UPDATE FF MAR K BHI part 52 pg 109 14-08-13 - Page 3

Created

Last reply

Replies

649

Views

155.7k

Users

60

Likes

1.7k

Frequent Posters

ArShi_Lover_1 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 12 years ago
#21
bechara arjun!! he cnt evn romance hs wife😆😆
no problem arjun..chun chun k badla lena sam se aur madad k lie hu bhi taiyar hai
update soon n hope riya's case gets solvd soon
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#22
PART 19 a

Next day in ETF'

Sameer: shree dehli serial murder ki file mujhay la k do..

Shree: ok sir.. ye lyn..

Arjun enters Good morning everybody..

Chotu: ye Arjun sir hi hai na shree.

Shree; ha yaar par itnay khush kahin karoon ka khazana toh hath nahi lag gaya inkay.

Chotu: nahi yaar kuch aur baat hai kuch dino pehlay tak devdas ban k ghoom rhay thay ye aachank inhen kya ho gaya..
Shree: Kahin riya toh wapis nahi aa gai jabhi itna khush hai

Chotu: nahi yaar ye kaisay mumkin hai' kuch aur baat hai kahin toh kuch choot raha hai shree..

Arjun: ye kya khusur phusur ho rhi hai tum dono k beech .

Shree: gay hum..

Arjun: pareshan mat ho mei tumhain dantun ga nahi jo baat ho directly mujh say keh diya karo..

Shree: yes Sir..

Shree: lagat hai sooraj pachim say nikla hai'


Chotu: par job hi ho yaar mei in k liay khush hun..

Shree: mei bhi'

Arjun sits on his favourite chair and take a sip of her cutting chai..

Sameer to simar: dekha kitna khush hai Arjun,ye sab tumhari wajah say hai simar, agar tum nahi hoti toh mera Arjun kabhi dobara haans nahi paata kabhi apnay ateet ko nahi bhool paata, kabhi ye nahi samjh paata k jisay wo pyar samjhta hai wo pyaar tha hi nahi.. uska sacha aur pehla pyaar toh Riya hai jo ab us k sath hai uski jeewan sathi ban k'. thanks simar ye sab tumhari wajah say hai..

Simar: ye toh is baat ko samjh gay k ateet ko bhula k aagay barhna chaheay par aap kab ye baat samjhen gay kab taka p unki yaad mei jaen gay zindagi buhat bari hai sir akelay nahi katti jati ye zindagi aap nay ye baat toh unhen samjha di par khud kab samjhen gay'

Sameer; tora waqt do simar , mujhay bhi koi Riya jaisa mil gaya na mei bhi usay bhula dunga' par pehla pyaar bhulaya nahi jata Simar ha magar zindagi mei aagay barhnay ki ek koshish zaroor karunga.. I promise to you ..

Simar: dekhtay hain aap kab ye baat samjhen gay'

Sameer; tum jaisa samjhanay wala ho toh kisi ki majal hai na samjhay..

Arjun: simar theek keh rahi hai Saam. Tu bhi apni zindagi ko dosara moqa day.

Sameer: koshish karun ga yaar.

Arjun: koshish nahi azam kar'

Sameer: meri behan kaisi hai.

Arjun: theek hai par har waqt mujh say larti hai.

Sameer; shadi k ek din mei ye haal hai sari umar kya hoga.

Arjun: rothi bhi hai aur manati bhi hai buhat pyari hai meri biwi sab say alag '

Sameer: abhi toh uski shikayat kar rha tha aur abhi pyaar..

Arjun: wo hai hi aaisi he smiles " par job hi hai meri zindagi hai wo aur please meri RIya ka case jaldi solve karo mei us say dour nahi reh sakta"

Sameer: what?

Arjun: ye meri aur meri biwi ki aapas ki baat hai don't interfere ..

Sameer: ok baba.. waisay Arjun kuch clue milay hain hum nay kuch secrete informer lagaen hain Don't worry jald hi sab theek ho jaey ga'

Arjun: kaisi information mili hai.

Sameer: hamain nahi pata k ye information sach hai ya jhoot ye toh Mumbai ja k hi pata chalay ga k is information mei kitni sachai hai..

Arjun: toh chalo na mumbai dyr kis baat ki..

Sameer: nahi Arjun mei aur Simar jaen gay Mumbai is case k liay..

Arjun: mei bhi chaloon gat um dono k sath aur us shaks ko mar daloon ga jis nay meri Riya ki jaan layny ki koshish ki hai'.

Sameer: nahi Arjun is waqt Riya kotumhari zarorat hai aur uski protection k liay tumhara yahan rehna zarori hai ..

Arjun: ok par tum mujhay har pal aagah kartay raho gay..

Sameer: ha Arjun aur agar teri zaroratpari toh tujhay bula lyn gay. Filhal hamain jana hoga'

Shree hear only half conversation between them " kaun sa secret case hai kis k liay ye Mumbai jar hen hai, zaroor koi baat hai warna Arjun sir itna badal kaisay jatay"

Shree told chotu about this.

Chotu: shree koi secret case hoga ETF ka jisay seniors ko secretly so;ve karna hoga aur ye pehli bar toh nahi hai..

Shree: ha yaar mei bhi yunhi pareshan honay laga'

Arjun to shree and Chotu: mujhay tum dono say ek zarori baat kehni hai.

Shree: kya sir..

Arjun: sameer aur Simar Mumbai jar hay hai ek secrete case k silsilay mei aur sara load hum teeno par hoga, I hope tum dono mera sath do gay..

Chotu: par sir agar dono log jaen gay toh inki jagha koi toh substitute chaheay na..

Arjun: nahi chotu department hamein koi substitute nahi day ga hamein khud hi handle karna hoga..

Shree: par sir aaisa secrete case kaun sa hai jis k liay Un dono ka jana zarori hai.

Arjun: bus ye samjh lo shree k ye case ETF say jura hai agar ye case solve ho gaya toh hum sab ko buhat faida hoga'

Chotu: agar ETF ki baat hai toh hum teeno mil k sara load utha lyn gay..

Shree: yes Sir I am also with you..

Arjun: thanks guys mujhay tum dono say yahi umeed thi..

Arjun Mobile phone rings.

Arjun sees the name flashes on screen and smiles

Arjun: excuse me..

Shree: ye call kis kit hi jis nay ink chehray par smile la di

Chotu: koi toh special hai..

He is now at the corner of ETF ..

Arjun: Ha jaan bolo kyun yaad kiya mujhay..

Riya: aap ko yaad hai na mei nay aap say kiya kaha tha.

Arjun: kya kaha tha.

Riya: Arjun..

Arjun: ha yaad hai mujhay tum kuch kaho aur mei bhool jaun ye kaisay mumkin hai.

Riya: that's like my sweet husband.

Arjun: ok shree aa rha hai bye..

Shree: Sir koi naya case hai kya.

Arjun: nahi koi case nahi hai tum paper work complete kar lo ' wait shree

Shree: kya huwa sir..

Arjun: shree tum mujhay Riya k ghar lay chalo.

Shree: sir aachank.. I mean sir sab theek toh hai na Sir.

Arjun: ha shree sab theek hai par mujhay wahan jana zarori hai.

Shree: ok Sir..

Arjun: let's go.

In the car.

Arjun: tumhain uskay ghar ka address malom hai na.

Shree: yes Sir..

Arjun: us kay baba Kolkata mei rehtay hain na.

Shree: yes Sir wo yahan akeli rehti thi us k baba Kolkata mei hain.

Arjun: I knew shree wo yahan akeli rehti thi us nay mujhay bataya hai.

Shree: Riya nay aap ko kab bataya Sir.

Arjun: nahi riya mujhay kyun bataey gi wo actually uski dost nay bataya tha mujhay k wo yahan akeli rehti thi.

Shree: ok sir, par ek baat pochun .

Arjun: ha pocho shree.

Shree: aap Riya k ghar kyun jar hay hain.

Arjun: kuch evidence chaheay shree jo hamain us attackers k pas lay jaen.

Shree: what do you mean ? Riya par attack par.. aap k kehanay ka matlab hai uska murder

Arjun: Shree riya ki death nahi hui balkay uska murder huwa tha, Saameer bhi isi case k silsilay mei Mumbai gaya hai.

Shree: par sir ye kaisay mumkin hai.

Arjun: sab kuch mumkin hai shree kisi nay riya ko majboor kyat ha aaisa karnay k liay.

Shree: par sir kis nay.

Arjun: isi jawab k talash mei hun aakhir kaun hai is sab k peechay. Jo bhi ho mei usay zinda nahi chorun ga..

A tears escapes from shree and Arjun eyes.

Arjun: meri Riya ko jis nay bhi mujh say dour kyat ha mei usay mar dalunga, nahi dunga haq usay jeenay ka jis nay meri Riya say us k jeenay ka haq cheena tha'

Shree: Sir aaj RIya mujhay shidat say yaad aa rhi hai, buhat zinda dil thi wo kisi ki us say kya dushamani..

Arjun: pata nahi shree..

Shree: kash hamari RIya waipis aa jati kash ek bar mei usay dekh pata..

Arjun: shree relax jo hoga wo hum sab k liay aacha hoga..

Shree: yes Sir' ye lyan sir aap ki Riya ka ghar aa gaya..

Arjun: tum yahin ruko mei aandar jata hun.

Shree: yes Sir..

Arjun phone starts ringing again. He picks .

Arjun: yes madam mei ap k ghar k bahir hi hun Sorry I mean ap k maykay k bahir hun.

RIya: mera mayka.

Arjun: ha tumhara mayka mera ghar tumhara sasural..

RIya: aap bhi na Arjun..

Arjun: kuch chaheay to bata do warna bad mei kuch mat kehna mujhay.

Riya: nahi kahun gi.

Shree: sir..

Riya: ye shree ki awaz thi na.

Arjun: ha shree hi hai yahan.

RIya mujhay us say baat karni hai.

Arjun: abhi nahi ok bye bad mei baat kartay hain

Shree; kaun tha sir jo meray baray mei poch raha tha.

Arjun: koi nahi let's go inside.

Shree: ye kya sir yahan toh sab kuch bikhra huwa hai.

Arjun: lagta hai kisi nay is ghar ki talashi li hai.

Shree: ha sir lagta toh aaisi hi hai.

Arjun: shree jo jo evidence miltay hain ekkhaty karo .

Shree: ok Sir.

Arjun's see a picture of Riya Arjun puts this picture on his pocket and say shree let's go shree : hamain yahan kuch nahi milnay wala.

Shree: ok sir..

I know this is short and slightly boring part but i promise next part is better than this update so please if i did any mistake please forgive me.

Edited by sumbulqaiser - 12 years ago
sdhg thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#23
continue soon loved it.
Update soon nd long one dear wid ariya
573339 thumbnail
Posted: 12 years ago
#24
awesome update dear :) loved it
loved arjun and rathore's conversation
loved when arjun said to riya main apke maykay ke bahir hoon :)
continue soon
Edited by fatima15 - 12 years ago
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#25
I know you all waiting for next update please wait
sumbulqaiser thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#26
PART 19 b

Arjun is now at his home.

Riya: kahan thay aap itni dyar kyun hui aanay mei aur ap meray ghar kyun gay thay.

Arjun: Riya case say related kuch investigation karni thi is liay gaya tha.

Riya: sab kuch theek hai na.

Arjun: yes Riya bus kuch clue milay hain saam Mumbai gaya hai, don't worry sab thek ho jaey ga.

Riya: jab aap sath ho toh mujhay kya fikar.

Arjun: Riya ek cup chai milay gi mei buhat thak gaya hun..

Riya: sure why not? She rushes towards kitchen and busy in making his favourite cutting chai..

Arjun watch her while sitting in T.V launch.

RIya : ye lyn ap ki chai , garam hai sambhal k ..

He takes a sip of his chai and busy to stares her he totally lost in her angelic beauty her innocence her cute dimple smile makes him mad… He is busy in staring her ..

Riya: kiya dekh rhay hain.

Arjun: apni biwi ko dekh raha hun, mujhay khuda nay waqai apni kudrat ka anmol karishma day diya hai.

Riya: ap bhi na Arjun.

Arjun : but he doesn't listen what she says ? he take a sip of his cutting chai but the cup slips from his hand and hot tea is fallen on his shirt.

Riya: ye kya kya aap nay garam garam chai apnay ap par gira li Arjun ap bhi na, dekhay ap ki body jail ton nahi , buhat takleef ho rhi hogi na..

Arjun: chill riya relax chai zayda garam nahi thi, mei shirt change kar k aata hun..

He follows the way of their room and take a shirt from his wadrobe and start unbottom his shirt, She enters in room, She sees him without shirt and hide her face with her hand and say sorry to him Suddently she realize that some wound is in his chest.. She rushes near him and say.

Riya: ye kya Arjun itnay ghao kaisay…

Arjun recalls the memory when he breaks th wine bottle on the floor and laid on the floor these are those wound's mark which is left always on hs body..

Arjun: kuch nahi Riya, ye toh meri saza thi k mei apni Riya ko nahi bacha paya… k mei nay apni riya ko kitni takleef di Riya I am sorry riya mei nay tumhain buhat takllef di thin a I am sorry Riya har us dard k liay jo mei nay tumhain diya tha .. She keeps her hand on his mouth a tears drops from her deep brown eyes.

RIya: kyun kartay hai ap mujh say itna pyar mei nay toh kabhi ap k pyar ki khawish nahi ki phir bhi kyun.? Kyun datay rhay ap khud ko takleef kyun? Ap nahi jantay mujhay kitni takleef hui hai ap k is dard ko dekh k ap meri ankhon mei ansoo nahi dekh saktay na toh please romise Karen ap khud ko kabhi takleef nahi dyn gay.

Arjun: I promise you Riya. He cupped her face with his hand and wipes her tears " meri Riya k ankhon mei ansoo aachay nahi lagtay"

RIya: phi rap aaisay kam kyun kartay hain jis say meri aankhon mei aansoo aa jaen.

Arjun: promise kiya na ab aaisa kuch nahi hoga.

Riya: aisa kabhi huwa toh dekh layna ap mei ap say kabhi baat nahi karun gi.

Arjun: phir mei tum say baat kiay bina zinda kaisay rahun ga Riya

She kisses his all wounds and he encircle her by his strongs arms.

Arjun: agar roz roz meri patni ka mujhay isi tarha pyaar milta raha toh roz roz aaisay hazar zakham laganay ko tyar hun.

Riya blushes and hits on his chest.

Arjun: ouch.

Riya: rubs his chest and say sorry to him.

Arjun: aap nay mujhay itnay kiss diay hain mera bhi toh haq banta hai na ap ko kuch daynay ka .
He try to kiss her but she pushes him and run away.

Arjun: that's not fair Riya aa jao wapis.

Riya: no Arjun no.

Arjun: yes Riya please back.

Arjun cellphone rings .

Arjun: ha shree bolo.

Shree: rathode Sir meri call receive nahi kar rhay please ap un say kahen na meri call pick Karen.

Arjun brust with anger. : ok shree I try.

Arjun to Riya" har pal koi na koi kabab mei haddi banay ko tyar rehta hai, hamesha meray romance mei ye log khalal kyun daltay hain Riya kaisay kaisay dost bana k rakhay hain tum nay Riya"

Riya: mei nay kya kya hai.

Arjun grabs her and pulls her she hits with his chest He encircle her by his arms again.

Arjun: " ab aai na tum meray shikanjay mei kaho bach k kaha jao gi"

Riya: Arjun..

Arjun: Riya..

Riya: choren mujhay.

He tighten his grib.

Riya: choren na mujhya please Arjun .

He more tightened his grib.

Riya: please janay dyn na mujhay.

Arjun: ab nahi Riya.

Riya: toh kiya chaheay aap ko

Arjun: zayda kuch nahi bus pyaar bhari ek sham hamaray naam.

Riya: ok abhi nahi kal.

Arjun: kal kyun aaj kyun nahi.

Riya: abhi sham nahi raat ho chuki hai janab.

Arjun: koi baat nahi raat samjh lo.

Riya: shutup Arjun.

Arjun: ah hay aap ka ye charmana uff.

Riya: khana nahi khana aap ko.

Arjun: nahi.

Riya: kyun?

Arjun: yum agar apnay in haton say khilao gi toh khaun ga.

Riya: ok I feed you .

Arjun : wow I am so excited.

Arjun is busy in studing his new case while Riya feed him.

Arjun: bus riya buhat ho gaya ab pait mei jagha bilkul nahi hai.

Riya: bus Arjun thora sa aur please Arjun.

Arjun: no jaan aur nahi.

Riya: please ..

Arjun: ok last bite.

Riya: ok dear last bite.

Arjun: thanks Riya .

Riya: kyun

Arjun: meri life itni beautiful banana k liay.

Riya: thank you too Mr. rawate.

Arjun: welcome Mrs. Riya Arjun Rawate.

Riya; buhat raat ho gai hai ab so bhi jaen

Arjun: bus 2 min mei aaya.

She put off the light and both of them wrapped in each other arms and take a sweet dream.

Next morning.

Riya shout: ye kya bana k rakhi hai room ki halat kya chaheay aap ko kam iz kam mujh say keh daytay aap pora wadrobe khali karnay ki kya zarorat thi.

Arjun: mujhay apni grey colour wali shirt chaheay nahi mil rhi hai.

Riya: mei dhonti hun , ye sab kya kya bhar k rakha hai Arjun, jo karay aap nahi pehantay unhen alag kyun nahi kar laytay.

Arjun: time milay gat oh kar lunga na.

Riya: kahin ye shirt to hap nahi dhond rhay.

Arjun: ha Riya yehi shirt hai kaha say mili tumhain.

Riya: wahi jahan ap nay rakha tha apni kisi chez ka ap khayal nahi rakh saktay kitnay careless ho aap.

Arjun: mei apni sirf ek cheez ka khayal rakhta hun aur wo ho tum. He again hold her by her waist.

Riya: chorein mujhay buhat kam hai itna sab kuch phaila diya ab samaitay ga kaun.

Arjun: ye sab tumhari ghalti hai Riya.

Riya: meri ghalti kaisay

Arjun: tum apni beauty say mujhay pagal kar deti ho mujhay kisi aur chez ka khayal hi nahi rehta.

Riya: ap na Arjun had kartay ho koi toh moqa chor diya karo har waqt flirt kartay ho.

Arjun: flirt nahi romance Flirt larkiyun k sath kya jata hai aur romance girlfriend ya biwi k sath.

Riya: lagta hai aap par is romance ka bukhar chaher gaya hai.

Arjun: ha ye bukhar tab tab chaharta hai jab jab tum meray nazdeek hoti ho.

Riya: Arjun.. please maintain your distance I am not your legally wife .

Arjun: koi baat nahi girlfriend hi sahi…

Riya: Arjun..

Arjun: itnay hi pyar say phir kaho na… please.

Riya: ab haten bhi mujhay ye sab set karnay dyn.

Arjun: ok jaan set karlo.

Riya places all his clothes properly in his wadrobe.

Riya: ye kya Arjun itni choti kurti, kahin ye aap k bachpan kit oh nahi.

Arjun: you are right Mrs. Rawate ye meray bachpan hi ki hai.. par ye kurti nayi hai mei nay isay ek bar bhi nahi pehna.,

Riya: kyun?

Arjun: ye kurti meri maa nay meray liay apnay hathon say si thi , maa chahti thi k jab mera beta ho toh isay hi pehnay.

Riya: par aap nay isay pehna kyun nai.

Arjun: is liay kyun k mei jab paids huwa toh kafi healthy tha aur mujhay ye kurti nahi aai.

Riya: to hap nay is kurti ko sambhal k rakh diya.

Arjun: ha kyun k meri maa chahti thi k mei is kurti ko toh nahi pehan saka magar uska pota isay zaror pehnay.

Riya: pota ( grand son)

Arjun: ha pota mera aur aapka beta

Riya check becomes red and she blushes… Arjun notice her happiness. He whispers her ears " to hap kab meri maa k khwahish pori kar rhe ho"

Riya: abhi nahi Arjun aap ko meri shart yaad hai na.

Arjun:ha yaad hai aur don't worry mei tumhain kabhi majboor nahi karunga I promise .

Riya: thanks

This is also a little bit short update but this part is full with Ariya's romance I hope you all like this update...
573339 thumbnail
Posted: 12 years ago
#27
amazing update :)
arjun and riya are just too adorable :) love them
that cutting chai scene was so cute :) especially the part when arjun spilled chai on his shirt...
oh god arjun messed up the whole room just to find a shirt 😆
awww she found arjun's childhood kurti :) so sweet
eagerly waiting for next part
continue soon
Edited by fatima15 - 12 years ago
anu91 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#28
Awesome update...
Ariya romance was so cute...
Do PM me next part dr...
sdhg thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 12 years ago
#29
amazing update :)
arjun and riya are just too adorable :) love them😊
waiting for next part.. write a long one full of ariya moments😉
devildiva21 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#30
amazing update..!!!
lvd ariya romance..!!!
continue soon..!!
cant wait fr d nxt part..!!
plz pm me wenevr u update..!!!
thx..!!!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".