mil hi gaye- sajan ss part-33,page-143 - Page 14

Created

Last reply

Replies

1k

Views

79.8k

Users

96

Likes

1.3k

Frequent Posters

sushups thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago

ok sorry guys for doing such thing but this track was already decided when i started this short story.u always wanted a long post and i have somewhat tried to do so this time.next update i cant gaurantee as i am having severe net problems.

i hope u will like it.

well below i had tried to write the scens with respect to the song but was unable to do a good job at it,as the song itself has a lot of depth an i found it difficult .i have provided the link for the song too so that u can hear it as well

will be waiting for ur replies



part7


Samrat just sat down not caring for the pain that his hand was causing as he was seeing gunjan being pulled away far from him

[YOUTUBE]http://www.youtube.com/watch?v=sZ2CQOKI7B4[/YOUTUBE]

Chithi Na Koi Sandesh
Hoo, Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye
Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye
Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
each and everyone remembering their moments with gunjan
Jahan Tum Chale Gaye
Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Laga Ke Thes
benji remembers pre valentines day and their talks after the entry of sheena
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...


Ek Aah Bharee Hogi suhani crying ,& she imagines gunjan with her

Humne Na Sunee Hogi .she stops her from crying & she signals her to smile
Jaate Jaate Tumne and then she walks away
Aawaz To Di Hogi diya and uday remember the moment spent with gunjan,gunjan helping
diya with her dress in morena


Har Waqt Yehi Hai Gham
or gunjan making favourite dishes for uday

Us Waqt Kahan The Hum
Kahan Tum Chale Gaye


Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye
Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

As the music plays small gunjan playing with a little older nupur.while playing gunjan falls and nupur rushed to her and cleans her wounds an stops her for crying


Har Cheez Pe Ashkoon Se
Backs to nupur(now) watching the childhood album

Likha Hai Tumhara Naam
Ye Raste Ghar Galiyaan
nupur just looks around her room
Tumhe Kar Na Sakee Salaam


Hai Dil Mein Reh Gayee Baat
nupur cries more
Jaldi Se Chuda Kar Haath flashback-small gunjan runs away par nupur ka haath chod kar
Kahan Tum Chale Gaye nupur with her hand raised in a position as if gunjan left right now but then realizes


Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
mayank enters the room and holds nupur whil he couldn't even stop his silent tears
Jahan Tum Chale Gaye
Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

As the girls voice plays-flashback shows of all sajan moment focusing gunjan

And then when music plays it is back to samrats room
Abh Yaadon Ke Kaante samrat holding a photoframe with gunjans pic
Is Dil Mein Chubhte Hain
Na Dard Thaherta Hai
samrat completly silent with no expression
Na Aansoon Rukte Hain just one drop of tear comes out of his eyes


Tumhe Dhoondh Raha Hai Pyaar he just caresses the photo with his fingers
Hum Kaise Karein Iqraar
Ke Haan Tum Chale Gaye


Chithi Na Koi Sandesh
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye
Jahan Tum Chale Gaye
Is Dil Pe Lagaa Ke Thes
Jaane Woh Kaun Sa Desh
Jahan Tum Chale Gaye...

Gunjans shok sabha(not antim sanskar.....why u will know later)

Every one present but not samrat

Even suhani arrives .............nupur looks to suhani as if she was asking about samrat

Suhani just denied

Nupur leave for samrats house


O Kahan Tum Chale Gaye nupur finds samrat sitting on his bed with gunjans photo in his hand
O Kahan Tum Chale Gaye she sits beside him and gives him gunjans diary and little sam
O Kahan Tum Chale Gaye... seeing no reaction from samrat she couldn't help but cry and left immediately.after nupur leaves samrat just caresses the diary



5 MONTHS LATER




Suhani in beach


Suhanis pov:


5 mahine bit gaye hain,is tez rafter duniya ke liye yeh 5 mahine,pach minute ke barabar gaye honge par hum sab ke liye 5 saal se bhi zyaada haue hai.us din ke baad yahan sab kuch badal gaya .......


Log kehte hain ki waqt har zakham bhar deta hai.par jo sakham us raat lage the woh bhare nahi par naasor ban chuke hain.


Jab bhi bhai ko dekhti hun toh mere samne 14th feb ki woh raat saaf saaf samne aaja ti hai


Bhai ab pehle jaisa nahi raha

Woh naa kissi se baat karta hai.naa kissi se milna chahta hai.

Bas apne kamre main rehta hai


Basket ball jo bachpan se bhai ki zindagi ka hissa tha.......................haan tha kyunki bahi ab bhai aur basket ball nahi khelta


Woh college bhi nahi jata

Bas do hi baar sab ne bhai ko college mein dekha tha


Ek jab library mein books issue ho rahe the

Aur dusra exams ke time par


Bhai ne apne aap ko kitabo main dubo diya hai.hum sab ko aisa lagta hai ki woh apni chashmish se kiya hua waada pura kar rahe hai taki gunjan ye jaan kar kabhi naa kabhi waapas aaj jaye


Haan .................aaj bhi bhai yeh nahi manta ki uski chashmish ab nahi rahi.uski aakhon main intezaar aaj bhi kayam hai.


Sote waqt gunjan ki diary (jisme samrat ke diye har phool hain)apne sine se laga kar sote hai.


Yaha tak ki us diary ke kore pano ko apne dil ki baton se bharte hain.is ehsaas ke saath ki jab kabhi chashmish waapas aayegi tab uske bina bitaye woh har pal har ehsaas ko chashmish jaan sake.


Is baar bhai ne apne class main top kiya hai.iss baat ki khushi manaye ya unki halat ko dekh kar gum manaye ye samajjh nahi ata .


samrat ke is bartaw ko dekh kar yeh bhi samjh nahi aata ki ise uska dewana pan kahe ya pagalpan.


Jis insaan ki muskurahat ,uska andaaz har kisi ko apne aur khichta tha.aaj woh insaan murjha chukka hai.par aakhon main aaj bhi woh chamak hai jo gunjan ke khayalo main dubi rehti hai


Maine mom ko bhi aane se mana kar diya hai....kyunki main janti hoon mom kabhi bhi samrat ko is haal mein nahi dekh payegi.aur mere liye sab sambhal na aur bhi mushkil ho jayega.


Jab hum sab se bardassht nhai hua to kuch din pehle humne bhai ko samjhane ki koshish ki,mayank ne har tarike se samjaya ki jo log chale jaate hai woh kabhi waapas nahi aate,par kissi ke chale jaane se zindagi nahi rukti.plzz samrat baat ko samjho


Har kissi ne koshish ki par bhai chote bache ki tarah chup raha .ek shabd bhi nahi kaha.aur kuch der baad room se jaane laga. Par room se nikal ne se pehle bas ek baat keh kar chala gaya

Samrat-"mayank agar chashmish is duniya mein nahi hai toh aaj bhi meri saase kyun chal rahi hai"


Is sawal ka kya jawaab dete .......


hum sab khamosh ho gaye.nupur ko har waqt is baat ka pachtawa hota ki usne samrat ko kaise galat samajh liya.kash ki usne aisa naa kiya hota.


Bauji ne bhi mayank aur nupur ko maaf kar diya

Unka kehna tha ki woh apni ek beti toh kho chuke the par apni narazgi aur zidd ki vajah se apni dusri beti nahi khona chahte the .


Nupur (that day to mayank with tears)-"mayank........aggar mujhe pata hota ki bauji ka pyaar aur vishwaas wapis pane ke liye mujhe itni badi kimat chukani padegi toh main bauji ki naraazgi toh kya unki nafrat bhi zindagi bhar jhel leti."

Us operation theatre main gunjan se aakhri mulaqat main kabhi bhul nahi sakti.


Gunjan ,bhai ki tarah mere liye bhi bahut special thi .aakhir usiki vajah se mere aur bhai ki dooriyan miti thi .ek tarah se dekha jaye toh woh meri best friend ban gayi thi.aaj bhi main use bahut miss karti hun.bas har waqt yahi dua karti hun ki bhai ka vishwaas jit jaaye.....kyunki gunjan hi hai jiske aane se sab thik ho sakta hai .par yeh main bhi janti hun ki aisa nahi ho sakta

Us raat gunjan se akhri baar milne ki kismet ................shayad humare alwa aur kisi ko naseeb nahi hui.kyunki raat ko formalities puri karnejab hum gayetoh yeh khabar aayi ki hospital ke murda ghar se 4 dead bodies gayab thi.aur un main se ek gunjan ki thi.


Gunjan ke bauji ka haal bahut bura tha kyunki woh akhri baar apni beti ko nahi dekh paaye

Hum chah kar bhi un logo ko pakdwa nahi sake ki jinke wajah se gunjan humare saath nahi hai

Kaise dete unhe saza hum toh un logo ko jante bhi nahi the ,aur naa-hi humare paas koi evidence tha,agar bhai ki baat kare toh us waqt unki halat toh itni buri thi ki unse janch padtal karwana aasan nahi tha.


Nupur jab bhi samrat vishwaas dekhti toh woh samrat ki baton ko justify karne ki koshish karti hai.us din bhi kuch aisa hua tha---


All of them sitting in room(excluding samrat)


diya-"mujhe toh lagta hai hume bhi samrat ki baat ka yakeen karna chahiye"

Mayank-"tum kehna kya chahti ho?"

Nupur-"hum yeh kehna chahte hain ki ..........ho sakta gunjan zinda ho aur us raat chali gayi ho"

Mayank-"nupur please ab tum log bhi shuru mat ho jaao.tumhare is baat mein koi logic nahi hai.gunjan ko goli lagi thi nupur aur agar woh us waqt zinda bhi hui toh usme itni takat nahi hogi ki woh chal kar kahin bhi jaye. Khud socho nupur,hum yahan bhavnao mein beh nahi sakte."

Adhiraj-"mayank thik keh raha hai nupur,agar hume kuch sochna chahiye toh yeh ki samrat ko wapis kaise laye"

Nupur-"i am sorry ,main bhi umeed laga bethi thi.tum sab shyad thik hi keh rahe ho"



Suhani back to herself still in beach

Adhiraj coming from other side-"suhani tum yahan ho maine tumhe kaha kahan nahi dhunda"

Suhani-"kya hua adhiraj"

Adhiraj-"tum bhul gayi naa,hume mayank ke yahan jana hai,karan ko kuch baat karni thi"

Suhani-"i am so sorry main bilkul bhul gayi"

Adhiraj-"its ok i understand...ab chale"

Suhani-"haan chalo"


karan .....................karan kapoor mera London ka friend hai aur itefaaqan mayank ka cousin



pichle panch dino se woh india kisi kaam se aya hai aur mayank aur nupur ke saath reh raha hai.aur ab humare gang ka hissa bhi ban gaya hai

..............................................

...............................................

..............................................

...............................................

...............................................

...............................................

................................................................

.......................................................................................................

..............................................

..............................................

..........................................

.............................................

.............................


Suhani-"kya baat hai karan tumne urgently hume yahan kyun bulaya"

Karan-"bata ta hoon pehle yeh mithai khao"

Uday -"haan par occasionkya hai"

Karan-"meri shaadi paki ho gayi hai."

Adhiraj-"wow thats great yaar..."

Nupur-"chalo itne dino mein kuch toh acha sun ne ko mila"


Karan-"aur haan tum sab ko meri khushiyon mein sharikh hona hai aur mein kissi ka bhi bahana nahi sununga kyunki main acchi tarah se jaanta hoon ki tum sabki abhi vacations chal rahe hai "


Suhani-"sorry karan par mein nahi aa paungi....u know naa how it is...main bhai ko chod kar kaise"


Karan-"samrat ko chodne ke jaane ki baat kaun kar raha hai,samrat bhi jaayega"

Suhani-"par ..."


Karan-"dekho suhani agar samrat kisi dusre maahol mein jaayega toh aacha mehsoos karega,kab tak apne kamre mein yuhi rahega.....use bahar lana padega "


Suhani-"bhai nahi maanega"


Mayank-"woh maan chukka hai.....tum logo ko batane se pehle hi maine aur benji ne samrat se baat karli bahut musibaton ke baad akhir kaar humne use mana hi liya."


Suhani-"sach!!!!!!!!!!!!"


Nupur-"much!!!"


Diya-"bas ab bhagwaan kare sab theek ho jaye."


Uday-"par karan hum jaa kaha rahe hai"



Karan with a sweet smile-"Nainital"

Edited by sushups - 15 years ago
KrishnaRukmini thumbnail
Posted: 15 years ago
awesome, superb update. too good. selection of song was just too good. loved it.
continue soon dear.
thanks for the pm dear.
368758 thumbnail
Posted: 15 years ago
Wow really awesome update.Very mysterious one too.Please update soon.
cuteangelgirl95 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago

awesome continue soon thanx 4 the pm

lucario thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
hmm interesting....something fishy is thr in gunjan's dissappearance
Miracle_sweet thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
really awesome!!!!!
You know now even I think that gunjan is alive now??????
Plz update soon.
Mira
kweetrockstar thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
wow Ishu
i'll telll u the tuth
i was crying when i read suhani's naration
i loved the part
somehow ur twist of gunjan's body missing is fishy,
so u've planned to give us a happy ending
cant wait to meet gunjan again
hope she's not karan's bride,
ne ways huyi bhi to kya,
all shall be ok i'm sure
thanks for the pm
cont soon
ruky786 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
wow amazing update continue soon thanks once again for the pm
sweetsonal156 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
awsomeeeeeeeee part
ples cont soon
n thnx 4 the pm
No_Comments thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
OHHHHHH......
I loved IT!!!!
Please cont soon and Pm me...
And I think Samrat find Gunjan there... 😛

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: jasminerahul · 7 months ago

Parth,Adnan and Ketaki version I dedicate this to my friend Sydell who wants the Parth,Adnan,Ketaki version of the movie Hum dil de chuke sanam...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 11 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Rizz-ington · 1 years ago

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sakshi5050 · 3 years ago

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 10 months ago

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".