Bigg Boss 19 Daily Discussion Thread - 12th Sept 2025
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 12, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025- BD vs HK 3rd Match, Group B, Abu Dhabi 🏏
🏏T20 Asia Cup 2025- Pak vs Oman 4th Match, Group A, Dubai🏏
HUM JEET GAYE 12.9
Is it just me or…
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sep 13, 2025 EDT
Patrama Prem ~ A Gosham SS ~ Chapter 4 on pg 2
Anupamaa 12 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Aabeer Gulaal reviews and box office
PARAYI AURAT 13.9
The 71st National Film Awards are September 23 in Delhi
Tanya was fab today👏🏻
🏏T20 Asia Cup 2025 Ban vs Sri Lanka, 5th Match, Group B, Abu Dhabi🏏
Originally posted by: arushi02
Kya baat hai Jayati!!
Part 11
Ek naya safar…
Outside Indian Camp….
[Chanakya comes out of his camp and observes CGM holding two letters in his hands]
Chanakya: Ye tumhare haath mein kya hai??...Chandragupta????
CGM: [suddenly coming out of his thoughts] Acharya!!! Ye patra maine Bindusara ke liye likha hai… Use maine apne pichle patra mein kaha tha ki hum shighra hi Magadh waapas lautenge!! Parantu jo ki hum ab Macedonia jaa rahein hai aur ….. wapas Magadh lautne mein kuch samay lagega…. Isiliye socha ki use is baat ki soochna swayam hi de doon….. main nahin chahta use ye baat kisi durse madhyam se sunne ko mile…. Yaad hai na pichli baar bhi hum Mahal laute bina… yahaan aa gaye the toh usne bhojan karna hi chod diya tha…..[laughs]
Chanakya: Tumhara putra hai….. hathth toh karega hi!!! [then indicating towards the second letter] Aur who doosra patra ?????
CGM: Ye!!! Ye toh jab main kal raat laut raha tha tab van mein mila…. Ye usika hai…. Bas yuhi jaanne ki ichcha huyi ki iss patra mein aisi kya vishesh soochna thi jo vo yavan sainik itni raat mein ek daasi ko dene aaye the….. ise abhi padh nahin sakta kyonki….. ye Greek bhasha mein likha hua hai…. Jaise hi Mehir se miloonga…. Use padh kar sunane ko keh doonga……..
[CGM had already told Chanakya about Helen and everything that happened last night when they were returning from Greek Camp after finalizing the clauses of Treaty]
CGM: Acharya!!! Ek vichaar mujhe aaj subah se pareshaan kar raha hai…….Kya hum Macedonia jaakar sahi kar rahein hai????
Chanakya: Sadaiv yaadrakho Chandragupta!!!!!! Vichaaro ke swami bano… Vicharon ko apna swami mat banne do!!!! Apne nirnay par antim samay tak vishwaas rakho aur usi par adig raho!!!!! Aur agar kabhi aisa lage ki tumhara liya hua nirnay sahi nahi hai…..toh…. use sahi banaao!!!!!! Par ek baar jo nirnay le liya….. use kabhi mat badlo!!!!!!
CGM: JI acharya!!!! Pata nahin kyon Acharya….. aisa lag raha hai ki…. Ye Macedonia ki yatra…. Koi aam yatra nahin hogi humare liye….. bhavishya mein kuch toh… hone wala hai….. Kuch aisa jo keval Magadh ya Greece ki hi nahi balki…….. hum sab ke niji jeevan par bhi prabhav daalega….. Isiliye mere man mein ye sandeh utha…..
[Meanwhile, a soldier comes from back and informs that everything is ready for the journey]
Chanakya [to CGM]: jaakar so jaao Chandragupta….. Kal pau fat te hi… Macedonia ke liye ravaana hona hai…. Humare saath Seleucus aur uski saari sena bhi rahegi…..
[CGM says nothing further, bows his head joining both his hands and moves to his camp to take some sleep]
Meanwhile in Egypt
[When such a vast historical point of world was about to arrive, Ptolemy who was in Egypt at that time, came to know about it very soon… He could easily predict the next move of Seleucus as well as Cassender , who was waiting for the moment when he could attack Seleucus…. But Ptolemy was not sure about the next move of Sandrocottos as Sandrocottos was a complete surprise to his eyes when he defeated Seleucus' army so easily. So he called his general Bedros to talk about the current situation Of Greece as well as India]
Bedros enters the room where Ptolemy was standing near his window looking at the vast expanse of sea in front of his eyes…
Bedros: Aapne bulaya ….. Maharaj????
Ptolemy: Haan Bedros!!! Aaao!!! Toh kya ho raha hai bharat mein is samay??? Koi soochna mili???
Bedros: Haan Maharaj!!... abhi abhi soochna mili hai ki Sandrocottos Seleucus ko yudhdha mein parast karne ke baad unke hi saath Macedonia aa rahe hain…..
Ptolemy: Kya???? Macedonia??? Paratu vo kyon???
Bedros: Kisi ko nahin pata ……
Ptolemy: Ye Sandrocottos ke dimaag mein kya chal kya raha hai???
Bedros: Keval Sandrocottos hi nahin…. Balki Seleucus ke dimaag bhi mein kya chal raha hai… Kisi ko nahin pata…. Wo bhala unhe apne saath Macedonia kyon lekar jaa rahein hain.???? Aur Cassender ne bhi abtak aakraman ke koi lakshan nahin dikhaye hain!!!! Aapko kya lagta hai? Kya hone wala hai??
Ptolemy: Sandrocottos ka toh mujhe bhi kuch sahi sahi gyaan nahin hai…. Parantu haan….. main itna aavashya jaanta hun hi…. Ki Seleucus, apni is haar ke baad chup nahin baithne wala….. Wo unhe Macedonia toh lekar jaa raha hai…… Kintu uske man mein bhi… aavashya hi koi chaal chal rahi hai…. Sandrocottos se badla lene ke liya vo jald hi aapna daavkhelega!!! Parantu uska ye daav…. Sandrocottos ki teesri shart par nirbhar karta hai… Aur jahaan tak rahi Cassender ki baat…. Toh wo bhi jald hi kuch na kuch aavashya karega!!! Wo shaant hai toh keval Magadh ke darr se!!!
Bedros: aisi paristhitiyon mein hum kya karein maharaj???
Ptolemy: yahaan door Misra [Egypt] mein baithkar anand lo!!!!!!! Antatah…. Hume bhi toh Seleucus aur Cassender ke rajyon par vijay paani hai!!!!!!! Toh kyon na unhe hi aapas mein ladne dein!!!! Humara kaam saral ho jayega!!!!
Bedros: Maharaj!!! Aap toh jaante hi hain ki Cassender… Seleucus ki putri Cornelia se vivaah bhi karna chahta hai……… Aapko kya lagta hai???? Kya seleucus aisa hone denge!!! Kyonki sambhav hai ki Cassender se mitrata karne ke liye who apni putri ka haath uske haath mein de dein!!!
Ptolemy: Seleucus se pehle khud Cornelia aisa nahin hone degi…… jaantu hun use!!! Budhdhi, dhairya aur sundarta ka adbhut mishran hai vo ladki!!!! Aur waise bhi Seleucus bhali bhanti jaanta hai ki Cornelia uske liye abhi sabse bada hathiyaar hai…. Use who cassender ke haanthon vyartha nahin jaane dega!!!! Cornelia ke liye uske man mein Aavashya hi koi yojna chal rahi hai!!!
Bedros: Hathiyaar??????? Wo kaise???
Ptolemy: Pratiksha karo!!! Khud samajh mein aa jayega!!!
Bedros: Toh kya aapko rajkumari Cornelia ke liye koi sahanubhuti nahin????
Ptolemy: Aavashya hai!!! Uske Bachpan se jaanta hun use!!! Yeh baat kisi ko pata nahin ki use yudhdha kala uske bachpan mein maine hi sikhayi thi… Yahan tak ki ye baat Seleucus ko bhi nahin pata ki Cornelia yudhdha kala mein nipunn hai….. Kyonki jis samaj mein hum rehte hain wahan striyon ka in gatividhiyon mein shaamil hona sahi nahin mana jata isiliye maine hi use kaha tha ki iss baat ka pata wo kisi ko na chalne de aur astra-shastra ka prayog keval aatma raksha ke liye kare!!!!! Asha hai ki tumhe tumhare prashnon ka uttar mil gaya hoga….. Ab jaao.. Aur haan !! yunhi…. Mujhe soochna pahunchate rehna!!!
[Bedros then bows his head and then leaves… Ptolemy again stands near the window and again get lost in his world of thoughts]
In the morning …….On the banks of river Beas…
[The two armies were now ready to leave and start a new journey…. The Greeks were waiting for CGM to arrive when Cornelia, and Agatha arrive…]
Cornelia:[to Omegas] Ye sab kisiki pratiksha kar rahein hain???? Hume toh abtak Mecedonia ke liye ravaana ho jana chahiye tha!!
Omegas: Hum sab Sandrocottos ki pratiksha kar rahein hain Rajkumari!!!! Wo aate hi honge….
[As soon as Omegas said this…. CGM, Chanakya along with his special army arrived… They both were on their horses… Seeing them Cornelia is in a shock]
Omegas: Ye lo!!! Aa gaye!!!
Cornelia: Haan par Sandrocottos kahan hai???
Omegas: Wo to raha!!!! [then pointing towards CGM] Wo shwet ghode par!!!!
Cornelia: [with her eyes wide open] Ye!!!!!!!! Sandrocottos!!!!!!
Omegas: Kyon sandeh hai?????
Cornelia: nahin nahin!!!!!! Mera toh saara sandeh hi door ho gaya!!!! [with an evil smile]"CHANDU!!!!"
Agatha: ab ye kaun hai?????
Cornelia: Tha ek!!!!! Magadh ki sena ka sainik!!!!!
[The time she told this line…. CGM's eyes fell upon Cornelia who was consistently staring him with an unusual expression and a smile on her face… By this time he had understood that his reality is already revealed to her…. Although Helen's correct identity was still a secret]
[They then began their journey………….]
Part 11 done guys...kaisa laga...plz feel free to comment...😃
Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...
From the author's desk : Welcome to thread 6! I started to write this story years ago when the show was live and now when I look back on what...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
[NOCOPY] Hello readers! I am Aditi, I have been writing stories here but this is my first short story on RiKara. Alike, you all have been...
[NOCOPY] Cover credits to Shibani aka oh_nakhrewaali P R O L O G U E The whole house was decorated like a bride. The lights were shimmering,...
281