Kalpana, Truely an ANGEL Epi-44 updated with note by the author - Page 14

Created

Last reply

Replies

466

Views

100.8k

Users

51

Likes

1.3k

Frequent Posters

donwannaone thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
wow mimi excellent update
and karate kalpi 👍🏼 wow
plz update soon
SONIA6702 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: mimiunisha

What guys?❓ Not liked 2day's epi.👎🏼 So no more comments. Really felt like crying! 😭Did I offended anyone?😕



mimi aisa kyn bol rhi ho... u didnt offended nyone... nvr say dat... 😊😊😊... nd no cryin.. 😳..

luvd it yaar... it ws awsum,, so intrstin,, nd luvd kalpi's fight... so brave...

kalpi so naughty,, she saved herself dis tym as well... get her caught nw..😳... wanna see rags face...😆😆😆...

update soon... will b watin eagerly...😊😊..

ND i read it jst nw... kal ke pm ka rply kyn nhi kiya... evn m cryin nw😭😭😭...


Edited by jass1 - 11 years ago
Mihika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
WHAT DHISHUM DHISHUM UPDATE I JUST LOVE IT👏
appyK thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
Loved the update.. Continue soon..
mi_cheeky_me... thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Sry guys aaj ka pura din maine ghar bahar kuch kaam me bitaaye isliye shaam me update rahi hu. Sry and enjoy this part😉




Epi-18

Part-1

Inside Duster.

Anne- Thanks to Raghav Singhania!

Kalpi- Kyu?

A- Arre unke wajah se aaj Mogambo ne pehli baar kisiko apni gaari drive karne diya!

K- Zyada khush mat ho. Abhi hum apne sits change karenge!

Anne stops the car! They exchange their sits.

K- Ek kaam karte hai aaj ke din ko aur memorable banane ke liye Ice-cream parlour chalte hai.

A- Yup! Best idea always come in Mogambo's head.

K- Churaelni zyaada khush mat hona.

Mall parking lot-

Sammy- Kya Raghav tujhe Anne se puchne ki kya zaroorat thi?

Raghav- Mujhe aisa laga ki wo Kalpi hi hai.

S- Uff! Tue k hi dhun me ab tak chal raha hai ki wo Kalpi hi hai. Ek kaam kar use call kar. Tujhe tasalli mil jaayegi.

R- Achha idea hai.

Raghav calls Kalpi. Kalpi sidened the car and picked the call.

K- Haa Raghav bolo!

R- Kaha ho tum?

K- Apne dosto ke saath.

R- Ooh! Tum kya mall aayithi?

K- Nehi..balki abhi mai ek ice-cream parlour me baithke icecream kha rahi hu.

R- Ok bye

K- Bye!

Kalpi cuts the phone!

Anne- Kya baat hai? Tune use ye kyu nehi kaha ki tu drive kar rahi hai. Tu to kabhi drive karte wakt call receive nehi karti. Raghav ke liye Kalpana apne saath compromise kar rahi hai.

K- Aisi baat nehi hai! Raghav ye jaanta hai mujhe driving nehi aati. Agar mai kehti mai drive kar rahi hu to use shak hota.

A- Wow! Jo larki rash driving ke liye famous hai usne apne bf ko kaha ki use driving nehi aati.

K- I had no choice! Mujhe uss wakt nehi pata tha ki wo mera bf banega. Tab hum dono ek dusre ke saath aise behave karte the jaise hum dono saath janam ke dushman hai.

A- Ooh!

K- Aur haa! Kalpana apne aap ke saath kabhi compromise nehi karti. Mujhe mere koi bhi usul ke khilaaf jaana pasand nehi hai. Bachpan se bina maange hi sab kuch mila hai. Sach kahu inn sabne mujhe bohut ziddi bana diya hai.Mom dad ki mai wo bigri hui guriyaa hu jisne ek baar keh diya wo chahiye matlab wo meri hi hogi. By hook or crook!

A- Spoilt from head to toe!

K- Speaking honestly..YES!

Part-2

Kalpi and Anne in icecream parlour.

A- Tu Raghav ko apne baare me bol kyu nehi deti?

K- Nehi Anne abhi bhi sahi wakt nehi aaya hai. Agar maine use apne baare me bataya to mujhe past ke wo sab taale kholne parenge jiske chaabiyaa bhi kahi dur fek dena chahti hu!

A- Tune mujhe bhi aaj tak nehi bataya.

K- Sunna chahti hai?

A- Haa!

K- Yaha nehi pehle mere ghar chal.

Kapoor's Mansion-

Neetu- Sahil Kalpi apne dosto ke saath bahar gayi hai. Isse golden mouka nehi milega Gouri ko waha se hatane ke liye.

Sahil- Haa Neetu tumne sahi kaha kal Gouri ki aakhri din hogi waha.

Both of them laughed!

Mehra Mansion-

Kalpi's room-

Kalpi and Anne talking!

K- Anne maine tujhe mere boarding school jaane tak kya kya hua tha sab bataya tha naa?

A- Haa. Teri aai ne tujhe dubne ke wakt nehi bachaya ye sab tune bataya tha. Fir ek tujhe bohut bukhaar hua tha Panchgani me lekin teri aai ne school ki authorities ki baate nehi suni. Unhone kaha tu unki responsibility hai unhe iske liye wo paise deti hai.

K- Das saal Anne bina maine aai ki chehra dekhke bitaayaa hai. Tujhe Pakhi ke bare me bhi pata hai?

A- Haa! Lekin tu Delhi kaise pohuchi jaha hum mile. Hum dono same school ke students hai aur hum boarding school ke students nehi hai.

K- Batati hu! Panchgani me mujhe ek larki mili jiske saath meri dosti hui aur wo meri best friend ban gayi. Baad me mujhe pata chala use brain tumor hai aur wo nehi bachegi! Bohut dukh hua tha mujhe lekin kuch din baad mere zindegi ki sabse bhayanak haadsaa hua. School ki hostel me aag lag gayi aur mai waha se nikal nehi paayi tab mere best friend ki parents waha hi the. Uski dad ne use bachaya aur uski mom ne apne jaan jokhe me daalke mujhe bachaya. Lekin baad me hospital me doctor ne kaha meri best friend nehi bach sakti aur mai bhi nehi bach sakti since mere heart ne lungs me carbondioxide bharne ki wajah se kaam karna bandh kar diya tha. Lungs se carbondioxide hata sakte the lekin mujhe ek heart ki sakt zaroorat thi. Aur meri best friend ki heart mujhe de diya gaya. Aur tab mere baba pohuche. Aur unhone mere best friend ke dad se kaha mai jitni unki beti hu usse zyaadaa mere best friend ki dad ki hu. Aur meri best friend ka naam tha Kalpana Mehra. Meri mom and dad ki asli beti. Wo thore din aur zinda reh sakti thi agar doctor ne koshish kia hota lekin usne khud mana kia aur kaha use treatment ki zaroorat nehi hai wo apni dil mujhe dena chahti thi taaki mai bach paau. Wo chahti thi mujhe wo saari khushiyaa mile jo maine apne pariwaar se nehi paaya lekin uske paas tha. Sirf zindegi nehi thi uske paas aur isliye jaate jaate zindegi mujhe de gayi apna dil mujhe dekar. Uske baad baba ke marzi se mai mom dad ke saath rehne aa gayi Delhi jaha tumse dosti hui.

Anne was crying hearing this.

K- Pata hai Anne wo all rounder banna chahti thi sabki chahiti banna chahti thi. Aur meri aaj jo character hai wo usi ka to hai. Mujhe jab pata chala wo nehi rahi wo bhi mere liye tab maine decide kar liya ki mai wo jo banna chahti ek din banungi. Pehle mai aisi nehi thi lekin abhi ye jo Kalpana hai naa ye do insaan ke alag alag rup hai. Matlab Kalpana vithhal Yadav ki dimaag and Kalpana Mehra ka dil. Kalpi ke paas dil tha aur mere paas dimaag aur yaha jo khara hai naa uske paas duniyaa ka best dimaag bhi hai aur dil bhi. Sirf baat ye hai mujhe mom and dad ki adat par gayi hai. Mai unke bina nehi reh sakti. Mai aai ko respect karti hu lekin mom ko jitna pyaar karti hu utna kabhi nehi kar paaungi. Kabhi kabhi guilty feel karti hu ye soch ke Kalpana ki mout ki zimmedaar indirectly mai hi to hu.

Part-3

" Kisne kaha Kalpi ki mout ki zimmedaar tum ho?" said Abhi.

K- Mom dad aap dono yaha?

Divya- Dekh Kalpi humne apni beti nehi khoyee humari beti to hamare saamne hi hai.

K- Wo mom lekin sach to yehi hai naa mai aap dono ki beti nehi hu!

A- Haa! Ye sach hai tu hamari khoon nehi hai lekin tu hamari guriyaa hai hamaridil bhi dimaag bhi and zindegi bhi.

Kalpi runs and hugs her parents who were also crying.

K- Sorry mom and dad aaj se kabhi nehi kahungi ki mai aapki beti nehi hu!

D- We love you a lot beta.

A- More than our life!

They broke the hug!

Abhi to Anne- Tumhaari flight ka wakt ho raha hai. Hamare saath lunch karo fir driver tumhe tumhaare flat tak chor aayega.

Anne- Thanks uncle

Divya- Guriyaa tu bhi khaane ke liye niche aa.

K- Yes mom!

Suddenly Kalpi's phone rings.

K- Mom dad Anne tum teeno jaao mai ye phone receive karne ki baad aaungi. Aai ki call hai.

Abhi- Thik hai guriyaa! Jaldi aana.

K- Ok dad!

She receives the call

K- Haa aai! Bol

Kamla- Kalpi dekh naa taai dawai nehi kha rahi hai. Unhe bukhaar hai.

K- Kya? Ek kaam kart u phone unhe de.

Gouri- Hello!

K- Taai ye mai kya sun rahi hu aap medicines nehi le rahe hai. Please le lijiye ye aapki beti ki request hai.

G- Thik hai tu kehti hai to lungi lekin ek condition par.

K- Kaisi condition?

G- Tujhe ye request maa bolke karna parega tune khudko meri beti jo kaha.

Kalpi smiled.

K- Acchha! Maa aap please dawai le lijiye.

G- Well done. Kamala meri dawai de.

Gouri take the pill.

G- Chal kha liya khush?

K- Haa. Bye!

G- Bye beta!

Gouri cuts the phone.

Precap- In afternoon Kamala and Vitthal in phone.

Kamala- Vitthal taai nehi mil rahi hai.

Vitthal- Kya tune saara ghar dekha?

K- Haa Vitthal taai nehi mil rahi hai maine puri chawl dekh li!

. Hope u guys liked today's epi. And as always give me your feed backs and likes !

LOVE U ALL !

Gudiyalovesguru thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago
Fantastic update...
feeling sad for mom and dad,i love their bonding...
they are awesome...
i just love them...
and this plot is very very intresting yaar...
continue soon...
mishti058 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 11 years ago
Kalpi's past was too emotional n touching...plz continue soon
Mihika thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
beautiful update mimi...kalpi ka past emotional tha but it was the best part of the update😛keep it up dear👍🏼
Edited by Mihika - 11 years ago
SONIA6702 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
awsum mimi... but vry emotional... kalpi hs tremendous confidence,, which is trp of dis story...
luv smiling kalpu...

update soon,,, wating😊😊
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 11 years ago
very interesting update..continue soon..👍🏼

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".