Nupur ne pyar kiya deewangi ki hadh paar ki par kya bharosa bhi utna hi kiya apne pyar par...hum maante hai aise haalaat mein dil ka yun tootna laazmi hai jo ki uska toota hai...hume bhi behad takleef huyi uske haalat par aisa laga ki in haalaaton se woh nahi hum guzar rahein hai...bohat mushkil hojata hai khud par kaaboo pana...dil aur dimaag ke iss kashmakash mein zindagi ulajh kar rah jati hai...phir samajh nahi aata ki kya sahi hai aur kya galat...lekin jaisa ki aapne kaha ki dil kabhi galat nahi hota tou yaha Nupur dimag ko kyun haavi hone de rahi hai...pyar tou dil se kiya thaa na...isiliye tou itne saal alag hone ke bawajood bhi unpar aitbaar raha dekha jaye tou apne pyar par aitbaar raha...tou ab ek jhatke mein woh aitbaar kahan gayab hogaya ki ek mauka bhi na de unhe apne baat kehne ka...pyar kisi shart par nahi hota...bas hojata hai...tou phir yeh khud ko khatm karne ki shart ya phir yun kahen ki zidd kyun...!!!
Diya bohat acchi dost hai usne jis tarah Nupur ka saath diya kabiley tareef hai...lekin kabhi kabhi halaat aisey hojatey hai ke saara aalam saath ho tou bhi hum khud ko tanha patey hai...aaj Nupur ki halat kuch aisey hi hai...Nupur ka khud se yun sawaal karna bilkul jayaz hai...lekin dekha jayey tou yeh zindagi sawaal bankar tab saamne aati hai jab hum bharosa kho baithtey hai...aaj Nupur ka pyar to qayam dikha par bharosa nahi...isiliye yeh saarey sawaal aur jawab ka silsila shuru hua...Nupur ka yun bimaar parna zindagi se muh modna aisey mauke par bohat aam hai...par woh shayad yeh bhool gayi ke uske ehsaas aam nahi...aakhir itne saalon ka rishta itne dooriyon ke bawajood iss muqaam tak aaya to koi tou khaas baat hogi...!!!
Mayank ka yun call aana aur halaat ka jaiza lena yeh dekhata hai ki usey fikr hai...Nupur ka yun sawaal karna uska haq hai soo usne bilkul sahi kiya...lekin yahan bhi woh yeh bhool gayi ke zindagi ke kai sawaalon ke jawab sirf han ya naa mein nahi diya jaata...kuch sawaal sirf hai ya naa ke beech sulajhne ke jagah ulajh jati ai...aur Nupur ne yeh galati ki...zindagi ke itne aham sawaalon ke jawab han ya naa mein mangey...koi bhi faisla le par ek baar saamne wale ko mauqa tou de apni safai mein kuch kehne ka...hum apne dard mein itna kho jatey hai ki saamne walon ko nazar andaaz kar dete hai...aisa bhi tou ho sakta hai ki unko bhi usi ehsaas aur takleef se guzarna padh raha ho jinse hum guzar rahe hai...!!!
Ab aayi Mayank ki bari...hume nahi maloom ki unke dil aur dimaag mein kya chal raha hai na hi yeh keh sakte hai ki unhone aisa kyun kiya...bas itna keh saktey hai ki kisi bhi halaat mein hume dusron ke jazbaaton ki qadar karni chahiye...!!!
Nupur ko chahiye ke Mayank ko ek mauqa de aur Mayank ko chahiye ki woh Nupur ke saamne puri sachayi laye...!!!
Hume nahi maloom Neela aapko humare iss comment par kya feel hua bas itna kahenge ke agar kisi bhi tarah se aapko takleef diye to maazarat chahte hai...!!!
35