Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 18th Sept 2025
🏏T20 Asia Cup 2025: UAE vs Pak, 10th Match, Group A at Dubai🏏
HEALING SHUROO 18.9
🏏T20 Asia Cup 2025: AFG vs SL, 11th Match, Group B at Abu Dhabi🏏
Akash Ambani constantly holding radhika's hand and waist
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 18, 2025 Episode Discussion Thread
Deepika Removed From Kalki 2
Soo EMA or SR?
Nerdtastically Navratri (CC Game, Sign Up Open)
Bollywood Celebrates Modi's 75th Birthday
The Ba***ds Of Bollywood - Reviews
Abhishek reminds me of young Puneet Issar
Buddhiya ki Nautanki
ABC Pulls Jimmy Kimmel Off Air for Charlie Kirk Comments
Anupamaa 18 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 19, 2025 Episode Discussion Thread
Alia bhatt special topic
How quickly time changes
VICTIM KAUN 🤧 19.9
Pari's hate for Tulsi
Part 6
~Scene One~
*Rahul's Car*
Muskaan: Yeh tum kahaan laykay jarahay hoonā¦mera ghar toh uss taraf hain naā¦?
Rahul: Haan haan jaanta hoon tumhara ghar iss jagah kay subse mehengay area mein hain per wahaan koi acha caf nahi hainā¦
Muskaan: (makes a face) Caf?
Rahul: haan coffee kay liyeā¦
Muskaan: Per maine tum se coffee pilanay kay liye toh nahi kahaā¦
Rahul: Haan per mujhay peeni hainā¦
Muskaan: Oye! Itni garmi mein tum coffee kyun perahay hoon�
Rahul: acha toh ajj garmi hain?
Muskaan: (Rolls her eyes at his stupidity) Gari mein AC full per hain toh janab ko garmi mein bhi sardi he lagni hainā¦Rahul tum aik number kay nikamme hoā¦kuch pata he nahi hain kub garmi hain aur kub sardi! Pagalā¦(she laughs at him and as he glances over to her to say something back he ends up laughing as well. Rahul really didn't care about his surroundings when he was with her, he was changing but didn't know how or whyā¦) Oye! Tum apnay app per hans rahay hoon meray saath ya phir mujh per hans rahay ho?
Rahul: (coming out of his trance) Huh?...i mean haan voh main yunhiā¦choroā¦batao itni garmi coffee nahi toh phir kyaā¦
Muskaan: Ice Cream! Garmi loog ice cream kahtey hain Mr.Rahulā¦per pehlay app mujhay ghar chor dijejay mujhay tutionā¦
Rahul: Tution? App kyun tution parahti hainā¦app ko tohā¦
Muskaan: (bites her tounge) Nahi nahiā¦parahti nahi hoonā¦voh actually apni friends kay saath tution jaati hoon..you know help ho jatai hain kafiā¦ghar per sub kehtay hain kay mujhay tution ki zaroraat nahi hain vaisay bhi medical school ki toppers mein se hoonā¦
Rahul: Ohhā¦achaā¦achaā¦(he wasn't fully convinced but agreed anyways as he pulled in to the nearest ice cream shop's parking lot)
Muskaan: Arrey gari kyun rok diā¦
Rahul: Ice cream kay liyeā¦
Muskaan: perā¦
Rahul: Pleaseā¦tution thori daie se chali jaanaā¦vaisay bhi tum toh toppers mein se ho na?
Muskaan: (chuckles) hmmā¦okay per flavor meri pasand kaā¦
Rahul: okay madamā¦! (he opened the door for her and they both walked in to the ice cream shop together.)
~Scene two~
*Ridzi and Ammaji in the living room as Ridzi discusses Abhi's concern about Nikki with her*
Ammaji: Hmmā¦.vaisay kuch galat toh keh nahi raha hain Abhiā¦.uska gilla bhi durr hojayeka kay Nikkita kum phari huyi hainā¦
Ridzi: Lakin Ammaji usko samjhaye ga kuan..parhai se uski utni he jaan jaati hain jitni Abhi ki daily soaps se.. aap toh jaanti hainā¦
Ammaji: Hmmm toh kuch aur kar lay na phir⦠dekho Abhi theek kehta hain kay khali rehnay se insaan khud ko fazool kaamoon mein daal layta hainā¦masroof rahay ge toh yeh fazool shauq bhi khatam hojaye gay aur subah saveray uthnay ki addat bhi paray ge ussayā¦
Ridzi: main toh sooch rahi thi kay voh..uhh.. koi computer course kar layā¦
Ammaji: Arrey hato "computer course kar lay ge"ā¦yeh bhi koi baat huiā¦dekho koi sillai kharaiā¦kahnay pakanaā¦macramā¦Croatiaā¦
Ridzi: Macrame? Voh yeh sub seekh lay ge?
Ammaji: bahi macram, Croatia, aur kharai sub kuch main sikhao ge toh voh seekh he lay geā¦(she smiles proudly stating her creative abilities and Ridzi agreed with her plan and lightly hugged her friendly and traditional mother in law)
Ridzi: Vah Ammaji! App toh bahut achay ideas dayti hain!
Ammaji: (smiles and lovingly kisses her forhead) hmmm dekho bahi jub bari bahu itni pyaari aur samjhdaar ho toh mujhay bhi achay ideas mill he jaatay hain.
~Scene 3 ~
Ice Cream Shop
Rahul: Toh chocolate tumhara favorite falvor hain? (he asked as he watched her enjoy her ice cream)
Muskaan: (looks up) Nahiā¦depend karta hain meray mood per kay kuan sa flavor pasand hainā¦chocolateā¦vanillaā¦cookies and creamā¦anyoneā¦haan butterscotch bhi bahut acha hota hainā¦
Rahul: (laughs) Lagta hain ice cream ko khoob achi tarah se research kiya hua hain tum neā¦
Muskaan: Oye! Main Mithu hoon aur Mithu na ice cream aur insaanoon dono ko achay se research kar lay ti hain kyunki agar flavor ya kissi ki personality baad mein kharaab nikkli toh sara mood kharaab hojata hainā¦(she was eating her ice cream while talking as Rahul was simply busy listening to her talk)
Rahul: Acha toh meray baaray mein kitni research ki hain Mithu nay? Kitni kharaabiyaan hain mujh meinā¦
Muskaan: (looks up from her ice cream cup and thinks) Tum itnay bhi buray nahi hoā¦
Rahul: (leans forward on the table) Toh main kitna bura ho?
Muskaan: (thinks again ) ummmā¦tum..naā¦tum bilqual chocolate ice cream ki tarah sweet se hoon per kabhi kabhi ghussay mein strawberry ice cream jaisay laal ho jatey hoonā¦aur as a friend tum vanilla jaisay clam aur kafi considering hoonā¦lakin haan butterscotch jitnay achay nahi hoonā¦uss kay liye thori aur research kar ni paray geā¦(she smiled finishing up her ice cream)
Rahul: (thinking in his head) Kitni sweet hainā¦kyun mujhay iss saath hameesha yunhi baatein karnay ka dil chahta hainā¦Mithu jaisa naam vaisi he personalityā¦kuch bhi galat nahi hain iss meinā¦sub kuch perfectā¦
Muskaan: (snaps her fingers in front of his face)Oye! Kya mera analysis acha nahi laga?
Rahul: Naā¦nahi..bahut acha thaā¦Ice Cream aur Rahul Garewal kafi milltay jhultay hainā¦
Muskaan: (smiles) haan mithu ko bhi aisa he kuch lagta hainā¦abb mujhay gahr chor do gay kafi late hogaya hainā¦
Rahul: Yeahā¦chalo⦠(they both get up and leave)
~Rahul dropped Muskaan off in front of the same beautiful house in the richest neighborhood and Muskaan waited for him to drive off before she could go back to her reality which was a total opposite of what she had fooled herself and Rahul into believing. She quickly walks to the main street and finds herself an auto so that she could rush back home as she is running late today.~
Muskaan: Bahiyya please jaldi chaliyay naā¦
Auti driver: Traffic bahut hainā¦issay zaayda jaldi nahi chal saktaā¦
Muskaan: (sighs and thinks to herself as she could do nothing but wait for the traffic to be cleared) Mitthu tu yeh kya kar rahi hain? Rahul aik acha larka hainā¦itna bara jhoot bol diyaā¦agar ussay yeh sub saach pata chal gaya aurā¦aur voh teri dosti seā¦nahiā¦Muskaan toh kub tak bholi Mitthu ban kar yeh sub karti rahay geā¦duniya toh kal bhi teray bachpnay ka mazaak banarahi thi aur ajj bhiā¦kub bari hogi Mitthu kub?? Aur Rahul voh toh itna acha hainā¦Sanjay bahiyya nay uska saach bata kay mujhay realize karaya kay voh kitna majboor hainā¦maa baap se bichra huaā¦akelaā¦voh toh jhoot nahi bol rahaā¦phir tu kyun? Lakin main toh sirf issi liye jhoot bol rahi hoon kay usski kuch maddad kar sakoā¦kuch paiso seā¦kuch apni dosti se... Per main bhi kay kar sakti hoonā¦Chachi aur unkay bacho ka pura expense bhi mujhay utha na hainā¦tution phara kay bhi sirf itnay he paisay hotay hain kay aik mahena sahi se ghuzar jayeā¦Rahul ko toh apni savings se saaray paisay day diye thayā¦kal aggar ussay aur zaroorat pari toh kya kaho geā¦? Kya karo main⦠arrey haan voh jis company mein maine apply kiya thaā¦kya naam tha..haan voh Garewal and Sonsā¦vahaan se interview call toh aaya hainā¦kal he jaogeā¦college se half day lay kayā¦kya pata iss secretary ki job mein kuch achi salaray mill jayeā¦Chachi ko bhi sukoon millay ga aur mujahy rooz taanay kah kay bhooka nahi sona paray gaā¦per abb toh bhooka soonay ki bhi addat hogaye hainā¦kahair choroā¦Mitthu toh bus sub ko khush dekhna chahti hainā¦abb chahay voh Chachi he kyun na hoonā¦
~Scene Four~
**Late at Night Abhi-Nikki's Room**
Nikki: (singing while ironing her chiffon and filmy saris) "Sajna hain mujhayā¦sajna kay liyeā¦sajna hain.."
Abhi: (tossing and turning in his bed as he is trying to sleep) Uff oh! Ghawd! Nikkita please iss gannay ko gana band kardo aur yeh lights off kardoā¦Mujhay neend arahai hain
Nikki: (looks up at him and continues ironing) App ko neend kay illawa kuch aur aata hain?
Abhi: (turns around and looks at her) kya matlabā¦iss waqt aur kya aana chahiyay?
Nikki: (turns off the iron and shyly smiles looking at Abhi) Mujhpe pyaar aur kya?
Abhi: (rolls his eyes) Hmmph! Iss waqt toh ghussa araha hain tum perā¦tum mujhay soonay nahi de rahi hoon..!
Nikki: Yeh bhi koi sonay ka waqt hain?
Abhi: Nikkitaā¦adhi raat horahi hain shareefoon kay sonay ka waqt yahi hota hainā¦
Nikki: Lakin aggar shareefoon ko kal dinner outing per jana hoon toh iron aur yeh sub tayaari abhi se kar lay ni chiyay na?
Abhi: Nikkita dinner kal raat ko hain tum aaj ki raat se tayaariyaam kyun kar rahi ho?
Nikki: Appkay friend kay saath dinner hain mujhay sub se acha lagna hain....after all app bhi toh bilqual Ekta Kapoor kay dramo kay heroes jay jaisay tayaar ho kar jaatey hainā¦per main bhi kum nahi hoon⦠kumkum se toh lakh behtair hoon mainā¦hmm..
Abhi: (Shakes his head and looks disappointed) Nikkitaā¦tumhara kuch nahi ho saktaā¦
Nikki: Abb aur kya hona hainā¦app se shaadi hogaye bus kafi hainā¦
Abhi: (lays back down on his bed and covers his face with the pillows so Nikki's voice and the annoying light is not so bad to endure because only God knows when he'll be able to sleep tonight)
~Scene Five~
**Next Morning Muskaan goes for her Interview at "Garewal and Sons". She doesn't know that this is one of many Abbaji's offices and that Rahul is also visiting the same office at about the same time as her today, he'll be joining the office as the new Financial Managing Director of Garewal and Sons, and so he'll be meeting the staff and observing as Abbaji has ordered him to do so before giving official orders as the boss.**
Interviewer: App ka naam?
Muskaan: Muskaan..Muskaan Chaddaā¦
Interviewer: (looks up with a weird smile and a creepy look) Aap ka naam bhi aap ki tarah muskurata hua sa hainā¦kafi pyaara naam hain...hmmm
Muskaan: (nervously smiles as she tries to avoid any eye contact with the creepy looking interviewer who was practically staring at her eversince she stepped in to his office cubicle)
Interviewer: (looking at Muskaan's file) Hmmmā¦toh sari education toh medicine based hainā¦science focus raha hainā¦phir yeh accounting or secretary ki job ki applicationā¦aisa kya hain iss resume mein jis ki wajah se app ko yeh job millay? Na koi business ki degree ya experienceā¦?
Muskaan: (thinks for a convincing idea and puts on a worried faial expression) vohā¦actually⦠sirā¦meray na dus chotey behn bahi hainā¦aur unn sub ki zimaydaari na mujh per hain sirā¦
Interviewer: Achaā¦aisa hainā¦
Muskaan: Jeeā¦
Interviwer: App ki umar kya hain phir?
Muskaan: Meri umarā¦voh.. Voh sir larkiyoon se unki umar thori poochtay hainā¦
Interviewer: interview mein poochi jaati hain⦠(he smiles creepily)
Muskaan: Achaā¦(thinks a bit then puts on her melodramatic face once again) toh phir yahi koi attahra saal saath mahinayā¦(18 yrs and 7 months) subse choota bahi mera aik saal ka hain sirā¦maine sub ko aik maa ki tarah paala hain aur raat ko bhi jaagi hoon unhi ki kahtirā¦(she looks down as if getting emotional)
Interviewer: kyun? app ki maa?
Muskaan: Sir..meri maa kit oh bachpan mein he death hogaye thiā¦
Interviwer: Bachpan mein?!
Muskaan: Jee..
Interviewer: Toh yeh aik saal pehlay bahi kaisay hogaya?
Muskaan: (stammers a bit) umm vohā¦haanā¦voh meray papa ne doosri shaadi kar li aur ussi say teen sautaylay bahi behn hainā¦sir lakin sautaylay honay say kya hota hainā¦insaaniyaat bhi koi cheez hoti hain naā¦
Interviewer: haan haan bilqual⦠acha yeh batai app kay papa kya kartay hain?
Muskaan: Sir aggar voh kuch kartay hotay toh main thori job dhoondtiā¦unki bhi 4 saal pehlay death hogayeā¦
Interviewer: 4 saal phelay?!?!
Muskaan: Jee sirā¦
Interviewer: Per yeh jo aik saal pehlay bahi hua hainā¦
Muskaan: oh vohā¦voh..sir..haan meri doosri maa nay bhi doosri shaadi karliā¦(she sobs as if crying)
Interviewer: Oh I seeā¦family problemā¦hmmā¦
Muskaan: (looks up wiping her "tears") Jeeā¦
Interviewer: (closes the file and smirks) Toh app kay iraaday kya hainā¦
Muskaan: Kis silsilay mein sir�
Interviewer: (hands her the file and in the process grabs Muskaan's hand in a creepy way) Vahi silsila jo aapkaya ur meray beech ho sakta hainā¦
Muskaan: (fumes with anger upon his disgusting looks and touch, she quickly takes her hand back and gets up) Tharki buhhday! Tumhay sharam nahi aati! Apni beytiā¦nahi pooti ki umar ki larki per line martay ho..! hmmmph! Abhi bata ti hoon..!
Interviewer: dekhay app ko galat fehmi ho rahi hain! App..
Muskaan: Galat Fehmi! My Footā¦! Abhi bata ti hoon tujhay mainā¦yeh batameezi tujhay bahut mhengi paray gi bhudhay! (She rolls up her seeleves and grabs the old man's collar making him regret everything he had thought about doing to Muskaan in past hour)
~While Muskaan in busy physically abusing and verbally bashing the embarassed petafile Interviewer in front of other workers at Garewal and Sons, Rahul is making his way around the same area of the building where all the commotion is coming from. Although Muskaan's loud verbal abuses could easily be heard and recognized from a mile away, Rahul completely ignored his instincts as he had been dreaming and hearing Muskaan's voice randomly for quite some time now due to his constant day dreaming about Mithu and her sweetness.~
Rahul: Mr. Sharmaā¦yeh shor kaisa?
Mr.Sharma: I don't know sirā¦lagta hain kuch hua hainā¦
Rahul: hmmmā¦chaliye chalk ay dekhtay hainā¦
Mr.Sharma: Sir appā¦main dekhleta hoon app ko takleefā¦
Rahul: Nahi, Mr.Sharmaā¦main bhi chalta hoonā¦saara working enviorment dirput hua hain, I have to control this isse pehlay kay Armaan ya Abhi bahiyya ajayeā¦
Mr.Sharma: Okay sir... aapki job lagta hain aaj se he startā¦
Rahul: (smiles ) Jeeā¦chailyayā¦
~Mr.Sharma leads Rahul exactly where Muskaan is making the sinner interviewer pay for his sins in the middle of the office and as Muskaan's back is facing Rahul, he is completely oblivious to the fact that he is about to approach the girl who knows him as a mear driver not as the new Financial Managing Director of Garewal and Sons.~
Worker one: (gathered around the choas) Arrey yeh kya ho raha hainā¦yeh larki tohā¦
Secretary: (Supporting Muskaan aggressivly) Sahi kar rahi hain..! yeh Buddha kub se har larki ko preshaan karta rehta thaā¦kissi ko nahi choorta tha!
Worker two: Per yeh office mein..?
Secretary: Haan! Aur maaroā¦khudus ko! Kameena! Ullu!
Interviewer: Yeh kya batameeziā¦(trying to run from Muskaan but in vain)
Muskaan: (pulld him by hid collar harder and wacks him with her interview file) Batameezi!!? Toh tu kya ander meri mehmaandaari kar raha tha! Ullu!ghaaday!! apnay galay mein na aik collar band kar rakh!....
Mr.Sharma: Excuse me..! Pardon please⦠Jagah banaiyay Sir kay liyeā¦Excuse usā¦(making way for Rahul through the crowd so he could approach the girl with "to-go" verbal abuses at hand.)
Rahul: (Reaching out his arm to tap her shoulder and stop the women who is facing her back to him yet contiously bashing an employer he is not at all fond of) Excuse me..?!
Muskaan: Oye! Baad mein aana abhi busy hoon dikh nahi raha! (carelessly shrugs off his hand and continues to create a scene)
Rahul: (goes a bit closer and tries again) Maamā¦aap please yeh tamasha na karayā¦job hi baat ho ge voh aap management se kahayā¦
Muskaan: (turns around and is utterly shocked to find a suited and well dressed Rahul in front of her. The petafile interviewer quickly runs out as Muskaan's grip on his collar instantly dropped just like her jaw. She stared at Rahul in disbelief for a while.) ttā¦.tā¦Driā¦Driver?....Tā¦Tum!?! Ra... Rā¦Rahulā¦?????????
Rahul: (shocked and guilty facial expression)
Mr.Sharma: Sir app theek hain na?
Rahul: (looks at Mr. Sharma confused and guilty, he is looking everywhere else except at Muskaan who is eager for an explanation to what she has witnessed)
Muskaan: (confused) Ssā¦Sir..? Tum..Sirā¦?
Precap:
Rahul: Muskaan meri baat toh
This story has been inspired by the 2002 Malayalam film Nandanam, and was written at the request of Jasminerahul. It is my humble attempt to...
Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...
[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...
Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
80