Bigg Boss 19: daily Discussion Thread- 1st Sept 2025.
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 26
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 01 Sep 2025 EDT
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 2, 2025 Episode Discussion Thread
UMAR KHAYID 1.9
ABHEERA IN JAIL 2.9
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
What’s the upcoming track??
Mrunal Thakur Called Mean Girl
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Happy Birthday wat_up 🎂
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
Jee Le Zaraa Is Happening
Celebs pictures during Ganesh Festival
Real Woman Power Farhana
Originally posted by: sumaiya wahid
Hey Bhoomi, I'm not able to open the first page. Its showing an error report. Mujhe to bahut rona aa raha hai. Anyways, if u can then pls post the ending part (h) in the last page (only if it doesnt bother u, otherwise its ok).
(h)
Maine to bindekhey Inkaar ka Mann banaya tha,
Dekh kar Inkaar karney pahuncha tha,
Lekin Wah boley Tum Ek baat thandey Dimaag , shaant hokar Sochoo,
Tumhari Maa aaj Jeevit hoti to kya kehti, chahti tumsey yeh samjho'
Wah Sirf Tumharey Business Ki kabiliyat dekh Khush nahi hoti,
Jiskey Liye Woh tarasti rahi Uss khushi sey
Tumhe bhi mehrum dekh Tadapti,
Maa ka jeevan Iss dard mey dooba jaata Ki
Akeley Jeevan ko seechana hai,
Humsafar satth choodgaya
Parivaar rehgaya adhura hai'
Haq key liye to wah laddi lekin
Pyaar ko hasil nahi kar payi thi,
Pyaar ka ehsaas hua tha lekin
usay jeevan mey nahi Kayam rakh saki thi,
Iss Pyaar ko tumharey jeevan mey kayam rakhna chahti hongii,
Tumhey yunh akelepan mey dekh assuu sey bheeg jati hongii'
Sunkar Mann Khud sey Sawaal Karney Lagaa tha,
Apney Liye Naye Sachey Rishtey Sanjona chahta tha,
Sochaa Ek baar To Dost Saathi Humsafar Ko Chunney Ki Koshish Karu,
Sochaa Apni Kismat, Jeevan Ko Sawarney Ka Ek aur Mauka Du'
Hum jab Miley Aur Aaraam sey baatein Kar rahey they,
Aisa mehsus hua Jeevan mey Kuch sachey Rishtey bann rahey they,
Phir bhi kahin yeh tanaav mann mey tha,
Kahin yeh bhi banawati Naa hoo Iss Uljhan mey tha,
Tabhii to tumsey iss pal ki nahi jeevan bhar ki sundarta ki baat karta,
Sacch aur banawat key antar mey uljhaa rehta'
Lekin Phir Jaanta Pehley mujhe to Apney Mann mey sachhaa,
Puraaa , Beintehaan Pyaar bharnaa hoga,
Tabhi Kisi aur sey Utni sachaaee,
Pyaar Ki Apekshaa karnaa Hoga'
Main Sunn Muskurayi Issii Sachey
Ehsaas Ki To main chahat rakhti aye,
Wah dekh meri Muskurahat Poochey Kiss baat sey
Mere ankhon mey chamak thi Aaee,
Maine kaha Apnoo sey Maine bohat hai Paayaa,
Unkey Pyaar mey har Raah par Takaat bann Mere Liye Raasta banaya'
Jab sochti Inn sab Ko jhodd kaisey Kisi aur Ko jeevan manungi,
Kitney sapney buney Sochaa kitney achey hongey jinki main hojaungi,
Jab hum Miley to pehli mulakat Pasand nahi aaee,
Hamara byaah tay ho raha tha yeh baat raas nahi aye,
Mere mann ki chavii thi Ek Sukun sey muskuratey chehrey ki,
Pyaari baatein kartey jinkey mann mey bhari chahat thi,
Jo sachaaee sey rishtey nibhatey aur jazbaatee ho,
Jo meri harr takleef jaantey ho,
Hum Miley they aur Aap mey Chavii ki ek parchayee bhi nahi thi,
Maine Maan liya Sapnoo ki koi haqueeqat nahi thi'
(i)
Aaj Iss Pal jab Aap bheeter Ayee,
Aakar Uss Mann ki chavii Ki tarah Muskuraye,
Haath thaam kar mann mey pyaar ka ehsaas jagayaa,
Dil ka dard baant kar Ek lamhe mey Apna banayaa'
Ankhon mey aap ki sachaaee dekhi,
Mere liye Vishvaas pyaar Ki gehrayee dekhi,
Isssey badkar to Maine sapney mey bhi nahi kalpana ki hai,
Sapno sey badkar Aap miley mujhe milee khushiyaan hai'
Prachet ab sachh mey bohat hassey
Aur unhey mujh par bohat pyaar aa raha tha,
Main Samajh rahi thi ek bachpana Mujhmey,
Shayad unhey Nazar Aa raha tha,
Main Sharmayee nahi kyunki mere Dil mey
Unkey jaisey Humsafar Paaney ki khushi thi,
Woh meri khushi dekh kuch kuch sharmayeey
Aur baddh rahi meri Muskurahat thi,
Wah Paass Aakar boley Tumharey Sapnoo ka rajkumar
kaisa tha Yeh tumney keh diya hai,
Kya yeh nahi sunna chahogi mere sapno ki princess
ka chehra kaisa hai,
Main Maanoo Ekdam pareshaan hue,
Sachh kahun Princess naam sunn kuch kuch jalan hue,
Maine 'hmm' kehkar Kehney ko kaha,
Lekin Dil yeh kehtaa main Milgayii Ab sunana aur kya tha'
Wah Boley Shaddi Pyaar sapney Pataa nahi,
Sapney dekhney ki waisey fursat nahi thi,
Magar jab sey Sinha sahib ki bhateeji sey milaa,
Sapnoo ki lag gayi kataar thi,
Sapnoo mey Apnaa bass yehi ek chehra dekha,
Sapno mey tumhe niharata rehta,
Haqueeqat mey romance ki baatein kartey jhijhaktaa tha,
Sapnoo mey unbaatoon ko dil khool key kartaa tha,
Ab Meri jalan door bhaagi aur hum kareeb aye,
Ek dusrey ko paaleney ki khushi mey simtey gaye'
Jaisey Koi Apna Bijhada huaa Deenoo baad Milgaya hai,
Pyaar ki bojhaar karkey Uskey Aaney ka jashn Maann kar raha hai,
Tan mey Sammaa kar Mann trupt hogaya,
Palkein jhuki jhuki si thi,
Mann bawara ho unki hun main Yeh kehtaa jaa raha tha'
(j)
Hamarey Milaap Ki woh Ghadi thi,
Ek Dusrey ko paaney ki kitni khushi thi,
Ankho mey ek dusrey ki, khud ko dekh kuch keh rahey they,
Laboo se chuu kar ek dusrey key pyaar ko Aatmaa mey basaa rahey they,
Woh pal aisa tha, kitna kuch kehgaye they,
Ateet ki, khud ki, aur kehtey haathon ko chumm rahey they'
Shaddi key bandhan ki Woh gaanth badi majboot thi,
Milaap ka woh ek shaann tha kafi jeevan ki khuli har guthi thi,
Milaap aur Milan Ki woh Raat baatein humney hazaar ki,
Kabhi parivaar, pyaar to kabhi anewaley baharr ki'
Woh hathon ko chumkar kehgaye tum jaisi ek aur ho to Dil bhar jayega,
Maine gussey sey dekha aur unhey durr kiya tha,
Woh hass padey they maanoo unhey woh teekhi nazar par pyaar ayaa,
Main Laal peeli hue jaa rahi thi aur sawaal kar daala,
Mujh jaisey Ek aur, kya Ek Biwi bas nahi Janaab Ko?
Boley oh meri ardhangini Ek pyaar ek loti Biwi
sey mil gayi mujhe kayanaat hai,
Lekin Kya Suhaag ki Sej par Pitaa bananey Key sapney ko
apni Biwi sey Baantana Itna Vahiyaat hai?...
Main bohat Sharmayee Aur samjhi Mujh jaisi beti ki baat kar rahey they,
Unkey seeney mey mujhey jagah milgayi hum lipat gaye they,
Prem rass ko badey kareeb sey apney dil mey samaa rahey they,
Ek dusrey ki Sunderta ko tann mann sey dekh rahey they,
Uss pal Tann Mann sey sampurna sowpaney ki chaa bani,
Ek dusrey ko chumm kar manoo humney haami bhari'
Hast Milaap Shaddi ki ek rasam hoti hai,
Hathon ka milna ek dusrey ko adhikar soupaney ki Reet hoti hai,
Humney shaadi key rasmoo ka har ek vachan liya tha,
Har kasam aur rasam ko purey izzat sey pura kiya tha,
Lekin woh jo Milaap ka Sachaa shaan tha,
Woh tha jab Humarey Mann ka Milaap hua tha,
Uss Mann key Milaap sey humney rasmo kasamo ko
izzat hi nahi balki unpar chalney ka Nirnay vadaekdusreysey kar liya tha,
Mann ki woh ganth aisee bandhi ki har rasam kasma Pyaar ka saakshi ban betha tha'
Main Akruti kahin samjh rahi thi Sapno ka wajood nahi,
Adhurey hi nahi wah to mitt gaye hain,
Iswaar ka bohat bohat dhanyawaad unhoney
Haqueeqat mey Sapno key sareey rang bhardiye hain,
Prachet aur meri prem kahani uss Milaap key shaann mey
Ek paudhey jaise panap uthi thi,
Din din kar woh Paudha baddhh raha hai Vruksh ki bhantii,
Ab to Do Dil hai hum
Aur ek Jaan hai hum,
Hamarey Milaap ka woh khubsurat Pal
Roshan banagaya Hamara Aaj aur anewala Kal.
-------------- By Bhoomikauttam
Pyaar sey hi bastaa Ashiyana hai,
Sapno ko haqueequat banalo jab
Milaap ki uss ghadi mey jeevan bhar ke liye
A huge thanks and hugs for my lovely readers and friends Jyothi, Monika, Sumaiya, Jessica, who have commented and made me to post this regularly. Ur comments have really made me feel like coming back here and sharing my stories with u all. U all have surely brought a lot of creative input in my thoughts.. and This Milaap of Aakruti and Prachet became more beautiful with the wonderful support and comments of my lovely readers.
Hi Sumaiya,Originally posted by: sumaiya wahid
Thnx 4 posting the part again. I luved it thoroughly. Ab main tumhari writing talent ki kya tareef karu, Actually I was surprised to knw dat u r comfortable wid this poetic touch in ur fics. Waise maine tumhari koi aur fic nahi padi but ab sochti hu shayad mujhe padna chahiye.
Anyways, iss fic ki khaas baat ye hai k yaha pe arranged amrriage ko ek bahut hi beautiful style se dikhaya tumne. First night per Prachet n Aakruti expressed their thoughts to each other. I luved the aunt's lines when she made Prachet see the brighter side of getting married 4 his mom. That was a sweet thing.I luved the part when Prachet was actually talking at her being his princess but she misunderstood n felt jealous and also when he was talking abt their daughter n again she was jealous. Well ur whole fic was beautiful. No doubt in that.Thnx 4 this wonderful fic.
Hi Jyothi,Originally posted by: jyothi_cool
bhoomi amazing story loved it the description was amazing do write a few more stories i loved the poetic style
I am planning to write a friendship story. I will choose the love interest of Paras Kalnawat and Karan Kundra according to the choice of the...
Hello everyone ☺️ This is Saumya ❤️ I have completed the five long threads of my FF "Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story Following are the...
8