Part 4
Scene One
~Sanjay's House, Muskaan still amd about Rahul, She is pacing back and forth as Tania and Naina listen to her blabber some more about Rahul.~
Muskaan: Iss baar toh uss lafangay ko maine aik lafz bhi nahi bola! Lakin next tiem voh aya toh usaay chor…(before she could finish her sentence Sanajay walks in the room and Muskaan shuts up as she knew Rahul was his best friend)
Naina: (looks up as Muskaan finally pasued) Sanajay Bhiyaa aap?
Snajy: haan…
Tania: (runs to Sanjay and Naina follows) App hi samjhai issay bahiyya hum toh thak gaye issay samjha samjha kay…(they both leave as Sanjay nods his head but Muskaan crosses her arm in anger as her friends told on her)
Muskaan: Aap apnay dost ko samjhai bahiyya! Varn ameray haath se katal ho jaye ga usska!
Sanjay: Jaanay do mithu uss bechaaray gareeb ko…(he pleads)
Muskaan: Gareeb aur voh…voh gareeb…(she pauses then thinks before turning to Sanjay in a much softer tone) Voh gareeb hain Sanjay Bahi? Aap ka matlab uskay pass paisay vaisey nahi hain? (she asked innocently)
Sanjay: (thanks god in his head that she is finally calmed down and decides to take on this "gareeb Rahul story" further, he didn't want more trouble at his sister Naina's wedding so he had lie to keep "Mithu" calm) Haan..gareeb…bahut gareeb hain bechara…tabhi toh hameesha angry young men ki tarah rehta hain…har waqt irritated aur ghussay mein… halat he kharab hain uss becharay kay…
Muskaan: Halaat kharab honay ka yeh matlab toh nahi kay insaan har waqt angaray chabata rahay..!
Sanjay: Abb jis ki zindagi he sholoon ki saij per chal rahi hoon voh angaray nahi barsai ga toh kya pholl barsai ga…(he thinks of a emotional dialogue from an old film and incorporates it to make his lie more valid for "Mithu" to believe)
Muskaan: (feels sorry and actually buys Sanjya's lie) Kyun Sanjay bahi…kya hua ussay?
Sanjay: (thinks a bit then answers) ahh..umm..Vohi jo 70's ki filmoon mein Amitabh kay saath hota tha…
Muskaan: (gasps) Voh sharaab peenay lag gaya?
Sanjay: Nahi… voh actually, bachpan mein bichar gaya tha na maa baap se…kabhi kissay kay shoes polish karta raha, kabhi kissi hotel mein kaam, aur kabhi garage mein gariyaan saaf karta raha…per himmat nahi haari…partha raha mehnaat kar kay… aur aaj kal bhi issi liye preshaan tha na kyunki kal fees sumbit karnay ki akhri date hain aur bechaara kitni mushkil mein hain…aur tum bechaaray se kitna lar rahi thi ussay….
Muskaan: tsk.. tsk…tskk… (feels sorry for him and is really ashamed of her behavior) Main kitni buti hoo na…main bhi bilqual ullo ki…(she stops as how could she call herself that) Aik toh gurbat upper se mohabbat mein na kaami…maine bahut bura kiya na uskay saath…?(she takes a seat on the couch as Sanjay sighs in relief)
Sanjay: (Softly) Thank God!
Muskaan: Kya?
Snajay: Nahi voh main kehraha tha kay…abb toh tumhari koi naraazgi nahi hain na ussay aur tum abb laro ge bhi nahi ussay? Right?
Muskaan: Nahi…nahi.. Main kyun laro gee beecharay say…Main toh bahut sorry ho…beechara… lakin Sanjay bhiyya aik baat bataye dekhnay main toh voh…
Sanjay: (before he gets caught lying he comes up with another excuse quickly to put Muskaan's doubt to rest) Haan…actuaaly voh jahaan voh kaam karta hain na voh loog bahut achay hain tumhari tarah, expensive kapray aur shoes detay rehtay hain ussay voh…you know…
Muskaan: Toh fees kyun nahi day tay…?
Sanjay: Fees kyun day gay?
Muskana: Huh?
Sanjay: I mean dekho kapray, watches, aur shoes toh hand-me-downs hotey hain na issi liye voh log ussay day detay hain, fees toh usssay khud arrange karni parti hain…
Muskaan: hmmm…acha…(she starts to think as she regrets being mean to Rahul. Sanjay leaves her thinking hoping she remains as silent as she is at the moment.)
Scene Two
Abhi Nikki
~Abhi and Nikki come back to the hotel in Shimla. It's been a long day as they went mountain climbing and sight seeing with the tour guide. Nikki managed to keep herself normal and actually non-filmy until the photographer requested the couple to pose for pictures. Abhi didn't want photos but Nikki insisted so he agreed but after seeing Nikki's dramatic poses and the photographer drooling over Nikki's filmy dressing since she took off the overcoat he had made her wear, Abhi got agitated and decided to head back without listening or saying anything to Nikki. He was angry and Nikki was unaware of his anger…~
Nikki: Aaaachoo…Achoooo…!
Abhi: Aur pose karo apni sleeveless chiffon ki sari mein jub temperature -3 degrees ho…!
Nikki: (confused) Abhi per sari toh silk ki thi, aap kuansi waali ki baat kar rahay hain? …aachhooo
Abhi: Please Nikki…kub…kub badlo ge…kub bari hoge…? (he takes off his heavy coast and hangs it)
Nikki: (controlling her sneeze) Kya…Kya baat hain Abhi…aap...aap naraaz hain kya?
Abhi: Naraaz hmmm…ho main naraaz… Tumhay yahaan se overcoat pehna kay bahir lay kay gaya tha aur tumnay meray manah karnay kay baad bhi overcoat utaara…duniya kay saamnay taamasha banaya…
Nikki: (scared) Per..main…hum..maine toh humaray liye..
Abhi: Nikki tumhay kub samajh mein aaye ga kay main koi filmy hero nahi jo iss sub ko pasand karay. Itna show off, itna glamour, yeh sub…yeh sub mujhay nahi acha lagta…
Nikki: (comes and stands next to him) Abhi…
Abhi: Please…mujhay iss waqt akelay chor do… Hum kal he vaapis jarahay hain..iss tarah mein yahaan nahi reh sakta…
Nikki: Abhii aap Dinner bhi nahi…
Abhi: Mujhay nahi kahana, tum room service se order karlo aur packing karlo vaapis jaanay ki…(he walks out in the balcony and Nikki is left standing there confused and sad at his behavior)
Scene Four
Garewal Residence
~Ammaji is in front of the dresser fixing her hair and Abbaji is reading the newspaper outloud at a distance from where Ammaji's dresser is situated.~
Abbaji: (browsing the newspaper) Divorce…hmm… yeh bhi divorce…
Ammaji: (overhears him saying the word "divorce" and instantly puts the comb down and rushes to her husband worridly) Sunay aap yeh kya…kya kehrahay hain…?
Abbaji: (looks up from the newspaper and tries to explain) Yahi kay main divorce…
Ammaji: (GASPS) Nahi! Nahi aap aisa nahi kar saktay… itnay bhurapay mein mujhay kyun apnay aap se durr kar rahay hain…nahi!!
Abbaji: (rolls his eyes) Array Armi ki Amma aap bhi na, kabhi toh koi baat puri sun liya karay…
Ammaji: (worried) Aggar puri sunn li toh main kya kaho ge sub se…kaise apni sahkal dikhao gee…maine aisa kya kiya hain jis ki aap itni bari saaza de rahay hain?
Abbaji: Array Armi ki Amma baat toh sunn lay pehlay, main toh akhbaar phar raha hoon kay har doosri khabar Divorce kay baaray mein hain…
Ammaji: (sighs in relief) Aachaa….Hai Rabba! aap nay toh mujhay darra he diya…! (she sits down)
Abbaji: Haan abb dekho na yeh sub divorce ki khabrein sirf love marriage ki wajah se hain..."Love marriage"! Hmmph…! Shaadiyaan toh kar lay tay hain iss chakkar mein per phir divorce…divorce… aur sirf divorce he aik option reh jaata hain…
Ammaji: Haye Rabba! Aap toh iss lafz kay peechay he par gaye hain…mujhay darra he jarahay hain…
Abbaji: Main toh kehta hoon aggar sub loog apnay bachoon ki shaadiyaan samajhdaari se karay jaisay maine ki hain toh yeh lafz "Divorce" khud he khatam hojaye…Dekhiyay na kitni achi joriyaan milai hain maine…Armaan aur Riddhima ki Jodi…Abhimaniyu aur Nikkita ki jodi… kyun main theek keh raha hoon na Armi ki Amma?
Ammaji: (Smiles while notoicing the pride in his tone) Hmmm…bilqual…aap toh hameesha he har kaam sooch samajh kay kartey hain…
Abbaji: Shukriya…shukriya…! (he smiles back at his devoted wife of 52 years and continues reading the newspaper while Ammaji go about her work in the house)
Scene Five
~Rahul and Sanjay visit their Business School to meet up with friends and to pick up thier diploma as they had just graduated couple of days a go an found themselves still attached to their hangout place in the school's caf.~
Sanjay: Yaar Rahul yeh jagah kuch zaayada he apni ban gaye hain na?
Rahul: Hmmm yahi per toh tu Tina, Meena, aur Sheena kay saath dates per ataa tha class bunk kar kay…
Sanjay: (laughs) array choor yaar kya yaad dilla raha hain!
Rahul: Acha kahir chor bol teri behn Naina ki shaadi set gaye na? koi problem toh nahi huyi..?
Sanjay: Haan yaar sub achay se hogaya aur Naina ki khushi mein he meri khushi hain…behn apnay ghar chali aye aur kya chahiyay…
Rahul: Arrey vah! Tut oh bara acha bahi nikla…kabhi acha dost bhi ban jaaya kar..!
Sanjay: Haan haan tujhay Mithu se maine he bachaya tha…yaad rakh..!
Rahul: Haan bahi…voh koi bhoolnay waali cheez hain bhi nahi…larki hain ya puri ki puri jungli billi…!
Snajay: (laughs at Rahul's funny expression) Rahul issi pehlay main teri inn baatoon mein yeh bhool jao kay main apna diploma laynay aaya tha main chalta hoon…tunay toh apna kaam karvaliya hain bus mujhay kuch minute de main apni cheezein pick up kar kay aaya…
Rahul: Theek hain main yahi hoon tu jaldi ja kay aa...!
~Sanjay leaves and Rahul finds some underclassmen friends who call him over to ask him about his life as a bachelor and all. Meanwhile Muskaan aka "Mithu" has made her way inside the business school in search of Rahul as Sanjay had mentioned earlier about going to school with Rahul to pick up his diploma and that's what gave her the idea to take rahul some fees money so that he could get his diploma as he is "poor and has no money to pay off his fees so that he could pick up his business school diploma" according to Sanjay. Muskaan looks around the canteen and asks about Rahul from someone who points her directly towards his direction. As she makes her way towards him he sees her coming and excuses himself from his friends to find out why she is here because this time he is not going to put up any insult from her infront of his friends and classmates.~
Rahul: Tum kya kar rahi hoon yahaan pe?
Muskaan: Voh Rahul…(she takes out the envelope with the money and puts it in front of him) Main tumhay kuch denay aaye thi…
Rahul: (Scoffs) "De nay aaye thi"…uss din mujhay lafanga, badmash, thakri, aur pata nahi kya kya keh diya kafi nahi tha kya… (Muskaan was looking down as she was feeling bad for what she had said earlier but she still had the envelope held out for him, Rahul was going off without stopping as she was not interfering thinking it's her fault. Rahul takes the envelope and assumes the worst) aaj bari naik bibi bankay meray peechay peechay arahi hoon voh bhi yeh love letter lay kar…!
Muskaan: (looks up instantly in shock) KYA!?
Rahu:Acha abb itna shock honay ki koi zaroorat nahi hain! Tum jaisi larkiyoon kay chakkar main achi tarah jaanta hoon samjhi...jahaan thori achi shakal ka larka dekha forran yeh harkatein shuru kar di (he holds up the envelope infront of her face and she simply looks down and begins to make a crying face, she is not able to defend herself as everyone is looking at her and Rahul is just going off) Acha bus bus, meray saamnay zayaada rona dhona mat karna, sirf shakal se he masoom lagti hoon tum…Shayad achi family ki bhi hoge, lakin yeh sub harkateein tumhari family ka naam badnaam karay ge aur tum ho kay unki izzat ko yunhi gawa rahi hoon… (She couldn't listen anymore especially the family part and she runs away from Rahul crying with tears, as she runs Sanjay passes her and tries to stop her but she hurries out the crowd and the college without stopping. Sanjay makes his way to Rahul who was standing there with the closed envelope in his hand shaking his head thinking how "stupid" Muskaan is)
Sanjay: Arrey yeh…yeh Mithu yahaan per kya kar rahi thi?
Rahul: Yeh denay aaye thi mujahy love letter (he puts the envelope in front of Sanjay, he takes it as Rahul continues) miane bhi asi sunai kay zindagi bahr yaad rakhay ge…hmmph..!
Sanjay: (checking the envelope he looks up at Rahul) Yaar yeh acha nahi kiya tunay…
Rahul: Kyun tumhari koi voh asli cousin toh hain nahi voh, tumhari behn Naina ki dost hain aggar koi cousin ya rishtaydaar hoti toh main kuch lihaaz kar leyta…
Sanjay: Tunay issay phara…khol kay dekha…?
Rahul: Main kyun pharo ga…likha hoga koi filmy scene aur dialogue iss mein…
Sanjay: (Pulls out the money in front of his face) Yeh hain iss mein…Yeh paisay!
Rahul: Oh My God! Voh itni cheap hain, paisay dekay voh mera waqt khareedna chahti hain! Tauba hain! Kis qisam ki larki hain yeh…!
Sanjay: Abbey Rahul chup karja…yeh teri fees kay paisay hain…fees kay liye…
Rahul: (confused) Meri fees kay liye…voh meri fees kay paisay kyun day ge?
Sanjay: (guilty) Yaar voh uss din…yaad hain tumhara aur uska jaghra hogaya tha…aur voh bahut ghussay mein thi aur pata nahi kya kya suna rahi thi…issi liye maine choota sa jhoot bol diya, mujhay laga aise kuch kaam banjaye ga…
Rahul: Kya matlab?... Tune kya jhoot bola?
Sanjay: Bus voh maine uss din Sholay dekhi thi aur phir baat se baat nikal gaye aur maine…(Sanjay tells him the whole story and Rahul is listening to him with a dumbfounded expression while holding his head in his hands and regretting every word he said to Muskaan aka "Mithu")…Toh abb main inn paisoon ka kya karo?
Rahul: (angry) Kheer Kahlo is ki!!!
Sanjay: Tujhay yeh vaapis karnay paray gay…
Rahul: Main kyun?!
Sanjay: Sorry toh tujhay bolna hain na…
Rahul: (Thinks a little then takes the envelope form his hands and goes away)
Scene Six
~Outside Muskaan's Medical College Rahul is standing by his car waiting for her as it's almost time for dismissal. He sees Muskaan waving bye to her friends and so he goes towards her as she is walking in the other direction alone to catch her auto~
Rahul: (calls out) Mith…Mithu…
Muskaan: (turns around and sees Rahul, she makes an angry face) oooh…toh yeh hain tumhara asal roop…upper se toh baray shareef banatay hoon aur girls medical college kay agay apna time pass kar rahay ho..hmmm…(she had her hands on her waist like an old lady)
Rahul: Main koi time pass thori kar raha hoon..aur vaisey bhi meray toh sunglasses lagay huye hain kaisay kissi ko dekho ga…(he said innocently)
Muskaan: Zaayda hero banay ki kohshish nahi karo meray saamnay…abhi gate keeper ko ishaara kiya na toh tumharay bahut jootey lagay gay! Samjhay!
Rahul: Main..main sirf sorry kehnay aaya ho…saach mein..
Muskaan: Sorry my Foot! Jub jo dil mein aaya keh diya…jub dil kiya insult kardi aur sub kay saamnay meri insult kar kar mujhay rula diya!
Rahul: Dekho main jaanta hoon maine tumhay peechaanay mein galti ki hain…jissay main tumhari shararrat samjha voh tumhari humdardi thi meray liye aur jissay tumharai awaargi samjha voh tumhara ehsaan tha mujh pay…(he says sweetly and honestly)
Muskaan: Abba aye na akal! Lakin sorry bolnay say kuch nahi hoga! Naak bhi ragro gay na tub bhi maaf nahi karo ge…
Rahul: (sheepishly) acha… aggar main tuimharay pair (feet) par jao toh... (he falls to the ground and holds her leg, creating a scene and shocking muskaan completely)
Muskaan: (shrieks in shock) Ahhh… array… yeh kya kar rahay ho? (she looks around as girls by the college gate are looking at her) Kyun mera tamaasha bana rahay ho… jao yahaan se..choro mujhay…
Rahul: (Still holding on to her leg) Nahi…main uss waqt tak nahi jao ga jub tak tum mujhay maaf nahi kar deyti aur aggar tumnay aaj mujhay maaf nahi kiya na toh main kal dobra ajaoga aur phir se tumharay pairoon mein gir jao ga…
Muskaan: Acha…acha…jao…maine tumhay maaf kiya…chooro mujhay.
Rahul: (gets up and smiles) hmm yeh huyi na baat! Abb chalo main tumhay ghar drop kardo? Tumhay thanks you bhi bol na hain…
Muskaan: (shocked at his offer) Thank you bol na hain toh yahi bol do… Apni shakal dekhi hain tumnay main tumharay saath ghar jao ge..?! aur
Rahul: (looks confused then comes up with an idea based on the lie Sanjay made for him) Dekho aaj na meri fees jamah karanay ki akhri date hain aur aggar tum nahi aao ge toh main fees nahi sumbit karo ga aur diploma bhi nahi millay ga aur phir job toh khair millay ge he nahi…iss sub ka yahi matlab yahi hoga kay tumnay mujhay maaf nahi kiya…sooch lo meri puri zindagiyunhi kharay kharay ghuzaar jaye ge…
Muskaan: (sighs and gives up) Uff! Bahut he ziddi ho tum! Chalo…(she accepted his offer and smiled)
Rahul: Thank you! Ajao…(they walk towards his car and get in)
**********END OF PART 4**********
80