Part 24 AV:"Aaj hum sabke saamne ek bahut zaroori ghoshna karna chahte hain.Humein iss baat ki khushi hhai ki hamare purane mitr Avadhi ke maharaj natrajan bahut jald hamare rishtedaar banne wale hhain.Aaj se theek 1 mahine baad yani ki diwali ko hum Dharam aur maharaj natrajan ki beti Rajkumari Ananya ki vivaah ki ghoshna karte hain."
The arti's plate fell frm sia's hands.Everybody present there couldn't believe their ears.All of them were shocked.
Then one person started shouting,"Maharaj Dharam ki jai!Badhai ho Badhai ho!"
Sia left d place.Dharam saw her going out,wanted 2 go behind her but AV stopped him saying that he and ananya shd do aarti together and pray 4 their happy married life.
Both of them unwillingly performed d aarti.While doing aarti dharam was remembering sia and ananya was remembering veer.
They tooked their elders blessings and left d temple.
Sia was sitting outside d temple.She had almost gone into a state of shockl.She remembered all d moments spent with dharam,dharam proposing her.Tears welled frm her eyes.Then she remembered jv's words that an aryavrath and a shramik can never marry each other.
Suddenly she felt a soft hand on her shoulder.She saw dharam standing behind her.
D:"Sia hum tumse kuch kehna chahte hain."
S:"Ab bhi kuch kehna baki hai,sab kuch to bade maharaj ne keh diya.Lagta hai aap apni shaadi mein humein bulane aaye hain par shayad aap bhool rahe hain ki ek shramik aryavrath ki shaadi mein kabhi nahi aa sakta."
D:"Sia hum jaante hain ki tumhe bahut dukh pahuncha hai par sia hum nahi jaante the ki pitaji yaha iss tarah aa jayenge aur hamari aur ananya ki shaadi ghoshit kar denge."
S:"Maharaj kya aap jaante the ki aapki aur rajkumari ananya ki shaadi pakki ho gayi thi."
Dharam lowered his head and said,"Haan."
S:"Iska matlab aapne mujhe dhoka diya,mujhse jhooth bola ki aap mujhse pyar karte hain."
D:"Nahi sia...."
S:"Aapne mere saath aisa kyun kiya?Kyun aapne meri jazbaaton ke saath khela?Aakhir kya bigada tha maine aapka?Main aapko bachpan se chahti thi par maine apne aap ko samjha diya tha ki main aapko kabhi pa nahi sakti,aapko to bhoolne ki koshish bhi ki thi maine aur apne dil se aapke liye pyar ko bahar faink deti lekin aapne mere dil mein ek ummeed jagayi ,ek sapna dikhaya,mujhe yeh ehsaas dilaya ki aap bhi mujhse pyar karte hain par aaj aapne mere saare sapno ke saath mujhe bhi tod diya.Kyun kiya aapne aisa?"
Dharam was abt 2 convince her when he saw veer standing in front of them.Veer heard everything sia said.
He came running towards dharam,holds his collar and was abt 2 punch him but dharam holds his hand.
D:" Veer tumhara guss jaayaz hai par hamari poori baat suno."
Veer was mad with anger,he pushed dharam and dharam fell down on d ground.Veer picked up a large stone and was abt 2 throw it on dharam when ananya stopped him.
A:"Ruk jao veer,yeh kya kar rahe ho."
Veer throws d throne and raises his hand 2 slap ananya but stops.
V:"Waah kya khel khela hai tum dono ne,ek hi pal mein sab kuch badal diya.Rajkumari ananya ek pal ke liye mujhe laga tha ki tum ek achhi insaan ho par main galat tha.Aaj mujhe sab kuch pata chal chuka hai,tumne mujhe barbaad karne ke liye mere saath yeh ganda khel khela,achhi hone ka natak kiya,darasal galti tumhari nahi meri hai,mujhe tumhare baaton mein aana hi nahi chahiye tha,dekhte hi dekhte mujhe tumse kab pyar ho gaya pata hi nahi chala par woh meri sabse badi bhool thi.Theek hi kehte hain log,aryavrath insaan nahi shaitaan hain.Unke seene mein dil nahi pathar hai,woh kabhi kisi se pyar nahi kar sakte."
Moving 2wards dharam,veer said,"Dharam maine tumne apna dost samjha par tumne mere saath itna bada dhoka diya,meri behen ki zindagi barbaad kar di tumne iske liye main tumhe sazaa zaroor dunga,kisi ko bhi nahi chodunga,na tumhe aur na hi tumhari ananya ko."
Veer took sia frm there and both took a bullockcart and left frm there.
After some time Dharam and Ananya also left frm there 2wards aryanagar alongwith their respective fathers.
In d mahal,dharam was still thinking abt sia.
D(to himself):"Sia hum tumhe nahi kho sakte hain,hum tumhari galat faimi ko door karke hi rahenge,hum na tumhare pyar aur veer ki dosti ko khokar nahi ji sakte hain."
Dharam went 2 AV's room.AV was very happy.
D:"Pitaji hum aapse kuch kehna chahte hain."
Ananya too was also talking with natrajan.
A:"Pitaji main jaanti hoon ki aap mujhse jitni pyar karte hain utni hi nafrat bhi karte hain kyunki aap mujhe maa ki maut ki zimmedar maante hain.Main zindagi bhar aapke pyar ke liye tadapti rahi,aap mere paas the phir bhi aapka intezaar karti rahi.Main dharam se pyar nahi karti phir bhi maine aapki khushi ke liye uske saath shaadi karne ke liye faisla kar liya tha par achanak meri zindagi mein veer aa gaya.Veer ne mujhe sikhaya pyar kya hota hai,zindagi kya hoti hai,zindagi kaise jite hain.Dekhte hi dekhte mujhe veer se pyar ho gaya par aap chinta mat kijiye pitaji,main jaanti hoon ki agar maine veer se shaadi ki to aapko bahut dukh hoga isliye aapki khushi ki khatir main apne pyar ki kurbaani dene ke liye taiyaar hoon,mere liye aapki khushi se badhkar aur kuch bhi nahi hai,main aapke liye apni jaan bhi kurbaan karne ke liye taiyaar hoon phir yeh pyar kya cheez hai?"
Ananya left d room.Natrajan didn't knew how 2 react.
In AV's room Dharam told AV everything abt his relationship with sia.
AV got angry.
AV:"Tumhara dimaag to kharab nahi ho gaya hai,tum ek mamuli shramik ladki ko aryanagar ki maharani banana chahte ho.Hum iski ijaazat kabhi nahi denge."
D:"Hum jaante hain ki aap yeh sab isliye keh rahe hain kyunki ananya ke pitaji se vaada kiya hai ki aap hamari shaadi ananya se karenge par yakeen maniye pitaji ananya bhi iss shaadi se khush nahi hai,woh bhi kisi aur se pyar karti hai.pitaji,iss shaadi se koi khush nahi hoga na hum na ananya.Yeh shaadi hamare liye ek bhoj ban jayegi isliye hum aapke aage haath jodkar vinti karte hain,iss shaadi ko tod dijiye."
AV:"Dharam tumhara dimaag kharab ho gaya hai.Tumhe kya lagta hai,hum tumhari shaadi ananya ke saath isliye kar rahe hain kyunki natrajan hamara dost hai,Nahi.Ananya natrajan ki iklouti beti hai.ananya se shaadi karke tum avadhi ke bhi maharaj ho jaoge phir hamara naam hi naam.baat samjha karo,apne dil se nahi dimaag se socho yeh shaadi to tumhe karni hi padegi aur waise bhi tumhari aur ananya ki shaadi ki baat nahi bhi chalti to bhi hum tumhari aur sia ki shaadi ke liye kabhi razi nahi honge.Hum ek mamuli shramik ladki ko aryanagar ki rani kabhi nahi banayenge."
D:"Par pitaji..."
AV:"Hum aur kuch sunna nahi chahte,tum ja sakte ho,humein bahut neend aa rahi hai,kal subah jaldi uthkar shaadi ki taiyariyan bhi to shuru karni hai,aryanagar ke maharaj ki shaadi jo hai ek mahine baad,badi dhoom dhaam se tumhari shaadi karenge."
Dharam left d room disappointed and sad.
JV was listening 2 their conversation hiding bhind d door.
JV(to himself):"Jaivardhan,loha garam hai maar do hathoda.Isse achha mauka tumhe kabhi nahi milega."
Dharam went 2 Nivriti's room but she was not there.He inquired abt her with d dasis.One of d dasis said that nivriti went 2 her sasural 2 spend few days there.
Dharam was shocked 2 hear this.
D(to himself):"Kamaal ki baat hai,pichle 16 saalon se nivriti bua apne sasural kabhi nahi gayi phir achanak kaise chali gayi?Humein kuch gadbad lag rahi hai,humein kal subah pitaji se baat karni padegi."
Precap:Soma and Pari killed
193