once upon a time i was a very active member of IF.esp on Kahin To Hoga forum when Rajeev Khandelwal was Sujal Garewal.
I am just posting the first piece of writing...comments are most welcome and even if one person responded, i will continue it from where I left it...its still an incomplete story...
here u go:
~Diyar-e-dil~ (In the world of my heart)
------------------------------------------------------------ ------------------------------
Present:
Itni taiz raftaari se shayad uss ne kabhi gaari nahin chalaye thee
160 mph kee riftaar se woh apni gaari highway per chala rehaa thaa
kisi bhee waqt kuch bhee ho sakta thaa magar uss waqt uss keh zehan
main kuch bhee na thaa siwaye aik baat keh,aik jazbay keh,aik insaan
keh,,,,woh aik jaani pehchaani kashish kee dorr se khincha chala jaa rehaa thaa
woh jaanta thaa keh dorr ka aik sirra uss keh saath hay tau agla
sirra uss kee mohabbat keh saath bandha huaa hay!!!woh jaanta thaa keh AAJ
agar woh waqt per na pohancha tau woh apna sab kuch kho baithay
gaa,shayad apni jaan bhee!........usse apnay dil kee dharkanon main sirf aik awaz sunayi day rahi thee KASHISH KASHISH KASHISH......kashish jo uss kee mohabbat
hay,deewangi hay,junoon hay,zindagi hay,,,aaj wohi .........zindagi uss se door hoti jaarahi thee...woh apni zindagi se doori kaisay bardasht ker sakta thaa..
woh baar baar palat ker pichli seat per behosh parray uss wajood ko daikhta jiss keh honay se Sujal ka hona qayam hay!..Sujal aur Kashish,naam do hain magar pehchaan aik
hay!!!!jism do hain magar rooh aik hay!!!dil do hain magar dharkan aik hay!!!Sujal baar baar apni ankhon main aaye paani ko saaf kerta aur accelator per uss ka dabaa'o barh jaata!!!
Sujal(uss kee awaz band ho jaati hay ronay kee wajah se): Kashish! main tumhain kuch nahin honay doon gaa!,,,kiay tum yeh nahin janteen keh jab tak meri sansain chal rahi hain tab tak tumhain kuch nahin hogaa
Sargoshi: Sujal!
Sujal: Kashish! abhi tum ne mujhe awaz dee hay naa! main jaanta
hoon! tumhain kuch nahin hogaa!,,,bus hum pohanhcnay walay hain( yukdum khush hotay huay)
magar jab woh palat ker daikhta hay tau Kashish keh neelay partay
jism ko daikh ker uss keh ander ka darr aur bhee barh jata hay,,,,,,
abhi manzil door thee aur Sujal kee soch kisi aur hee dunya main safr ker rahi thee!!
woh un beetay lamhon main khoya huaa thaa jab uss ne kashish ko pehli baar daikha thaa!!
------------------------------------------------------------ ---------------
2 years before:
Kashish: ACP SUJAL KHANNA!maana keh aap shehr keh bohat hee eemaandaar police officer hain magar kiya kisi ne aap ko yeh nahin bataya keh aatang waadiyon keh ilaqay main AKAILAY ghussna koi aqal mandi nahin hay!!
kashish Sujal keh baazu kee marham patti ker rahi thee kiyon keh Sujal keh bazu ko aik terrorist kee goli laggi thee! Sujal keh honton per dabbi dabbi see msukaan thee kiyonkeh aaj woh pehli baar
kisi keh lehjay main apnay liye fikr daikh rehaa thaa!
Kashish:ACP sahab! main aap se baat ker rahi hoon,dewaaron se nahin!
Sujal: waisay kiya aap apnay her patient ko issi tarah daant'ti hain?(masoomiyat se poochtay huay)
Kashish(thoray se ghussay main): [COLOR = RED]kiya matlab hay aap kaa?main aap ko daant rahi hoon,aik tau aajkal kee dunya main koi kisi ka bhala na hee keray tau acha hay!! [/COLOR]
woh uss keh baazu per patti bandh chuki hoti hay aur ab injection laga rahi hoti hay jab
Sujal bohat ghaur se usse daikhta hay!!
"seedhi maang,ghannay kalay baalon kee lambi see choti banaye huay!!
white overall keh neechay se navy blue color ka dopatta jhank rehaa thaa!
baby pink colour kaa kurta aur navy blue color ka choori daar pehnay huay,
payron main kolahpoori chappal pehnay huay,ankhon main kajal aur
honton per natural color kee lipstick lagaye huay woh ankhon keh rastay dil
main utar janay kee hadd tak haseen lag rahi hoti hay!,,,Sujal uss keh coat
per lagga huaa badge daikhta hay!!"
Sujal: Excuse me Dr.Kashish Mehra! kiya main aap se pooch sakta hoon keh
mujhe kab tak yahan per rehna hogaa?(bilkul bachon walay style main bolay
huay)
Kashish: ACP sahab! jab tak mujeh yeh yaqeen nahin ho jata keh aap aindah
aisee bewaqoofi nahin kerain gay tab tak aap yaheen rehain gay!!
Kashish leaves!
Sujal: tab tau main aisee bewaqoofi her roz keroon gaa!
Kashish kamray keh darwzay se jhaankti huee : kuch kaha aap ne?
Sujal: ji,,nahin bus kuch nahin!
He lies down and goes to sleep!!!
Kashish kuch dayr ba'ad kamray main aati hay aur Sujal ko sota daikh ker uss
keh paas baith jaati hay
Kashish: kitni masoomiyat hay iss keh chehray per! aisa lagta hay jaisay barso'n se safr ker rehaa hay aur ab aaker usse apni thakan mittanay ka moqah mila hay!!
woh Sujal ko bus diakhay jaarahi hoti hay,, kisi anjanay ehsaas keh saath,
kisi anjanay rishtay kee kashish usse Sujal keh paas baithnay per majboor ker rahi thee...
Sujal keh maathay per uss keh kalay baal bikhray huay thay,left baazu per
patti banchi huee thee aur right bazu per drip laggi huee thee!sufaid rang
kee chadar orhay woh so rehaa thaa aur Kashish ko lag rehaa tha keh jaisay koi
farishta so rehaa ho!yuk dum Sujal ne karwat badli tau kashish ne ghabra ker
apna barha huaa haath rok liya! aur uth ker chali gayee!
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Folks, if u like it,don't like it,don't understand hindi/urdu...anything...
may be i am just writing to satisfy my creativity....
i wud really appreciate your input....
5