khwaish (sujal aur kashish ki) - Page 5

Created

Last reply

Replies

589

Views

129.7k

Users

40

Likes

2

Frequent Posters

PuIchritudinous thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#41
hey shakku kahan ho.... main apne precious comments kise doon 😳 😆
ja'an.vi <3 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 19 years ago
#42
Shruti ... where have u disappeared yet again 😭 please please post next part......eagerly waiting 😉
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#43
richa apney precious comment deney ko tayar ho jayo
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#44
khawaish
************************************************************ ************************************************************ ************************************************
Recap:-sujal yaad karta hai ki kaisey uski aur diya ki engagement hui thi .there was party given by garewals and sujal and kashish try to avoid each other next day they r going to office when kashish said she want to talk about something and both of them go to the farmhouse where kashish said she want divorce
********************************************************
now:-

sujal usko dekhta hai usko vishwaas nahi ho raha tha ki kashish ne abhi divorce ki baat ki hai .

woh kabhi sapney mai nahi soch sakta tha ki kabhi woh dono divorce ko lekar baat karegay woh khuch time to sirf kashish ko dekhta raha uske face pe koi bhi expression nahi tha.

magar khuch time baad uskey chehray pe sirf gussa tha. woh apney gussay par control karney ki koshish kar raha tha.magar bahut koshish karney ke baad bhi apney aap ko control nahi kar pa raha tha.

kashish sujal ko dekhti hai woh usey dekhkar hi bata sakti thi ki sujal bahut gussay mai hai magar woh janti thi ki agar aaj usney sujal se is baare mai baat nahi ki to woh kabhi bhi nahi kar payegi.

kashish ek baar phir se sujal se baat karney ki koshish karti hai

kashish-sujal please meri baat to suno

sujal interupt

sujal-kya sunu kashish tumehe khuch pata hai tum kya kahe rahi ho
kashish-sujal suno to meri baat divorce mai hi hum dono ki bhalai hai
sujal-kaisi bhalai hai kashish mai bhi to janu

kashish-please sujal meray liye bhi yeah decesion lena asaan nahi tha

kashish :-magar sujal aisey rishtey ka kya maney jo sirf naam ka ho sujal ab is rishtey mai khuch bhi nahi rahegya hai aur sirf naam ke rishtey ko khatam kar diya jaye to behtar hai.

sujal-kashish hamarey rishtey ko kab se naam ki jaroorat par gayi.
kashish-sujal kabhi kabhi jo rishtey kaiwal naam ke hote hai unkey tootney mai hi sab ki bhalai hai

kashish-aur waisey bhi sujal humarey is rishtey ke baarey mai kisi ko bhi nahi pata hai to agar yeah rishta tooth bhi jaye to kisi ko koi phark nahi paredga

pheli baar itney dino mai woh dono apney rishtey ko lekar baat kar rahe thai

sujal-kashish kisi ko koi phark pardey na pardey mujhe phark jaroor parta hai

kashish-sujal divorce hi hum dono ke liye theek hai ab tumahri zindagi mai diya aanay wali hai aur tumehe usey apni zindagi ka hissa banana hai woh tumahri honey wali patni hai uske saath tumahra saath janam ka rishta jorney wala hai aur iskey liye tumehe apney puraney rishtey ko chorna hoga

sujal-kashish tumehe mera woh rishta naazar aa raha hai jo ki abhi jura bhi nahi .
tum batao kashish mai us rishtey ka kya karu jo mujhse phelay se jura hua hai
kashish tumehe woh saath pheray naazar aa rahe hai jo abhi huey bhi nahi
tum mujhe batao mai un saath pheray ka kya karu jo mai le chuka hu yumahrey saath.

sujal-kashish kya tumahrey liye woh saath pheray woh saath janam ka saath woh saari kasamey jo humne shaadi ke samay li thi kya woh sab tumahrey liye jhooth tha.kya tum humara saath bhula sakti ho. kya tumahrey liye woh pal khuch bhi mainay rakhta jo humney saath mai bitaya.bolo kashish kya tumahrey liye humahra saath humara pyaar humari shadi sab ek maazak tha

kashish ki aankho mai aansoon thai usmey aur suney ki himmat nahi thi

kashish-bus karo sujal please bas karo
sujal-kya bus karo kashish yeah sab tumne hi to start kiya hai
kashish-sujal tum samaj nahi rahe ho

sujal-kashish mai khuch bhi nahi samajhna chahta aur tum bhi ek baat samaj lo mai tumehe divorce nahi de raha

kashish-sujal please is tarah se hum dono ki zindagi hi complicated ho jayeg

sujal ka gussa waqt ke saath barth hi ja raha tha

sujal-ab is se kharab aur kya ho sakta hai zindagi mai

kashish-sujal zindagi mai hum jo chahey zarori to nahi hai ki humey mil hi jaye
aksar kai khwaishey adhoori reh jati hai.aur woh khawaish poori na ho isme he sab ki bhalai hai

sujal-kashish mai dusro ki khawaish ka to nahi janta par mai apni khawaisho ko adhoora nahi rehne dunga.

kashish-sujal zindagi waisey nahi hoti hai jaisi hum chahtey hai kabhi khuch faisley takdeer par chor denney chahiye

sujal-nahi manta mai aisi takdeer ko jaha hum dono ka alag hona likha ho

kashish-sujal please meri baat man lo

sujal suddenly grab her hand and woh kashish ko apni taraf turn karta hai

sijal-kashish tum mujhse pyaar karti ho

kashish sujal ko dekhti hai and dusrey taraf murti hai but sujal use wapis apni taraf murta hai

kashish-sujal is baat ka ab koi matlab nahi
sujal-kashish agar is baat ka koi matlab nahi to duniya mai kisi baat ka koi matlab nahi

sujal-kashish ek baar meri aankhon mai dekhkar kaho tum mujhse pyaar nahi karti

kashish usko dekhti hai phir apni nazarey jhukha leti hai

sujal-kashish tumne jawab nahi diya
kashish-sujal mai jawab phelay de chuki hoon

sujal achanak se uska haath chorta hai

sujal-sorry kashish mai to bhul hi gaya tha ki humarey alag honey ki wajah tum ho.aaj hum jis dorahey par hai uski wajah bhi sirf tum ho.tumehe DIVORCE chahiye to theek hai waisey bhi tumne mujhse jo bhi manga hai woh mainey diya hai to yeah bhi sahi

then sujal turn toward kashish

sujal-i think humey chalna chahiye miss sinaha office ke liye kafi late ho chuki hai and agar aapki jaroori baat finish ho gayi to chaley waisey bhi mai apney bussiness partner ko itna waqt nahi deta

kashish look at sujal then she nods and they leave. sujal start driving and there is complete silence

song in background :-

Tanhaai, tanhaai
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai

(Khwaab mein dekha tha ek aanchal
Maine apne haathon mein
Ab toote sapnon ke shishe
Chubte hai in aankhon mein)
Kal koi tha yahin, ab koi bhi nahin
Banke naagin jaise hai saanson mein laheraayi
Tanhaai, tanhaai, palkon pe kitne aansu hai laayi

(Kyoon aisi umeed ki maine
Jo aise naakaam hui
Door banaayi thi manzil
To raste mein hi shaam hui

Ab kahan jaaoon main, kisko samjhaaoon main
Kya maine chaaha tha aur kyoon kismat mein aayi
Tanhaai, tanhaai, jaise andhero ki ho gehraayi
Dil ke raaste mein kaisi thokar maine khaayi
Toote khwaab saare, ek maayusi hai chhaayi
Har khushi so gayi, zindagi kho gayi
Tumko jo pyaar kiya maine to sazaa main paayi
Tanhaai, tanhaai, milo hai phaili hui tanhaai
Tanhaai, tanhaai, tanhaai, tanhaai

in the office they behave like a proffesional discuss project attend the meeting together but outside office they behave like strangers

when they reach home they go straight in there rooms.pura ek week isi tarah guzar jata hai

morning :-

sujal kashish office janey ko hote hai ki veena waha aati hai

veena-sujal kaha ja rahe ho
sujal- mama office kyun khuch kam tha

veena-sujal tum bhul gaye ki aaj angad aur kripa aa rahe hai
sujal-main to ekdum bhul hi gaya

veena-jab tak unka ghar set nahi ho jata woh log yeahi rahengay
sujal-jee mama

veena-sujal jao unko pic karney aur haa kashish ko bhi le jao.itney saal baad tum sab ek saath hoge ab jao bhi tum donno

woh log nahi chahtey thai ki ghar mai kisi ko shak ho unko lekar isliye both agree and woh log undono se milkar sabhi sistuation samjhana chahtey thai

airport :-

sujal and kashish angad aur kripa ka wait kar rahe thai when they saw both of them angad sujal ko dekhta hai and both of them hug each other angad kripa ne kashish ko nahi dekha tha tabhi kashish kripa ko awaaz deti hai and sab uski taraf murtay hai angad and kripa r surprised and kripa aagay jakar kashish ko hug karti hai

kripa-kashish tum yeah i dont beleive this

udhar angad ask sujakl

angad-sujal kashish yaahan
sujal-tu chal mai tujhe sab batata hoon

and all four of them phelay sujal ke farm house jate hai and waha sujal saari sistuation samjhata hai and angad and kripa agree to keep sujal kashish marriage a secreat

kashish and kripa baat karney ke liye dusrey room mai jatey hai

angad-sujal ek baar soch le meray khayal se tujhe apney aur kashish ko ek chance dena chahiye

sujal-angad ab is baat ka koi fhayada nahi hai
angad-sujal aisa na ho tera phesala galat ho jaye

sujal angad ko dekhta hai aur phir dusri taraf mur jata hai

dusri taraf kashish aur kripa ek room mai bethay hote hai

kripa-kashish tu yeah sab kyun kar rahi hai sab ko sab khuch bata kyun nahi deti
kashish-kripa khuch baatey aankhai rahe usi mey sab ki bhalai hai

kripa-kashish agar tu khuch nahi bategi to mai bata dungi

kashish-kripa tu aisa khuch nahi karegi waisey sujal ne mujhe divorce denay ke liye haa kar di hai aur main 4 din baad london ja rahi hoon aur jab laut kar aaongi to hamesha ke liye sujal ki zindagi se jaaney ke liye

song in background :-

jo milay nahi
woh meray nahi
koi bhi gilaa nahi
koi chord deay
dil tohr deay
use kho diya kahay
rahne do chordo
kuch bhi na socho
pyaar to hai imthan
oooo

sun leyna diljaniya
ral mil
ral mil
galaan hun pyaar diyaan


********************************************************


Edited by shruti_gauri1 - 19 years ago
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#45
ok i will post next part tomoorow
Kash_Sujal thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 19 years ago
#46
As usual Shruti ur story is just brillant 👏 but doo post da next part soon 😃
aromi thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
#47
😆 why don't u post the latest prt instead of earlier parts!!!
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#48
harpy i have fulfiled ur request
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#49
khawaish
************************************************************ ************************************************************ ************************************************
Recap:-sujal aur kashish ke beech mai argument hoti hai hai divorce ko lekar and finally sujal say ki he is ready to give her divorce because jab bhi kashish ne khuch manga hai usne diya hi hai.angad and kripa india aatey hai aur unko pick karne sujal aur kashish jate hai and woh undono ko saari sistuation samjahte hai and both agree to keep there marriage a secreat angad try to explain sujal ki he should give there marriage a chance udhar kripa tell kashish kishe should tell the truth to everybody in return kashish say ki woh 4 days mai london ja rahi hai aur ab aayegi wapis to sujal ki zindagi se jaaney kay kiye
************************************************************ *************************
next day:-
hole garewal family along with kashish,charu angad and kripa r sitting in the lounge and chatting with each other when akshat said

akshat-arey angad tum to sujal ke saath london mai thai na yeah batao na sujal pe to hamesha se girls marti aai hai par london mai koi isi bhi lardki thi jis par kabhi sujal ka dil aao jiske liye sujal mar mitney ko tayar ho jis par sujal ka dil kabhi aa ya ho

angad phelay sujal ko dekhta hai phir kashish ko angad ke saath saath sujal, kashish aur kripa bhi shocked thai is question par kisi ko bhi nahi samaj mai aa raha tha ki kya kahe

sujal-askshat kya bekar ka sawal hai
akshat-ab sujal tum bachna chah rahe ho angad bataona na

angad sujal ko dekhta hai

angad-akshat aisi koi baat nahi hai tum bhi sujal ko aachey se jantey ho
akshat-angad not fair yaar tum bhi sujal ka side le rahe ho ab bata bhi do

angad phelay sujal ko dekhta hai phir kashish ko and then look at akshat

angad-sujal jisey bhi aapna dil dega aur jisse bhi pyaar karega usmai jaroor koi na koi kashish hogi jo sujal ko apna dil denay par majboor karegi

sujal aur kashish angad ki baat par kafi heran thai woh dono phelay angad ko dekhtey phir ek dusrey ko

rishi-haa yeah to hai hi akhir diya babhi mai koi na koi to baat hogi jiskiliye Big B ne shaadi ke liye haa kardi kyun big b

sujal ek nazar kashish ko dekhta hai phir apni nazarey pher leta hai wahi kripa se yeah sab dekha nahi ja raha tha woh khuch bolney hi ja rahi hoti hai ki kashish uska haath pakarti hai aur usey isharo se mana karti hai khuch bhi bataney ko

veena-ab bas bhi karo tum log sujal ko pareshan karna

akshat-kya mom aap bhi har baar sujal ki taraf rahti hai waisey bhi sujal ko humarey saath rahe lenay dijiye waisey shaadi ki baad to humay sujal ka saath bahut kam hi milega woh to diya mai hi busy rahega jaisey angad kripa mai

sujal kashish ke chehray par ek fake smile thi woh log aandar se to pal pal tooth rahey thay magar bahar se aisa dekha rahey thai jaisey woh khush ho unko koi aur samjhe na samjhe angad aur kripa jaroo samajh rahey thai aur unki samaj mai nahi aa raha thi ki woh aakhir aisa kya karey ki un dono ki zindagi se saarey dard takleef door ho jaye

tabhi veena kashish ki taraf murti hai

veena-kashish beta mai tumehe batana bhool gayi ki tumahri tickets a gayi hai

sujal undono ko dekhta hai usey khuch bhi nahi pata tha kashish ke london janey waley program ke baarey mai woh un logo ki baatey dhayan se suney lagta hai

kashish- ji aunty thanx mai ja kar thori dair mai packing karti hoon

veena- waisey kashish tum parso kyun ja rahi ho tumahra bina to yeah ghar suna ho jayega

kashish-aunty ek imp business problem aa gayi hai waisey yeah ke kaam ke karan mera business thora neglect ho gaya tha is wajah se khuch problem aa gayi hai

vena-phir bhi beta .aacha kab tak aaogi
kashish-aunty khuch kahe nahi sakti jab official problem solve ho jayegi aa jaongi

veena-kashish tum chali jaogi to yeah ghar khali ho jayega tumahrey honey se is ghar main bahut ronuk ho gayi hai.ab tum chali jaaogi to yeah ghar bahut suna ho jayega itnay dino mai kabhi laga hi nahi ki ek din tum hum sab ko chord kar chali jaogi.tum to jaisey is ghar ka hissa ho gayi ho. aisa lagta hai ki tumahra aur hamara phelay se hi koi rishta ho .

sujal aur kashish ek dusrey ko dekhtey hai phir kashish veena ko dekhkar kahti hai

kashish- aunty rishta to dil se banta hai rishtey ko kisi bhi naam ki jaroorat nahi hoti hai woh to apney aap hi ban jata hai .aunty humarey rishtey ko kisi bhi naam ki jaroort nahi hai

veena-kisney kaha ki tera aur mera koi rishta nahi hai. main tujhe phelay bhi kah chuki hoon to meri beti jaise hai aur sun aab se to muje aunty nahi mamma kahegi

kashish-aunty par mai kaisey

veena interupt

veena-kashish kya tujhe mujhe apni maa jaisey nahi samajhti

kashish-aunty aisi koi bat nahi hai aap meray liye meri maama jaisi ho

veena-to bas tu mujhe mamma bologi dekh sujal to tera dost hai na is naatey uske saarey rishtey bhi teray hi to huay to tu aaj se mujhe mama bolegi samjhi

kashish sujal ko dekhti hai aur phir veena ko

kashish-jee aunty i mean mamma

veena smile and both kashish and veena hug each other

kashish-aacha mama main ja kar packing karlu abhi kal ek bahut imp meeting hai kal ka din to usmey hi nikal jayega aur parso ki flight hi hai

veena-aacha ja aur khuch bhi help chahiye ho to mujhe bolna
kashish-di chaliye main aapki help karti hoon

kripa-mai bhi aa rahi hoon kashish

un teeno ke jaaney key baad sujal aur angad bhi sujal ke room main jatey hai

and sujal bed par bethta hai and angad uske saath aa kar bethta hai angad jan raha tha ki sujal par is samay kya bet rahi hai

angad- sujal kya hua

sujal-tuney dekha kashish kitni aasani se aaj phir se meri zindagi se ja rahi hai.tujhe kya lagta hai woh kisi business problem ke chalte ja rahi hai nahi angad mai kashish ko bahut aachey se janta hoon .woh mujhse door jana chahti hai woh phir se mujhe aur meray rishtey ko chord kar jana chahti hai jaisey usney aaj se teen saal phelay kiya tha

angad-sujal bhol ja us baat ko usko beetay 3 saal ho gaye hain

sujal-kaisey bhool ja us baat ko jisney meri zindagi main se mera pyaar meri khushiya meri hansi meri kashish cheen li kaisey bhool jaoon bata angad hai teray paas koi jawab

and sujal went into his memory

FLASHBACK : -

sujal kashish ki shaadi ko sirf 1 month hi hua tha .sujal ke liye woh samay uskey zindagi ke sabse aacha waqt tha uskay saath uska pyaar tha uski kashish sujal ki zindagi main sirf khushiya hi thi uskey chehray par har waqt muskhurahat chahiye rehti thi

magar khushiyo ko bhi nazar lagti hai aur aisa sujal ke saath bhi aisa hi hua uski khushiyo ko bhi kisi ki nazaar lag gayi

sujal ko aaj bhi yaad tha woh din jab uski zindagi main se saari khushiya chali gayi this us din pheli baar uski aur kashish ki kisi baat ko lekar fight hui thi aur aakhir kashish ne woh kaha jo unkey rishtey ko toorney ki wajah bana

kashish-sujal mujhe lagta hai humney jaldbazi main shaadi kar ke theek nahi kiya
mujhe lag raha hai ki hum log aagar thora wait karke shaadi kartey to humey ek dusre ko samajhney ka mooka mil jata

sujal-kashish aakhir tum kehna kya chahti hoo

kashish-sujal yeahi ki aagar hum jise pyaar samajhte hai woh infatuation hua to

sujal-kashish tumehey humara pyaar infatuation lagta hai

kashish-sujal shuru mai to infatuation bhi pyaar lagta hai aapko apney patner ki haar cheez aachi lagti hai magar baad main aapko pata chalta hai ki aap jisey pyaar samajh rahe thay woh sirf ek attraction hota hai

sujal-kashish kya tumehe kabhi bhi laga ki main tumse pyaar nahi karta
kashish-nahi sujal aisi koi baat nahi hai

sujal- to phir kya baat hai kya tum mujse pyar nahi karti ho

kashish-sujal pls tum yeah sab kya lekar beth gaye ho sujal i just want to say ki i need time mujhe jaldi mai khuch sochney ka waqt nahi mila but know i want to think that what i really need in life

sujal-kashish tum kehna kya chahti hoo

kashish-yeahi ki sujal i need some time i want to be alone for sometime sujal PARIS main jo mera fashion outlet hai waha khuch problem hai mujhe waha jana ho ga phir mai apna collection waha ke fashion week mai dekhana chahti hoon

sujal-to is main problem kya hai main to yeahichahta hoon ki tum sucessful ho life main

kashish-sujal main waha akelay jana chahti hoon pls sujal sirf 2 weeks ki hi to baat hai

sujal kabhi bhi kashish ko kisi baat ke liye mana nahi kar sakta tha and woh janta tha ki yeah kashish ke career ka turning point bhi ho sakta hai woh shaayad is showing ke baad ek sucessful designer ban sakti thi so he agree and kashish paris chali jati hai aur sujal business mai busy ho jata hai

but two weeks khatam honey mai 2 din baaki thai aur kashish ne usey ek call bhi nahi ki bas uske paris poochney ke baad ek sms usney bheja tha ki that she safely reach there

idhar jab bhi sujal usey contact karney ki koshish karta hai magar uska haar baar switch off ata ya voice mail par jata usney kitney sms kiye par kashish ka koi reply nahi aaya is liye sujal sohta hai ki woh khud hi usse jaa kar milega aur woh log saath hi main wapis aa jayengay

when sujal reach PARIS he buy a big bunch of red roses because it was kashish favorite woh jab kashish ke apartment main pauchta hai to dekhta hai ki apartment ka main door open hai aur woh bina bell ring kiye ghar main enter hota hai woh kashish ko surprise dena chahta tha woh kashish ko bulaney hi ja raha hotey hai ki use kashish ki awwaz sunai deti hai woh dekhta hai kashish window ko face kar ke baat kar rahi thi phone par

kashish-ya i know 2 weeks khatam honey ja rahey hai aur mujhe sujal ko khuch to batana hi hoga i dont want to go back to london.ya kripa i know ki sujal luv me but i feel ki humney shaadi ka decision khuch jaldi le liya mujhe lagta hai ki mujhe sujal ke liye sirf infatuation tha waisey bhi i am not prepare for all those marriage responsibility .u know mera show kitna sucessful hua hai and i dont want to losse a lifetime apportunity due to this marriage

and she turn and see sujal standing without any expression on face kashish phone par kehti hai

kashish-i will call u later bye .sujal tum

sujal raises his hand to stop her saying any further

sujal-kashish mainey jo suna woh sahi tha
kashish-sujal meri baat suno

sujal-kashish tumehe humarey rishtey main koi pyaar nahi dekhta hai kashish kya tum mujhse pyaar karti hoo

kashish-sujal tumne jo khuch bhi suna hai uskey baad mujse khuch bhi kehne ki zaroorat nahi hai

sujal feel shattered but he manages to say

sujal-theek kaha tumne ki ab humary beech khuch bhi kehney suney ko baaki nahi rakha hai tum aaj se aazad ho kashish is rishtey se

and he move forward and hand her the bunch of flower

sujal-nayi zindagi mubaarak ho

and he turn and leave from there phir uskey baad un dono ne kabhi bhi aa pas main contact nahi rakha phir khuch month baad kashish ka mail aaya ki woh kaisey hai but sujal ne usey kabhi reply nahi kiya woh log uskey baad kabhi aamney saamney nahi until that party in which he get his award

end of flashback :-

tears rolls down from sujal eyes and he quickly wipe it away angad put his hand on his shoulder and he look at angad and said

sujal-theek hoon
and start looking ousitde the window

next day:-

both sujal and kashish r engrossed in there work dono ki ek imp presentation thi
by the end of the day unki meeting kafi successful hui thi meeting ke baad dono apney apney cabin mai chaley jatey hai .

when kashish realize ki uskey paas ek bahut imp file hai jis ki uskey absence mai sujal ko zaroorat par sakti hai thori dair sochney ke baad woh decide karti hai ki yeah file woh khud hi sujal ko de degi kyunki woh ek bahut hi confidentional file thi is liye kisi aur se deliver bhi nahi kara sakti thi

woh sujal ke cabin ke bahar kharey ho kar kitni dair sochti rahi ki woh andar jaye ya nahi phir at last woh uskey door par knock karti hai aur aandar jati hai

sujal kisi file ko dekhne mai bahut busy tha usney ek baar bhi naazar utha kar nahi dekha

kashish kafi dair tak chup khari rahi tabhi sujal bolta hai

sujal-kashish jis kaam ke liye aayi ho woh to pura kar do

kashish was shocked ki sujal ko kaisey pata chala ki woh hai tabhi sujal usko dekhta hai aur uthkar uski taraf aata hai

sujal-kashish itna shock honey ki ko jarootat nahi hai main aaj bhi tumahrey aahat pechanta hoon batao kis liye aayi ho

kashish-woh yeah file deni thi meray janey ke baad kaam aayegi aur menay baki information aur file tumahri assistent ko dedi hai

sujal-thanku miss kashish ki aapney khud aa kar yeah file de and mujhe lagta hai ki aab humey ghar chalna chahiye kafi late ho gayi haiaur waisey bhi aapki to morning flight hai chaley

kashish nods and they leave

woh log stairs se utar hi rahe hotey hai ki kashish slipp karti hai magar sujal aa kar use pakar leta hai and she woh uska coat pakart hai for balancing woh dono ek dusrey ko dekhtay and both r lost in each other

song in background :-

Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Bin Bole Kardeti Hai Hsalat Yeh Pal Mein Bayan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Bin Bole Kardeti Hai Hsalat Yeh Pal Mein Bayan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan

Khamoshi Bhi To Pyaar Hai
Rakhti Bahut Yeh Asar Hai
Kab Ishq Hojaye Yaha Dil Ko Kahan Yeh Khabar Hai
Do Din Bhi Yeh Silsile Chup Sake Hai Kahan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan

Hume Neend Aye Na Jab Aankhon Mein
Badhne Lage Bekarari
Shabnam Ko Bhi Chune Se Jab
Mehsoos Ho Chingari
To Aisa Lagta Hai
Ek Hai Zameen Aasmaan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Aankhen Bhi Hoti Hai Dil Ki Zubaan
Bin Bole Kardeti Hai Halat Yeh Pal Mein Bayan
Bin Bole Kardeti Hai Halat Yeh Pal Mein Bayan


then both realizes ki what both r doing so sujal usay straight honey mai help karta hai

kashish-thanx

sujal-chaley
kashish-haan

then both r silent in the way and when they reach home they go straight into there rooms

next day :-

kashish ki morning mai flight thi usey angad aur sujal dono ne offer kiya tha ki
woh usey drop kar dengay but she simply said ki she will manage by her own magar veena ke kafi force karney par she agree to go with them to kashish ko airport drop karney sujal angad and kripa ja rahe thay

after saying goodbye to the family members they all four leave toward the airport

all of them r silent in the car no one know what to speak after sometime kripa finally said something in kashish ears

kripa-abhi bhi soch le kashish abhi waqt hai tu jo kar rahi hai woh sahi nahi hai
kashish-kripa i know what i am doing

and they stop talking because they have reach the airport and angad ask them to step out of the car they all r standing at the airport when kashish said ki unehe ab jana chahiye she can manage from here because uski flight main abhi time tha and she know ki both sujal and angad has an imp meeting to attend woh log usey aisey chord ke jaaney ko tayaar nahi thai but after lot of insist from kashish they all leave

both kripa and angad hug kashish and said ki they r going to miss her because they know ki kashish un sab logo ki zindagi se janey ke liye aaj yaha se ja rah hai

at last kashish turn toward sujal and said

kashish-thanx sujal for everything and ya congratulation for ur coming life my well wishes r always with u

both sujal and kashish look at each other there is hurt look on sujal face

and saying this kashish leave from there and angad kripa and sujal move toward parking

parking main sujal angad and kripa car main ja kar bethtay hain and sujal start driving when kripa shout

kripa-stop the car

both sujal and angad look at her

kripa-sujal pls car roko
angad-baat kya hai kripa car kyun rukwa rahi ho

kripa-sujal pls ja kar kashish ko rok lo pls sujal jao roko usey warna bahut dair ho jayegi

sujal usey dekhta hai with complete disbelief

sujal-kripa tumehe pata hai tum kya kahe rahi ho aur waise bhi yeah kashish ki marzi hai mujhe chord kar janey ki woh phelay bhi yeah kar chuki hai

krip-sujal main yeahi to kahe rahi hoon ki ek bar tum dono alag huay thay aur aaj tak tum dono main se koi bhi khush nahi hai main tum dono ko pal pal toota nahi dekh sakti pls sujal kashish ko rok lo

sujal-kripa ab in baato ka koi bhi faayada nahi hai waisey bhi kashish ne mujhse kabhi pyaar nahi kiya hai aur yeah woh khud hi kahe chuki hai aur ab yeahi saach hai ki hum dono kabhi saath nahi ho saktey

kripa-sujal kis sach ki baat kar rahe ho tum arey tumehe to koi saachai pata hi nahi hai kya jantey ho tum kashish ke baarey aur tum kahtey ho ki kashish tum se pyaar nahi karti jabki agar kshish tumse pyaar nahi karti to is duniya main to pyaar honey hi nahi chahiyey sujal kashish tumse bahut pyaar karti hai aur yeah sabse bardi sachaiye hai

both angad and sujallook kripa with a shock

kripa-sujal yeah sach hai woh tumse bahut pyaar karti hai aur woh bhi tabse jab tum log pheli baar mila thai i am sorry magar aaj main kashish se kiya hua ek waada tord rahi hoon sujal mainey dekha hai kashish ko tumahrey pyaar main taraptey huay sujal agar woh tumehe takleef deti thi to khud bhi usse jaada takleef sehti thi agar usney tumehe dard diya hai to usse kai jaada dard khud saha hai sujal woh tumse bahut jada pyaar karti hai aur tumahrey liye khuch bhi kar sakti hai yeah tak ki aapney aap ko tum se aalag bhi

sujal-tum hosh main bhi ho kripa tumehe khuch pata bhi hai ki tum bol kya rahi ho agar woh mujhe itna pyaar karti to kabhi bhi mujhse aa lag nahi hoti meri zindagi se meri khushiya nahi le leti

kripa-sujal tumahri khushi ki liye hi usney yeah sab kiya hai woh nahi chahti thi ki uski wajahse tumahri muskhurahat chali jaye sujal u know that time she was suffering from brain tumour and doctor ne uskey baachey ke chance nil bataya tha

sujal and angad usey complte shock mai dekhtey hai

kripa-sujal yeahi saach hai tumehe yaad hai ki tumahari wedding night ko tum use aur mujhe ghar chord kar aye thay us din woh bahut khush thi ussey samajh mai nahi aa raha tha ki woh apni khushiya kaisey sambhaley aachak usey chakar aaney lagey mainey usey samjhaya bhi ki chalo rest karlo ho sakta hai excitment ki wajah se yeah sab ho raha ho mainey usey kaha bhi ki tumehe inform kar etey hai masgar woh nahi mani magar uski tabiyat subah tak theek nahi hui and atlast hum log hospital gaye uskey checkup ke liye waha doctors ne uskey khuch test kiye aur khuch medicine prescribe ki aur usney mujhse promise le liye ki main tum dono ko khuch bhi nahi bataongi phir khuch dino baad reports aayi aur usmai pata chala ki usey tumour hai sujal woh bahut buri tarah se tooth gayi thi woh tumehe khona nahi chahti thi magar then she realize ki agar tumehe khuch bhi pata chal jayga to tum aapney aap ko sambhal nahi paogey isliye usney woh sab naatak kiya yaha tak ki jab tum paris gaye thay to mainey usey phelay se inform kar diya tha ki tum aa rahe ho aur usney woh sab kaha jo ki tum dono ki aalag ho ney ki wajah bani sujal uskey liye tum se jaada khuch bhi imp nahi hai na hi apna career nahi apni zindagi aur aaj bhi sirf tumahri khushi ke liye woh ja rahi hai

kripa-kashish tum se jitna pyaar kart hai utna shaayad koi kar sake sujal mainey usey pal pal maut se lartey dekha hai usey pal pal maut ke kareeb jatey dekha tha sujal jab uska treatment sucessful hua to usney sab se phelay tumehe contact kiya par tumne usey koi bhi reply nahi kiya to use lag gaya ki ab tum usse koi rishta nahi rakhna chahtey ho is liye woh tumahri zindagi se chali gayi chup chap
sujal jao roko usey zindagi ne tumehe dobara mauka diya hai saath honey ka jao sujal go

sujal ki aankho mai aansoo (tears) thai

angad-ja sujal kahi dair na ho jaye aur tu phir se kashish ko kho de

sujal nods and woh car se nikal kar airport ki taraf bhagta hai angad aur kripa bhi uske peechey jatey hai

sujal airport pauchta hai aur enquirey ki taraf ja ta hai

sujal-excuseme london janey wali flight ko janey mai abhi kitna waqt hai
lady-i am sorry sir woh flight abhi 5 min phelay take off kar gayi

sujal buri tarah se tooth jata hai tears start flowing from his eyes

angad usey sambhalta hai

angad-sual sambhal aapney aap ko
sujal-angad mainey usey aaj phir se kho diya

yeah kahe kar woh airport se bahar nikal jata hai

song in background:-

Thoda sa pyaar hua hai, thoda hai baaqi……

Thoda sa pyaar hua hai.........Thoda hai baaki

Hum to chahenge tujhe

Jab talak jaan hai baaki

Pyaar humne kiya hai Pyaar tumne kiya hai

Yaar phir inteha kyun Zamane ne liya hai

Saath hum denge tera

Tujhse vaada hai saathi

Thora sa pyar howa hai thora hai baqiii

Dard jitna milega Pyaar utna badhega

Apni chahat ke aage Yeh zamana jhukega

Dil se dil mil hi gaye

Apna milna hai baaki

********************************************************


Edited by shruti_gauri1 - 19 years ago
Shruti11 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
#50
ok jee i have posted two parts of my story together now pls comments

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".