accha update tha, w8ing desperately for d nex update.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
Is it just me or…
PARAYI AURAT 13.9
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Aabeer Gulaal reviews and box office
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Tanya was fab today👏🏻
Anupamaa 13 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Two contradictory dialgues in single episode? Aurton se Rude nai hona?
Silences Between Hearts ~ A Rumya SS ~ Chapter 4 on pg 1
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Katrina won't announce her pregnancy, is she?
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 13th Sep 2025 - WKV
accha update tha, w8ing desperately for d nex update.
Originally posted by: justjayati
thnaks guys for liking it...I'll update it soon... and yes!! me too enjoyed writing the chandu-helen's part...
@Chand1234loved ur hare bhare.colourful comments... dear!!!!😊
Part-8
The end or just the beginning?...
In Indian Camp
Chanakya: Subah hone wali hai aur Chandragupta ka koi ata pata nahin… Pata nahi usne sandhi ke bare mein koi vichaar kiya bhi hai ya nahin… [then ordering one of the soldiers outside the camp] Samrat jaise hi aaten hain, mujhe soochit kiya jaaye…..[the soldier nods and goes to find about it] [then in his mind] Use Amatya ke bare mein batana aavashyak hai… Tab tak Mehir ko ye bata dena chahiye ki Amatya ke yavan shivir mein hone ki baat satya hai… aur use hi iss baat ki pushti karni hai….
[then Chanakya writes a letter and orders his special messenger to hand it over to Mehir]
Meanwhile in Jungle,
CGM: Tumne ab tak bataya nahin ki tumhe hindi kaise aati hai???
Cornelia: Keval hindi hi nahin, balki Sanskrit, pali aur prakrit bhi aati hai…. Aur iske saath-saath charo ved arthat…… Rig ved, sama ved, ajur ved aur adharva ved ki bhi jaankaari hai….
CGM: Par kaise???
Cornelia: Humari raajkumari Cornelia ko Nayi bhashayen sikhne mein kuch adhik hi ruchi hai… iske hetu unke liye Samrat Seleucus ne Takshshila ke hi kisi Acharya ko niyukt kiya tha… Jo ki main raajkumari ki pramukh daasi hoon…. Aur sadaiv hi unke saath rehti hoon… toh thoda bahut maine bhi sikh liya…
CGM: Tumhare acharya ka naam kya hai???
Cornelia: Unka naam hai…….[then suddenly stops] Kyon bandhu??? bhala main tumhe apne acharya ka naam kyon bataaun???? Apne bare mein toh apna sahi naam tak nahin bataaya… aur mere bare mein prashn puchne mein lage huye ho..!!!!! Ab agar ek aur prashn pucha na toh tumhari hi talwaar se tumpar hi vaar karoongi…… Sidhe sidhe chalte jaao!!!
CGM: Hmmm….. Sidhe sidhe???...[then suddenly stops] Ruko!!!! [then pointing towards a nearby tree] Ye ped main pehle bhi dekh chuka hoon…
Cornelia: Saare ped toh ek jaise hi dikhte hain!!!
CGM: nahin !!!! iss ped par ek khaas nishaan ankit hai jo vanvaasi raasta yaad rakhne ke liye banaate hai….. Tumhe pata hai iska arth kya hai???? Yahi ki ye jungle utna bhi bada nahin hai jitna hume dikh raha hai….. balki hum bahut der se "gol-gol" ghum rahen hain… ek hi jagah par se baar baar guzar rahen hain…. Tabhi toh sochun!!!! Raat bitne ko aayi… hum ab tak baahar kyon nahin nikle….
Cornelia: Toh ab kya???
CGM: Mujhe lagta hai wahaan koi hai…. [pointing in opposite direction to their path]
Cornelia: Toh chalo!!! Chal ke raasta poochte hain???
CGM: Are ruko!!! Phir se koi aadivaasi hua toh???
Cornelia: Toh tum ho na!!!! Pachchisvi kala dikhane ke liye!!! [Cornelia smiles and they both move there]
[On going nearby they see a Jain monk meditating under a tree]
Cornelia: Suniye…. Rishi var……. kya aap humein yahaan se baahar jaane ka raasta bata sakte hain???
Monk: Yahaan se baahar jaane ka toh sirf ek hi marg hai… [pointing his finger toward the sky]
Cornelia: ye lo!!!!! Ab yahaan se baahar jaane ke liye marna padega…. Main marna nahin chahti….
CGM: wo jungle ki nahin iss duniya se baahar jaane ki baat kar rahein hain…
Cornelia: par maine toh jungle ke bare mein pucha tha na????
CGM: ye ek Jain hain……… sanyas aur adhyatm ka jeevan vyatit karte hain… isiliye aisi baatein kar rahen hain… inse aadar se baat karo…
Cornelia: Adhyatm guru!!!! Kripya bataane ka kasht karenge ki iss jungle se baahar jaane ka kya marg hai??
Monk: Kasht!!!! Yahi toh hai har musibat ka kaaran!!! Aur yahi hai har musibat ka upaye!! Kasht hai kyonki humse bhool hoti hai….. Bhool isliye hoti hai kyonki ichcha hai… ichcha ko khatm karo kasht svayam hi nasht ho jaayenge!!!
[meanwhile CGM was listening to his every word very carefully]
Cornelia: [to CGM] Ab agar inki ek aur baat mere dimaag ke upar se gayi…. Toh inhe 'kasht' pahunchakar upar pachunchane mein mujhe koi "kasht" nahin hoga!!!
Monk:[ to Cornelia] Aisa nahin ki main jo bhi keh raha hoon wo tumhe samajh nahin aa raha… man hi man tum in baton se sahmati bhi rakhti ho bas maan nahin rahi kyonki man na chahti nahin…. Tum dono ko dekhkar… khaaskar is yuvak ko dekh kar main ye bhavishyavaani kar sakta hoon ki ek na ek din tum dono Mahavir jain ki sharan mein aavashya hi jaaoge!!!
Cornelia: Thik hai!!!! Jis din humne aisa kiya uss din aapko aavashya yaad rakhenge… abhi ke liye aap hume kripya yahaan se nikalne ka sahi marg bataayen…. Dekhiye raat ka akhiri peher chal raha hai aur subah hone se pehle mera shivir pahunchna mahatvapurna hai!!!
CGM: Ji rishi var!!!! ye hum dono ka ek saath pehla aur antim safar hai jise main jald se jald samapt karna chahta hun…
Monk: [pointing towards a tree] Us ped se sidhe chalte chale jaana!!! Aage ja kar ek nadi ki dhaar milegi … us dhaara ke kinaare kinaare chalte jaao…. Tumhe apni apni chavniyan dikh jaayengi…. Dhyaan rahe… pedo ke kaaran disha mat bhatakna!!!
Cornelia: Dhanyawaad!!! Chalo ab…. Waise bhi maine pairon mein kuch bhi nahin pehna jiske kaaran pairon mein bahut tivra dard ho raha hai……..
[they were abt to leave when the monk called CGM]
Monk: Suno yuvak!!!!
CGM: Ji!! Aapne bulaya??
Monk: dekhne se tum ek yodhdha lagte ho!! Aaj tak kayi logo ki hatya ki hogi tumne… hai na???
CGM: keval unhe unke apraadho ka dand diya…
Monk: Tumhe nahin lagta dand dena ishwar ka kaam hai??? Aakhir jinko tumne maara unhe jeevan jab ishwar ne diye … to unse jeevan ko cheen lena bhi toh ishwaar ka hi kaam hai na????
[Hearing this CGM remains speechless for few moments…. It was the first time when someone's thoughts other that his Acharya's had made him think so seriously… Cornelia observes this and answers in place of CGM]
Cornelia: Bilkul satya kaha aapne… Manushyon ko dand dena ishwar ka hi kaam hai parantu unhe ishwar ke paas pahunchana humara kaam hai!!!!! [smiles]
[hearing this the monk also smiles though he said nothing ahead…. ]
Cornelia: Chalte hain… jaisa is 'yuvak' ne kaha ki ye haumara saath mein akhiri safar hain aur main bhi ise jald se jald samapt karna chahti hun…..
CGM: Namaste!!!! [then CGM and Cornelia go in the direction told by the monk]
Monk [to himself]: Ab inhe kaun samajhaye??? Ki ye inke safar ka ant nahi balki aarambh hai!!! Ye kaam samay par hi chod dena chahiye!!!!
[They both followed the instructions given by the monk, soon they came out of the forest which was really very small as CGM predicted and then followed the stream which took them to the places where Greek camp was present surrounded of thousands of Indian camps.]
CGM: Antatah…. Hum pahunch hi gaye!!!! Wo bhi suryoday se thik pehle!! [to Cornelia] Jaao apne shivir mein jald se jald chali jaao…. Kuch hi shan mein suryoday hone wala hai!!!
Cornelia: Haan!!! Mujhe jaana chahiye… Par jaane se pehle ek baat bolun?? Tum ek bahut achche yodhdha ho… Kyonki mere un sainikon ko pal bhar mein dher karna koi saral karya nahin…
CGM: Dhanyawad!!! Waise Tum bhi kuch kam nahin…. Maine pehli baar kisi stri ko yudhdha kala mein itna nipunn dekha hai!!! Iske bawajood… Main tumse dobara kabhi nahin milna chahunga!!!
Cornelia: Jaisa ki maine pehle kaha…. Tum bhi koi swarg se utare devta putra nahin ho!!! Jaa rahin hoon main…. Aur ye lo!!! Apni sadi gali talwaar!!!! Kisi din tumhe bataaungi ki achchi talwaar kise kehtein hain?
[both then moved to their respective camps]
Part8 done guys... feel free to comment!!!!
Precap for part 9- The real secret of Amatya finally revealed...
and did u ever think what was written in that soochna patra????
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...
[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...
281