PART – 69
Geet: Maan ye ghar toh bahut sundar hai
Maan Geet ko sare ghar dikhatha aur unke phurane tasveer bhi dikhatha
Geet: Maan ye toh aap hi hai na? Maan aap toh hamesha aaisa hi the kya?
Dekhiye kaise photo mein bhi DD banke rehthe, ye toh achcha hai,
Maan iss mein toh aap hasrahe hai, Maan ye aap hi hai ya koi padosi?
Geet tries to cheer him up…..but Maan toh bahut hi upset hai….
Geet: Maan ye iss photos mei ye chota bachcha kaun hai?
Ye toh Annie se bhi chota hai, ye aapka cousin hai kya?
Ye ab kahan hai? isse toh hummare shadi mein bhi nahi dekha
Maan toh wahan se chale jaatha……Dadi comes…….
Geet: Maan………Maan….
Dadi: rehne dijiye bte, hum aapko sab bathayenge
Geet: par Dadi Maan inn taveeron ko dekhke itne udaas kyun ho gaye?
Meinne toh Maan ko pehli bar aaisa dekha hai, ye toh hamesha gusse hothe
Par kabhi itne dukhi nahi rehthe
Dadi: Geet bte, woh uss photo mein jo chota ladka haina, woh toh Maan ke
Chote bhai Vicky hai, woh ab iss duniyyan mein nahi hai
Geet: Dadi ye aap kya keh rahi hai? Geet toh ye sunke pareshan hojathi
Dadi: haan bte Vicky ab hammare saath nahi hai, Maan ke mabaap
Toh bahut jaldi hi baghwan ke paas chale gaye, tab Vicky toh bas ek saal
Ka tha, Maan hi thode bade the aur Maan ne hi sabko samhalla
Vicky koh toh kabhi apne parents ki kammi mehsoos hi nahi hua
Woh toh hamesha Maan ke saath hi rhetha, Maan bhi Vicky ko
Ek papa ki tarah samhalla
Geet: toh Dadi issiliye Maan itne pareshan laghte
Dadi: haan Geet, issiliye Maan kabhi ghaav ki baat hi nahi karthe
Ye toh hummare hi galthi hai jo Maan ko usske purane din yaad dilathi
Humme yahan aana hi nahi chahiye, Maan toh ye kabhi nahi
Maanthe ki Vicky ka mauth ho gaya aur woh iss duniya mein nahi hai
Geet: par Dadi Maan aaise kitne din sachchayi se bhagenge?
Dadi: patha nahi Geet bte, issiliye toh hum kabhi Vicky ke bhare mein
Koi bhi baat nahi karthe, Vicky ke jaane ki baat hi Maan aaise bangaye
Geet: Dadi aap fikar mat kijiye sab teek ho jayega, babaji haina hummare saath
Tara:Dadi…Dadi…
Dadi: hare hummari rajkumari itne dher kahan thi?
Hum toh inko dekhthe hi sab kuch bhool jathe..
Tara: Dadima hum mandhir kab jaayenge?
Dadi: hum kal hi jaayenge bte, Geet bte aap kal subha jaldi
Tayyar ho jayiye, mein Ramu se kehke Panditji ko kabar karthi hoon
Geet: teek hai Dadi, Tara chalo chalke soothe hai
Dadi: Gud night bte
Tara: Gud night Dadi
12