Recap:
babli: bhabhi dekho na maa papa ko apne sath le ke jane mai ap ko koi problem nahi haina
muskaan seeing towards rahul
rahul nodding...trying to say yes
muskaan: nahi koi problem nahi hai
babli: to theek hai maa mai app sab ki tickets book kerwa donge
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Rahul's Mom: Arrey nahi babli. Aise kaise hum chale jaaye? Beta-bahu ke honemoon pe saath jaate hum acche lagenge kya?! Upar se Paris mein.. Na baba na! Inhe bhi to kuch privacy chahiye hogi ke nahin?
Babli: Papaji, aapka to man tha na Eiffel Tower dekhne ka. Aap maa ko boliye na!
Rahul's Papa: Nahi beta, teri maa theek keh rahi hai. Hum phir kabhi chale jayenge Eiffel dekhne. Abhi to in dono ko mauj karne do. Nahi to zindgi bhar sochenge "pehli baar saath ghoomne gaye to waha bhi in buddhon ne akela nahi chora" hahaha." (Papaji was amused on his own joke so began to laugh loudly. 😆)
Rahul: Yeh kaisi baat kar rahe hain, Papaji.. Hum dono ko bahut accha lagega agar aap hamare saath chalein. Hai na Muskaan?
Muskaan: Haan Papaji-Mummyji. Aap dono bhi hamare saath chaliye na.
Rahul's Mom: Haye kinni soni bahu hai meri. Aate hi Rahul ko bhi sudhar diya. (Rahul got surprised and angry on hearing this. 😆) Lekin nahi beti, yeh tum dono ka honeymoon hai. Zindagi bhar iski yaadein tumhare saath rahegi. 😍
Muskaan-Bubli: Lekin Mummyji/Maa..
Rahul's Papa: Nahi beta, bas final decision ho gaya. Rahul aur Muskaan jaa rahein hain AKELE! Ab tum log jaake apne-apne kaam karo aur humein aaram karne do.
RMB left.
Rahul's Papa: Waise Harpreet, mera sach mein bada man hai tere saath ek baar Paris jaane ka. Kya kehti ho?
Rahul's Mom: Lo ji, to kya beta-bahu ke saath chale jaayen? Log kya kahenge?
Rahul's Papa: Arri Bhaagvan, main unke sath jaane ki baat nahi kar reha. Main to keh riya hoon ke kyu na unke aane ke baad hum dono chalein?
Rahul's Mom (blushing): Tum kabhi sudhroge nahi. 😳
No more about their flirt.. 😆
------------------------------------------
Rahul-Muskaan in their room...
Muskaan: Tune to marwa hi diya tha! Agar Mummy-Papaji saath chalte to kayamath hi aa jaati! Wahan bhi chain nahi. Har waqt tere saath naatak karte rehna padta.
Rahul (already irritated by hearing that Muskaan is sudharoing him 😆): Yeh har waqt Naatak-Naatak kya laga rakha hai? Hamari shaadi sach mein ho chuki hai. Samjhi!!
Muskaan: Haan to?! (just like muski in SPS handycam scene, where she said same thing 😆) Tujhe lagta hai ke main tere saath shaadi karke 18th sadi ki adarsh bhartiya patni ban jaungi? (toning down) Dekh, kya tu mujhse pyaar karta hai? Nahin. Kyaa main tujhse pyaar karti hoon? Nahin. Sach to yeh hai ke hamein ek-dusre ka saath bilkul bhi accha nahi lagta, to fir hum jo yeh kar rahe hain wo naatak hi to hai.
Rahul didn't say anything.
Muskaan: Chal, ab munh phula ke baithne se koi faayda nahi hai. Packing shuru kar de. Chain se 2 hafte Paris mein guzar ke aayenge. Tu apne raaste, main apne raaste. Warna yahan rehte to phir sabke saamne...
Muskaan continued with her blabbering but Rahul was not paying attention to her anymore. He was still wandering in the moment when Muskaan said
Dekh, kya tu mujhse pyaar karta hai? Nahin. Kyaa main tujhse pyaar karti hoon? Nahin. He felt a bit upset when she said the second half of it. And was still wondering about it. Why?
-
She was telling the truth dude. You are feeling upset because you think all the girls you meet should fall for you. -As if I care about this jungli billi!!
He sneaked a look at her. She was busy picking and selecting her clothes from her suitcase. A strand of hair fell on her eyes just then. She blew it away. It came right back. She muttered something and threw it back with back of her hand, all the while concentrating on her clothes..
He couldn't help smile. She's so cute. 😍😍😍
What? What did you just say?!!! Arghh, you've gone crazy, man!!!😲 Sorry, got carried away.. and just stopped myself before i could distort it any further.. feel free to ignore this part for continuing d story, as u need it.. 😛Edited by rapi_c - 15 years ago