Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 49

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.3k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hello Guys..
How are all of you..Well sorry I know kii is baar maine aap sabko thoda sa zyada intezaar karwaya.. actually hua yeh kiii mera mann nahii ho raha tha fanfic likhne ka…I was feeling lazy to write the fanfic..hehehe…& guys phir I got busy with my personal life kii story continue karne ka waqt hii nahii mila mujhe.. pehle tho mere exams the almost for 20 days, pehle internals phir externals.. uske baad jab likhne ka socha tho my cousin's engagement got fixed aur ussi ke kaamo mein I was busy… & I could not find time to write the fanfic…. My cousin is getting engaged on the 9th of October tho maine socha kii kyun na uske pehle I post a part for all my sweet readers.. once again sorry for the delay.. hope all of you understand….who wait patiently for my fanfic & guys thanku so much for the encouragement you shower on me with each part.. I really feel very happy…. I hope aapko yeh part 13 aur agge kii kahani bhii utni hii pasand aaye.. thank you once again….ab I think meri baatein kuch zyada hii hogayi hai… tho issi liye main apni baatein ko chodthi hoon aur agge badhthe hai with the next part of "Hogi Pyaar Kii Jeet"…. Lekin chaliye pehle ek nazar daalthe hai recap par aur dekhthe hai kii aakhir kya hua tha "Hogi Pyaar Kii Jeet" part 12 mein…. So here is the recap of "Hogi Pyaar Kii Jeet"….


Recap:- well last part mein aisa kuch hua tha kii yash aur chah kii raahein phir ek baar milkar bhii judaa hogayi… yash apne raasthe chale gaya aur chah apne raasthe chali gayi…. Yash ab bhii issi umeed mein hai kii aaj nahii tho kal, kabhi na kabhi chah ko uske pyaar ka ehsaas hoga aur woh yash ke pass lout aayegi.. aur dusari taraf humne dekha kii chah ke dil ke kissi kone mein yash ke liye feelings tho zaroor hai, lekin woh feelings ko usne apne hii andar qaid karr liya hai kyunke uska yeh maan na hai kii pyaar uske liye nahii bana hai…. Yash aur chah kii soch bhii ek dusare se khoso alag hai, lekin phir bhii alag hothe hue bhii woh ek dusare ko khud ke pass mehsoos karthe hai.. dono khud ko bhakhoobi samajthe hai.. humne dekha kii yash cliff valley point mein rehkar chah ke bare mein sochtha hai, & he is determined hii woh chah ka dil jeet karr hii rahega.. aur dusari taraf hai chah joh is baar Delhi jaake kabhi wapas nahii aana chahthi, ya kabhi yeh nahii chahthi kii uska saamna yash se ho..aisa keh sakthe hai kii chah sach se durr bhaag ne kii koshish karr rahi hai, aur dusari taraf yash ne than li hai kii woh chah ko apne pyaar ka ehsaas dila karr hii rahega, aur chah ka sach se saamna karwayega…humne yeh bhii dekha kii yash dreams some sweet moments with chah.. aur dusari taraf jab chah flight mein hothi hai uske dilo dimaak par yash ka khayal kii hawii hotha hai…. so it is like yash & chah jahaan bhii hai they just can't stop thinking about each other… chah reaches home… & there are some cute, funny moments with her family, jahaan chah apne saare pareshaaniyaan chod kar dil khol kar mazaa karthi hai with her family.. aur yash ne soch liya hai kii woh chah ko har pal yeh hone ka ehsaas dilayega kii yash kii uski zindagi mein kitni zaroorat hai… chaliye ab dekhthe hai kii agge yeh kahani kaunsa modh lethi hai.. tho chalo let me start with the 13th part of my fanfic "Hogi Pyaar Kii Jeet"…


*****Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 13*****

Ab kuch aisa hotha hai kii Mehra pariwaar mein khoob maze ho rahe hothe hai… anurag, prerna, chah, kajal, sneha sab hasi mazaak karr rahe hothe hai… chah sabko dekhkar apne saare mann ke worries ko bhool jaathi hai… maano jaise she never went through any worries in the past few hours… chah was happy seeing her family happy… aur kyun na ho aakhir chah ke liye uski family was her first priority.. khud se bhii zyada agar woh kissi ke bare mein sochthi hai tho woh uski family hai.. khud se bhii zyada agar woh kissi se pyaar karthi hai woh bhii uski family hai.. yeh sab chorgul sunn kar gayatri who was resting comes out & sees chah….
Gayatri:- chah tu aagayi.. tu kab aayi….
Chah smiles gets up goes to gayatri hugs her & says:- haan dina main aagayi.. aur abhi bas kuch hii dher pehle aayi hoon..
Gayatri:- achcha kiya kii tu aagayi.. ghar mein kissi ka bhii mann nahii lagtha jab tu nahii hothi…
Chah:- dina mera bhii mann nahii lagtha aap sab ke bina.. woh tho hospital se important work mila that ho issi liye gayi thi.. aur maine socha kii waise hii armaan se bhii milkar aa jaaungi.. waise bhii dina main kahaan aap ko chod k eek din se zyada gayi bas kuch ghanton mein tho aagayi…
Gayatri:- haan patah hai mujhe… lekin kya kare hum sabko teri itni aadat joh hai.. aur tu jab humari nazron se durr hothi hai tho hum ko pareshaani hothi hai.. fikar hothi hai teri…
Chah:- dina aap tho aise bol rahii hai jaise main chotti si bachchi hoon jisko agar kahiin akela chod diya jaye tho main ghum ho jaaungi…
Gayatri pats on her face & says:- haan bachcha main jaanthi hoon kii tum chotti bachchi nahii ho.. lekin woh kya hai na tum chahe kitni bhii badi kyun na ho jao lekin humare liye tho tum bachchi hii rahogi.. kyun prerna kya kehthi ho, sahii hai na…
Prerna smiles & says:- haan maa sahii kaha aap ne… aur chah bachche hamesha maa, pita, ke liye chotte hii hothe hai chjahe woh kitne hii bade kyun na ho jaye.. samjhi…
Chah smiles & says:- haan main samaj gayi aap dono kii baaton…
Gayatri now sits with them & asks them:- chah tune ghar aake kuch khaya kya…
Chah:- nahii dina mujhe bhook nahii hai.. aur main already armaan ke saath kha karr aayi hoon… issi liye mujhe ab kuch nahii chahiye…
Prerna:- armaan ke saath hotel mein khana khaya kya?
Chah:- nahii badi maa woh actually armaan ke dost ke ghar mein party thi tho armaan mujhe wahiin le gaya tha.. wahiin par hum dono ne dinner kar liya….
Gayatri:- lekin chah mujhe tho lagtha hai kii tune theek se khaya nahii hoga…. Issi liye tho dekh na tu subaah se lekar sham thak kitni tired lag rahii hai, aisa lag raha hai kii tune apna weight bhii loose kar diya…
Chah:- not again dina…. Dina ab aap bhii aise matt kahiye.. tab se badi maa bhii yahii bole jaa rahii hai.. ab aap nahii please… aur dina maine koi weight loose nahii kiya hai, I'am sure bahar ka khana khake maine tho weight gain hii kiya hoga, waise bhii armaan mujhe bina theek se khaye chodtha kya, aap hii sochiye…
Prerna:- haan yeh baat bhii sochne waali hai.. waise bachcha..
Isse pehle kii prerna agge bole chah whines & says:- badi maa mujhe bachcha matt kahiye na…
Gayatri:- kyun na bulaye tujhe bachcha, agar tu yeh kahegi kii tu itni badi hogayi hai tho prerna aur maine kehna na abhi tujhse kii bachche chahe kitne hii bade kyun na ho gaye lekin bachche hii rehthe hai…
Chah:- haan jaanthi hoon yeh baat.. lekin haan ghar pe theek hai par bahar mujhe us naam se matt pukariyega kyunke agar kissi ne sunn liya tho woh kahega kii itni badi doctor ko ab bhii bachcha bulathe hai, aur mere patients bhaag jaayenge yeh soch karr kii main ek bachcha hoon na kii ek qualified doctor…
Chah ke is baat par sab log hass dethe hai… then gayatri says:- haan chalo teri yeh baat bhii theek hai.. hum tujhe bahar bachcha nahii bulayenge.. lekin haan tu hume nahii rokegi jab hum tujhe ghar par bachcha bulayenge… kyun prerna…
Prerna:- bilkul sahii… bol chah humari yeh baat manzoor hai tujhe.. chalega yeh…
Chah smiles & says:- arre badi maa yeh baat chalega nahii balki daudega.. aur mujhe aap dono kii yeh baat manzoor hai..
Prerna:- good… waise mujhe yeh bata kii woh tera bhai kaisa hai.. kya karr raha hai.. kuch padayi wadayi bhii karr raha hai.. ya phir yun hii parties mein, doston ke saath ghoom raha hai.. kya karr raha hai aakhir woh…
Chah:- ohhh aapka matlab aapke bete armaan se hai kya badi maa.. [chah ne chidathe hue poocha..]
Prerna:- chah maine tere bhai ke bare mein poocha….
Chah:- matlab tho yahii hua na badi maa, mera bhai aapka beta…
Prerna:- chah tu na din par din aur sharati hothi jaa rahii hai.. ab yeh baat chod aur bata tera woh nalayak bhai kaisa hai.. kya karr raha hai…
Chah:- badii maa aap ab bhii armaan se naraaz ho.. common badii maa.. woh bechara hum sabse durr wahaan reh raha hai , aap kyun us par naraaz hai..
Prerna:- main jaanthi hoon tu apne bhai kii khoob wakalat karr sakthi hai..lekin tu usse defend karna chod de.. patah nahii khud ko kya samajtha hai ghar aaye itne mahine ho gaye, uski shakal deke itne din hogaye lekin iske bawajood bhii woh ghar aane ka naam hii nahii letha.. baita hai wahiin Shimla mein.. ek saal se zyada hogaya usse dekh karr.. lekin uski hum sabki fikar kyun hone lagii hai.. woh udhar apni life enjoy karr raha hai.. azaadi enjoy karr raha hai apne pariwaar se durr… agar woh yahii chahtha hai tho yahii sahii.. [prerna tells all this in a sad tone, as sach baat tho yeh hai kii she is missing armaan.. aur usse armaan pe bohat zyada ghussa aa raha hotha hai issi baat par..]
Chah aur baaki sab yeh baat bohat achche se jaanthe the.. tab chah kehthi hai:- badi maa hum sab jaanthe hai kii armaan kis wajah se ghar nahii aana chahtha… humsab jaanthe hai na armaan aise karr raha hai taaki hum mein se kissi ko bhi takleef na ho… aur woh hum sab ko bohat yaad kartha hai.. akela hai wahaan par woh.. bas kuch dost hai jinke saath woh rehtha hai, lekin hum sabki yaad usse bohat aathi hai badi maa.. aap jaanthi hai na kii armaan ghar nahii aatha kyunke woh nahii chahtha kii jab woh yahaan se wapas jaye tho hum sab ko takleef mile, issi liye woh yahaan na aa kar saare takleef utta raha hai.. kyunke woh apne pariwaar ko takleef mein nahii dekh saktha.. yeh baat jaanthe hai na aap… issi wajah se tho woh yahaan aana nahii chahtha…
Prerna:- haan haan.. tu na apne us bhai kii wakalat karna chod de… aur bol kii woh kaisa hai.. waise bhii tu joh baat keh rahii hai woh sab mujhe patah hai… lekin main bhii kya karoon uski bohat yaad aathi hai na…
Now anurag says:- yaad tho hum sab ko uski aathi hai prerna.. lekin shayad hume armaan ke sentiment ke liye bhii qadar karna hoga…. Harr baar jab woh yahaan se wapas louttha hai tho uske liye bohat mushkhil hotha hai, hum sab ko chod kar jaana.. shayad hum sab ko yeh baat samaj nii chahiye…
Prerna:- ab tum bhii shuru ho gaye apne bete kii wakalat karne.. ek yeh chah bas nahii thi kya.. hamesha armaan kii suraksha kawach bannthi hai… aur ab aap bhii… mujhe ek baat patah chal gayi hai is ghar mein bohat saare waakil candidates hai joh bina wakalat pade bhii wakalat karr sakh the hai…
Anurag:- nahii mujhe nahii bann na wakeel. Main business man hii theek hoon…
Chah:- aur badi maa main bhii doctor hii theek hoon.. wakalat nahii karna chahthi main…
Prerna:- theek hai.. lekin ab bata armaan ne kya bola.. kya yeh bola usne kii woh ghar kab aane waala hai… ya koi aur baat kahii usne.. uski padhayi kaise jaa rahii hai.. uski tabiyath tho theek hai na… usne zyada wazan tho nahii kho diya na, after all usse ghar ka khana joh nahii miltha…
Kajal:- mom one by one sawaal kijiye na.. warna dii confuse ho jaayegi.. saying this kajal & sneha giggle as prerna is throwing a volley of questions on chah, that too all at a time.. even without giving her a little time to think…
Prerna looks at kajal & sneha & says:- tum dono chup hii raho.. maine saare sawaal chah se kiye hai.. yeh kya tumdono kekekiki hass rahe ho.. chup raho….
Sneha, kajal chup ho jaathe hai..
Ab Chah kehthi hai:- badii maa armaan theek hai.. theek se kha pee bhii raha hai.. weight tho usne loose nahii kiya hai lekin haan gym jaake body building karr raha hai.. padhayi tho theek hai, lekin bas thoda hectic hai uske liye.. issi liye woh zyada tiume apne padhayi, lab mein bithatha hai.. haan kabhi kabhi bahar jaatha hai doston ke saath… aur armaan ne yeh bhii bola kii woh apni internship karne Delhi aayega.. woh internship idhar karna chahtha hai.. bas abhi shayad abhi bas maximum aath ya dus mahine, uske baad woh yahaan hoga.. uski chuttiyaan hongi aur phir woh aaraam se apni internship bhii start karr saktha hai..
Prerna:- iska matlab abhi woh yahaan nahii aane waala… mujhe tho lagtha hai kii humein hii jaana padega usse milne.. woh tho yahaan aane se raha…
Chah:- nahii badi maa aisi koi baat nahii.. woh aa jaayega…
Prerna:- haan aa jaayega.. main sab jaanthi hoon…
Chah goes to prerna gives her a side hug & says:- badi maa aap udaas kyun ho rahii hai.. aa jaayega na woh..
Prerna:- tujhe pukka yakeen hai is baat ka kii agge jab uski padhayi khatam ho jaayegi tab woh
Hum se yeh nahii kahega kii woh bas apna internship khatam karke yahaan aayega…
Chah:- nahii badi maa.. armaan ne kaha hai yeh baat kii usse internship yahiin karni hai.. aaj jab sham mein main uske flat mein thi usne kaha tha mujhse.. baaton baaton mein keh raha tha.. woh jaantha hai badi maa kii hum sab ko uski kitni zaroorat hai.. aur badi maa jitna hum sab usko miss karthe hai utna hii woh bhii hum sabko miss kartha hai yakeen maaniye meri is baat ka badi maa..
Prerna:- hmm.. [prerna kuch sochthi hai aur kehthi hai] mere hisaab se tho yahii achcha hotha kii hum log Shimla shift ho jaye… achcha hoga.. armaan se durr rehna bhii nahii padtha…
Anurag:- lekin prerna hum log Shimla chod kar chale aaye the.. aur is baat ko bees saal se zyada ho gaye hai.. ab patah nahii wahaan par mahol kaisa hoga.. wahaan ke log kaise honge… mujhe tho lagtha hai kii wahaan ke log tho yeh bhi bhool gaye honge kii kabhi koi Mehra's naam ka pariwaar wahaan rehtha tha…
Now Gayatri says:- dekh anuu.. shaya wahaan ke sab log humein bhool gaye honge lekin main jaanthi hoon kii preeto mujhe kabhi nahii bulegi.. na preeto mujhe bhuli hogi aur nah ii gulshan bhaisahab.. aur jahaan thak mujhe lagtha hai who humse kiya hua waada bhi nahii bhule honge.. who waada joh aaj se bees saal pehle unhone humse kiya tha…
Chah:- kaisa waada dina… aur yeh preeto aur gulshan kaun hai..
Before gayatri could reply… Anurag says:- maa mujhe nahii lagtha unhe kuch bhii yaad hoga… aaj se bees saal pehle hum Shimla ko peeche chod aaye hai.. aur jab humein unki zaroorat thi woh apni zindagi mein mashroof the.. haan main jaantha hoon kii unki zindagi mein bhi problems thi lekin phir bhi woh kabhi agge nahii bade humari madat karne ke liye..
Now prerna says:- arre annu.. chodo in baaton ko… joh beet gaya.. woh beet gaya… hume usse mudhkar dekhna nahii chahiye.. aur agar humara beete hue kal humare aaj mein shamil hone aa jaye tho humein usse dhutkarna bhi nahii chahiye… tho aap kyun aisa keh rahe hai… joh hona hotha hai woh hokar hii rehtha hai.. harr haal mein.. aur humara koi bas nahii hotha… agar kal ko agar humara ateet humare saamne aaye tho humein muskurathe hue usse gale lagana chahiye.. lekin hum abhi in baaton ko lekar kyun baithe hai… woh English mein ek saying hai cross the bridge when it comes.. tho jab joh situation saamne aayega hum tab uska milkar saamna karenge…
Gayatri:- yeh hui na samajdhari waali baat.. anurag seekh kuch tu meri bahu se.. warna tho hamesha na.. na hii kehtha rehtha hai.. itni akalmand biwi mili hai tujhe lekin iske bawajood bhii tune isse kuch nahii seekha tho isse buri baat tho koi nahii ho sakthi…
Anurag:- achcha maa main maantha hoon kii meri biwi bohat akalmand hai… aur haan ab se main prerna kii saari baatein suna karoonga.. chahe iske baad duniya waale mujhe preru ka ghulam kyun na bulaye…. Sorry joru ka ghulam kyun na bulaye…. Kajal, chah & sneha laugh while prerna stares at anurag giving him a angry look… while anurag winks at her.. isse prerna ke chehre par bhi ek halki si muskaan aa jaathi hai..
Kajal:- you know what dadi, kabhi kabhi tho mujhe ek baat bilkul samaj nahii aathi…
Gayatri:- achcha bol tujhe kya baat samaj mein nahii aathi hai…
Kajal:- woh actually dadi mujhe yeh samaj nahii aathi kii maa aur paa ek dusare se kitne alag hai.. inki pasand bhii ek dusare se nahii milthi hai.. inki aadatein bhii ek dusare se alag hai tho phir in dono ke beech pyaar kaise hogaya…. Inki shaddi kaise hogayi..
Prerna:- kya matlab humari shaddi kaise hogayi.. humari shaddi waise hii hui jaise sab ki hothi hai…
Sneha:- arre mom hum jaanthe hai kii aapki shaddi waise hii hui jaise kii sabki hothi hai… lekin hum jaan na yeh chahthe hai kii aap dono kii shaadi aakhir ho kaise gayi… I mean kii aap log ek dusare se itne alag ho… phir bhi aapki shaddi hui, aur shaddi ke itne saal baad bhi aapka rishtha utna hii strong hai…. Tho hum is baat ka raaz jaan na chahthe hai…
Anurag:- humare rishthe kii safaltha ke peeche koi raaz nahii hai.. humara rishtha qayam hai kyunke humare beech pyaar hai.. pyaar joh kabhi bhi, kahiin bhi, kissi se bhi ho saktha hai.. kyunke dil par kissi ka bhi zor nahii chaltha.. bas mujhe aur prerna ka ek dusare se pyaar hua.. humne saath zindagi jeene kii kasmein khayi.. saath marrne kii bhi kasmein khayi.. aur phir apno ke saath kii wajah se hum ek hogaye… aur humein ek karne mein sabse bada haath pyaar ka tha aur uske baad humare apno ka tha..
Chah:- badi-maa jab aapke gharwaalon ka patah chala kii aap bade papa se pyaar karti thi tho unhone kya kaha..
Prerna:- mere gharwaale.. tho bas mere mama aur maamijii the… kyunke mere maa baba tho the nahii… mamaa, maami ne ma baba kii maut ke baad meri dekhbaal kii thi… jab pehle anurag ne aake mere ghar mein kaha tha kii woh mujhse shaddi karna chahthe the tho mere maama jii is rishthe ke khilaaf the… kyunke woh nahii chahthe the kii main ek love marriage karoon.. phir maami jii ne maamajii ko samjhaya aur phir maa aayi thi humare ghar anurag aur mere rishthe kii baat karne.. uske baad maama jii ne mujhse poocha kii main kya chahthi hoon tho maine unse sach kaha… tho bas mama jii ne meri khushi ke liye mera haath khushi khushi anurag ke haatho mein rakh diya… humari shaddi ho gayi… humari shaadi ke kuch mahine baad maamajii aur mamijii kii maut hogayi.. ek train accident mein… tab maa ne anurag ne mera bohat saath diya…aur aaj bhii mera aur anurag ka pyaar waisa hii hai jitna hum humari shaadi se pehle se karthe aa rahe hai… pyaar se khoobsurat ehsaas is duniyaan mein aur koi nahii hoga..
Chah:- tho phir badi maa pyaar mein ladayi kyun hothi hai… pyaar mein doorie kyun hothi hai..
Prerna:- kabhi kabhi haalat kuch aise hothe hai kii pyaar mein dooriyaan ho hii jaathi hai… koi bhi pyaar karne waala insaan yeh kabhi nahii chahega kii uske aur uske pyaar ke beech doorie aa jaye.. yeh tho bas haalat hothe hai… lekin haan ek aur baat shayad raah mein mushkhil honge, kaaton par chalne padenge, angaray pe kadam rakhne honge lekin in sab ke bawajood bhii apne pyaar ka saath dena is worth it..
Anurag:- aur haan chah joh pyaar mein yeh ladayi hothi hai na.. yeh choti moti nokh-jhok tho chalthi rehthi hai.. aur pyaar ko badatha hai yeh ladayiyaan…
Kajal:- aapko kaise patah…
Anurag:- personal experience hai Kajal… pyaar mein rootna, phir manana iska mazaa hai kuch aur hotha hai…
Chah:- rootna aur manana.. ismein kya mazaa hai bade papa… ladna tho achchi baat nahii hothi hai na…
Gayatri:- chah tum log yeh baat abhi nahii samjhoge.. jis din tum logon ko kissi se pyaar hoga na us din tumhare samaj mein yeh baat aayegi.. aur pyaar mein joh yeh rootna manana hotha hai na isse pyaar badhtha hai.. aur bhi ghehra ho jaatha hai…
Chah:- dina yeh pyaar na bohat hii complicated hai… yeh saari baatein merit ho samaj mein nahii aathi…
Gayatri:- aaj nahii tho kal tujhe yeh baatein samaj mein zaroor aayengii… jis din tujhe pyaar hoga us din tujhe ehsaas hoga is baat ka kii pyaar se badhkar is duniyaan mein aur koi ehsaas nahii hotha..
Chah:- mujhe khushi hai kii main nahii jaanthi kii yeh pyaar-vyaar kya hotha hai.. aur shayad main yeh kabhi jaan na bhii nahii chahthi hoon..
Anurag:- chah tu yeh baat abhi nahii samjegi.. jis din tujhe kissi se kudh se zyada pyaar hoga na us din tujhe humari yeh baatein yaad aayegi..
Chah smirks & says:- pyaar tho mujhe hone se raha bade-papa.. agar mujhe kissi din ho bhi gaya tab bhi main usse jhutla dungi.. kyunke mere liye love does not exist…. Aur main jaisi hoon khush hoon.. theek hoon.. mujhe kissi ki bhi apni zindagi mein zaroorat nahii hai.. pyaar jaisi cheez mere liye bani hii nahii hai..
Prerna:- chah agar tu pyaar ko ek cheez samjhegi tho kabhi pyaar ko samaj hii nahii paayegi.. pyaar tho bas pyaar hotha hai.. ek ehsaas.. aur tujhe aisa kyun lagtha hai kii pyaar tere liye nahii bani hai…
Chah:- simple sa logic hai badi-maa mujhe pyaar karke, pyaar ke jamelo mein nahii phasna hai.. pyaar mein sau shatein hothi hai.. pabandiyaan hothi hai.. majboori hothi hai… aur mujhe nahii lagtha kii koi bhi insaan kissi aur insaan se selflessly pyaar karr saktha hai.. sabka apna swart chupa hotha hai… so mujhe nahii lagtha kii main is janjhat mein phasna chahthi hoon… main yahiin aap sabke saath khush hoon…
Prerna:- dekh chah shayad kuch logon ke pyaar mein koi swart chupa ho saktha hai.. lekin sabka pyaar swart pe hii hoga yeh sahii nahii hai.. kya tujhe aisa lagtha hai kii mere aur anurag ke pyaar mein koi swart chupa hai.. tu bata mujhe chah kii mere aur anurag ke pyaar mein tujhe kaunsa swart dikhtha hai…
Chah:- badi maa yeh alag baat hai.. aapka aur bade-papa ka pyaar alag hai…
Prerna:- kyun alag hai.. bata mujhe.. islye kyunke hum tere badi-maa aur bade-papa hai… isliye humara rishtha alag hai na…
Chah:- aisi baat nahii hai badi-maa..
Prerna:- dekh chah hamesha ek baat yaad rakh bhale hii zindagi mein tune ek pyaar ko swart ke liye tootthe hue dekha hai, lekin iska matlab yeh nahii kii duniyaan ke saare pyaar karne waale apna swart dekhthe hai.. joh log ek dusare se sachcha pyaar karthe hai na chah woh ek dusare ke liye kuch bhii kar sakthe hai.. yahaan thak kii ek dusare ke liye hasthe hue maut ko bhii gale laga sakthe hai.. lekin tu yeh baatein abhi nahii samjegi.. jis din teri zindagi mein woh someone special hoga na.. us din tujhe lagega kii meri baat kitni sahii thi..
Chah:- aur woh din kabhi nahii aayega badi-maa kyunke na tho main kissi se pyaar karne waali hoon.. aur nah ii main kissi ko yeh izzazt doongi kii woh mujhse pyaar kare..
Prerna pats on chah's head & says:- are pagli… pyaar karne ke liye kissi ki izzazat kii zaroorat nahii hothi.. pyaar kiya nahii jaatha.. pyaar tho bas ho jaatha hai…
Gayatri:- sahi kaha prerna… pyaar tho bas ek hawa ka jhonka hai.. na jaane kab woh hawa ka jhonka aayega aur bina kissi ko khabar kiye tera dil uda le jaayega..
Chah:- hmm… dekhthe hai… kyunke mujhe nahii lagtha kii aisa kuch mere saath hone waala hai..
Anurag:- dekhthe hai na chah.. waise bhii tumhari badi-maa ne kaha na kii we should cross the bridge only when it comes.. tho abhi se kyun hum yeh baatein soch rahe hai….
Gayatri:- sahii kaha tumne… chalo ab raat bohat ho chuki hai sab log sone chalo.. kal sabko apne kaam pe jaana hai na…
Prerna:- haan maa sab ke kaam hai.. lekin haan chah kal tum hospital nahii jaa rahii ho…
Chah:- lekin badi-maa mujhe hospital jaana hai… wahaan mere appointments hai..
Prerna:- dekh chah tu kudh ek doctor hai.. lekin tu apna zara sa bhi khayal nahii rakhthi.. aur tu aaj hii tho aayi hai kal ek din hospital nahii jaayegi tho kuch nahii hoga.. aur sun nab tu kal subaah call karke apne liye chutti bolegi ya main bolun tu yeh baat soch le..
Chah:- [hugs prerna & says] achcha badi-maa main bol dungi… aur main kal saara sin aapke saath hiii rahoongi.. aapke aur dina ke saath.. ab theek hai..
Prerna smiles & says:- haan… theek hai..
Kajal:- tho kya kal hum bhi ghar pe rukh sakhthe hai..
Prerna:- bilkul nahii Kajal kal tumhe basket ball practice ke liye jaana hai kyunke next week basket ball team ka selection hai… us tournament ke liye joh aaj se che mahine baad ho rahii hai aur jisse jeetna tera sapna hai… aur Sneha ko bhi tho jaana hai uski padhayi ka aakri saal joh hai yeh…
Kajal:- how boringgg… [kajal makes a face.. while others smile at her..]
Prerna:- achcha chalo ab tum theeno jao aur so jao…. Good night….
Chah, sneha, kajal, wish anurag, prerna & gayatri good night then go to their respective rooms… even gayatri goes to her room.. once prerna & anurag see that all have gone to their room.. anurag tells:- tho ab hum bhii chale madam….
Prerna:- haan chaliye… waise bhii aapko kal subaah office bhi tho jaana hai..
Anurag:- chaliye jii preru jii.. kya kabhi aisa hua hai kii aap humse kuch kahe aur hum us baat ko taal de.. nahii na waise bhii hum tho hai aapke ghulam….
Prerna:- achcha jii tho aap mere ghulam hai.. muhe tho patah hii nahii tha.. kabse hai aap mere ghulam…
Anurag:- arre jii hum tho aapke ghulam us din se hogaye hai jis din se humne aapko pehli baar dekha tha…. Aur aaj thak hum aapke ghulam hii tho hai… tho aap kii baat ko na karna aisa kabhi bhi nahii ho saktha..
Prerna [laughs & says] anuuu… bas bhi kijiye… agar ab aapki baatein khatam hogayi hai tho chaliye…. Bohat raat ho gayi hai..
Anurag smiles & says:- aapka hokum sarr aankhon par..
Prerna:- ab bohat hogaya… chalooooooooo.. [prerna holds anurag's hand & takes him to the room..]
Yahaan joh chah apne liye paani ka bottle lene neeche aathi hai… steps ke pass teherkarr anurag aur prerna ko dekhthi hai.. she has a smile on her face thinking about the love anurag & prerna have for each other even today after so many years of their marriage… chah goes gets a bottle water then she goes to her room… when she enters her room she is surprised to see sneha & kajal there..
Chah:- tum dono yahaan kya karr rahe ho.. sona nahii hai kyat um dono ko…
Kajal:- nahii dii.. humein aap se baat karni thi issi liye main aur sneha yahaan aagaye….
Chah goes & sits in between them & says:- hmm.. tho bolo kya baat karna chahthe ho tum dono…
Sneha:- actually chah hum tumse kuch poochna chahthe the…
Chah:- pooch na kya poochna chahthe the tum dono…
Kajal:- dii hum aap se yeh poochna chahthe the kii kya kabhi aapki zindagi mein aisa koi tha jisse aap pasand karthi thi…
Chah:- what.. yeh kaisa sawaal hai.. tum dono jaanthe ho na kii main pyaar par vishwaas nahii karthi….
sneha:- chah hum jaanthe hai kii tum pyaar par vishwaas nahii karthi lekin shayad tumhari zindagi mein koi tho aisa hoga jisse dekhkar tumhe aisa laga ho kii shayad he is the right one for you.. shayad kabhi tumhari zindagi mein aisa hua hoga kii kissi ko dekhkar tumhare dil kii dhadkane badh gayi hongi aur tumhare dil se ek awaaz aayi hogi kii may be he is the right one for you.. bolo na chah aisa kabhi hua hai kya tumhare saath..
Jab sneha yeh saari baatein bol rahii hothi hai chah kii aankhon ke saamne yash ka chehra aa jaatha hai.. chah gets restless woh apni aankhein band kar lethi hai aur yeh koshish karti hai kii yash ka image disappears from her eyes… she does not answer sneha.. tho both kajal & sneha nudge her.. & kajal says:- batayiye na dii.. kahaan kho gayi aap… kya aapki zindagi mein kabhi bhi us someone special ne dastak nahii di..
Chah:- nahii kajal.. meri zindagi mein aisa koi nahii hai.. meri zindagi bas mere pariwaar se hii hai.. mera pariwaar jiska hiska dina hai, badi-maa hai, bade-papa hai, tum, sneha aur armaan ho…. Meri zindagi mein kissi aur ke liye koi jagah nahii hai.. main aisi hii khush hoon apni zindagi mein mujhe kuch aur nahii chahiye..
Sneha:- tho kya chah tumhe tumhari zindagi mein kissi ka intezaar hai….
Chah:- nahii sneha mujhe meri zindagi mein kissi ka bhii intezaar nahii hai..
Kajal and sneha look at chah intently… and chah asks:- kya hua tum dono mujhe is tarah kyun dekh rahe ho…
Sneha:- chah kya tumhe is baat ka yakeen hai kii tum humse kuch chupa nahii rahi ho.. agar tum humse kuch kehna chahthi ho keh sakthi ho.. hum kissi se nahii kahenge…
Chah:- kya jaanna chahthe ho tum dono.. jab aisa kuch nahii hai… [chah yeh baat un dono se nazrein milaye bina kehthi hai..]
Sneha:- chah tumhara yun nazar jukana is baat ko saabit kartha hai kii tum humse kuch chupa rahii ho.. aur na jaane tum kabse chupa rahii ho.. agar tum humse kehna nahii chahthi tho theek hai.. jis din mujhe tum humse tumhare dil kii baat kehna chahogi us din hum sunenge.. lekin hamesha yaad rakhna kii hum hai yahaan teri baatein sunnne ke liye… [then sneha kajal se kehthi hai] chal kajal.. bohat late hogaya hai…
Sneha & kajal are about to go out of chah's room.. jab chah kehthi hai:- agar main tum dono se yeh kahoon kii meri zindagi mein aaj se theen saal pehle ek dost aaya tha.. joh meri zindagi mein pyaar kii lehar laana chahtha tha…. Lekin maine kabhi usse is baat ka mouka hii nahii diya…
Kajal & sneha turn around to face chah, shock is evident on both their faces….
Chah:- ab mujhe aisa matt dekho.. tum dono sach jaan na chahthe the na… tho yeh sach hai.. chah gets up from the bed, goes to her balcony & starts staring at the moon.. kajal & sneha follow her out…
Kajal:- tho dii phir kya hua…
Chah:- phir kuch nahii… maine kabhi usse pyaar nahii kiya tha.. woh mujhse pyaar karr baittha… aur is pyaar ke chalthe maine apne ek achche dost ko kho diya.. woh dost joh mujhe ajaane se mila tha…
Sneha:- lekin chah kya tumhe usse sach mein pyaar nahii hua tha….
Chah:- [laughs sarcastically & says] tum bhii kaise sawaal poochthi ho sneha.. tum jaanthi ho na pyaar jaisi cheez mere liye nahii bani hai… aur maine kabhi usse pyaar nahii kiya.. lekin haan shayad maine uska pyaar bhara dil thod diya, us baat ka pachtawa mujhe aaj bhi hai.. lekin main is bare mein kuch karr nahii sakthi.. kyunke I don't believe in love.. & love is not for me… yeh kehthe hue chah chand kii taraf dekhthi hai aur uski aankhon mein halsi si name hothi hai…. Kajal aur sneha understand chah completely.. they even understand the thing which is unsaid.. woh yeh bhi jaanthe the kii shayad chah us ladke se pyaar tho karthi thi lekin commitment se darrthi thi… aur issi liye usne kudh ko us ladke se alag kar liya..
Sneha & kajal hug chah from the either sides… chah smiles looking at both of them.. kajal:- achcha dii waise yeh batao kii us insaan ka naam kyat ha…
Chah:- naam kyun jaanna chahthi ho tum uska.. aur naam jaan kar kya karogi…
Sneha:- hum kuch nahii karenge chah.. bas naam jaan na chahthe hai us insaan ka jis insaan ne ko tumhari qadar patah thi…
Chah sarcastically says:- aur jiski qadat mujhe nahii thi….
Kajal:- aisa kuch nahii hai dii batao na…
Sneha:- haan batao na… please…
Chah:- achcha baba.. theek hai main bataoongi.. lekin tum dono yeh baat kissi se matt kehna.. [kajal & sneha nod their head & chah says] us insaan ka naam yash hai…
Kajal:- yash… wow.. nice name… sneha yash chah yeh do naam kitne achche lagthe hai na saath mein.. [kajal says this without thinking..]
Then kajal looks at chah & sees kii chah ke face pe thodi si shikhan aagayi hai.. so woh foran kehthi hai:- sorry dii.. main tho bas aise hii..
Chah has a fake smile on her face & she says:- koi baat nahii…
Sneha:- achcha chah if you don't mind kya tum humein yeh bata sakthi ho kii tum yash se kahaan mili…
Chah:- main yash se Manali mein mili thi.. jab main apni third year ke liye wahaan ek field research ke liye gayi thi.. wahaan jaakar mujhe wahaan ke patients ko study karna tha… unhe treat karna tha.. it was a field experience hum students ke liye.. wahiin par main usse mili thi… mujhe aaj bhi yash ke saath meri pehli mulaqat yaad hai.. kya mulaqat thi woh…. [chah has a faint smile on her face telling that…]
Kajal:- dii aap kaise mili unse…
Chah:- bas aise hii mili thi main usse… yun soch lo kii us din mera usse milna likha that ho mil liya, phir humari dosti hui, dosti kab uske liye pyaar mein badal gayi mujhe us baat ka ehsaas nahii hua… aur phir woh waqt bhi aagaya jab humari dosti toot gayi.. aur hum dono apne-apne raasthe chal diye.. bas yahii thi hum dono kii chotti si kahani.. main tho us baat ko bhool bhi chuki thi.. aaj tum dono ne yaad dila dii.. & I'am sure yash bhi apni zindagi mein agge badh gaya hoga.. [chah remembers meeting yash earlier in the evening & she knows kii woh wahiin khada hai aaj bhi jahaan chah usse theen saal pehle chod gayi thi.. par chah is baat ko accept nahii karna chahthi thi.. as it will make things more complicated…]
Sneha:- chah shayad woh zindagi mein agge na bada ho, aur shayad aaj bhii woh tumhara intezaar karr raha ho.. tab bhi kya tum yahii kahogi kii tumhe usse pyaar nahii..
Chah:- sneha I'am sure woh agge badh gaya hai.. aur dusari baat mujhe kabhi usse pyaar nahii ho saktha.. & I'am sure kii yash bhi mujhse pyaar nahii kartha tha woh bas ek infactuation thi..
& after all main tab bas 19 kii thi aur yash 19 & a half ka.. so I'am sure it must have been nothing more than infactuation..
Kajal:- lekin dii maa aur paa ne tho kaha tha kii pyaar kabhi bhi ho saktha hai…. Tho phir… aap kaise keh sakthi hai kii it was just a infactuation from yash's side.. may be he truly loved you.. or may be he still does..
Sneha sees kii kajal ke is sawaal se chah thodi si uncomfortable hai.. so sneha changes the topic & says:- chalo ab in baaton ko chod do… kajal tum mujhe batao kii kya tumhari zindagi mein aisa koi hai.. I mean someone special jaisa…
Kajal:- common sneha.. kaisa sawaal pooch rahii ho mujhse…. Tum tho jaanthi ho na kii meri zindagi mein mujhe pyaar bas apne basket ball se hai.. aur kissi se nahii…
Chah:- tum batao sneha tum joh yeh mujhse aur kajal se sawaal karr rahii ho kya tumhari zindagi mein aisa koi aaya tha.. jisse dekhkar tum kho jaathi ho..
Sneha:- hai na.. meri zindagi mein aisa ek shaqs hai jisse aksar sunnkar main kho jaathi hoon… jaan na chahthe ho kaun…
Chah & kajal say yes…
Sneha:- uska naam sonu hai.. usse aksar sunnkar main khayalo mein kho jaathi hoon….
Chah & kajal together say:- whatttttttttttttt…
Sneha:- arre aap dono chilla kyun rahe ho.. main tho sonu, sonu nigam kii baat karr rahii thi.. kya gaatha hai woh.. main aksar uski awaaz mein gaano ko sunnkar kho jaathi hoon.. aur aap dono ne kya samjha…
Chah & kajal hit their head with their hands… & now chah says:- waise dekhogi tho aise bohat saare actors hai jisse dekhkar humari kajal bhi kho jaathi hai… jaise kii Brad Pitt, Tom Cruise…
Kajal:- haan dii sahii kaha aapne kya lagtha hai woh… kaash main unko ek baar mil paathi.. aur main…
Sneha butts in & says:- taaki tum unhe dekho aur behosh ho jao.. chah tum iske peeche hii rehna taaki yeh behosh ho jaye tho tum ek doctor ke naathe isse dekh sako.. theek hai… sneha laughs saying this..
Chah smiles & says:- haan main tho rahoongi hi.. kajal ko sambhal na joh hai…
Kajal:- hahaha.. very funny.. main koi behosh nahii hongi…
Sneha:- tum behosh tho zaroor hogi…
Kajal:- nahii..
Sneha:- haan…
Kajal:- nahii…
Chah:- sneha, kajal kya karr rahe ho… sneha us din dekhenge na jis din yeh unse milegi…
Kajal:- haan sahi hai.. main joh yahaan hoon.. aur woh baite hai wahaan Hollywood mein…
Sneha:- aur kajal shayad tu ek baat bhool gayi hai dono hii shaadi shuda hai…. Tho dono bhi tumhe tho ghaas nahii daal ne waale hai… tho tu apna hero dhoond un dono ko chod de..
Kajal:- arre sneha.. agar woh log mujhe ghaas nahii dalenge tho bhii chalega, lekin main daloongi na ghaas unko.. wohii kaafi ho jaayega… all the three laugh at this..
& then chah says:- dekh kajal main is pyaar-vyaar ke bare mein tho kuch zyada nahii jaanthi hoon.. lekin haan main itna jaanthi hoon kii humein hamesha us insaan kii qadar honi chahiye jisse humari qadar hai… aur jinko humari qadar nahii hothi na humein unke bare mein sochna nahii chahiye… kyunke main ek insaan ko dekha hai joh us shaqs kii qadar kartha hai joh uski koi qadar nahii karthi lekin phir bhi woh usse pyaar kartha hai aur maine us shaqs ka dard dekha hai… [she says referring to yash & herself.. jahaan usse yash ke pyaar kii qadar nahii…. She continues saying..] main nahii chahthi kii tum dono us dard se guzron issi liye main tumse keh rahii hoon kii hamesha uski qadar karo joh tumhari parwaah kartha hai..
Sneha:- point taken chah….
Chah:- achcha chalo ab tum dono sone jao….
Kajal aur sneha hug chah wish her good night then go to their room…
Yahaan chah ab bhi wahiin balcony mein hii khadi hui hothi hai… she is just staring at the moon… woh chaand mein yash ka chehra dekhthi hai.. aur phir kudh se kehthi hai:- yash tumhara aur mera rishtha tab thak achcha hai jab thak hum dono ek dusare se durr hai.. aur yahii humari kismat hai… yash main chahthi hoon kii tum hamesha khush raho.. aur main jaanthi hoon kii tum mere saath khush nahii reh sakthe.. issi liye yahii theek hai… hum dono kii manzil ek duje se kitne alag ho wohii hum dono ke liye sahii hoga… main kabhi tumhe woh khushi nahii de sakthi yash jiske tum haqdaar ho.. kyunke main kabhi tumse pyaar nahii karr sakthi.. sorry yash…
Chah yeh kehkar turn karthi hai.. tho uske saamne ussi ka soul khada hotha hai…. Chah says:- tum.. kaun ho…
Chah's Soul:- main.. tumhari antar aatma….
Chah just stares at her.. jab the soul asks her:- tumne abhi joh kaha kii tum yash se pyaar nahii karthi kya woh sach hai.. kya sach mein tumhare dil mein yash ke liye koi bhi feelings nahii hai..
Chah:- main chah se pyaar nahii karthi… kya chahthi ho tum main tumhe khoon mein likh kar doon kii yash mere liye koi mayine nahii rakhtha..
The soul:- agar tum yash se pyaar nahii karthi tho phir tum kyun harr din usse yaad karthi ho.. kyun tum us asmaan ke chaand mein yash ka chehra dhoondthi ho..
Chah:- shayad main yash ko yaad karthi hoon.. isiliye kyunke woh mera dost hai.. ismein ghalat kya hai.. woh kabhi mera sabse achcha dost hua kartha tha…
The soul:- tum usse pyaar karthi ho chah.. lekin tum duniyaan waalon ke saamne yeh dhong karr rahii ho kii tum pyaar par yakeen nahii rakhthi.. tumne joh kajal aur sneha se kaha woh bhi jhoot tha..
Chah:- maine koi jhoot nahii bola..
The soul:- tumne unse yeh jhoot bola kii tum yash se pyaar nahii karthi.. tumne unse yeh jhoot bola kii yash ke feelings tumhare liye woh pyaar nahii balki infatuation thi.. tumne unse yeh jhoot kaha kii shayad yash apni zindagi mein agge badh chukka hai.. lekin jab kii tum yeh jaanthi thi kii aqaj bhi yash tumse pyaar kartha hai.. woh ussi jagah tanha khada hai tumhara intezaar karthe hue… yeh jhoot bola tumne…
Chah closes her ears & says:- bass.. mujhe kuch aur nahii sunn na… bas karo…
The soul:- tumhe sunnna tho hoga… yeh sach hai kii tum yash se pyaar karthi ho.. bhale hii yeh baat tum duniyaan waalon ke saamne na sweekaro.. lekin main yeh baat jaanthi hoon.. kyunke main tumhari antar aatma hoon.. aur yeh baat tum bhi jaanthi ho kii tum chahe is baat se kitna bhi kyun na durr hone kii koshish karo lekin sach kabhi nahii badal saktha.. tum yash se tab bhi pyaar karthi thi.. aur aaj bhi tum usse chahthi ho..
Chah closes her eyes tightly & says aloud:- haan main yash se pyaar karthi hoon… aur hamesha karthi rahoongi.. lekin main yeh baat kabhi kissi ko bata nahii sakthi.. yash ko bhi nahii bata sakthi… kabhi nahii laaungi yeh baat zubaan pe kii mujhe yash se pyaar hai.. kyunke pyaar mere liye nahii bani hai… aur main aise hii theek hoon.. mujhe yash ke saath kii koi zaroorat nahii hai.. nahii hai zaroorat mujhe uski… chah kii aankhon se halke se aasoo behthe hai.. aur woh apni aankhein kholthi hai to see kii ab woh soul kya kahega.. lekin chah sees kii there is nobody around.. woh bas aayine ke saamne khadi hai.. she sees the tears flowing out of her eyes & who aayine mein dekhthe hue kehthi hai:- pyaar mere liye nahii banii hai… yeh kehkar chah wipes her eyes dry.. aur phir she switches off the light aur ease chair mein bait jaathi hai.. Chah closes her eyes & is lost in the thoughts of her past…

On the other side we can see that yash is still at Sunset Valley Cliff Point… he is sitting there drenched in the rain.. barish tho rukh gayi hai lekin yash ka mann ab bhi nahii ho raha tha ghar jaane ke liye.. yash bhi unhii paalon ko yaad karr raha tha ja uski zindagi poori tarah se badal gayi.. woh pal jab woh chah se pehli baar mile the..

Both yash & chah ek dusare ko yaad karthe hue apne khayalon mein kho jaathe hai.. us yaad mein kho jaathe hai jiske wajah se woh aaj se theen saal pehle mile the..

Flashback Starts:-
[3 years back.. Shimla..]

We can see Shimla Business Administraton University.. jahaan yash was doing his final year of BBA… ussi college mein swayam bhii padtha tha… yash aur swayam ke gangs bhi alag the… aur dono gangs ek dusare ko ek aankh nahii bhathe the.. yash kabhi bhii swayam ke raasthe mein interfere nahii kartha tha.. woh hamesha apne kaam se kaam rakhtha tha.. lekin swayam hamesha yash ke raasthe kii rukawat bannne kii koshish kartha tha.. college mein football ke game kii announcement hothi hai.. tho yash aur swayam apne naam opposition teams mein dethe hai.. yash ke saare dost uske saath hothe hai uske team mein.. aur swayam ke dost uske saath hothe hai.. game shuru hotha hai tho most of the people support yash.. kyunke bahar kissi ko bhi swayam kuch zyada pasand nahii hotha tha.. tho bas yash aur uski team pehle se aakhir thak champions kii tarah khelthe hai.. aur aakhir mein jeet bhi yash ke team kii hii hothi hai.. yash aur uske dost is jeet se bohat khush hothe hai.. lekin swayam se yeh harr bardhast nahii hothi.. woh yash ko kissi bhi haal mein neecha dikhana chahtha tha.. issi liye usne aur uske doston ne ek plan banaya.. plan yeh tha kii swayam jaan bhoochkar kudh ko chot pohanchayega aur phir sabse yeh kahega kii jab woh yash ko uske jeet par congratulate karne gaya tha tab yash ne usse bohat buri tarah se marra.. aur agle din jab swayam yeh natak kartha hai college mein aur woh prinicipal ke pass complain kartha hai… tho prinicipal yash ko bulathe hai.. yash comes in & sees kii swayam bhi wahaan hai…
Yash:- [ignoring swayam says] yes sir.. aap ne mujhe bulaya..
Principal:- haan yash maine tumhe bulaya…. Maine tumhe aaj yahaan is liye bulaya kyunke main tumse kehna chahtha hoon kii mujhe tumse yeh umeed nahii thi.. maine kabhi nahii socha tha kii tum jaisa student joh padhayi mein , extra curriculars mein itna brilliant hai woh kabhi aisi harkat karr saktha hai.. tumhe aisi harkat karne se pehle apne family kii izzat ka ek baar bhi khayal nahii aaya.. how could you stoop so low yash.. mujhe sach mein hairaani hui hai tumhari is harkat ke bare mein jaan kar.. I never expected this from you & this is truly not done..
Yash ko tho kuch bhi samaj mein nahii aatha kii prinicipal usse kis baat par itni lecture suna raha hai.. he is confused & he asks:- sir maine aisa kya kar diya… main tho bas kal ka football match jeeta hai.. kuch aur tho maine nahii kiya…
Principal:- jhoot mat bolo yash.. main jaantha hoon swayam kii is haalat ke zimedaar tum hii ho…
Yash stares at swayam jiske haath, aur maathe par patti bandhi thi.. he also sees kii swayam is giving him a evil stare.. & then again yash listens to what the principal is saying…
Principal:- kal raat jab swayam tumhe tumhari jeet par Mubarak baat dene aaya tha tab tumne isse marra hai.. aur isse yeh chot sirf tumhari wajah se hii lagi hai..
Yash:- but sir… yeh jhoot bol raha hai.. maine kuch nahii kiya hai..
Principal:- that's enough yash… jab tumne swayam ko marra wahaan kuch aur students bhi the.. aur un logon ne swayam kii baat ko testify kiya hai… aur isse zyada tumhe kaunsi proof chahiye.. aur tum chaho tho woh students phir ek baar tumhare saamne phir wohii kahenge joh sach hai..
Yash:- theek hai bulayiye unhe.. main bhi dekhna chahtha hoon kii aisa kaun hai.. joh mere khilaaf jhoot bol raha hai..
The principal calls the other students in yash dekhtha hai kii woh saare swayam ke dost hai.. they again tell the principal kii yash ne swayam ko marra aur woh chala gaya..
Principal:- ab tum kya kehna chahoge yash..
Yash:- main joh bhi kahoonga aap tho us pe yakeen nahii karenge.. tho issi liye jaane dijiye..
Principal:- that's enough yash.. tumhe swayam se maafi maangi padegi…
Yash:- maafi woh bhi swayam se… forget it sir.. main aisa kabhi nahii karne waala hoon…
Principal:- yash… main chahun tho tumhe college se restricate kar saktha hoon… isse achcha hoga kii tum swayam se maafi maang lo..
Yash:- sir agar aap mujhe college se nikaal na chahthe hai tho nikaal dijiye lekin main swayam se kabhi maafi nahii maang ne waala hoon jabki maine tho kuch kiya hii nahii.. agar aap inke jhoot par yakeen karke mujhe nikaal na chahthe hai tho nikaaliye… I don't care…
Principal yash kii yeh baat sunn kar comes in a fix… & he tells:- swayam, yash tum dono bahar wait karo main paanch minute mein decision lekar tum dono ko andar bulatha hoon..
Swayam walks out along with his friends & even yash walks out.. swayam's friends leave from there.. only yash & swayam are standing there….
Swayam:- tho yash kaisa lag raha hai.. kal tumne mujhe football match mein haraya tha na.. aaj main tumhe harane waala hoon tumhe is college se bahar nikaal kar.. isse badi haar tho tumhare liye aur kuch nahii hogi na yash.. well tumne mujhe kal haraya than a ab tum bhuktho.. tumhari wajah se tumhare ghar waalon kii nazar sharam se jukh jayegi.. kya bologe tum unhe kii tumhe college se nikaal diya gaya hai jabki ghalthi tumhari nahii thi.. socho yash tumhare apno kii kitni badnami hogi.. socho socho…. [swayam gives a evil smirk..]
Yash stares at swayam & says:- swayam agar ab tum chup nahii hue na tho main tumhe sochne ke layak bhii nahii chodoonga… tho issi liye achcha hoga kii agar tum chup ho jao.. warna….
Swayam:- ohhh.. lagtha hai koi bohat ghusse mein hai.. lekin tum kya sochthe ho yash main tumse darrtha hoon… bhool jao is baat ko…
Yash swayam ko dekhtha hai he goes to him holds his collar.. & says:- maine kaha tha na tumse kii chup raho.. ek baar agar koi baat kahii jaye tho tumhe samaj mein nahii aatha hai kya.. yash kii aankhon mein bohat ghussa hai.. even swayam senses that.. woh darr bhi raha hotha hai… lekin woh apna darr yash ke saamne dikhana nahii chahtha tha.. isse pehle kii yash kuch aur kare.. yash ka dost wahaan aa jaatha hai…
The friend:- yash chod de usse….
Yash:- nahii angad main isse nahii chodoonga.. bohat bakh-bakh karne laga hai aaj kal… isse iski aukat dikhani bohat zaroori hogayi hai..
Angad:- yash chod isse.. hum isse iski aukaat baad mein dhikayenge.. ab chod usse… angad pulls yash away from swayam…
Yash:- aaj tho tu angad kii wajah se bach gaya.. lekin agar agli baar mere raasthe mein aane kii koshish kii tho kahiin ka nahii chodoonga tujhe.. yaad rakhna swayam…
Swayam chup rehtha hai as he knows kii agar ab woh kuch karega tho yash ka koi bharosa nahii..

[Angad is Yash's friend.. he has known yash from the first day yash joined the BBA course.. they have become very good friends… the role is being played by Iqbal Khan..]

Angad:- yash.. is ghochu.. [referring to swayam] ke dost kya keh rahe the… princi ne tujhe lecture sunaya aur tujhe restricate karne waala hai..
Yash:- achcha hai na agar woh mujhe restricate karega tho main ek lambi chutti pe jaaunga.. is padhayi ke jhanjhat se tho bach jaaunga..
Angad:- lekin…
Yash:- arre angad.. chill ok.. main bhi utni tension nahii le raha hoon jitna tu le raha hai.. chod na.. joh hoga dekha jayega…
Yeh tha bahaar ka mahol.. andar ka mahol kuch alag tha.. we can see that the principal is talking to someone over the phone & he is talking to none other than lalit garewal.. he is explaning him the situation.. & asks him what he should do.. lalit tells the principal since yash needs to learn a lesson just suspend him for 2 weeks.. & not to restricate him as is baat se garewals kii badnami hogi.. the principal agrees & then tells lalit to have a watch over yash.. then after the call the principal calls the pune to call swayam & yash inside.. yash & swayam walk in.. principal looks at both of them… & then says:- maine yeh faisla liya hai kii yash tumhe aaj se do haft eke liye college aane kii koi zaroorat nahii.. you are suspended for two weeks…
Swayam:- but sir aapne tho kaha tha kii aap yash ko college se nikaal denge..
Principal:- mujhe kya karna hai aur kya nahii yeh mujhe tumse seekhne kii zaroorat nahii hai swayam.. so just stay out of it..
Principal looks at yash & says:- I hope tum samaj rahe ho maine kya kaha.. aur kyunke tum ek achche student ho aur humara college ek honhaar student khona nahii chahtha issi liye tumhe sirf two weeks ka suspension mila hai.. aur tum college do hafte baad aa sakthe ho.. lekin agar usse pehle aana chahthe ho tho tumhe swayam se maafi maang ni hogi..
Yash:- do hafte ka chutti.. this sounds cool sir… matlab I can go for a holiday.. do hafthe bina college ke padhayi reh saktha hoon.. isse achchi baat tho koi ho hii nahii sakthi sir… thanku so much sir.. you made my day..
Principal is surprised at yash's reply & he says:- yash tum samaj rahe ho yeh koi chutti nahii.. balki tumhe college se suspend kiya hai…
Yash smiles & says:- suspension ho ya chutti one & the same sir.. aur agar aap yeh suspension ko meri nazar se dekhenge tho yeh mere liye achcha mauka hai do hafte kii zindagi aaraam se guzar ne ke baad… okie sir… byee… see you after my holidays.. have a good day sir…
Yash yeh kehkar wahaan se nikal jaatha hai.. lekin swayam wahiin khada hotha hai.. kyunke joh bhi hua it was not as he planned it.. usne socha tha kii yash usse maafi maangega lekin yahaan tho yash apne suspension se bohat khush tha.. swayam is still standing there tho the principal gets him out of his thoughts & says:- swayam tumhe kuch chahiye kya.. ya phir kissi ke invitation ka wait karr rahe ho.. idhar se jaane ke liye…
Swayam:- sorry sir… yeh kehke swayam leaves the office.. while the principal sighs..
Ab swayam goes to the campus ground.. wahaan what he sees irritates him more.. he sees kii yash apne saare doston ke saath masti karr raha hai.. he is telling all of them kii the princi has given hin 2 weeks kii chutti.. yash ke maathe par ek bhi shikhan nahii thi jisse yeh dhike kii usse actual mein suspension mili hai…. Yash joh kii apne doston ke saath hotha hai, he sees swayam.. he goes to swayam while his friends join him…
Yash:- swayam thanku…tumhari wajah se mujhe chutti mil gayi.. you know even I was bored with this life.. I really needed a break.. thanku once again… [yash turns to his friends & says] ok guys… main chala apni chutti manane… tum log apne boring classes enjoy karo.. byee… yash sabko bye kehkar apne gaadi ke pass chala jaatha hai.. yahaan swayam is totally irritated.. kyunke harr baar uski harr chaal ulti pad jaathi hai.. yash ke pass uske harr chaal ka thod hotha hai.. & swayam yeh baat bardhasht nahii karr paa raha hotha hai..
Yahaan yash sits in his car & is about to start it.. jab uske car ke passenger seat ka darwaaza khultha hai.. and we see angad sitting in…
Yash:- tu yahaan kya karr raha hai..
Angad:- main bhi tere saath chutti manane jaa raha hoon…
Yash:- kyun.. tu kis khushi mein chal raha hai…
Angad:- is khushi mein kii mere dost ko suspension mila hai.. aur mere dost ke bagair tho mera dil bilkul nahii lagega, tho bas issi liye tumhare saath chal raha hoon main.. ab agar tumhare sawaal khatam hogaye ho tho kya hum chal sakthe hai..
Yash smiles & says:- theek hai.. chalo…
Angad:- waise hum kahaan jaa rahe hai…
Yash:- hum jaa rahe hai Manali.. chutti manane..
Angad:- chalo yeh achcha hai.. wahaan kii nayi ladkiyaan dekhne ko milengi.. warna Shimla kii ladkiyon ko dekhkar main darasal pakh gaya tha… ab chal na tu ruka kyun hai..
Yash:- sudhar jaa angad.. itne nakhre matt kar…. jis din tujhe pyaar hoga na us din tujhe us ladki ke saare nakhre utane padenge..
Angad:- very funny.. main kabhi bhi kissi ke bhi nakhre nahii utaoonga.. yaad rakhna..
Yash:- dekhthe hai…
Angad:- tum dekhna baad mein.. pehle chalo tho sahii yahaan se.. hume yahaan se tumhare ghar jaake tumhare liye packing karni hai.. phir mere har se mere liye bhi packing karni hai tho chalo jaldiii….
Yash laughs at angad's antics.. aur woh jaantha hai kii angad kabhi sudhar nahii saktha.. tho bas yash starts driving towards his house… yeh jaane bina kii kya patah wahaan usse kya face karna pade.. but whatever it was yash was ready to face it head on..
Yash reaches his home…. Aur woh angad se kehtha hai kii woh uska bahar wait kare.. kyunke yash jaantha tha kii shayad usse thodi si criticism ka saamna karna pade kyunke he sees kii his father's car & also swayam's car is parked in the drive way..
Yash walks in & as expected he sees kii his father, mom, chachi, dadi, & dadu are standing there with swayam….
Yash stands near the door & listens to lalit taling..
Lalit:- swayam tumne joh kiya it was very irresponsible.. tumhe is baat ko apne principal ke pass le jaane kii kya zaroorat thi.. agar yash ne tum par haath uthaya tho tum humse aakar keh sakthe the…tumhe college mein sabke saamne tamasha karne kii kya zaroorat thi…
Swayam makes a sad face & says:- dad main kabhi bhi principal se ya kissi se bhi yeh baat nahii karna chahtha tha… woh actually kal raat yash ke mujhe marrne ke baad main apne dost ke ghar hii rukh gaya issi liye kyunke main aapko pareshaan nahii karna chahtha tha… aur aaj subaah jab main college gaya kyunke main apne classes nahii miss karna chahtha tha, wahaan corridor mein principal ne mujhe dekh liya aur mere doston ne unhe sach bata dii.. hala kii maine unko mana kiya tha. Lekin unhone meri ek nahii suni… [lekin yeh jhoot tha.. swayam ne kudh principal ko sab bataya tha unke room mein jaake…]
Swayam continues:- aap hii batayiye main kya karr saktha tha aisi haalat mein..
Now yash says:- wow swayam kahani tho bohat achchi bana lethe ho tum.. tumhe tho humare college ke drama mein participate karna chahiye.. I'am sure best nautanki ka award tumhe hii milega…
Swayam wants to reply back.. lekin woh kuch nahii kehtha kyunke lalit wahaan hotha hai..
Yash wahaan se stairs kii taraf jaa raha hotha hai.. jab lalit usse rokhtha hai..
Lalit:- yash…
Yash:- boliye kya bolna hai aapko..
Lalit:- kya main jaan saktha hoon kii tumne yeh behuda harkat kyun kii hai…
Yash turns around & faces lalit & says:- behuda harkat… jahaan thak mujhe patah hai maine aisa tho kuch kiya nahii hai… ab agar aap keh rahe hai kii maine aisi koi harkat kii hai tho aap bhii batayiye kii aisi kaunsi harkat maine kar dii.. zara aap roshni daaliye is baat par..
Lalit:- tumne swayam ko peeta kyun…
Yash:- wowww… this is news to me… maine peeta tumko swayam.. kab.. kahaan.. kaise.. haath se ya dhande se… ya tumhare sapne mein zara batao tho swayam..
Lalit:- shut up yash.. tum din par din bigadthe jaa rahe ho…. Tum humare is ghar ka naam mitti mein mila doge..
Yash:- arre kya hua Mr. Lalit Garewal, main tho jaantha bhi nahii kii maine swayam ko peeta hai.. issi liye us baat kii the thak pohanch ne kii koshish karr raha hoon.. kya yeh baat ghalat hai..
Lalit:- yash zyada over smart bann ne kii koshish matt karo… main yeh bhi jaantha hoon kii tumhara woh college ka principal tumhe restricate karna chahtha tha.. yeh tho achcha hua kii usne phone karke mujhse poocha kii woh kya kare, tho maine usse kaha kii tumhe is baar 2 weeks suspend kare, maine socha tha kii shayad isse tumko thodi akal aa jaayegi.. lekin yahaan main dekh raha hoon kii tum tho aur bhii aasmaan mein udd rahe ho…
Yash:- ohh tho woh aap the jinhone mujhe 2 weeks ke liye suspend karwaya hai… dhanya ho aapko aap pehle aise pita honge jisne apne bte ko suspend karwaya kii salha dii hai… waise dekha jaye tho sahii bhi hai aap thodi na mujhe apna beta maanthe hai.. aapke liye tho bas yeh swayam aapka beta hai… agar aisa hai bhi tho I don't care.. you get that.. mere liye bhi aap sirf Mr. Lalit Garewal hai..
Lalit shouts:- yashhhhhhhh zubaan sambhal ke baat karo..
Yash:- chillayiye matt chillana mujhe bhi aatha hai samjhe aap..
Lalit:- veena yeh tumhari wajah se hii itna bigad gaya hai.. waah kya parwarish di hai tumne isse… agar tum mujhse badla lena chahthi tho le lethi, lekin tumne tho isse [pointing at yash] isse hii mere khilaaf karr diya hai….
Before veena could say anything.. yash says:- aapko joh bhi kehna hai mujhse kahiye.. meri maa se aap kuch nahii keh sakthe.. aur haan yeh baat sunn lijiye mere pass aisa koi wajah nahii hai jisse kii main aapka saath doon.. aap hamesha mujhe apne khilaaf hii khada paayenge… you know face to face..
Veena:- yash tu apne kamre mein jaa…
Yash:- kyun jaaun main apne kamre mein mumma.. jabki maine kuch bhi ghalat hii nahii kiya hai…
Lalit:- swayam kii yeh chottein dikha rahii hai kii tumne kya theek kiya hai aur kya nahii…
Yash:- woh tho aap jaane aur aapka yeh beta swayam jaane… mujhe usse koi lena dena nahii hai…. Aur haan maine aapke is bte ko nahii marra.. woh jhoot bol raha hai.. bas meri baat ko maanna ya na maanna aap par hai.. lekin haan it makes no difference to me.. chahe aap yeh soche kii main sach bol raha hoon ya jhoot I don't care at all..
Yeh kehkar yash wahaan se jaane lagtha hai.. jab woh wapas aake gulshan, preeto, pallavi aur veena se kehtha hai:- main do hafton ke liye seher se bahar jaa raha hoon.. do hafthe baad aa jaaunga..
Veena:- lekin yash tu jaa kahaan raha hai…
Yash:- mumma main bas jaa raha hoon laut aaunga do hafthe baad.. aap bas mujhe miss mat karna..
Pallavi:- akela jaa raha hai kya…
Yash:- nahii my dear chichi main angad ke saath jaa raha hoon… aur aap sab please meri chinta matt karo jaldi aa jaaunga…
Preeto:- lekin yash…
Yash:- dida jaane do na.. itne waqt ke baad college se chutti mili hai woh bhi do hafton kii tho main bas zara apni chuttiyon ko enjoy karna chahtha hoon..
Now gulshan says:- achcha theek hai tu jaa… aur apni chuttiyaan enjoy kar…
Yash smiles & says:- thanku dadu… main bas zara apna saamaan pack karke aatha hoon..
Yash goes to his room.. while lalit is very angry & he says:- aur bigaado is ladke ko.. ek din aisa aayega jab yeh humein kahiin ka nahii chodega… apne saath saath saare garewal khandaan ka naam mitti mein mila dega.. aur aap sabki wajah se hii yash ko itni choot mili hai.. main aap sabse keh detha hoon isse itni choot matt dijiye warna aap sabko bohat pachthana padega.. aur aapke saath saath mujhe bhii pachthana padega.. aur main nahii pachthana chahtha hoon.. issi liye abhi keh raha hoon aap se..
Gulshan:- tum humein matt sikhao kii humein kya karna chahiye lalit.. hum jaanthe hai kii humein kya karna hai.. aur haan lalit, yash tumse kayi zyada samajdaar hai.. woh tumhari tarah nahii hai.. aur yash ke ghalthi point out karne se pehle tum dekhlo kii tum khud kya ho.. tumhe kya lagtha hai tum bohat dhood ke dhule ho.. nahii… tumne bhi bohat si ghaltiyaan kii hai.. yeh alag baat hai kii yash kabhi ghalthi nahi kartha jaan boojhkar, aur agar woh kartha bhii hai tho usse dhauharatha nahii hai.. lekin tum tho kabhi bhi apne ghaltiyon se seekhthe nahii.. tho tum usse kyun keh rahe ho..
Lalit:- bouji yeh aapka badawa hii hai jiski wajah se yash hum sarr par chadkar apni mannmani karr raha hai.. shayad usse lagtha hai kii koi usse kuch nahii kahega.. lekin bouji main uski aisi behudgi bardash nahii karoonga.. agar yash ka yahii bartaav raha tho woh din durr nahii jis din main usse is ghar se nikaal doonga..
Veena:- yeh aap kya keh rahe hai…
Lalit:- sahii keh raha hoon.. aur mere hisaab se tho yash ko abhi issi waqt is ghar se nikaal dena chahiye… woh is ghar mein rehne ke layak nahii hai.. issi liye keh raha hoon bouji soch lijiye agar hum ab hii usse ghar se nikaal denge tho agge chalkar humein zyada badnami nahii sehni hogi..
Gulshan:- jab maine tumhe aaj thak is ghar mein rakha hai tho main kyun yash ko is ghar se bahar nikaloon.. yash tho is ghar ka waaris hai.. aur usne kaha na kii joh swayam keh raha hai woh jhoot hai, tho mujhe yash kii baaton par swayam kii chot se zyada yakeen hai.. samjhe.. aur haan lalit ek aur baat yaad rakhna main chahtha tho tumhe aaj se bees saal pehle hii ghar se nikaal detha lekin yeh bas veena kii wajah se maine tumhe nahii nikala.. aur haan is ghar mein kaun rahega aur kaun nahii iska faisla main kartha hoon tum nahii.. aur is ghar par tumse kayi zyada hakh yash ka hai.. tho yash ko is ghar se nikaal ne kii baat apne zehen mein aane hii matt do.. kyunke aisa kabhi nahii hoga.. agar kissi ko [indicating at swayam & lalit] yash ka is ghar mein rehna pasand nahi tho darwaza udhar hai woh yahaan se jaa saktha hai.. aur hum mein se koi tumhe rokega nahiii..
Lalit is baat par chup ho jaatha hai.. by this time yash apna bag lekar neeche aa jaatha hai.. he bids good-bye to gulshan, preeto, pallavi & veena.. all tell him to be safe.. & stay in constant touch…
Yash phir turns around gives a stare to lalit & starts walking out.. jab lalit kehtha hai:- yash koshish karna kii tum is ghar mein laut karr matt aao…
Yash looks at lalit again, yash ka expression aisa hai jaise it says kii I was expecting this from you…. Yash kehtha hai:- shayad aap ne dadu kii baat ko theek se nahii suna.. unhone kaha kii is ghar par aap se zyada mera hakh hai… issi liye main tho lautkar yahii aaunga kyunke mera pariwaar hai.. haan aap aur aapka yeh beta swayam yahaan se jaa sakthe hai kyunke sirf aap dono ek dusarew ke pariwaar ho.. tho agar aap dono jaana chahthe ho tho shauk se jaa sakthe ho.. aur haan agar aap rehna chahe tho reh bhi sakthe hai, lekin ho sake tho apne is bte ko kahiin aur bhej dijiye… haan aap is swayam ko Africa ke jungle mein bhej dijiyega… issi bahane wahaan ke junglee jaanwaaro ko ek aur junglee kii company mil jayegi.. & I'am sure woh jungle jaanwaar will love swayam's company..
Swayam:- yash you….
Yash cuts him & says:- kya hua swayam bura laga.. lekin kya kare sach tho sach hii hotha hai na.. & swayam main zyada tho kuch nahii kar saktha bas tumhe itna advice de saktha hoon kii tum sach ko accept karna seekh lo.. agar tum seekh jaaoge na sach sweekaarna tho achcha rahega.. anyway swayam ab main tumse baat karthe hue apne time waste nahii karr saktha issi liye main chaltha hoon..
Yash is about to step out jab gulshan comes & hands him a bundle of money…
Yash:- dadu yeh…
Gulshan:- apne pass rakh aur chuttiyon ko khoob enjoy kar na.. aur haan photos kheench na aur mujhe dikhana… byee…
Yash smiles woh sabko ek baar phir bye kehtha hai then he walks outside to the car where angad is waiting for them..
Angad:- kya hua yash.. all fine…
Yash:- haan everything is fine.. the as usual… swayam agar mujhse panga nahii letha tho usse chaine nahii aatha na.. bas ussi ka jawaab deke aa raha hoon.. achcha theek hai cha lab humein jaldi nikal na chahiye.. kyunke humein almost 250 kms drive karna hai chal jaldi…
Angad:- haan mujhe patah hai.. lekin ismein yeh matt bhool jaana kii mere ghar se mere kapde lene hai..
Yash:- haan haan.. nahii bhoolunga chal..
Yash & angad drive off from there..
Then yash drives to angad's house udhar se they pick angad's clothes & then both start their journey to Manali to enjoy their holiday…
On the other hand.. In Manali we can see that the place is surrounded by beautiful landscapes.. aise hii ek jagah par there were some tents erected.. aur yahaan we can see kuch log doctor ka coat pehenkar idhar se udhar.. udhar se idhar ghoom rahe hai… they are all very young.. somewhere in the age of 19.. inhi mein se ek thi chah.. who was assisting the senior doctor in handling a kid patient.. the kid was around five years old & the kid did not want to take the injection.. ab chah ke senior doctor ne chah se kaha kii she should handle the case aur woh wahaan se chala jaatha hai..
(This is the place where the camp has been set up for treatment


Chah pareshaan hai aur usse samaj nahii aa raha hotha hai kii woh aakhir kya kare… ab chah kii dost joh chah ko pareshaan dekhthi hai woh uske pass aathi hai..
The friend:- kya hogaya hai chah aisi shakal kyun banayi hai…
Chah:- dekh na kripa [played by Neha Bamb] woh sir ne yeh case mujhe de diya hai handle karne ke liya aur yeh bachcha hai joh chup hii nahii ho raha hai.. aur na hii yeh mujhe isse injection dene de raha hai…
Kripa now looks at the small kid.. the small boy was staring at chah & kripa intently… kripa usse utathi hai aur bench par bitathi hai…
Kripa very sweetly asks:- aapka naam kya hai..
The boy says:- mera naam main kyun bataun aapko.. [imagine the role is being played by Abhishrk of Aapki Antara]
Chah:- achcha tho kya aap humara naam jaanna chahoge..
The boy says:- mujhe tho aapka naam patah hai… aapka naam chah hai [he says pointing at chah] aur aapka naam kripa hai [he says pointing at kripa]
Kripa:- arre waah.. aapko humara naam kaise patah chala…
The boy says:- aap dono tabse mere saamne ek dusare ka naam lekar baat karr rahe ho tho mujhe tho aapka naam patah hoga na..
Chah:- aap thi bade intelligent ho.. chalo main bhi aapki file dekhthi hoon usmein aapka naam tho likha hoga na..
Chah opens the file & reads out his name:- tho aapka naam abhishek hai.. abhishek awasthi…
Abhishek:- nahii mera naam abhishek awasthi nahii hai, mera naam abhishek bachchan hai..
Kripa:- achcha tho Mr. Abhishek Bachchan zara yeh batao kii tum tabse kyun ro rahe ho.. injection se darr lagtha hai kya tumko..
Abhishek:- woh main isliye ro raha tha kyunke meri aishwariya rai kho gayi..
Chah:- what…
Abhishek makes a sad face & says:- haan.. woh mumma ne mujhe ek chocolate diya tha, jiska naam maine aishwariya rakhtha tha kyunke main abhishek bachchan hoon na.. lekin meri woh chocolate kho gayi… aura b mujhe chocolate chahiye..
Chah:- achcha theek hai agar aap injection lagwa loge tho main tumhe do chocolate doongi…
Abhishek apna haath agge kartha hai aur kehtha hai:- tho do na..
Chah:- arre baba agar tum injection lagwaoge tab hii tumhe chocolate milegi.. kyun kripa..
Kripa:- bilkul sahii Mr. Abhishek Bachchan soch lo agar chocolate chahiye tho injection tho leni hii padegi..
Abhishek:- theek hai mujhe manzoor hai..
Chah:- good boy.. ab chalo tum do minute ke liye apni aankhein band karo…
Abhishek closes his eyes, chah usse injection laga dethi hai.. while kripa presses the cotton on it..
Chah:- chalo abhishek apni aankhein kholo….
Abhishek:- kya hua.. lagao na injection jaldi.. mujhe chocolate khani hai..
Chah:- injection tho hogaya…
Abhishek:- kya sach mein hogaya…
Kripa:- haan baba sach mein hogaya…. Aur tumhe dard bhi nahii hua..
Chah:- dard kaise hotha abhishek tho brave boy hai na…
Abhishek stands on the bench & says:- abhi is a brave boy..
Chah bohat pyaar se ruffles abhishek's hair & kisses him on his cheek…
Abhishek:- main aap se ek baat kahoon aap na mere chocolate se bhi zyada sweet hai.. ab mujhe chocolate nahii chahiye..
Abhishek yeh kehkar wahaan se utartha hai & he starts running towards his parents, kyunke he just saw them… but chah calls him back & says:- abhi apna chocolate tho lethe jao…
Abhishek comes back takes the chocolate from chah's hand, tells her a quick thanku & runs from there…
[Here is the pic of the little boy who plays abhishek
]
Chah & kripa see the little kid running & smile… & chah says:- kitna sweet hai na kripa.. you know I wish kii main hamesha hii chotti hothi.. kabhi bai nahii hui hothi.. agar aisa hotha tho kitna achcha hotha na..
Kripa:- haan chah baat tho tune sahii kahi hai.. lekin aisa nahii ho saktha kyunke jaise din agge badhthe hai hum bhi tho uske saath badhthe hai.. isliye joh hum chahthe hai it is not possible.. tho yeh baatein chod aur kaam pe lag jaye.. kahiin us hitler I mean agar sir ne dekh liya na tho problem ho jayegi.. aur hum dono kii duty woh double kar dega.. aur main aisa bilkul nahii chahthi.. tho isliye kaam pe lagna best option hai.. kyun…
Chah laughs & says:- bilkul sahii…
Chah & kripa again start working with different patients..

Yahaan dusari taraf yash apni ghaadi ko bohat tez bhaga raha tha… it has just been 2 hours since their drive started aur yash ne already sau kms kii doorie cover kar li hothi hai.. angad aur yash masti karr rahe hothe hai.. from time to time yash gaddi kii speed increase bhi karr raha hotha hai.. woh dono jald se jald Manali pohanch na chahthe the…. yash nahii jaantha tha kii kyun woh Manali jaane ke liye itna excited tha lekin woh tha excited.. ek aur ghanta beeta yash aur angad ne is ek ghante mei 75 kms kiye the as the roads were thode bumpy… finally after about one hour more they reach the out skirts of Manali.. aura b yash ghaddi kii spend bada detha hai…
Angad aur yash yun hii masti karthe rehthe hai aur yash ghaddi chala raha hotha hai… lekin aise chalathe waqt yash ka concentration for a spilt second angad ke antics pe jaatha hai.. & yash does not concentrate on the road.. suddenly angad saamne dekhtha hai & he sees kii ek truck aa rahi hai…
Angad shouts:- yash agge dekh…
Yash sees agge & in a move not to hit the truck yash turns his car & it hits a tree..


Well guys here ends "Hogi Pyaar Kii Jeet- Part 13"… I hope all of you liked it.. if anyone of you feel that it's draggy please do let me know..

Preview For The Next Part:- Masti In Manali…
Yash:- Angad main sach mein keh reh hoon kii main isse stitches nahii lagwaoonga..
Angad:- yash dekh tu zidd matt kar..
Yash:- common angad she is not even a doctor..
Chah who is getting irritated by all this tells angad:- dekhiye aap zara apne dost ko samjhayiye… agar yeh nahii mane tho mujhe inhe anesthesia dena padega…
Yash:- main bhi dekhtha hoon kaise haath lagathi ho tum mujhko…

Ab yeh jaan ne ke liye kii yash aur chah kii pehli mulaqat kaise hone waali hai.. unki yeh ladayi kaise badli yash kii mohabbat main.. aur yeh jaan ne ke liye kii theen saal pehle actual mein yash aur chah kii zindagi mein kya hua tha.. yeh kuch sawaal aur baaki saare sawaalo ke jawaab ke liye wait kijiye "Hogi Pyaar Kii Jeet" ke next part ka..


I'll be eagerly waiting for your comments, suggestions.. & even if you have something to criticize please feel free to do so.. your comments help me improve as a writer.. & I'am sorry once again for the delay in posting the part.. hope all of you understand… I'll try & post the next part as soon as I can.. hope this part was upto your expectations.. & I hope the wait was worth it.. & I have written about 12,800 words this time… & the next part will be having the khatti-meeti nokh-jhonk of our hero heroine that's yash & chah… hehehe..

Love
Surya..😳
Edited by sun_423 - 15 years ago
nidha1983 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 15 years ago
woah dear its really an awesome one mind blowingso cuteplz continue it soon & thanks for the pm

"Ye pal fir se laut ke na aayenge,
Unke Khyaal toh hume har pal satayenge,
Yaad bankar toh woh dil mein reh jayenge,
Aur phool bankar woh dil ko mehkayenge."

"Hoontho se nikle alfaz toh bahaar ban jate hai,
Palko se nikle nazar toh woh deedaar ban jate hai,
Saanso mein base toh woh khumaar ban jate hai,
Aur dil mein utar jaye toh woh pyaar ban jate hai."






Nidha
Edited by nidha1983 - 15 years ago
monikaseth thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
reserved Thank you very much dear for this part ...

I like flash back . yash behaving like jerk...

Thanks a lot for pm and this long part.
Edited by monikaseth - 15 years ago
Sumi_162710 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Hmm...I luved the flashbak. Yash jo jawab deta hai na Swayam ko....its terrific. And yaha to achha hi hua....Yash ko 2 weeks ki chhutti mili aur iss chhutti me usse Chah bhi mili....guess for the first n of course last tym Swayam ne kuch achha kar diya.😆😆

May be I dont need to say I hate Lalit.....koi apne ek bete se pyar aur dusre se itni nafrat kaise kar sakta hai.....mujhe to wo insaan hi nahi lagta. 😡😡😡

Btw, pata nahi kab Chah madam apni soch par phirse gaur karengi.....but I luved her convos wid Kajal n Sneha. Sneha ka Sonu wala dialogue achha tha.😆😆

Precap was nice. Pls continue soon.

Edited by sumaiya wahid - 15 years ago
golu_1677 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
comments will follow later. superb.
swetha10 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Lovely update Surya... enjoyed it.. luved Yash's reply to Swayam.. very much needed.. liked Chah's convo with Sneha n Kajal.. do continue soon.. will b waiting for the next part..
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago

amazing part

i really liked the way u showed how the mehra family were enjoying themselves after chah returned.The way u potrayed prernas love towards armaan was really amazing i really liked the way u showed how chah was supporting armaan,and finally chah admitted that she loved yash that scene was one of the best scenes in the part.The scene between the three sisters was described beautifully.Finally the flashback started it seems that swayam still has not changed even after three years it seems he really loves gettting into fights with yash.Yash is 2 good i really liked the way u showed how happy yash was after getting suspended.Cant wait 2 read the next part to see what happened to yash and angad.
👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏👏
Edited by Iqbal Neha1 - 15 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

hey suri...first i m m really sorry about posting my comment late but u knw the reason for it.....second i m so excited after reading the part that whats gonna happen ..😃😃😃😃😃😃....third...the part was brilliantly written...👏👏👏👏👏.i really enjoyed it....i just dont understand ki chah kyun apne aap se apne parivar se jooth bolti hai jise woh apna manti hai...jisse woh pyaar karti hai.....kyunki mere khaayl se jooth bolne se sare rishte me kahi na kahi ek darr aa jata hai..😕😕😕😕...aur pyaar ek aisa hai ki woh chupane se chup nahi jata.....pyaar kiya to use khul ke kaho...yeh to Yash ki sharafat hai ki woh duniya ko batata nahi ki woh Chah se pyar karta hai aur chah bhi....kyunki Yash ne sacha pyaar kiya hai aur woh chah ko hurt nahi karna chahta....isi liye khamosh hai Chah ke intzaar me.😭😭😭😭..woh kehte hai na ki jise koi nahi samja pata use khud uski aatma ek aaina dikha deti hai aur waisa hi kuch Chah ke saath hua....aur uski zaroorat thi.👏👏👏..kyunki hamari aatma jo sach hai wahi aaine me dikhati hai....aakhir kar tang aake hi Chah ne man liya ki Yash dost ke saath uska pyaar bhi hai....woh pyaar jo kabhi bhula nahi jata......kyunki pehle pyaar ka ek pal hi kafi hai zindagi ko bitane ke liye......kash yeh Chah samaj pati ki uski kismat sunhare kalam se likhi hai jisme Yash naam ke farishte ka pyaar bhar pur bhara hai.....lekin jab aham ki pati aankh pe ho to kuch dikhai nahi deta....lekin darr yeh ki jab yeh pati khulegi to kahi dair na ho gayi ho...kyunki rutha hua pyaar wapas aa sakta hai lekin gujra hua waqt kabhi nahi aata.....ab yeh to ho gayi chah ki baat ki woh apne pyaar ko apne dil ke khilaf jake bewfuki kar rahi hai...ab baat karte hai Yash ki....Yash woh aashiq hai jiske sapne her koi ladki dekhti hai....Yash duniya ko bulke ppyaar karnewalo me se hai.....yash ka pyaar jitna anokha hai utna hi gehra kyunki pyaar saath na hoke bhi usne to usi se pyaar kiya hai..😳😳😳😳😳😳.aur sach kahoon to yeh aashan nahi....bahot muskil hota hai kyunki kabhi kabhi aap apne sare dard aur hasi apne pyaar ke saath batna chahte ho lekin woh aapke saath nahi hota.....kabhi kabhi kuch duriyaan aisi hoti hai jo sari muskile aasan kar deti hai.😃😃😃..aur kabhi kabhi duri pyaar se bhare rishte ko ek alpviram de deti hai..😭😭😭..isi liye hamesha 100 bar soch ke duriyaan badhani chahiye..😲😲😲😲..aur hamesha sirf apna nahi balke kabhi kabhi apne pyaar ki baat bhi man leni chahiye....per aisa to nahi karte na apne pyaar ke saath koi....ab baat ho hi rahi hai 3 saal pehle ki to....well manali is one of my favorite hill station...😉😉😉😉😉..bahot hi khubsurat jagah hai....aur pyaar ki shuruaat ke liye to perfect hai..😳😳😳😳😳..chah kitni masoom thi ek bachi ki tarah.....aur Kripa hamesha ki tarah badi samajwali....lekin un dono ki dosti muje bahot pasand aayi...bahot achchi hai..👏👏👏👏👏..ab yeh kya yeh Yash bhi na...hill station ke rasto pe koi racing karta hai.😲😲😲..aur jiska darr tha wahi hua....aakhir kar ho gaya na aacident....lekin khushi ki baat ab yeh hai ki Chah is waqt manali me hai aur woh bhi doctor.😉😉😉😉..isse to yahi lagta hai ki Yash ka ilaz to Chah ke haath se hi hoga aur agar na hua to kahani kaise aage badhegi....😉😉😉..ab mujse to aur intzaar nahi hota isi liye ple jaldi se continue karo...thanks for pm.....

love

kashish

Edited by goodkashish - 15 years ago
saliha_! thumbnail
Posted: 15 years ago
gr888 suri yr bht acha tha...plz post da nxt part sooooooooooon...
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
wow awesome part yaar suri just give ma gun so that i can shoot down lalit and swayam i just hate them gr8 part cont soon

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: zajedno

2 months ago

new morning, new day.

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: heavenlybliss

6 months ago

Pyaar Ka Tropefest - My Series Of 5 Crossover Couple One-Shots

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: MidnightLibrary

11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter) Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".