~Part 13~
Arnav and Khushi are walking towards the car. Arnav waits up for Khushi who is jogging to keep up with his pace. "Vaise tum kahaa chalne ki baat kar rahi ho?" says Arnav.
Khushi stops and looks at him.
He says "I mean, tumhaare hisaab se mai logo ke saamne toh aise hi bol deta hu ki tumhe apne saath le jaa raha hu lekin actually leke nahi jaata na. Toh iss baar kyu lagaa ki sachme le jaa raha hu?"
"Kyunki aapne Anjali Di ka naam liya aur hume nahi lagta ki aap unka naam leke jhoot bolenge"
Arnav looked surprised, but just says "Chalo gaadi mei baitho."
They get into the car and set out to go home.
Khushi says "Vaise aap roz toh lunch ke liye ghar nahi jaate hai na? Aaj kya baat hai?"
"Di ne bola hai lunch pe aane ke liye."
"Oh achcha. Kuch khaas baat hai kya?"
"I don't think so. Kabhi kabhi Di ka mood hota hai toh bol deti hai ghar pe khaane ko."
"Aap apni Di se bahut pyaar karte hai na Arnav Sir?"
"Tum bhi toh apni Jiji se pyaar karti ho."
"Haan. Vaise Anjali Ji aur humaari Jiji dono ek jaisi hai. Apne choto se bahut pyaar karte hai aur humaari sabse zyaada chinta karte."
"Aur humaare saath sabse zyaada zabardasti bhi!" replies Arnav.
"Lekin hum dono sabse zyaada baat bhi toh unhi ki maante hai."
"Aur ye baat sabse zyaada wahi toh jaanti hai" says Arnav and they both smile.
Suddenly, they realize that they are having a normal conversation without even arguing. To cover the awkwardness, Arnav turns on the radio and starts listening to business news.
Khushi looks at him and says "Aap koi achcha gaana bhi nahi laga sakte?"
"Na ye koi club hai aur na hi mai DJ hu."
"Ab ye dije kaun hai?"
"Koi nahi hai. Meri gaadi mei gaane nahi hai bas."
"Jhoot mat boliye. Kaunse radio mei gaana nahi hota hai?"
"Tum thodi der chup chaap baithogi?" sighed Arnav.
"Aap.." starts Khushi, but her phone starts ringing.
She looks at the number and says "arre ye toh ghar ka number hai"
She picks up the phone "Hello?"
It's Payal "Khushi? Itna achcha lagra hai tumhaari aawaz sunke! Tumhaara phone theek ho gaya?"
"Haan Jiji! Woh Arnav Sir ne theek karva.." She quickly looks at Arnav to find him look away from her. "humaara matlab hai ki haan theek ho gaya phone. Amma Bauji kaise hai?"
"Kaise honge? Pareshaan hai. Aur zyaada pareshaan isliye hai ki hum tumhe akele chodke aa gaye"
"Hum akele kahaa hai Jiji. Humaare saath toh.." she pauses and feels Arnav's eyes on her. "Humaara matlab hai ki hum Arnav Sir ke ghar pe ruke hai na. Toh Anjali ji hai wahaa jo humaara bahu khyaal rakhti hai."
"Haan ye toh achcha hai ki woh hai tumhaare saath. Woh Arnav Singh Raizada bahut pareshaan karta hai kya tumhe?"
"Nahi Jiji. Woh bhi humaara bahut khyaal rakhte hai.." She says looking at Arnav.
"Kya?" says Payal.
Khushi blushes and looks away when Arnav turns to meet her eyes and says "Humaara matlab hai ki nahi karte. Bilkul pareshan nahi karte Jiji. Ghar pe sab vaise theek toh hai na?"
"Haan Khushi filhaal toh sab theek hai. Vaise humne unhe ye bataaya toh nahi ki tum thode paise lekar aaogi. Humne socha ki kisi kaaran agar paiso ka intezaam nahi ho paya toh woh aur dukhi honge na."
"Ye achcha kiya Jiji. Vaise hume lagta toh nahi ki aisa kuch hoga."
"Haan usdin uss ASR ki baatein sunke hume bhi lagaa ki woh ab aur jhagda nahi karna chahta."
"Ye galat kahaa Jiji aapna. Din raat jhagde ke alaava woh kuch kar hi nahi sakta!"
"Kya hua Khushi? Kuch hua hai kya?"
"Arre nahi Jiji kuch bhi nahi, aap chinta mat kijiye."
"Achcha theek hai. Tum apna khyaal rakhna aur phone kar lena hume."
"Haan Jiji hum karenge. Rakhte hai" and she hangs up.
Arnav stops the car in front of the house. They get out and walk into the house together. Lavanya comes running to hu Arnav, but stops when she sees Khushi with him.
"Chamkili? Di bataa rahi thi ki tum yahaa ho. Kaam ke time par kam se kam office mei nahi reh sakti?"
Khushi was about to say something, but Arnav says "Lavanya I've told you before that she has a name and that I do not want to hear that word again. Do you ever understand anything the first time?"
Khushi looks at Arnav surprised. Lavanya, too is a bit flustered and says "ASR.."
"Aur vaise hum toh kam se kam office se hi aa rahe hai. Tumne toh do dino se office dekha bhi nahi hai na? How can you be so irresponsible Lavanya?"
"ASR.."
Anjali comes by at that time and says "Achcha hua aap log aa gaye. Lunch serve ho gaya hai."
"Haan Di chaliye, mai bas aa hi raha hu."
Khushi and Anjali start walking away. Khushi turns around to see if Arnav is talking to Lavanya. Then, she smacks herself mentally wondering why she cares.
She and Anjali wait for some time for Arnav and then on Anjali's insistence that sometimes he eats at odd hours due to work, they finish their lunch without him. After lunch, they just sit and chat in the dining room itself.
Anjali says "Khushi kal raat ko kaafi der ho gayi thi na. Chaho toh thoda aaraam kar lijiye."
"Arre nahi Anjali ji. Hum toh bas Arnav Sir ka intezaar kar rahe hai. Woh khaana kha le toh office ke liye niklenge hum"
"Arre haan. Na jaane Chote kahaa reh gaye."
Just then, Arnav walks in.
"Itni der lagaa di Chote. Humne toh kha bhi liya. Baitho abhi, hum khaana garam karke laate hai."
Anjali is about to get up when Khushi stops her. "Anjali ji aap baithiye. Khaana hum garam karke le aate hai." She puts all the bowls onto a tray and takes it into the kitchen.
"Haan bhai" starts Anjali "ab toh lagta hai humse zyaada tumhaara khyaal rakhne koi aa gaya."
Arnav looks at her and says "Di aap kuch bhi bolti hain. vaise achcha hua woh andar chali gayi. Mujhe aapko bataana tha ki mai Lavanya ko ghar chodne gaya tha. Woh ab yahaa nahi rahegi."
Anjali looks at him and says "Oh? Achcha."
He says "Bas? Mujhe laga aap chauk jayengi"
"Isme chauknewaali kya baat hai? Voh ghar pe thi bhi toh tumhe na uska khyaal tha aur na hi fikar. Kabhi kabhi toh hume laga ki tumhe yaad bhi nahi ki woh yahaa rehti hai. Ye toh hona hi tha. Lekin hume laga nahi ki tum khud usko ghar jaane ko kahoge."
"Di maine usse exactly jaane ko nahi kahaa. Maine usse bas ye kahaa ki filhaal mai uske saath iss relationship ke liye tayyaar nahi hu. I guess because I broke up with her, she wanted to move out."
"Kya? tumne unke saath rishta hi tod diya?"
"Haan Di. Aur itna bhi reaction mat dijiye. Mai aap hi ki baato ke baare mei soch raha tha. Aap sahi keh rahi thi ki na mai usse time de pata hu aur na hi attention. In fact, it's not ki nahi de paata hu, it's more like nahi dena chahta. So for something I'm not even interested in, maine soch puure ghar ka mahol kyu kharaab karu."
"Chote tum jo bhi karna chahte ho, hum tumhaare saath hai. Jab toh Lavanya ko ghar pe laye the, hume laga toh nahi tha ki ye sahi hai, lekin humne socha woh tumhaari pasand hai isiliye humne tumhaara saath diya. Lekin tum dono ko ek saath dekhke pata chala woh tumhaari pasand hai hi nahi. Issliye iss baar hume lagta hai ki tumne sahi faisla liya"
Khushi walks in with the tray and places it on the table. She goes and keeps a plate in front of Arnav.
Arnav says "Kaafi der ho gayi. We should get back to work." He is about to get up when Khushi stops him and says "Kya?! Toh kya humne ye khaana iss kursi ke liye garam kiya hai?"
Arnav says "What?!"
"Aur nahi toh kya. Agar aapko khaana hi nahi tha toh hume garam karne kyu diya? Aapki manmaani ab khaane ke saath bhi shuru ho gaye aap. Hum garam karke laye hai na? Toh aap khaake nikaliye. Der ho rahi thi toh humaare aur Anjali ji ke saath hi kha lena chahiye tha." She starts serving.
Arnav looks very bewildered after hearing her scolding him. Since he wasn't sure what to say, he starts eating silently. Anjali was trying her best to not start laughing at the whole scene unfolding in front of her.
Arnav finishes his food and he and Khushi leave for work.
~End of Part 13~
Edited by Janet.Das - 14 years ago
193