Dil Se Dil Thak on RajeevAamna..Chk pg 150 Imp.. - Page 3

Created

Last reply

Replies

1.1k

Views

133.6k

Users

75

Likes

34

Frequent Posters

koolaries4 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago
#21
wow yaar... bindaas!!! cant wait for next sunday...
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#22
koolaries4 thanks a lot for ur comments.. 😊 😛 😃 waise wat's ur name ??? 😃 😛
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#23

Hi guys..
Dekho main apne kiye hue wade se pehle hi wapas aa gayi maine kaha tha ki I'll continue on Sunday par I'am posting my first part soon… ab dekhthe hain ki yeh kahani kya hain….. tho yeh raha dil se dil thak ka first part….

"DIL SE DIL THAK :- part 1"


Sardhiyon ka mausam hain…Shimla ke log ghar se bahar hi nikalna nahi chahtha bahar itni tand joh thi aur barf bhi ghir rahi thi.... par is sab ke beech ek ladki joh 24 ya 25 saal ki thi Shimla ki kaali sadko par khamoshi se chal rahi thi.. usse dekhkar koi bhi yeh baat keh saktha tha ki bhale hi woh khamosh kyun na ho uske andar ek toofan uth rahi thi….
Woh ladki chalthe chalthe yeh sochthi hain :- zindagi ke khel bhi bade ajeeb hothe hain.. joh guzar gaya hain usse bar baar annkhon ke saamne laakar khada kar dethi hain…na jane ab zindagi mujhse kya karawayegi.. aaj usne joh bhi kaha woh such kaha sahi kaha lekin main apni zindagi ek aisa insaan ke saath nahi bithasakthi joh…….lekin main karoon bhi tho kya karoon..
Tabhi us ladki ka phone bajtha hain..she picks the call..
The caller :- hellooo……where the hell are you ??? tum kahaan ho batao mujhe main abhi tumhe lene aatha hoon…..
The girl listens & then tells :- veerrrrrrr…..
Veer:- kya veer….. patah hain main tumhara number kabse try kar raha hoon.. tum abhi batao tum kahaan ho ???
The girl :- itni chinta mat karo veer main bas ab kuch hi dher mein ghar pohanch jaugi main ghar pohanch kar tumse baat karoongi..….
Veer {observes that the girl is sounding sad } :- khushi… tum theek ho na….
Khushi :- haan main theek hoon.. bas aise hi.. achcha main ghar pohanch kar tujhse milthi hoon… { she says this last sentence quickly & before veer can tell anything or know that she is at the verge of crying she cut's the call }
Veer :- khushi khushi..{he looks at his cell }main jaantha hoon khushi tum theek nahi ho kaash main har us cheez ko khatam kar patah joh tumhe takleef dethi hain… par…{ he kicks his leg on the ground with anger }
Back to khushi..
Aansoon uske aankhon se behne lagthi hain aur woh kehthi hain :- khushi….. { she laughs sarcastically } naam tho khushi hain par zindagi mein khushi ki koi aahat bhi nahi hain siwai..
{she stops wipes her tears & continues walking & thinking }{ab yeh siwai kya hain baad mein bataugi }
ab khushi ghar pohanchthi hain… wahaan woh dekhthi hain ki uska bhai veer is just walking in the hall restlessly… she wipes her eyes dry goes to him & tries to lighten the mood…
khushi :- veer main aa gayi… ab batao kya kaam tha joh tu phone pe itna pareshaan lag raha tha….
veer:- pareshaan nahi houn tho phir kya itni tand mein tum bahar chali gayi aur gadi bhi nahi le ke gayi….
Khushi:- are my dear brother main bilkul theek hoon.. dekh na tere saamne hi tho zinda khadi hoon aur main apni zindagi mein khush hoon veer….{she turns to the other side }
Veer :- tum kiss se kya chupane ki koshish kar rahi ho khushi…{he goes & stands in front of her & sees that khushi's eyes are teary & khushi is trying hard to have a control over her emotions} tum mujhse apne yeh aasoon nahi chupa sakthi….main jaantha hoon tum zinda ho par tum khush khatayi nahi ho…. Tumhari hasi tumhari khushi us insaan ne cheen li hain… lekin tum us insaan ke liye yeh aasoon na bahao he does not derseve it… tum usse bhool kyun nahi jaathi khushi.. is baat ko ek mahina ho chukka hain par tum aaj bhi ussi ke bare mein soch kar un beethe lamho ko yaad karke khudko takleef dethi ho..……{isse pehle ki veer kuch kahe khushi kehthi hain }
Khushi :- veer aaj main raj se mili…..
Veer is shocked to hear this…..
Veer :- kya kaha aapne aap us shaks se mili.. {he has anger in his eyes when he says us shaks he does not take the name raj from his mouth }kahaan..aur kyun tumhe us insaan se milne ki kya zarrorat thi…
Khushi:- aaj shaam ko usne mujhe call kiya tha.. woh mujhse milna chahtha tha… aur main usse milne bhi gayi thi sunset valley point par..
Veer :- kya kahaa usne ???? ab kya kasar baki reh gayi thi ki usne tumhe milne bulaya..
Khushi :- woh mujhse yeh kehne aaya tha ki main kuch dino ke liye uski zindagi mein lout jao…
Veer :- kya…khushi ab woh kya chahtha hain unse pehle hi tumhe itna hurt kiya hain aur iska kya matlab hua ki kuch dino ke liye woh tumhe apni zindagi mein wapas chahtha hain…
Khushi :- { gulps down her saliva & says } is baat ka yeh matlab hain veer ki woh chahtha hain ki jab thak bouji theek nahi ho jaathe main uski patni hone ka naatak karoon atleast bouji ke saamne kyunke bouji pichle mahine yahaan nahi the aur woh nahi jaanthe ki is pichle ek mahine mein humari zindagi kitni badal gayi hain…. woh ab loutte hain aur unki tabiyat kharab hain aur woh hospital mein hain…tho
Veer :- { ghusse se poochtha hain } tho iska matlab hain ki…..God man….. kiss kisam ka insaan hain woh us mein gairrat naam ki koi cheez nahi hain…main us insaan ko kahiin ka nahi choduga…
Khushi :- { get's angry } veer woh aaj bhi mere pati hain aur is naathe tumhare jeeju agar tum usse woh izzat nahi de sakthe tho na sahi par tum us rishthe ka tho lihaaz rakho joh us insaan ka {she pauses & says } raj ka mere saath hain tumhari behen ke saath hain..
Veer :- khushi woh insaan kissi ke izzat ke liye layak hi nahi hain…..
veer yeh baat keh kar wahaan se chala jaatha hain as he is helpless & angry & he cannot see his sister in pain….
Khushi bas wahii khadi khadi soch mein dubi hui hothi hain aur uske aankhon mein aasoon hothe hain lekin is baar khushi unhe rokhne ki koshish nahi karthi….…..

Song in the background:-

" Dil mai kaante chubo kar……
Usne badli hain raahein……..
Bewafa hogaya woh……
Dil se uthti hain aanhein………
Paas aake bhi mujhse………..
Durr woh hogaya hain……..
Kaise batlaon kisko………….
Mera kya kho gaya hain…….
Dard kaise ye sahoon………
Oh oh oh oh……..
Chup bhi kaise main rahoon…..
Ye nahi baat zarasi………
Dil ye bezaar hua……….
Chaa gayee hai udaasi………...
Bikhre bikhre hain armaan…
Saare sapnay hain toote…..
Kiya jispe bharosa….
Wohi dhaagai hain toote….
Jisko apna kiya tha……..
Woh hain harjayee…………...
Thoda sa pyar hua tha………..
Kuch nahi baki…………
Thoda sa pyaar hua hain….
Ab bhi hain baki………………."


Ab dusari taraf dekhthe hain one man is sitting at a pub & having a glass of wine in his hand.. uske chaaro taraf shor tha naach gaana chal raha tha par woh insaan in sab se bekhabar baitha hua apni hi khayalo ki duniya mein khoya hua hain………woh bas apne haath mein rakha hua glass dekh raha tha.… aur woh apne aap se baat karna shuru kartha hain….:- aaj mujhe us shaks se madat maangni padi jisse main sabse zyada nafrat kartha hoon.. aaj phir zindagi ne mujhe ussi mukaan par laa khada kiya jahaan mere pass aur koi raastha hi nahi hain .. kyun kyun ho raha hain mere saath aisa jis insaan ne mujhe itna bada dhoka kiya zindagi ne mujhe ussi ke saamne laa khada kar diya hain…. main nahi jaantha ki humare beech joh kuch hua ya phir maine usse joh bhi baatein kahi uske baad mera uske pass jaana sahi tha ya nahi ab tho main yeh bhi nahi jaantha ki woh meri madat karegi ya bhi nahi par mujhe bouji ke liye yeh sab karna hi pada….wah ajeeb hain meri zindagi……he accidentally breaks the glass in his hand iske wajah se uski haatho mein chot lag jaathi hain par he does not realize it & continues blabbering to himself … tab hi one of his friend come to him sees his hand & says :- are yaar yeh kya tere haath se tho khoon beh raha hain…
The guy sees his hand aur woh kaanch ko dekhtha hain joh uske haantho mein chube hue hain aur woh yeh bhi dekhtha hain ki us chot se khoon beh rahi hain.. aur phir woh apne dost se kehtha hain :- jab apno ne itni takleef pohanchayi hain tho yeh kaanch ka lagna tho mamuli si baat hain.. tabhi usse peeche se awaaz detha hain :- rajjjjjjjjj { the guy turns back [yes guys it is our hero raj ] & he sees that it is the love of his life Tanya calling him…Tanya comes towards him…catches hold of his hand & says :- ghar chalne ka irada nahi hain kya??? {he looks at her totally lost } dher ho rahi hain chalo…… {she catches his hand } both Tanya & raj start walking out….
{ guys tanya is being played by humari apni archie urvashi dholakia sorry aur koi nahi mili }
raj & tanya leave the place raj starts driving.. gaadi chalathe waqt raj apne khayalo mein ghum tha.. aur yeh baat tanya ko khatakthi hain…. then tanya ka ghar aa jaatha hain… she is about to get down but then asks raj}
Tanya :- raj tumhe kya lagtha hain khushi aayegi ???
Raj :- main nahi jaantha…
Tanya :- raj I hope you don't mind me telling par mere hisaab se tumne khushi se madat maang kar ghalthi ki hain….{she says crookedly }
Raj :- nahi Tanya main kuch ghalat nahi kiya.. maine joh kuch bhi kiya mere bouji ke liye kiya hain…
Tanya :- lekin raj tumhare is kadam se kahiin us khushi ko badawa na mil jaye.. kahiin woh bouji ka istamaal karke tumhare property par kabza na kar le……{ she says wickedly }
Raj :- nahi tanya tum is baat ki fikhar mat karo.. ab main bas chahtha hoon ki bouji jaldi se theek ho jaye…
Tanya :- haan haan main bhi yahii chahthi hoon ki bouji jaldi se theek ho jaye kyunke agar ek baar woh theek ho gaye tho hum unhe khushi ki asliyat bata sakthe hain aur hum us khushi ko dhake maar kar ghar se bahar phikwa sakthe hain……{she has a evil smile on her face }
Raj :- { get's kind off irritated with tanya's last statement & says } Tanya please….. tum aise baatein mat kiya karo………
Tanya :- { she touches his face & says } theek hain baba main aisa nahi kahoongi.. achcha ab main chalthi hoon tum apna khayal rakhna…
Raj { still irritated } :- hmmmmmm…… theek hain.. baad mein milthe hain……..bye…
Then Tanya bids good-bye & goes inside her house while raj starts driving back to his house…..
Raj apne ghar pohanch jaatha hain par woh andar nahi jaatha balki he keeps sitting in the car & thinking :- kaash khushi jaldi se maan jaye.. joh bhi ho mujhe kal subah bouji ko jawaab dena hi padega ki khushi kahaan hain ….. aur agar kahiin khushi nahi maani tho…..{ he hits his hand on the steering wheel with frustration }

Song in the background:-

"Na Jaane Kyun, Hota Hain Yeh Zindagi Ke Saath…….
Achaanak Yeh Dil, Kisike Jaane Ke Baad…….
Kare Phir Uski Yaad Chhoti Chhoti Si Baat……..
Na Jaane Kyun .……….
Jo Anjaan Pal, Dhal Gaye Kal, Aaj Woh……….
Rang Badal Badal, Mann Ko Machal Machal…….
Rahein Hain Chal, Na Jaane Kyun Woh Anjaan Pal……
Saje Bhi Na Mere, Naino Mein……
Toote Re Hain Re Sapno Ke Mahal…….
Na Jaane Kyun .………..
Wohi Hain Dagar, Wohi Hai Safar……..
Hain Nahin Saath Mere Magar Ab Mera Humsafar…….
Idhar Udhar Dhoonde Nazar Wohi Hai Dagar……
Kahan Gayi Shaamein, Madhbhari………
Woh Mere, Mere Woh Din Gaye Kidhar……
Na Jaane Kyun ..."


He sits there thinks for a while & then he walks off inside…
Andar angad kripa , anjali kavya aur anurag perna baite hue hain… { guys angad kripa , anurag perna & kavya anjali are already married }
Woh log sab pareshaan baite hue hain jab woh raj ko dekhthe hain.. usse dekhthe hi angad poochtha hain…
Angad :- raj kahaan tha ab thak….
Raj {looks at him & says } :- bas aise hi pub mein tha….
Kavya :- achcha ab yeh bata khushi se baat ki kya tune ???
Raj { gives him a stare & also sees that all eyes are on him & he says } :- haan maine baat ki….
Angad :- tho kya kaha usne ??
raj :- patah nahi dekhna padega….
Kavya :- kya matlab dekhna padega ??
Raj :- matlab yeh ki usne ab thak koi jawaab nahi diya hain….
Angad :- jawaab nahi diya hain tho jawaab mango usse..usse jawaab tho dena hi padega ….
At this point of time kripa & anjali get irritated & anjali says :- kyun de woh jawaab ?? uski kya ghalthi hain ??
Sab anjali ke is baat pe hairani hothi hain… aur kavya kehtha hain :- you stay out of it anjali……
Ab kripa kehthi hain :- anjali sahi hi tho keh rahi hain.. woh kyun jawaab de….
Angad :- kripa……
Anjali :- kyun tum logo ko sach baat kahi tho ghalat lag gayi…. Khushi ke saath joh hua tumhare bhai is raj ke wajah se hua..{she points towards raj } uspe tarah tarah ke ilzaam lagaye gaye…….lekin aaj jab musibat aayi zaroorat aayi tho kiss hakh se yeh umeed karthe hain ki woh aapki madat kare……
Kripa :- ajeeb baat hain na raj… { she says scarcastically }
Kavya :- tum log humara saath dene ke bajay us khushi us ladki ka saath de rahe ho….
Now anurag & perna intervent & say :- bassssss bohat ho gaya…. Chup karo tum log tab se aap log joh maan mein aaye woh bake hi jaa rahe ho…..
At this time anjali's cell rings…
Anjali :- hello…
Veer :- hello anjali….
Anjali :- haan veer bol… { all look at anjali when they hear veer's name }
Veer :- anjali tum please kripa ko lekar yahaan aa jao…
Anjali :- veer sab theek tho hain na… khushi….
Veer:- haan anjali bas tum log aa jao.. mujhe tum logo se kuch baat karni hain….
Anjali :- theek hain hum aa rahein hain…….
Anjali puts the phone down & then tells to prerna:- jiji main aur kripa zara khushi se milkar aathe hain….
Prerna :- anjali khushi…woh theek tho hain na ??
Anjali:- haan jiji.. aap fikar mat kijiye aapko abhi bouji se milne hospital jana hain aap jayiye…. Hum khushi ko sambhal lenge…. Chalo kripa…
Kripa & anjali start walking out when kripa turns & says :- angad , kavya tum log ek baat sahi tarike se samaj lo khushi humare liye humari zindagi hain humari sabse achchi dost hain usse zyada zaroori humari zindagi mein kuch nahi….
Anjali :- yeh baatein tum kabhie mat bhoolna.. hum hamesha ussi ka saath denge chahe iske liye humme humare kissi bhi rishthe ke khilaaf hi kyun na jana pade….
Anjali & kripa leave leaving behind a shocked kavya & angad.. raj leaves the hall & goes to his room…
Anjali ,kripa reach home & they meet veer & they enquire about khushi..veer says that khushi is in her room & not opening the door … anjali & kripa try telling khushi to open the door but all in vain all they could hear is just khushi's cries….. then veer tells anjali & kripa that he would not allow khushi to go & meet bouji & act with raj…. Anjali , kripa wait for some more time to meet khushi but khushi does not open the door finally anjali , kripa go back……
Ghar pohanch kar they inform prerna that khushi is fine & just is a bit disturbed ….
Then ab zara nazar khushi ke kamre ke andar jaanke dekhthe hain…. khushi is just sitting by the window looking up to the sky & thinks :- main kal kya karoongi main nahi jaanthi main yeh bhi nahi jaanthi ki kya main kal raj ka saamna kar paugi jisne mujhe duniyaan bhar ke ghum diye hain.. par main itna zaroor chahthi hoon ki joh bhi ho achcha ho main joh karne jaa rahi hoon isse kissi ko takleef na pohanche….…
Wahaan raj apne kamre mein baita hua sochtha hain :- I hope kal khushi mera saath dena aa jaye… kaash…..
then the screen is divided into two…
one side khushi is sitting by the window & thinking about the next day's events…& the other side raj is just hoping that khushi will turn up the next day….. both very sad , angry , frustrated with the way life is taking them & not knowing now where life will take them further...…
agli subah hothi hain… raj ab bhi isi umeed main rehtha hain ki kahiin se khushi aa jaye aur woh khushi ke saath milkar hospital jaye aur bouji se mile.. woh kaafi dher thak khushi ka intezaar kartha hain aur phir hospital ke liye nikal tha hain kyunke ghar ke sabhi log hospital ke liye pehle se hi nikal gaye the..…
raj bouji se milne jaatha hain… bouji raj ko dekhkar bada khush hothe aur kehthe hain:- oye puttar tu aa gaya…aaja aajaa..
phir bouji dekhthe hain ki khushi raj ke saath nahi aayi hain tho woh kehthe hain :- par yeh kya puttar meri dost meri girl friend khushi kahaan hain…….usse nahii laya tu…
Raj yeh sawaal sunkar shocked ho jaatha hain aur bas bouji ko dekhtha rehtha hain……..

Well guys here ends dil se dil thak -- part 1.. I hope you all liked reading it… I hope it was upto your expectations & upto the mark….

Ab yeh jaanne ke liye ki raj bouji ko kya jawaab detha hain.. raj aur khushi ke beech itni durri kyun hain ?? kya is durri main bhi kahiin ghehra pyaar chupa hain ??? yeh tanya ka asli maksat kya hain etc etc sawaalo ke jawaab jaanne ke liye padthe rahiye dil se dil thak…….

I'll be waiting for your comments & compliments & please feel free to give your valuable suggestions …..
I'll try & post the next part soon………

Take care………
Byeeeeeeeeeeee

Love
Surya……..
Edited by sun_423 - 19 years ago
404_NotFound thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Visit Streak 500 Thumbnail + 7
Posted: 19 years ago
#24
very nice........ 👏 plzzzz continue soon.
Mischeivous thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#25
Loved it Suri...u rock....continue soon 😊

👏
👏
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#26
yyyy thanks so much for ur comments i'll try & continue soon.... 😊 😛 😃
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
#27
adi no shukriya...me so happy that you commented...tera comment dekh kar i'am feeling so glad... don't u worry me will surely continue soon...😃
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
#28
hey suri kya jatka diya pheli part mein jatka kushi raj ki patni ab toh jaldise agle part ppadna jaldise cont karona yaar
jasminerahul thumbnail
Posted: 19 years ago
#29
This was very nice.Its so different from the usual stories where the guy & girl meet,then fall in luv & after sum problems,they unite.The suspense is killing me.can u write their past in detail.Lots of jodies r there.it makes it colourful
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
#30
by the way ek baat batanahi boolgayi 👏

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

7 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".