2am early in the morning......
Sujal is in bed lying down...for some reason he couldnt sleep...he is resting his head on his pillow whilst holding another pillow in his arms hugging it...but he keeps tossing and turning...he feels so uneasy because he couldn't sleep...when he realises that he never asked Kashish about her hand...he sits up and looks at the clock..it was showing 2.05am...he runs his hand in his hair thinking of what to do...
Sujal: Kashish ko call karke poochu ya nahin?...shayad who so rahi hogi...lekin jab tak main yeh jaan nahin leta muje neend nahin aayegi..shayad isiliye bechaini horahi thi...main call karke dekhta hoon..
He picks up his mobile from the side table and dials her number...the phone is ringing but Kashish is fast asleep in bed...she turns her head towards her side table with her eyes still closed as she is half asleep...she reaches out for her mobile feeling for it on the side table when she finally caught hold of it..she brings it near her ear and answers...
Kashish: hello.....kaun itni raat ko so nahi raha....balke muje phone kar raha hai...
Sujal: woh..Kashish...main Sujal...i'm really sorry...shayad maine tumhe jaga diya...
Kashish sits up in bed in fear upon hearing Sujal's voice....
Kashish: Sujal tum....itni raat ko...tum thik to ho...kuch hua to nahi....kahi tumne bura sapna to nahi....Sujal kuch bolo..
Sujal smiles as he hears her getting so worried for him...his admiration for her seemed to be growing even more every time she reacted like that
Sujal: Kashish muje kuch bhi nahin hua...main bilkul theek hoon...relax...woh actually muje neend nahin aarahi thi...us waqt Anisha ki problem solve karte karte maine tumse poocha hi nahin ke tumhara haath ab kaisa hai...aur kya kaha tha doctor ne?
Kashish; oh tumne yeh puchne ke liye phone kiya tha.....mera haath thik hai....normal hai....woh Heer ne medicine di hai....I am fine now....
Sujal rests his head back on the bedpost and sighs in relief...he is feeling a lot relaxed now...
Sujal: thankgod ab sab theek hai..ab please tum aisa koi kaam nahin karogi jisse tumhare haath me phirse dard hone lagge...aur tum ghar pe hi kuch din araam karlo...kyunki office me aate hi tum kaam karna shuru kardeti ho...waise bhi agle hafte Heer aur Prem ki sagaai hai to uske liye tumhe poori tarah se theek hona haina...
Kashish: Thank God tumne muje yaad karaya...main to tumhe puchna hi bhul gayi....tum aa rahe ho na Sagai ke liye...
Sujal: agar tum chahti ho ke main aaun to mein zaroor aaunga..
Kashish: kya itna mera kaha mante ho...muje to nahi lagta....
Sujal: kyun..ab aisi tumhari kaunsi baat hai jo maine nahin maani...humesha tho maantha hoon...
Kashish: ahhh...hamesha....aaj meri baat mani jab maine tumhe Anisha ke khilaf jane se roka to....
Sujal: Kashish...thats not fair...tum jaanthi ho ke who bhi maine sirf aur sirf tumhare liye kiya hai...agar maine aaj tak tumhari koi bhi baat nahin maani hai to woh isliye nahin maani kyunki usme tumhari bhalai chuppi hai kyunki main sab kuch bardaast karsakta hoon...lekin tumhe takleef me dekhna mere bas ki baat nahin hai...Anisha ne kahin baar koshish ki hai tumhe neecha dikhane ki aur yeh baat main aise kaise jaane desakta tha...main to maukay ki talaash me tha...aur ab main sukoon me hoon ke woh hamesha hamesha ke liye hamari zindagi se jaa chuki hai..
Kashish: tumhe pata hai tum bahot ziddi aur apne matlabi ke type insaan ho.....
Sujal just smiles...
Sujal: jaantha hoon...main waakay me bohat ziddi hoon...aur matlabi bhi...tumhe khush dekhne main bhi mera swarth chuppa hai...kyunki tumhari ek choti si muskaan bhi meri zindagi ko roshan kardeti hai...aur us muskaan ko hamesha tumhare chehre pe dekhne ke liye main kuch bhi karsakta hoon...
Kashish: dekh liya kya kar sakte ho mere liye.....raat ke do baje kisi ladki ko phone karte ho...
Sujal: tum koi bhi ladki thodi na ho...tum to meri dost ho na...isiliye maine tumhe phone kiya..
Kashish: lekin main hoon to ek ladki hi....aur yeh kaha ki sharafat hai aadhi raat ko ladki ko phone karne ki....lagta hai yahi sikhaya hai tumhare bollywood ki school ne...
Sujal: hmmm...woh to hai...ab hum actors ko thodi na sharam aati hai...hum to hote hi besharam hain...ab jo seekha hai ussi pe hi chalenge na...abhi sharafat seekhni baaki hai...tum sikhaogi to shayad me seekh jaaunga...
Kashish: main aur tumhe sikhau kabhi nahi.....apni future GF se kehna sharafat shikhane ko....ab do minute ruko main aati hoon...
Sujal: kahan jaa rahi ho tum? Woh bhi is waqt..
Kashish: coffee banane ...tumhe pini hai....
Sujal was surprised...
Sujal: yeh tumhe coffee pine ki aadat kabse hogayi...aur shayad tum bhool rahi ho ki main is waqt apne ghar me hoon...to main tumhare saath coffee kaise pi sakta hoon?
Kashish: kaise pi sakta hoon matlab....yaha main bana rahi hoon....waha tum bana lo....saath me phone pe pi lenge...aur yeh aadat bhi tumse muje lagi hai...
Sujal: Kashish...tum please zyada coffee mat piya karo...tum meri aadat chuda rahi thi yeh kehke ke yeh health ke liye sahi nahin aur khud tumhe iski aadat hogayi hai...ab muje burra lag raha hai ke meri wajah se tumhe iski aadat hogayi hai...
Kashish: comeon Sujal...itni bhi buri nahi....aur ab waise bhi muje coffee ke bina neend nahi ayegi....ple aaj aakhri bar....kal se chod dungi...pakka..
Sujal just smiles at her innocent way of approaching him everytime...
Sujal: acha theek hai...tum bana lo aur main bhi bana leta hoon...aur banake muje batana main phone pe hi hoon..
Kashish: waise coffee banani aati hai....I am 116% sure ki nahi hi aati hogi...ab chalo jitna main kehti hoon utna karo...
Sujal: ab muje thodi na pata hoga ke coffee kaise banate hain..ab meri guru to tum ho na isliye tumse hi seekh raha hoon...rukko main kitchen me jaata hoon...
Sujal moves the bedcovers and gets ot of bed putting on his slippers...he stretchs then walks down to the kitchen...Kashish also moves away the bedcovers and gets out of her bed...she reaches out for her night gown and wears it then after putting on her slippers she goes to the kitchen...
Sujal: lo..kitchen me to pohanch gaya main...kya tum pohanch gayi ya abhi apni bedroom me hi ho?
Kashish: main kitchen me pahonch gayi.....ab suno sabse pehle ek pan lo aur usme aadha cup pani dalo aur use gas pe rakho....aur ple apna haath mat jala dena...
When it suddenly strikes to him...
Sujal: arre Kashish tumhara haath!!...tum kaise coffee banaogi...Kashish please tum pan nahin uthane waali warna kahin phirse...nahin nahin yeh risk main nahin le sakta...
Kashish: Sujal...i want coffee....abhi ki abhi....kuch nahi hoga main dusre haath se manage kar lungi.....i promise ...is haath se kuch nahi karungi...
Sujal: Kashish tum bohat ziddi ho...aur tum mujse kehrahi thi ke main ziddi hoon...jitna ziddi main hoon utni hi tum...acha theek hai lekin please dhyaan se banana...ek minute main paani rakhta hoon coffee ke liye...
Sujal searches through the cupboard and takes out a pan...he observes it then places it on the stove adding half a cup of water as she directed and turns on the gas...whilst Kashish does the same...
Sujal: haan hogaya...ab?
Kashish: ab upper kahi kisi drawer me coffee aur sugar hogi bottle me use nikalo....aur ple salt mat nikalna...
Sujal just smiles...
Sujal: namak bhi meetha hota agar tum yeh coffee bana rahi hoti to...lekin tum tension mat lo...main sugar hi daalunga...
Sujal opens the top cupboards looking for coffee..when he sees a bottle of nescafe and takes it down looking at it...he found another glass bottle saying sugar on it and he takes it out...he opens the lid and tastes a little bit to make sure...
Sujal: haan sugar hi hai....
Kashish: ab half spoon coffee dalo aur ek spoon sugar.....jyada mat dalna samaj gaye...
Sujal: samaj gaya...
Sujal follows her orders and does as she says whilst Kashish also does the same...
Sujal: daal diya...
Kashish: ab fridge me se milk ko nikalke use aadha cup dal do....ple dalne ke waqt kitchen stove pe mat girana..thik hai...
Sujal: nahin giraunga...kyunki agar gir gaya to baad me kaam double hojayega...aur yeh stove to mujse saaf nahin hoga...
He takes out the milk from the fridge and pours half a glass in as she said...
Kashish: ab ise panch minute ke liye pakne do....tab tak tum apna coffee ka mug dhundho....I know ki tumhe tumhara woh special wala mug hi chahiye....woh Maria ne bataya tha ....
Sujal just smiles...
Sujal: itne kam waqt me tum muje itna jaan gayi ho...waise Maria ne kab tumhe bataya?
Kashish: jab main pichli bar tumhare ghar woh magazines drop karne aayi thi tab....tum ghar pe nahi the lekin woh pareshan ho rahi thi kyunki tumhara mug nahi mil raha tha....
Sujal: to phir unhe woh milla kaise? Aur isme pareshaan hone waali kya baat hai...main thodi na unhe kha jaatha...
Kashish: woh muje nahi pata...lekin muje itna pata hai ki tumhare ghar ke sare maids tumse darte hai......tumhari her cheez ko leke kitne careful hote hai....
Sujal: pata nahin woh kyun mujse darte hain...maine aaj tak unhe kissi baat ke liye kabhi bhi nahin daanta...phir bhi shayad main celebrity hoon isliye woh mujse darte hain..
Kashish: muje bhi aisa hi lag raha hai....lekin tum ple apni yeh aadat chod do.....coffee pine ke bad use apni terrace pe chodne ki.....kitna dhudhne ke bad waha se mila hume....
Sujal: hume?....kya tum bhi mera mug dhund rahi thi?
Kashish: muje hi to terrace se mila .....
Sujal: i'm so sorry Kashish...meri wajah se tumhe itni takleef huyi...woh muje khulli hawa me rehna acha lagta hai isliye zyada thar raat ki coffee main terrace pe peeta hoon...bohat sukoon milta hai wahan pe...lekin ab se main dhyan dunga aur koshish karunga ke dubara wahan pe na chodu...
Kashish: sorry kehne ki zaroorat nahi....itna to main kar sakti hoon....waise achcha hai ki ab kamse kam tum dubara nahi rakhonge....ab yeh sab chodo tumhari coffee ho gayi hai....tum jake mug le aao...
Sujal: oh haan...waise kahan pe hoga woh....tumhe pata hai Maria kaha rakhti hai?
Kashish: stove ke upper coffee wale cabinet me salt ki bottle ke pass...
Sujal opens the cupboard and is surprised to see it exactly where she described it...he takes the mug out with a smile placing it on the worktop...
Sujal: arre wah...tum to mere kitchen ko mujse bhi behtar jaanti ho...yeh to muje bhi nahin pata tha ke mera mug kahan hai...
Kashish: kyunki woh jagah maine tai ki hai ...aur abse woh wahi milega.....ab tum carefully coffee ko cup me dalna....aur ple ...ple Sujal apna haath mat jala dena...
Sujal: nahin jalaunga Kashish...don't worry...ek minute...
Sujal puts the phone on the worktop and carefully pours in the coffee...when he looks at the phone mischieviously ...he screams purposely...
Sujal: AAHHH!!!!...
Kashish: SUJALLLLL.....Sujalll......pick up the phone....
Sujal just laughs slightly and picks it up...
Sujal: Aahh...woh Kashish...galti se thodi coffee mere haath pe gir gayi...bohat dukh raha hai...kya karun?
Kashish: kya karoon matlab...main thodi na waha hoon....ek kaam bhi thik se nahi kar sakte,,,,,,pata nahi tumhara mere bigar kya hota......ab jao jaldi se apne haath to pani ke neeche rakho.,......tum gadhe ke gadhe hi rahoge...isse achcha hota tum kuch nahi karte....
Sujal: arre ab isme main gadha kaise hogaya?...Kashish main to sirf mazak kar raha tha...kuch nahin hua hai muje...i'm fine...
Kashish: khao meri kasam...muje tumpe yakeen nahi....muje pareshan na karne ke liye tum jooth to nahi bol rahe...
Sujal: Kashish main tumhari kasam khaa ke kehta hoon ke muje kuch bhi nahin hua...main theek hoon...aur tum yeh baat achi tarah se jaanti ho ke main tumhari jhooti kasam kabhi bhi nahin kha sakta..
Kashish: tumna...kabhi aaj ke bad mere saath aisa majak mat karna...mera dil kitna darr gaya tha....ab coffee pike to dekho kaisi bani hai...
Sujal: i'm sorry..dubara aise nahin karunga..aur haan main taste karta hoon..
Sujal gently blows at the coffee and then takes a sip...he was quite surprised as it tasted good..
Sujal: arre wah...yeh coffee to bohat achi banni hai...par haan tumhari coffee jitni achi nahin..aur na hi kabhi hosakti hai..
Kashish: itni bhi tarif achchi nahi....kabhi kabhi apno ki hi nazar lag jati hai..
Sujal: lekin jinki nazron me aap rehte hain..unki nazar kaise aap ko lag sakti hai?
Kashish: main kuch samji nahi...
Sujal: jaane do..tum nahin samjogi...acha yeh batao tumhari coffee kaisi hai?
Kashish: thik hai....saath me pinewali koi company nahi isi liye...
Sujal: main hoon na tumhare saath...phone pe hi sahi par hum ek doosre ko company to de rahe hain..aur fikar mat karo...shaadi ke baad to tumhe akeli nahin peeni padegi...tab tumhara pati tumhe company dega
Kashish: pati ki baat se abhi kyun mood kharab kar rahe ho...hum apni coffee enjoy karte hai...
Sujal: ek na ek din to yeh hona hi haina Kashish...
Kashish: tab ki tab sochenge...abhi to tumhari company enjoy karne do...
Sujal: main to zindagi bhar tumhe company dene ke liye rahunga..tumhe jab bhi is dost ki zaroorat padegi..tum muje apne saath khada paaogi
Kashish: hmm...pata hai Sujal...dekho na apni her roz ki behad me coffee bhi khatam ho gayi.....
Sujal just looks at his empty mug..
Sujal: haan woh to hai...ab tum jaake so jao..ek to maine tumhe neend se jaga diya aur ab main tumse baatein hi kiye ja raha hoon..you take some rest
Kashish: Sujal sone jane se pehle mera ek kaam karoge..
Sujal: kaho na Kashish..kya karsakta hoon main tumhare liye?
Kashish smiles looking at her mug....
Kashish: apna mug wapas dhoke uski jagah rakh do...mere liye..
Sujal also looks down at the mug smiling..
Sujal: bas itni si baat.,main abhi dho ke rakh deta hoon..bohat hi mamuli si request thi...tum kuch aur maangti to woh bhi main kardeta..
Kashish: aaj ke liye itna hi....ab tum use dhoke wapas so jana.....bye...Good Night SG...
Sujal: ek second ek second...yeh SG kaun hai?
Kashish: hai bollywood ka koi actor...
Sujal: to phir tum muje is naam se kyun bula rahi ho..shayad main tumhara dost hoon...bollywood ka actor nahin
Kashish: ok baba....Good Night my Sujal....ab thik hai...ab main chalti hoon...bye...
Kashish cuts down the phone and puts her mug in sink and walks towards her room..Before Sujal could respond he got cut off..he just stands there in a daze...his mind repeating the words 'my Sujal' again and again...he looks at the phone when an unknown smile appears on his face...he looks at the mug then with a smile he washs it and dries it placing it back in its place..he then dries his hands and goes to his room smiling..................
41