Then came the pooja ko kharaab karnay wala scene and challenge karnay wala scene, jab Ranaji nay wo paani se bhara matka uthaya aur neechay girana shoro hi kiya tha keh entry hoi ussi laal turban walay banday ki likin aj usnay koi turban hi nahi pehna tha balkay orange pastry bunn k aya hoa tha...Khair, jab usnay Ranaji ki pooja wali matki phoor daali with an arrow, wahan pe sub hi shock hogae thay aur sochnay lag gae thay keh yeh hai kaun aur phir jab Ranaji nay murh k dekha aur uskay paas gae aur kaha keh "Agar aap nay humari patni ki jaan na bachai hoti toh aj aap iss batameezi ka jawab hum zaroor daitay...Kia hum aapki iss batameezi ki wajah jaan saktay hain?"
I was like "Chorye Ranaji kiskay mooh lag rahay hain...Agaya apni taraf se tevar dikhana karna karaana kuch hai nahi...Bas throne throne hi karnay aaya hai..."
When that orange pastry said that "Mahakaal ki chaya hoon main...Anoomati kia maangoon...Apnay hi ghar main aaya hoon main...Yeh humara ghar hai Indravadhan"
I was like "Ghoray pe baith kar shair kasnay se kuch nahi honay wala orange jelly walay banday...Aur jab Ranaji tumse tumhari iss batameezi ki waja pooch rahay hain toh seedha seedha jawab do zada over acting karnay ki zarorat nahi...Keh anoomati kia maangooon...Blah blah blah...Maangni paray gi tumhain kyunkay yeh tumhara nahi Ranaji ka ghar hai unka mehel hai...Toh maangni toh paray gi tumhain ANOOMATI..."
And when Rajmata said, "Ranaji kaun hai yeh gustaakh jaahil?"
I was like "Exactly Rajmata! Bilkul sahi kaha aapnay yeh jaahil hi hai...Jitni show off yeh maar raha hai na utni isay lag nahi rahi toh issiliye apnay jaahil pannay main utra hoa hai..."
Orange pastry, "Ghalti aapki nahi hai...Humnay apna pareechay kal bhi diya tha aj phir day daitay hain...Hum Ameerkot k Maharaja hain..." Everyone was shocked to hear that...!!! And when Ranaji said, "Bas aap nay humari patni ki jaan bachai thi likin iska matlab yeh nahi keh aap batameezi pe batameezi kartay jain..."
I was like "Yeh baat..." When Gayatri said, "Aap apnay aap ko Raja kehtay ho aur baat karnay ki tameez nahi hai...Agar baat karni hai toh neechay utar k insaanooon ki tarha baat karooo..."
I was like "Wah Gayatri bara sahi jawab diya tumnay likin yeh toh tumharay kehnay se ek dafa main hi utar gayaa...Aye hay lagta hai such main pyaar hogaya hai tumse tab hi toh tumnay kaha neechay utar k baat karo toh foran hi utar gaya...Aur jo look yeh tumhain day raha tha aisay lag raha tha jaisay abhi kuch flirt karnay ki koshish karay ga phir...Likin shukar kiya nahi..."
Jab wo orange pastry horse se neechay utar gai aur Ranaji k saamnay khari hogai aur Ranaji ki intro daini shoro ki aur apni nahi toh phir jab Ranaji nay kaha "Apnay pareechay dijiye..." And he said, "Hum pehli baar ghar aye hain...Toh isliye hum apna pareechay khud dain gain...Himat Singh Chauhaan...Aur unkay putrrr Gajaindar Singh Chauhaan aur unkay putrrr AVADESH SINGH CHAUHAAAN..." Rajmata, Kunwarji ki shaklain dekhnay wali thiiin...Wo such main shocked lag rahay thay, phir jab Ranaji nay kaha "Toh isay aapko Ameerkot ka Maharaja kehnay ka haq kaisay mil gaya..." Aur phir jab usnay apni bakwaas philosphy btani shoro ki...I was like "Bas yaar...Teri yeh fazul kathaaa koi sunnnay nahi aaya tu rehnay day bhai...Chup reh pleeease...Hai kaun? Bai jab tumharay ancestors khud sub kuch chor kar bhaag chukay thay aur haar maan chukay thay toh phir ab apni jaga dobara maangnay ka maqsad kia hai? Koi nahi haq tumhara yeh sub maangnay ka...You have been defeated before, so you better back off...Aur adheekaar adheekaaar ko baar dhorana se tumhain wo mil nahi jae ga so just shut up..."
When Avadesh said, "Yudh hoga aur kal hi hoga..."
Ranaji: "Humari talvaar larai k liye uthti hai kisi pagal ka shoq poora karnay k liye nahi...I was like "Wah Ranaji baray form main hain aj toh aap...Aj achay jawaab day rahay hain..."
When that orange pastry phir boli, "Ameerkot ko ek kushal Raja ek Yudha ki zarorat hai na kisi kaayar ki..."
I was like "Kaayar hoga tu...Tera baap tera poora khaandaan..."
Ranaji: "Tumnay Ameerkot k singhaasan ko larkara hai ispe kal pe shair bethay thay aur aj bhi ek shair hi baitha hai..."
I was like "Shabaash yeh kii na Rajaaooon wali baat...Well said Ranaji..."
Aur phir uss orange pastry usnay declare kiya keh kab hogi unki fight toh I was like "Ajaaa maidaan main larhnay...Apni maut tujhe saaf dikhaaii day gi...Ajaaa aur marnay k liye tyaar hojaaa..."
Jab usnay Gayatri ko kaha "Inkay liye paratna kijiye..." Aur jab Gayatri nay kaha "Paratna ki zarorat unko nahi aapko hai...AMBAYMAA apko Rana Indravadhan Singh Deo k kehar se bachay..." And that orange pastry smiled, I was like "Gayatri dialogue toh acha tha but phir bhi indirectly usay wish toh mil gai na...Khushi toh dekho zara uski shakal pe...Uff...I am not liking this...Dil toh kar raha hai maaar hi doon usay..."
Ranaji though kaafi khush thay apni Rani ka jawab sunkay...Aur jab un dono nay talvaarain nikali I was like "Abhi nahi kal larhna hai...Kal maarna show aj nahi..."ššš
Then came Swarna-Cheetah wala scene, jab bechara Cheetah Swarna ko yeh samajhanay ki koshish kar raha tha keh jab tak wo iss mehel main hai uska koi kuch nahi bigaar sakta aur uskay rehtay usay koi kuch nahi kar sakta toh Swarna nay jab kaha keh "Lakshraj meray pati hain humnay saath pheray liye hain...Humara rishta toh..." Cheetah: "Baaz aur chirya ka koi rishta nahi hota...Sirf ek rishta hota hai shikaar hai...Aj nahi toh kal wo apko dabooj lay gain...Likin main apko vachan daita hoon keh apko kabhi kuch nahi honay doon ga..."
I was like "Shhhooo sweeettt..." And when Swarna said, "Humain bachanay ka haq sirf humaray pati ka hai aur humara tumse koi rishta nahi...Tumhara humse koi adheekaar nahi...Ajkay baad hum tumse kabhi nahi milain gain..."
I was like "Hayyy becharay ka dil toorrr daala...Hayyy bechara Cheetah...Likin mujhe pta hai itni asaani se yeh isay choray ga nahi...Yeh Swarna ka saath kabhi nahi choray ga...Swarna beshak keh day likin wo apna vachan zaror nibhay ga...Akhir pyaar jo karta hai Swarna se..."š³š³š³
And, lastly, hall main fighting ki discussion wala scene, jab Gayatri Ranaji ko samjhanay ki koshish kar rahi thi keh aap nay sahi decision nahi liya aur apko larhna nahi chaye aur phir Kunwarji beech main bol rahay thay keh "Aaap kia chahti hain keh Ranaji chup kar beth jain..."
I was like "Itna ghussa araha hai toh khud larh lay na duffer...Larhna toh phir bhi Ranaji nay hai tum toh kharay hokay bas tamasha dekho gay toh kuch na hi bolo toh acha hoga..."
Aur phir jab Rajmata aur Gayatri ek aur ho kar Ranaji ko na larhnay k liye convince karnay ki koshish kar rahay thay aur wo phir bhi nahi maan rahay thay toh I was like "Yeh EGO bhi na...Bariii_____ cheez hai ek dafa koi hurt karday toh bas insaan ko kahin ka nahi chorhti...Ameerkot toh bas bahana hai yeh sub karnay ka..."
Ranaji: "Aap dono kia chahti hain hum dushman ka saamna na karain? Auratoon ki tarha chooriyaan pehen lain?"
I was like "Wait...WHAT????!?! CHOOORIYAAANNN???ABBB yeh chooriyaaan kahan se agaiiin Ranaji...Uff...Kabhi kabhi aap bhi na kuch zada hi emotional hojaatay hain aur yeh wohi horaha hai yeh aapki EGO hi bol rahi hai...EK Raja nahi..."
Gayatri: "Mard chahay jo bhi samjhay Ranaji...Chorriyaan pehnnay walay haath na hi kamzoor hotay hain aur na hi kaayar hotay hain wo...Aur auratain isliye ghar main baithti hain kyunkay unhain tornay se zada jornay main vishwaas hota hai aur talvaar tab uthti hai jab zarorat hoti hai...Kyunkay unhain bahaduri aur bewaqoofi k beech ka farq pta hai..."
I was like "WOW Gayatri...Bahut hi achi baat kahi tumnay...Ranaji Gayatri sahi keh rahi hai zara thanday dimaagh se sochiye aap yeh kia kar rahay hain? Please mat kijiye..."
Kunwarji: "Aap Ranaji ko bewaqoof keh rahi hain...?"
I was like "Oh! Hello! Tum toh chup hi raho...Awaiin beech main zada teeli dainay ki zarorat nahi...Zada aag laganay ki zarorat nahi...WO Ranaji ko kia samjhanay ki koshish kar rahi hai aur tumnay sirf bas wo bewaqoof wala word hi sunna tha...Gadhayyy..."
Gayatri: "Ji nahi Kunwarji...Main keh rahi hoon wo bahut hi chalaak hai kabhi bhi seedhay tareeqay se nahi laray ga...Ranaji aapko uspe vishwaas nahi karna chaye..."
Ranaji: "Par apko toh hum pe vishwaas karna chaye...Apko kis pe shak pe? Humari talvaar pe ya humari bahaduri par?"
Gayatri: "Nahi Ranaji...Main toh..."
Ranaji: "Faisla ho chuka hai...Rajaoon k faislay badlay nahi jaatay..."
Gayatri: "Par Ranaji..."
I was like "Ufff, ek dosray ko ghalat samajhna bunnd karo aur aqal se kaam lay k decisions lo pleeease...Josh main hosh mattt khoyeee ga Ranaji basss..."ššš
As far as the precap is concerned, my reaction is ..."š¤ "...
Do share your thoughts guysš³š³š³
Thank you so muchš¤š¤š¤