sir kahi chale gaye..
dhwani: ha..woh kaafi pareshan bhi the, bas jaldi jaldi mein kahi chale
gaye...i hope evrything is fine
Ashi: common guys yeh ek military academy hai, yaha to roz kuch na kuch hote rehta hai..aa gaya hoga kuch kaam but i wish ki Rajveer sir ki jagah woh hitler jata..
Rohan: hmm..kam se kam uske woh bhari bhari lectures aur punishments se to bachte hum..
yuvi: ha.. kaash aisa hota..per aaj to Rajveer sir ka lecture hai hi..aayenge to puch lena..
Ashi: ha ha..sir aayenge aur hum unse puchenge ki sir kal raat aap hum masoom bachcho ko chudkar kaha chale gaye the..kyun? common guys itni si baat ka itna bada issue banane ki kya zaroorat hai...
Anu: Ashi's rite guys....ab chodo bhi..
Abhi: jo bhi ho..hum sirf baat kar rahe the... chaliye class ka time ho raha hai
Rohan: ha pehla hi lecture uss hitler ka hai..late ho gaye to phir bhari bhari lectures dene lagega and i'm in no mood to hear that....
[all cadets go their classroom..and the lectures start... for a change samarth ka lecture bhi bina kisi ko punishment mile jata hai.. and now its time for Rajveer's lecture..all cadets are waiting for him..but Rajveer ki jagah Ipshita aati hai>
Ipshita: gud afternoon cadets....
cadets: gud afternoon mam....
Ipshita: i know u all mite be thinking ki yeh hamara lecture nahi hai to hum yaha kya kar rahe hai..actually Major Rajveer kuch kaam se bahar gaye hai so i'll be taking this lecture..aaj hum thoda hi theory part karenge and then dr.Vaishnavi will start with the practicals...so.let us continue with the lecture....

[and she starts the class...lecture pura ho jata hai...per Vaishnavi practicals ke liye waha aa nahi paati..per hamare cadets kuch tension mein lag rahe hai>
Abhi: dekha Rajveer sir iss lecture ke liye bhi nahi aaye...hum aapse keh rahe hai ki kuch baat to zaroor hai...
dhwani: hmm ab mujhe bhi aisa lag raha hai...
Rohan: i hope evrythingz fine with him....
Ipshita: yes cadet evrythingz absolutely fine with Major Rajveer...
Rohan:mam...
Abhi: per mam humne to kal raat unhe achanak kahi jate dekha, phir aaj bhi woh lecture ke liye nahi aaye..
dhwani: mam, kya aap hume bata sakte hai ki...
Ipshita: gud to know ki aap apne teachers ke liye itne concerned hai...actually Major Rajveer ki behen ka accident hui hai aur isiliye unhe achanak kal raat hi jaipur jana pada
Anu: oh god! n e thing serious mam?
Ipshita: pata nahi cadet... but i hope ki nothingz serious..n e ways u dont worry he'll be here soon
Rohan: thanks mam..
[Ipshita palatti hai aur Vaishnavi ko waha khadi dekhti hai>
iphita: are Vaishnaviji aap? hum aapka kaafi der se intezar kar rahe the..aaj cadets ka practicals tha..
Vaishnavi: ha..woh..per tumhe Rajveer ke baare mein kaise pata?
Ipshita: woh to kal raat unhone hi hume bataya..kaafi pareshan the woh...i hope unki behen thik ho.
Vaishnavi: per mujhe to usne kuch bhi nahi bataya..main kabse use dhund rahi hu
Ipshita: woh to kal raat hi jaipur chale gaye..aur kaafi jaldi mein bhi the isiliye aapko batana bhool gaye honge...
Vaishnavi yeh sunkar Ipshita se bina kuch kahe waha se chali jaati hai....
Ipshita to herself: inhe kya ho gaya...
[Rajveer ke bare mein jaankar cadets thoda relief mehsoos karte hai..waha Rajveer jaipur pohoch jata hai>
at jaipur..............

[Rajveer seedhe hospital pohoch jata hai, woh receptionist se kuch puchta hai tabhi use koi awaaz deta hai>
person: Mr.Rathod?
Rajveer: Mr.Jaisingh..? Chahat kaha hai?
Mr.Jaisingh: aap aayiye mere saath..
[Mr.Jaisingh Rajveer ko Chahat ke room tak le jate hai.... Rajveer ander jata hai..waha Doctor use examine kar rahe hote hai.>
Rajveer: Doctor...Chahat kaisi hai ab?
Doctor: aap kaun hai?
Rajveer: ji main inka bhai hu.. Rajveer
Doctor: ok... Chahat ab thik hai, inke sar pe thodi chot aayi hai, humne stiches laga diye hai aur filhaal she needs complete rest...
Rajveer:ok
Doctor: dont worry she'll be fine...
Rajveer: thank u Doctor
[Doctor leaves and Mr.Jaisingh enters>
Rajveer:thank u so much Mr.Jaisingh.aap Chahat ko yaha lekar aaye,thanks a lot.
Mr.Jaisingh: oh common Raj, us waqt meri jagah koi bhi hota to woh bhi wahi karta jomaine kiya, so u dont have to be thankful, aur phir tum aur Chahat meri liye koi anjaan to nahi hai...
Rajveer [smiles> ji, per yeh sab hua kaise?
Mr.Jaisingh:exactly to mujhe bhi nahi pata...main site office pe jaa rahe the aur hamare thik aage wali gaadi achanakapna control kho di aur yeh accident ho gaya, jab dekha to pata chala ki woh aur koi nahi balki Chahat hai....to main use yaha le aye..
Rajveer: thanks a lot again for evrything...
Mr.Jaisingh: oh common raj...Chahat bhi bilkul meri beti ki umr ki hai [smiles>
Rajveer: aapki beti?
Mr.Jaisingh: ha, hamari beti... tum usse nahi mile ho……thodi pagli hai per meri jaan hai…
Rajveer [smiles>
Mr.Jaisingh: pata hai usne bina kahe hi mere barso ke sapne ko sach kar diya….

Rajveer : wo kaise???

Mr.Jaisingh: army traning ke liye gai hai
Rajveer: army???

Mr.Jaisingh: ha army….pata hai raj mera sapna tha ke mai apne bacche ko army me bheju….. but maine kabhi kuch nahi kaha use but phir bhi usne mere sapne ko pura kiya ashi ne
Rajveer: [surprised> ashi….. u mean anvesha jaisingh national defence academy, gulmarg right….

Mr. Jaisingh: ha… tum jante ho use

Rajveer: uncle wo meri hi student hai academy me…

Mr. Jaisingh: but tum to….base pe the na….tum teacher kab ban gaye

Rajveer: ji uncle bas abhi abhi bana hu….

Mr.Jaisingh: so raj kya khyal hai tumhara ashi ke bare me???


Rajveer: she is a bright girl sir…gazab ki himmat hai usme….wo aur uske dost humari academy ke sabse ache students hai…. Thore shararati hai but….mujhe pura yakeen hai ki ye log humare academy ke best cadet pass out honge…and uncle ashi….main uske bare me daawe ke saath keh sakta hu ki ek din she will make u feel proud

Mr. jaisingh: raj mai aj tak isi chinta me tha ki pata nahi wo kaisi hogi…but ab jab tum bhi wahi ho to mujhe koi fikar nahi hai….bhagwan kare ke tumhari har bat sach ho….chalo ab mujhe chalna hoga tumhe kisi bhi cheez ki jarurat ho to mujhe bejhijhak batana…

Rajveer: sure…

Mr. Jaisingh: ha raj ek aur bat… plz ashi ka khyal rakhna…

Rajveer: ji zarur

[Mr.Jaisingh leaves, and raj's sits outside Chahat's room waiting for
her to gain consciousness..............>

[lets see wats happening at the academy>
staff room...........
[Suraj kuch pareshan se dikh raha hai..devyani,karan, pritha,samarth,
Ipshita aur Vaishnavi bhi wahi hote hai..
per Vaishnavi bahot gusse mein dikh rahi hai aur chup chaap akeli
baithi hai>
devyani: baat kya hai? main kabse dekh rahi hu, aap kuch pareshan dikh
rahe ho..aur yeh raj hai kaha? savere se woh bhi
dikhayi nahi de raha hai..hai kaha woh?
Suraj: raj..mm ..darhesal devyani, raj kal raat hi jaipur chala gaya..
devyani: per u achanak?
Suraj: kal raat Chahat ka accident hua, isiliye raj ko jana pada..
karan:wat? Chahat ka....accidentttt !!!!!!!woh thik to hai na bhaiya,
raj kam se kam hume kuch batakar to jata, aur use
u akele jane ki kya jarurat thi....
Suraj: karan, main samajh sakta hu, per kal raat situation kuch aisi
thi ki usi bas nikalna pada..usne yeh baat bas mujhe batayi..
aur kal itna waqt bhi nahi tha ki woh yeh baat sabko batakar jata..
[Vaishnavi just gets up frustrated>
Vaishnavi: ha, hume batakar jane ki koi zaroorat bhi nahi samjhi hogi
usne [looks towards Ipshita> jise batana tha use to woh batakar chala
gaya..
akhir hum sab lagte hi kya hai uske aur Chahat ke???
Suraj [raises his voice a bit> mujhe lagta hai raj ne jo bhi kiya sahi
kiya, uska yaha sabhi ko batakar jaane se yeh waha pohocna jyada zarori
tha..aur ab ispe koi behes
nahi karega..is that clear!!!
[Vaishnavi just walks out of the staff room widout saying anything>
Ipshita to herself:shayad Vaishnavi Major Rajveer ko lekar kuch jyada
hi possesive hai...
[bell rings and evrybody goes off to their respective classes for
lectures>


End of part-15..
we hope u all enjoyed reading it!!!
comments awaited!!!

regardz-
varallikka & farheen



nm16 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
another great part. Me loved it. 👏
~*~john_4_lyf~* thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
awesomeff!!!! and awesome part!!!! hope chahat gets welll soon 👏
Rachu_1987 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
omg guys!!! tht was such a great part........ 😃 luvd hw the cadets were concerned 4 rajveer 😃 😃 😃 cont sooon 👏
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
friends this was just a wonderful part. Great part. Me loved it.
👏
rajeevlicious thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
hey friends, thank u all for ur comments!!! 🤗
thrz sumthing really exciting coming ur way in kkm..
so just keep reading ... 😊 😉 😛
nm16 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
will be eagerly waiting for the next part. post it soon
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
waiting for the exiciting part pls post it soon
Varallikka thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago

part-16

recap: misunderstandings aur arguments ke baad hi sahi per aakhir Major

Rajveer aur doctor ipshita ke

beech dosti ho hi jati hai....Rajveer Rohan ke liye ek choti si

birthday party rakhta hai jisme sAbhi teachers aate hai..

wahi party mein Rajveer ko mr.jaisingh ka phone aata hai ki Chahat ka

accident hua hai..aur Rajveer yeh baat bas Suraj aur ipshita ko batakar

chala jata hai...

ab aage...

[in the staff room]

[Suraj kuch pareshan se dikh raha hai..Devyani,karan, Pritha,Samarth,

Ipshita aur Vaishnavi bhi wahi hote hai..

per Vaishnavi bahot gusse mein dikh rahi hai aur chup chaap akeli

baithi hai]

Devyani; baat kya hai? main kabse dekh rahi hu, aap kuch pareshan dikh

rahe ho..aur yeh raj hai kaha? savere se woh bhi

dikhayi nahi de raha hai..hai kaha woh?

Suraj:raj..mm ..darhesal Devyani, raj kal raat hi jaipur chala gaya..

Devyani: per u achanak?

Suraj:kal raat Chahat ka accident hua, isiliye raj ko jana pada..

karan:wat? Chahat ka....accidentttt !!!!!!!woh thik to hai na bhaiya,

raj kam se kam hume kuch batakar to jata, aur use

u akele jane ki kya jarurat thi....

Suraj:karan, main samajh sakta hu, per kal raat situation kuch aisi

thi ki use bas nikalna pada..usne yeh baat bas mujhe batayi..

aur kal itna waqt bhi nahi tha ki woh yeh baat sabko batakar jata..

[Vaishnavi just gets up frustrated]

Vaishnavi: ha, hume batakar jane ki koi zaroorat bhi nahi samjhi hogi

usne [looks towards ipshita] jise batana tha use to woh batakar chala gaya..akhir hum sab lagte hi kya hai unke?

Suraj [raises his voice a bit] mujhe lagta hai raj ne jo bhi kiya sahi

kiya, uska yaha sAbhi ko batakar jaane se yeh waha pohocna jyada zarori tha..aur ab ispe koi behes nahi karega..is that clear!!!

[Vaishnavi just walks out of the staff room widout saying anything]

Ipshita to herself:shayad Vaishnavi Major Rajveer ko lekar kuch jyada

hi possesive hai...

[bell rings and evrybody goes off to their respective classes for

lectures]

jaipur...at the hospital

[kuch der baad,Chahat ko hosh aata hai..woh aankhe kholti hai aur

Rajveer ko samne khada pati hai]

Chahat: bhaiya..aap?

Rajveer: sshhh..ek dum chup.. bas chup raho aur aaram karo.aur kya

zarorat thi itni tezi se drive karne ki?agar koi Major accident hota to?woh to achcha hua jo Mr.Jaisingh tumhe waqt pe yaha le aaye..har bat ki had hoti hai Chahat maine tumko kitni bar kaha hai ki gari dheere chalaya karo nahi to driver le liya karo…. But nahi tumko kisi ki bat kaha sunni hai…..

[Rajveer goes on & on while Chahat just listens quitely]

Rajveer: apna naa sahi kam se kam mera to khyaal kiya hota.. agar tumhe kuch ho jata to..ab kuch kahogi ya u hi chup rahogi?

Chahat: aap hi ne to chup rehne ko kaha..

[Rajveer just smiles at her innocence]

Chahat: i'm sorry bhaiya

Rajveer:kya sorry ? sorry bolne se kya hoga? Tumhari chot thik ho

jayegi???any ways ab tum aram karo… mai bhi kaha tumko dantne laga…

Chahat:per aap yaha kaise?

Rajveer: tumhe mr.jaisingh yaha laaye, unhone hi mujhe tumhare accident ke baare mein inform kiya..

Chahat:oh.. i'm really very sorry bhaiya,meri wajah se aapko u academy se apna kaam chodkar aana pada..

Rajveer: isiliye to samjha raha hu ki apna khyaal rakha karo, main har

waqt tumhare saath to nahi reh sakta na.. tum mere liye bahot mayane rakhti ho Chahat..to aage se khyaal rakhna ok? aur ab kuch dino ke liye rest lena

Chahat:aap samjha rahe ho ya daat rahe ho?

Rajveer [smiles] samjha raha hu baba..aur ab yeh cartoon jaise shakal

banana bandh karo aur meri baat dhyaan se suno, ab tum kuch dino tak koi kaam nahi karogi.bas sirf aaram..ok?

Chahat:per bhaiya mujhe parso to australia jana hai, waha ek bahot hi important meeting hai

Rajveer: maine kaha na Chahat, ab koi kaam nahi,sirf aaram..ab chup

raho aur aaram karo, main zara doctor se milkar aata hu..

Academy.........

[Chahat ke accident ki khabar sunneper teachers kuch pareshan hote hai,per they get back to thier work... Cadets bhi ground pe assembled the they were waiting for Kunal to come as it was time for physical training class….after about 5 mins Kunal comes there with a basket ball in his hands….]

Kunal:good morning Cadets

all Cadets: good morning sir

Kunal: well Cadets,mere hath me ye basket ball dekh kar to aplog samajh hi gaye honge ki aj hum kya karne wale hai right Cadets????

Cadets: right sir

Kunal:so ready Cadets???

Cadets: yes sir

Kunal: god so first of all we divide in two teams… so first tell me how many of u can really play basket ball???? Those who can play pls step forward

Rohan Yuvi Ashi Anu Abhi and Dhwani moves forward

Kunal: okay good…. So u guys divide in team of three and rest of u will play with them…..

Anu: sir I hav an idea cant hum log aisa karte hai ki boys vs girls ki team bana lete hai….. kaisa laga idea sir?

Kunal: bahut hi bakwas….

Rohan: I think it's a great idea mujhe nahi lagta isme koi burai hai

tAbhi peeche se Colonel bikramjeet ki awaz ati hai

Colonel: burai hai cadet

every body salutes Colonel….wo ishare se sabko atease bolta hai and Rohan ke pas jata hai…

Colonel: burai ye hai cadet mehra ke…ap kisi civilian school me nahi hai balki army academy me hai…. army me aisi cheap discrimination ke liye koi jagah nahi hoti hai……. yaha logo ko is basis pe nahi bata jata ke wo larka hai ya larki balki unko unki kabiliyat pe tola jata hai….yad rakhna cadet jung me chali goli ye nahi dekhti hai ke samne wala larka hai ya larki…….so cadtes behtar yahi hoga ki ap bhi ye sare bate bhul jaye and ek team ki tarah kam kare….am I clear????

Cadets: yes sir

Colonel: good..[to Kunal] Captain go ahead with ur class

Saying this Colonel moves out from there and cadtes start playing….20 mins had passed both the teams were playing very good ….. the ball was now in Rohan's hand he was going to score a basket when Anu usko langri marti hai and he falls ball uchalke dur jati hai when sumone catches it…. It was none other than our own senior Hitler…samarthJ

Yuvi: oh gosh!!!! yeh yamraj phir aa gaya... eee..ab ise jhelna padega..

[as samarth comes evrybody gets back to their position]

Kunal: sir aap yaha? i mean aap to kuch kaam se..

samarth: yes Captain bas yaha se gujar raha tha to dekha ke cadet mehra baket pe target kar rahe the…..to socha ke chalke dekhte hai…gun pe target to nahi kar sake shayad basket ball me hi target laga le…. But I am thorolly disappointed

Rohan: sir wo actually….

Samarth: excuses cadte mehra…excuses…shayad apko pata nahi but I hate excuses…… pata hai kyou??

Rohan: no sir…

Samarth: kyou ki jung me koi bhi excuse kam nahi karti….nato kisi jung ko harne ka excuse hota hai na jitney ka ka goli lagne ka aur nahi kisi sathi ke marne ka…… do u understand

Rohan: yes sir…

Samarth: gud waise bhi aapki kaabiliyat to mujhe target practise ke din hi pata chal gayi thi.. so mujhe to aapse waise bhi koi umeed nahi hai... pata nahi tumhare ma bap ko kaise tumse umeeden ho gai ki unhone tumko yaha bhej diya…..ha shayad unhone bhi socha hoga ke mera nalayak beta shayad army me jake thora layak ho jaye…kyou cadet sahi kaha na?

Rohan: sir aapko jo bhi kehna hai, aap mujhse kahiye.. i wud appriciate ki aap mere parents ke baare meinkuch naa kahe..

samarth: oh i see, lagta hai maine apki kisi dukhti rag pe hath rakh diya hai kyou cadet? Ya phir shayad meri hi tarah tumhare parents ko bhi tumse koi umeede nahi hai..i'm i right?

[Rohan just cudnt take it anymore]

Rohan: you are rite sir, mere parents ko mujhse koi umeede nahi hai kyunki main unke liye mar chukka hu..mera hona naa hona unke liye koi mayane nahi rakhta... rahi baat mere kabiliyat ki to wo to main aapko bahot jald saabit karke dikhaunga..

samarth: oh really…to jara hum bhi to sune kya kabliyat hai apki???? Jo cadet thik se gun nahi chala sakta yaha tak ki thik se basket bhi nahi kar sakta… kya kabiliyat hai uski???

Yuvi: sir ap isse aise bat nahi kar sakte….

Samarth: to ab ap mujhe meri authority sikhayenge cadte??? Waise let me tell u cadet mehra akele nahi hai…ap sab bhi aj tak ke military history ke sabse indisciplined…irresponsible and bekar students hai

Yuvi: I am sorry sir but I don't agree to u….. agar hum eek mauka mile to hum bhi khudko sabit kar sakte hai sir

samarth: that's intersting.. so kaisa mauka chahiye apko cadet??To prove urself...

Ashi: match sir….basket ball match…. Apke aur humare beech…

samarth: basket ball match???

Yuvi:yes sir ek match….aur hum ye sabit kar denge ke we are the best….

Samarth waha se bina kuch bole chala jata hai….

TAbhi bell ring hoti hai it was now lunch time So now they all are in the mess]

Yuvi: hey Rohan, wat was that hitler upto ha?

Ashi: job hi ho but basket ball match ka name sunte hi kaise bolti band ho gai us Hitler ki….

Yuvi: pata nahi khud ko ky samajhte hai…itna gurur hai apne ap par

Rohan; kaheka gurur…agar itne hi kabil hote to base pe hote yaha Cadets ko parha nahi rahe hote

Anu: but yar am sure agar Rajveer sir hote na to wo kAbhi aise nahi jate balki challenge accept karte…

Abhi: sach kaha apne…Rajveer sir ki to bat hi alag hai

Rohan: yes..

Dhwani: per wo hai kaha??

Abhi: pata nahi chaliye class ka time ho gaya hai….waise bhi Abhi unhi ki class hai…. Dekhte hai kya hota hai

They all go to clss with a hope of seeing Rajveer…but today again his class was managed my ipshita and Vaishnavi……finally the day ended with Cadets celebrating their victory over Major samarth…now it was a bright new day…Cadets were in their class room it was Rajveer's period so they were expecting ipshita to cum but to their surprise Rajveer entered in the class room

Rajveer: good morning Cadets

Cadets: good morning sir….

Rajveer: sorry to keep u guys waiting but I think its now time to continue

Cadtes: yes sir

Rajveer: good so we will start….[He was abt to start ke tAbhi peon cums to him and hand overs him some note] Attention guys…I hav some gud news for you… this is a notice from Colonel to inform u that there is a basket ball match going to be held between teachers and students…. Three days frm today i.e on teachers day…teams has already been decided….. in Cadets team there will be…Cadet Rohan Mehra….Cadet Anvesha Jaisingh….Cadet Yuvraj Dev…..Cadet Anusha Shankar… and Cadet Abhinav Singh….so guys ger ready…day is not far

Yuvi: we are always ready sir

Rajveer: I like ur attitude…cadet dev

Yuvi: but wht abt teachers team sir…usme kaun kaun hai???

Anu: am sure sir ap to jarur honge…

Rajveer: mai are mujhe kaha le rahe ho in sab me…mujge ye sab nahi ata infact mujhe to is bare me pata bbhi nahi tha

Dhwani: to sir bataiye na teachers ki team me kaun hai

Rajveer: oh yes…so in teachers team there are Major Samarth Chopra… Captain Kunal Kapoor…… Captain Radhika Verma… Captaim Karan Pratap and…Major….[Rajveer gets shoked to c the last name…wo chup ho jata hai…

Anu: wow

Ashi: ab yega maza…..but ye sir ko kya hua…achanak chup kyou ho gaye

Rohan: excuse me sir…..

[raj koi reply nahi deta hai…so he goes and shakes him]

Rajveer: ha kya hua

Rohan: sir wahi to hum pooch rahe hai…wht happened…apne last player ka name nahi bataya

Raveer[with same shoked reaction] ha…wo last player is Major Rajveer rathod….

saying this he speedily moves out of room…..leaving all students shoked….

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 4 months ago

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 9 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".