thanks a lot for the Pm!
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread-8 Sept 2025| Teams DT note P.58
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 8, 2025 Episode Discussion Thread
BHAGODI MAIRA 8.9
Anupamaa 08 Sept 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 9, 2025 Episode Discussion Thread
BALH Naya Season EDT Week #13: Sept 8 - Sept 12
Kareena Kapoor in London/ Birmingham for Malabar Gold and Diamonds
The ba****ds of bollywood trailer
SUPER HEROO 9.9
Part 6 dedicated to my AAians, Veeru (Borna) and Sambha (Aditi)!
Kunal- Kya hua? Bolo.
Khushi- Uh… woh main… main… (pager goes off) EMERGENCY! (big smile and uneasy laugh)
Kunal- (looks at her strangely) Toh iss mein khush hone waali kaunsi baat hai? Aur tum ab tak yahaan kyun behati ho?! GO!
Khushi- Huh? Haan! (leaves)
Kunal- (sitting with his coffee) Kya paagal ladki hai. Emergency ke naam pe itni khushi? Idiot.
Atul's office…
Nurse- Okay Dr. Atul.
Atul- Thank you sister. (she leaves and he rubs his temples while sitting back down)
He tried to relax, leaning back on his big, black leather chair. No luck. He had a massive headache and a very difficult case on his hands, not to mention Muskaan's current position. Today was just getting to be so overwhelming for him. As he tried to think of ways to relieve his stress while massaging his temples, he felt two very soft hands take hold of the sides of his head, gently massaging it.
Atul- (takes a deep breath and smiles with his eyes closed) Ah ha ha ha. Kya naram naram haath hain.
Anjali- (smiles and bends down to kiss him on the forehead) Atul, tumne mujhe pehle kyun nahi bataaya ki tumhaare sar mein dard hai.
Atul- (takes hold of her hand and kisses it) Arre Anjali tum pehle se hi itni tensed thi Muskaan ko leke. Sirf sar dard hi toh hai. Theek hojaayega. Jaane do.
Anjali- Nothing doing. Tum abhi ke abhi yeh medicine lo. (hands him a tablet) You really need to relax Atul. Itna stress mat lo.
Atul- (smiles and pulls her towards him so she's sitting on his lap) Sorry Anjali. Case bohot difficult hai. Main koi chances nahi lena chahta. Eik baar yeh case poora hojaaye, tab promise, main itna stress nahi loonga. Promise.
Anjali- (smiles sarcastically) Really?
Atul- Arre pakka!
Anjali- (smiles) Okay fine, but mujhe lagta hai ki Dr. Joshi needs a break.
Atul- Haan. Pata hai, aaj maine poore din apne plants se baat nahi ki. (innocent look) Bechaare mujhe kitna miss kar rahe honge.
Anjali- (laughs) Atulll… right now I think tumhaare plants se zyaada mujhe mere husband ki zaroorat hai. Lunch ke liye chalein… DR. Joshi?
Atul- (smiles and hugs her) Chaliye Dr. Joshi.
1 hour later… Neurology…
Khushi- Please inn ka pulse moniter kariye.
Nurse- Ji doctor.
Sid- Dr. Khushi, any progress?
Khushi- No sir.
Sid- Alright. Pulse moniter karte rahiye. (leaves)
Khushi- (follows him out) Sid Bhaiyya!
Sid- (stops and turns) Choti? Kya hua?
Khushi- Bhaiyya woh… kuch poochna tha…
Sid- Ask away.
Khushi- Yahaan? Uh, chaliye na chalte chalte baat karte hain.
Sid- (looks at her strangley) Okay…
Khushi- (as they're walking) Actually bhaiyya… aap pyaar ke baare mein kya jaante ho?
Sid- Kya? Pyaar. (laughs) Mujhe uss department mein abhi tak experience nahi hua Choti. Hoga toh bataa doonga. (winks)
Khushi- Nahi bhaiyya mera matlab in general. Kuch toh pata hoga naa.
Sid- Zyaada kuch nahi. Wohi jo films mein dekha hai. (sighs) I know I'm not being very helpful. Sorry.
Khushi- (smiles) It's okay bhaiyya. Waise aap kahin jaa rahe the?
Sid- Well, seeing as how yeh eik hospital hai aur main eik doctor hoon, it's only natural ki main patients pe check karne jaa raha hoon. Hai na Choti? Aur jahaan tak mujhe yaad hai, Dr. Khushi, aap eik intern hain aur aapko BHI iss waqt apne assigned ward mein hona chahiye. (smiles) Tujhe aur koi baat karni hai kya? Sab bhala changga?
Khushi- Of course Sid Bhaiyya. Problem hoti toh aapko bataa chuki hoti naa. Anyway, aap jaaiye. Aapke patients aapko miss kar rahe honge. (laughs lightly)
Sid- Patients bhi aur mom bhi. (laughs)
Khushi- Oh. Toh Nikki Mausi ko assist kar rahe ho aaj aap.
Sid- Uh huh. I'm surprised mom ne abhi tak page nahi kiya… Alright then, baad mein milte hain. (runs his hand over head) See you around Choti. (walking away bumps into Abhi while Khushi grins) Whoa! Sorry Da… Sir.
Abhi- (rolls his eyes and sighs) Uh huh. (Sid winks and walks away while Abhi smiles) Dr. Khushi.
Khushi- Yes sir?
Abhi- Mere cabin mein aaye.
Khushi- Okay sir. (follows him)
Abhi's cabin…
Khushi- Kahiye sir.
Abhi- Khushi… Muskaan kaisi hai?
Khushi- (smiles) Achhi hain sir… mausa ji.
Abhi- You know that I'm always here for you right beta? Koi bhi problem ho, I'm here.
Khushi- (hugs him) Thank you mausa ji. Aur main jaanti hoon, but don't worry. Main khush hoon. Bohot khush.
Abhi- (kisses her on the head) That's like a brave girl. Okay, now, back to work DR. Khushi.
Khushi- (straightens up and smiles) YES SIR!
45 minutes later… Atul's cabin…
Knock knock…
Atul- Haan?
Kunal- Can I come in sir?
Atul- (without looking up from his file) Come in. Please sit.
Kunal- Thank you. (sits down opposite him)
Atul- (still looking at his file) So bataaye, aap follow up ke liye aaye hain?
Kunal- Nahi actually, main apne DAD se milne aaya hoon. (grin)
Atul- (looks up from his file) Hey yaar! Tu toh mera hi beta hai. (bright smile) Kuch chahiye tha?
Kunal- (uncertainly) Nahi… (sighs) actually haan. Dad… mujhe aapki advice chahiye.
Atul- Advice? Arre uss mein toh maine PhD kiya hai. Pata hai, tere Rahul aur Armaan Chachoo bhi mujhse advice lete the. Pooch.
Kunal- Woh Dad… ugh! Never mind. (gets up and heads towards the door)
Atul- (stern look, gets up) Eik minute!
Kunal- (stops dead in his tracks) Oh no…
Atul- Tune meri advice thukraai? MERI? (straight face) Wapas aa.
Kunal- (walks backwards to him) Yes Dad?
Atul- Pooch.
Kunal- Nahi Dad. I'll manage. (stupid smile)
Atul- Abbey eik baar bola na pooch!
Kunal- (quickly) DadIaminlove.
Atul- Hein??? Beta… (air kiss) araam se bol.
Kunal- (sighs) I'm in love Dad.
Atul- Bas? Itni si baat? Yaar tu… KYA?!
Kunal- (jumps from Atul's sudden shock) Dad? (eyes pop open) DAD!
Atul was lying on the floor, unconscious and unaware of his surroundings. Quickly, Kunal ran to his side and shook him a little.
Kunal- DAD! (shakes him) Oh come on Dad! Issiliye main nahi bataa raha tha! DAAAAAD!
Atul- (sits up kinda dazed and looks at Kunal and laughs) Tu… Tu mazaak kar raha hai. (laughs more)
Kunal- (gives him a hopeless look)
Atul- (laughs lightly now) Mazaak kar raha hai naa?
Kunal- (shakes his head with a smile) Nope.
Atul- (laughter dies down) Kaun hai???
Kunal- Dad relax. Aap… aap usse jaante ho.
Atul- (excited) Really? Hey yaar! Kahin woh humaare neighbor Mr. Sarkar ki beti toh nahi? Borna. Good choice! Nice girl.
Kunal- Uh Dad…
Atul- Pata hai, main kal jab terrace pe apne plants ko pani dene gaya tha naa toh woh yoga kar rahi thi. Mujhe dekh ke ussne "good morning uncle" bola aur plants ko properly take care karne ki advice bhi li! Bohot sweet ladki hai.
Kunal- Haan Dad, sweet hai. Bohot achhi ladki hai. Lekin…
Atul- Aur pata hai, usske toh mom dad ko bhi koi problem nahi hogi. Saath waala ghar hi toh hai. Shaadi ke baad aa jaa sakti hai… Conveniently! (bright smile)
Kunal- (worried) Shaadi? Dad lekin…
Atul- (bright smile) Mujhe toh koi problem nahi hai. Tumhaari Mom se bhi main baat karloonga.
Kunal- WHOA! DAD! STOP! Mom se kuch mat kehna.
Atul- Kyun???
Kunal- Dad… woh WOH nahi hai.
Atul- Kaun???
Kunal- Borna.
Atul- Kya? (scratches his head in confusion)
Kunal- Dad main Borna se pyaar nahi karta. Woh toh sirf meri achhi dost hai. Aur waise bhi, uska toh already eik boyfriend hai, Pankit.
Atul- Achha? Toh phir kaun hai? (snaps his fingers) Aditi???
Kunal- (bored tone) Kya? Ab yeh Aditi kaun hai?
Atul- Arre ADITI!
Kunal- Dad kaun Aditi?
Atul- Dr. Aditi!
Kunal- (surprised) Aapke under jo kaam kar rahi hai?
Atul- Haan yaar! Achhi bachhi hai.
Kunal- Hogi. She's cool. I mean maine bohot baar usske saath coffee pi hai. She's interesting. Achhi ladki hai.
Atul- Kamaal hai yaar! Tum dono ne mujhe pata hi nahi chalne diya aur apna "kabhi kabhi Aditi" track bhi gaa liya? (raises his eyebrows a few times and teases him)
Kunal- Dad! Chill! Aditi nahi hai. Poori baat toh sunn lo.
Atul- Woh bhi nahi hai??? Achha… tum sab ke group mein se koi hai kya?
Kunal- (turns away from him and scratches the back of his head) Kind of…
Atul- Kind of matlab kya? Hai toh hai nahi hai toh nahi hai. (over-excited) Seedhe seedhe bataa kaun hai!
Kunal- Whoa! (laughs) Dad, aap toh aise excite ho rahe ho jaise meri shaadi ho rahi ho.
Atul- Abbey gadhe, naam bataayega toh woh bhi hojaayegi. (puts his arm around Kunal's shoulder) Chal bataa!
Kunal- Okay fine. (sighs) Khushi.
Atul- (excited and smiling) WOW! Khushi! (expression changes to a confused and serious one) Khushi?
Kunal- (matter-of-factly) Haan. Khushi.
Atul- Apni Khushi?
Kunal- Haan Dad. Aur kaun? (smiles and walks to the center of the office with a smile on his face) You know Dad… I really love her. Recent bhi nahi hai. College ke dinon se shayad. Aapko toh pata hai, mujhe kabhi bhi dating mein interest nahi tha. Aaj tak har ladki ko reject karta aa raha hoon. I think sirf issiliye nahi kyunki main focused rehna chahta tha, but issiliye bhi kyunki kahin na kahin I already chose the perfect girl. Aur woh Khushi hai. (smiles and turns to look at his dad)
Atul- (still serious expression) Lekin tum dono toh… hamesha jhagadte rehte ho aur…
Kunal- I know! Weird right? But Dad, humaare jhagade kabhi bhi serious nahi hote. You know that. It's all in good fun. Kabhi main usse chedta hoon kabhi woh mujhe. (laughs lightly) Kitna strange hai. Main aur Khushi bachpan se saath hain. Best friends… (sighs) Pata hi nahi chala ki woh mujhe meri best friend se kuch zyaada kab lagne lag gayee. (smiles)
Atul- (looks at him with a straight face) Tu mera jawaab sunn na chahta hai?
Kunal- Of course Dad!
Atul- Eik word mein… no. Tu aur Khushi, no way. Bilkul nahi ho sakta. (turns away)
Kunal- (shocked) Dad?
Atul- (stern voice) Keh diya naa. No… means no.
Kunal- But why Dad?
Atul- Mujhe aage iss baare mein koi baat nahi karni. Tu wapas apni duty pe jaa.
Kunal- But Dad…
Atul- Now.
Kunal- (sighs) Yes SIR. (bursts out of the room)
Atul- (to himself after Kunal leaves) Tu nahi samjhega beta. (sighs)
An hour later… Atul's office…
Anjali- (sets a mug down) Coffee.
Atul- (staring into space)
Anjali- (senses something wrong with him) Atul… (cups his face in her hands) what's wrong sweety?
Atul- (looks at her, kind of lost) Hmm?
Anjali- (worried) Is everything okay? Kya baat hai? Tum itne tensed kyun lag rahe ho?
Atul- (sighs) Kunal ko pyaar hogaya hai.
Anjali- (pleasantly surprised) What? That's great! (bright smile)
Atul- (looks away from her) Khushi se.
Anjali- (smile fades) Kya? What are you saying? Khushi se? Par…
Atul- I know. Anjali tumhe toh pata hai ki main Khushi se kitna pyaar karta hoon. Aur Kunal aur Khushi, eik saath… iss se zyaada khushi ki baat aur kya ho sakti hai mere liye. I love them yaar!
Anjali- (strokes his hair) I know Atul. I love them too. In fact, main toh hamesha tumhe bolti thi naa how much I love seeing them together?
Atul- Hmm.
Anjali- Tumhe kaise pata chala?
Atul- Kunal ne bataaya.
Anjali- And? Tumne kya kaha uss se???
Atul- Maine mana kardiya… theek kiya naa? (innocent look)
Anjali- (hugs him, resting her head on his chest) Of course Atul. I mean, hum Kunal-Khushi ke baare mein kaise soch sakte hain? How can we expect Khushi to accept this? Muskaan jis state mein hai, uski wajjah se hum sab tensed hain. Aur Khushi se iss time pe yeh baat karna… it's just not right. Muskaan ne Khushi ke liye itna kuch socha hoga. Hum toh soch bhi nahi sakte ke 8 saal apni beti se baat kiye bina rehna kitna difficult hoga usske liye. Main apni best friend se usski Khushi cheen nahi sakti…
Atul- (strokes her hair) Sab theek hojaayega Anjali. Tum tension mat lo.
General Ward…
Khushi- (osculates to listen for heartbeat and smiles) Very good! Arre, aap toh bilkul changge bhale hote jaa rahe ho! (bright smile)
Mr. Bhalla- (smiles and stares at her) Puttar ik gal dassoon?
Khushi- (smiles) Yeh bhi koi poochne waali baat hai? Zaroor bataaye.
Mr. Bhalla- Yahaan pe sab kuch waise ka waisa hi hai jaise 22 saal pehle tha.
Khushi- 22 saal pehle? Aap yaahan pe pehle bhi aaye hain?
Mr. Bhalla- Haan puttar. Apni votti ko laaya tha. Humaara teesra bachha hone waala tha. Yahaan pe eik doctor thi, bikul tere jaisi. Bohot achhe se khayaal rakha tha ussne meri Manjeet ka. Tujhe dekh ke uss ki yaad agayee. (smiles)
Khushi- (smiles) Kya naam tha unnka?
Mr. Bhalla- Naam toh shayad theek se yaad nahi hai. Par bohot changgi thi. Hamesha hansti rehti thi, sabko khush rakhti thi. (smiles)
Khushi- Pata hai uncle ji, meri mummy bhi yahaan doctor thi. Dr. Muskaan. (smiles)
Mr. Bhalla- Ki naam boleya puttar?
Khushi- Jee Muskaan. (smiles)
Mr. Bhalla- Haan yehi toh thi! Dr. Muskaan Ga… Go…
Khushi- Garewal? (bright smile)
Mr. Bhalla- Haan! Dr. Muskaan Garewal. Yehi naam hai. (smiles) Tussi Dr. Muskaan di beti ho?
Khushi- (smiles) Jee. Aunty meri mummy ki patient thi, aur aap mere. (smiles)
Mr. Bhalla- Jabhi main sochoon ki tere mein aisi kya baat hai jo unse itna mil rahi hai. (gives her aashirwaad) Jeeundi reh puttar. Rab tainnu khush rakhe. (bright smile)
Khushi- (smiles) Achha uncle ji, ab aap araam kariye, main baad mein check karne aoongi. (smiles and leaves)
Corridor…
Mummy ne kitne logon ko khushi di hai. Sab kitna pyaar karte hain unnse. Doctors se leke patients… sab bohot pyaar karte the unnse. (smiles) Sweetu Chachoo aur Pappa ji mummy ko Dr. Smiley bolte the. (laughs to herself) Kitna theek kehte the. Mummy ki eik smile se hi patients ko energy mil jaati thi. Woh toh hamesha khush rehti thi… kabhi kisi bhi tension ko apni professional life mein interfere nahi karne diya. Kuch bhi ho, woh hamesha smile karti thi, aur unnki yehi baat pappa ji ko sabse zyaada pasand thi…
*flashback*
Rahul- Oye! Tum log… eik… wahaan kahaan… abbey yaar! (slaps his forehead)
Muskaan- (walks in) Oye husband!
Rahul- (turns to look at her with a tired, yet relieved expression) Muskaan!
Muskaan- (laughs) Wah! Bachhon ko kitne achhe se sambhaalte ho Rahul.
All hell broke loose in the Children's Ward. Kids were running around and climbing on top of things like little monkeys. Pillow fights were going on in one area and a mini fruit fight in another. Rahul was no match for this storm of children.
Rahul- Pata nahi log… (dodges a flying teddy bear) bachhe kaise sambhaal lete hain.
Muskaan- Tujhe sambhaalne nahi aate isska matlab kisi ko nahi aata?
Rahul- (catches an empty food tray) Muskaan… kya humaare bachhe bhi aise mini monsters honge? (looks at her with a desperate expression, dying for any kind of reassurance)
Muskaan- (rolls her eyes) Rahul… tujhse kuch nahi hone waala.
Rahul- Haan toh tu karke dekha phir. (both duck seeing a pillow coming there way)
Muskaan- Tu bas… (ducks again dragging him down with) …dekhta jaa. (gets up while Rahul hides behind her) OYE CHUP! Ab koi shor nahi karega.
All of the kids in the Children's Ward fell silent…
Muskaan- (big smile) Pehle sab dawaaiyee khaao, phir masti karenge!
Kids- YAY!!!!!!
Muskaan- Kis kis ko chocolate chahiye?
Kids- MUJHE!!!
Muskaan- Chalo phir pehle medicine, usske baad…
Kids- CHOCOLATE!
Muskaan- (laughs) Chocolate! (motions for the nurses to give the kids their medication)
The nurses, finally reassured that they wouldn't be killed, went ahead and gave each child their prescribed medication dose while Muskaan smirked at Rahul.
Muskaan- Haan toh tu kya keh raha tha Rahul? Log pata nahi kaise sambhaal lete hain… right? (Rahul rolls his eyes) Come on. Bolde. I know I'm good. (proud smile)
Rahul- Haan haan toh… bachhe hi toh sambhaale hain. Kaunsi badi baat hai?
Muskaan- Achha? (whistles really loud to get the kids' attention) Bachh party! ATTACK!
All of the kids came running at Rahul. His expression changed three times in less than 30 seconds, the last one being that of horror. All 35 kids jumped him and before he knew it, he was on the ground while the kids laughed and messed around with him.
Rahul- (annoyed) Muskaan!
Muskaan- (fake pitiful look) Tsk tsk tsk. Awww. Mere pati ko ghussa aa raha hai? Bechaara. (evil grin)
Rahul- (struggling to get one of the kids' weight off of his gut) Muskaan main tereko chodoonga nahi!
She stood there for another 2 minutes or so, enjoying herself completely. He looked so funny trying to move a slightly chubby kid off of his stomach. The kid was literally sitting on top of Rahul. She would have let him suffer a bit longer but he looked at her desperately once again.
Muskaan- (mockingly) Kya hua? Sambhaal naa. Kaunsi badi baat hai?
Rahul- (yelling over the kids' loud voices) Muskaan, baby, please tu innhe sambhaal. I promise tu jo kahegi main karoonga. Promise.
Muskaan- Kuch bhi?
Rahul-(desperately) Kuch bhi!
Muskaan- (shrugged) Bachha party! Dekho mere paas kya hai! CHOCOLATES!
That was definitely enough for every kid to get up and make a run for Muskaan, almost trampling her over. She laughed, becoming a child once again and messing around with them a bit. Rahul saw this as a perfect chance to get up and back off. Slowly he got back to his feet and straightened himself out. Taking a quick glance at Muskaan before leaving he stopped dead in his tracks. That one obvious thing about her kept him glued to his spot. Her captivating smile… the one that reached all the way to her eyes. She was just as innocent as a child herself, but she was equally mature and understanding. Her smile lit up the whole room, not to mention his life. The kids were so spellbound by her childish and friendly nature. She was their friend, she was just like them… and her smile gave them that reassurance and trust that she understood them.
After settling them down, she asked the nurses to help each of them back to their beds as she made her way towards her husband and they walked out.
Muskaan- (smiles) Kya hua? Ab kuch nahi bolega? (challenging smile)
Rahul- Tu kaise… (still in awe)
Muskaan-( smiles) Pata hai Rahul… bachhe sambhaalna mushkil nahi hota. Hamesha unnke saath strict bannoge toh woh kabhi nahi maanenge. Kabhi kabhi bachhon ke saath khud bhi bachha bann na padhta hai. Unnka trust jeetna padhta hai. Jab tu Dad bannega, tab tu samajh jaayega. Abhi apne chote se dimaag pe zor mat daal. (smiles)
Rahul- (laughs) Meri Dr. Smiley. (hugs hers)
*flashback ends*
(sighs) Woh toh sabko samajh sakti thi. Bachhon se leke boodhon tak… Mummy sabki dost thi. (smiles and bumps into someone)
Khushi- I'm so sorry. Maine dekha nahi. Are you… (confused expression) Kunal?
Kunal- (angry and upset) Dekh ke nahi chal sakti kya?
Khushi- Tumhe kya hua? Sab theek hai naa?
Kunal- Haan. Aage se hatto.
Khushi- Eik minute Kunal. (grabs his hand and takes him to the bench) Behato.
Kunal- Khushi mere paas time nahi hai.
Khushi- Maine kaha behato!
Kunal- (sits) Kya hai?
Khushi- (sits next to him) Hmmm. Main tumhe achhi tarhaan se jaanti hoon. Kuch toh gadbad hai, warna tumhe itni ahsaani se ghussa kabhi nahi aata. Anything serious? (puts her hand on his) Mujhe nahi bataaoge? (looks into his eyes and smiles)
Kunal- (sighs and smiles back) Koi problem nahi hai. Sirf eik case ko leke thoda sa tensed hoon. Don't worry, I'll be fine.
Khushi- Sure? Kuch help chahiye toh boldo. "Dr. Kunal Joshi the Great" ki greatness kam nahi hojaayegi agar woh kisi ki help le lega toh. (teasing smile)
Kunal- (grins) Thanks but no thanks. Chahe greatness kam ho ya na ho, but samjha karo. (pops his collar)
Khushi- (snorts) Male ego. (shakes her disapprovingly and gets up) Guys. (walks away with a grin)
Kunal- (smiles sadly at her retreating figure) Sorry Khush… maine tumse jhoot bola. I wish main tumhe bata paata…
Sorry it took a while guys. Hope you enjoyed it!
Komal, you updated today too!! i loveee how everyone's updating today!! this is awesome!! and im so glad you continued it today, this is an amazing story and you realy bring it to life! the range of emotions of every character was depicted and really brought out nicely! it was so descriptive and a bit heart wrenching too. i felt like i could actually understand and feel everyone's pain so clearly, about muskaan, about kunal and khushi's relationship.. everything!!
and a big thank youu for writing the part out! i know your really busy and it must be hard to continue!! i commend everyone here who has fanfics and update them, whenever they can, even though they are overloaded with work and their life.Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
193