Dilwale Dulhania Le Jayenge: update pt4/p - Page 2

Created

Last reply

Replies

43

Views

10.4k

Users

18

Frequent Posters

Ragvir4ever thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#11
Thanks for all the great comments guys!😳😊 I love his forum, it's so friendly.😊 Anyway, I know i left the last part at a bit of a cliff hanger so I thought i'd update sooner rather than later.
Hope you guys like it.

Dilwale Dulhania Le Jayenge: Part 2

(Banner courtesy of sweet shagun)

Ragini ka dil zor se dhadak raha tha. Voh bahut khabri hui thi. Ranvir yaha kaise? Kya karne aya tha yaha? Kahi voh engagement ko rokhne toh nahi aaya tha? Ragini ab aur nazare nahi mila pai Ranvir se, voh neeche dekhne lagi lekin Ranvir usse dekhe ja raha tha. Ranvir ka bhi dil zor se dhadak raha tha. Voh is baat se hairan tha ke jis engagement ke baare mein voh sonchna bhi nahin chahta tha, voh aaj ussi engagement ki khushiya manane aaya tha. Lekin phir bhi, kahin na kahin uske dil mein ek alag si khushi bhi thi ke aaj kitne dino baad voh Ragini ko dekh raha hai aur aaj toh voh sach mein pari jaisi lag rahi thi.

Dono kuch nahin bol rahe the aur Shishir bhi Ragini ko dekh raha tha.

'Ragini, yeh mere naye project ke manager hai, Ranvir Rajvansh, inse mein kuch der pehle hi mila hoon, lekin yeh bahut ache insaan hai.'

Ragini ne phir Ranvir ki taraf dekha, lekin Ranvir ke aakhon mein itna sara pyar aur dard ek saath dekh kar Ragini se saha nahi gaya. Usne phir se apni nazare chuka dhi. Usse samajh mein nahi a raha tha ke voh Ranvir se kya baat kare aur voh bhi Shishirji ke saamne.

Sadhna yeh sab kuch abhi bhi kadhi dekh rahi thi. Voh jaanthi thi ke Ragini aur Ranvir dono ko kuch soojh nahi raha tha isilye situation ko sambahlne ke liye Alekhji ko lekhe voh aage badhi.

'Are Ranvirji, aap yaha kaisa? Aap ne kaha tha ke aap apne kisi dost ke engagement par ja rahe ho.'

Sadhna koshish kar rahi thi ke voh aise react kare jaise ki yeh bahut hi acha surprise hai, thake Shishirji ko koi shak na ho.

Ranvir bhi Ragini ko apne pas pa kar kahi koh gaya tha lekin Sadhna ki awaaz sunke usse thoda hosh aaya. Usne Sadhna ki taraf dekha aur kaha,

'Ha bhabhi, voh Shishirji hi the, lekin main yeh nahin jaanta tha ke inki engagement... Raginiji se ho rahi hai.'

Ranvir phir se Ragini ki taraf dekhne laga, Ragini ne bhi ab apne nazare nahi churayi lekin usse Ranvir ki halath dekhe nahi ja rahi thi. Usse is baat ka bahut dukh tha ke aaj Ranvir usse engagement karne nahi, sirf dekhne aaye hai.

Shishir Ranvir ki taraf hairani se dekh raha tha,

'Aap Sadhnaji ke rishtedar hai? Kitna ajeeb itefaq hai na? Lekin ha, abhi bhi Ranvirji, aap yaha meri taraf se aaye ho. Kahi ladkivalon ki side mat lelena abhi.'

Shishir hasne laga aur Ranvir aur Sadhna ne bhi muskurane ki koshish ki lekin Ragini pareshan thi aur Alekh Ragini ko dekh raha tha. Usne Sadhna ko ishara kiya aur Sadhna samajh gayi, phir usne kaha,

'Acha Shishirji, baatein toh hotein rahengi magar hum zara mamaji aur mamiji se milkar aathe hai, jiji aap bhi humare saath chaliye.'

Ragini ne Sadhna ki taraf dekha aur apni aakhon se hi usse thankyou kaha, phir Alekh, Sadhna aur Ragini vaha se chalaygaye aur Ranvir aur Shishir ko akela chor dya. Ranvir ki nazare phir bhi Ragini par tikhi hui thi aur jab voh chali gayi tab bhi Ranvir vahi khara apne hi khayalon mein khoya hua tha.

Shishir phir Ranvir ki taraf palta aur usse khoye hue dekh kar usne kaha,

'Kya hua Ranvirji aap kaha kho gaye? Chalo chodiye, acha chaliye mein aap ko aur logo se milata hoon, abhi sagaayi ke mahurat mein thoda waqt hai.'

Aur Ranvir koh laker voh apne kuch doston ke pas chala gaya.

Sadhna, Ragini aur Alekh ko ek khali kamre mein le gayi thake voh akele baat kar sake. Ragini phir Sadhna par achanak tooth pari, 'Yeh tumne kya kiya Sadhna? Ranvir koh yaha le aayi, kyun?'

'Jiji mera yakeen manniye mein Ranvirji koh yaha nahin leker aayi, unhone mujhse kaha ke voh apne kisi dost ke engagement par ja rahe the.'

Phir Alekh bhi bol pada, 'Ha, meri dost sach kehrahi hai humain nahi pata tha ke Ranvir yaha aa raha hai.'

Ragini phir bhi bahut pareshan thi aur usne poocha, 'Toh phir kaise Sadhna, kaise aaye voh yaha, aur kyun? Voh kya karna chahte hai?'

Sadhna ne Ragini ko hosla diya, 'Jiji, mujhe nahi lagta ke Ranvirji koh pata tha ke yaha aap ki sagaayi ho rahi hai, voh toh sirf aap ki khushi chahte hai aur voh aap ke phaisle ke khilaf kabhi nahi jaayenge. Aap phikir mat kijiye voh is sagaayi koh rokne ki koshish nahi karenge.'

Ragini ke dil ko thoda chain mila, magar phir usse yaad aaya, 'Lekin Sadhna, hum maa aur bauji ko kya batayenge, voh toh Ranvir ko ghalat hi samajhenge na?'

Sadhna ne Ragini ka haath pakda aur kaha, 'Aap tension mat lijiye jiji, isse pehle ke mamaji aur mamiji khud Ranvirji ko yaha dekhe, main aur Alekhji unhe jaake sab kuch batadenge ta ki koi scene na create ho.'

Alekh bhi Ragini ke liye pareshan tha voh aage bada aur usne kaha, 'Ha, tum tension mat lo huh. Main aur meri dost sab kuch theek kardenge.Tum bas haapy, happy raho, theek hai. Chalo dost.'

Usne Sadhna ka haath pakda, 'Ha Alekhji hum abhi chalte hai, jiji aap thodi der yahi rahye tha ke hum pehle ja ke mamaji aur mamiji se baat kar sake, phir hum aap ko khud lene aayenge.' Yeh kehke Sadhna aur Alekh kamre se bahar chale gaye.

Ragini calm hone ki koshish kar rahi thi par uske aakhon ke samne bar bar Ranvir ka mayoos chehra ghoom raha tha. Voh Ranvir ka dhardh mehsoos kar sakti thi aur Ranvir ka dhukh Ragini ke dil mein kaanta banke chubh raha tha. Voh yeh rishta sirf apni parivaar ke khushi ke liye kar rahi thi lekin uska dil hamesha Ranvir ke naam se dhadke ga. Ragini ke aakhon mein aasoo aagaye, usne ponchdiye aur darwaze ki taraf palti toh chaunk gayi. Waha darwaze mein Ranvir usse chup chap dekh raha tha. Ragini khabra gayi lekin Ranvir aage barne laga. Ragini ne himmat karke kaha, 'Ranvirji, aap ko yaha nahi hona chahiye, koi dekh lega, aap yaha se chalejaye.' Ragini palti Ranvir se dhoor jaane keliye lekin peeche se Ranvir ne uska haath pakad liya. 'Main yaha se apni baat kiye bina nahi jaoonga.'

Uske haath pakadne se Ragini ka dil zor se dhadakne laga, uska dil yahi chahta tha, ke Ranvir zindagi bhar uska haath aise hi pakadta rahe, lekin usne apne dil par pathar rakhar kaha, 'Ab kehne ya sunhe ke liye bacha kya hai Ranvir, meri kuch hi pal mein sagaayi hone ja rahi hai.'

Ranvir ne Ragini ka haath chod diya, 'Main yaha sirf apni safaayi dene aaya tha. Yaakin mano Ragini, main nahi jaanta tha ke tumhari engagement Shishirji se hone ja rahi hai, agar pata hota toh main yaha kabhi nahin aata. Main toh sirf tumhe zindagi bhar khush dekhna chahta hoon.'

Ragini, nazare chukaye hue Ranvir ki taraf palti, aur phir dheere dheere apni nazare utha kar Ranvir koh dekha. Ranvir ke aakhon mein usne apne liye bahut saara pyar dekha. Kuch der voh chup rahi, phir Ranvir ne kaha,

'Ragini, tum khush toh ho na? Mer matlab, is rishte se.'

Ragini ne apni nazare Ranvir se churayi aur phir kaha,

'Shishirji meri bahut izzat karte hai, aur mujhse bahut pyar bhi karte hai. Unke gharwale bhi mujhe bahu ke roop me suikar karne ke liye tayar hai. Main bhi un sab ki bahut izzat karti hoon.'

Ranvir Ragini ke pas aane laga,

'Yeh mere sawal ka jawab nahi hua Ragini.'

Ragini apne haathon se khel rahin thi aur uski nazare jhuki hui thi, usne dekha nahi ke Ranvir uske paas aa raha hai, usne kaha,

'Mera parivaar is rishte se bahut khush hai, aur unki khushi mein meri khushi hai, isilye ha, main khush hoon.'

Ranvir ab Ragini ke bahut kareeb aagaya tha, usne apne haath se Ragini ka chehra uthaya, Ragini ka dil itne zor se dhadak raha tha ke usse laga uski dil ki awaz Ranvir ko sunayi dhegi. Phir Ranvir ne kaha,

'Aap mujhse jhoot bol sakti hai, lekin aap ki aakhon mein aap ki udaasi saf nazar aathi hai.'

Ragini ne apni aakhein band karli aur Ranvir usse dekhta raha, najaane kitni der voh aise hi khare rahe, phir Ragini ko hosh aaya aur usne apni aakhein kholi. Voh Ranvir ka haath hata kar usse dhoor chali gayi.

'Aap... aap please yaha se chale jaaye, maine apna phaisla suna diya hai, ab in sab baathon se koi faida nahi hai.'

Ranvir Ragini se kuch kehna chahta tha, lekin voh jaanta tha ke uske kuch kehne se koi phark nahi padne wala aur voh yaha rehkar Ragini ko uncomfortable kar raha tha. Isiliye voh Ragini se bina kuch kahe darwaze ki taraf ja raha tha, lekin phir voh rukh gaya. Darwaze mein Sadhna khadi thi, Ranvir ne usse dekha aur phir bina kuch kahein kamre se bahar chala gaya. Sadhna andar aayi aur usne agini ke shoulder par haath rakha. Ragini palti, aur Sadhna ko dekh kar usse gale se laga liya. Dono roi jaa rahi thi aur peeche se Alekh bhi andar aa gaya aur dono ko dekh kar pareshan ho gaya.

'Kya hua dost? Tum dono aise roh mat, i don't like it, i don't like it! Acha, tum ne apni jiji ko baatha diya ke tumhare mamaji aur mamiji nahi mile?'

Ragini aur Sadhna apne aasoon ponch rahe the ke Ragini ne poocha,

'Kya? Maa aur bauji nahi mile, aab kya karenge Sadhna?'

Sadhna ne jawab diya,

'Pata nahi jiji lekin ab aap yaha bhi nahi rukh sakthi, sagaayi ka mahurat nazdeek hai aur Shishirji ki maa bhi aap ko dhoondh rahi thi. Chalo aap tension mat lijiye abhi hum yaha se chalte hai, chaliye.'

Bahar Ranvir jaane ke liye nikal raha tha. Voh yaha rehkar, Ragini ko kisi aur ke banthe hue nahi dekh saktha tha, lekin peeche se kisi ne awaaz di,

'Ranvirji!'

Ranvir ne murke dekha toh Shishir usse pukar raha tha.

'Aap kaha ja rahe hai Ranvirji, sagaayi ki rasam abhi shuru hone wali hai, aur aap Raginiji ke maata, pita se toh mile hi nahi abhi, voh bhi bahut khush honge aap ko yaha dekh kar, chaliye.'

Aur Ranvir ke kuch kehne se pehle voh Ranvir ko wapas andar le gaya. Ranvir soch raha tha ke voh apni thabiath khrab hone ka bahana banakar vaha se chala jayega lekin phir usne Prakashchandji ko apne samne paya. Shishir ne kaha,

'Yeh dekhiye uncleji, main kisse laya hoon.'

Prakashchandji hairani se Ranvir ko dekh raha tha aur Ranvir bhi muskurane ki koshish kar raha tha lekin voh is situation mein uncomfortable feel kar raha tha.

Shishir ne Prakashchandji ki hairani ko khushi samajh liya,

'Voh kya hai uncleji, Ranvirji mere naya project ke manager hai, aur maine hi inhe yaha boolaya tha lekin main toh jaanta thak nahi tha ke yeh Alekhji ke chote bhai hai. Yaha aa kar Sadhnaji ne mujhe bataaya, hai na ajeeb itefaq?'

Prakashchandji muskuraye thake Shishirji ko ajeeb na lage, lekin unhe bolne ke liye kuch soojh hi nahi raha tha. Thab hi vaha Shishir ki maa aayi aur usne kaha,

'Shishir beta, chalo ab sagaayi ka mahurat aa gaya hai, maine Sadhna ko bhi bhej diya Ragini ko lane ke liye, Prakashchandji aap bhi aaye na.'

Shishir apne maa ke saath chala gaya. Prakashchandji Ranvir ko dekh raha tha, aise laga jaise voh Ranvir se kuch kehna chah rahe the, unki aakhon mein gussa nahi balke Ranvir ke liye phikir tha, par voh bina kuch kahein waha se chalegaye aur Ranvir ko akela chod diya. Ab Ranvir ke samajh mein bhi kuch nahi aa raha tha, voh chahkar bhi waha se jaa nahi sakhta aur majbooran usse ab Ragini ko kisi aur ke hot hue dekhna pare ga...

Edited by Ragvir4ever - 16 years ago
Ophelia thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#12
The creatives might take your scenarios but if they do they should give you credit. 😃

This seems very plausible that is it could happen in the show.
shaista_a thumbnail
Posted: 16 years ago
#13
thank you for contiuing the story. it's really good. i think you should become the new writer for Bidai.
Update soon.
waiting thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
#14
Hey,
this is so nice.. but ur like a true story writer.. itne interesing point pe uve stopped!
please do continue .. ots absolutely fantastic :)
Ragvir4ever thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 16 years ago
#15
Thanks for the sweet comments guys!😳😊
I'm hoping to put in some cute Ranvir and Alekh moments in the next one so i hope that gives you something to look forward to😊
Osprisshow thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
#16

arrre yaar!!r u related 2 the creatives!!!1111..my God!!..i was suppossing i m watching a fresh episode...!

very very nice and..one of the finest ff i hv read yet!!👍🏼

just_in thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 16 years ago
#17
I Loved the ragvir room conversation. It was simply beautiful.😳👏
sweet_shagun thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 7
Posted: 16 years ago
#18
Simply elated to read nicely written scene lets see what happens in the actual show!!

Luv,

Shagun
jiya25 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 16 years ago
#19
very nicely written. I guess we all have so many thoughts on how this is going to pan out. Please god, let next week be a good one.
dharaa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
#20
awesome dear👏.... loved every bit of it.... seriously it is soo realistic...
and is just a treat for all of us specially now, when we cant see bidaai bcoz of the strike....
waiting for the next part😊😊😊


*~VASUNDHARA~*


Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".