FF:Maurya- The Samrat [Part23 updated on pg 56] - Page 8

Created

Last reply

Replies

368

Views

89.2k

Users

35

Likes

534

Frequent Posters

justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#71

Originally posted by: sara212


pla update soon n try to do it little more longer..its a req..

sara


thnx... sara, bharti, Prachi ..🤗.@ sara212 are u trying to say that i should write longer updates?????? if yes then i have no problem because all my updates are usually long when i write them initially... I edit very much of it to make it as short as possible so that everyone can read it easily... but as now u are requesting... i'll now try making it longer...😉
Edited by justjayati - 13 years ago
ashi.melodyfire thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 13 years ago
#72
so good jayati yaar net work nahi kar raha tha
isliye mein roz if par tadapti reh ti thi 😭😭😭
but ab net chal gaya hai 😊
yaar all the parts were simply awesome and aashika as yashodhara really love her

justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#73
Are... good to see you back!!!!!!!!!🤗
Missed u a lot!!!!!!!😭
radhikarani thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#74
vry gr8.
Hya jayati, hv my xam, wl remain absnt nw
frozen.devil thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 13 years ago
#75
plz update soon, superb storyline.
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#76

Part-7

Catch me if you can

The same night…

Mountanious region of Nagaraa, In the palace of Malayaketu…

[a soldier arrives in the court]

Soldier: Maharaj!!! Takshshila ke Acharya aur Magadhpati Chandragupta Maurya ke pramukh salahkaar, Acharya Chanakya aapse milne ki abhilasha rakhte hain…

Malayaketu: Kya??? Acharya Chanakya humse milne aaye hain??? Hmmm…. Ye toh hona hi tha!! Unhe sa-adar humare paas le aao!!!

[the soldier nods and after some time Chanakya enters. The time he entered, the whole atmosphere became quiet and still as if the time itself was paying respect to him by stopping itself…]

Chanakya: [joining his hand]Parvateshwar putra Malayaketu ko mera Namaskar…

Malayaketu: Humari aur humari saari janta ki taraf se bhi aapka humare rajya mein swaagat hai Brahman Dev!! [then showing him the seat] Baithiye!!!...[chanakya sits] Kshama kijiyega parantu aapka aise yun achanak aana…… Koi mahatvapurna baat????

Chanakya: Ji haan!!! Mujhe yeh soochna mili hai ki Magadh ke purva Amatya, Mudra Rakshas, Samrat Chandragupta ke Magadh ke sinhasan par aane ke baad, Magadh se bhaag kar aapke rajya mein hi aaye hain…. Main chahoonga ki aap unhe humare hawale kar dein… Anyatha, sankat aap hi ko jhelna pad sakta hai….

Malayaketu: Kya aap hume dhamki de rahe hain???

Chanakya: Main to bas aapko chetavni de raha hoon…. Aapke pita Raja Puru ne sadaiv hi meri sahayata ki hai aur isiliye chahoonga ki aap bhi apne pita ki tarah meri sahayata karein…

Malayaketu: Kya hum jaan sakte hain ki Mudra Rakshas ne aisa kya kiya hai jo aap itni varshon se unhe dhoondh rahein hain???

Chanakya: Dhananand ke Magadh Sinhasan se apadast hone ke baad Main chahta tha ki Mudra Rakshas Amatya bane rahein…. Parantu who nahi maante… Phir bahut dino ke prayas ke baad unhone mera yeh prastav sweekar kar liya… Kintu mujhe is baat ka abhaas na tha ki unke mastiksh mein koi aur hi shadyantra chal raha tha… Unhone ek vish kanya ko niyukta kiya…

Malayaketu: Vishkanya??? Kisliye???

Chanakya: Samrat ko marne ke liye…. Samrat Chandragupta ke chaaro taraf sadaiv kayi sainik niyukta rehte hain jisme se adhiktar striyan hain… Amatya ne ek vishkanya ko us sena tukdi mein jagah dilva di jispar Samrat ki suraksha ka dayitva rehta hai… Aur phir ek din us Vishkanya ne sahi avsar dekh kar Samrat ke bhojan mein vish mila diya…. Wo toh mujhe sandeh ho gaya tha isliye maine apne sainiko ko tainaat rakha tha…. Isi liye Samrat ki jaan bach gayi… Parantu iske turant baad Amatya pata nahin kahan chale gaye… Phir ek din mujhe ye soochna mili ki unhone aapse sharan li hai… Kya ye satya hai????

Malayaketu: Ye satya hai ki Amatya Mudra Rakshas ne mujhse sharan lithi ……… aur maine di bhi….. Parantu kuch ek varsh pehele who yahaan se chale gaye….

Chanakya: jab unhe pata chala ki hum yahaan aa rahein hai… yavano ka saamna karne.. tab???[smiles] Is samay kahaan hain wo?

Malayaketu: pata nahin …. Par shayad Greek chawni mein…. Suna hai wo wahaan kisi rajkiya vyakti ko bhartiya bhasha sikhate hain….

Chanakya: Pehle Dhananand aur ab ye Yavan!!!!

[Malayaketu remains slient, Chanakya stands up and was about to go when Malayaketu asks him]

Malayaketu: Acharya, Aap ab Amatya Rakshas ke saath kya karne wale hain???

Chanakya: Unhe dhoondh kar………….phir se magadh ka Amatya banana hai!!!

Malayaketu: Kya??? Ye jaante huye bhi ki unhone ek baar aapke Samrat ko maarne ka shadyant racha tha aap unhe amatya banana chahte hain….. phir se??? Unhe koi dand nahin milega???

Chanakya: Haan!!!! Aavashyak hai… unhe yaad dilana ki unhe Dhananand ke prati nahin balki Magadh ke prati aastha rakhni hai!!!! Aur jahaan tak rahi dand ki baat…. Wo toh unhe aavashya milega…. Chalta hun…

[Chanakya leaves the palace, and coming outside]

Chanakya: kab tak ye 'luka chipi' ka khel khelenge Amatya??? Aapko kabhi na kabhi toh pakad hi loonga… Aapko Magadh ka Amatya puri nishtha se ban na hi hoga!!!!


In jungle…..

[Cornelia and CGM stopped after running quite far]

Cornelia: [laughing out loud] Kasam se!!!! bade dino baad kisi ko aisa moorkh banaya hai!!! Pachchisvi kala???? Hahahah [seeing CGM silent] Mujhe pata hai tumhe bhi hasi aa rahi hai…. Bas mere saamne hasna nahin chahte…. Waise tumhara chehra bhi dekhne layak tha… aur vishwaas nahin hota ki tum sach mein ladne ko taiyaar ho gaye the!!!![again laughs]

CGM: [laughs] Achcha thik hai ….. manta hun…. Par ek baat bataao.. wo phir waapas aayega toh phir se yahi karogi??? Musibaton ko kab tak taala ja sakta hai… kabhi na kabhi toh unka saamna karna padega na???

Cornelia: Satya kaha tumne bandhu!!! Parantu mujhe kisi ne sikhaya hai ki har baar har kisi ke yudhdha kar ke hi toh musibaton ko nahin khatm kiya jaa sakta naa??? Kabhi kabhi dimaag lagakar unhe taalne mein hi bhalai hoti hai… Jaise abhi…. Kya bharosa??? Agar tum us aadivaasi ko hara bhi dete toh wo phir se yudhdha karne ki maang karta… aur tab tak karte rehta jab tak hum teeno mein se ek mar nahin jaata… Aatma raksha to thik hai parantu.. bal ka dikhava karne ke liye kisi ki hatya karna….. mere liye paap hai… aur maine us vyakti ko aur tumhe abhi abhi ek paap karne se roka hai!!!

CGM: Pata hai??? Tum to bilkul mere Acharya jaisi baatein karti ho!!!

Cornelia: Bhala mujhe kaise pata hoga bandhu??? Main tumhare Acharya se mili hun kya???

CGM: Ye 'bandhu-bandhu' kya laga rakha hai???? Mera naam bataaya na maine???

Cornelia: Haan bataaya …. Parantu sahi naam aur pehchaan nahin bataayi!!!

CGM: Tumhe aisa kyon lagta hai ki maine tumhe meri sahi pehchaan nahin bataayi???

Cornelia: Kyonki tumhara hriday bahut swachcha hai aur…… tumhe jhooth bolne nahin aata…. [saying this, cornelia steps forward and after some time CGM also follows her]


In Magadha…..

[Yashodhara enters the prince's palace and notices Bindusara sitting near his window as before but this time with an expression of anger on his face]

Yashodhara: Are ye kya.???? Phir se shuru ho gaye???? Main jab bhi yahaan aati hun tum is khidki ke paas hi milte ho!!! Koi khaas lagaav hai kya tumhe is khidki se…. [then seeing his face] Chalo kuch to pragati ki hai tumne…. Pichli baar aayi thi toh udaasi chayi hui thi mukh par… iss baar gussa?? Kya baat hai????

Bindusara: Mujhe is samay hasi-uphaas karne mein koi ruchi nahin, yasho!!!

Yashodhara: Achcha thik hai…. Par bataao toh sahi huya kya hai??? Are tumne rani Kalyani se Kshama maangi???

Bindusara: Naam mat lo unka ……!!!! Wahi to hain mere iss krodh ka karan!!!!

Yashodhara: Tum dono ka phir koi jhagda ho gaya kya???

Bindusara: Tumhe pata hai unhone kya kiya??? Unhone mere pitaji ko meri ninda karte huye ek patra likha…. Iski bavajood ki maine unse kshama maang li thi… Aur maine jitna kiya nahin tha… usse adhik toh unhone badha chadha kar likh diya hoga patra mein!!! Pata nahin Pitaji aur Acharya mere baare mein kya soch rahein honge???? Mujhe ye sab apne das se pata chala hai…

Yashodhara: Tumne apne daas ko Rani ki jaasoosi karne ke liye niyukt kiya hai????!!!!!!!!!!

[Bindusara nods]

Yashodhara: Tum paagal ho kya???????[then suddenly lowering her voice] Agar kisi ko pata chala iske bare mein to pata hai Samrat aur Acharya tumhare saath kya karenge????

Bindusara: Pichle teen varshon se ye karta aa raha hoon!!! Kisi ko pata chala???? Agar ab tak nahin chala toh ab kya kisi ko khabar hogi iss baat ki????

Yashodhara: Hey bhagwaan!!!!!! Teen varshon se????? Agar aisi aur bhi koi baat hai jo tumne mujhe nahin bataayi …………… toh bataana bhi mat…… kyonki aaj ke baad main tumse baat tak nahin karne waali!!!

[Yashodhara leaves in anger]

Bindusara: Are yasho!!!!... Suno na!!!... Are ab se har baat bataaunga!!!!... Sachchi!!!... Yasho!!! Chali gayi…. Ab apna krodh shaant karun ya ise manaaun???? Krodh toh shaant ho hi gaya hai isse baat karke…. Ise hi manaata hun……… Yasho!!!![ Bindusara also goes behind Yashodhara]

Meanwhile in the palace of Nagaara

[Malayeketu is standing tensed in his room lost in his thoughts when his minister Indravraja arrives]

Indravraja: Maharaj!!! Aap chintit dikhayi de rahen hain…. Jabse Chanakya aapse milkar gaye hain tab se hi dekh raha hun ki aap kinhi vichaaron mein khoye huye hain….. Sab kushal to hai na??? Kya baat huyi unki aapse??

[Indravraja asked it as he was not present there at that time]

Malayaketu: Maine ek bahut bada sankat mol liya hai khud par….

Indravraja: Kya??

Malayaketu: Maine Acharya Chanakya se ye kaha ki Amatya ne Magadhpati ke saath job hi kiya hume uska koi gyaat nahin tha aur unhone humse sharan toh li thi.. parantu kuch ek saal pehle who na jaane kahan chale gaye….

Indravraja: Maharaj!!! Aapne itni bada jhooth kyon bola Chanakya se….. Aur toh aur aapne ye baat bhi chupaayi ki aapne sab kuch jante huye amatya ko sharan di thi aur……. un yavano ke shivir bhi unko aap hi ne pahunchaya tha….. antatah …. Aapne aisa kyon kiya????

Malayaketu: Toh aur kya karta??? Mere saath saath tum bhi iss baat se bhali bhaanti parichit ho ki Magadh Samrat ka agla nishaana Gandhara aur phir humara parvitiya rajya hai… Amatya Samrat ke ghor shatru hain ……. Aur agar humein Chandragupta se bachna hai toh unki sahayata leni padegi… Parantu ab ye lag raha hai ki hum sabhi dishaon se phans gayen hain…. Agar Magadh ki sahayata karo toh sambhav hai ki apna matlab pura hote hi who hum aakraman kar dein …. Agar Amatya aur yavanon ki sahayata karte hain toh Magadh humein aavashya hi rondh dalega!!!!! Karein toh kya???

Indravraja: Hausla rakhein maharaj…. Chanakya mera ghanishta mitra hai…. Main unse iss vishaya par aavashya hi baat karoonga… Mujhe nahin lagta aisa kuch bhi hoga jo aap soch rahein hain……

Part-7 done!!!

Kaisa laga??? PLZ do comment and if wanna give any suggestions for the FF... u r most welcome!!!!😊

Precap for the next part: [not this time] 😉

swethasyam08 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 13 years ago
#77
too good part Jayathi! loved the convo of bindu n yashodhara


Swetha
joepre thumbnail
Posted: 13 years ago
#78
❤️well...
av tak padha nai hai...n well jayati tumne likha hga toi acha he hoga... 😡😛
justjayati thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 13 years ago
#79
dusht!!!!!! finally account banaya!!!!!!!! ab jaldi se padh kar bataiyio kaisa laga????????????
sambhavami thumbnail
Posted: 13 years ago
#80
Good !! Especially The Chandu-Helen Part !!!!!!!!!!!!!!😆👏😆👏😆

Edited by Radhikarani123 - 13 years ago

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1018 page no 28

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: abavi

4 years ago

Arhi FF: Destiny Games T6 (Chapter 23.2 Updated 3rd Mar 2025)

From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

1 years ago

RiKara SS : Safed (chapter 7 updated)

[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

7 months ago

NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated) NehTaj SS ~ Written In The Stars (chapter 3 updated)

[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".