Part 6:
they came back into senses when people started clapping for them because they stood still,facing each other gazing into each other eyes...both of them felt a bit shy and looked away from each other...they heard people talking
"kinni sohni jori hay donon kee...aisa lagta hay jannat se hoor utar ker aayi hay"
"munda vee tay daikho naa...ghabroo jawan...dolay sholay daikho"
Sujal's biceps were bulging out but he didn't look muscular...he had a tough built
"larrka larrki alag alag chal rehay hain...lagta hay koi masla hay"
"masla kiya ho sakta hay?...larrka larrki ne abhi tak piyar ka izhaar nahin kiya hogaa"
"piyar ka izhaar? daikh ker tau lag rehaa hay keh izhaar tau door,,donon ne apnay aap se bhee chupaaya hogaa..daikho tau sahih,,,apas main bhee nazrain nahin mila rehay aur khud bhee idhar udhar daikh rehay hain"
"aray bhai log! kion aap log inn keh peechay parr gaye hain...shehar se aaye huay lagtay hain...inn bechaaron ko tang tau mat kero..humaray ulfatnagar keh mehmaam hain yeh" and elderly lady comes to their rescue
"Shukriya Khala ji!" said Sujal and tried to walk away while Kashish was trying to ignore Sujal and looked at the bangle store
Sujal caught up on Kashish while she was selecting bangles for herself...
"Bhai Sahab! woh silver waali choori dikhaaiye gaa" and Sujal told the salesman not to show the bangle by nodding his head...it was the same shop where Sujal had bought the same silver bangle but he didn't want the salesman to sell it to Kashish...so salesman made an excuse
"muaaf kerna bibi ji! main nahin dikha sakta...woh aakhri choori hay jo display per lagi huee hay aur abhi aur maal aana hay"
"Oh acha! koi baat nahin,,,woh kaanch kee chooriyan dikha jo keh laal aur kalay rang main hain" Kashish said
Sujal could feel the dejected voice of Kashish as he knew very well how much she liked silver bangles as they make sounds as if saat surr ikathay ho rehay hon....Don't worry kashish! u will get these bangles and when I will be the one giving it to you then may be I can see what you feel for me only if u let your face do the talking for you....
Sometimes Kashish becomes a closed book and no matter how hard Sujal tries, he can't get through the cover and sometimes Kashish woh phool ban jaati hay jiss kee khusboo door se hee mehsoos ho jaati hay...kiya hay yeh larrki? this last sentence has been a constant part of Sujal's train of thoughts...
Anyways,Kashish selected some beautiful bangles and paid for them..then both started walking towards Kashish's medical camp..and Kashish thought : what a boy Sujal is,,,,did not even offer to pay for my bangles...itna rookha,itna sakht,itna be-zaar,itna kharoos bhee koi hota hay...hunh! aisa lagta hay jaisay apnay aagay kisi ko kuch samajhta hee na ho,,,per phir kabhi kabhi itna sweet kiyon ho jaata hay...itni care kiyon kernay lag jaata hay..aur kabhi kabhi iss kee nazrain,,,,,,,,,ufffffffffff!kiya kuch nahin hota iss kee nazron main....aisa lagta hay jaisay yeh mujhe ankhon hee ankhon main samana chahta ho...uss kee ankhain itna bolti hain keh mujhe lagta hay uss ko bolnay kee zaroorat hee nahin hay..aur kabhi kabhi uss kee ankhon main aik hayraani nazar aati hay...jaisay woh aik dum shocked huaa ho kisi baat per...lekin main uss kee ankhon main itna kion jhaankti hoon? aaj tak kabhi kisi larrkay kee taraf itna attract nahin huee aur agar koi larrka mujh se free honay kee koshsih kerta hay tau phir bhayya hain naa...khe khe khe khe...aur woh khud hee apni baat per hans parri
tabhi sujal ne murr ker daikha and he just kept on looking on how innocent her laugh was..he was mesmerized by her sweet laugh...he just kept on looking and bumped into a pole...and then Kashish burst into laughter..it was uncontrollable...she had tears in her eyes..because it was so funny....Sujal was sitting on the ground holding his head...which showed a clear bruise...
Kashish sat by his side
"Awwwwnnnnnnnn ACP sahab! kiya huaa? takra gaye? ankhain kahan theen aur dhayan kahan? kiya soch rehay thay jinaab?"
Dil main tau aaya keh sujal keh day keh tumhain soch rehaa thaa per chup rehaa
"kuch nahin yaar! bus aisay hee idhar udhar nazaray daikh reha thaa aur samnay pole aagaya..pata hee nahin chala"
"nazaray hmmmmmm...haan bhayee! rangeen aanchal yahan wahan urr rehay hon tau kis ka dil keray gaa seedha chalnay ko"
Sujal understood her taunt
"Kashish kee bachiiiiiiiiiiiiiiiiii...thehro main tumhain batata hoon keh kis ka aanchal mujhe disturb ker rehaa hay?"
Both of them started running right in the middle of the street..Kashish was ahead and Sujal was trying to catch her...they didn't see a bull-cart coming their way which was full of hay and little did they realize was that they fall on hay...Sujal under and Kashish on top of him....both of them had an eye-lock...and in one of the near music shop,this song was going on:
Mmmm aaahhh heeeeyy ohhh hooo
Baitein rahon, khayalon mein yun hi
Ulje rahe, sawalo mein yun hi
Mmm kitni batein hai jo
Kehna paye inko
Hum toh na the is tarah
(Ohhh ohhhhhhoooo
Ankhon hi ankhon mein yun)
Khoye rahe
Mmmohhooo
Ra ra ra ohhoo hooo
Bas tumko dehke, dekhte hi rahe
Ruk jaye lamhe sabhi, jaatey huye
Kya tumse kehde aur kya na kahe
Tum hi samjhlo sabhi, hai kaash ke
Bas yeh tamanna hai
Dil jo apna hai, usko mil jao tum
Ab na khayalo mein, na sawalon mein
Bahon mein aao tum
(Ohhh ohhhhhhoooo ohh hooo
Ankhon hi ankhon mein yun)
Khoye rahe
Yehhhh….
Chand sitare saare benoor theey
Tumse mile toh sabhi, roshan huye
Yeh sab nazare phir mile na mile
Ek do kadam hi sahi, mil kar chale
Kal kisne dekha hai, kya barosa hai
Rehana jaye gile,
Yehi ipthda bhi hai, inthaa bhi hai
Hai mohaabat yeh
(Ohhh ohhhhhhoooo ohh hooo
Ankhon hi ankhon mein yun)
Khoye rahe, khoye rahe
Khoye raheee……
and then all of a sudden..lightning striked and Kashish hugged Sujal tightly...still in the hay..not caring about what's happening around...both of them were immersed into each other arms as if there is no end...Sujal kee bahon main aatay saath kee kashish ko aik anjana sa ehsaas huaa jo iss se pehle kabhi nahin huaa thaa...aik protection ka ehsas.aik softness ka ehsaas.aik mohabbat ka hisaar....whattttttt! Kashish thought...Am I in love with Sujal....nahin nahin! yeh nahin ho sakta...I can't fall in love and that too with a stranger...Kashish tried to unlock their hug but Sujal just wanted to hold her forever and never leave her again...Sujal felt as if the entire world is in his arms...he was feeling so high but before he could mess up with the ambience...he loosened his grip...both of them felt a bit awkward and moved away from each other....
but then nature had its own plans...soon the light drizzle turned into a heavy downpour and both of them had to find a place to hide...
but kashish was kashish
She just walked out into the rain...donon haathon ko khol ker baarish kee boondon ko mehsoos kertay huay Kashish keh chehray per aik anokhi khushi thee..aur sujal ka dil chah rehaa thaa keh barish hoti rehay aur woh kashish ko yunhi daikhta rehay magar phir khayal aaya keh kaheen beemaar na ho jaye...
"Kashish! shade keh neechay aajao,,beemaar parr jaao gee...tum khud doctor ho,,,acha samajh sakti ho"
"Doctor honay ke yeh matlab thori hay keh main life enjoy na keroon...barish main nahanay ka apna maza hay"
"Kashish please...samjho na yaar ! tumhain thand lag jaye gee tau mujhe hee tau tumhari care kerna parray gee"
"achaaaaaaaaa! tau tum iss wajah se keh rehay thay warna tumhain meri parwa nahin hay...bus apnay aaraam se matlab hay,,,jaao matlabi insaan,,,main nahin aati shade main"
"aray baba! main tau mazaaq ker rehaa thaaa..per sach main sardi lag gayee tau kon keray gaa tumhara ilaaj ,,yahan per aik tum hee tau doctor ho"
"haan tau khud ker loon gee apnay ilaaj..tum baitho sookhay sarray huay karailay"
"kiya kaha? main karaila? tau tum kiya ho?"
"mujhe pata hay,,main ik teekhi mirch hoon"
"mirch nahin ho tum poora mirchon ka dabba ho..tauba tauba kitni tayz zaban chal rahi hay tumhari..sharam nahin aati...aik jawan larrkay se zaban chalatay huay"
"tum mujhe baaton main uljha ker majboor nahi ker saktay keh main itni piyari see barish ko chorr ker tumharay uss puranay shade keh neechay aajaaon"
"aray main kahan uljha raha hoon per sach bataao tumhain waqai sharam nahin aati kiya?"
"kiyon? mujhe sharam na aanay main tumhain kiya problem hay?"
and then Sujal realised that because of rain..Kashish's clothes were totally wet and she was getting transparent...he could not bear it so stepped out in the rain and he covered her up with his jacket...earlier he was not wearing his jacket but just tied around his waist...
Kashish did not realise why he did that and that too with such a stern look...later she realized that it was her clothes..she suddenly felt a sense of proud that Sujal is her man...OMG! her man? am I falling for him? Oh God! please help me understand this...otherwise I will go mad...
"Kashish! main ne tum se kaha bhee tha keh mat jaao baarish main,per tum meri sunti kahan ho? ab chalo,main tumhain camp tak chorr doon"
"per camp tau mere assistants band ker keh chalay gaye wapis base per...main ne hee unhain kaha thaa coz patients tau aa nahin rehay thay aur mujhe bhee bhook lagi huee thee tau o told them to go aur phir main ne tau tumharay saath hee wapis aana thaa naa?
"mere saath? Kashish! are you alright..abhi kuch dayr pehle tau jhagra ker rahi theen aur ab itni sweet batain"
"Sujal! tum kiya kabhi khamoshi kee zaban nahin samajh saktay,,,larrki jo bolay zaroori tau nahin keh jaisa woh feel ker rahi hay,waisa hee bolay"
"acha phir kaisay bolti hay larrki"
Kashish didn't realize that Sujal's hands were still wrapped around her shoulders and both of them were walking in the rain towards the shade
"larrki ka jo dil hota hay naa Sujal,,,woh aik band darwazay kee tarah hota hay,kabhi kabhi koi aik aaker uss ko khol tau sakta hay per ander jhank nahin sakta"
"kiya behki behki baatain ker rahi ho? dil,darwaza...tum ne kal raat koi movie tau nahin daikhi? nahin nahin tum ne movie nahin daikhi coz kal raat ko tau hum base per thay? phir kiya ho gaya hay? Kashishhhhhhh,,,kaheen aisa tau nahin keh sir per mere chot lagi ho aur asar tum per ho gaya ho?
"Sujallllllllllllll! mazaaq nahin kero...khayr janay do! tum nahin samjho gay"
"Kashish! tum kuch bolo aur main na samjhoon,,,i don't think its possible!"
"acha! ab kon bol rehaa hay dialouge"
"acha baba! kaan pakray..muaafi day do"
she didn't even realise and they were under the shade...still in his arms..kashish looked up to him and Sujal realised he was still holding her..he just let her off...both of them stood at the opposite ends...with only the sound of the rain between them...both of them were wet...but they didn't care...they were just standing opposite looking lost into each other's eyes...when they heard of a gun shot..............
5