===Titli's TAKE on January 27th, 2016's episode===

TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#1
In today's episode, jab Gayatri ko wo goli mil jaati hai jo Ranaji k gun se chali aur usay lay k wo mehel main ajati hai aur Rajmata usay jaldi se unduur apnay kamray main bula laiti hain toh I was like "Thank God, uss budhi k dekhnay se pehlay Rajmata Gayatri ko apnay kamray main lay iiin warna wo budhi zaroor Gayatri se kuch na kuch zaroor poochti aur kia pta Gayatri usay iss goli ka bta bhi daiti...Shukar hai Rajmata nay sahi time pe unddur khech liya Gayatri ko! Waisay Rajmata nay Gayatri wali hi saari pehni thi toh kaafi achi lag rahi thi...Hayyy dono ko same same kaproon main dekh kar sahi MAA-BETI wali feeling arahi thi..."
Phir jab Gayatri nay Rajmata ko goli dikhaai aur Rajmata nay phir usay Ranaji ki gun main daal kar dekha toh wo Ranaji ki hi goli nikli aur isay yeh prove hogaya keh unho nay Avadhesh ko nahi maara...Rajmata khush thi aur chahti thiiin keh Ranaji ko btaaa dain sub likin Gayatri nay rookh diya aur phir jab usnay idea diya keh humain wo goli dhoondhni hogi jisay Avadhesh marra toh I was like "Kia baat hai Gayatri...Aj toh bahut hi samajdaari wala kaam kiya tumnay...Shabaash...Bahut khoob...Acha hoa jo tum nay Rajmata ko rokh diya kyunkay Ranaji waqai utna phir bhi yaqeen na kar paatay...Bas Gayatri issi tarha apni manzil k qareeb jaanay k liye agay aur agay barti raho...Dekhna jeet tumhari hi hogi..."😃😃😃







Then came Gayatri-BRM-Rageshwari wala scene, Gayatri jab bahir dhoondhnay jaati hai uss goli jo asal main Avadhesh ko lagi aur usay phir bhi wo goli nahi milti toh I was like "Damn! Pta nahi kahan hogi wo goli..." Phir jab Gayatri mehel wapas ajaati hai uss pandit ko dhoondhnay jiskay paas Avadhesh ki astiyaan hoti hain aur beech main BRM ajaati hai aur uska raasta rokh daiti hain toh I was like "Tujhe har baar beech main tapakna zaroori hai budhiya? Chain se apna kaam se kaam rakh na...Pta nahi ek dafa kia chipakti hai toh phir hathnay ka naam hi nahi laiti..." WO toh shukar hai sahi time pe Gayatri nay pandit ko dekh liya aur uskay peechay chal di aur budhi ko chor diya...Bara maza aaya tha...Budhi usay rokh bhi nahi paai...Acha hoa...I thi bari raasta rokhnay wali...Jab Gayatri dekhti hai keh wo Avadhesh ki astiyaan pandit Rageshwari ko soonp daitay hain aur Rageshwari ka full on emotional drama shoro hojaata hai aur pandit bhi ajeeb sad si shakal bana laita hai toh I was like "Tum kyun emotional horahay ho pandit? Pasand toh nahi agai tumhain yeh Rageshwari? Acha hai...Tum hi kar lo shadi iss churail se...Waisay tum kyun dukhi ho rahay ho...WO pagal solid acting kar rahi hai aur kuch nahi..." Gayatri dekh laiti hai keh wo astiyaan ab Rageshwari k paas hain aur unhain kisi bhi haalat main search karna chahti hai par sahi mauka ki talaash main hoti hai toh I was like "Gayatri...Soch samaj kar step laina...Kyunkay yeh tumhain iskay nazdeeq kabhi jaanay nahi day giii...Kabhi nahi...Baray hi clever tareeqay se tumhain wo goli search karni hogi...Chahay uss gadhi ko makhan hi kyun na lagana paray...Karlaina...Likin goli mil jaani chaye basss..."šŸ˜‰šŸ˜‰šŸ˜‰



Then came Gayatri-Rageshwari wala scene, jab Gayatri Rageshwari k kamray main ek set lay kar aati hai bahanay se toh I was like "Yeh baat..." Aur phir jab dono ek dosray ko sunatay rehtay hain aur Rageshwari usay kehti hai keh wo usay khud tyaar karay gi and all toh I was like "Ooo gadhi...Tu jaaanti nahi...Tu nay yeh keh kar apnay pairoon pe khud hi kulhaari maar di hai...Ab toh tu gaiii..." Phir jab Gayatri usay tyaar karti hai aur jab payal pehnanay lagti hai tab hi Ranaji ajaatay hain aur bahir se Gayatri ko dekh laitay hain aur ghussa ho k bina kuch kahay hi chalay jaatay hain toh I was like "Bari aag lag rahi hai? Thanday hojao Ranaji...Sub aap hi k liye kar rahi hai..." Aur phir jab Rageshwari bahir jaati hai aur Gayatri ko mauka milta hai Rageshwari ki cupboard se wo astiyaan nikalna keh tab hi wo wapas ajati hai aur Gayatri bed theek karnay ki acting karnay lag jaati hai aur phir jab Rageshwari usay jaanay ko kehti hai toh chali jaati hai toh I was like "Shit! Gayatri ko mauka nahi mila...Likin shukar hai iss churail ko koi shak nahi hoa...Warna toh bahut bara hi panga hojaata...!!!" 😳😳😳






Then came RaGa wala scene, jab Ranaji apni shirt ka button lag rahay hotay hain toh wo achanak toot jaata hai tab hi unhain Gayatri k saath bitaya wo pal...Khoobsurat pal yaad ajaata hai toh I was like "Hayyy yeh dono kab aisay dobara behave karnay lag jain gain...Kitnay dinoon se inn dono ko aisay nahi dekha...Yeh Ranaji aur inka ghussa bhi na ufff...Bahut hi zada hai..." Phir jab Gayatri kamray main ajaati hai aur kehti hai keh wo button laga day aur Ranaji jis tarha usay baazo se khech kar deewar ki taraf lay jaatay hain I was like "Hayyy..." Phir jab Ranaji ka ghussa karna start hojaata hai keh humain bta bhi day and all aur Gayatri kuch kehnay wali hoti hi hai keh budhi ajaati hai I was like "Haan bas teri hi kumi thi budhi...Karday time kharaab dono ka...Budhi...Tujhe toh main such ussi gun se ura doon gi jis gun se Ranaji nay goli chalai thi..." Phir Gayatri kuch nahi btati Ranaji ko aur Ranaji phir naraaz hojaatay hain aur Gayatri wahan se chali jaati hai aur budhi khush hojaati hai keh usnay Rageshwari wali baat Ranaji ko nahi btaai I was like "Patience budhi patience...Bahut jald teray hukm k ikay ko Gayatri aisa dhoo daala gi keh teri ankhain phati ki phati reh jain gi...Just wait and watch...!!! Bahut jald tu budhi tu bahut jald ronay wali hai..."šŸ˜›šŸ˜›šŸ˜›









And lastly, the engagement wala scene, waisay Gayatri bahut pyari lag rahi thi aj jab yeh engagement shoro hoi toh...Jab Kunwarji nay Ranaji ko ring di aur Ranaji nay Rageshwari ki taraf barhnay k bajaay Gayatri ki taraf chalay gae toh I was like "Aww...Kahin pehna toh nahi dain gain...Ya phir se as usual last last kar kar k poochnay aye hain keh humain bta dain and all...?!" Aur wohi hoa...Likin humari Gayatri bhi bari ziddi hai usnay bhi Ranaji ko nahi btaya aur Ranaji phir se jazbaati hokar Rageshwari k paas ja kar usay bina dekha aur Gayatri ko dekhtay hoy Rageshwari ko ring pehna daitay hain I was like "Kia dekhnay se kia hoga Ranaji? Koi teer nahi maara aapnay Rageshwari ko ring pehnaa k...Awain attitude mat dikhaai...Apko abhi pta hi kia hai...Waisay jo kaam apko karna chaye tha wo aapki patni kar rahi hai...Hud hi hai waisay..." Khari jab Ranaji nay apna haath Rageshwari ko diya ring pehnanay k liye toh I started laughing, and was like "Ranaji apka Rageshwari ko haath dainay wala action bara hi 'dheela' types tha...Aisay koi banda haath daita hai kia? Aaap Raja ho...Agar haath daina hi tha toh usmain thori toh koi sahi Rajaoon wali grace honi chaye thi na...Aap toh uss waqt mujhe kuch aur hi lag rahay thay...Thori dair k liye mujhe laga yeh Ranaji nahi koi aur hi betha hai...!!! Kia hogaya hai Ranaji aapko?" Khair jab Rageshwari nay dekha keh Ranaji nay Gayatri ki pehnaai hoi ring ab tak pehni hoi hai aur Ranaji nay btaya keh wo nikal nahi rahi tabhi Rajmata nay jab wo dil wali baat ki toh I was like "Rajmata wah kia baat keh di aapnay...Just too good...But...CVs itna bara blooper phir se...Kuch toh sahi se dikha do...Agar choti choti cheezoon ka khayaal nahi rakho gay toh kaisay chalay ga? Ranaji ko pehna wo RIGHT hand main rahi hai jab k usay LEFT main pehnani chaye kyunkay wohi haath dil se through hota hai and all...Bari ghalti yeh toh aapnay CVs..." Jab Rageshwari nay kaha keh agar yeh ring nikal nahi rahi toh isay katwaaa hi dijiyeee toh I was like "WHAT?!?! Dimaagh toh theek hai tumhara Rageshwari? Pagal hogai ho tum poori ki poori... Ranaji aap aisa kuch nahi karay gain...Samjhay aap...Aap apni ungli ko nahi kaatay gain...Bas...Can't see you getting hurt Ranaji...!!! Gayatri bacha lo Ranaji ko kisi tarha pleeease..."😳😳😳



As far as the precap is concerned, my reaction is..."Wah Rajmata...Dil jeet liya aapnay toh aaj"...šŸ‘šŸ‘šŸ‘


Do share your thoughts guys😳😳😳


Thank you so muchšŸ¤—šŸ¤—šŸ¤—

Created

Last reply

Replies

15

Views

950

Users

8

Likes

18

Frequent Posters

Aaron125 thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
Please post update in English...would really appreciate it😊
JIYA_22 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 9 years ago
#3
After soo many days watched today episode only becoz of Raga dream scene
Good epi deective gayu
Ranaji use you brain yar.
Everytime gayu had to find culprit.
Hope this track end soon
zahrazar thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
can you do it sometimes in english caus it seems really interesting and really worked but i don't understand but appreciate some word that i know and the smiley😊😊
gennyM thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Commentator Level 2 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#5
Nice take.
Mazedaar episode.
Enjoyed jasoos Gayatri.










RM14 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#6
Awesome take..ā­ļøloved Gayatri..and Raga scene😳 but woh seg main jyada dikhaya tha..
Ranaji khud pata kar lo na secret..aap dono milkar kyu nai karte solve.
sagorika93 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#7
lovely post dear ā¤ļø
loved raga scene 😳
thnx for the pm dear 😊
MF13 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#8
Super take epi was good dd rocked šŸ‘looked ad beautiful as always
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#9

Thank you so much dearšŸ¤—
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#10

Originally posted by: Aaron125

Please post update in English...would really appreciate it😊


Aww...I wish you could read Hindi, because there are a few words which could only be described in HindišŸ˜†šŸ˜‰šŸ˜‰

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".